Wo Mila Hi Nahi

by mili_genie on November 02, 2006, 05:54:43 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1119 times)
mili_genie
Guest
hi dosto.. mujhe ye poem mail me mili maine socha aapke saath share keroo .. ye poem ka aur mera kuch ajib hi relation hai bole to ... same here...

Chaha to bohat lekin woh mila hi nahin
Lakh koshish ki magar yeh fassla mita hi nahin
Is zamane ne majboor hi is Kadar kai tha
Ke meri kisi sada par woh thehra hi nahin
Khuda se jholi phela kar manga tha ussey
Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin
Aur ik se sabab poocha tere na milne ka
Aur ik ne kaha woh tere liye bana hi nahin
Main apni tamam koshishon ke bawajood tujhe haar gaya
Aur tu usse mil gaya jis ne tujhe kabhi manga hi nahin
Itni shiddat se chaaha magar tu kisi aur ka ho gaya
Shayad is jahan me wafa ka koi sila hi nahin
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
JISE CHAAHA WO MILA NAHI by srikant in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~~~mila he nahi~~~~ by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Chaha tu bohut tha .....Wo mila hi nahi.... by farhanandu in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Mila wo bhi nahi kerte, by sweet suh in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Mila hi nahi... by maya01 in Shayri-E-Dard
tabassum shakeel
Guest
«Reply #1 on: November 02, 2006, 06:07:56 AM »
nice one

basheer badr ka likha sher hai.......
ye khuda ki den ajeeb hai ki isika naam naseeb hai
jise usne chaaha vo mil gaya jise maine chaaha mila nahi
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #2 on: November 02, 2006, 01:34:56 PM »
thanx majid.........
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: November 04, 2006, 05:52:00 AM »
Nice one.... mili_genie...


Kisiko HuMse Hai Chand Shikwe Kisiko Behad Shikayatein Hia,
HaMare Hisse Mein Sirf Apni Safaiyan Hai, Wazahatein Hia,

QadaM QadaM Par Badal Rahe Hai Musafiron Ki Talab Ke Raaste,
Hawaon Jaisi Mohababt Hia, Sadiyon Jaisi Rafaqatein Hai,

Kisika Maqrooz Main Nahi Par Mere Girebaan Pe Haath Sabke,
Kio Meri Chahaton Ka DushMan Kisiko Darkaar Chahatein Hai,

Teri Judai Ke Kitne Sooraj Ufaq Pe Doobe Magar Abhi Tak,
Khalish Hai Seene Me Pehle Din Si Lahoo Mein Waisi Hi Wehshatein Hai,

Meri Mohabbat Ke Raazdaan Ne Ye Keh Ke Lauta Diya Mera Khat,
Ke Bhigi Bhigi Si Aansuon Mein TaMaM Gunjalak Ibaaratein Hai,

Main Doosron Ki Khushi Ki Khatir Gubaar Bun Kar Bikhar Gaya Hoon,
Magar Kisine Ye Haq Na Mana Ke Meri Bhi Kuch Zarooratein Hai... {NM}
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: November 04, 2006, 05:56:55 AM »
very  nice  Sharing  Milind  .....Tabassum......  Angel
Logged
pinky
Guest
«Reply #5 on: November 03, 2006, 07:06:21 PM »
Bahut achcha sherr hai Milli_genie..
Thanx for sharing!! Usual Smile
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: November 03, 2006, 08:26:16 PM »
Great Work guys
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 04:59:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer