My All Time Favourite Songs...................

by Talat on May 20, 2005, 07:08:13 AM
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24 25 ... 30
Print
Author  (Read 34243 times)
Imaandaar
Guest
«Reply #300 on: August 05, 2005, 08:30:11 PM »
Lyrics - Gulzar
Singers - Mohd Rafi & Sharda
Music- Shankar Jaikishan
Film -  Seema (1971)


Jab bhi yeh dil udaas hota hai
Jaane kaun aas paas hota hai

Hont chup chaap bolte ho jab
Saans kuch tez tez chalti ho
aankhen jab de rahi ho awaazein
tandi aanhon mein saans jalti ho
tandi aanhon mein saans jalti ho..
Jab bhi yeh dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai

Aankh mein tairti hain tasveerein
tera chehra tera khayal liye
aaine dekhta hai jab mujhko
ek masoom sa sawaal liye
ek masoom sa sawaal liye

Jab bhi yeh dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My favourite songs............. by khushiiiii in Songs & Lyrics « 1 2 ... 26 27 »
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
Talat
Guest
«Reply #301 on: August 11, 2005, 02:22:26 PM »
Its a very niec song Imaandaar....!! Thanks for sharing !!!!
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #302 on: August 13, 2005, 07:46:51 PM »
Imaandar Ji Lovely song

Film: Kasoor

Dil mera tod diya usne bura kyu maanu
usko haqq hai woh mujhe pyar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne bura kyu maanu

pehle maloom na tha
aaj yeh maine samjha
pyar kehte hai jise, woh hai dilo ka sauda
dil ki dhakan ko bhala, kaise koi qaid kare
yeh to aazad hai, jab chahe jaha aah bhare
uske raste me khadi kyu koi deewar kare...2
usko haqq hai woh mujhe pyar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne bura kyu maanu

saare waado ka bharam
pal me woh tod gaya
gum ke jis mod pe laake
woh mujhe chhor gaya
mai usi mod ki dehleez pe so jaaugi
umar bhar uske liye ajnabi ho jaaugi
har sitam shauq se mujh pe dildar kare ..2
usko haqq hai mujhe pyar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne bura kyu maanu
bura kyu maanu ...2
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #303 on: August 15, 2005, 06:28:06 PM »
wonderfulllllllllll   Song  Saba...............   kasoor  ke  sabhi  song  acche hain..........tongue3
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #304 on: August 16, 2005, 02:53:37 PM »
Thank you Waheed tongue3 ........ yes i like alll the songs of KASOOR
Logged
Talat
Guest
«Reply #305 on: August 28, 2005, 02:31:52 PM »
Just love this song..... !!!

Kisi raah main kisi mod par
Kahin chal na dena tu chorh kar
Mere humsafar mere humsafar
Mere humsafar mere humsafar

Kisi haal main kisi baat par
Kahin chal na dena tu chorh kar
Mere humsafar mere humsafar
Mere humsafar mere humsafar

Mera dil kahe kahin ye na ho
Nahin ye na ho nahin ye na ho
Kisi roz tujhse bicharh ke main
Tujhe dhoondti phirun darbadar
Mere humsafar mere humsafar
Mere humsafar mere humsafar

Tera rang saaya bahaar ka
Tera roop aaeena pyaar ka
Tujhe aa nazar main chupa loon main
Tujhe lag na jaaye kahin nazar
Mere humsafar mere humsafar
Mere humsafar mere humsafar

Tera saath hai to hai zindagi
Tera pyaar hai to hai roshni
Kahan din ye dhal jaaye kya pata
Kahan raat ho jaaye kya khabar
Mere humsafar mere humsafar
Mere humsafar mere humsafar
Logged
Suhas
Guest
«Reply #306 on: September 01, 2005, 10:05:14 AM »
I think you like this song....rhythm is really good in this song...

tod diya dil mera
meri khata kutch bhi nahi
mujhpe sitam phir kyon kiya
kutch toh seene mein reh gaye
kutch toh ashko mein beh gaye
kutch toh armaan tham gaye
kutch lahu mein hi jam gaye
tu ne di mujhko bewajah
pyar karne ki yeh saja
shukriya tera
tod diya dil mera
meri khata kutch bhi nahi
mujhpe sitam phir kyon kiya

seela mila hain kya mujhko meri wafaao ka
mil gaye hain saare sapne khak mein
sanam namuna ka kya du main
teri jafao ka
dab gayi hain meri saansein raakh mein
main toh deewana tha
maine toh na jaana tha
ab na kutch bhi khayal
har taraf bas malal hain
jeena bhi toh mohal hain
shukriya tera
tod diya dil mera
meri khata kutch bhi nahi
mujhpe sitam phir kyon kiya

luta hu main lut jaaunga teri mohabbat mein
dard bhi utha lunga mein shool ke
meeta hu main meet jaunga teri hi chahat mein
jee sakunga ab na tujhko bhool ke
tu toh bedardi hain par yeh meri marzi hain
chain mujhko haram hain
dhadkanon ka payam hain
zindagi tere naam hain
shukriya tera
tod diya dil mera
meri khata kutch bhi nahi
mujhpe sitam phir kyon kiya
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #307 on: September 01, 2005, 11:58:55 AM »
hyee all of u mujhe aapaka collection bahot accha laga specially oldies i like old songs

Nazar Mujhse Milati ho to tum sharmasi jati ho,
Isiko Pyaar kahte hai, Isiko Pyaar kahte hai,

Juban Khamosh Hai lekin, Nigahe baat kerti hai 2,
Adaye lakh bhi roko Adaye baat kerti hai,
Nazar nichi liye dato me ungali ko dabati ho,
Isiko pyaar kahte hai, Isiko pyaar kahte hai,

Chupane se meri jaanam kahi kya pyaar chupata hai 2,
Ye aisa mulk hai khuooshboo hamesha deta rahta hai,
Tum to sab janti ho fir bhi tum mujhko satati ho,
Isiko pyaar kahte hai, Isiko pyaar kahte hai,

Tumhare pyaar ka hai asar hume izhaar milta hai 2,
Humara naam sunte hi tumhara rang khilta hai,
Aur fir Saaze dil par tum humare geet gaate ho,
Isiko pyaar kahte hai, Isiko pyaar kahte hai,

Tumhare ghar mai jab aauo to chup jati ho parde me 2,
Mujhe jab dekh na paao to ghabrati ho parde me,
Khud hi chilman uthaker fir Isharo se bulati ho,
Isiko Pyaar kahte hai, Isiko Pyaar kahte hai,

Nazar muzhse .................... Isiko pyaar kahte hai


This Gazhal from Rehnuma my fav8 ghazhal
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #308 on: September 01, 2005, 12:03:18 PM »
This is also my fav8 song

Madhuban khushboo deta hai, saagar saawan deta hai
Jeena uska jeena hai, jo auro ko jeewan deta hai
Madhuban khushboo deta hai…

Suraj na ban paaye to, banke deepak jalta chal -2
Phool mile ya angaare, sach ki raaho pe chalta chal -2
Pyaar dilo ko deta hai, ashqo ko daaman deta hai
Jeena uska jeena hai, jo auro ko jeewan deta hai
Madhuban khushboo deta hai…

Chalti hai lehraake pawan, ke saans sabhi ki chalti rahe -2
Logo ne tyaag diye jeewan, ke preet dilo mein palti rahe -2
Dil woh dil hai jo auro ko, apni dhadhkan deta hai
Jeena uska jeena hai, jo auro ko jeewan deta hai
Madhuban khushboo deta hai…

Main na bhoolunga, main na bhoolungi
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #309 on: September 01, 2005, 12:08:49 PM »
all of u like this song


Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Meri jaan bhi nahin tum, anjaan bhi nahin tum

Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Mujhse door bhi nahin tum, mere paas bhi nahin tum

Tumse milke julti ek tasveer to hai mere seene mein
Pyaar mein jiske dooba dil ek heer to hai mere seene mein

Seene mein tere koyi aur nahin bas meri hai tasveer
Chaahat ki nazar se dekh zara bas main hoon teri heer

Baar baar yeh khayal dil mein uth tha hai kyon
Meri jaan bhi nahin tum, anjaan bhi nahin tum

Tum shayed bhoole ho woh kasmein woh waadein jo rahe apne
Dekho meri in aankhon mein ab tak jawaan woh mere sapnein

Sapnon ki is duniya se mujhe ab lagne laga hai darr
Main kaise bataoon aaj tujhe kya chot hai is dil par

Sochke bas yehi dil yeh darta hai kyon
Mujhse door bhi nahin tum, mere paas bhi nahin tum

Tumse milke mujhe aisa lagta hai kyon
Meri jaan bhi nahin tum, anjaan bhi nahin tum

 tongue3
Logged
Talat
Guest
«Reply #310 on: September 02, 2005, 12:18:14 PM »
Nice Songs mili_genie ...thanks for sharing with us !!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #311 on: September 02, 2005, 12:19:35 PM »
Quote from: "Suhas"
I think you like this song....rhythm is really good in this song...

tod diya dil mera
meri khata kutch bhi nahi
mujhpe sitam phir kyon kiya
kutch toh seene mein reh gaye
kutch toh ashko mein beh gaye
kutch toh armaan tham gaye
kutch lahu mein hi jam gaye
tu ne di mujhko bewajah
pyar karne ki yeh saja
shukriya tera
tod diya dil mera
meri khata kutch bhi nahi
mujhpe sitam phir kyon kiya

seela mila hain kya mujhko meri wafaao ka
mil gaye hain saare sapne khak mein
sanam namuna ka kya du main
teri jafao ka
dab gayi hain meri saansein raakh mein
main toh deewana tha
maine toh na jaana tha
ab na kutch bhi khayal
har taraf bas malal hain
jeena bhi toh mohal hain
shukriya tera
tod diya dil mera
meri khata kutch bhi nahi
mujhpe sitam phir kyon kiya

luta hu main lut jaaunga teri mohabbat mein
dard bhi utha lunga mein shool ke
meeta hu main meet jaunga teri hi chahat mein
jee sakunga ab na tujhko bhool ke
tu toh bedardi hain par yeh meri marzi hain
chain mujhko haram hain
dhadkanon ka payam hain
zindagi tere naam hain
shukriya tera
tod diya dil mera
meri khata kutch bhi nahi
mujhpe sitam phir kyon kiya


Never heard this one...but lyrics is nice !!
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #312 on: September 03, 2005, 06:17:37 AM »
Thax talaji, i like very much this song i think u too...
From Baiju Bawra..

akelee mat jaeeyo, raadhe jamunaa ke teer

too gangaa kee mauj main jamunaa kaa dhaaraa
ho rahegaa milan ye humaaraa tumhaaraa

agar too hain saagar to mazadhaar main hoo
tere dil kee kashtee kaa patawaar main hoo
chalegee akele naa tum se ye naiyyaa

milegee naa manjil tumhe been khiwayyaa
chale aao jee, chale aao jee
chale aao maujon kaa lekar sahaaraa

bhalaa kaise tootenge bandhan ye dil ke
bichhadatee naheen mauj se mauj mil ke
chhoopoge bhanwar mein to chhoopane naa denge
doobo denge naiyyaa, tumhe dhoondh lenge

banaayenge hum  banaayenge hum
banaayenge toofaan ko yek din kinaaraa

 Usual Smile
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #313 on: September 03, 2005, 06:25:44 AM »
mujhe lagta hai ye bahi aapko pasan aayega.............
From Abdullah....

Aye Khuda Har Faisla Tera Mujhe Manzoor Hai (2)
Saamne Tere Tera Banda Bahut Majboor Hai
Aye Khuda Har Faisla Tera Mujhe Manzoor Hai
Saamne Tere Tera Banda Bahut Majboor Hai
Allahahahahahahah Huuuuuuuu

Har Duaa Meri Kisi Deewar Se Takra Gayee (2)
Beasar Hokar Meri Fariyaad Vaapas Aa Gayee
Allahahahahahahah Huuuuuuuu
Is Zameen Se Aasmaa Shaayad Bahut Hi Door Hai
Saamne Tere Tera Banda Bahut Majboor Hai

Ek Gul Se To Ujad Jaate Nahin Phoolon Ke Baag (2)
Kya Huaa Toone Bujha Daala Mere Ghar Ka Charaag
Allahahahahahahah Huuuuuuuu

Kam Nahin Hai Roshni Har Shay Mein Tera Noor Hain
Saamne Tere Tera Banda Bahut Majboor Hai
Aye Khuda Har Faisla Tera Mujhe Manzoor Hai
Saamne Tere Tera Banda Bahut Majboor Hai

 Usual Smile
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #314 on: September 03, 2005, 07:12:14 AM »
Maine poocha chand se
ke dekha hai kahin
mera yaar sa haseen
Chand ne kaha
Chandni ki kasam, nahi nahi nahi
Maine poocha chand se...

Maine yeh hi jaab tera dhoondha
har jageh shabab tera dhoondha
kaliyon se misaal teri poochi
phoolon ne jawaab tera dhoondha

maine poocha baag se
falak ho ya zameen
aisa phool hai kahin
baag ne kaha har kali ki kasam
nahi nahi nahi

Maine poocha chand se...

Ho, Chaal hai ke mauj ki ravaani
Zulf hai ke raat ki kahani
Hont hain ke aaine kawal ke
aankh hai ke mahkadon ki rani

maine poocha jaam se
falak ho ya zameen
aisi meh bhi hai kahin
jaam ne kaha mehkashi ki kasam
nahi nahi nahi

Maine Poocha Chand se...

Khoobsurati jo tune paayi
lut gayi khuda ki bas khudaayi
meer ke gazal kahun tujhe main
ya kahun khaiyyaam ki rubaayi

main jo poochun shayaron se
aisa dil nashi
koyi sher hai kahin
shayar kahen shayari ki kasam
nahi nahi nahi

Maine poocha chand se...
Logged
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24 25 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 18, 2024, 04:09:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer