Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasaana Kya,.

by Jaanasheen on February 12, 2008, 10:26:25 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1696 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasaana Kya,.
Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khuda Gaibaana Kya,.

Zinaa Sabaa ka Dhoondhti Hai Apni Musht-e-Khaak,.
Baam-e-Baland Yaar Ka Hai Aastaana Kya,.

Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Rooh Ko,.
Dekhoon To Maut Dhoond Rahi Hai Bahaana Kya,.

Betaab Hai Kamaal Hamaara Dil-e-Azeem,.
Mehmaan Saaraay-e-Jism Ka Hoga Ravaana Kya,.

_________________________-Khwaja Hyder Ali,.
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #1 on: February 12, 2008, 10:31:53 AM »
HMMMMMMMM

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 12, 2008, 11:35:42 AM »
Ye HMMMM<. Ka Hum Kya Matlab Samjhe Ji,.
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #3 on: February 12, 2008, 11:51:31 AM »
KUCH BHI SAMAGH LO....................DEAR
Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: February 12, 2008, 12:19:22 PM »
aap itni khoobsurat shayari kaise likh lete hain pls kuch tips hume bhi de dijiye!
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #5 on: February 12, 2008, 12:23:21 PM »
ARE YEH SAARI KI SAARI CHURAI HUI HAI BACH KE REHNA
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 12, 2008, 12:37:01 PM »
Hai Diya Ji,.
Ye Shayari Mere Fav8 Poet Hyder Ali Ji Ki hai,.
Aur Aapne Sahi Kaha Pem Chawla Ji,.
ye Humne Yahan Unki Nakhal Ki Hai,.
Aur Jo Hum Likhte Hain Uspe Hum Apna Naam zaroor Rakhte Hain,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 12, 2008, 12:39:28 PM »
Main Gham ke Ghar Mein Kaid Hoon, Beghar Nahi Hoon Main,.
Thokar Na Yun Lagaa Mujhe, Patthar Nahi Hoon Main,.

Hai Tazkara Dukhon Ka Mera Saare sheher Mein,.
Afsos ye Ke Teri Zabaan Par Nahi Hoon Main,.

______________________________-Jaanasheen-
Logged
mehhekkk
Guest
«Reply #8 on: February 12, 2008, 05:47:30 PM »
realy great,awesome

ruh bhi jism chodkar nahi jayegi
gar tu mere janaze ke saath ayegi
touba dur hi rehna mujhese us waqt
ke aaftabe hur mujhe lene aayegi.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 13, 2008, 09:11:45 AM »
Shukriya Mehekk Ji,.
Aap Bhi Kuch Likhte To Seekhna Ka Maukha Milta,. Roll Eyes
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #10 on: February 13, 2008, 09:17:45 AM »
abe itna sikh kar kaya karega,

a good friend is one who tells u to write the exam paper and
a BEST friend is one who tells u abe or kitna likhega chal baar chal saari larhkiya nikal jayegi.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 13, 2008, 09:18:08 AM »
Ye Mere Fav8 Shayar Sir "Ahmed Faraaz Ji" Ka Likha Hua Behtareen Kalaam Hai,.
Hope U Too Will Like It,.

Karoon Na Yaad Agar, Kis Tarah Bhulaaoon Use,.
Gazal Bahaana Karoon Aur gungunaaoon Use,.

Wo Khaar-Khaar Hai Shaakh-e-Gulaab Ki Maneend,.
Main Zakham-Zakham Hoon, Phir Bhi Gale Lagaaoon Use,.

Ye Log Tazkare Karte Hain Apne Logon Se,.
Main Kaise Baat Karoon Aur Kahaan Se Laaoon Use,.

Magar Wo Zood-Faramosh Zood Ranj Bhi Hai,
Ke Rooth Jaaye Agar Yaad Kuch Dilaaoon Use,.

Wohi Jo Daulat-e-Dil Hai Wohi Jo Rahat-e-Jaan Hai,
Tumhari Baat Pe Aye Naasiho Ganwaaoon Use,

Jo Humsafar Sare Manzil Bichard Raha Hai "Faraaz",.
Aajab Nahi Ke Yaad Bhi Na Aaoon Use,.

_____________________________-Ahemd Faraaz-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 13, 2008, 09:20:46 AM »
abe itna sikh kar kaya karega,

a good friend is one who tells u to write the exam paper and
a BEST friend is one who tells u abe or kitna likhega chal baar chal saari larhkiya nikal jayegi.
Har Ek Ka Andaaz Judaa Hota Hai,.

Tumhe Lardkiyaan Pataane Me Maaza Aata Hai,.
Hume Dil Ka Haal Sunaane Me Mazaa Aata Hai,.

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #13 on: February 13, 2008, 09:30:40 AM »
kaya baat hai,

dil ka haal suniye or raste mai jo bhi mile use sunaiye,
naye dost jarur banaiye par e dost hame bhul kar bhi na bhulaiye
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 13, 2008, 10:28:12 AM »
Kuch Na Kisi Se Bolenge,.
Tanhaai Mein Ro Lenge,.

Hum Be Rahbaron Ka Kya,.
Saath Kisi Ke Ho Lenge,.

Khud To Hue Ruswa Lekin,.
Tere Bhaid Na Kholenge,.

Jeewan Zehar Bhara Sagar Hai,.
Kab Tak Amrut Gholenge,.

Neend To Kya Aayegi "Faraaz",.
Maut Aaayi To Solenge,.

_________________-Ahemd Faraaz-
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 07:40:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer