Zindagi Se Baat..........

by poppoetry on July 23, 2009, 05:53:19 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Author  (Read 5110 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #60 on: October 03, 2009, 09:14:52 AM »
bahut dard bhare alfaaz likhe hai aapne mann ji....lekin inta dard kyu....ab tak dard bahre alfaaz mai hi likh rahi rhi aur aap samjha rahe the.....ab mujhe hi samjhaana padega...


Khuch kehna mushkil lagta hai,Sun kar teri baatein
Din to gujar bhi jaata hai,nahi gujarti gum ki ye kaali raatein

Dekh usse gair ki baahon mein dil ko kaise sambhalta hai tu
Ye toh na maangi thi tere liye pyaar ki saugaatein

Dost kha hai to dost ki ek baat aaj tu maan le
Khushiyon se tu bekhabar,khushiyon ka daaman thaam le

Bikhre lafjon ko samet k gar bna sakta hai tu ek nayi ghazal
Toh bikhari apni zindagi k palon ko tu samet le


Wah Kya Baat hai Pooja.. Kamaal Likha Hai Yaaar.. Ek ek Lafz Dil Tak Utar Gaya.. Bahut Khooooob..!! Applause Applause


Wo Ek Shaks Nigaahon Se Hat-ta Nahi To Kya Karun,
Dil Uske Bin Sambhaale Sambhalta Nahi To Kya karun.....

Sitam To Yeh Hai Wo Shaks Bewafa Is Qadar Nikla,
Dard De Gaya Itne, Ke Ab Khushi Ka Ehasaas Kya Karun.....

Afsos Ke Mar Mitne Ki Tamanna Raha Gai Mohabbat Me,
Ab Judaai Lamha Lamha Maare Mujhe to Bata Kya Karun.....

Zindgi Ki Udas Raaton Me, Ek Khwaab Ab Bhi Sajta Hai,
Par Koi Dil Tak Hi Na Utre, To Khwaab Ki Taabir Kya Karun..!!




**~** Mann **~**
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #61 on: October 11, 2009, 08:34:29 AM »
ye kya Mann ji....mujhe samjhaate samjhaate aap khud hi udaas ho gaye....
ab mujhe hi aapko samjhaana padega....bahut acchi baatein puchi aapne....


Nahi kehte hum k tu khuch kar,
bas itna kar ki khud ko nirash na kar

Din hone se pahle din dhalta bhi hai
Chirag jlaa andhere mein aur har taraf roshni kar

Qismat mein uski teri mohabbat na thi
Ya kahu k wo tere kaabil na thi
Uski yaadon mein jalkar khud par na tu sitamb kar

Kab tak door rahega wo tujhse jo tere liye bna hai
karna hai to sirf uss dildaar se milvaane ki khuda se tu ardaas kar
Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #62 on: October 25, 2009, 06:18:06 PM »
Thanks Poojaji....

wah bahoot khoob poppoetry, Mann ji, Alam ji, Anam ji and ANAAMIKA ji!!
Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #63 on: October 25, 2009, 06:30:26 PM »
Thanks Nikaarji....

Aksar mai puchha karti hu zindagi se
Kyu hai wo itni khafa meri bandagi se
Nahi karti koi shikwa shikayat zindagi se
Baat he baat mai puchhti hu kab hogi meharbaan
Kab bharegi khushiyon se mera daaman ey-zindagi

bahut bahut shukriya Anaamika ji....bakhubi samjha aapne alfaazon ko

Aapne bhi bahut hi khub likha hai Applause Applause

Zindagi ko khul kar har koi jeena chahta hai
Bas kabhi kabhi wo khud me hi ulajh jaata hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #64 on: November 07, 2009, 09:13:55 AM »
Wah kya Baat hai Anamika Ji.. Bahut Hi Lajawab Likha hai aapne.. Applause



**~** Mann **~**
Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #65 on: November 07, 2009, 10:06:19 AM »
Maanji aapka shukriya...meri lines pasand aayee....likhna safal huaa.....thanks


Wah kya Baat hai Anamika Ji.. Bahut Hi Lajawab Likha hai aapne.. Applause



**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #66 on: November 28, 2009, 11:34:59 AM »
ye kya Mann ji....mujhe samjhaate samjhaate aap khud hi udaas ho gaye....
ab mujhe hi aapko samjhaana padega....bahut acchi baatein puchi aapne....


Nahi kehte hum k tu khuch kar,
bas itna kar ki khud ko nirash na kar

Din hone se pahle din dhalta bhi hai
Chirag jlaa andhere mein aur har taraf roshni kar

Qismat mein uski teri mohabbat na thi
Ya kahu k wo tere kaabil na thi
Uski yaadon mein jalkar khud par na tu sitamb kar

Kab tak door rahega wo tujhse jo tere liye bna hai
karna hai to sirf uss dildaar se milvaane ki khuda se tu ardaas kar


Pooja Dear Har ek Baat Ka Bahut Hi Pyaara Jawab diya Hai aapne.. Aapki Soch aur aapke Likhe Alfaaz Waqai Dil Ko Chhoo gaye.. Bahut Khooooooob..!! Applause
Applause


Shikayat Maut Se Kya Karun, Mujhe To Zindgi Ne Maara Hai,
Uski Bewafaai Aur Duniya Ki Uth-ti Har Nazar Ne Maara Hai...

Tukra Mere Armaan, Chal Diye Wo Kisi Aur Ka Daaman Tham,
Yahan Tanhaai Aur Ruswaai Ne, Mujhe Mehfilon Me Maara Hai...

Unko Ek Kya Hazaaron Chaahne Wale Mil Jayenge Kayenat Me,
Humen Unki Yaadon Ne Lamha Lamha, Tadpa Tadpa Ke Maara Hai...

Aaj Bhi Doston Ke Beech Hote Hain Humaare Ishq Ke Charche,
Inhi Yaaron Ke Beech Bechaare "Mann" Ko Sharmindgi Ne Maara Hai...!!




**~** Mann **~**








Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #67 on: November 28, 2009, 11:57:41 AM »
Rahim bhai,Nikhaar ji,Mann ji,Anaamika ji,aap sabhi ne bahut khoob likha,lovely lines.excellent Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #68 on: December 23, 2009, 05:52:42 PM »
Pooja Dear Har ek Baat Ka Bahut Hi Pyaara Jawab diya Hai aapne.. Aapki Soch aur aapke Likhe Alfaaz Waqai Dil Ko Chhoo gaye.. Bahut Khooooooob..!! Applause
Applause


Shikayat Maut Se Kya Karun, Mujhe To Zindgi Ne Maara Hai,
Uski Bewafaai Aur Duniya Ki Uth-ti Har Nazar Ne Maara Hai...

Tukra Mere Armaan, Chal Diye Wo Kisi Aur Ka Daaman Tham,
Yahan Tanhaai Aur Ruswaai Ne, Mujhe Mehfilon Me Maara Hai...

Unko Ek Kya Hazaaron Chaahne Wale Mil Jayenge Kayenat Me,
Humen Unki Yaadon Ne Lamha Lamha, Tadpa Tadpa Ke Maara Hai...

Aaj Bhi Doston Ke Beech Hote Hain Humaare Ishq Ke Charche,
Inhi Yaaron Ke Beech Bechaare "Mann" Ko Sharmindgi Ne Maara Hai...!!




**~** Mann **~**









itni mayusiyat....dard ko likh diya aapne mann ji

Ishq karne se pahle kya socha tha ki kamyaabi hi haasil hogi tumhe
Kya hua jo mohabbat na mili, sacha pyar toh uss se kiya tha tumne

Sar jhukakar nahi sar uthakar kaho apne yaaron se
Mohabbat ki pagdandi par kadam bdhane ka sahas kiya tha tumne

Apne dil mein jalti ummidon ki shmaa ko iss kadar jlaaye rakhna k
Mehfil bhi gaaye tere taraane aur kahe....
Girkar sambhla , himmat na haari
hawaon se lad kar apne pyar ka aashiyana paaya "Mann ne"
[b/]


Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #69 on: December 24, 2009, 06:59:03 AM »
Excellent and very touching lines Nikhaar ji and Mann ji. :hatsoff:to you all. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
aap sabhi ne bahut khoob likha.keep writting
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #70 on: December 24, 2009, 08:09:08 AM »
Wah Kya Baat hai Pooja.. Kamaal Likha Hai Yaaar.. Ek ek Lafz Dil Tak Utar Gaya.. Bahut Khooooob..!! Applause Applause


Wo Ek Shaks Nigaahon Se Hat-ta Nahi To Kya Karun,
Dil Uske Bin Sambhaale Sambhalta Nahi To Kya karun.....

Sitam To Yeh Hai Wo Shaks Bewafa Is Qadar Nikla,
Dard De Gaya Itne, Ke Ab Khushi Ka Ehasaas Kya Karun.....

Afsos Ke Mar Mitne Ki Tamanna Raha Gai Mohabbat Me,
Ab Judaai Lamha Lamha Maare Mujhe to Bata Kya Karun.....

Zindgi Ki Udas Raaton Me, Ek Khwaab Ab Bhi Sajta Hai,
Par Koi Dil Tak Hi Na Utre, To Khwaab Ki Taabir Kya Karun..!!


**~** Mann **~**
Good one Mann Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #71 on: December 24, 2009, 08:12:25 AM »
itni mayusiyat....dard ko likh diya aapne mann ji

Ishq karne se pahle kya socha tha ki kamyaabi hi haasil hogi tumhe
Kya hua jo mohabbat na mili, sacha pyar toh uss se kiya tha tumne

Sar jhukakar nahi sar uthakar kaho apne yaaron se
Mohabbat ki pagdandi par kadam bdhane ka sahas kiya tha tumne

Apne dil mein jalti ummidon ki shmaa ko iss kadar jlaaye rakhna k
Mehfil bhi gaaye tere taraane aur kahe....
Girkar sambhla , himmat na haari
hawaon se lad kar apne pyar ka aashiyana paaya "Mann ne"
[b/]


Bahut Khoob Nikhaar JI
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #72 on: December 24, 2009, 09:15:00 AM »
Bahut Bahut Shukriya Madhu Ji & Rajesh Bhai.. Usual Smile Usual Smile



**~** Mann **~**
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #73 on: January 03, 2010, 10:05:27 AM »
Bahut bahut shukriya madhu ji &b rajesh ji
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #74 on: January 10, 2010, 11:45:25 AM »
itni mayusiyat....dard ko likh diya aapne mann ji

Ishq karne se pahle kya socha tha ki kamyaabi hi haasil hogi tumhe
Kya hua jo mohabbat na mili, sacha pyar toh uss se kiya tha tumne

Sar jhukakar nahi sar uthakar kaho apne yaaron se
Mohabbat ki pagdandi par kadam bdhane ka sahas kiya tha tumne

Apne dil mein jalti ummidon ki shmaa ko iss kadar jlaaye rakhna k
Mehfil bhi gaaye tere taraane aur kahe....
Girkar sambhla , himmat na haari
hawaon se lad kar apne pyar ka aashiyana paaya "Mann ne"
[b/]




Wah Kya baat hai Pooja.. Bahut Jazzbaati Alfaaz Likhe hai aapne.. Bahut Hi Khoob.. acccha Laga padh kar..!!



Jiski Yaad Me Aansoo Mere,Aaj Bhi Thame Nahi Thamte Hain....
Kya Main Unhe Ab Bhi Yaad Hoon, Kya Wo Bhi Rote Honge,

Ashq-Tanhaai Aur Bebasi, Jo De Gaye Saugaat Me Mujhe,
Kya Wo Bhi Meri Tarah Kishton Lamha-Lamha Marte Honge.....

Aaj Bhi Bad-Qismat Hum, Unki Kashti Me Sawaar Hain,
Kya Wo Bhi Ashqon Ke Dariya Se Aankhen Bhigote Honge......

Wo Aayen Na Aayen, Intzaar Rahega Kayamat Tak Yaaron,
Par Kya Wo Bhi Mujhse Ek Mulaaqat Ko Tadapte Honge...??




**~** Mann **~**
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 30, 2024, 09:58:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer