Zindagi Ko Guzar Te Dekhta Hoon.

by majid on December 22, 2008, 08:20:06 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Author  (Read 5116 times)
majid
Guest
hello doston maine isse bohat time pahle likha hai
aur mujhe thik se yaad nahi maine isse post kiya hai ya nahi
so phir se kar raha hoon i hope aapko pasand aaye... icon_silent


Kabhi Chadte  To , Kabhi Dhalte  Hue  Suraj Ko Dekhta Hoon
Main Apni Zindagi Ko Bas Yun Hi , Guzarte  Hue Dekhta Hoon

Waqt  Ke  Haatho  Ho  Chala  Ik  Majboor  Shakhsh Hoon  Aaj
Har Roz Yun Hi Apni Tamannao.n Ko Marte Hue Dekhta Hoon.

Dard Aur Ghum  Ke  Milne Par  Koi  Bhi Ranz Nahi Hai Mujhey
Bas Ek Inhe Hi To Apne  Bure  Waqt Main , Saath Dekhta Hoon

Har Woh Cheez Jo Mujhe Lagi Kabhi Pyaari Woh Door Ho Gayi
Ab Jo Bhi Lagta  Hai Pyaara , Bas Use Door Se Hi Dekhta Hoon.

Aaj Har Mod Pe Khudko Tanha  Tanha Sa Mehsoos Karta Hoon
Is Duniya Main Har Rishtey Ko Rang Badalte Hue Dekhta Hoon.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jidhar dekhta hoon khizaa dekhta hoon by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Ye Kya Dekhta Hoon Main,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Taare Dekhta Hoon,. by Azeem Azaad in Ghazals « 1 2  All »
~Ajab Haal Aey Jane Jigar Dekhta Hoon~By Shihab by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
dekhta hoon ab teri by saahill in Ghazals
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #1 on: December 22, 2008, 08:46:54 AM »
ye to pata nahi shihab ji aapne ise pehle yo par post kiya tha ki nahi par agar kiya bhi tha to ise dobara hamare beech laane ka bohut bohut shukriya kyu ki is poetry ki jitni bhi taarif ki jaaye mere hisaab se kam hai sach mei bohut khoob likha hai aapne Applause  Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 22, 2008, 04:40:01 PM »
Waah Mere Bhai Kya Khoob LIkha Hai,.
Nice One,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 22, 2008, 04:40:45 PM »
Na ho udass wo tujh say agar nahi milta
yahaan kissi say koi umer bhar nahi milta

huwa hai sheher tabah tujh ko tu khaber hogi
bohat dino say mujhy apna ghar nahi milta

har ik more pay milty hain sainkron chehrey
may dhoondta hoon jissy wo magar nahi milta
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: December 22, 2008, 05:23:02 PM »
Good one Shihab Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: December 22, 2008, 05:24:23 PM »
Na ho udass wo tujh say agar nahi milta
yahaan kissi say koi umer bhar nahi milta

huwa hai sheher tabah tujh ko tu khaber hogi
bohat dino say mujhy apna ghar nahi milta

har ik more pay milty hain sainkron chehrey
may dhoondta hoon jissy wo magar nahi milta

Nice Jaanasheen Bhai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: December 23, 2008, 05:23:27 AM »
bahoot khob shihab ji and lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: December 23, 2008, 07:47:35 AM »
U Are Always welcome Bhai,.
Thank You Rajesh  Bhai And Pooja didi,.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #8 on: December 23, 2008, 07:52:26 AM »
Bahut Khoob har baar ki tarah umda aur lajawaab
likha hai Shihab ji...

aab kya kahe aapke likhne par, "Mashaallah"

Shally.

Aur kuch kya dekho me raat ke andhere me mein to
bass har raat chaand me tujhe dekhta ho,

Aur kya baaki hai dekhne ko toote hue shishe me
har tukde me zindagi ke gujre pehlu dekhta ho,

Aur sabke toot.te honge khawaab jagne par, mein
aankh lag jaane par apne khawaabo ko tut.te hue dekhta ho,

kya khoob mila hai mujhe mere yaar se pyaar ka nazrana
dekhti wahi hai har jagah jahaan mein dekhta ho...

 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: December 23, 2008, 02:07:52 PM »
Yun Phenkaa Na Karo Raahon Mein, Patthar Nahi Hoon Main,.
Maine To Khataa Ki Thi, Sirf Tumhe Chahne Ki "Jaana",.

___________________________________-Jaanasheen-
Logged
k.shael
Guest
«Reply #10 on: December 24, 2008, 05:34:56 AM »
Yun Phenkaa Na Karo Raahon Mein, Patthar Nahi Hoon Main,.
Maine To Khataa Ki Thi, Sirf Tumhe Chahne Ki "Jaana",.

___________________________________-Jaanasheen-


Very Nice Azeem,

Pathar ki tarah tujhe phainkne ki hasrat na thi hamari,
ham to bass tujhe mitti mila kar sona bana dena chahte the.

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #11 on: December 27, 2008, 07:35:07 AM »
Bohat Bohat Shukariya Shael Ji
Aur Aapne Bhi Bohat Umda Rep Diya Hai Keep It Up Ji..

Good Job Azeem Bro Keep It Up.

Shukriya Janab Shihab Ji,

Par Baat to tab thi agar reply bhi mil jaata,

Shally.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: December 30, 2008, 09:49:38 PM »

Very Nice Azeem,

Pathar ki tarah tujhe phainkne ki hasrat na thi hamari,
ham to bass tujhe mitti mila kar sona bana dena chahte the.

Shally.

Bohat Hi Badhiya Shally Ji,.
Nice One,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: December 30, 2008, 09:51:09 PM »
Ji Bohat Khoob Aur Koshish Karta Hoon.

Toote Hue Khwabon Ko Aankhon Mein Hi Rehne Do
Jitne Bhi Mile Pyar Mein Ghum, Dil Ko Sehne Do.

Kya Faayda Ab Yahan Haal.e.Dil Logon Ko Sunane Se
Ho Chahe Kitna Bhi Dil Bhari Ye Bojh Bad Jane Do.

  Apne Dil.o.Dimag Se Mita Do Sari Umeedon Ko
Aaj Saare Armaan Aur Tamannao.n Ko Mar Jaane Do.

Ik Naya Seher Basa Lo Dil-e-Barbad Mein Tum Bhi
In Tahaaiyon Ko hI Ab Apna Muqadar Ban Jaane Do.

Mita Do Apni Zubaan Se Saari Pyaar Ki Baaton Ko,IS
Bachi Hui Zindagi Ko Khamoshi Mein Hi Guzar Jane Do



Bohat Hi Badiya Hai Majid Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 30, 2008, 09:53:25 PM »
Teri Judayi Mein Kya Kya Dikhayi Deta Hai,
Kahin Pe TuM Kahin Pe TuM Sa Dikhayi Deta Hai,

ZaMana Ho Gaya Aise Kisi Safar Mein Hai,
Ke Ab Na Mod Na Raasta Dikhayi Deta Hai,

Ulajh Rahe Hai Bahut Mujhse Mere Paanv Ki Gard,
QadaM QadaM Pe TaMasha Dikhayi Deta Hia,

Ajeeb Waqt, Suno, Aa Pada Hai Suraj Par,
Tuloo Hota Na Talta Dikhayi Deta Hai,

Yeh Meri Aankhein Nahi Dusron Ki Aankhein Hai,
Andhera Hai Par Ujala Dikhayi Deta Hai...

Nm
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 01:19:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer