My All Time Favourite Songs...................

by Talat on May 20, 2005, 07:08:13 AM
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 30
Print
Author  (Read 34211 times)
Pooja
Guest
«Reply #345 on: March 06, 2008, 07:24:57 PM »
Tum aa gaye ho
noor aa gaya hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My favourite songs............. by khushiiiii in Songs & Lyrics « 1 2 ... 26 27 »
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #346 on: March 06, 2008, 08:05:37 PM »
Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas
Koi Rehta Hai Vo Ho Tum

Betaabi Kya Hoti Hai Poochho Mere Dil Se
Tanha Tanha Lauta Hoon Maein To Bhari Mehfil Se
Mar Na Jaaun Kahin
Mar Na Jaaun Kahin Hoke Tum Se Juda
Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas...

Tanhaai Jeene Na De Bechaini Tadpaye
Tumko Maein Na Dekhun To Dil Mera Ghabraye
Ab Mujhe Chhod Ke
Ab Mujhe Chhod Ke Door Jaana Nahin
Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas............................................. ..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #347 on: March 06, 2008, 08:06:56 PM »
Tu Mere Samne Maein Tere Samne
Tujhko Dekhoon Ke Pyar Karoon
Yeh Kaise Ho Gaya, Tu Meri Ho Gayi
Kaise Maein Aitbaar Karoon

Toot Gayi Toot Ke Maein Choor Ho Gayi
Teri Zid Se Majboor Ho Gayi
Tera Jadu Chal Gaya, O Jaadugar
Toot Gayi Toot Ke Maein Choor Ho Gayi
Teri Zid Se Majboor Ho Gayi
Tu Mere Samne Maein Tere Samne...

Teri Zulfonse Khelunga Maein
Tujhko Baahon Mein Le Lunga Maein
Dil To Dete Hain Aashiq Sabhi
Jaan Bhi Tujhpe De Doonga Maein
Mere Hothon Ke Gulaab Mang Le
Meri Aankhon Se Sharaab Mang Le
Tera Jaadu Chal Gaya O Jaadugar...

Is Kahani Ke Sau Saal Hain
Is Jawaani Ke Sau Saal Hain
Yeh Tere Pyar Ke Chaar Pal
Zindagani Ke Sau Saal Hain
Ek Baar Nahin Sau Baar Karle
Ji Bhar Ke Tu Mujhe Pyaar Kar Le
Tera Jaadu Chal Gaya O Jaadugar...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #348 on: March 06, 2008, 08:37:44 PM »
pal pal dil ke paas, tum rahatii ho
jiivan miiThii pyaas, ye kahatii ho
pal pal ...

har shaam aa.Nkho.n par, teraa aa.Nchal laharaae
har raat yaado.n kii, baaraat le aae
mai.n saa.ns letaa huu.N, terii khushabuu aatii hai
ek mahakaa mahakaa saa, paigaam laatii hai
mere dil ki dha.Dakan bhii, tere giit gaatii hai
pal pal ...

tum sochogii kyuu.N itanaa, mai.n tumase pyaar karuu.n
tum samajhogii diivaanaa, mai.n bhii iqaraar karuu.n
diivaano.n kii ye baate.n, diivaane jaanate hai.n
jalane me.n kyaa mazaa hai, paravaane jaanate hai.n
tum yuu.N hii jalaate rahanaa, aa aa kar Kvaabo.n me.n
pal pal ...

kal tujhako dekhaa thaa, maine apane aa.ngan me.n
jaise kah rahii thii tum, mujhe baa.Ndh lo bandhan me.n
ye kaisaa rishtaa hai, ye kaise sapane hai.n
begaane ho kar bhii, kyuu.N lagate apane hai.n
mai.n soch mai.n rahataa huu.N, Dar Dar ke kahataa huu.N
pal pal ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #349 on: March 06, 2008, 08:55:11 PM »
Hoshwalon Ko Khabar Kya
Bekhudi Kya Cheez Hai
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye ..
Zindagi Kya Cheez Hai
Hoshwalon Ko Khabar Kya
Bekhudi Kya Cheez Hai...

Unse Nazar Kya Milin Roshan Fizaein Ho Gayee
Aaj Jana Pyaar Ki Jaadugari Kya Cheez Hai
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye
Zindagi Kya Cheez Hai...

Khulti Zulfon Ne Sikhayee Mausamon Ko Shayaree
Jhukti Aankhon Ne Bataya Maikashi Kya Cheez Hai
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye
Zindagi Kya Cheez Hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #350 on: March 07, 2008, 01:08:34 PM »
Main tulsi tere aangan ki
Main tulsi tere aangan ki, (koi nahin main) -2
Koi nahin main tere saajan ki
Main tulsi tere aangan ki, (koi nahin main) -2
Koi nahin main tere saajan ki
Main tulsi tere aangan ki
Main tulsi

(Dwaar pade pade taras gayi
Aaj umad kar baras gayi) -2
Pyaasi badli sawan ki
Main tulsi tere aangan ki
Main tulsi

(Mang teri sindoor bhi tera
Sab kuch tera kuch nahin mera) -2
Mohe saughandh tere ansuan ki
Main tulsi tere aangan ki
Main tulsi

Kahe ko tu mujhse jalti hai -2
Ay ri mohe to tu lagti hai
Koi saheli bachpan ki
Main tulsi tere aangan ki, (koi nahin main) -2
Koi nahin main tere saajan ki
Main tulsi tere aangan ki
Main tulsi tere aangan ki
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #351 on: March 12, 2008, 05:04:14 PM »
chalo ik baar phir se ajanabii ban jaaye.N ham dono.n

na mai.n tum se ko_ii ummiid rakhuu.N dil navaazii kii
na tum merii taraf dekho Galat a.ndaaz nazaro.n se
na mere dil kii dha.Dakan la.Dakha.Daaye merii baato.n me.n
na zaahir ho tumhaarii kashmakash kaa raaz nazaro.n se
chalo ik baar phir se ajanabii ban jaaye.N ham dono.n

tumhe.n bhii ko_ii ulajhan rokatii hai peshakadamii se
mujhe bhii log kahate hai.n ki ye jalave paraaye hai.n
mere hamaraah bhii rusavaaiyaa.N hai.n mere maazii kii
tumhaare saath bhii guzarii huii raato.n ke saaye hai.n
chalo ik baar phir se ajanabii ban jaaye.N ham dono.n

ta'arruf rog ho jaaye to us ko bhuulanaa behatar
ta'alluq bojh ban jaaye to us ko to.Danaa achchhaa
vo afsaanaa jise anjam tak laanaa na ho mumakin
use ek Khuubasuurat mo.D dekar chho.Danaa achchhaa

chalo ik baar phir se ajanabii ban jaaye.N ham dono.n
Logged
Pooja
Guest
«Reply #352 on: March 12, 2008, 05:10:39 PM »
main na bhuluga
main na bhulugi
is rasmo ko
is kasmo ko
main na bhulauga......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #353 on: March 14, 2008, 05:04:43 PM »
Todna toote hue dil ka bura hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai
Jiska koi nahin uska to khuda hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai

Maang kar tumse khushi loon, mujhe manjoor nahin
Maang kar tumse khushi loon, mujhe manjoor nahin
Kiska maangi hui daulat se bhala hota hai
Kiska maangi hui daulat se bhala hota hai
Jiska koi nahin uska to khuda hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai

Log nahak kisi majboor ko kehte hain bura
Log nahak kisi majboor ko kehte hain bura
Aadmi achche hain par waqt bura hota hai
Aadmi achche hain par waqt bura hota hai
Jiska koi nahin uska to khuda hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai

Kyun Muneer apni tabahi ka ye kaisa shikwa
Kyun Muneer apni tabahi ka ye kaisa shikwa
Jitna taqdeer main likha hai ada hota hai
Jitna taqdeer main likha hai ada hota hai
Jiska koi nahin uska to khuda hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #354 on: March 14, 2008, 05:08:08 PM »
Har shama bhuji rafta rafta, har khwab luta dheeray dheeray,
Sheesha na sahi pathar bhi na tha, dil toot gaya dheeray dheeray !

Barson mein marasim bantay hain, lamhon mein bala kya tootaingay,
Tu mujh say bichadna chahey to, deewar utha dheeray dheeray !

Ehsaas hua barbaadi ka, jab saaray ghar mein dhool udi,
Aayee hai hamaray aangan mein, patjhad ki hawa dheeray dheeray !

Dil kaisay jala kis waqt jala, humko bhi pata aakhir mein chala,
Phaila hain dhuan chupkay chupkay, sulgi hai chita dheeray dheeray !

Woh haath paray ho bhi gayey, ab dhoor ka rishta hai `Kaisar',
Aati hai meri tanhayee mein, khushboo-e-hina dheeray dheeray !

Har shama bhuji rafta rafta, har khwab luta dheeray dheeray,
Sheesha na sahi pathar bhi na tha, dil toot gaya dheeray dheeray !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #355 on: March 18, 2008, 02:26:37 PM »
karoge yaad to, har baat yaad aayegee
gujarate wakt kee, har mauj thhahar jaayegee

ye chaand beete jamaano kaa aaeenaa hogaa
bhatakate abar mein cheharaa koee banaa hogaa
udaas raah koee daastaa sunaayegee

barasataa bheegataa mausam dhuwaa dhuwaa hogaa
pighalatee shammo pe dil kaa mere gumaa hogaa
hatheliyon kee hinaa, yaad kuchh dilaayegee

galee ke mod pe, sunaa saa koee darawaajaa
tarasatee aankho se, rastaa kisee kaa dekhegaa
nigaah door talak, jaa ke laut aayegee

Logged
Pooja
Guest
«Reply #356 on: May 21, 2008, 09:51:42 PM »
Leke pehla pehla pyaar, bharke aankho mein khumaar
Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
Leke pehla pehla pyaar...

Uski diwaani haay kahu kaise ho gayi
Jaadugar chala gaya main to yaha kho gayi
Naina jaise huwe chaar, gaya dil ka qaraar
Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
Leke pehla pehla pyaar...

Tumne to dekha hoga usko sitaaro
Aao zara mere sang milke pukaaro
Dono hoke beqaraar, dhhundhhe tujhko mera pyaar
Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
Leke pehla pehla pyaar...

Jab se lagaaya tere pyaar ka kaajal
Kaali kaali birha ki ratiya hain bekal
Aaja man ke shringaar, kare bindiya pukaar
Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
Leke pehla pehla pyaar...

Mukhde pe daale huwe zulfo ki badli
Chali balkhaati kaha ruk jaa oh pagli
Naino waali tere dwaar, leke sapane hazaar
Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
Leke pehla pehla pyaar...

Chaahe koyi chamke ji chaahe koyi barse
Bachna hai mushkil piya jaadugar se
Dega aisa mantar maar, aakhir hogi teri haar
Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
Leke pehla pehla pyaar...

Sun sun baatein teri gori muskaayi re
Aayi aayi dekho dekho aayi hasi aayi re
Khele hontho pe bahaar, nikla gusse se bhi pyaar
Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
Leke pehla pehla pyaar...

Logged
Talat
Guest
«Reply #357 on: May 31, 2008, 09:30:43 AM »
Ham Ne Dekhi Hai In Aankhoon Ki Mahakati Khushboo
Haath Se Chhuuke Ise RishtoN Kaa Ilzaam Na Do
Sirf Ehasaas Hai Ye Ruuh Se Mahasuus Karo
Pyaar Ko Pyaar Hi Rahane Do Koi Naam Na Do

Ham Ne Dekhi Hai

Pyaar Koi Bol NahiN, Pyaar Aavaaz NahiN
Ek Khaamoshi Hai Sunati Hai Kahaa Karati Hai
Naa Ye Bujhati Hai Naa Rukati Hai Naa thahari Hai KahiN
Nuur Ki BuuNd Hai SadiyoN Se Bahaa Karati Hai

Sirf Ehasaas Hai Ye, Ruuh Se Mahasuus Karo
Pyaar Ko Pyaar Hi Rahane Do, Koi Naam Naa Do

Ham Ne Dekhi Hai

Muskaraahat Si Khili Rahati Hai AaNkhoN MeN KahiN
Aur PalakoN Pe Ujaale Se Chhupe Rahate HaiN
HoNth Kuchh Kahate NahiN, KaaNpate HoNthoN Pe Magar
Kitane Khaamosh Se Afasaane Ruke Rahate HaiN

Sirf Ehasaas Hai Ye, Ruuh Se Mahasuus Karo
Pyaar Ko Pyaar Hi Rahane Do, Koi Naam Naa Do
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #358 on: June 07, 2008, 08:39:37 PM »
Bhot koob Celmira ji aap ke pasandidah geet asal me hamare bhi pasandidah hen, balke hardil aziz hen, behtareen intekhab he aapka, khas kar ye geet to behad pasand hen hame:

wo jab yaad aaye bahot yaad aaye

Lag ja gale ki phir ye haseen raat ho na ho

Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam

Yaad me teri jaag jaag kar hum

Aaj hum apni duaaon ka asar dekhenge

Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayen hum dono

ye mera deewaanapan hai, ya mohabbat ka suroor

Jaane wo kaise log the jinke pyaar ko pyaar mila

Agar tum mil jao....zamana chorh denge hum

Ho ke majboor mujhe usne bhulaya hoga

Ham Ne Dekhi Hai In Aankhoon Ki Mahakati Khushboo

qareeb sabhi geet dad bhare hen magar "ho ke majboor mujhe" ye geet ne to dil hila diya sachmuch aankh me paani aagaya ye padh kar, {wo din jab yaad aate hen kaleja munh ko aata he} yahan oron ne bhi apni pasand ke moti bikhere hen, or is majlis ko jagmagaya he, sab ne bohot khoob likha he.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #359 on: June 07, 2008, 08:44:40 PM »
Hoshwalon Ko Khabar Kya
Bekhudi Kya Cheez Hai
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye ..
Zindagi Kya Cheez Hai
Hoshwalon Ko Khabar Kya
Bekhudi Kya Cheez Hai...

Unse Nazar Kya Milin Roshan Fizaein Ho Gayee
Aaj Jana Pyaar Ki Jaadugari Kya Cheez Hai
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye
Zindagi Kya Cheez Hai...

Khulti Zulfon Ne Sikhayee Mausamon Ko Shayaree
Jhukti Aankhon Ne Bataya Maikashi Kya Cheez Hai
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye
Zindagi Kya Cheez Hai...

Todna toote hue dil ka bura hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai
Jiska koi nahin uska to khuda hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai

Maang kar tumse khushi loon, mujhe manjoor nahin
Maang kar tumse khushi loon, mujhe manjoor nahin
Kiska maangi hui daulat se bhala hota hai
Kiska maangi hui daulat se bhala hota hai
Jiska koi nahin uska to khuda hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai

Log nahak kisi majboor ko kehte hain bura
Log nahak kisi majboor ko kehte hain bura
Aadmi achche hain par waqt bura hota hai
Aadmi achche hain par waqt bura hota hai
Jiska koi nahin uska to khuda hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai

Kyun Muneer apni tabahi ka ye kaisa shikwa
Kyun Muneer apni tabahi ka ye kaisa shikwa
Jitna taqdeer main likha hai ada hota hai
Jitna taqdeer main likha hai ada hota hai
Jiska koi nahin uska to khuda hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai
Todna toote hue dil ka bura hota hai


Aah!!! kya baat he, bohot khoob pooja ji ye dil ke bohot qareeb he, aap ki pasand qabil-e-tarif he.
Logged
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 10, 2024, 07:37:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer