Kuch lamhe aise hote hai jo bas dil se likhwate hai..
Yeh nazm unhi main se ek hai..
Aur ager koi milke na mile, toh zindagi..zindagi nahin rehti.. Miss you..! 
Chalte chalte bas thak sa gaya hoon main,
Chal raha hoon kyun ki zindagi chala rahi hai..
Woh aksar kehti hai mujse main bewaffa nahin ‘Khamosh’,
Par dekho woh kisi aur kay dil main hi ghar bana rahi hai..
Ek umeed ka diya hai jo roshan hai mujh main kahin,
Par ab ankhon se behti nadi iss diye ko bujha rahi hai..
Main saalon se zinda hoon ankahe khwabon kay sang,
Par ab meri umeedei hi ander se mujhe jhala rahi hai..
Mujhe nafrat hai uss hawa se jo teri yaad le ati hai,
Tujse mohobat hai; yeh baat mujhe bahaut sata rahi hai..
Tanha chalte chalte jism aur dil dono kamzor hogaye hai,
Aj aisa lagta hai kay ‘Khamosh’ ko zindagi sula rahi hai..
Wohi insaan kamyab hai jo ladjaye mushkilon se ‘Khamosh’,
Aise dard main mujhe yeh sab bas kitabi baatein nazar aa rahi hai..
Main itna kuch likh gaya dard main mager kehna bas itna tha mujhe,
Aj mujhe teri ae Zalim, bahaut bahaut bahaut yaad aa rahi hai..
Sach keh raha hoon doston.. Chal raha hoon kyun ki zindagi chala rahi hai..
~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Bahut Umdaa ehsaas bayaan kiye hai aapne apnii rachnaa meN ... Rahim Ji !
dil ko chhuu gaye .... sach meN ... dil se daad hazir hai ...

yunhi hi umdaa kalaamoN ke saath aate rahen ... khush rahen ... !
duaaoN ke saath ... !