***Romantic Songs*******

by Friend_4uall on February 06, 2005, 02:47:25 PM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11
Print
Author  (Read 12371 times)
Friend_4uall
Guest
«Reply #135 on: April 24, 2005, 07:29:22 AM »
Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye  
Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye  
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Tere liye, tere liye  
Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye  
Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye  
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Tere liye, tere liye  
 
 
Aa......  
Zindagi, le ke aayi hai, beete dinon ki kitaab
Ghere hain, ab hamein, yaadein be-hisaab  
Bin poochhe, mile mujhe, kitne saare jawaab
Chaaha tha kya, paaya hai kya, hamne dekhiye  
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Tere liye, tere liye  
 
 
Kya kahoon, duniya ne kiya, mujh se kaisa bair
Hukam tha, main jiyun, lekin tere baghair  
Naadaan hai woh, kehte hain jo, mere liye tum ho ghair
Kitne sitam, hampe sanam, logon ne kiye  
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Tere liye, tere liye  
Tere liye, ham hain jiye, honton ko siye  
Tere liye, ham hain jiye, har aansoo piye  
Dil mein magar, jalte rahe, chaahat ke diye
Tere liye, tere liye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
world`s best romantic shayari by sachin_9810****** in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
romantic sms by shivani(9899207979) in SMS , mobile & JOKES
romantic साँसे by anjaanajnabi in Miscellaneous Shayri
Lata & Rafi sb's romantic song (60's) by suman59 in Share Video
BEDARD - (A Romantic Thriller story) by asif biswas in General Stories « 1 2 3  All »
kavita_aashiqui
Guest
«Reply #136 on: April 30, 2005, 12:26:01 PM »
bahut pyaar karate hai.n, tumako sanam (2)
qasam chaahe le lo (2)
khudaa kii qasam

hame.n har gha.Dii, aarazuu hai tumhaarii (2)
hotii hai kaisii, sanam beqaraarii
mile.nge jo tumako to (2)
bataaye.nge ham
bahut pyaar karte hai tumse sanam.................

hamaarii Gazal hai, tassavur tumhaaraa (2)
tumhaare binaa ab, naa jiinaa hamaaraa
tumhe yuu.n hii chaahe.nge (2)
jab tak hai dam
bahut pyaar karte hai tumse sanam.................
saagar kii baaho.n me.n, mauje.n hai.n jitanii (2)
hamako bhii tumase, muhabbat hai utanii
ke ye beqaraarii naa (2)
ab hogii kam
bahut pyaar karte hai tumse sanam.................
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #137 on: April 30, 2005, 04:31:41 PM »
wow  nice  songs..........desikurri..........Sour Grape
friend..........kavita.........

ur  welcome to  "Yoindia"  kavite..........:lol:
Logged
kavita_aashiqui
Guest
«Reply #138 on: May 02, 2005, 07:17:45 AM »
shukriya waheed ji,
meri post aapko acchi lagi, aapne reply diya,
shukriya............. Usual Smile
Logged
kavita_aashiqui
Guest
«Reply #139 on: May 04, 2005, 06:45:26 AM »
Prem Meri Aankhon Mein Hain
Prem Meri Saason Mein Hain
Prem Mere Hoto Pe Hain
Prem Meri Baaton Mein Hain
Bani Bani Bani Re Bani
Prem Deewani Bani
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Lagi Lagi Lagi Re Lagi
Prem Ki Dhun Lagi
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Prem Meri Aankhon Mein Hain
Prem Meri Saason Mein Hain

Auron Ke Chehre Main Dekhun Chehra Jiska Jiska Jiska
Auron Ke Sang Jodti Hoon Main Naam Uska
Hoto Pe Maine Sajaya Hai Har Geet Jiska Jiska Jiska
Nas Nas Mein Meri Samaya Hai Pyaar Uska
Prem Mere Apnon Mein Hai
Prem Mere Sapnon Mein Hai
Prem Meri Palkon Mein Hai
Prem Meri Alkon Mein Hai
Saji Saji Saji Re Saji
Prem Ke Liye Saji
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Prem Mere Hoto Pe Hain
Prem Meri Baaton Mein Hain
Kehna Hai Kehna Hai Kehna Hai Aaj Tujhse Tujhse Tujhse
Le Jana Le Jana Le Jana Mujhko Mujhse
Baithi Huvi Hoon Main Tere Liye Hai Kab Se Kab Se Kab Se
Tujhse Kahan Hain To Kehdoongi Main Ja Ke Sab Se
Prem Meri Dhadkan Mein Hain
Prem Meri Tadpan Mein Hain
Prem Mere Mann Mein Hain
Prem Mere Tan Mein Hain
Chali Chali Chali Re Chali
Prem Se Milne Chali
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Bani Bani Bani Re Bani
Prem Deewani Bani
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Lagi Lagi Lagi Re Lagi
Prem Ki Dhun Lagi
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Prem Meri Aankhon Mein Hain
Prem Meri Saason Mein Hain
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #140 on: May 06, 2005, 09:06:22 AM »
Quote from: "kavita_aashiqui"
Prem Meri Aankhon Mein Hain
Prem Meri Saason Mein Hain
Prem Mere Hoto Pe Hain
Prem Meri Baaton Mein Hain
Bani Bani Bani Re Bani
Prem Deewani Bani
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Lagi Lagi Lagi Re Lagi
Prem Ki Dhun Lagi
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Prem Meri Aankhon Mein Hain
Prem Meri Saason Mein Hain

Auron Ke Chehre Main Dekhun Chehra Jiska Jiska Jiska
Auron Ke Sang Jodti Hoon Main Naam Uska
Hoto Pe Maine Sajaya Hai Har Geet Jiska Jiska Jiska
Nas Nas Mein Meri Samaya Hai Pyaar Uska
Prem Mere Apnon Mein Hai
Prem Mere Sapnon Mein Hai
Prem Meri Palkon Mein Hai
Prem Meri Alkon Mein Hai
Saji Saji Saji Re Saji
Prem Ke Liye Saji
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Prem Mere Hoto Pe Hain
Prem Meri Baaton Mein Hain
Kehna Hai Kehna Hai Kehna Hai Aaj Tujhse Tujhse Tujhse
Le Jana Le Jana Le Jana Mujhko Mujhse
Baithi Huvi Hoon Main Tere Liye Hai Kab Se Kab Se Kab Se
Tujhse Kahan Hain To Kehdoongi Main Ja Ke Sab Se
Prem Meri Dhadkan Mein Hain
Prem Meri Tadpan Mein Hain
Prem Mere Mann Mein Hain
Prem Mere Tan Mein Hain
Chali Chali Chali Re Chali
Prem Se Milne Chali
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Bani Bani Bani Re Bani
Prem Deewani Bani
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Lagi Lagi Lagi Re Lagi
Prem Ki Dhun Lagi
Ab Kya Kare Dil Deewana
Hai Ab Kya Kare Dil Deewana
Prem Meri Aankhon Mein Hain
Prem Meri Saason Mein Hain


ur  welcome  kavita....................nice  song  once  again..............tongue3
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #141 on: May 29, 2005, 11:35:47 AM »
Na jaane kyon, hota hai yeh zindagi ke saath
achanak ye man
kisi ke jaane ke baad, kare phir usiki yaad
chhoti chhoti si baat,  na jaane kyon

vo anjaan pal
Dhal gaye kal, aaj vo
rang badal badal,  man ko machal machal
rahen, na chal na jaane kyon, vo anjaan pal
tere bina mere nainon me
Toote re haay re sapanon ke mahal
na jaane kyon, hota hai yeh zindagi ke saath ...

vahi hai dagar
vahi hai safar, hai nahin
saath mere magar,  ab mera hamsafar
dhoonde nazar na jaane kyon, vahi hai dagar
kahaa gaeen shamen madabhari
vo mere, mere vo din gaye kidhar
na jaane kyon, hota hai yeh zindagi ke saath ...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #142 on: May 29, 2005, 11:37:19 AM »
(Jaaneman jaaneman tere do nayan
Chori chori leke gaye dekho mera man
Jaaneman jaaneman jaaneman
Mere do nayan, chor nahi sajan
Tumse hi khoya hoga kahi tumhaara man
Jaaneman jaaneman jaaneman)

(Tod de dilo ki doori, aisi kya hai majboori
Dil dil se milne de
Jaa, abhi to huwi hai yaari, abhi se hi beqaraari
Din to zara dhhalne de)
Yahi sunte, samajhte, guzar gaye jaane kitne hi saawan
Jaaneman jaaneman...
Mere do nayan…

(Sang sang chale mere, maare aage peechhe phere
Samjhu main tere iraade
Doshh tera hai ye to, har din jab dekho
Karti ho jhoothhe waade
Tu na jaane, diwaane, dikhaau tujhe kaise main ye dil ki lagan
Jaaneman jaaneman ...  
La la ..., Mere do nayan…

(Chhedenge kabhi na tumhe, zara batlaado hame,
Kab tak ham tarsenge
Aise ghabhraao nahi, kabhi to kahi na kahi
Baadal ye barsenge)
Kya karenge baraske, ke jab murjhaayega ye saara chaman
Jaaneman jaaneman...  
La la ..., Mere do nayan...
Logged
Talat
Guest
«Reply #143 on: May 30, 2005, 08:29:24 AM »
Tum agar saath dene ka waada karo
Main yunhi mast naghme lutata rahun
Tum mujhe dekhkar muskurati raho
Main tumhe dekhar geet gaata rahun..

Kitne jalwe fizaaon main bikhre magar
Humne ab tak kisi ko pukara nahin
Tumko dekha to nazren ye kehne lageen
Humko chehre se hatna gawara nahin
Tum agar meri nazron ke aage raho
Main har ek shai se nazren churata rahun...

Maine khwaabon main barson tarasha jise
Tum wohi sang-e-marmar ki tasveer ho
Tum na samjho tumhara muqaddar hoon main
Main samajhta hoon tum meri taqdeer ho
Tum agar mujh ko apna samajhne lago
Main baharon ki mehfil sajata rahun...

Main akela bohot der chalta raha
Ab safar zindagani ka kat ta nahin
Jab talak koi rangeen sahara na ho
Waqt kaafir jawani ka kat ta nahin
Tum agar humqadam ban ke chalti raho
Main zameen par sitaare bichata rahun

Tum agar saath dene ka waada karo
Main yunhi mast naghme lutata rahun
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #144 on: June 05, 2005, 06:20:50 PM »
[/b]
Pal pal dil ke paas tum rehti ho
Jivan mithi pyas yeh kehti ho

Har shaam aankhon par tera aanchal lehraye
Har raat yaadon ki baarat le aaye
Main saans leta hoon teri khooshboo aati hai
Ik mehka mehka sa paigaam lati hai
Mere dil ki dhadkan bhi tere geet gaati hai

Kal tujhko dekha tha maine apne aangan main
Jaise keh rahi thi tum mujhe bandh lo bandhan mein
Yeh kaisa rishta hai Ye kaise sapne hai
Baigaane hokar bhi, kyun lagte apne hai
Main soch main rehta hoon,dar dar ke kehta hoon

Tum sochogi kyun itna main tumse pyar karoon
Tum samjhogi deewana main bhi ikraar karoon
Deewanon ki ye baatein Deewanei jaante hai
Jalne main kya maza hai parwane jaante hai
Tum yuhin jalaaye rakhna aa aa kar khwabon mein
Logged
Talat
Guest
«Reply #145 on: June 13, 2005, 05:38:01 PM »
Aapke haseen rukh pe aaj naya noor hai
Jo mere dil machal gaya to mera kya qusoor hai
Aapki nigah ne kaha to kuch zuroor hai
Jo mere dil machal gaya to mera kya qusoor hai

Khuli laton ki chaanv me khila khila sa roop hai
Ghata pe jaise chaa rahi subah subah ki dhoop hai
Jidhar mazar murhi udhar suroor hi suroor hai
Jo mere dil machal gaya to mera kya qusoor hai

Jhuki jhuki nigah me bhi hain gazab ki shokhiyaan
Dabi dabi hansi me bhi tadap rahi hain bijliyaan
Shabab aapka nashe main khud hi choor choor hai
Jo mere dil machal gaya to mera kya qusoor hai

Jahan jahan parhe qadam wahan fiza badal gayi
Ki jaise sar-basar bahaar aap me hi dhal gayi
Kisi me ye kashish kahan jo aap main huzoor hai
Jo mere dil machal gaya to mera kya qusoor hai
Logged
sadaf idrisi
Guest
«Reply #146 on: July 06, 2005, 11:32:02 AM »
this one is my fav. song
too is tarah se meri zindagi mein shaamil hai
jahan bhi jaaon  ye lagta hai teri mehfil hai
Logged
tamana
Guest
«Reply #147 on: July 14, 2005, 01:08:20 PM »
mehboob mere mehboob mere
yu hai to duniya kitni haseen hai
jo tu nahi to kuch bhi nahi hai
tu ho to bher jaati hai keemat mosam ki
ye jo teri aaknahin hain shola shambanm c
Logged
Imaandaar
Guest
«Reply #148 on: August 18, 2005, 11:28:19 AM »
Film - Shabnam
Singers - Vinod Rathod & Anuradha
Music - Anu Malik
Lyrics - Faaiz Anwar

Tera naam likh kar haathon pe
hum chooma karte hai, mujhe
pyaar tujse behadh hai kehne
se darte hai.........
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #149 on: October 29, 2005, 08:52:22 PM »
Shaam-E-Gham Ki Qasam Aaj Ghamgin Hain Hum
Aa Bhi Jaa Aa Bhi Jaa Aaj Mere Sanam
Shaam-E-Gham Ki Qasam
Dil Pareshaan Hain Raat Veeraan Hai
Dekh Jaa Kis Tarah Aaj Tanha Hain Hum
Shaam-E-Gham Ki Qasam

Chain Kaisa Jo Pehlu Mein Tu Hi Nahin
Maar Daale Na Dard-E-Judaai Kahin
Rut Haseen Hain To Kya Chandni Hai To Kya
Chandni Zulm Hai Aur Judaai Sitam
Shaam-E-Gham Ki Qasam

Ab To Aaja Ke Ab Raat Bhi So Gai
Zindagi Gham Ke Sehraav Mein Kho Gai
Dhoondhti Hai Nazar Tu Kahaan Hai Magar
Dekhte Dekhte Aaya Aankhon Mein Num
Shaam-E-Gham Ki Qasam
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 16, 2024, 03:33:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer