SUNA HAI ISHQ MEIN................TANHA(SAURABH)

by Tanha(Saurabh) on October 17, 2008, 07:48:33 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2703 times)
Tanha(Saurabh)
Guest
SUNA HAI ISHQ MEIN HAAL-E-DIL BIGAD JAATE HAIN,
LO YE CHALE HUM DUA KARNA BACHAANE KE LIYE.

WO PAAS BHI AAYA TO PAL-DO-PAL MERE,
WAQT TANG THA KUCHH UNKO SUNAANE KE LIYE.

MUMKIN THA MERA KHAALI HAATH HI RAHNA,
UNKI HAR ADAA HAI BAAKI ZAMAANE KE LIYE.

EK GHAM MEIN HUMNE KHUD KO JALA KAR DEKHA,
KAUN AATA HAI MERI AAG BUJHAANE KE LIYE.

TOOFAAN MEIN IK BIKHAR GAYA ASHIYAAN APNA,
KOI AATA NAHI GHAR MERA BANAANE KE LIYE.

KHUSHI KE AANSOO BHI GHAM KI AANKHO SE NIKLE,
DARD ZYAADA HAI BOHAT DIL SE BAHAANE KE LIYE.

IK UMRA SE BHARI NIGAAHON SE HUM JAAGE HAIN,
MAUT BHI AATI NAHI HAI MUJHKO SULAANE KE LIYE.

BOHAT PYAARA MERE KHWAABON KA JAWAAN HONA THA,
HUE SAB BE-RANG SE KYUN EK BEGAANE KE LIYE.

KYA KAHEIN APNE SHAUK BHI BADAL DIYE MAINE,
KOI AFSAANA NAHI AB SABKO SUNAANE KE LIYE.

YE SHAHAR HAI VEERAAN CHALO AB CHALEN ‘TANHA’,
JAGAH BAAKI NAHI YAHAAN MERE THIKAANE KE LIYE.


-----TANHA(SAURABH)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAJ EK AUR DAFA.........................TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
KAISE PAAYE KOI...........................TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
YE SUNKAR HI...............TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
JIDHAR BHI DEKHIYE..................TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Miscellaneous Shayri
Tanha Tanha Raaton Mein.. by majid in Share Video
k.shael
Guest
«Reply #1 on: October 17, 2008, 07:55:19 AM »
 Applause  Applause  Applause  Applause
BAHUT KHOOB BAHUT PYARA AUR LAJAWAAB
KALAM TANHA JI...
BY. K.SHAEL
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #2 on: October 17, 2008, 07:58:45 AM »
BOHAT BOHAT SHUKRIYA AAPKA SHAEL JI....
 notworthy notworthy
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: October 17, 2008, 09:08:52 AM »
waah bohut khoob likha hai saurabh ji

hai mujhko ye ranz zaraa is baat ka
kyu mila wo mujhse kyu bichad gaya

thi mein khush apni udasiyon k saath hi
kyu jala kar ek lo fir andhera wo kar gaya
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: October 17, 2008, 10:16:25 AM »
Bohat khoob likha hai saurabh ji
lafz dil mein uttar gaye keep it up.... Applause  Applause


Very nice reply bhawna.. Applause  Applause 
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #5 on: October 17, 2008, 10:24:50 AM »
thnk u honey ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: October 17, 2008, 12:03:43 PM »
Ishq mein bahut kuch hai hota
Insaan apne aap ko bhi hai khota

Bahut achcha likha hai aap ne Tanha ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: October 17, 2008, 12:08:35 PM »
SUNA HAI ISHQ MEIN HAAL-E-DIL BIGAD JAATE HAIN,
LO YE CHALE HUM DUA KARNA BACHAANE KE LIYE.

WO PAAS BHI AAYA TO PAL-DO-PAL MERE,
WAQT TANG THA KUCHH UNKO SUNAANE KE LIYE.

MUMKIN THA MERA KHAALI HAATH HI RAHNA,
UNKI HAR ADAA HAI BAAKI ZAMAANE KE LIYE.

EK GHAM MEIN HUMNE KHUD KO JALA KAR DEKHA,
KAUN AATA HAI MERI AAG BUJHAANE KE LIYE.

TOOFAAN MEIN IK BIKHAR GAYA ASHIYAAN APNA,
KOI AATA NAHI GHAR MERA BANAANE KE LIYE.

KHUSHI KE AANSOO BHI GHAM KI AANKHO SE NIKLE,
DARD ZYAADA HAI BOHAT DIL SE BAHAANE KE LIYE.

IK UMRA SE BHARI NIGAAHON SE HUM JAAGE HAIN,
MAUT BHI AATI NAHI HAI MUJHKO SULAANE KE LIYE.

BOHAT PYAARA MERE KHWAABON KA JAWAAN HONA THA,
HUE SAB BE-RANG SE KYUN EK BEGAANE KE LIYE.

KYA KAHEIN APNE SHAUK BHI BADAL DIYE MAINE,
KOI AFSAANA NAHI AB SABKO SUNAANE KE LIYE.

YE SHAHAR HAI VEERAAN CHALO AB CHALEN ‘TANHA’,
JAGAH BAAKI NAHI YAHAAN MERE THIKAANE KE LIYE.


-----TANHA(SAURABH)


Bohot Khoob Saurabh Applause Applause
Logged
khamosh.larka
Guest
«Reply #8 on: October 17, 2008, 03:30:22 PM »
bouth acha likha ha jinab  zabardast
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #9 on: October 17, 2008, 10:01:01 PM »
Waah...Bohot khoob tanha ji, bohot achha likhte hein aap.  Applause

kaushikbhawna ji aap ne bhi bohot achha likha he.  Thumbs UP
Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: October 18, 2008, 09:29:09 AM »
BAHUT KHOOB SAURABH JI
BAHUT ACCHA LIKHA HAI AAPNE Applause Applause

waah bohut khoob likha hai saurabh ji

hai mujhko ye ranz zaraa is baat ka
kyu mila wo mujhse kyu bichad gaya

thi mein khush apni udasiyon k saath hi
kyu jala kar ek lo fir andhera wo kar gaya


NICE LINES KAUSHIK JI AAPNE BHI BAHUT ACCHA LIKHA HAI Applause Applause
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #11 on: October 18, 2008, 07:55:33 PM »
saurabh ji,

kamaal likhtey hai janaab!asar kar jaata hein aapka jaado dilo-dimaag pur.umda shaayri ki shreni mein aati hein aapki rachnaaye!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: October 18, 2008, 08:41:59 PM »
Nice job saurabh ji and good lines bhawna!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: October 19, 2008, 09:40:10 AM »
Bahoot Hi Umda Shayaari Hai Ye,.
Nice one,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: October 19, 2008, 09:41:48 AM »
SUNA HAI ISHQ MEIN HAAL-E-DIL BIGAD JAATE HAIN,
LO YE CHALE HUM DUA KARNA BACHAANE KE LIYE.

WO PAAS BHI AAYA TO PAL-DO-PAL MERE,
WAQT TANG THA KUCHH UNKO SUNAANE KE LIYE.

MUMKIN THA MERA KHAALI HAATH HI RAHNA,
UNKI HAR ADAA HAI BAAKI ZAMAANE KE LIYE.

EK GHAM MEIN HUMNE KHUD KO JALA KAR DEKHA,
KAUN AATA HAI MERI AAG BUJHAANE KE LIYE.

TOOFAAN MEIN IK BIKHAR GAYA ASHIYAAN APNA,
KOI AATA NAHI GHAR MERA BANAANE KE LIYE.

KHUSHI KE AANSOO BHI GHAM KI AANKHO SE NIKLE,
DARD ZYAADA HAI BOHAT DIL SE BAHAANE KE LIYE.

IK UMRA SE BHARI NIGAAHON SE HUM JAAGE HAIN,
MAUT BHI AATI NAHI HAI MUJHKO SULAANE KE LIYE.

BOHAT PYAARA MERE KHWAABON KA JAWAAN HONA THA,
HUE SAB BE-RANG SE KYUN EK BEGAANE KE LIYE.

KYA KAHEIN APNE SHAUK BHI BADAL DIYE MAINE,
KOI AFSAANA NAHI AB SABKO SUNAANE KE LIYE.

YE SHAHAR HAI VEERAAN CHALO AB CHALEN ‘TANHA’,
JAGAH BAAKI NAHI YAHAAN MERE THIKAANE KE LIYE.


-----TANHA(SAURABH)


Sunaa Hai Tumne "Saurabh, Humne Magar Ye Jaana Hai,.
Ishq Mein Doob Kar, Ishq Ke Mahaul Ko Pehchaana Hai,.

Safar Ishq Ka Yahaan, Jo Log Chunaa Karte Hain,.
Unhe To Bas Ghamon Aur Tanhaaiyon Ki Manzil Paana Hai,.

Badi Katheen Hai Ye Manzil-e-Mohabbat, Doston,.
Carwaan, Peeche Ruk Jaata Hai, Tanha Safar Beetaana Hai,.

Sazaa Hai, Zindagi Ke Liye "Ye Mohabbat "Jaanasheen,.
Ek Main Nahi Kehta Aisa, Mere Saath Ye Saara Zamaana Hai,.

____________________________________-Jaanasheen-

Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 09:54:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer