tAlAsh

by angel4u on July 31, 2008, 02:57:38 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1202 times)
angel4u
Guest
Kabhi Sang-E-Dar Ki Hai Justujoo,
Kabhi NaQsh-E-Paa Ki Talash Hai,
Mera Dil To Hai, Sanam Aashna,
Mujhe Kis Khuda Ki Talash Hai,

Yun Kured Mujhko Na Door Tak,
Abhi Aag Hai, Meri Raakh Mein,
Jahan Khaak-E-Jaan Zara Baith Le,
Mujhe Us Faza Ki Talash Hai,

Kahin Hasraton Ki Hama Hami,
Kahin Khamoshi Ki Hai Daldalein,
Ye Ajab Khudi Ki Hai Khudsari,
Gam-E-Khushnuma Ki Talash Hai,

Kisi Raaste Se Milan Sahi,
Koi Ho Waseela To Karger,
Teri Justuju Hai Talash-E-HaQ,
Mujhe Baddua Ki Talash Hai,

Ye Gubar-E-Azmat-E-Karvan,
Yehi Manzilon Ka Nishan Hai,
Kahin BarQ Raah Mein Gum Hue,
Kahin Raahnuma Ki Talash Hai...


NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Talash by Sonu in Shayri-E-Dard
:-:-:-:- Teri Talash -:-:-:-: by angel4u in Shayri-E-Dard
Talash ya... by chaitali in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Talash e Zindagi by Ehsas in Shayri for Khumar -e- Ishq
TALASH by PYASA in Ghazals
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1 on: July 31, 2008, 09:55:52 PM »
Kamaal he laajawaab he, andaaz "shakeel badayuni" ka he shayad unhi ki hogi....

ek darkhwast he aap se aap ke paas umda ash'ar hein to kyun n ek hi thread mein pesh kiye jaaye, isse aap ki peshkash bhi ek hi jagah jamaa rahe gi or logoN ko talash ne or padhne mein bhi aasani rahegi, ye sirf ek darkhwast he, aage jesa aap munasib samjhen.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: August 01, 2008, 02:40:10 AM »
Kamaal he laajawaab he, andaaz "shakeel badayuni" ka he shayad unhi ki hogi....

ek darkhwast he aap se aap ke paas umda ash'ar hein to kyun n ek hi thread mein pesh kiye jaaye, isse aap ki peshkash bhi ek hi jagah jamaa rahe gi or logoN ko talash ne or padhne mein bhi aasani rahegi, ye sirf ek darkhwast he, aage jesa aap munasib samjhen.

maine banaya tha ek topic jismein bahut saare collections post kiye the, par usme koi comment hi nahi karta tha to phir chhod diya. abhi asie karti hoon sad5
thanks for apreciating.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #3 on: August 01, 2008, 04:21:58 AM »
maine banaya tha ek topic jismein bahut saare collections post kiye the, par usme koi comment hi nahi karta tha to phir chhod diya. abhi asie karti hoon sad5
thanks for apreciating.

Koi baat nahi aap shamaa jalaye rakhiye parwaane khud-b-khud aayenge, apne us collection ke bare mein yahan bata na mein zarur padhna chahunga, mumkin he aoroN kaa bhi dhayaan ustaraf jaye.....
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #4 on: August 01, 2008, 05:31:36 AM »

Mera Dil To Hai, Sanam Aashna,
Mujhe Kis Khuda Ki Talash Hai,

NM
angle..Ye Do Line Chhodkar Baaki Sub Ash'aar Bahot Khoob Hai

Waise
aapka sharing hammesha badhiya hi hota hai..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: August 01, 2008, 02:30:55 PM »

Koi baat nahi aap shamaa jalaye rakhiye parwaane khud-b-khud aayenge, apne us collection ke bare mein yahan bata na mein zarur padhna chahunga, mumkin he aoroN kaa bhi dhayaan ustaraf jaye.....


acutally wo collection ka naam hai "Ashq Bhi Muskuraye".
usme bahut saari postings kari thi maine.
phir band kar diya,
ab wo topic dhundna bhi padega sad5
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: August 01, 2008, 02:31:43 PM »
angle..Ye Do Line Chhodkar Baaki Sub Ash'aar Bahot Khoob Hai

Waise
aapka sharing hammesha badhiya hi hota hai..


haan ye thodi contradictory lines ho jaati hai
thanks pasand karne ke liye Usual Smile
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #7 on: August 01, 2008, 08:35:36 PM »
acutally wo collection ka naam hai "Ashq Bhi Muskuraye".
usme bahut saari postings kari thi maine.
phir band kar diya,
ab wo topic dhundna bhi padega sad5

ok mujhe mil gayaa, shukriya...

yahan to bohot kuchh he abhi padhna baqi he, magar ye jaan liyaa sab ke liye faide mand he, is ki shuruaat hi aysi he ke dil khush hogaya, kaya umda kalaam he :

Khwab Aankhonse Ab Koi Chura Kar Le Jaye
Qabar Se Sukhe Hue Phool Utha Kar Le Jaye

http://www.yoindia.com/shayariadab/shayriedard/ashq-bhi-muskuraye-my-collection-of-shayris-t21228.0.html

achhe shayar banne ke liye achhe shairoN ke kalaam padhna zaruri he, isi mein koi she'ar hamein itna pasand aata he ke use bar bar dohrate hein or usi par koi ghazal likhdete hen, isi tarah taraqqi hoti he, sab ko ye khyaal rakhna chahiye or achhe shayaroN ko padhna chahiye.....


Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: August 02, 2008, 03:25:18 AM »
Sahi kaha
Sayyid ji,
thanks aapne wo topic dhundha uar padha Usual Smile
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #9 on: April 01, 2013, 02:23:32 AM »
gorgeous.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 09:45:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer