~:: Tum Mujhe Bhool Jaana ::~

by nirbhay on April 23, 2006, 03:58:24 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 9
Print
Author  (Read 13862 times)
roshni246
Guest
«Reply #45 on: April 28, 2006, 04:45:25 AM »
hamain koi gham naheen tha, gham-e-aashqi se pehlay
na thi dushmani kisi se teri dosti se pehlay
hai ye meri bad naseebi tera kya qasuur iss main
tere gham nay maar dala mujhe zindagi se pehlay
mera pyaar jal raha hai ai chaand aaj chup jaa
kabhi piyaar tha hamain bhi teri chandni se pehly
main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota
k hazaron gham milain gay mujhe ik khushi se pehlay
ye ajeeb imtahaan hai k tumhi ko bhoolna hai
milay kab the is tarah hum tumhain be-dili se pehlay


~roshni~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
>>>>Wah Mujhe Bhool Jaana Chata Hai <<&l by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
***Mujhe Bhool Na Jaana*** by AVTAR RAYAT in Shayri-E-Dard
***Kahi'n Bhool Jaana*** by AVTAR RAYAT in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Mujhko Bhool Jaana by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Tabrez khan
Guest
«Reply #46 on: April 28, 2006, 04:50:45 AM »
Aasoo-on Ke Chalne Ki Aawaaz Nahi Hoti,
Dil Ke Tootne Ki Aahat Nahi Hoti,
Agar Hota Khuda Ko Har Dard Ka Ehsaas,
To Usey Dard Dene Ki Aadat Nahi Hoti!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #47 on: April 28, 2006, 05:02:12 AM »
Wah wah bahut hii Khoob Roshni & Tabrez u 2!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #48 on: April 28, 2006, 05:07:08 AM »
thxx nirbhay!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #49 on: April 28, 2006, 05:16:21 AM »
Mere Sabar Ka Na Le Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na De
Jo Tere Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeene Ki To Duaa Na De,

Tu Azeez Dill-o-nazar Se Hai Tu Qareeb Rag-o-jaan Se Hai
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na De

Tujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon Tujhe Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Maire Tan Badan Se Lipat Gai
Jo Bujha Sake To Bujha Isay Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De,

Tujhe Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Se Sanwaar De
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki to Sazaa Na De.


~rosh~
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #50 on: April 28, 2006, 06:04:55 AM »
bahoot Khoob Nirbhay And Roshni Ji,..

Bhoola Diya Hai Usko Maine Dil Se Aaj,..
Ilsiye Dhadkano Ne Mera Saath Nahi Diya,..
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #51 on: April 28, 2006, 06:05:22 AM »
Wah wah kya baat hai kya baat hai!!! Bahut ache Roshni!!! Keep writing!!!

Meri berukhi, merey ye Ukhadey se ye jazbey
Sabb teri khushi ke liye hai meri meher-e-aanaa
Ghum bhare iss dard-e-dil ke shehar se bahut door
Jau tum khusiyaan manana, rangraliyaan manana
teri kurbat hogi ahl-e-dil aaur meri zindagi parr
hoke judaa tum mujhe bhool jaana, tum mujhe bhool jaana!!!


Kuch rukhsat-e-waqt mein hai kami
Adhura chod raha hoon meri gazal ka fasana
meri nazar bhi wahiin hai jahan tera nishana
mai aaun lout kar, ya ho sakey na bhi anna
par aye meri jaan-e-jaana, tum mujhe bhool jaana!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #52 on: April 28, 2006, 06:14:02 AM »
Bahoot ache Nirbhay,..
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #53 on: April 28, 2006, 06:36:13 AM »
Quote from: "roshni246"
hamain koi gham naheen tha, gham-e-aashqi se pehlay
na thi dushmani kisi se teri dosti se pehlay
hai ye meri bad naseebi tera kya qasuur iss main
tere gham nay maar dala mujhe zindagi se pehlay
mera pyaar jal raha hai ai chaand aaj chup jaa
kabhi piyaar tha hamain bhi teri chandni se pehly
main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota
k hazaron gham milain gay mujhe ik khushi se pehlay
ye ajeeb imtahaan hai k tumhi ko bhoolna hai
milay kab the is tarah hum tumhain be-dili se pehlay


~roshni~


karo shikwa tum, mujhe mubarakh hain meri saari shikayatein
bhool janaa mujhe tum aaur meri saari inaayatein
badnaseebe ka na do sabab, na karo ko nayi abb niyamatein
chand kya chandni kahan thee humein bhi kalam karne ki aadatein
nafrat bhi hai mujhe, muhabaat bhi hai kehti hai dil aahatein
jab pyar kartey ho aaur tukhra detey ho mere lavz-e-izhaar
ye kaisii hai dil-e-ehsaas mein milawatein?
jo kehne laga mai phir baatein kuch, to tum kahoge key kyun kartey ho shikayatein?

abb kya tumse sunn na aaur tumhein mera marz-e-dava batana
sun lo mujhse ek baar aaur, ke harr baar meri aaur aane se pahle ise dohrana
tum apni khushi ke liye na sahi tu mere dukh ke liye aye jaana
bhool jana, aaye mere jaan-e-jana tum mujhe bhool jana!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #54 on: April 28, 2006, 06:49:25 AM »
Dil Jalta Hai To Jalne De,..
Aansoon Na Baha Fariyaad Na Kar,..
Tu Parda Nasheen ka Aashiq Hai,..
Yun Naam-e-Wafa Barbaad Na Kar,..

Masoom Nazar ke Teer Chala.,.
Bismil Ko Bismil Aur Na Banaa,..
Ab Sharm-o-Haya Ke Parde Mein,..
Yun Choop Choop Ke Bedaad na Kar,..

Hum Aas Lagaye Baithe Hain,..
Tum Wadaa Karke Bhool Gaye,..
Ya Surat Aake Dikha Jaao,.
Ya Keh Do Hum Ko Yaad Na Kar,..

___________________-NM-
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #55 on: April 28, 2006, 09:19:18 AM »
Wah wah Nice sharing JaanU!!
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #56 on: April 28, 2006, 01:10:36 PM »
tumhe bhoolna kaam nahi aasaan
tumhe bhoolne main lage shayad hume zamana
base ho tum saanson main hamare
bhala hum apni sansoon ko mitaye kaise
Logged
roshni246
Guest
«Reply #57 on: April 29, 2006, 10:15:22 AM »
Mujhay har waqt tera hi khayaal rehta hai
Tu aye naa aye dil ko intizaar rehta hai

Main tujh se nafrat bhi karna chahoon magar,
Dil mein har dam tera hi pyaar rehta hai

Dil mein teri aas,teri pyaas hai
Isiliye to dil baiqaraar rehta hai

Main kisi aur se mohabbat karne lagoon
Dil mein is baat kai liye inkaar rehta hai

Duaa hai tera chehra jald hi dikh jaye
Dil auroan ke chehroan se baizaar rehta hai

Main tujhe yaad karti rehti hoon
Dil mein teri yaadon ka bazaar rehta hai

Tu mujhe milega zaroor...
Yehi khayaal najaane kyoon har baar rehta hai

Duniya tujhe bewafaa samajhti hai
Isi liye duniya se mera taqraar rehta hai

Meri aankhoan mein teri tasveer ho jaise
Aankhon mein har dam tera khumaar rehta hai


~rosh~
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #58 on: April 29, 2006, 11:14:21 AM »
Quote from: "nirbhay"
Wah wah Nice sharing JaanU!!


Shukriya Bhai,..
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #59 on: April 29, 2006, 12:16:05 PM »
woo too good rosh kaya baat hai bahut khoob.

aur neer ne bhi bahut accha saath dila....

JS bahi very good.
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 04:06:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer