My favourite songs.............

by khushiiiii on June 24, 2005, 04:51:59 AM
Pages: 1 ... 19 20 21 22 [23] 24 25 26 27
Print
Author  (Read 28430 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #330 on: December 06, 2006, 06:21:13 PM »
nice   collection ...........  bhayya ki  pasand  mast hai ......bole  to  jhakaas   tongue3
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My All Time Favourite Songs................... by Talat in Songs & Lyrics « 1 2 ... 29 30 »
My 10 favourite songs..... by Rishi Soumya in Songs & Lyrics
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
Rajbir
Guest
«Reply #331 on: December 06, 2006, 07:17:50 PM »
Shukriya bhai !

Logged
Rajbir
Guest
«Reply #332 on: December 06, 2006, 07:23:55 PM »
Movie: Pyar he Pyar

dekha hai teri aankhon mein
pyaar hi pyaar beshumaar
paya hai teri baaton mein
pyaar hi pyaar beshumaar

ae baharon ki pari
ye hai taqdeer meri
jo bhi samajha hai mujhe
wo inayat hai teri
dekha hai teri aankhon mein
pyaar hi pyaar beshumaar
paya hai teri baaton mein
pyaar hi pyaar beshumaar

mere achchhe the karam
jo mulakaat huyee
meherbaan husn hua
kyaa ajab baat huyee
dekha hai teri aankhon mein
pyaar hi pyaar beshumaar
paya hai teri baaton mein
pyaar hi pyaar beshumaar

maine socha bhi na tha
mujhko mil jayegi too
jaise lehraaye sabaa
aise lehraayegi too
dekha hai teri aankhon mein
pyaar hi pyaar beshumaar
paya hai teri baaton mein
pyaar hi pyaar beshumaar
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #333 on: December 06, 2006, 07:28:15 PM »
Movie: Aarzoo

Ai Phoolon Ki Rani, Bahaaron Ki Malika,
Tera Muskurana Gazab Hogaya,
Na Dil Hosh Mein Hein, Na Ham Hosh Mein Hai,
Nazar Kaa Milana Gazab Ho Gaya..

Tere Hont Kya Hai, Gulaabi Kanwal Hai,
Yeh Do Patiyan, Pyar Ki Ik Gazal Hai,
Voh Nazuk Labon Se, Mohobbat Ki Baaten,
Hami Ko Sunana, Gazab Hogaya,
Ai Phoolon Ki Rani, Bahaaron Ki Malika,
Tera Muskurana Gazab Hogaya,
Na Dil Hosh Mein Hein, Na Ham Hosh Mein Hai,
Nazar Kaa Milana Gazab Ho Gaya..

Kabhi Ghul Ke Milna, Kabhi Khud Jhijhakna,
Kabhi Raaston Par, Behekna-Machalna,
Yeh Palkon Ki Chilman, Utakar Girana,
Girakar Utana, Gazab Ho Gaya,
Ai Phoolon Ki Rani, Bahaaron Ki Malika,
Tera Muskurana Gazab Hogaya,
Na Dil Hosh Mein Hein, Na Ham Hosh Mein Hai,
Nazar Kaa Milana Gazab Ho Gaya..

Ai Phoolon Ki Rani, Bahaaron Ki Malika,
Tera Muskurana Gazab Hogaya,
Na Dil Hosh Mein Hein, Na Ham Hosh Mein Hai,
Nazar Kaa Milana Gazab Ho Gaya..
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #334 on: December 06, 2006, 07:32:25 PM »
Movie: Kanyadan

Likhe jo khat tujhe
woh teri yaad mein
hazaaron rang ke
nazaare ban gaye

sawera jab huya
to phool ban gaye
jo raat aayi to
sitaare ban gaye

Koyi nagma kahin goonja
kahan dil mein
yeh tu aayi
kahin chatki kali koyi
main yeh samjha, tu sharmaayi
koyi khushboo kahin bikhri
laga yeh zulf lehraayi

Likhe jo khat tujhe...

Fiza rangeen, adaa rangeen
yeh ithlaana, yeh sharmaana
yeh angdhaayi, Yeh tanhaayi
yeh tarsa kar, chale jaana
bana de ga nahi kisko
jawaan jadoo yeh deewana

Likhe jo khat tujhe..

jahan tu hai, wahan main hoon
mere dil ki tu dhadhkan hai
musafir main tu manzil hai
main pyaasa hoon tu saawan hai
meri duniya yeh nazre hain
meri jannat yeh daaman hai

Likhe jo khat tujhe...
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #335 on: December 06, 2006, 11:31:27 PM »
gud gud vry gud tongue3
music company khol lo :D
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #336 on: December 07, 2006, 12:08:17 AM »
Tumhe bhi partner banaoonga behna ji tongue3

Movie: Mr. X in Bombay

Mere Mehboob Qayamat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Meri Nazrein To Gila Karti Hain
Tere Dil Ko Bhi Sanam Tujhse Shikayat Hogi
Mere Mehboob...

Teri Gali Maein Aata Sanam
Nagma Wafa Ka Gaata Sanam
Tujhse Suna Na Jaata Sanam
Phir Aaj Idhar Aaya Hoon Magar Yeh Kehne Maein Deewana
Khatm Bas Aaj Yeh Vehshat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Mere Mehboob...

Meri Tarah Tu Aahen Bhare
Tu Bhi Kisise Pyar Kare
Aur Rahe Voh Tujhse Parey
Toone O Sanam Dhaye Hain Sitam To Yeh Tu Bhool Na Jaana
Ki Na Tujhse Bhi Inayat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Mere Mehboob...


Mere Mehboob Qayamat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Naam Niklega Tera Hi Lab Se
Jaan Jab Iss Dil-E-Nakam Se Rukhsat Hogi
Mere Mehboob...

Mere Sanam Ke Dar Se Agar
Baad-E-Saba Ho Tera Guzar
Kehna Sitamgar Kuchh Hai Khabar
Tera Naam Liya Jab Tak Bhi Jiya Ae Shama Tera Parwana
Jisse Tujhe Aaj Bhi Nafrat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Mere Mehboob...
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #337 on: December 07, 2006, 12:10:36 AM »
mohd rafi.....

aghar bewafa tujhko pehchan jaithe
tu khuda ki kasam hum mohabbat na karteeeee :D:D:D:D:D
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #338 on: December 07, 2006, 05:02:01 AM »
Quote from: "Rajbir"
Tumhe bhi partner banaoonga behna ji tongue3

Movie: Mr. X in Bombay

Mere Mehboob Qayamat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Meri Nazrein To Gila Karti Hain
Tere Dil Ko Bhi Sanam Tujhse Shikayat Hogi
Mere Mehboob...

Teri Gali Maein Aata Sanam
Nagma Wafa Ka Gaata Sanam
Tujhse Suna Na Jaata Sanam
Phir Aaj Idhar Aaya Hoon Magar Yeh Kehne Maein Deewana
Khatm Bas Aaj Yeh Vehshat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Mere Mehboob...

Meri Tarah Tu Aahen Bhare
Tu Bhi Kisise Pyar Kare
Aur Rahe Voh Tujhse Parey
Toone O Sanam Dhaye Hain Sitam To Yeh Tu Bhool Na Jaana
Ki Na Tujhse Bhi Inayat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Mere Mehboob...


Mere Mehboob Qayamat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Naam Niklega Tera Hi Lab Se
Jaan Jab Iss Dil-E-Nakam Se Rukhsat Hogi
Mere Mehboob...

Mere Sanam Ke Dar Se Agar
Baad-E-Saba Ho Tera Guzar
Kehna Sitamgar Kuchh Hai Khabar
Tera Naam Liya Jab Tak Bhi Jiya Ae Shama Tera Parwana
Jisse Tujhe Aaj Bhi Nafrat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Mere Mehboob...
\

wowwwwwww.............nice song taau G..............
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #339 on: December 07, 2006, 08:29:14 AM »
Thodi si zameen, thodaa aasamaan
tinkon ka bas  ek aashiyaan

mangaa hain jo tum se woh jyaada to nahi hai
dene ko to jaan de de, waadaa to nahi hai
koi tere waadon pe
koi tere waado pe jeetaa hai kahaa
tinko ka bas ek aashiyaan


mere ghar ke aangan mein chhotaa saa zoolaa ho
saundhee saundhee mittee hogee, lepaa huaa chulhaa ho
thodee thodee aag hogee
thodee thodee aag hogee thodaa saa dhuwaan
tinko ka bas ek aashiyaan


raat kat jaayegee to kaise din bitaayenge
baajare ke kheto mein kauae udayenge
baajare ke sitton jaise, bete ho jawaan
tinko ka bas ek aashiyaan

thodi si zameen thoda aasamaa……….
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #340 on: December 07, 2006, 08:30:09 AM »
chaand ke paas jo sitaaraa hai
woh sitaaraa haseen lagataa hai
jab se tum ho meri nigaahon mein
har najaaraa haseen lagataa hain

zindagee do dilo ki chaahat hai
har khushi pyaar ki amaanat hai
pyaar ke paas jo sahaaraa hain
woh sahaaraa haseen lagataa hain
chaand ke paas jo………….

raat tanhaiyon ki dushman hai
har safar humasafar se roshan hai
mauj ke paas jo kinaaraa hai
woh kinaaraa haseen lagataa hai
chaand ke paas jo………….

aaj ki raat hain muraadon ki
roshini hai naye iraadon ki
shamaa ke paas jo sharaaraa hai
woh sharaaraa haseen lagataa hain

chaand ke paas jo sitaaraa hai
woh sitaaraa haseen lagataa hai
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #341 on: December 07, 2006, 08:53:34 AM »
:D

Movie: Mere Sanam

Pukaarataa Chalaa Huu.N Mai.N
Galii Galii Bahaar Kii
Bas Ek Chhaa.Nv Zulf Kii
Bas Ik Nigaah Pyaar Kii
Pukaarataa Chalaa Huu.N Mai.N

Ye Dillagii Ye Shokhiyaa.N Salaam Kii
Yahii.N To Baat Ho Rahii Hai Kaam Kii
Koi To Mu.D Ke Dekh Legaa Is Taraf
Koi Nazar To Hogii Mere Naam Kii
Pukaarataa Chalaa Huu.N Mai.N

Sunii Merii Sadaa To Kis Yaqiin Se
Ghataa Utar Ke Aa Gayii Zamiin Pe
Rahii Yahii Lagan To Ai Dil\-E\-Javaa.N
Asar Bhii Ho Rahegaa Ik Hasiin Pe
Pukaarataa Chalaa Huu.N Mai.N
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #342 on: December 07, 2006, 09:06:21 AM »
Movie: Dosti

Chahoonga Maein Tujhe Saanjh Sawere
Phir Bhi Kabhi Ab Naam Ko Tere
Aawaaz Maein Na Doonga

Dekh Mujhe Sab Hai Pata
Sunta Hai Tu Man Ki Sada
Mitwa...Mere Yaar
Tujhko Baar Baar
Aawaaz Maein Na Doonga...

Dard Bhi Tu, Chain Bhi Tu
Daras Bhi Tu, Nain Bhi Tu
Mitwa...Mere Yaar
Tujhko Baar Baar
Aawaaz Maein Na Doonga...
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #343 on: December 07, 2006, 09:09:20 AM »
Movie: Suraj

Hm hm hm, mm mm
(Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai) - 2
Hawaaon raagini gaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
O laali phool ki mehndi laga in gore haathon mein - 2
Utar aa ae ghata kaajal laga in pyaari aankhon mein
Sitaaron maang bhar jaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Nazaaron har taraf ab taan do ek noor ki chaadar - 2
Bada sharmila dilbar hai, chala jaaye na sharmaakar
Zara tum dil ko behlaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehbooba aaya hai
Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Sajaayi hai jawaan kaliyon ne ab yeh sej ulfat ki - 2
Inhe maaloom tha aayegi ek din ruth mohabbat ki
Fizaaon rang bikhraao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Hawaaon raagini gaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #344 on: December 07, 2006, 09:18:57 AM »
Movie: Sanjog

Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi -2
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi -2
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Kahan se phir chale aaye, yeh kuchh bhatke hue saaye
Yeh kuchh bhoole hue nagme, jo mere pyaar ne gaye
Yeh kuchh bhichhdi hui yaadein, yeh kuchh toote hue sapne
Paraaye ho gaye to kya, kabhi yeh bhi to the apne
Na jaane inse kyun milkar, nazar sharma gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Ummeedon ke haseen mele, tamannaaon ke woh rele
Nigaahon ne nigaahon se, ajab kuchh khel the khele
Hawa mein zulf lehrayi, nazar pe bekhudi chhaai
Khule the dil ke darwaaze, mohabbat bhi chali aayi
Tamannaaon ki duniya par, jawaani chhaa gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi

Bade rangeen zamaane the, taraane hi taraane the
Magar ab poochhta hai dil, woh din the yaa fasaane the
Faqat ik yaad hai baaki, bas ik fariyaad hai baaki
Woh khusiyan loot gayi lekin, dil-ye-barbaad hai baaki
Kahan the zindagi meri, kahan par aa gayi
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi
Nazar ke saamne ghata si chhaa gayi -2
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gayi..
Logged
Pages: 1 ... 19 20 21 22 [23] 24 25 26 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 10, 2024, 06:49:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer