Tumhe mere naam se "ParwaaZ" nafrat thi

by ParwaaZ on September 25, 2010, 12:14:54 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2206 times)
ParwaaZ
Guest


Dil ki hazaaroN khwahishoN ko dil meiN daba liya...
Hum ne bhi doosri raah par kadam badha liya

Milaa ke nazareN aap sharmsaar ho na jayeN
Lo humne khud hi apni palkoN ko jhuka liya

Aa naa payeNgi sadaayeN bhi ab tumko humari
Teri duniyaa se door humne ghar basa liya

MileN habeeb to rakhabat bhi shumaar thi
Kurbat ka nahi doori ka raasta dikha liya

Tujhko khushiyaaN naseeb ho eh dilber mere
Humne dard o gham ko toh humsafar bana liya

Duniyaa waale to zarra saath bhi naa de sakeN
Humne khud apni laash ko kandhe utha liya

Tumhe mere naam se "ParwaaZ" nafrat thi
Lo naam bhi humne khud hi apna mita liya


   

Logged
Yaash
Guest
«Reply #1 on: September 25, 2010, 02:41:20 AM »
Bohat Khoob Janab Parwaab Sahab.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: September 26, 2010, 01:20:48 AM »
wah kya baat hai Parwaaz ji... bahut bahut khoob likha hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #3 on: September 26, 2010, 07:28:10 AM »
Wah Parwaaz-bhai kya kehne...bada khoobsurat aashar hai aapka....Daad kabool farmaaiye...... Applause Applause Applause Applause Applause

Tu khush rahe humne aasoo apne chhupa liye
Tu na ho vichleet,humne theekane badal liye

Jaane ko durr tujhse bahaane humne banaa liye
Kisi anjaan dagar par jaane ke eerade banaa liye

Mitti me khelte-khelte likha tha saath tere naam mera
Lo aaj tere naam se judda apna naam humne mitta diya






Dil ki hazaaroN khwahishoN ko dil meiN daba liya...
Hum ne bhi doosri raah par kadam badha liya

Milaa ke nazareN aap sharmsaar ho na jayeN
Lo humne khud hi apni palkoN ko jhuka liya

Aa naa payeNgi sadaayeN bhi ab tumko humari
Teri duniyaa se door humne ghar basa liya

MileN habeeb to rakhabat bhi shumaar thi
Kurbat ka nahi doori ka raasta dikha liya

Tujhko khushiyaaN naseeb ho eh dilber mere
Humne dard o gham ko toh humsafar bana liya

Duniyaa waale to zarra saath bhi naa de sakeN
Humne khud apni laash ko kandhe utha liya

Tumhe mere naam se "ParwaaZ" nafrat thi
Lo naam bhi humne khud hi apna mita liya


    


Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: September 26, 2010, 12:52:35 PM »
Milaa ke nazareN aap sharmsaar ho na jayeN
Lo humne khud hi apni palkoN ko jhuka liya


Sameer Ji .... Bahut Khoob .... Badhaa hi maasoom aur pyara Khayal laga mujhe .... yeh sher ... !

Tamaam Ghazal ke sabhi ashaar bahut khoobsurti se adaa hue hai ... tahe dil se daad hazir hai ...

aise hi likte rahen ... apni umdaa peshkash se ru-ba-ru karaate rahe aage bhi ... khush rahen....

duaaon ke saath ....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: September 26, 2010, 01:10:14 PM »
Bahut Bahut Khoob parwaazji..

Har Ek Ashaar lajawaab..

Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: September 27, 2010, 11:45:57 PM »
mila ke nazreiN aap shamrsaar ho na jaayeiN
lo humne khud hi apni palkoN ko jhuka lia

kya baat hai waah waah Sameer sahab jawaab nahi aapke is sher ka waah mashaAllah kya khoob andaaz hai hazaaroN daad aapke is lehje ki nazr qubool keejiye Allah kar zor e qalam aur ziyaadah


aslam
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: September 28, 2010, 04:09:06 PM »
Bohat Khoob Janab Parwaab Sahab.

Janab Yash Sahab aadaab!

Yo india meiN aapka isteqbal karte hai......
Aapko humari kalaam pasand aayi tahe dil se shukria....

Aage bhi apna saath banaye rakhiye....
Aate rahiye......
Khush rahiye....
Khuda Hafez...... Usual Smile         

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: September 30, 2010, 04:33:16 PM »
wah kya baat hai Parwaaz ji... bahut bahut khoob likha hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause

Klaskar Jee Aadaab!

Thanks for appriciate...... Hounsla afzai ke liye bahut bahut shukriyaa.......

Aage bhi saath dete rahiye.....
Khush O aabaad rahiye.....
Khuda Hafez....... Usual Smile         

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: September 30, 2010, 04:58:55 PM »
kya kahun parwz ji aapki iss nazm k liye....bas dil ko chhu gai ...

suni thi lekin padhkar to aur bhi maza aaya.....
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

kuch likha hai ji aap jaisa nahin na aapne bataya uss tarah ban pai ye ..ek koshish hai dil ki baat kehne ki.....

Lakeeron se maine apna hath saja liya
Tu na mila to maine in hathon ko jala diya

Tere naam se sajte rahe the mere din aur raat
Ek teri baat ne mujhe tanhaoyon se mila diya

Gehri nahin thi chot par dard bht hi tha
Jab tumne hathon se mere kangan hata diya

Ashkon k daaman me baithe rahe the hum bhi
Logon ne magar naam se tere chhat pe bula diya

Dekh duaon ka chaan fir se manga tha kal raat tujhe
Lekin khuda ne aaj mujhko dua ka ye sila diya

Ab na koi khwaish na koi umang reh gai jeene ki
Maine khud ko ab chalti firti ek laash bana diya...!!!

Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: October 12, 2010, 08:24:01 PM »
bahut khoob parwaaj sahab... akhri ke do sher to sabse laajawab hain... bahut badhiya... !

Intezar
Logged
haan
Guest
«Reply #11 on: October 12, 2010, 08:33:24 PM »
HAZARON SAAL UMAR HO AAPKI ,KAYA ACHCHE ANDAAZ ME KAHA HAI AAPNE ....DAAD ...DAAD..SUBHAAN ALLAH
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: October 17, 2010, 01:59:57 PM »
Wah Parwaaz-bhai kya kehne...bada khoobsurat aashar hai aapka....Daad kabool farmaaiye...... Applause Applause Applause Applause Applause

Tu khush rahe humne aasoo apne chhupa liye
Tu na ho vichleet,humne theekane badal liye

Jaane ko durr tujhse bahaane humne banaa liye
Kisi anjaan dagar par jaane ke eerade banaa liye

Mitti me khelte-khelte likha tha saath tere naam mera
Lo aaj tere naam se judda apna naam humne mitta diya




Anaam Jee Aadaab!

Aapke is hounsla afzai ke behad shukra guzaar hai janab..
Aage bhi apna saath banaye rakhiye..... Usual Smile

And aapke ashaar bhi bahut khoob rahe Daad... Usual Smile
Hume yahaaN YO per yeh baat behad achchi lagti hai ke shayari
meiN hi jawaab diya jata hai bahut khoob Usual Smile

Aate rahiye...
Khush Rahiye.....
Khdua Hafez...... Usual Smile


Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 05:00:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.243 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer