Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 27
Print
Author  (Read 21797 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #255 on: July 29, 2008, 08:02:14 PM »

=========
Kya buraa waqt he muflisoN ke liye
Khoon bechaa gayaa rotiyoN ke liye
Mera ghamkhwaar mujhse ye khene laga
Meraa daaman nahi aansuoN ke liye
=========

[n.m]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #256 on: July 29, 2008, 08:04:05 PM »

========
Hamenshaan baag-e-aalam mein khushi ke saath hen gham bhi
Jahaan bajti he shehnaai wahaan hotaa he maatam bhi
========

[n.m]
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #257 on: July 29, 2008, 08:09:29 PM »

=================
Dam ghutte hi seene mein nikal aate hen aansoo
Barish ki alaamat he ke hoti he hawaa band
=================
[n.m]
=================
Ham ghareeboN se milo ya n milo shaad raho
Tum salaamat raho, zinda raho, aabaad raho
=================
[n.m]
=================
Muhabbat ki duniyaN mein sab kuchh hanseeN he
Muhabbat nahi he to kuchh bhi nahiN he
=================
[n.m]
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #258 on: July 29, 2008, 08:10:49 PM »

=================
Peda huwe vakeel to shaytaan ne kahaa
Lo aaj ham bhi sahib-e-awlaad ho gaye
=================
[n.m]
Logged
Roja
Guest
«Reply #259 on: July 30, 2008, 12:04:29 AM »
Azmate-e-Zindagi Ko Bech Diya,.
Humne Apni Khushi Ko Bech Diya,.

Chashm-e-Saaqi Ke Ek Ishaare pe,.
Umr Ki Tishnagi Ko Bech Diya,.

Jagmaate Hain Wehshaton Ke Dayaar,.
Aqkhl ne Aadmi Ko Bech Diya,.

Ishq Behrupiya Hai Aye "Sagar".
Aap Ne Saadgi Ko Bech Diya,.

________________-Sagar Siddiqui-


Wah kya likha hai sagar ji ne...  Applause Thanks for sharing Jaanasheen ji.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #260 on: July 30, 2008, 07:50:56 AM »
Wah Roja Saahiba,,, badhiya kalaam paish kiye hain...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #261 on: July 30, 2008, 01:01:49 PM »
Shukriya Shihab Bhaijaan,.
Roja sis,.

Aur Bahoot Hi Badiya Sharings Ki Hai Aapne Randeri Ji,.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #262 on: July 30, 2008, 06:13:47 PM »
Bohat Hi Umda Azeem Bhai And Randeri Saheb
Keep It Up...


Nazar bharkar koi dekhe, Iss Qaabil kahan hai hum
Humein bhi tutkar chahe koi, Iss Qaabil kahan hai hum

Meri Tanhai ne mujhko, Kiya hai aaj bhi Ruswaa
Sar-E-Mehfil mein aajayein, Iss Qaabil kahan hai hum

Woh shokhiyaan woh kehkahe, Woh yunhi Muskura dena
Kaise Lab-E-Khusk muskuraye, Abb Iss Qaabil kahan hai hum

Khada hoon aaj bhi uss Raah par, Mai meel ka Pathar
Abb Iss raah se guzre koi, Iss Qaabil kahan hai hum

Jawaani ki kashish abb, Jhurriyon mein Tabdeel ho gayee
Pade koi nigahein shauk abb, Iss Qaabil kahan hain hum !!!
N/M


Shukriya meherbaan.

ye umda ashaar hen khas kar "khada hoon aaj bhi uss raah par" wala shear to kamaal he, isi tarah apne pasandidah ashaar se hamein nawaazte rahiye
.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #263 on: July 30, 2008, 06:17:22 PM »
Shukriya Shihab Bhaijaan,.
Roja sis,.

Aur Bahoot Hi Badiya Sharings Ki Hai Aapne Randeri Ji,.

dil ko rahat hui ye jaan kar ke aap ne pasand farmaya ise, shukriya....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #264 on: August 03, 2008, 10:36:52 AM »
Its All Ur Pleasuure
Logged
syednaami
Guest
«Reply #265 on: August 03, 2008, 07:55:20 PM »
Bahut hi kamaal ke intakhaab paish kiye sab logon ne. wah -
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #266 on: August 05, 2008, 07:48:42 AM »
MASH_HOOR HUI UNKI DUNIYA ME BE_WAFAIEE
MERI WAFA KHUD MUJKO PEHCHAN BHI NA PAYEE
AUR KAB_SE KEH RAHA HU TUJME KAMI HAIN GHAYEL
NA ZINDAGI NE CHAHA NA MAUT TUJKO AAYEE

TU MEHFILO KI RAUNAK TUJSE HAR RAT JAG_MAGAIEE
MAIN EK BUJA DIYA HU MERI HUMDUM MERI TANHAIEE
MERE ASHKO KO MAF KARNA CHEND AASHAR MIT GAYE HAIN
ROYE BOHAT THE SAHEB JAB LIKH_KHI THI YEH RUBAIEE
 
__________________________________--NM--
Logged
syednaami
Guest
«Reply #267 on: August 05, 2008, 03:13:38 PM »
bahut badhiya intakhaab. - Azeem bhai
Logged
Roja
Guest
«Reply #268 on: August 05, 2008, 03:38:26 PM »
Ek se badkar ek sharing ki hai..
Majid bro, Jaanasheen bro superb collections... Keep sharing
Thumbs UP
Logged
Roja
Guest
«Reply #269 on: August 05, 2008, 03:56:37 PM »
Kahein pay jafa ka dastoor hai
 
Kahein pay jafa ka dastoor hai
Koi kaheen kitna majboor hai
 
Jis ko dil toot kay chahta hai
Woh dil say kisqadar door hai
 
Koi roshniyon say panah chahta hai
Koi andhairon mein kitna masroor hai
 
Kal shab khoob charcha hua tha
Kay woh dil tornay mein mashoor hai
 
Sadiyan guzar gayee hain samaitnay
Dil jabse bikhar kay hua choor hai
 
Woh chup chaap sa nazar aata hai Mohsin
Lagta hai k kuch hua zaroor hai
n/m
Logged
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 12, 2024, 07:58:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer