Zindagi Ko Guzar Te Dekhta Hoon.

by majid on December 22, 2008, 08:20:06 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 5118 times)
deepika_divya
Guest
«Reply #45 on: April 16, 2009, 10:09:00 AM »
wah wah ky baat hai Shihab & shally. Good Going guys.. keep writing..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jidhar dekhta hoon khizaa dekhta hoon by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Ye Kya Dekhta Hoon Main,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Taare Dekhta Hoon,. by Azeem Azaad in Ghazals « 1 2  All »
~Ajab Haal Aey Jane Jigar Dekhta Hoon~By Shihab by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
dekhta hoon ab teri by saahill in Ghazals
k.shael
Guest
«Reply #46 on: April 16, 2009, 12:16:54 PM »
wah wah ky baat hai Shihab & shally. Good Going guys.. keep writing..

Shukriya Sophi Dear,

Shally.
Logged
salma786
Guest
«Reply #47 on: April 16, 2009, 12:22:34 PM »
Nawaazsih Bohat Bohat Shukariya Ki
Aapko Itna Pasand Aaya Salma Ji...

Aur Behtreen Koshish Hai Aapki
Bohat Khoob Ji........

Aur Haan Maafi Na Maange Aap Yahan
Aaye Aur Dekha Wahi Bohat Hai Thanks..

Well Jyaada To Nahi Kuch Lines Likh Raha Hoon
Galti Maaf Ho...Insha ALLAH Baad Mein
Kuch Bana To Jarur Nazar Karunga Filhal Yahi Hai...

Yahaan Se Wahaan Bohat Bhaag Kar Dekha
Aakhir Aey Zindagi Tujhe Jaag Kar Dekha.

Dil Ne Kaha Itni Naamueedi Achhi Nahi Hai
Bas Aaj Phir Khuda Se Tujhe Maag Kar Dekha


Shukriya.... Aap jaise dosto se hi YOINDIA ka wajood hai or hume sikhne ko milta hai Thumbs UP

Dil ki awaz ko gar hum na sunte,
To apni taqdeer pe aaj ashq na bahate,
Hote hai wo log khushnaseeb jo,
Takhto taj pe hi mohabbat luta te,
Hum to mamooli mitti ke putle the,
Jo khamoshi se daman ke daag ko mitate,
Gar ehsaas hota aise toot te mohabbat me,
To toot kar bikhar ne se pehle hi hum sambhal jate!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #48 on: April 19, 2009, 12:07:39 AM »
Very Nice Majid & All...
Logged
salma786
Guest
«Reply #49 on: April 19, 2009, 09:27:41 AM »
Shukriya Shihab ji!
Logged
k.shael
Guest
«Reply #50 on: April 27, 2009, 09:01:41 AM »

Mehfilon Mein Bhi Tanhaai Mil Jaati Hai
Har Raah Bas Suni Suni Si Nazar Aati Hai

Na Kar Khud Ko Kisi Aur Ka Karzdaar.e.Dost
Zindagi To Apne Dum Par Bhi Jee Jaati Hai.



Shukriya Aur Bahut Khoob Majid Ji,

Mehfilo me aaj kal rakha kuch nahi,
Apna aab iss jahan me bacha kuch nahi,

Do pal ka sakoon aur mil jaaye roti,
Isse badke aab dil ki chah kuch nahi..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #51 on: April 27, 2009, 09:09:25 AM »
hmhm Shukariya Ji
Itni Na Umeedi Achhi Nahi...
Khair Achhi Koshish Hai Ji..

Aur Ab Aapko Iska Rep Kya Du
Samajh Nahi Aa Raha Hai Khair
Baad Mein Insha ALLAH Kuch Bana To
Aapki Nazar Jarur Karunga....

Shukriya Shihab Ji,

Intezaar rahega reply ka,

Shally.
Logged
salma786
Guest
«Reply #52 on: April 28, 2009, 03:33:30 AM »

Shukriya Aur Bahut Khoob Majid Ji,

Mehfilo me aaj kal rakha kuch nahi,
Apna aab iss jahan me bacha kuch nahi,

Do pal ka sakoon aur mil jaaye roti,
Isse badke aab dil ki chah kuch nahi..

Shally.

Nice to see u here shally dear Usual Smile

Do pal ki zindegi hai yunhi beet jayegi,
Bewafaai ke alam me ye shama bhi bujh jayegi,
Ye soch kar akhir sans ko rok liye humne,
Yaha nahi to kabr me hamari rooh sukun payegi!!
Logged
k.shael
Guest
«Reply #53 on: April 28, 2009, 06:00:28 AM »
Nice to see u here shally dear Usual Smile

Do pal ki zindegi hai yunhi beet jayegi,
Bewafaai ke alam me ye shama bhi bujh jayegi,
Ye soch kar akhir sans ko rok liye humne,
Yaha nahi to kabr me hamari rooh sukun payegi!!


 love4
Shukriya Salma dear,

Na dil hai seene me,na maja hai jeene me,
Ek umar ko gujar diya hamne jhakmo ko seene me,

Aab na reh-gujar hai koi na hi hai meharbaa.n
Aab Khoob maja aata hai saanso ke jehar ko peene me.

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #54 on: April 28, 2009, 08:41:47 AM »

 Umeedon Ke Darwaazon Ko Khol Do
 Bas Zara Sa Tum Himmat Se Kaam Lo

 Zindagi Jeene Ka Ajab Lutf Aayega
 Har Dard Se Khushi Ki Tarha Kaam Lo




Applause

Bahut Khoob,

Aab mujhse aur dil lagaya nahi jaata,
Hai dard kuch itna seene me ki chipaya nahi jaata,

Lo ek aur koshish kar di jeene ki tere liye,
Par ye kya hamse to ek pal bhi biataya nahi jaata.

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #55 on: April 29, 2009, 08:18:02 AM »
hmhm Shukariya Ji
Achhi Koshish Hai...

Har Aati Jati Saansen Apna Huq Ada Karti Hai
Rashm.e.Ulfat Ko Bas Yun Hi Nibha Deti Hai.

Woh Aur Honge Shihab Jo Dard Se Bhagte Hai
Hume To Aksar Udaasi Bhi Bada Maza Deti Hai.




Shukriya aur Wah kya khoob likha hai,

Ye udasiyaa.n hi to jeene ki wajah hai,
Aab aur iss matlabi duniya me rakha kya hai,

Ham hai Tanhayi hai aur le teri yaad bhi aayi hai,
Aab tu hi soch iss dard-e-gamm se aacha kya hai.

Shally.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #56 on: April 29, 2009, 08:25:54 AM »
Bohat Achche Majid bhai, And Shally ji,.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #57 on: April 29, 2009, 08:37:13 AM »
Bohat Achche Majid bhai, And Shally ji,.


Shukriya Azeem Brother,

Shally.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: April 29, 2009, 10:48:40 PM »
wah wah wah kay abaat hai, bahoot khoob Shihab, Shally and Salma
Logged
Roja
Guest
«Reply #59 on: April 30, 2009, 02:53:20 AM »
Bahut khoob Majid ji, Salma dear and Shally dear
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 10:43:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer