शोर होता नहीं है शोरिश में
मैं हूं बेज़ार अपनी ख़्वाहिश में
कर दो तर्क-ए-अना गुज़ारिश में
मैं तो नाकाम इस की कोशिश में
आसमां तो अता हुआ लेकिन
है मयस्सर क़फ़स की बंदिश में
वहम मत पालना रफ़ाक़त का
मुस्कुराते हैं लोग रंजिश में
अपना दामन बचा तो ले आये
गो के तिश्ना रहे हैं बारिश में
कुछ बुझाने को कुछ बढ़ाने को
जाम उड़ेले गये हैं आतिश में
अनकही रह गयी सो अच्छा है
जो दबी बात लब की जुम्बिश में
लाया बाज़ार तक अदब अपना
पर तकल्लुफ़ किया नुमाइश में
कुछ भी मिलता नहीं है मुफ़्त यहां
कुछ तवक़्क़ो तो है सताइश में
दाद पा कर न मस्त हो “ज़र्रा”
अब तू आया है आज़माइश में
ज़र्रा
shor hota naheeN hai shorish* meiN
maiN hooN bezaar** apni khwaahish meiN
*tumult **apathetic
kar do tark-e-ana* guzaarish meiN
maiN to naakaam is ki koshish meiN
*relinquishment of *ego
aasmaaN to ata* hua lekin
hai mayassar** qafas*** ki bandish**** meiN
*granted **available ***cage ****restriction
waham mat paalna rafaaqat* ka
muskuraate haiN log ranjish** meiN
*friendship **enmity
apna daaman bacha to le aaye
go* ke tishna** rahe haiN baarish meiN
*though **thirsty
kuchh bujhaane ko kuchh barDhaane ko
jaam uDele gaye haiN aatish* meiN
*flame
ankahi rah gayi so achchha hai
jo dabi baat lab ki jumbish* meiN
*vibration
laaya baazaar tak adab* apna
par takalluf** kiya numaaish meiN
*courtesy **etiquette
kuchh bhi milta naheeN hai muft yahaaN
kuchh tawaqqo* to hai sataaish** meiN
*expectation **praise
daad pa kar na mast ho “zarraa”
ab tu aaya hai aazmaaish meiN
- zarraa
वाह वाह बहुत खूब ...