zakham

by Sonu on July 27, 2004, 06:34:24 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2137 times)
Sonu
Guest
hamri haansi ko vo shraat samjhtey hai,
 unhey keya maloom,
ketney zkham hamrey dil ko dey chukey hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zakham by Sonu in Shayri-E-Dard
~~~TUMHARE ZAKHAM SE~~~ by Saba_Saba in Shayri-E-Dard
Dosti Ke Zakham by Nino in Shayri-E-Dard
Dil ke Zakham.... by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 5 6 »
Zakham by guruu in Shayeri for Dard -e- Bewafai
gauravtripathy
Guest
«Reply #1 on: July 27, 2004, 07:26:37 AM »
Tute dil ka koi khayal nahin karta,
 Tute jiska dil wahi malal karta hain,
kya woh kuch bhi samjhta nahin hoga,
Jo baat baat par sawaal karta hain[/b]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: July 27, 2004, 05:28:17 PM »
wahan toote dilo ka, kon khayal karta
jahan log dil torane ko bhirty hai
Logged
Sonu
Guest
«Reply #3 on: July 28, 2004, 02:52:29 AM »
very nice gaurav ji ...

her seval ka matlab jevab nahi huta hia,
her baat ka matlab takraaar nahi huta hai,
her chup ka matlab pyar nahi huta hai.
unkey sevalo mey bhi pyar chupa huta hia.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #4 on: July 28, 2004, 02:56:38 AM »
tuta dil to ek kanch key sehsey ki thra huta hai,
ager chahey bhi hum usko judna to jood nahi patey hia,
lagana bhi chahey ager dil kesi sey to lega nahi patey hia,
dil mey dard he etna bhara hai key unkey pyar mey do  ahsoo bhi  bhaa nahi patey hia.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #5 on: December 02, 2006, 05:48:14 AM »
socha tha zara khul ke kisi lamha ro leti
magar sukha diye aasu saare dard ki gehraaiyo ne
kabhi saath tere roti thi aaj tanha ro leti
magar tanha hi na chhoda kabhi mujhko tanhaaiyo ne
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: December 03, 2006, 05:45:04 PM »
Quote from: "Sonu"
socha tha zara khul ke kisi lamha ro leti
magar sukha diye aasu saare dard ki gehraaiyo ne
kabhi saath tere roti thi aaj tanha ro leti
magar tanha hi na chhoda kabhi mujhko tanhaaiyo ne

wondefull   Sonu........  Pooja...........   yeh  sher  bahot acchi  lagi  takli  :lol:
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #7 on: December 04, 2006, 06:48:53 AM »
Quote from: "Sonu"
socha tha zara khul ke kisi lamha ro leti
magar sukha diye aasu saare dard ki gehraaiyo ne
kabhi saath tere roti thi aaj tanha ro leti
magar tanha hi na chhoda kabhi mujhko tanhaaiyo ne

very nice sonu ji.....

Gam is dil ke jo dhaltae hain to dhal jaane do
Ashq aankhon sae gar behtae hain to beh jaane do

kehtae hain ishq har kisi ko zindagi nahi bakshta
hota hai fir bhi ye pyaar to ho jaane do

ranj-o-gam sae sazi hui hai duniya ki har mehfil
yadoon ke samander main utar jaane do

bhuul chuke hain sabhi mujhae to koi gam nahi
ab mujhae bhi har ik gam ko bhuul jaane do......

hope u like it.....!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #8 on: December 04, 2006, 06:38:30 PM »
wonderful  alone  bad..............  nice  reply.....
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #9 on: December 05, 2006, 10:49:02 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
wonderful  alone  bad..............  nice  reply.....

Shukriyaaaaaaaaaaaa........   Waheed jee...... ye meri ek koshish thi ki kuch aachaa likh sakoon.................. shukriya again....   Usual Smile
Logged
Sonu
Guest
«Reply #10 on: December 06, 2006, 03:49:00 AM »
shukriyaa Alone ji... bahut khoob... bahut acha likha hai apney... yeo hi likhtey rahow wonderful...

Quote from: "ALONE BAD"
Quote from: "Sonu"
socha tha zara khul ke kisi lamha ro leti
magar sukha diye aasu saare dard ki gehraaiyo ne
kabhi saath tere roti thi aaj tanha ro leti
magar tanha hi na chhoda kabhi mujhko tanhaaiyo ne

very nice sonu ji.....

Gam is dil ke jo dhaltae hain to dhal jaane do
Ashq aankhon sae gar behtae hain to beh jaane do

kehtae hain ishq har kisi ko zindagi nahi bakshta
hota hai fir bhi ye pyaar to ho jaane do

ranj-o-gam sae sazi hui hai duniya ki har mehfil
yadoon ke samander main utar jaane do

bhuul chuke hain sabhi mujhae to koi gam nahi
ab mujhae bhi har ik gam ko bhuul jaane do......

hope you like it.....!!!!
Logged
Sonu
Guest
«Reply #11 on: December 06, 2006, 03:50:32 AM »
Pehli baar jab hum tum mile,
Fir shuru ho gaye ishq-mahobbat ke sil-sile!
Naa lab se tumne kuchh kaha,
Naa hi kuchh kehne ko mere honth khule!

Fir ik din puchha bhi humne unse,
“Apne dil ka haal to bataao?”
Par woh kuchh naa bole,
Bas naino se karke ishare chale!

Ab to bas din the jo beet rahe the,
Par raaton ko chain-o-sukun kahan se mile!
Dil ho raha tha chhalni unki adaao ko dekh kar,
Aur ek Woh the jo har waqt hume tadpa ke chale!
Fir ik din pakad kar unka haath;Gusse se hum bole,
Bahot ho gaya dil ko jalana;Aa jaao ab to khul ke
mile!

Haayy!Kya adaa se chhuda kar Woh;
sarmaye the uss waqt,
Ki uss ghadi uss waqt ko;
hum bhulaye bhi kabhi naa bhule!

Ab to har subha gul bankar aati thi;
Aur dil mein the hazaro gulshan khile!
Sanam ki baahon mein thi kat rahi;Yeh haseen zindgani,
Ki zamane ki naa kar parwah;Hum apni hi dhun mein the
chale!
Par hua vahi jo;Mahobbat mein kabhi diwaano ka hota
hai,
Chhuda kar daaman ik din woh;Apne ghar ko chale!

Humne roka bahot Unko;
Di bahot duhaai bhi mahobbat ki,
Par naa kuchh kaha unhone;
Bas aaankhon se tapka ke aansu chale!

Ab kaise katenge yeh din?
Yeh Raatein unke bin?
Intezaar mein the bas “Sonu” unki,
Lambi Judaai Ke Sil-sile…..
Lambi Judaai Ke Sil-sile…..!
Logged
Sonu
Guest
«Reply #12 on: December 06, 2006, 03:50:47 AM »

«Reply #13 on: December 06, 2006, 06:58:51 AM »
very nice sonu ji.....

Judaa hokar tumsae dil mera bhi rota hai
har aanso mera dil ko mere bhigota hai
kyon hota hai aisa anjaam-ae-mohobaat
chaahen jisae tutkaar dil usi ko khota hai........
Logged
Sonu
Guest
«Reply #14 on: December 18, 2006, 05:47:55 AM »
shukriya Alone ji... bahut khoob.... yeo hi likhtey rahow...

Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye,,
aag aise lagaye ke paani se bhi na bhuj paaye,,
Aaj bhi rote hain unhe yaad karke...
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE....

Quote from: "ALONE BAD"
very nice sonu ji.....

Judaa hokar tumsae dil mera bhi rota hai
har aanso mera dil ko mere bhigota hai
kyon hota hai aisa anjaam-ae-mohobaat
chaahen jisae tutkaar dil usi ko khota hai........
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 11:37:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer