Waqt ho chal hai ab mera Sabse door jaane ka

by deepika_divya on July 02, 2009, 02:07:32 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4319 times)
deepika_divya
Guest
Waqt ho chal hai ab mera Sabse door jaane ka
Waqt ho chala hai Apna karwan aage badane ka

Gam hi gam mila hai Zindgai k har more per
Thod diya mera Ashiyana sapne sanjo kar
Wada kiya tha sabne mujhe khushi den ka
Par beech majh daar chod diya, wada thod kar

Waqt ho chal hai ab mera Sabse door jaane ka
Waqt ho chala hai Apna karwan aage badane ka

Wada kar khushi dena ka Gum de gaye sab
Pyar dikha seene mea kanjar bhokh gaye sab
Duswaar ho gaya hai ab mera jeena yaaro
Dil dukha mera , Ankho mea ashq de gaye sab

Waqt ho chal hai ab mera Sabse door jaane ka
Waqt ho chala hai Apna karwan aage badane ka

Tadeer ko ab mian kya dosh dun mere yaaro
Issi ki wajah se hi tho chali meri naav ab tak
Bhula na paungi har pal jo gum mile sab se
Par yaaro ki yaari yaad rahegi jaan jane tak

Waqt ho chal hai ab mera Sabse door jaane ka
Waqt ho chala hai Apna karwan aage badane ka
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: July 02, 2009, 02:21:05 PM »
Apni Yaade Diye ja rahi hun
Dil se nikli baat kahe ja rahi hun

Hun dhukhi aaj bahoot dil se main
maaf karna yaaro tumse door ja rahi hun

Na mila sahara , Na samja kisi ne
Aka ankahi baat, Dil mea Liye ja rahi hun

Kuch hi pal ab baaki hai meri Zindgai ke
Bas sab yaaro ki duaae liye ja rahi hun
Logged
metro
Guest
«Reply #2 on: July 02, 2009, 02:27:36 PM »
no sophi ji mat jaiye
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: July 02, 2009, 03:04:37 PM »
Waqt ho chal hai ab mera Sabse door jaane ka
Waqt ho chala hai Apna karwan aage badane ka

Gam hi gam mila hai Zindgai k har more per
Thod diya mera Ashiyana sapne sanjo kar
Wada kiya tha sabne mujhe khushi den ka
Par beech majh daar chod diya, wada thod kar

Waqt ho chal hai ab mera Sabse door jaane ka
Waqt ho chala hai Apna karwan aage badane ka

Wada kar khushi dena ka Gum de gaye sab
Pyar dikha seene mea kanjar bhokh gaye sab
Duswaar ho gaya hai ab mera jeena yaaro
Dil dukha mera , Ankho mea ashq de gaye sab

Waqt ho chal hai ab mera Sabse door jaane ka
Waqt ho chala hai Apna karwan aage badane ka

Tadeer ko ab mian kya dosh dun mere yaaro
Issi ki wajah se hi tho chali meri naav ab tak
Bhula na paungi har pal jo gum mile sab se
Par yaaro ki yaari yaad rahegi jaan jane tak

Waqt ho chal hai ab mera Sabse door jaane ka
Waqt ho chala hai Apna karwan aage badane ka



Kahan Ja rahi hai.. Chalo Sath Hi Chalte hain.. tongue3

Waise Bahut Hi Dard Bhara Likha hai Dear.. Dil ke Dard Ko Lafzon me Bakhoobi Bayan kiya hai.. Is Nazm me aisa laga Jaise Khud Hi Pareshan Koi Insaan hai.. Jo sab se Door Chale jana chahta hai..!! Jazzbaaton ko Bakhoobi Kaagaz Par utaara hai dear... daad Kubool karo... Applause Applause

Is Rachna Ko Padh kar Khud ki Likhi 2 Line Yaad aa gain..!!


Wo Jo Kabhi Mujhe Duaaon Me Maanga karte The,
Aaj wahi Meri Maut Ki Dua Maang Rahe Hain....!!



**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #4 on: July 02, 2009, 03:15:19 PM »
Main Khushi Ko Dhoondta tha,
Meri Dard se Mulaaqat Ho Gai......

Jurm tha Sirf Chaahat Meri,
Ki Bewafa se Mohabbat Ho gai...!!


**~** Mann **~**
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #5 on: July 02, 2009, 03:19:06 PM »
Dips and Vicky,

You guys are too good...in person also and in writing also Applause Applause Applause

Keep going Thumbs UP
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: July 02, 2009, 03:21:16 PM »
Rajbir Bhai.. aapki Hi Daad ka Intzaar tha Ji.. tongue3

ab Divya Ki Thread Hai to Likhna hi padega na.. Winking


**~** Mann **~**


Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: July 02, 2009, 03:23:26 PM »
Metro ji kahin nahi ja rahi hun main.. bas yuhin likh diya...Usual Smile

Thanks a lot Vicky.. thank you so so much for your appreciation.

Thank you so much Raj bro.. App bhi bahoot ache Insaan hai Dilse.

Mohabbat dard wafa k ghoot ko,
Main kabse isse piye ja rahi hun
Roka khud ko, Sambhala khud ko,
Har arzoo man mea jiye ja rahi hun

Rokh rakha tha jin ansoon ko ankho mea
Aaj usse main Azaad kiye ja rahi hun
Keh bhi nahi sakti seh bhi nahi sakti
Aaj uss kadwe ghoot ko piye ja rahi hun

maaf karna agar koi bhool hui ho hamse
na jane main kya kya kahe ja rahi hun
Dard ab bikhul saha ja nahi raha mujhse
isse ashkho se main bayaan kiye ja rahi hun
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #8 on: July 02, 2009, 03:39:06 PM »
Wah kya Baat hai Divya.. Bahut dard Bhara likha hai dear.. Applause


Jab Kabhi Teri Aankhon se Ashqon Ki Barsaat Hogi,
Samajh Lena Yeh Deewana, Tujhe Yaad Kar Raha Hai.....

Subah-o- Shaam "Sahil" Par Likh-Likh Ke Tera Naam,
Tere Aane Ki Upar wale se, Fariyaad Kar Raha hai....!!


**~** Mann **~**




Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: July 02, 2009, 05:04:54 PM »
Bahut Bahut Khoob Sophi.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Hi khooburat Likha hai Sophi,Par Shukar hai Aapne Yeh Kahan Ke Yeh sirf Ek poetry hai Varna Tilte padhkar Main to Sach Darr Gaye Tha Usual Smile
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #10 on: July 03, 2009, 03:53:46 AM »
Wah wah Sophi ji,very nice and beautiful creation,kitna dard hai aapke poem mein
 Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley : Clapping Smiley
Mann ji aur Kaash ji ne bhi bahut khoob likha. Applause Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #11 on: July 03, 2009, 04:10:30 AM »
Bahot hi khoob likha hai Sophi ji aapne,har lafz dard ke ehsaas se roobaru kara raha hai,all three posts are so nicely written by u.Mann ji aapne bhi umda likha hai,very nice

Bahut Bahut Shukriya Kaash Bhai.. aapne Bhi Kamaal ke Alfaaz Likhe hain.. Applause


**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #12 on: July 03, 2009, 04:11:25 AM »
Wah wah Sophi ji,very nice and beautiful creation,kitna dard hai aapke poem mein
 Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley : Clapping Smiley
Mann ji aur Kaash ji ne bhi bahut khoob likha. Applause Applause Applause


Bahut Bahut Shukriya Madhu Ji.. Usual Smile Usual Smile


**~** Mann **~**


Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: July 03, 2009, 05:23:57 AM »
Nice one Sophi Ji and equally good response Mann Ji
AAP dono bahut achchha likhte hain
Bahut anand aataa hai aap ke kalaam padhne mein
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #14 on: July 03, 2009, 08:23:23 AM »
Bahut Bahut Shukriya Rajesh Bhai aapki Is Tareef Ke Liye.. Usual Smile Usual Smile


**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 06:48:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.199 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer