My favourite songs.............

by khushiiiii on June 24, 2005, 04:51:59 AM
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 27
Print
Author  (Read 28449 times)
khushiiiii
Guest
«Reply #285 on: November 02, 2006, 12:10:36 PM »
thnx KAKA........................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My All Time Favourite Songs................... by Talat in Songs & Lyrics « 1 2 ... 29 30 »
My 10 favourite songs..... by Rishi Soumya in Songs & Lyrics
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
khushiiiii
Guest
«Reply #286 on: November 03, 2006, 07:48:01 PM »
Missing YOU soooooooooooooo much today…………and alwayssssssssssssss
 

Chithhi na koyi sandesh…
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye……………..

Ek aah bhari hogi humne na suni hogi
Jaate jaate tumne awaaz to di hogi
Har waqt yehi hai gham us waqt kaha the hum
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye.…………….

Har cheez pe ashkon se likha hai tumhaara naam
Ye raste ghar galiyaan tumhe kar na sake salaam
Hai dil mein reh gayi baat  jaldi se chhuda kar haath
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...

Ab yaadon ke kaante is dil mein chubhte hain
Na dard thhaherta hai na aanson rukte hain
Tumhe dhhundh raha hai pyaar hum kaise karein iqraar
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...
Ho kahan tum chale gaye …………………3
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #287 on: November 04, 2006, 11:39:24 AM »
kisko  miss  kar  rahi  thi................Puzzled !   tumne  bahot  sad  song  likha.....:sad:

juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai
juda hoke bhi

waise zinda hu zindagi bin tere main
dard hi dard baaki raha hai seene mein
saans lena bhar hi yaha jeena nahi hain
ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai

saath mere hain tu har pal shab ke andhere mein
paas mere hain tu ujale savere savere mein
dil se dhadkan bhula dena aasan nahi hai
ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai

ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
yeh jo yaadein hai - 2
sabhi kaatein hai - 2
katado inhe - 2
ab toh aadat si hai mujhko..............
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #288 on: November 04, 2006, 06:58:17 PM »
nice song waheed................ha kaka kabhi kabhi sad bhi achha lagta hai.............
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #289 on: November 05, 2006, 02:44:27 PM »
Bful songs khushiii...
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #290 on: November 05, 2006, 02:54:45 PM »
thnxx...................rishi...............
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #291 on: November 10, 2006, 06:31:59 AM »
agar mujh se mohabbat hai mujhe sab apne gham de do
in aankho ka har ik aansu mujhe merii kasam de do
agar mujh se .……………..

tumhaare gham ko apnaa gham banaa lun to karaar aaye
tumhaaraa dard siine mein chhupaa lun to karaar aaye
vun har shay jo tumhe dukh de mujhe mere sanam de do
agar mujh se .………………….

sharik-e-zindagi ko kyun sharik-e-gham nahi karate
dukho ko baant kar kyun in dukhon ko kam nahi krate
tadap is dil kii thodii si mujhe mere sanam de do
agar mujh se …………………
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #292 on: November 10, 2006, 06:32:44 AM »
Ankhiyon ko rehne de ankhiyon ke aas paas………..2
Door se dil ki bujhti rahe pyaas
Ankhiyon ko rehne de ankhiyon ke aas paas………….

Dard zamaane mein kam nahin milte……………..2
Sab ko mohabbat ke gham nahin milte
Tootne waale dil………
Tootne waale dil hote hain kuch khaas
Door se dil ki bujhti rahe pyaas
Ankhiyon ko rehne de………………..

Reh gayi duniya mein naam ki khushiyaa………….2
Tere mere kis kaam ki khushiyaa
Saari umar humko………….
Saari umar humko rehna hai yun udaas
Door se dil ki bujhti rahe pyaas
Ankhiyon ko rehne de ankhiyon ke aas paas…………….
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #293 on: November 10, 2006, 06:37:17 AM »
aaj sochaa to aansu bhar aaye
aaj socha to aansu bhar aaye
muddate ho gayi muskuraye

har kadam par uth kar mud ke dekha
unaki mahfhil se hum uthh to aaye
aaj socha to……………..

rah gayi zindagi dard ban ke
dard dil mein chhupaaye chhupaaye
aaj socha to……………..


dil ki naajuk rage tootti hai
yaad itnaa bhi koi na aaye
aaj socha to……………..
Logged
bhambra
Guest
«Reply #294 on: November 10, 2006, 06:49:42 AM »
Khushi gana ka lyrix to accha hai par maine suna nahi...Plz aage se Movie name bhi mention kar diya karo...

Ek song aapke naam..Hope, tumhe bura nahi lagega...


Ye kyaa jagah hain dosto, ye kaun saa dayaar hain
had-ye-nigaah tak jahaa, gubaar hee gubaar hai

ye kis makaam par hayaat muz ko leke aa gaee
naa bas khushee pe hain jahaa, naa gam pe ikhtaiyaar hai

tamaam umar kaa hisaab maangatee hain jindagee
ye meraa dil kahe to kyaa, ye khud se sharmasaar hai

bulaa rahaa hain kaun muz ko, chilamanon ke us taraf
mere liye bhee kyaa koee, udaas bekaraar hai

Film:Umraao Jaan
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #295 on: November 10, 2006, 06:51:22 AM »
thnxxxx som...........hmmmmm wil it in mah mind next time.............

and nice song..............
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #296 on: November 10, 2006, 06:51:41 AM »
ankhiyon ke jharokhon se maine dekha jo saaware
tum door nazar aaye badi door nazar aaye
band karke jharokhon ko zara baithi jo sochne
mann mein tumhi muskaye mann mein tumhi muskaye
ankhiyon ke jharokhon se……………

ek mann tha mere paas woh ab khone laga hai
paakar tujhe hai mujhe kuch hone laga hai
ek tere bharose pe sab baithi hoon bhool ke……….2
yun hi umar guzar jaye tere saath guzar jaye
ankhiyon ke jharokhon se.………….

jeeti hoon tumhe dekh ke marti hoon tumhi pe
tum ho jahan saajan meri duniya hai wahi pe
din raat dua maange mera mann tere waaste……….2
kabhi apni ummeedon ka koi phool na murjhaye
ankhiyon ke jharokhon se.…………

main jab se tere pyaar ke rango mein rangi hoon
jaagte huye soyi rahi neendon mein jagi hoon
mere pyaar bhare sapne kahin koi na chheen le
mann soch ke ghabraye yahi soch ke ghabraye
ankhiyon ke jharokhon se.…………
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #297 on: November 10, 2006, 06:52:45 AM »
Quote from: "bhambra"
Khushi gana ka lyrix to accha hai par maine suna nahi...Plz aage se Movie name bhi mention kar diya karo...

Ek song aapke naam..Hope, tumhe bura nahi lagega...


Ye kyaa jagah hain dosto, ye kaun saa dayaar hain
had-ye-nigaah tak jahaa, gubaar hee gubaar hai

ye kis makaam par hayaat muz ko leke aa gaee
naa bas khushee pe hain jahaa, naa gam pe ikhtaiyaar hai

tamaam umar kaa hisaab maangatee hain jindagee
ye meraa dil kahe to kyaa, ye khud se sharmasaar hai

bulaa rahaa hain kaun muz ko, chilamanon ke us taraf
mere liye bhee kyaa koee, udaas bekaraar hai

Film:Umraao Jaan



wiase kaun se lyrics ke liye likha tha aapne?Huh?
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #298 on: November 10, 2006, 07:03:42 AM »
aaina mujhse meri pahli si  surat mange……………3
mere apne mere hone ki nishani maange
aaina mujse mari pahli si  surat mange……….

mein bhatakta hi raha dard ke viraane mein
waqt likhta raha chehre pe har pal ka hisaab
meri shorat meri diwangi ki nazar huyi
pi gayi may ki bolte meri geeto ki kitaab
aaj lauta hoon tu hasne ki ada bhool gaya
yeh sahar bhoola mujhe  mein bhi ise bhool gaya
mere apne meri hone ki nishani mange

aaina mujse meri pahli surat mange………………
mere apne mere hone ki nishaani maangeee
Logged
bhambra
Guest
«Reply #299 on: November 10, 2006, 07:03:56 AM »
Aankhiyon ko rahene de.....wala...

Waise aap fir se bhul gayi Film ka naam likhne me...   Usual Smile
Logged
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 20, 2024, 02:12:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer