BEDARD - (A Romantic Thriller story)

by asif biswas on January 02, 2019, 05:48:51 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 6803 times)
asif biswas
Guest
Dosto swagat karta hoo aur aapsabko salaam karta hoo fhir ek baar aapka ye purana writer asif aapke paas dobara laut aaya hai...apni ek nayi kahani ke saath...is baar meri peshkash thriller love story hai aur main tehdil se shukraguzar hoo ek baar fhir yoindia forum ka...ki jisne mujhe apni nayi kahani prastut karne ka ye marg ye platform diya...iske madhyam se aaj main aap sabse juda hoo...aap sabko naye saal ki bhi mubarakbad deta hoo yun toh naya saal humhe khushiya deta hai to kisi ko dukh koi nahi janta kab kya zindagi mein mor aa jaye isliye kabhi waqt ko dosh nahi dena chahiye....

saal 2010 se apni kahaniya maine is platform se pehli shuru ki thi jiska naam tha khooni dil aur aap sab jante hai ki main har genre pe apni kahani likha hoo kuch is platform ke madhyam se shuruwat se aur kuch anay platform ke madhyam se oosi mein se mere sabse kareeb jo tha wo site shut down ho gaya aur meri keemati kul 20 se upar kahaniya ooske saath khatam hogayi is baat ne mujhe is qadr tod diya ki aapka writer kalam hamesha hamesha ke liye chodh dene ko tayyar ho gaya tha...

lekin aapke comments aapke support mujhe hamesha rahe hai isliye ye writer aaj fhir aap logo ke dar par hai  notworthy toh zyada dair na karte huye meri nayi kahani jo ki horror ke itne saal baad publish ki jaa rahi yahan par shayad agli thriller love story kehlaayegi 2018 mein maine hifazat likhi thi aur is baar puran roop se ek nayi kahani aapke paas lekar aaya hoo jismein nafrat thrill love action sabkuch hoga aur aap logo se haath jodke request karta hoo ki please please mujhe support kare aur ho sake to har post ke baad apne sujhav ya review zarur de ek chota comment bhi mujhe puri sahanubhuti deta hai...keh nahi sakta ki is kahani ke baad bhi aur koi kahani main likh paunga in future fhir bhi ek koshish hai khud ko barqarar is platform par rakhne ki aur apne kalam aur daastano ko zinda rakhne ki so thank u so much guys and keep read it fully as previous of mine stories.... read2


This story is a fictional story any characters,places,events are purely written in the story and by the fantasy of writer's mind....kahani ke paatra ghatnaaye pure tarike se kaalpanik hai inka asal zindagi se koi matlab nahi...kahani kisi ko thes pahuchaane ke liye nahi likhi gayi hai kewal manoranjan hetu ek choti si peshkash hai...kisi bhi tarike ka koi bhi copy paste story nahi hai aur pure original hai just like my previous work umeed karta hoo aapko pasand aaye dhanaywaad... Thumbs UP


Logged
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: January 02, 2019, 06:00:05 PM »
Bedard hai teri mohabbat…
Ki tera mujhse pyar karna bhi julm sa lage..
Bedard hai teri nafrat….
Ki tujhse bewafai karne mein bhi Khauff sa lage…
Bedard hai tu..
Ki tujhse mohabbat karna bhi mujhe saza sa lage…


Kehte hai ki mohabbat karne mein bhi ek sukoon hai apne mein bhi ek maza hai jisne zindagi mein kabhi kisi se mohabbat nahi kari to samjhiye ki oosne zindagi mein kabhi bhi apne dil ko tatolke ye nahi samjha ki dil hota hi hai mohabbat karne ke liye…lekin har kahani har love story zaruri nahi ki ek happy beginning se hi shuru ho…kabhi kabhi mohabbat ki shuruwat nafrat se hi hoti hai aur nafrat se kabhi bhi koi insaan apna dil nahi laga sakta….lekin agar oos nafrat ne hi apne bedard dil mein mohabbat ko jagah de di toh fhir kya hoga?

Shaam ka suraj dhal raha tha…..aur hawaye bahut tej chal rahi thi oos veeran khuli waadiyo mein ekdum chuppi khaamoshi thi siwaay ho ho karti oon hawaao ke….oos pahadh ke theek saamne jaha ek or suraj dubte huye dikh raha tha…wohi charo taraf badal aasman ko samaitte huye thi….tej hawao se charo taraf ki hari bhari waadiya jaise sarobaar thi….lekin oos khushhaal pal mein jaise kisi ka dil subak raha tha…ek ladki oosi pahadi pe khari dhalte suraj ko nahi jaise apne dubte umeedo ko sochte huye kisi gehri yaad mein ro rahi thi…ooski khubsurat neeli aankho se jo aansu niche parvat ke zameen pe gir rahe they to aisa lag rha tha jaise zameen par motiya bikharkar chalak padi ho…

Hawao se ooske zulfein ooske chehre pe jaise baar baar gir rahe they jinhein samaitte huye wo bas royein jaa rahi thi…ooske khubsurat chehre pe ek dehshat si thi..baar baar yahi soch mein idhar udhar khauff se siharte huye is khubsurat waadiyo mein jaise kisi ke aa jane ka khauff oose sata raha tha…ooske gaal ke paas bhi khoon ka laal nishaan se pad chuke they aur gale ke kareeb bhi kisi ke haatho ke nishaan they…yakeenan kisi berehem insaan ke julm they wohh… kapro par silvatein pad chuki thi maano jaise kayi din se oosne oon kapro ko pehen rakha tha….honth khuskh padh chuke they aankho ke niche kaala ghera sa ban chuka tha maano kayi raaton tak jaise oosne neend li hi na ho…

Khaufff se siharte huye oos dur kisi ke aane ki aahat si huyi to wohh bhauklaaye ghabraate huye ek bare se patthar ke aar mein jaa chipi…ooska andaza sahi tha ek aad gunde waha khade idhar udhar apni gusse bhari nazarein fhairte huye jaise oosi ki talash mein they…..’lagta hai wo yahi se bhaagi hai’………..’saali bhaag ke jaayegi bhi kahan? Oos taraf toh highway hai aur oosse aage dusre sheher jaane ka bridge aur is taraf jungle aur nadi aur ab to raat bhi hone ko hai aakhir kahan tak bhatkegi?’………..oon dono ki aapsi baaton ko sunkar jaise chupii wo ladki khauff se kayi zyada kaanp uthi sach mein ooske paas bhaagne ka koi rasta ab nahi bacha tha….

Wo dono bina oos patthar ki or dekhe aage badh gaye….jabtak wo gaye honge tabtak wo chupi rahi…lekin aisa kabtakchalta? Ab andhera aasman pe haavi hone laga tha….dheere dheere jaise taise oon gundo se oose azaadi to mil gayi lekin bhaagkar jaana bhi ab kahan tha? ab ooski manzil thi hi kahan? Jo kuch ooske saath beeta tha jo haseen pal ke liye wo yaha apne desh ko chodhkar aayi thi oose yakeen nahi ho raha tha ki sabkuch ooska yun cheen liya jaayega….ooska sabkuch cheen chuka tha aur iska zimmedar tha wo bedard insaan…jisne oose bhaagne pe mazbur kiya….jisne oosse naa hi sirf ooske waapis jaane ka haq cheen liya balki ooske pyaar ko bhi oosse cheen liya tha jiska dukh apne dil mein samaite aur oos bedard ka dil mein dehshat liye wo abtak sirf oosi se bhaag rahi thi…oosi ke khauff se syeda bhaag rahi thi haan ooska naam syeda tha….

Na jaane oosne kitna lamba rasta abtak shaam se tayy kiya tha….chupte chupaate huye paido ki aado se wo baar baar charo or dekh rahi thi aisa lag raha tha jaise ab bhi wo gunde ooske piche ho…..syeda bhaagte huye jungle ke bheetar pravesh kar chuki thi….kahi dur kisi siyaar ki rone ki awaz ne oose bahut daraa diya tha…oosne palatkar siyaar ki oos awaz ko dur se aate mehsus kiya…fhir tez kadmo se aage badhne lagi ooske kadamo ke niche sukhe patto ki tutne ki jo awazein ooske kaano mein reh rehke aa rahi thi oonmein oose kisi aur ke bhi aahat jaise mehsus ho rahe they oosne palatkar piche jhaanka toh waha neemandhere oose koi bhi nahi dikha….osoke paas koi samaan nahi tha…siwaay ek chote purse ke jise wo kapro ke bheetar dabaye huye chal rahi thi…achanak oose saanp ki fhunkarne ki awaz si sunai di

Ooske kadam wohi jam gaye…oosne jab apne nazaro ko upar uthaya to oose ahesas hua ki wo kisi ghane jungle ki beech fasi huyi thi…lambe lambe paid jaise ooski or hi jhuke huye se they…ek purane paid ke tehni par bas ooske sar se kuch faasle hi upar hoga oospar ek vishaalkaaye lamba saanp tha jo apni jeeb nikaale syeda ki hi taraf jaise dassne ko kisi bhi pal tayyar tha…syed ki aankho se aansu ka qatra beh nikla aur oosi pal ooski tej cheekh uthi sanp ke ooske maathe pe dassne pehle hi syeda niche jhuk gayi aur utni hi tej kadmo se lagbhag ghutno ke bal hi jhukte huye wo chillakar waha se daud padi…daudte daudte jab ooske pair ne jawab de diya…tohh sidha ek ped ki aad mein syeda gir padi…

Oose halki si jalan mehsus huyi oosne apni kalaiyo ko dekha jin gori kalaiyo pe jungle ki kaantedar tehniyo se jhunjhne se kalaiya ird gird cheel si gayi thi oon zakhmo se ris ris ke khoon beh raha tha…syeda fhunkte huye subakte huye bas charo taraf ke manzar ko dekh rahi thi….ab jaise ooski umeed tutti jaa rahi thi ab bachne ka koi bhi rasta na tha….waapis sheher jaane ka matlab tha ki dobara oos bedard insaan ke haatho aa jana jisne ooske pyaar ko maar diya tha jis marte huye oos laash se syeda ne wada kiya tha ki allah ooska inteqam oos bedard insaan se zarur lega….syeda jaise apne soch se ubhar aayi..

Oose ahesas hua ki wo ab kayi dur aa chuki hai….kaise apne maa-baap ke paas wo jaa pati? Kaise oonse contact kar paati ooske paas to phone tak nahi tha sab saaman tohh ooske nazaro ke saamne hi oos bedard ne jala diya th kaise apne bahari desh se hone ka sabut de paati wo bechari kaun ooski madad kar pata? Ab syeda ko samajh aa chuka tha ki ab ooska waapis jaana namumkin ho chuka tha….ooska sabkuch kho chuka tha aur sabse badhkar ooski mohabbat jisne ooske haatho mein hi apna dum toda tha….ek baar oos chehre ko syeda ne yaad kiya to jaise tehri aankho mein fhirse aansu ubal pade…

‘syeddaaa’………

’tarriquee plsss muj..jhee choddhkke m..att jaooo’………syeda ro rahi thi aur marte tarique ke khoon se sane chehre ko apne kaanpte haatho mein liye oose baar baar jaise jhinjodh rahi thi lekin ooske pyaar taarique ne ooske chehre pe mehez haath rakha hi tha ki oosi pal oosne dum tod diya aur ooska haath zameen pe gir pada….

’tarrriqqueee’……….khub kajele se lipatkar royi thi wohh kuch aur pal oos laash ke saath bita bhi na paayi ki wo bedard insaan ooske saamne aa khada hua…

Ooske chehre ko dekhte huye syeda khauff se sihar uthi….achanak se syeda ko hosh aaya oosne apne dono haatho ko gaur kiya khoon ka dhabba ab bhi ooske haath mein sukh chuka tha….syeda ne apne aansu ponche aur khauff se siharte huye achanak ooski nigaah saamne ki or huyi dur oose ek roshni dikhaai di…

Syeda apne pairo mein taqat jutate huye uth khadi huyi wo chalte huye oos roshni ki kareeb aane lagi….ab jungle se wo bahar thi aur nadi ke chorr par khadi thi jaha dusri ….aur wo roshni fhatak ke oos or ki lights ki thi….aur saamne thi ganga nadi jiska koi kinaara oos paar ka nahi dikh raha tha….jis nadi ke oos paar  jaane se jaha ek taraf sagar tha toh dusri or hi Bangladesh jaane ka raasta…apne watan se itna kareeb hote huye bhi syeda chahkar bhi waapis oos or nahi jaa sakti thi ooske liye oos nadi se guzarna hota aur tairna wo bhi itni gehri nadi mein yakeenan bewakufi hi kehlata…syeda tohh tairna bhi nahi janti thi…dusri or oose dur fhatak se gir raha wo paani dikhaai diya…nadi oos waqt hilore maar raha tha oos waqt oosmein bahaav bahut zyada tha sardi ki halki halki dhundh aane lagi thi….jis wajah se oospar yakeenan kisi ka tawajjoh nahi gaya aur oos waqt syeda ko charo taraf neem andhera khaamoshi aur siwaay uparke oos bridge ke aur kuch nahi dikh raha tha oose samajh aaya ki wo gundey kis bridge ka zikar kar rahe they matlab oos bridge se oos or jaana matlab dusre sheher ka rasta aur niche….dur wo behta paani ka sailaab jo oos baandh mein girte huye ooske theek saamne nadi mein beh jaa raha tha…

Syeda reh rehke ab soch rahi thi ki ab ooska koi kinara nahi raha tha….waapis jaana toh tha hi nahi balki kisi madad oose fhir kisi naye musibat mein daal sakti thi waise hi oose akela paakar wo gunde ooske piche lag gaye they to na jaane ab kaun nayi musibat baahein bichaaye ooske liye intejaar kar rahi ho? wo upar bridge tak jaa zarur sakti thi lekin waha se wo kisi bhi police army ya kisi bhi raah chalte shaks se bhait khaa sakti thi toh ooska pakade jaana to tayy tha aur apne maasumiyat ka sabut dene ka bhi koi sabut ooske paas nahi tha ki wo Bangladesh se as a tourist visa par aayi thi…..log oose refugee hi maante officer bhi oospe yakeen na karte oose kahi se bhaagi huyi ladki samajhte…ooska haal bhi kuch is qadar kharab ho gaya tha ki wo syeda hi koi pechan bhi nahi sakta tha siwaay is baat ke abtak wo raahat mein thi ki ooski ekmaatra daulat ooski izzat mehfuz thi...lekin oosi ka darr oose har pal laga tha….jo gunde ooske piche lage they wo yakeenan ooski izzat lutkar oose baich dene ke hi firaaq mein they lekin syeda oonse bach nikli thi…ooska ekmaatra sahara ooska pyaar ooske paas nahi tha…na hi wo dost ooske sang aayi thi oonke paas jaana matlab wapis sheher jaana tha aur oontak pahuchne se pehle hi oos bedard insaan ke fhir changul mein kaid ho jana tha…kyunki ooski harpal oospar nazar thi….ooski dost bhi shayad seheme huye kuch kar nahi sakti thi kyunki wo janti thi ki oos bedard insaan ki pahuch oonke pahuch se kayi zyada thi….oonka ooske against ho jana oonhein maut ke dagar pe khada kar sakta tha isliye abtak oon logo ke liye koi hal nahi nikaala tha…oonhein to yahi laga hoga ki syeda bhi tarique ke saath maar di gayi hogi ya utha li gayi hogi…

Naumeed se hote huye syeda ne faisla kar liya ki wo paani mein kudkar oosi nadi mein chalang lagake apni jaan de degi….ye sochte huye hi ek baar ooska dil kaanp utha…wo bahut gehri nadi tha….agar dub gayi to na jaane behkar kahan ooski laash jaayegi? Lekin beti ke gumshuda hona ooski laash se toh behtar tha…..warna ooske maa-baba ye sadma bardasht na kar paayenge…sirf yahi umeed liye rahenge ki wo kahi hai par zinda hai…

Syeda ne aehed kar liya tha ki ab wo apni jaan de degi…oosne ek baar apne maa-baba ko yad kiya lekin oonhein dekh paane ki aakhri khwahish bhi ooski adhuri reh gayi ooski saari tasveerein ooske phone mein tha jo ooske baaki samaano ke saath jala di jaa chuki thi….ek baar syeda ke aankho mein aansu ubal gaye oonhein bina dekh paane ke….oosne rote huye apne purse se oos tasveer ko nikaala jo ooski aur tarique ki wo khushnuma pal ke they jo oonhone ek saath bitaaye they ye wohi tasveer thi jise apne dil ke kareeb rakhne ka vaada kiye tarique se syeda ne harpal apne paas rakha hua tha…ise wo bedard insaan jala na paaya tha…syeda aansu bahate huye oose apne seene se lagaye ro padi…fhir oose nadi ki awaz apne kaano mein sunaai di…ooske chehre pe gambhirta si aa gayi oosne oos tasveer ko jaise apne purse mein oosne dobara samait diya…aur fhir oose waapis apne kapro mein fasaate huye oosne apne aansuyo ko apne chhere se poncha aur fhir oos gehri nadi mein dhalaan se kudne ke liye kadam aage badhaaye….kuch faasle hi ooske kadam they…oosne puri saas bharte huye jaise chalang lagane ke liye khud ke sharer ko aage ki taraf dhakela hi tha ki tabhi majhdar mein kisi ne ooske haath ko kasske thaam liya aur oose abhi ahesas oos saqt haath ka hua hi tha ki itne mein utni hi taqat se oos haath ne oose apni or kheech liya…

(kaun tha ye jisne oos beech majhdaar mein aakar syeda ka haath thaama tha ? kya ye wohi gundey they ya fhir wohi bedard insaan jisse bachne ki naakam koshish syeda oosse bhaagkar kar rahi thi? Kyu maara tha oosne syeda ke pyaar ko aakhir kya kahani thi syeda ki? Aur kaun tha ye bedard insaan? Jawab agle kadi mein)

To be continued…….





Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: January 03, 2019, 03:58:59 PM »

Syeda ka shareer nadi ke oos behte bahaav mein gir jaane hi wala tha…ki tabhi piche se kisi ke saqt haath ne girti syeda ki kalaai ko thaam liya…syeda abhi aaundhe munh nadi mein girne hi waali thi ki wo ekdum se hadbada uthi oose khud ke girne mein rukawat si aayi...oose ahesas abhi kisi ke mazbut haatho ka apne kalai pe hua hi tha…ki oos haath ne oose utni hi taqat se apni or kheech liya…syeda dobara dhalaan ki or waapis jaise uth aayi…aur theek oosi pal syeda ki peeth oos saqt haath thaamein shaks ke badan se jaa takraayi..syeda abtak samajh chuki thi ki kisi ne oose khudkhushi karne se rok diya tha…syeda aur wo shaks sidha zameen pe gir pade…kyunki jitni taqat se oos shaks ne syeda ko kheecha tha nadi mein gir jaane se..utna hi taqat se syeda ka badan oosse jaa takraya tha…syeda apni kalai ko thaamein hadbadaye oos shaks ki taraf apni nazaro ko modti hai….tohh wo shaks oose hi dekhta pata hai…

Syeda ek pal ke liye bahut zyada siham jaati hai kyunki ye wo shaks nahi tha…jisse syeda nakam koshish kar rahi thi abtak bhaagne ki aur naa hi ye wo gundey they jinke chehro ko abtak bhule na paayi thi syeda…wo shaks gora kad kathi ka lamba tha jiske baal gunghrele they aur chehre pe ugti dhaadi thi…ooski aankho mein syeda ko dekhke aprichit aur oosse bhi zyada sawalat they….syeda ek pal ko ooske nigaaho ko bas dekhti jaa rahi thi…wo shaks bhi khaamosh tha…itne mein syeda ko ahesas hua ki wo kis haalat mein thi..

Syeda ne hadbadate huye oos shaks ko apne se dur jaise dhakela…shaks abtak khada ho chuka tha…oosne apne kapre jhaare aur syeda ko fhirse sawalat bhare nazaro se ghurrne laga….ooske maathe pe shikhar thi….’dur raho mujhsse mujhhe kyuu girne nahi diya kyu bachaya mujhe? Jawab do’

Shaks kehna to chah raha tha lekin  syeda ke sawalat jaise khatam hi nahi ho rahe they wo chilla rahi thi ro rahi thi jaise oose saqt shaks pe gussa aa gaya ho…’’ek minute shaant ho arre maine kaha shaant ho jao hey hey’’………….is baar virodh karti syeda oose apne kareeb bhi aane dena nahi chah rahi thi wo haath oospar chalane lagi..

Lekin shaks ne ooske dono haatho ko kasske thama liya……’shut up chuppp ekdum chupp’………is baar shaks ki awaz jaise syeda ko bhaari aur gussail hoti sunaai di…oosi pal oos shaks ne ooske hontho par mazbuti se apna haath rakh diya tha….syeda siham uthi

‘’arre kam se kam mere sawaal ka jawab to do aise marrne kyu jaa rahi thi tum? Khair main ye baat puchne wala hota hi kaun hoo?’’………….shaks ka gussa ek pal ko fhir jaise shaant ho gaya syeda bhi shaant ho chuki thi…shaks ne ooske hontho se haath hataya

‘’saala apun aaya tha yaha khud suicide karne aur dekho toh yaha toh suicide karne ke liye pehle hi koi aa khadi hai hahahaha’’………..shaks tahaka lagaye hass pada

Syeda oose khaamoshi se chupchaap ghurr rahi thi….jab shaks ne hassna band kiya to dobara ooske chehre pe shikhar daud aayi oosne ek baar fhir syeda ki or dekha…’’khair naam kya hai tumhara?’’……..syeda sihamte huye oose dekh rahi thi par wo shaant thi aur koi jawab nahi de rahi thi

‘’accha naam nahi batana tohh theek hai mat batao lekin wajah kya thi? Jo marrne ke liye itne raat gaye yaha aayi koi boyfriend ka dhokha diya tumko…hmmm maa-baba kahi aur shaadi karwana chah rahe they yahi na hahaha yaha bhalobasha pyaar in sabko leke aisa hi hota rehta hai apun janta hai lekin sach kahu toh ye mohabbat pyaar sach mein lafda hai kuch nahi milata siwaay dukh dard taqleef ke..apun keh raha hai na abhi tum yaha se suicide kar logi maa-baba do chaar aansu bahayenge fhir tumhara wohi boyfriend thode din majnugiri karne ke baad kisi aur ko pata lega bas simple’’………abtak chupchaap syeda ooski baat sun rahi thi lekin is baar oose is qadr gussa aa gaya ki wo aur sehan na kar paayi aur kasskar oosne oos shaks ke chehre pe thappad raseed diya…

Thappad khaane ke bawjud ooske saqt chehre pe ab muskurahat barqarar thi bas wo khaamosh ho gaya tha….’’hahaha sentimental ho gayi tum’’………………’’chup ho jao maine kaha bas karo tum kitna jaante ho tum mere baarein mein haan kyu bachaya mujhe tumne jiski tum baat kar rahe ho wo mujhse dur jaa chuka mere maa-baba ki aankhe taras jayegi mujhe dekhne ke liye kyunki jaante ho kyu kyunki main oonke paas kabhi waapis nahi jaa paaungi kabhi nahi kabhi nahi’’
Kehte kehte syeda ro padi ooska rona aur ooski baatein sunkar jaise oos shaks ne chuppi saadh li…ooske baad ooske chehre pe gambhirta aa gayi….

’’acha sorry apun samajhta hai tumhara dukh par apun bhi kya kare? Jisse ek baar dil lagaya tha wohh to pehle hi chodhkar chali gayi apun ko is duniya ko..khairr par apun toh aaziz aake yaha khudkhushi karne aaya tha socha tha ki is tangdil zindagi se nijaat paa lunga ab aur nahi ho sakta apun se isliye jaan dene aaya tha aur socha nahi tha ki tum mil jaayegi par ek baat kahu apun ki to fhir bhi wajah hai lekin tum tohh kisi acche ghar se taaluq rakhti ho tohh fhir tumhari aisi haalat kaise huyi ye kharoch ye zakhm ye nishaan ye sab apunn ko kuch!’’

Shaks ne apni baat puri kari hi thi ki itne mein syeda jaise fhir dobara waha se bhi bhaagne ki koshish kar rahi thi….shaks chillaya….’ohhh kahan jaa rahi ho? sunoo heyy udhar mat jao heyyy’’………syeda jaise oos shaks se bhi dur ho jana chahti thi oose yahi laga ki kahi wohh fhir kisi galat haatho mein na fass jaaye…lekin wo shaks bhi ooske piche bhaagte huye aa raha tha…

Syeda bridge ki taraf waali dhalaan taraf andhere mein bhaag rahi thi….wo shaks bhi ooske piche tha…ki tabhi achanak oose do saaya aur dikha…wo wohi pe jaa thithaki….wo jacket pehne do shaks they….syeda bridge ki lights ki madhyam aati roshni mein bhi oon dono ko pehchaan chuki thi wohh wohi gunde they jo oosi ke taak mein bridge ke paas ooske uthkar aane ka intejar mein they…

‘hahahaha ab bhaagkar jayaegi kahan saali? Bahut time waste karwaya tune saala akkha shaam pura yahi kaatna pada saala bsf waale bhi pakad lete toh musibat alagg jante they jungle ke paar tohh yahi aayegi bridge par hahaha’

‘ab is maal ko utha aur le chal pehle baad mein sochenge ki iska kya theek bandobas karna hai?’…..oon gunde ki baaton ko sunkar jaise syeda kaanp uthi wo ulte pao waapis piche ki or bhaagne ko huyi lekin tabtalak oon mazbut gunde ke haatho ne oose thaam liya tha…..syeda chillane lagi.

Wo shaks ab bhi oosse kuch dur faasle pe khada sabkuch dekh raha tha…tab oose kuch kuch samajh aaya….wo shaks furati se oon gundo ke saamne jaa khada hua…..

’aye kya re? raaste se hat jaa warna jaan se jaayega’……..syeda oonke haatho mein fassi oonke beech virodh kar rahi thi oosne ek baar sihamte huye oos shaks ki or dekha jo oon dono gundo ko ghurr raha tha lekin ooske chehre pe darr ke bajaay gambhirta sit hi

Ek gunde ne furati se apne daaye haath mein chaaku thaam liya…aur ooski nok oos shaks ki or dikhaate huye oose jaise daraaya…..lekin oos shaks pe koi badlav na hua….’’ladki ko chodh de’’……….’’nahi chodunga kya kar lega’’…….is baar gunde ne lalkar di

‘’maine kaha ladki ko chodh de’’…….is baar gunde ne syeda ko apne dusre gunde ke hawale karte huye sidha achamka hamla oos shaks pe kar diya…is achamke hamle se wo shaks sambhal na paaya aur sidhe munh ke bal zameen pe gir pada….wo gunda ruka nahi oosne do-teen laat oos shaks pe jama diye…

Oos waqt wo manzar syeda ko kuch kuch apne taarique ki yaad dila raha tha…jise oos bedard insaan ke gunde mare they…kitne bedardi se oon gundo ne oose peeta tha aur ooske shareer pe khanjar ghusaaye they wo sab waqya syeda ke dilodimaag pe dehshat banke theek oos shaks ko maar khaate dekhkar ghum raha tha…

Syeda chillane lagi apne haatho ko churaane ki nakam koshish karne lagi lekin tabhi achanak rukh badla…aur maar khaate oos shaks ne oos gunde ke taango ko apne mazbut haatho mein thaam liya…is baar gunde ne chaaku ooske chaati pe marna chaha lekin wo janta nahi tha ki jo shaks ko wo maar dena chah raha tha wo kaun tha? oos shaks ne apne nange hi haath se oos chaaku ko apne haatho mein kass liya….syeda ye dekhke darr gayi….oose pakda gunda bhi ghabra gaya

Oos ladke ne uthte huye abtak oos chaaku ko apne haatho mein thaam rakha tha….ooska haath khoon se lathpath ho chuka tha haath kant chuke they aur puri taqat se wo gunda ooske haath se chaku nikaal dene ki koshish kar raha tha lekin bahut hi kasskar oos ladke ne oos chaaku ko thaam liya tha…theek tabhi ooske chehre pe hinsak badlaav aaya aur oosne puri taqat se dahadte huye apne laat se ooske seene pe de maara wo gunda sidha zameen pe kuch duri pe jaa gira…oos ladke ne dusre gunde ki or dekha lekin tabtalak wo bhi apne haatho mein hathyaar le chuka tha…

Oos ladke ne bina mauka gawaye syeda ke palak jhapake jaane se pehle hi oose apne behad nazdeek khada paaya…oos shaks ka ghussa oos aadm ike chehre pe itni zordar pada ki ooske khoon ke cheetein syeda ke kapro par lag gaye…oos haath ki bhaari pidaa se wo shaks wohi girke chilla utha…

Tabtalak oos ladke ne uthte pehle gunde ke haath se chaaku cheenkar sidha ooske jaangho pe de ghusaaya….wo gunda dard se dahadh utha syeda bhi khauff khaa uthi jis shaks ne ooski jaan bachayi thi oose oosne mamuli samjha tha lekin ab wohi ladka oose koi hinsak bedard insaan jaan pad raha tha…oos shaks ne mudkar jab syeda ki or dekha to syeda ko ooske aankho mein gusse ka ubaal dikha na jaane kitna oon aankho mein gussa tha….

‘haramzaade ruk saala kahan bhaag raha hai ruk’’………..furati se syeda ke paas se baagh ki tarah guzarta hua wo ladka sidha oos bhaagte gunde ki gardan thaam chuka tha……syeda ko samajh nahi aa raha tha ki aage wo kya karne wala tha lekin oose jab ahesas hua tohh wohh behad sihar uthi…

Oos shaks ne apne jacket aur jeans ke beech fase oos gun ko haatho mein liya aur sidha oos gunde ke maathe pe wo gun ek baar lagake zor se trigger daba di…oos gunde ki maut ka bhayanak manzar dekhkar syeda chillaye munh fhair chuki thi…jab oosne apna haath apne chhere se hataaya toh tabtak wo ladka dusre gunde ki taraf badh chuka tha jo ab bhi dard se apni jaangh mein fase chura ko thaamein karha raha tha…..’nahii chodhh de mujheee maanff’’…………….wo gunda oos shaks se maanfi maang raha tha….lekin oos ladke ke chehre pe oose maanf karne jaisa koi bhi irada nahi tha…

’’maanf allah karta hai asif nahi’’………oos shaks ke naam ko pehli baar syeda ne ooske munh se suna tha…shayad agar wo gunde na aate aur wo naa bhaagti to abtak oose khud wo shaks asif bata chuka hota….

Asif ne ooski jaanghon mein fase chure ko ek hi baar mein kheechkar nikaal liya….wo gunda jaise dard se bilbila utha…abtak syeda bhaag sakti thi lekin maut ka ye bhayanak drishya wo apne aankho se dekh rahi thi oon gundo ka….asif ne wo gun sidha ooske munh mein ghusaate huye ooske halak tak pahucha diya….oos gunde ki aankho mein bhayankar darr saaf tha…wo chatpata raha tha

Asif ne bina dair karte huye ek baar fhir trigger kheech di aur ooske baad dhacchh…oos gunde ke gale se aar par goli nikal gayi aur khoon fawara banke jaise bikhar gaya….syeda ye haulnak drishya dekhke jaise kaanpte kaanpte wohi behosh ho gayi…ooski aankhe band ho chuki thi shareer maarein darr se kaanp gaya tha…

Asif uthkar oon dono gunde ka ek baar jayeza leta hai to achanak ooski nigaah syeda ki or uthti hai…syeda zameen pe behosh padi huyi thi…..asif syeda ke nabz ko tatolta hai aur fhir oon dono laasho ki taraf dekhta hai jinhein kuch der pehle oosne pehle maut ke neend sula diya tha…’’lo saala socha aaj khud ko khatam kar dunga to yaha do aur khoon mere naam likh diye allah ne aur upar se ye yallah ab is ladki ka kya karu?’’……….asif ek pal ko jaise ooske behosh jism ka jaayeza lete huye ooske chehre pe teher sa gaya…na jaane kyu asif oose bas dekhta sa raha achanak oose jab haalat samajh aaye to oosne pehle oon dono laasho ko ghassitte huye nadi mein de faika aur fhir ooske baad jaldi se apni gun apne jacket mein fasaayi aur syeda ke jism ko apne baazuyo mein uthaate huye oose bridge ke dhalaan se upar le jaane laga…syeda ko halka halka hosh tha wo khud ko kisi ke baahon mein mehsus kar rahi thi jab oosne adhkhuli aankho se halka sa dekha to oos gambhir chehre ko sidha raste ki taraf dekhte huye paaya….syeda oos waqt apne hosho hawas mein nahi thi isliye wo kuch samajhne ke oos waqt kaabil bhi nahi thi….

Upar bridge tak jaane ke liye wo pahadh jaisa dhalaan tha..aur oos khade dhalaan par chadhte huye asif apni gun liye ek baar bridge ke aas paas ki or nazar fhair raha tha…oose maalum tha ki paas hi baandh hai jaha se nadi ki dharaaye beh rahi hai aur waha se leke is paar ke bridge par bsf ya police ka gasht lagana aam hoga….lekin wo janta tha ki raat ke is paymaane mein waha koi mauzud nai hoga…jaise taise bridge par apne baazuyo mein oos ladki syeda ka bhoj liye asif upar pahuch aata hai…ek baar halka sa jhukkar upar sadak ki dono or dekhta hai toh oose kuch faasle duri pe apni gadi waisi hi khadi dikhti hai…na jaane kya mansuba utha tha aaj uska? Ki wohh bridge ke niche beh rahi nadi mein khudkhushi karne ka irada kar chuka tha…zindagi to ooski bhi barbaad hi thi harpal musibaton se jhunjhte jhunjte tang aa chuka tha wohh lekin na jaane kab syeda ko oosne bridge ke niche dhalaan ke upar se chalang lagate huye paaya wo tabse wohi khadi chupchap nadi ki or dekh rahi thi pehle to laga ki maamla sirf khudkhushi ka hai lekin syeda ki haalat aur gundo ka saamna karne ke baad ab dheere dheere asif ko lagne laga tha ki maamla kuch aur tha shayad oon gundo se hi apni jaan aur izzat bachaaye wo ladki syeda bhaagte huye jaan dene waha pahuch gayi thi lekin khushkismat se wahan asif bhi oos pal waha apna irada liye pahuch gaya tha aur oosi itefaq mein wo syeda se mila tha…agar oosne ooska haath na thaama hota to wohh kabka nadi mein dubte huye ooski dharaao ke saath laash bankar beh chuki hoti ya wo khud oosi ki tarah laash bankar ab tak beh chuka hota agar ooske iraadon pe rukawat na aata…

Sardi ka mausam tha isliye kohra halka halka charo or faila hua tha….asif ne ek baar syeda ke chehre ko dekha jispe zulfein bikhari huyi thi…bahut darri huyi thi wohh aur ooska darr bhi laazmi hi tha abtak sirf oon gundo ka khauff oose tha aur ab asif ka jisne ooske hi saamne oon dono ka khoon kar diya tha…asif jaise apne kismat koste huye hosh mein aaya na jane kyu baar baar oos ladki ki taraf ooski nigaah huye jaa rahi thi ? kashmakash mein aur darr mein uljha asif jaise taise apni gaadi tak pahucha aur syeda ko bagal waali seat pe bitha diya..oosne gate lagaya aur dusri or jhat se aakar seatbelt baandhi aur chaabi ghumaayi..gaadi ka engine start ho gaya….asif ne bina dairi karte huye gaadi bridge ke paar safely nikaal lit hi…ganimat thi ki oos waqt koi bsf ka jawan ya police gasht lagate huye ooske nazaro mein na aaya warna akeli ladki syeda aur ooska haal dekhke aur ooske paas baramad hoti gun se ooska fass jaana mamuli baat ho jati…lekin khuda ne na hi sirf ooska irada khudkhushi ka khaarij kar diya balki ooske zindagi mein oos ladki syeda ko bhej diya….pure raaste asif yahi soch raha tha ki ab is ladki syeda ka kya kiya jaaye?

To be continued…..
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #3 on: January 03, 2019, 07:07:45 PM »
bahut achhe, please continue...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: January 04, 2019, 10:51:08 AM »
bahut achhe, please continue...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Thanks janaab aur ek baar fhir aapka swagat karta hoo apne naye kahani ke thread pe i hope aapko kahani pasand aaye...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #5 on: January 04, 2019, 01:16:13 PM »
Kohra ho rahe raat ke oos sannate mein asif apni gaadi chalata hua kareeb kareeb dusre sheher se kuch hi faaslo pe tha.....reh rehke beech mein aa rahi street lights ki roshni ke beech se guzarte huye syeda ka maasum chehra ooske nazaro ke saamne aa parta...na jaane kyu baar baar jabse ooski jaan bachaayi thi tabse hi asif oose lagatar dekh na dekhe khud par kaabu nahi kar paa raha tha...drive karte huye ek baar toh asif behosh syeda ki taraf ek nazar dekh zarur raha tha....

aajtak apni zindagi mein asif ne har khubsurat se khubsurat ladkiyo ko dekha tha lekin ooske chhere ki khubsurati kuch is qadar thi ki nazarein na chahte huye bhi ooski taraf rukh kar leti...ooske badan ke kapre kayi jagaho se phat chuke they kalaiyo par gale pe kharoch ke nishaan aur sabse zyada ooske oos khubsurat gaalo pe kisi ke haatho ke laal nishaan they jinhein dekhke ekpal ko to asif bhi gambhir ho gaya ki aakhir kisne ooske saath is qadar zulm karne ki koshish ki thi kaun bedard wo insaan ho sakta tha?

Sardi thi lekin fhir bhi kaanpti behosh syeda ko dekhkar oosne apne jacket ko utaarte huye ooske badan par rakh diya....gaadi oosne thodi speed mein kar li...achanak wo drive hi kar raha tha ki syeda ke jism mein harqat huyi...jaise hi wo hosh mein aayi aur oosne apni aankhe kholi to wo ek baar hadbada uthi oosne asif ko drive karte huye paaya toh aur oosse dur hone lagi...

'hey hey shaant ho jao'.....asif saamne dekhte huye drive karte huye syeda ki or haath dikhaaye oose shaant rehne ko kehta hai

'k..kahan le ja rahe ho mujhe? kaun ho tum? tumne oon dono aadmiyo ko kyu maar diya?'

haklaati hadbadati sihamti syeda kaanpte huye asif se kehti hai tabhi oose ahesas hota hai ki ooske badan pe oosi ka jacket tha shayad ooske haal ko dekhkar asif ne oospar wo jacket odha di thi...lekin wo janna chahti thi ki wo kis shaks ke saath thi aur oosne itni berehemi se ooske saamne do qatal kyu kar diye they?

'dekho pehle toh pls shaant ho jao ek toh maine tumhari do baar jaan bachaayi aur tum mujhse keh rahi ho ki maine oonka qatal kyu kiya? huhh kaisi ladki ho tum? apne piche sheher ke sabse khatarnak gunde lagwa liye aur mujhe thank u karne ke bajaay puch rahi ho ki tumne oonka qatal kiya kyu? tohh suno wo log koi mamuli gunde nahi they taskari waale they jo ladkiyo ko uthaate hai aur oonhein baich dete hai wohi cheez wo tumhare saath karne wale they…tumko kya lagta hai agar oonko nahi maarta tohh wo mujhe tumhein chodh dete peshewar mujrim hai wo log agar saalo mein koi ek bach jata tohh fauran apni gang mein jaake chugli kar deta aur tab tumhara mera jeena aur mushkil ho jata isliye oonko maar dena hi maine zaruri samjha aur main aksar aisa hi karta hoo’

Syeda ooski baat sunkar jaise khaamoshi mein bhi sehmi huyi thi….oose yahi lag raha tha ki wo kisi murderer ke saath thi…jab oosse bilkul savr na hua to oosne aakhir keh hi dala ‘that means you are a murderer’…..syeda ki baat sunkar ekdum se asif ne break maari..gaadi beech raaste mein hi tyre ki ghissti awaaz ke sath ruk gayi…..asif ne ek baar fhir syeda ke seheme chehre ki or dekha

‘khud ki jaan bachaane wala shaks murderer nahi hota aur ye gun jo mere paas hai ye mera hathyaar hai…tum apun ke baarein mein nahi janti isliye kuch bhi kehne ka mujhe right nahi nahi hai…samjhi’

‘gate khol do mujhe yahi utarna hai maine kaha gate kholo mujhe’………..syeda fhir virodh karte huye utarne ko ho gayi

Is baar asif ne gate lock hi rehne diya syeda chatpatati reh gayi lekin gate khula nahi….’tum pls mujhe jaane do maine tumhara kya bigaada hai pls’………….syeda ooske aage haath jode kehti hai

‘tumhein darr aakhir kis baat ka hai ki tum mujh jaise gunde ya khooni ke saath ghum rahi ho is baat ke liye ki police humhein dhar legi to ye tumhari galat fehmi hai haan agar tum apne piche musibat laganachahti ho toh bejhijhak police ke paas jao fhir madad milane ke bajaay tum khud aisi musibat mein fasogi ki is raat ko kosogi ki kyu main gaadi se utari? Khair main bhi kisse keh raha hoo jao shauk se jao aur fhir kisi aur musibat ko apne piche laga lena hai is baar asif to aayega nahi bachaane mere jaise gunde ke saath rehne se accha hai ki ksii aur ke shikhar ho jaaye main toh itna hi bura hoo naa na jaane kis baat ki saza de raha hai uparwala mujhe’

Asif kehte kehte jaise steering par apna sar rakhke kuch dair ke liye waise hi khaamosh raha….syeda oose chupchap bas dekh rahi thi…kuch dair baad oosne khud hi asif ko awaz di..

‘I am sorry....syeda ne jaise pehli baar asif se maanfi maangi ooski awaz mein dukh sa tha

‘sorry for what I mean I should apologize for what I just did with you?’…….asif ki baat sunkar syeda oose hairat se dekhne lagi
Oosne socha tha ki wo koi gunda mawaali hoga lekin jab oosne ooski hi jawab oose angrezi mein di to wo kuch hairat mein padh gayi

‘hairat ho rahi hai na ki main english jaanta hoo arre zaruri nahi ki harkoi jaahil hota hai ye sab to karam ka nateeja hai it’s all my evil deeds which made me a sinister aur main manta hoo ki mujhe saza dene ka haq sirf oosko hai oos allah ko naa ki insaano ko’………..syeda chupchaap asif ko ghurr rahi thi is baar asifn e ooski nigaaho mein darr dehshat nahi balki sawalat dekha tha

Asif ne ooske shaant ho jaane se muskurahat di aur fhir gaadi dobara se start ki…gaadi fhir drive karne laga tha…aur is beech syeda chupchaap bas khaamosh thi

‘mujhe ye batao ki tum kahan se bhaagi huyi ho? kya tum yahi is sheher ki ho yaa fhir kahi aur se aayi ho? dekho ab darrne ki zarurat nahi main tumhare saath na to kuch bura karunga aur na kisi ko tumhari baarein mein bataunga aur mera koi hai bhi nahi is sheher mein sirf ek awargi ki zindagi guzaar raha hoo jiski koi manjil nahi hai jisne sapne to bade dekhe they lekin oonmein se kisi ko bhi sakaar karne ki taqat mujhmein na ho paayi ab mujhe ye batao ye zakhm ye chotein ye nishaan tumhari ye haal kisne ki hai?’

Syeda ki subakti awaz ko sun asif ne paaya ki wo ro rahi thi ooski fhir oon neeli aankho se aansu ka qatra bahein jaa raha tha…’hey hey pls stop crying arre baba rona band karo yaar puchkar fhir galti ki tumse kya maine ?’…………syeda ne koi jawab nahi diya lekin wo apne aansu ponchte huye asif ki taraf dekhti hai

Khaamosh kuch pal bitaane ke baad jab gaadi ab sheher ke andar daakhil huyi tohh syeda charo or dekhne lagi…..oose chaunkta charo taraf nazar ghumaate huye dekh asif ne chuppi todi…’ye Bengal ka dusra sheher hai ranibagh’………sunkar jaise syeda ke chehre pe sawalat they

‘mujhe aisa lagta hai ki tum is sheher ki nahi ho?’

‘haan’…………is baar syeda ne jawab diya

‘toh kahan se ho tum? dekho agar tum nahi bataogi toh main tumhari manzil tak tumhein!’…….asif ne kaha hi tha ki beech mein syeda ne ooske baaton ko kaant diya

‘meri koi manjil nahi hai aur naa hi main kahi jaa sakti hoo tum chahke bhi meri madad nahi sakte ho aur jis maut se tum mujhe bachaake laaye ho wohi mera aakhri raasta tha’

‘dekho main nahi janta ki tumhare sath kya hua hai? par janna zarur chahta hoo agar tum mujhe nahi bataogi toh fhir main tumhari madad kaise karunga?’

‘tumhein meri madad karne ki bhi koi zarurat nahi hai’

‘accha toh tumhein marrne chodh doo tum nahi jaanti is zaalim duniya ko waise bhi bemaut marne se ksii ki aatma kabhi shaant nahi ho paati…aur zaruri nahi ki tumpar musibatein abhi tham gayi hai tum kaun ho kahan se ho? koi nahi janta tumhein ye duniyawale akele jeene bhi nahi denge’

‘to kya karu main batao kya karuuu main kahan jauu kaun rakhega mujhe apne paas ? kaun pahucha paayega mujhe apne maa-baba ke paas bolo jawab do main yaha ki nahi hoo mera naam syeda arnisha hai aur main noakhailla bangladesh se aayi thi yaha apni saheliyo ke saath lekin mera sabse naata chutt gaya sabne naata tut gaya wo log mere bagair hi yaha se chale gaye mujhe akela chodh gaye aur chodhte bhi kyu na? oonhein dhamki mili thi oonhein jaan ki dhamki mili thi keh diya gaya tha oonse ki main gumshuda ho gayi hoo yahi baat oonhein mere gharwalo ko keh deni thi oosne mujhse mere pyaar tak ko cheen liya jiske liye maine dhair saare sapne sanjoye they oosne mujhe meri zindagi hi cheen li mere maa-baba sabko cheen liya ab kaho aur kya jannna chahte ho tum mere baarein mein bolo na jawab do’

Asif ekdum se khaamoshi se syeda ki baatein sun raha tha ooske rote huye aansu ooske chehre se niche gir rahe they aur ooski aankho mein gussa aur dard dono saaf dikh raha tha jaise aaj wo kisi shaks ke aage jaise apna dard halka kar rahi thi naa jaane kyu par asif ko ooski baat sunke jaise rehem si aa gayi…oos bedard patthar dil jaise ladke ke andar maano ek pal ko syeda ke liye daya si umad aayi..asif ne gaadi rok di aur khaamoshi se syeda ki baat sunta gaya…syeda kehte kehte teher gayi aur rone lagi

‘kaun tha wo aadmi jisne tumse tumhari zindagi cheeni kaun tha wohh insaan?’

‘main oos insaan ka chehra nahi bhul sakti hoo wo insaan bedard tha bahut bedard bahut had se intehaai nikal jaane wala apni mehez ek diwangi ke liye oosne meri zindagi ko nehes nabut kar diya sirf apni ek khwahish ke chalte’……kehte kehte syeda fhafak fhafak ke rone lagi

Asif oose kuch dair tak oos haal mein chodhe huye bas soch mein duba hua sa tha…ooska rona bhi jaise asif ko accha nahi lag raha tha…asif ne apne haath ooske kandhe pe rakhe…toh syeda ne ooski taraf dekha…oose asif ki nazaro mein apne liye jaise dukh umadte dikha

‘hmmm toh tum bd se ho…azib iteffaq hai kehne ko meri zindagi barbaad thi bekaar thi aur dekho tumhari zindagi bhi kuch mere jaisi hi hai sach mein hamari ye mulaqat ekdusre ke dukh ko janne ki hai shayad allah tala chahte hai ki hum ekdusre ka dukh baante bedard toh main bhi hoo jisne kabhi kisi ki zindagi ko barbaad karte huye ye na socha ki oospe kya bitegi? Kabhi ye haath kaanpe nahi jaanti ho kyu? Kyunki jiske dil mein nafrat hi ho oose kisi ke liye mohabbat ka kaisa? Lekin insaan toh main bhi hoo kisi ko maar dena mere liye bhi utna hi bada paap jaisa hai jaise kisi ki zindagi ko tehes nabut kar dena jaane do mera dukh sunke kya karogi tum tum toh waise hi behad pareshaan ho aur musibat ki maari ho anyway tumhein darrne ki zarurat nahi apun hai na apun dega tumhara sath tumko Bangladesh apun bhejega tumhare maa-baba ke paas apne maa-baba to pehle hi kho diye apun ne ab aur mujhmein taqat nahi ki main kisi aur ki zindagi barbaad hote dekhu’

Asif ki baat sunkar jaise syeda ek pal ko ooski taraf dekh rahi thi…..’thank you’……..asif syeda ka shukriyada sunkar ooski taraf dekhne laga ooske maasum gulabi nigaho ko dekhte huye asif sirf muskuraya

‘waise embassy hum jaa sakte hai’…………asif ne syeda se kaha

‘embassy waale bina passport ke mujhe jaane thodi na denge mera sabkuch jala diya gaya hai mere paas koi identity proof kuch nahi hai aur agar main kanooni madad leti bhi hoo tohh main musibat mein fass jaungi aur wo mujh tak pahuch jaayega’……….syeda ke chehre pe fhir khauff jaise simatne laga

‘wo jo koi bhi hai tumtak nahi pahuchega theek hai apun tumhari madad karega lekin mujhe tumhein promise karna hoga’…………asif ki baat sunkar syeda ooski taraf dekhne lagi ektak

‘dekho apun kaun hai kya hai ye sawal tum mujhse nahi puchna bas yahi sochna ki apun tumhari help kar raha hai ek insaaniyat ke vaaste warna apun to jaan sirf apne ahesaanwalo ke liye hi deta hai isliye tum fikar mat karo bahut jald tum apne gharwalo ke paas sahi salamat pahuch jaogi main tumhein yakeen dilata hoo apni jaan ki kasam’

Syeda ko jaise mann hi mann khushi huyi oose ab jaise himat mili thi pehle to oosne asif ko khooni kharab insaan samjha tha lekin jab oosne khud aage haath badhakar oose yakeen dilaaya toh wo inkaar na kar paayi aur oose bina shukriyada kiye teher na paayi….

Pure raaste asif khaamosh raha oosne fhir syeda se kuch nahi pucha….syeda ektak ooski taraf dekh rahi thi saare waaqye ko yaad kar rahi thi aaj oosne ooski do baar jaan bachaayi thi aur oose itna bhala bura syeda ne sunaya tha…wo ye tak bhul gayi ki oose ooske khoon kar dene se khauff hua tha…lekin ab ooske dil mein asif ke prati ko darr nahi tha….wo oos anjaan shaks par naa jane kab aur kaise itna yakeen kar baithi thi? Ki is baat ka andaza oose bhi na hua…

Achanak asif ke haath se stereo on ho gaya jis wajah se ek gaana bajne laga…khaamosh gaadi mein oos gaane ke bajne se asif ek pal ko hadbada gaya…syeda ne oos gaane ko jab suna toh oos gaane ke dard mein oose taarique ke sath bitaaye wo khushaal pal jaise yaad aa gaye aur ooske aankhein tarr ho gayi….achanak apne aansu ponchte huye jab wo hosh mein aayi toh oosne asif ke nigaho mein ubalte aansu ko paaya…oose thodi hairangi si huyi…

Gaana ab bhi baj raha tha aur jaise asif apne hosh mein nahi tha…ooska dhyaan saamne tha lekin dimaag kahi aur…kabhi na kabhi toh miloge kahi pe humko yakeen hai kahi na kahi toh miloge ye humko yakeen hai meri zindagi meri zindagi hai tere bina na hum jee sakenge yaha ek pal…..asif ka dhyaan ekdum se tuta jab piche kisi ne horn ki dastak di…asif ne hadbadate huye oos gaane ko itne zor se band kiya ki ekpal ko syeda bhi chaunk uthi…asif kaanp raha tha….oosne ek baar palatkar piche ki or nazar daudaayi syeda waise hi ghabrayi huyi thi ekdum se ooska bhi dhyaan piche ki ek gaadi ki or hua…wo ek bara sa truck tha…asif ne gaadi baayi or mor li toh truck oonki gaadi se guzarta hua aage badh gaya

Asif apne aansu pochte huye ek baar syeda ki or dekh raha tha aisa lag raha tha jaise apne dard ko wo chupaana chah rahatha…..’kya hua tum ro kyu pade?’….syeda ne asif se dheeme se pucha

‘k..kuch nahi bas aise hi koi baat nahi koi bhi nahi’……..asif badbadata sa hua jaise fhir raaste pe dhyaan dene laga…

Kuch dair baad gaadi ek ghar ke aage ruki….charo taraf gehra sannata tha raat ke 12 se upar ho chuka tha isliye charo taraf koi bhi insaan ki awadi nahi thi…asif gaadi se utara syeda bhi dheere dheere gaadi se utari…aas paas dukaan they aur saamne ek ghar tha…’aao mere saath main yahi kiraaye pe rehta hoo saamne hi mera ghar hai chalo’……syeda dheere dheere asif ke saath aage badhti hai

Sidiya chadhte huye asif ek darwaje pe lage taale ko kholta hai…syeda bhi ooske piche hoti hai…’aao andar’………..syeda ke andar aate hi light on hoti hai…syeda apne aankho mein ekdum si jali roshni se haath rakhke fhir charo taraf nazar daudaati hai….ghar jarjar imarat tha..farsh pe ek chataai thi aur ooske bagal mein hi ek folding jaisa khaant…paas hi matka tha jisse paani glass mein daalte huye asif peene laga…fhir ooske baad oosne dusra glass mein paani daala aur syeda ke haath mein diya

‘sorry apun ka ghar thoda chota hai par apun aise hi mein hi guzara karta hai isliye mind mat karna’…..syeda ne koi jawab nahi diya wohh bass jaise charo taraf ko hi bas dekh rahi thi…charo taraf saaman bikhara pada tha…asif idhar udhar gire kapro ko ek bakse mein daal deta hai….

‘dekho wohh bathroom hai aur is taraf ye chota sa kitchen apun tohh bas chai wai bana leta hai baaki khaana peena hotel mein hi khaa leta hai I hope tumko adjust karne mein zyada problem na hogi kuch khaaogi’

Syeda ne sirf haan mein ishara kiya….asif samajh toh paa raha tha ki wo bhuki thi isliye oosne kitchen mein jaakar paaya ki waha ooska khaana ab bhi waise hi pada tha…..asif ke chehre pe muskurahat si aayi kuch der baad jab wo kitchen se bahar aaya tohh ooske haath mein thaali tha aur oosmein khaana saja hua tha…syeda ye dekhke hairan huyi

‘ye khaana?’

‘hahaha zindagi ka azeeb dastoor hai apun is khaane ko thukraaye ghar se nikla tha aur dekho ye khaane waise ka waisa hi pada tha lagta hai aaj ispar tumhare khaane ka naam hai lo khaa lo’

‘nahi nahi main tumhara khaana kaise khaa sakti hoo?’

‘dekho please baat samjho abhi hotel band ho chuka hoga aur main janta hoo ki tum bhooki ho pls khaa lo ooske baad aaram kar lo dekho behas mat karo mujhe aaj waise bhi bhook nahi hai ab ye mat kehna ki tumhein mere diye khaane se bhi aitraaz hai jab mujhpe bharosa kiya hai toh puri tarike se karo’

Syeda kashmakash ke ghere mein thi….haalat kuch aise they ki oos haal mein bhi oose bhook lag rahi thi…pichle 3 dino se wo bhooke pyaase mehez bhaag rahi thi ooska shareer behad kamzor ho chuka thaw o theek dhang se khari bhi nahi ho paa rahi thi…aakhir mein asif ke haath se oosne thaali le li aur wohi baithkar khaane lagi…..khaate waqt jab oose asif ke hone ka mehsus hua tab oosne paaya ki wo bhar glass paani ooske paas chodhkar apni gun nikaale daraaz ke upar rakhke sone ka bandobas kar rahatha….

Syeda chupchaap khaate huye oose bas dekh rahi thi…asif ko jab syeda ke hone ka ahesas hua tab wo apne kapro ko bina utaare sirf shirt utaarkar ek or taang deta hai….’lo maine khaa liya’…………’arre tum itni bhooki thi tumne pura thaali kahan khatam kiya?’……asif ke haath mein thaali dete huye syeda ne oosk itaraf dekha

‘nahi bas mujhe aur nahi khaana’

‘theek hai main samajhta hoo aise haalato mein bhalaa khaaya bhi kaise jaayega aur tum tohh kabhi aise haalat guzari hi nahi anyway main niche so jata hoot um upar so jaana okay’

Kehte huye asif thaali liye kitchen ki or badh gaya….syeda bas khaamoshi se asif ki baarein mein hi soch rahi thi….na jane kab ye anjaan shaks ooski zindagi mein ek raat hi mein aaya aur oospe ekdum se syeda yakeen kar baithi aur ooske saath ooske ghar chali aayi….kuch der baad haath munh dhoye jab syeda bahr lauti toh asif niche bistar kiye karwat liye chadar odhey so gaya tha….

Syeda ko samajh nahi aa raha tha…ki wo kis kisam ka shaks tha? ooske aankho mein koi dehshat koi darr nahi tha ye tak oose malum nahi ki oosne abhi kuch ghanto pehle do qatal ko anjaam diya kaisa beparwah tha wohh kya oose apne liye koi darr nahi ya wo bhi koi peshewar mujrim tha ooske sang rehne mein syeda ko khauff to laga lekin ab chahkar bhi wo jaa kahan sakti thi oose asif mein ek alag hi umeed dikh rahi thi wo umeed jo oose is paar se oos paar apne ghar le ja sakta tha…syeda khaat pe laitkar ek baar fhir asif ki or dekhne lagi jo gehri neend mein dub gaya tha…syeda khidki se bahar dubte oos chand ko dekh sakti thi na jaane ye raat kab kategi kya hoga aage? Sochte sochte syeda ko ahesas hua ki ooske badan par ab bhi asif ka wohi jacket tha jo shayad oosne ooske behoshi haalat ke waqt udhaya tha ek baar fhir syeda ne niche jhaankkar paaya ki asif karwat badle huye neend aagosh mein hi tha...syeda khidhki se abahr jhaankhne lagi sab drishya ooske dimaag mein fhir ghum raha tha...kahan ek taraf wo marrne jaa rahi thi toh wohi dusri or oose kisi gair ki panaah mili thi...oos bedard insaan ko apne marrte taarique ko yaad karte huye jaise jaise dheere dheere ooski aankhe bhaari ho uthi aur neend ne oose apni aagosh mein jaise ghair liya….

To be continued…..

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #6 on: January 05, 2019, 01:06:56 PM »
'nahii nahiii sss nahii'.......syeda ka jism kaanpein jaa raha tha aur ooske chehre pe pasina ho raha tha...ooska pura jism sihar uth raha tha aankhe mundi huyi kasmasati huyi syeda dekh sakti thi wo bedard insaan ooske taarique ka khooni theek ooske saamne ek ek kadam chalte huye ooske behad kareeb aake khada ho gaya tha ooske aankho mein wohi bedardi wohi beintehaai diwaangi wohi chehre pe shaitani muskurahat dikh rahi thi...ooski tahaka lagati wo awaz jaise gunz rahi thi...aur theek tabhi oosne apna haath dheere dheere so rahi syeda ki taraf badhaaya syeda oose dekhke chilla uthi aur isi ke saath ooski neend tut padi

oose ahesas hua ki ooska jism pasine se tarr tha shareer ab bhi khauff se sihar uth raha tha..oosne apne chhere ko poncha aur paaya ki wohh band kamre mein thi paas ki khidki khuli thi jisse bahar ka sard kohra aur badalo mein chupaa chand dikh raha tha...charo or khaamoshi thi...

'to ye mehez sapna tha mehez ek khwab'.......syeda badbadaate huye ahesas karti hai ki kamre mein koi mauzud nahi tha siwaay gehri neend mein soye niche bistar daale oos shaks asif ke...ek pal ko syeda oos gair shaks ko dekhti hai asif chupchaap gehri neend ki aagosh mein duba is baar ooski taraf karwat liye tha....chand ki fiki roshni mein syeda ooske chehre ko dekhti hai...

kuch kuch ooska chehra ooski dhaadhi jaise oose oosi bedard insaan ki yaad dilata hai...lekin bedard tohh woh bhi kahi na kahi tha haalaki wo oos bedard insaan jaisa nahi tha jisne syeda ke zindagi se sabkuch cheen liya tha ooska parivaar se oose dur kar diya tha aur sabse zyada ooske pyaar ko ooske tarique ko oosse cheen liya tha...syeda ko khyaal aaya ki wo abhi is bistar pe naa hoti agar oos waqt asif ooske zindagi mein na aata...

na jaane kahan se wo aaya? aur kaise syeda ooske sang ooske saath chal padi haalanki ye jaante huye ki wo abtak ek khooni ke saath thi...lekin agar wo bedard tha khooni tha to oosne khoon ooske liye hi kiya tha...agar wo bedard hota to kya oose marne se bachata kya apna muaawza oosse nahi le leta oos jaisi besahara ladki ka bhala kaun fayeda nahi utha sakta tha chahta toh is band kamre mein bhi wo syeda ke sath kuch bhi kar sakta tha lekin khud kisi ko khaana diye khud bhuke soye aise shaks ke prati syeda kaise nafrat kar paati kaise bhaag paati aur oosne wishwas dilaya tha oose ooske parivar tak le jaane ka....aur oospal syeda ko koi to support chahiye tha jo ooski madad kare aur oose oos bedard insaan se dur le jaaye...

syeda waapis isi kashmakash mein ghiri bistar par lait gayi....subah 7 bajte bajte asif ki neend jab khuli toh ek angraai lete huye ooski nazar soyi syeda ki taraf huyi...asif ko ahesas hua kal raat ke waaqye ka...asif ne ooske gol maasum gore chehre ki taraf ek nazar dekha to maano jaise oos chehre pe hi ooski nazar teher gayi...oosne paaya ki ooske hontho ke kuch faaslo pe ek gehra kaala til tha...jo ooske chehre ko aur bhi khubsurati mein nikhaar raha tha....asif na chhate huye bhi nazar hataye sharam mehsus karne laga...

'kya ho gaya hai tujhe baar baar bas oose hi dekh raha hai abey beraah ladki hai jiske piche pehle se hi lafda hai aur apun to lafde se panaah hi maang raha tha tohh ab ek aur lafda paalo'.....asif badbadate huye khud pe hasste huye uth khada hua

darwaja jab oosne khola toh bahar ki thandi hawa jaise kamre mein aa padi sard ka mausam tha isliye surah abtak dhang se nahi nikala tha...achanak jaise wo piche muda to oosne paaya ki syeda ko oon hawao se kasmasahat ho rahi thi kamra chota tha isliye bistar darwaje se kuch faasle dur tha...na jaane kyu oose yun taqleef mein dekhkar asif ko accha na laga oosne jhat se darwaja laga diya...wo yahi soch mein tha na jaane kyu wo baar baar ooske liye itna khyaal kar raha tha...

achanak asif ki nazar guzarte waqt ooske phate kapro pe huyi jise dekhke oosne kuch dair socha aur ooske baad waha se nikal gaya....jab syeda ki neend tuti toh oose asif ki mauzudgi theek apne bagal mein huyi wo hadbadake uth khadi huyi....asif ke haatho mein do garam chai ke cups they...

'chai? chai piyogi lo'.......asif syeda ke hatho mein chai deta aur khud niche apne lagaye bistar pe baith jata hai...

syeda chai ko jab peeti hai tab ek nazar asif ki or dekhti hai asif ooske uthne se ooske chehre pe apni nazar nahi kar raha tha...achanak syeda ne paaya ki ooske bagal mein kuch kapre they oose dekhke syeda thodi chauki kyunki wo kapde naye naye kharide huye box mein they aur wo ladies clothes they...

'oh sorry wo tumhare uthne ka hi intejar kar raha tha ye kuch kapde hai main subah subah hi market se ye laaya tumhare liye'........ye sunte huye jaise syeda asif ki taraf hairani se dekhti hai

'ye suit ye kapre? tum mere liye laaye'

'haan wohh apun ne paaya ki tumhare paas to koi kapda nahi hai aur jo tumne pehne hai wo phate aur gande ho chuke hai ab ek jode mein kabtak aise ghumogi sorry apun ki jitni aukwad thi utne hi paiso mein ye kapre khareed laaya par decent hai yaha para area ki ladki aise hi kapre pehenti hai toh maine socha ki'.........bante nahi ban raha tha asif ko kehne mein syeda oon kapro ko dekhti hai mann hi mann jaise oose yakeen nahi hota ki koi ooske liye itna madad kar raha tha

'par main ye kapre tumse kaise?'

'dekho par var mat kaho aur inmein se koi ek fresh hoke pehen lo aur ek baar ho sake to sab try bhi zarur kar lena… aur ye mat kehna ki apun ahesaan kar raha hai apun ke liye tum ab ek zimmedari ban chuki ho bhoj nahi samjhi ye to pehli baar apun ne kisi ke liye liya hai I mean apun ne kabhi aajtak kisi ladki ke liye kapre nahi kharide hahahaa accha main nashta leke aata hoo tum darwaja kholna nahi agar koi bhi aaye okay aur haan jab main tumhara naam pukaru tab hi darwaja kholna’

Asif uthkar dono khaali cups ko liye jaane lagta hai ki tabhi syeda oose tokti hai..asif mudkar oose dekhta hai ‘thanks’……sunkar jaise asif muskurata hai oose syeda ke chehre pe halka sa fika hi sahi par muskaan dikhta hai…

Asif ke jaane ke baad syeda darwaja laga leti hai…waapis kamre mein aakar wo oon bistar par rakhe kapro ko ghurrti hai…asif ki baat ko wo yaad karte huye ek pal ko jaise muskura padti hai…..oski zindagi ne ye azeeb sa rukh moda tha….oose ahesas hua ki aaj itne dino baad wo pehli baar muskurayi thi…

Darwaje pe dastak huyi toh syeda ekdum se chaunk uthi asif ko gaye kareeb 20 min ho chuke they….oosne ek baar sochte huye darwaje ki taraf dekha…wo jo koi bhi shaks tha oosne abtak awaz nahi di thi bas darwaje pe dastak dheere dheere diye jaa raha tha…samajh nahi paa rahi thi syeda ki aakhir darwaje ke bahar kaun ho sakta hai? lekin tabhi ooske chehre pe khauff simatne se pehle hi oos awaz se syeda normal hote huye darwaje ki or badhi….’syeda syeda darwaja kholo apun hai asif’….darwaja kholte hi saamne asif khada tha…’sorry wo main tumhara naam bhul!’……asif ne paaya ki syeda ooske kharide gulaabi rang ke suit mein thi….aur yakeenan oosmein syeda kaafi acchi lag rahi thi…syeda ko ahesas hua ki asif oose hi dekhe jaa raha tha to wo jhijhakte
huye nazarein idhar udhar karne lagi…

'umm sorry wo nashta le aaya chalo jaldi se nashta kar lete hai’……..syeda ko thaili dete huye asif jhat se andaraaya aur jaldi se darwaja lagaya..

Nashta karte huye dono ekdusre ko khaamoshi se ek pal ke liye zarur dekh rahe they…’wo darasal main keh raha tha’…..syeda kuch pal ki khaamoshi ke baad asif ki awaz sunti hai

‘haan bolo’

‘wohh darasal apun keh raha tha ki wo jo jo 4 jode kapre laaya tha sab fit aaye na kahi koi astin gala tight to nahi hua tha’

‘nahi nahi koi dikkat nahi huyi wo sab bahut acche hai’

‘hmmm’

‘ek baar puch sakti hoo?’

‘haan pucho’………syeda ka ye pehla sawaal oosse tha asif ne muskuraye ooski taraf kaha

‘yaha tumhare alawa aur koi nahi rehta’

‘nahii apun akela hi rehta hai maa-baba tumhein bataya tha na wohh ab is duniya mein nahi to bas apun tabse akela hi hai’

‘tumhein darr nahi lagta ki agar police ko oon khoon ke baarein mein malum chal gaya aur mujhe darr hai ki kahi oose meri mauzudgi ka yaha maalumat na chal jaaye’

Asif ek pal ke liye khaamosh tha fhir gambhir hote huye oosne syeda ki taraf dekha…..’rahi baat apun ki toh oon laasho ke liye apun ka koi fikar nahi aise saidko mautein suicide khoon karke laasho ko faik dete hai paani mein jinhein ya to machli khaa leti hai ya fhir sad gal ke oon laasho ka kuch maalum hi nahi chalta aur police ka darr apun ne aise kayi lafde jhele hai aur jiske sar par god aur godfather dono ka haath ho oose darr kaisa?’

‘tumne meri wajah se oonhein maar diya I am sorry ki tum meri wajah se phas gaye aur main tumpe ek zimmedari ban gayi’

‘dekho syeda’……….asif ne pehli baar jaise syeda ko ooske naam se kaha tha…..’agar tumhari jagah koi aur bhi hoti toh bhi main yahi karta kyunki insaniyat ke liye kabhi koi kaam kiya ho zindagi mein mujhe yaad nahi aajtak toh main bas wo bedard insaan banke jiya hoo ab chahta hoo ki apne zindagi ki aakhri panno mein kuch punya likhwa hoo hahaha kam se kam khuda ke azaab mein kuch kami to ho jayegi’……..asif ko muskurate haste dekh jaise syeda ko ooske liye dukh sa ho raha tha kaisi thi ooski zindagi? Kitna aasan tha ooske liye ye sab kehna lekin oos haalat mein syeda ko apne dil mein ghabarahat aur fikar sirf oos bedard insaan ke liye hi thi naa ki ek khooni ke panaah mein hone ki jisne ooske liye insaaniyat ke hi vaaste itna kuch kiya

‘kya tum mujhe mere maa-baba se baat karwa doge please main oonhein bahut miss kar rahi hoo abtak to meri saheliyo ka mere oonke sang waapis na lautne ka wajah sunkar wo log to tut gaye honge’…….kehte kehte fhir syeda ro padi

‘hey hey please theek hai main tumhari baat karwa dunga lekin isd call ke liye mere phone mein utna balance nahi hai ek idea hai tum apun ke saath bahar chalo market waha phone booth hai waha par main tum bejhijhak baat kar
lena’

‘lekin agar nahi nahi kisi ne mujhe dekh liya aur pehchaan liya to’………….syeda jaise abtak apne khauff ko na bhuli thi ye na bhuli thi ki wo kisse bhaag rahi thi kiska darr tha oose?

‘dekho tumhein yaha koi janta bhi nahi pehle kabhi aayi bhi toh nahi ho yaha aur mere sath rahogi to kisi ke piche mein dum nahi jo tumhare paas bhi fhatakne aa jaye’

‘lekin’……..syeda ne fhir kaha

‘mujhpe yakeen hai’………….syeda ne kuch pal khaamoshi ke baad haan mein sar hilaaya….’toh fhir darr kaisa? Apun ke saath tum rahogi ghumogi aur fhir jabtak oonhein tumhari mauzudgi ka maalumat nahi hoga tohh fhir tum kaise oonke paas waapis Bangladesh jaa paogi’

‘lekin main waapis jaungi kaise maine tumhein bataya tha na ki mera sabkuch jala diya gaya tha jitne bhi mere proof they’

‘mujhpe yakeen rakho syeda main hoon na apun ne keh diya hai to tumhein apne sang waha leke hi jaayega aur main bhi dekhunga ki kaun tumko waha jaane se rokta hai…lekin pehle tumhein apne maa-baba ko contact karna hoga oonhein batana hoga ki tum zinda ho kahi gum nahi ki gayi ho? tumhein gum karne ki saazish thi kisi ki’

Sunkar jaise syeda apne aansu ponchti hai…dil ki dehshat ab bhi jaise ooske hauslo ko tod rahi thi wo hausla wo confidence jo oose asif ne diya tha….achanak tabhi darwaje pe dastak hoti hai dono chuank uthte hai….asif syeda ki taraf dekhta hai syeda ooski taraf…lekin ghabrane aur zyada chaukne ke bajaay asif syeda ke kaan ke paas dheere se apne chehre ko laake bare aahiste mein kehta hai

‘shayad koi mera aadmi ho sakta hai tum ekdum aise react karna jaise tum anjaan ho kisi ko janti ho aur ho sake agar tumse kuch kahein tohh jawab hindi mein dene ki koshish karna tum anjana ho jo delhi ki ho tum nayi nayi sheher aayi ho aur mera tumhare saath 2 saal se dosti chal raha hai’

‘kyaa?’……syeda sunkar jaise ek pal ko asif ki taraf dekhti hai chaunkte huye

‘arre jitna keh raha hoo utna kara agar ksii ne godfather ko mere chugli kar di tohh dikkat mein pad jaayenge’

Syeda chote bacche ki tarah haan mein sar hilaate huye waapis bistar pe ek or baith gayi…darwaje pe de rahe dastak waale ki jab awaz asif ko sunaai di to wohh darwaja ekdum se kholta hai

Saamne ek tapori launda khada tha jiski nazar asif ke pehlu se hote huye kamre ke ird gird jhaankte huye ek nazar syeda ki taraf padi…syeda oose dekhkar nazarein idhar udhar karne lagi…

‘aye kya re asif kya kar raha hai? darwaja kholne mein time kyu laga raha tha?’

‘abey bathroom mein tha’

‘ohh samjha waise ye kaun hai re?’

‘apun ki girlfriend hai anjana delhi se aayi hai khaas apun ke liye’

‘oh saala toh aajkal jaal bahar faikh raha hai tu tab samjhu ki saala aajkal tu kam dikhta kyu hai hahaha chal theek theek hai enjoy kar’………tapori ne ek nigaah fhir syeda ki taraf dekhke oose hello kaha lekin syeda ne koi jawab nahi diya syeda jaise ooski baatein sunke bura mehsus kar rahi thi

‘ab chal nikal le’…..tapori ko lagbhag asif ne dhakelne ki koshish ki

‘abey jaa raha hoo baat toh sun le jiske liye aaya tha….wohh bappa da bulaya tere ko puch raha tha launda aajkal kya kar raha hai?’……….tapori ke munh se bappa da ka naam sunkar asif thoda sa gambhir ho gaya fhir oosne tapori se kaha

‘theek hai apun aa jayega aaj shaam ko hi oonse milega bol dena oonhein’

‘theek hai theek hai waqt bewaqt mat aaiyo naraz ho jayenge chal enjoy maar’

‘chal theek hai tk care bye’…….kehte huye asif ne ooske jaate hi darwaja laga diya

Syeda thodi ghabrayi….’k..kahi ye mujhe janta?’………..’hahaha arre syeda ye apun ka hi aadmi hai dekha nahi tumko pehchaan nahi paaya wo asal mein mere godfather jo hai na oonka bulawa mere liye aaya hai to mujhe aane kaha hai’

‘ab kya kare?’…………syeda ko laga jaise ooske mansubo pe paani fhair raha tha

‘arre re ismein itna pareshan hone wala kya baat hai? godfather bappa da ki baat apun kaantta nahi hai mausa jo hai apun ke haaan haan sage waale mausa anyway rahi baat oonke paas tohh shaam jaaunga agar ye bol bhi dega tohh kya yahi kahega ki tum meri friend anjana jo delhi se hai yaha tumhein koi nahi pehchaanta isliye don’t worry chalo main tayyar hoke aata hoo fhir hum nikalte hai theek hai’

‘okay’……kehte huye asif bathroom ki taraf chala jata hai

X----------------------------------------------------x-------------------------------------------------------------------------x-----------------------------x----

Wo kaali gaadi teji se oos dhaabe ke saamne rukti hai….gaadi ka darwaja jhat se kholte huye wo black coat aur suit pehna shaks bahar nikalta hai apni tye aur kaale chashme ko theek karte huye….chehre pe halki dhaadhi hoti hai aur hontho ke beech fassi ek taazi jal rahi cigarette jiska kassh lete huye wo cigarette apne ungliyo mein fasaate huye dhua chodhta hai….ooske sang khada ooska chachera bhai gourav oose ek nazar dekhta hai….dhaabe waale ko dekhte huye wo ooske saamne jaa khada hota hai…

Tasveer coat ke jeb se nikaalte huye theek oos dhaabe waale ko dikhata hai….’ise yaha dekha tha? agar ise dekha tha tohh ye yahan se kahan gayi thi akeli thi ya kisi ke saath? Kisi se yaha oosne kahi phone wone kiya tha?’…..ooski gambhir baat ko sunte huye dhaabewala ek pal ke liye oos tasveer ko dekhta hai aur fhir oos shaks ki taraf

‘sahab ye ladki yaha aayi thi bahut bechain aur ghabarayi huyi si lag rahi thi aisa lag raha tha ki iske piche koi pada hua tha koi acche ghar se lag rahi thi pata nahi kis baat ka darr tha oose?’…….ooski baatein sunte hi oos shaks ne apne chashme ko utaarte huye apne gulaabi gussail aankho se ooski taraf chaukte huye dekha

Is baar ooske bhai gaurav ne oos dhaabewale se kadakar pucha….’aage bata’……….dhaabewala ekbaar oos shaks ki taraf dekhte huye fhir kehne lagta hai….’wohh kaale rang ke suit mein thi aur yahi pe aayi thi mere paas keh rahi thi ki oose pyaas lagi hai oose paani peena hai maine oose kaha waha jaake pee lo….peene ke baad bhi wo bahut ghabrayi huyi si thi ooske baad wo yaha teheri nahi balki mere aur kuch kehne se pehle nikal gayi par haan ek baat zarur thi ki koi do aadmi mere yaha khana khaa rahe they oose bahut dair se ghurr rahe they ooske baad ooske jaate hi oon logo ne bhi jaldi se paise diye aur oos ladki ke piche chale gaye’
Sunkar jaise oos shaks ne dhaabewaale ka gatta pakad liya..gourav oos shaks ko shaant karne laga…..’kaun they wo harami?’…………shaks ne sawal kiya

‘malum nahi pehli dafa apne dhaabe mein dekha tha shakal se toh gunde hi lag rahe they’……shaks ne dhaabewale ko dhakel diya girne se sambhalte huye dhaabewaale ne ooski taraf sehemi nazaro se dekha

‘iska matlab wo yaha aayi thi aur ooske piche wo do gunde kahi oon saalo ne hi toh’

‘aisa hargiz nahi ho sakta apne sheher mein oose agar le bhi aayenge tohh maalumat to mujhe chal hi jaati yaha se wo kahi kisi aur raaste hi gaye ho sakte hai’

‘ya ye bhi ho sakta hai ki oon dono gundo se bachkar wo bhaag nikli ho ya fhir oosne kuch!’……sunne se pehle hi oos shaks ne gourav par dahadhte huye oose jaise aage koi shabd na kehne ko kaha…gourav siham gaya kuch pal ki khaamoshi ke baad khud oos shaks ne chuppi todi…

‘agar bhaagegi to jaayegi kahan? yaha se sidha raasta raanibagh sheher ki taraf jaata hai lekin ooske paas paise kahan hai waha tak jaane ke liye’……..gourav ne oos shaks se kaha

‘jaane ke liye na sahi par le jaane wala to leke oose jaa sakta hai na ek baar bas malum chal jaaye ki wo kahan hai mujhe oose dhundhne mein zyada waqt nahi lagega gourav main aur intezar nahi kar sakta oose paaye bagair main shaant nahi ho sakta’

‘brother shaant ho jao jaha tak mera anuman kehta hai ki wo yaha se Bangladesh toh nahi ja payegi tumne pehle hi ooske jaane ke saare raaste band kar diye hai aur waapis sheher aane ke siwaah ooske paas koi chara bhi nahi aur agar ek baar wo sheher aayegi toh hamari nazaro mein zarur aa jayegi ab main khud ranibagh jaunga aur agar wahan mujhe syeda ke baarein mein kuch bhi maalum chalta hai ya khuda kare agar wo dikh jaaye to fauran oosi waqt main tumhein ikhtila kar dunga tum waise hi kayi dino se pareshaan ho bro tum ghar jao please main dekhta hai na’

Wo shaks chashma pehente huye ek baar apne oos tasveer ki or dekhta hai jis tasveer mein koi aur nahi syeda hoti hai….aur ye wohi shaks tha jiske ooske zindagi mein zeher ghola tha oosse ooska sabkuch cheen liya tha aakhir kaun tha ye bedard shaks jisse syeda bhaag rahi thi aur kya ooski pahuch syeda ke kareeb aa pahuchegi janne ke liye intejaar kare is kahani ke agle dilchasp kadi ka Winking

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #7 on: January 07, 2019, 11:09:31 AM »
Syeda asif ke saath bhari beech bazaar pahuchti hai...syeda ek baar charo or ki acchi khaasi bheedh dekhti hai...lekin kisi ki bhi tawajjoh oonki taraf nahi thi ye sochke oose mehsus hota hai ki is sheher mein koi oose janta nahi aur sabke liye anjaan hai...asif ne syeda ko tokta hai....''aao mere saath''..........kehte huye asif syeda ko ishara karte huye apne sang kuch hi duri mein bane phone booth ki taraf laata hai..

phone booth mein bahut der se koi shaks baaton mein uljha hua tha...kuch hi duri pe bahar phone booth ka chalak kareeban 65 varshiye umar ka budha baitha hua tha...asif ne oosse pucha....''kaka isd call karna hai phone kaam to kar raha hai na''............''baba ek hi toh phone hai agar kaam nahi kar raha hota toh ye moshtanda jo do ghante se andar laga hua hai bhala chodhta par check kar lena isd lag raha hai ki nahi''

sunkar jaise asif syeda ki or dekhne laga....oosne ek baar andar khade phone pe lage huye oos shaks ki or dekha...lekin syeda ke dil mein itminaan nahi tha....''ab kya kare mujhe jaldi se apne parivar waalo ko call lagana hai pls kuch karo''........syeda ki baat sunkar asif ne ek nazar gambhirta se andar khade aadmi ki or daudaayi

'aye dada kabse lage pade ho phone choroge ya nahi?'.....itna kehte huye asif andar daakhil ho gaya ooske ekdum se andar aane se wo phone pe uljha shaks hadbada gaya

'aye aye kya re andar bina kuch kahein kaise ghus aaye?'

asif ne bina oosse kuch kahein ooska receiver cheente huye fhat se receive holder pe rakh diya...'ye kya badtameezi hai?'.............'badtameezi toh apun ne abhi ki nahi par agar gussa dilaaya toh badtameezi nahi badsuluki bolega dafa ho chal'........asif ne jaise apne baaye jeb se gun chamkaya toh oose dekh wo shaks hadbada utha

bina kuch kahein wo raasta naapte huye phone waale ko paisa ada karke bhaag gaya....syeda itne mein phone booth mein aayi....'tumhein aisa nahi karna chahiye tha?'

'dekho syeda ye sharifo ka mohalla nahi hai yahan log laaton se hi samajhte hai toh kya oonse kehta anyway lo phone receiver pakado aur call lagao'

'par tum kahan jaa rahe ho?'

'arre baba apun bahar hi to hai wo kya hai ki paas ke dukaan mein apun jaldi se apna phone recharge karwaake aata hai tum tabtalak aaram se baat karo aur haan suno please yaha se kahi mat jaana please'

'tum to mujhe chodhkar nahi jaoge na'...syeda ki baat sunkar asif na chahte huye muskura pada

'apni jaan kasam kahi nahi jaunga jabtak tumhein safely tumhare watan na pahucha du tabtak tumse main dur nahi hunga okay main yun gaya aur abhi aaya'

kehte huye asif furati se phone booth se nikal gaya...syeda ooske jaate hi jaise mann hi mann ooska shukriyada kar rahi thi kitna saath de raha tha?,,,,syeda ne turant socha ki call oose apne pita ko karna tha isliye oosne apne ghar waale number ko dial kiya....phone receiver jab oosne apne kaano mein lagaya toh ringing hone se hi ooska dil dhadhakne laga jaise ooske hauslo ko bulandiya chu rahi thi...wo ab kisi bhi pal apne maa-baba ki awaz sunne waali thi...tabhi phone kisi ne uthaaya

'hello?'.......ye awaz ksii aur ki nahi syeda ki maa ki thi
'haan haan m..maa maa main bol rahi hoo syeda tumhari beti maa kaisi ho tum?'........fhafhak pada jaise ooska dil....awaz sunte hi udhar ooski maa jaise ekdum aasman se giri ooske aankho mein khushi ke aansu umad pade

'b..beta syeda tu tu zinda hai ya allah teri awaz ke liye kitna tarasi hoo main beta kya hua hai tere saath beta kahan hai tu b..beta tu theek to hai na ya allah mujhe yakeen nahi ho raha hai ki wo sabkuch jhoot tha'

'haan maa meri saheliyo se jhoot bulwaya gaya hai pehle ye batao aap log kaise ho maa baba kahan hai kaise hai aur didi?'

'beta tere bagair koi kaise accha ho sakta hai? teri khabar jab humhe mili ki tu apni saheliyo ke sath waapis na lauti toh tere pita ye sadma bardasht na kar paa rahe they hamara toh dil bechain ho gaya humne koshish bhi ki aur ab bhi koshish kar hi rahe they aur dekh allah ne meri dua sun li tere abba ki dua sun li tujhe pata hai kitna wo tadpe tere liye maine kis tarah khud ko sambhaala teri khabar sunne ke baad pehle ye bata tu kahan hai kis haal mein hai kya hua tha tere saath?'

'maa kaise batau tujhe ki main kis haalato se guzari hoo tujhe maalum nahi ki mujhse oos berehem oos bedard insaan ne mujhse kya kuch nahi cheen liya mere sabhi cheezo ko oosne jala diya jo mere waha aane ka sabut they...maa main tere paas bahut jald waapis aaungi mujhe ek madadgaar mil gaya hai maa aur oosne mujhe yakeen dilaaya hai oosi ne mujhe aapse baat karwaane yaha laaya hai aur toh aur abtak oosi ke panaah mein main mehfuz hoo warna maa tumhari beti bahut pehle hi marr chuki hoti bahut pehle hi'.........kehte kehte syeda ro padi

'kaun hai wohh farishta beta kya naam hai ooska oosse meri baat toh zara kara'

'maa ooska naam asif hai aur wohi mujhe aap logo tak leke aayega isliye aap pls baba ko samjhaana ki oonki beti oonke paas bahut jald hogi'

'inshallah beta dekh kaisi kismat hai ki abhi ghar par koi bhi nahi tere pita toh baar baar kabhi embassy to kabhi police station aa jaa rahe hai oonhone apna wishwas nahi khoya hai oonhein yakeen tha aur dekh oonka yakeen aaj sach saabit hua mujhe to is baat ki khushi hai ki meri beti zinda hai le apne abba se baat kar'

'syeda beta syeda kaisi hai tu beta mujhe yakeen tha beta ki meri beti ko kuch nahi ho sakta meri beti ke gum hone ke piche kisi ki saazish hai main janta tha beta ki tujhe kuch nahi ho sakta'

'baba pls aap shaant ho jao pls baba main jaha bhi hoo mehfuz hoo theek hoo aur yakeen maaniye main aapke paas bahut jald aa pahuchungi'

'beta tu mujhe ye bata tu is waqt kahan hai? pata hai tere bagair main jee nahi paunga beta teri maa ke aansu mujhse dekhe nahi jaata beta...bata tere sath kya hua tha kaun tha woh harami jisne tujhe mujhse dur kar diya'

'tha koi bedard insaan papa jisne sirf apni shahawat puri karne ke liye hi mujhe aap logo se dur kar diya....baba main aapko sabkuch bataungi lekin jabtak main aapke paas pahuchungi nahi tabtak main mehez phone pe aapko zyada kuch nahi bata sakti lekin baba nischint raho main mehfuz hoo aur mere saath mera ek madadgaar bhi hai jiske hi wajah se aapki beti aaj zinda hai'

'lekin beta aise kisi pe yakeen!'....pita ne fikarmand hote huye kaha

'nahi papa wo aisa waisa nahi hai oosi ki badaulat aaj main bachi huyi hoo aur oosi ne mujhe apni zimmedari maana hai mujhse vaada kiya hai aur aaptak pahuchaane ka faisla kiya hai'

'kya naam hai oos shaks ka?'

'asif naam hai baba'.........pita ne asif se baat karne ki iccha jatayi

'papa wo is waqt yahi mauzud tha abhi wohh aanewala hai'

'beta mujhe oosse tu zarur se zarur bat karwa dena beta main har mumkin koshish kar raha hoo tere liye aur tu janti hai ki wo bhi tere liye utna hi mumkin koshish kar raha hai'

syeda ekdum se chaunk uthi....pita ke oos shaks ke zikar ko sunte hi jaise wo hairan ho uthi....'beta hello'..........'ha..haan baba main sun rahi hoo par aapne oose kyu bataya?'

'beta oosne sab sun liya tha aur tabse hi wo koshisho mein laga hua hai lekin beta tu abhi kis jagah hai kuch to bata mujhe'

'baba main ranibaagh mein hoo aur yaha se kareeban hi border hai aur waha se jaane ka rasta'

'beta main harpal mumkin koshish karunga aur tere oos asif ki bhi puri madad karunga bas beta tu waada kar ki tu mujhe oosse ek baar bat karwa degi'

'haan baba bilkul main oose aapka pakka hello hello baba'..........phone jaise kant chuka tha....syeda ne redial karna chaha lekin phone lag nahi raha tha oosne bahut koshish ki aur aakhir mein apne aansu ponchte huye phone booth se bahar nikal aayi...jitna oose aaj apne parivar se baat karke khushi mehsus huyi thi utna hi dukh bhi oonse bichadhkar oonse dur hone ka…lekin tabhi jab ooske baba ne oos shaks ka zikar kiya toh na jaane kyu wo bechain si ho uthi?....

x---------------------------------------x-------------------------------------------------------x-----------------

Theek oosi pal beech bazaar mein wo gaadi aa ruki wo jeep thi jismein kareeb 5 aadmi savaar they…oon paanch aadmiyo mein ek oos shaks ka wohi bhai gaurav tha….woh log ranibagh syeda ki talash mein pahuch chuke they…..’subah se nikle hai lekin saala oos syeda ki bacchi ka kahi ata pata nahi chal raha agar bhai ko na mili toh saala mujhpe hi pehle goli daagega damn it’………gourav badbadaye jaa raha tha

‘bhai apun ke yaha ek aad khabri hai oonko agar syeda ki tasveer dikhaaye ye de toh baat ban sakti hai’

‘hmmm so to hai lekin khabri ko ikhtila karne se pehle agar wo kahi gum ho gayi hai ya oose gaayab kar diya gaya hua tohh muskhil badh jaayegi waise bhi raanibagh koi khaas bara sheher nahi mehez ek town hai aur suna hai ye market hi is sheher ka main bazaar hai kya pata bhatakte bhule wo yaha se guzari ho kisi ne to oose dekha hi hoga’………..gourav ne apne saathiyo se kaha jo ooski baatein dhyaan se sun rahe they…

Gourav ko ye maalum nahi tha ki theek oosi ke saamne dur oos pco booth ke baahr syeda gulabi suit pehne khadi thi….jo apne hi gehri soch mein dubi huyi thi…..oosse bekhabar yaha gourav jeep mein baitha wo tasveer nikaalta hai jo ooske bhai ne oose di thi…’ye hai wohh ladki naam iska syeda hai ho sakta hai yaha ka koi aas paas ka banda dukaandar koi bhi niwasi ne ise dekha ho kabhi tasveer le jao aur ek ek ko dikhao apun yaha tum logo ka jeep pe waiting karta hai theek hai chalo jao’……………itna kehte huye gourav sit pe hi pasar gaya….charo gunde utarkar pehle to alag alag dishaauyo mein oose dhundhne ke liye ooske baarein mein maalumat karne ke liye nikal pade

Gourav ke aankho mein kaala chashma tha…lekin ooski nigah ek baar bhi pco booth ke paas khadi oos ladki ki taraf nahi gayi thi…warna wo syeda ko fauran pehchaan leta…gourav idhar udhar bazaar ke logo ko ghurrte huye jaise pco ki taraf nazar karta hai toh syeda ki peeth ooski taraf ho jati hai….gourav ka dhyaan fhir dusri or chala jata hai…udhar gunde syeda ke behad kareeb ke dukaano mein puchtach kar rahe they…syeda anjaan ki ooske aas paas musibat jaise ooski taraf hi pahuch rahi thi…

Tabhi achanak syeda ka dhyaan tuta kisi ne oose awaz di thi….jab oosne saamne khade shaks ko paaya toh wohh haatho mein mobile liye asif tha….’uff sorry dukaan mein bheedh bahut thi anyway baat ho gayi’………syeda ke udaas chehre ko dekh jaise asif kuch samajh na paaya jab oosne apne nazaro ko uthaaya to oosmein aansu they…

‘k..kya hua kya?’………ekdum se syeda asif ke gale lagkar ro padi asif kuch aage keh na paaya

Asif ne oose kuch pal yun hi apne gale se lipat jaane diya…asif ne ooske baazuyo ko fhir dheere dheere apne se alag karne ki koshish kit oh syeda khud hi jab apne hosh mein aayi toh wo jhat se asif se alag hote huye apne aansu ponchne lagi…

‘kya hua baat ho paayi?’……….asif ne jigyasa bhari nazaro se pucha

‘baat huyi baba maa sab mere intejaar mein they sabhi kahi na kahi ye maan rahe they ki main zinda hoo gum nahi huyi bahut khush huye jaankar oonka kaleja fhat pada wo aur baat karte lekin phone kant gaya chahkar bhi oonse aur baat na kar paayi oonhone kaha hai ki wo tumse baat karna chhahte hai tum pls oonse baat kar lo’

‘arre bas itni si baat tumhare paas number hai na toh bas aur dekho maine phone bhi recharge karwa liya ab ghar jaake aaram se oonse hum baat kar paayenge yaha aane ki bhi zarurat nahi chalo’…..syeda muskura uthi asif ooske chehre ki muskurahat aur aankho mein apne parivar se baat karne ki khushi dekhke bahut khush hua

‘to kya kya baat huyi baba se wo log toh bahut tension mein honge kya kaha oonhone ki wo aayenge lekin tumne bataya nahi ki tumhare paas jaane ke liye koi identity proof nahi hai sabkuch tumse cheen liya jaa chuka  tha’

Syeda kuch nahi keh rahi thi kyunki sochte sochte fhir wohi shaks ooske dimaag mein ghum raha tha ooske pita ne jis shaks ka zikar kiya tha oose malum chal gaya tha aur wo syeda ko bachane ke liye naakam koshsishe kar raha tha syeda kaise bhul sakti thi oose par aaj wo kaise itne waqt baad ooske zindagi mein kyu aaya tha?….wohi shaks jo ooske ekdin behad kareeb tha…wo shaks jo kabhi ooske aankho mein ek taqleef bhi nahi dekh sakta tha….wo shaks jise syeda oosse bhi zyada mohabbat karti thi….jiska naam tha digonto ahmed…ek pal ko syeda thithak gayi asif oose gehri soch mein dekh oose ek baar kandhe pe haath deke halka sa hilata hai

‘h..haan’…….syeda jaise khayalo se uthti hai

‘kya hua syeda are you okay?’…….syeda ke maasum gehri soch mein dube se chehre ko dekh asif ne muskurakar ooska dhyaan todte huyye kaha

‘n..nahi kuch nahi bas aise hi baba ne kaha hai ki hamari madad karne ki wo puri koshish karenge dekh lena wo zarur kuch na kuch karenge’

Asif sirf muskuraya…..’parivar se dur ho jana apne aap mein hi ek saza hai syeda ye baat mujhe jab samajh aayi thi to shayad bahut dair ho chuki thi’………..syeda asif ki taraf dekhte huye jaise hairan hoti hai

Syeda ooske kandhe pe haath rakhti hai…’hahaha main bhi bhavnao mein beh gaya chalo ab ghar chalte hai ab jo karna hai wohi se sochke karenge’……..kehte huye asif syeda ko apne sang chalne kehta hai…syeda muskuraye oose dekhti hai kabhi ooske zehan mein wo shaks ghumta hai to kabhi tarique to kabhi ooske sang chal raha asif jise ek pal ko wo dekhti hai…asif paise ada karke phone booth wale ko syeda ke sang chal padta hai…is baat se anjaan ki theek oonke piche wo gunde pco booth waale ke paas pahuch chuke they

‘isko dekha?’……..buddha chashma apna theek karta hua syeda ki tasveer ko gaur se dekhta hai

‘dekhi dekhi to lag rahi hai yee tohh jaise lagta hai!’……..buddha jaise koshish kar raha tha batane ki ki tabhi gunda thodi karkash swar mein kehta hai

‘time nahi hai kaka jaldi batao tumne ise dekha hai kabhi yaha aayi thi’
Budha fhir tasveer ko ek baar gaur se dekhte huye achanak bol uthta hai…’arre ye tohh abhi abhi aayi thi’

Ooski baat sunkar wo gunda chamak uthta hai…’k..kya kahan hai yeh? Kiske sath thi akeli thi?’……gunda ke sawalato ke barsat mein Buddha thodha hakla jata hai theek tabhi aur gunde bhi ooske paas aa jate hai….’arre ye to yaha phone pe baat karne aayi thi ek ladka bhi tha iske saath’………..’pakka buddhe jhoot to nahi keh raha’……………’itna badhbakhti apun mein nahi jo ek baar dekhne ke baad kisi insaan ko bhul jaaye arre abhi baat karke ye log yaha se gaye wo dekho shayad raaste pe ho’…………..’kis taraf gaye they wo dono?’……….gunde ne jaldi se pucha

‘wo saamne’……..ishara paate hi theek oon sabka dhyaan saamne ki sadak par gaya aur theek tabhi oos gulabi rang ki suit pehni ladki aur ooske baalon se wo oose oose pehchan chuke they lekin syeda ke sang oonhein asif bhi khada dikha jise dekh wo oose pehchaan na sake


Logged
asif biswas
Guest
«Reply #8 on: January 07, 2019, 01:09:23 PM »
‘wohi hai chalo lekin dhyaan se aas paas bheedh hai tamasha nahi banane ka’……….wo gunde jaise bikharte huye oon dono ke kareeb dheere dheere bhaagte huye aane lage

Achanak asif ki nigah syeda se baat karte huye piche ki or huyi tabhi kuch gunde idhar udhar khade ho gaye jaise oose maalum na chale….asif fhir raaste ki or dekhne laga..wo gunde fhir oonke piche piche chalne lage oonse duriya banate huye

‘syeda’…………syeda ki nazar asif ki or huyi jo sidha raaste pe dekhte huye muskura raha tha

‘k..kya?’

‘kuch mat kaho sidha saamne dekho kuch gunde hamare piche hai wo saale mere patthe nahi hai bahar se aaye huye lag rahe hai ho sakta hai ye oosi shaks ke bheje huye ho jo tumhare piche haath dhoke laga hai’

‘sunkar jaise syeda ka badan kaanp utha ooske pair thithakne ho gaye’

‘ssshh ruko mat ruko mat teji se bhi mat chalo jaise keh raha hoo waisa karo maathe pe dupatta daalo daalo’………..syeda ka baazu lagbhag thoda mazbuti se pakadte huye asif raste ki taraf dekhte huye jaldi jaldi kehta hai
Syeda apne sar par dupatta odh leti hai nigaah khauff se raaste ki or kiye huye……wo gunde oonpe nigah kiye huye kuch kuch samajh jate hai…..wo log teji se oonke piche daudte hai bheedh zyada hone ki wajah se asif bheedh ka fayeda uthaaye bahut teji se bheedho mein syeda ko liye jaise chipne ki koshishe karta hai….ab dur aur bheedh dono ki wajah se logo ko thelte huye wo gunde ab oonke piche hi daudte hai oonhein dhundhte huye leki ntabhi wo bhaukla jate hai

‘kaha bhaage wo dono’……….abhi wo gunde soch hi rahe they ki tabhi ek gunda ishara karta hai..oon dono ko ek sunsan gully mein jaate huye

‘in dono ko pakadte hai oonhein shayad shaq ho chuka hai chalo’……..wo aadmi garajte huye apne saathiyo ko kehta hai wo log daudte huye oos gully ke bheetar ghuste hai….tang galiyo mein ghuste huye wo jaise oon dono ko talashne ki koshish karte hai

‘tu is gully jaa tu is gully theek hai chal chal jaldi kar’……….apne mein irada karte huye wo charo bikhar jate hai

Ek gunda bhaagte huye oos gully ke dusri or jaane hi wala hota hai ki tabhi kisi pair ki aar se wo sidha zameen pe munh ke bal girta hai…lekin uthne se pehle hi jaise kisi ke jute ka prahar ooske sar pe hota hai…ghash khaaye wo sidha zameen pe dhair ho jata hai….ooske piche khara asif oose hi ghur raha tha…syeda ek aad khauff se sihami huyi….asif bina dair kiye ooski gardan madod deta hai….ooske haatho mein ab gloves hote hai…syeda ka fhir haath thaamein oos laash ke upar se wo dono aage guzar jaate hai

Asif aur syeda oos dusri gully ki taraf aaye hi they ki itne mein saamne ek gunda aa dikhta hai…syeda oose dekhke kaanp uthti hai…syeda ko akela khara dekh wo gunda chaunkte huye fhir muskurate huye ooski taraf aane lagta hai syeda piche kadam ko karne ki koshish kar hi rahi thi ki tabhi oon dono ke darmiyaan asif aa khada hota hai asif ko ekdum se dekhne pe wo bhaukla uthta hai aur theek tabhi asif ke haath mein chamakti gun apni or dikhte huye wo bhaag uthta hai…lekin tabhi dhacch aur goli ooske jism mein dhass jaati hai wo wohi dhair ho jata hai….syeda safed pad si gayi thi maano kaanto to khoon nahi….asif oos gunde ke nabz ko check karta hai aur fhir waapis syeda ki taraf dekhke oose apni taraf aane ka ishara karta hai dono haath pakde fhir waha se bhag nikalte hai

Do gunde waapis ek mor pe aake ekdusre ki taraf dekhte hai….’kahan bhaage wo?
Aur divu aur suresh phone kaahein nahi uthaa rahe’……………’mujhe kuch locha lag raha hai? gourav bhai ko call kar’………wo number lagate hi hai ki tabhi saamne asif ko khada dekh wo bhaukla uthte hai

‘ayee ruk’…….asif oonhein dekh bhaagta hai wo dono gunde ooske piche chillate huye daudte hai lekin theek tabhi oonhein ahesas hota hai ki wo khud jaal mein fass chuke they

Kyunki asif bhaagne ke bajaay oonki taraf goli ka nishana kiye khada ho jata hai….wo dono oospe hamla karne ki koshish karte hi hai ki tabhi asif goli chalate huye teeno teen goli ek gunde ke jism mein daag deta hai wo wohi dhair ho jata hai….aakhri gunde ko goli nikaalne ka waqt bhi nahi milta aur tabhi ek goli ooske haath mein jaa dhassti hai….’aaaaaahh urghhh’………wohh wohi girke chilla uthta hai

Asif gun liye ooske kareeb baithta hai…..’kaun bheja re tere ko bata saale warna abhi tere ko bhi tere dost log ke saath upar bhejta hai’
‘n..nai maanf kar de bhai plss mujhe mat maar wohhh gourav bhai ne bheja tha…wohh ladki syedaa aahhhh’…………lekin ooske aur aage kehne se pehle chaati mein gun rakhte huye trigger daba chuka tha asif ooske….

Ek baar ooske shareer ne jhujhuri li aur fhir thanda padh gaya….asif ne uthkar dhuye nikal rahe gun ke naal pe fhuka aur aur apne peeth aur jeans ke beech fasaa liya….ek aad khadi syeda ye maut ka manzar dekhke asif ki or dekhti hai….asif ooske paas aakar ooska haath thaamein kisi chote bacche ki tarah oose apne sang le chalta hai syeda ek baar palatkar oon laasho ki taraf dekhti hai

‘tumne oonhein kyu maar diya?’……………syeda ka sawal sunkar bina ruke asif raaste ki taraf gambhirta se dekh raha tha

‘agar oonhein nahi maarta to wo humtak pahuch jaate…ya fhir apne sargana ko call maar dete hamara picha hota aur wo mere hamare thikaane tak pahuch jaate umeed hai ki aur gunde aas paas na ho wo bas chaar hi they….khair oos gunde ke jeb se ye tasveer mujhe mili tumhari’…….syeda ko wo tasveer ooski dete huye syeda chaunk uthti hai

‘tumhein lagta hai ki wo jo koi bhi hai wo shaant baitha hua hai wo jo koi bhi hai wo tumhare piche in gundo ko isliye bheja ki jaan sake ki tum yaha ho ki nahi oose yakeen hai ki tum zinda ho aur ab in laasho ko dekhne ke baad oose pura yakeen ho jayega lekin kismat kharab wo gaurav saala mujhe nahi mila warna oosko bhi thok deta’

Ooska naam sunkar syeda ekpal ke liye teher jaati hai….’wohhh wohh to ooska bhai hai’…………..asif ooski taraf mudkar dekhta hai……’kiska bhai?’…….syeda jaise oosi bedard insaan ko ek baar fhir yaad karte huye seheme sochne lagti hai

Asif ooska jawab na sunkar ooske haath aur kasske pakadte huye apne sang lagbhag oos gully se bahar nikal jata hai….asif janta tha ki kisi ke nazaro mein aane se wohh fhass sakte the….wo dono kuch hi duri pe khadi asif ki gaadi mein baith gaye asif ne gaadi back karte huye waapis ghar ki taraf dauda di…

Udhar gourav kaafi dair jab raha toh oosne ek baar phone lagaya lekin kisi ka bhi phone lag nahi raha tha…’saale kahan marr gaye sab tabhi oose halla sunaai diya’….gourav utarte huye oos shor ko sunkar aage dauda kuch log kisi gully se aa rahe they aur baat karte huye jaa rahe they waha acchi khaasi bheedh lagi huyi thi

Gaurav kuch samajh nahi paa raha tha…..wo jab waha pahucha toh ooski aankhe sann reh gayi kyunki waha do laashein padi huyi thi……….tabhi oosne kuch logo se suna…..’pata nahi kabtak ye sisila chalega saala do ko udhar maarke faikh rakha hai ye sab gangwar hai ek ko bhi nahi baksha’………..’haan sahi keh rahe ho ye sab gundagardi nahi to aur kya hai ek ek ki jeb se gun baramad huye hai aur saala sabko maara bhi tohh goli se pakka kisi gang ke log honge ye log’

Gourav oon laasho ko pehchan sakta tha jinhein kuch dair pehle oon charo gundo ko oosne bheja tha…oon gundo ke sath oose kisi ne dekha to nahi ye sochte hi wohh bheedh se nau do gyarah hote huye waapis apne jeep pe sawaar hua aur jeep ko back karte huye waha se nikal gaya….jeep chalate huye ghabrate huye wo apne pasine ko ponchte huye apne oos bhai ko call lagata hai….ye buri khabar dene ki…ki jis syeda ki talash mein ooske aadmi ooske sang aaye they…talash mein gourav ko oonhi ki laash mili thi waapsi mein…

Gourav hadbadate huye cigarette ko jaise taise apne hontho mein fasaaye huye apne bhai ko call lagata hai…aaj pehli baar tha ki oon laasho ko dekhne  se ooska dil kaanp utha tha…oosne socha nahi tha ki maamla is qadar khoon kharabe pe pahuch jaayega…gourav ko lagne laga tha ki ismein shayad oon gundo ka haath tha jo dhaabe se ooske piche lage they jisne syeda ko agwa kiya ho…gourav bekhabar tha ki syeda ki hifazat kar raha wo shaks asif tha jiske babat ooske kuch bhi maalum nahi chal paya aur malum chalta bhi kaise? Kyunki oon gundo ki maut ke saath wo raaz bhi oonke saath chala gaya tha…zyada dair tak ringing na ho paayi tatkal oos shaks ne phone uthaya jaise besavri se wo intejar mein tha gourav ka jawab sunne ka

‘bol gourav kya khabar hai?’….oos bhari shaks ki awaz phone par huyi

‘k..khabar bahut buri hai bhai maamla bahut zyada bigad gaya wo..wohh apne pantar log wo charo gundo ko maine bheja tha syeda ko dhundhne…lekin na jaane kisne oon sabko ek saath goli maar diya eke k jagah oon logo ki laash mili mujhe main toh wohi se cooch kar gaya warna apun fass jata’

‘aisa nahii ho sakta iska matlab saaf hai ki meri syeda wohi mauzud hai mujhe malum tha ki wo marr nahi sakti’………shaks ne garazte huye phone par gourav ko jaise kaha

‘dekh bhai yaha ka raj kisi aur ka hai apna sheher nahi hai jo mann marzi kuch bhi kar lenge tu samajh ye ranibagh hai aur mujhe to lagta hai ki syeda yahi ke kisi gang ke aadmi ke paas pahuch chuki hai warna mehez syeda ki talash mein koi apne logo ko kyu maarta?’

‘mujhe kuch nahi janna kisi ki zindagi jaati hai to jaaye mujhe kisi ka khauff nahi bas mujhe syeda kisi bhi keemat mein chahiye wo tasveer kahan hai wohh  tasveer jo maine tujhe di thi?’….shaks ne jaise gourav se sawaal kiya

Gourav siham utha kyunki oose yaad aaya ki wo tasveer to oosne apne jis aadmi ko di thi wo to laash bankar logo ke saamne pada hua tha ooske jeb se kuch bhi tatolna gourav ke bas mein oos waqt nahi tha…..gourav ne zor se thook nigla aur mulaiymat se sirf itna kaha ‘wo tasveer oon laasho ke paas hi reh gayi main darr se’

Jaisa sher ki dahadh nikaale oos shaks ne apne phone ko maarein gusse mein sheeshe ki taraf faikha…tutte sheesho se takraate huye phone chaar bhaag hokar zameen pe bikhar gaya…oos shaks ki dahadh gourav ne phone cut hone se pehle sun li thi…oosne phone ek or faikh diya aur mare ghabaraye wohh sheher ke paas ek resthouse ki taraf jeep ka rukh kiye waha pahucha

x--------------------------x---------x-------------------------------x-------

Syeda ki tasveer ko syeda sihame huye nazaro se dekh rahi thi aur fhir saamne tehelte asif ki taraf oosne apni nazarein uthaayi jo gambhirta se ek or fhir dusri or chalte huye tehel raha tha kisi gehri soch mein duba….syeda oos pal kuch dair pehle huye oos muthbhair ko yaad karne lagi ki kis tarah asif ne beparwah kiye oon gundo ko jaan se maar diya tha…na ooske dil mein rehem tha na hi darr….ek pal ko syeda jaise asif ko nahi oosi bedard kathor insaan ko dekh rahi thi jisse wo dur bhaagkar yaha pahuchi thi…ek pal ko ooske dil mein asif ke prati jo hamdardi huyi si thi wo ek hi pal mein jaise mit chuki thi…reh rehkar wo apne upar huye oon kharabo ko yaad kar rahi thi jo kuch ooske saath abtak hote aaya shayad wo oose bhavna mein ye baat keh chuki thi..

‘tum ye sab kaise kar paate ho? kya ek baar bhi tumhara haath nahi kaanpta kya tumhein khauff nahi hota…oos maut se’

‘bas syeda bas kitna jaanti ho jo tum ye baat mujhse keh rahi ho bolo zara’………….asif ekdum se syeda ki taraf gusse mein aaye kehta hai….syeda khaamosh ho jati hai

‘aajtak bedardi sirf maine jheli hai aur is duniya mein sabse bara bedard agar koi hai tohh woh hai hamari kismat jo hamare saath kuch bhi kar baithti hai bedard ye zindagi hai jo humhe milati hai…khushiya to sab manate hai khud ke paida hone ka lekin maatam sirf khud ko hi manana padta hai arre agar ye haatho mein hathyaar na hota aur agar ye haath kaanpte tohh kya main apni zindagi bahut pehle hi nahi kho chuka hota jawab do jaise tumhari zindagi aaj badtar huyi hai lekin bedard to ye zamana hai jo humhe bedardi se bas bedard banana chahta hai humare saath hi bura chahata hai khair jaane do itna sabkuch jo main tumhare liye kar raha hoo ooska tumhein thodi na andaza hoga syeda zindagi ko ek alag nazariye se dekho aaj is duniya mein har kisi ko bedard berehem banna hi padta hai aur jo na ban saka ooske saath ye bedard duniya aur bhi zulm dhaati hai aur bhi bedard ho jati hai’……..asif kehte kehte jaise teher gaya oose apni bhul ka ahesas hua oosne nazarein idhar udhar ghumaayi fhir khaamosh nazar jhukaai syeda ki or dekhne laga

‘sorry apun ne tumse ucchi awaz mein baat ki tumhein itna kuch keh diya galti tumhari nahi hai syeda is bedard zindagi ne mujhe is qadr bedard bana diya hai ki main chahkar bhi tumhare jaisa nahi ho sakta lekin tummein mujhe apna kal dikhta hai wohi sehma hua darra hua asif jis asif ko is bedard zindagi ne na hi sirf bedard insaan bana diya aaj balki ek muzrim bhi tumhara zimma maine uthaya hai sirf isliye ki mujhe kuch accha karne ka mauka mile aur shayad ye aakhri baar ho lekin ek baat yaad rakhna jabtak main tumhein tumhare ma-baba ke paas pahucha nahi dunga tabtak main sukoon se nahi baithunga’

Kehte huye asif mudkar jaane laga toh syeda ne jaise oose roka is baar oosne asif ka haath pakada tha…’I am sorry pls mujhe maanf kar do pls asif’………asif ne mudkar apni royi nigaaho se syeda ki or dekha syeda ooske nazaro mein aansu dekh sakti thi aaj oose yakeen na hua ki oos jaisa bedard insaan bhi ro sakta hai

‘meri wajah se tum itne muskhilo mein pad rahe ho sab galti meri hai main wajah hoo aur bas is baat ka khauff hai ki wo meri zindagi mein laut aaya hai aur mujh tak pahuchne ki koshisho pe koshish kar raha hai ooski deewangi ooska junoon main janti hoo asif bas mujhe darr hai ki ooske wajah se tumhein kuch!’……..asif ne ooske hontho pe ekdum se apna haath rakha…syeda ke mulayam hontho ko chune se jaise asif ek pal ko ooski taraf jaise dekhne laga…syeda bhi oose hi dekh rahi thi…haalat samajhte huye asif ne fauran haath hata liya syeda nazarein jhukaane lagi

‘nahi syeda tum meri fikar mat karo main bhi janna chahta hoo ki aakhir wo kaun hai? jisse tum abtak bhaagte aayi ho kaun hai wo bedard insaan kaun tha wo tumhara aur kyu oosne tumse taarique ko cheena’………..asif jaise ab syeda se osoki kahani sunne ka izhar karta hai

Syeda jaise waapis apne beete kal mein chali jaati hai….oos kal mein jaha ooske zindagi mein ek ke baad ek mor aate gaye…sabse pehle ooske zindagi mein digonto aaya aur ooske baad fhir taarique aur oosi pal tufaan ka saaya bankar wo bedard insaan….soch ki kashmakash mein hi thi ki itne mein syeda ke kandhe pe asif ne haath rakha…syeda chamak uthi oosne mudkar piche dekha….asif ke nigaho mein sawaal barqarar they janne ko….syeda bolne hi waali thi ki tabhi asif ka phone baj utha…asif syeda ko dekh chup rehne ka ishara karta hai…number jaana pehchana tha…’hello’……tatkal kaan se lagate huye asif ne fauran pucha

Kuch dair baad jab oosne phone kaata to ooske maathe pe shikhar thi…..’kaun tha?’……..asif ne syeda ki taraf gambhirta se dekha….’apun ka mausa bappa da apun ka godfather bulayaa apun ko apun to bhul hi gaya tha itna kuch ho gaya jo’………………..’agar oonhein malum chal gaya to’………syeda ne khauff jatate huye ooske kandhe pe haath rakha

Syeda ke haath ke sparsh se asif ne ek tak ooski taraf fhir dekha oosne bas muskuraya aur nischint ho jaane kaha…..’apun jaa raha hai tum fikar mat karna abhi aa jayega tum aaram karo waise bhi jis halat se guzari ho oosse ubharna bahut zaruri hai baaki baat main aake karta hoo ki humhe aage kya irada karna chahiye taaki tumhare maa-baba tak main tumhein pahucha saku’

Asif ke jaane se syeda ki fikar dugni huyi zarur thi lekin oosi pal ooske madad ooske support mein oose apne liye kaafi hausla dikha tha…asif darwaja band kiye jaa chuka tha….syeda kashmakash ki ghere mein wapis bistar pe baith chuki thi…wo apne oos beete kal ko yaad karne lagi jis kahani ko janne ki uksukta asif ne izhaar kit hi….aaj kitni khush thi wohh ki apne maa-baba se oosne baat ki aur theek tabhi wo ek bare tufaan se bachte huye nikli kaise asif ne ooski jaan bachayi thi warna aaj fhir wo oos bedard insaan ke hatho mein hoti...apne pita se sune oos shaks ka zikar ab bhi ooske zehan mein ghum raha tha….aisa lag raha tha jaise beeta kal oosse dur hone ke bajaay aur kareeb aa khada hua tha…bas oos waqt itna hi oosne khud se pucha tha….’aakhir kyu aaye tum mere zindagi dobara digonto kyu?’

x-------------------------------------x----------------------------------x---

Asif gaadi chalata hua bas syeda ke baarein mein soch raha tha….jis raat oosse syeda ki mulaqat huyi thi…kya ittefaq tha? ki dono ki manjil ek thi aur kaise oosne syeda ko bachaya? Syeda ka sihama hua wo chehra…wo maasum neeli aankhe….ooska yun oosse gale lag jana….jab oosne ooske hontho pe haath rakha kitne mulayam naazuk they? Aajtak zindagi mein sirf nafrat se asif dil lagate ayaa tha aur aaj pehli baar aisa hua ki baar baar itna kuch hone ke bawjud wo syeda ke aur kareeb kheecha chala aa raha tha…na jaane kya kashish thi oosmein jo oose bhi apna diwana bana rahi thi….ooska yun asif ke liye fikar karna oosse ek pal ko bhi dur na rehna…sochte sochte asif hass pada

‘sach mein kuch to baat hai is laundiya mein….apun ka dimaag bhanna diya saala akkha time apun ne sirf hawas aur nafrat ko hi apna maana lekin sach mein ye jabse apun ke life mein aayi hai naa jaane kyu baar baar ooske prati main aur kheechta chala jaa raha hoo abey saale pagal insaan kya ho gaya tujhe kyu soch raha hai itna tu kaun si teri zindagi mein aayi wohh pehli!’…….achanak jaise asif ke chehre pe muskurahat gaayab hoti chali gayi aur theek tabhi wo kuch soch mein dub sa gaya…oon palo ko yaad karne laga jo pal ooske zindagi ke sabse aehem palo mein se ek they…kaash oos waqt kismat ne ooska saath diya hota lekin kismat ne to jaise ooske zindagi se munh hi mor rakha tha

Asif ekdum se hadbadate huye oon palo se jaise bahar nikal aaya….’kya sochne laga main kyu baar baar yaad aati ho tum aaj bhi tumhein khone ka gam hai mujhe mat mujhe badalo tum pls ishita pls’…..ekdum jaise asif oos naam ke keh dene se ghabra utha ooski aankhe khauff se bari bari ho gayi jaise mann ke andar ka gussa ooske aankho mein tha…
Bappa da ke yaha asif pahuch chuka tha…bappa da paisath varshiye sheher ka wo dada tha jisse bare bare gunde bhi darrte they….asif ooske saamne khada nazarein jhukaaye huye aur aas paas tainat ooske gunde oose to kabhi bappa da ko chupchaap dekh rahe they…bappa piche mudkar asif ki or dekhte hai…oonke kathor nigaho mein sawaal they

‘sab khairiyat to hai asif’………………’ji mausa’………….kehte huye asif khaamosh ho gaya

‘apun suna delhi se koi ladki aayi anjana naam ooska’…………….’h..haan meri friend hai mausa mujhse hi special karke milane aayi’………’hmmm apun ko koi matlab nahi par tune aaj suna ki apne area mein aaj gangwar hua char gundo ko kisi ne maar diya apne aadmi nahi ho sakte kyunki oon ko humara koi bhi aadmi nahi janta’………….’han mausa suna tha samajh nahi aata in sabke piche kaun hai’……….’dekh ye tension wala mamla hai marne wala kiska aadmi tha ye janne ka’…………..’mausa aapse kuch akele mein private karke baat karna hai’………..mausa ne sabko ishara kiya sab waha se ruksat ho gaye

‘bol ab kya baat hai’……………’mausa who apun ko Bangladesh jaana hai nadi ki taraf se tum kuch bandobas karwa sakta hai’…………..mausa ne ek nazar asif ki taraf dekha….’kyu tujhe Bangladesh jaane ki kya jarurat pad gayi’……….’bas aise hi ghumne kuch din ke liye jane ka mann hai aur jeb mein flight ke paise nahi tohh socha ki saste mein’………..’haan jaa to sakta hai par khatra hai pata hai na illegal hai rasta’………..’janta hai fhir bhi’…………mausa ne is baar oose bare gaur se dekha lekin kuch kaha nahi……..’theek hai main bat karta hai apne aadmi se tu bata dena kab jana hai?’………’jitna jaldi ho sake’…….mausa ke dil mein jaise is baar kehne ko kuch aaya par wo chup ho gaye….’ho jayega cha lab tu jaa’………asif khuda hafiz kehte huye khush hote huye mann hi mann waha se nikal jata hai….

To be continued….
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #9 on: January 09, 2019, 12:11:26 PM »
Raaste bhar waapsi mein gaadi chala raha asif bas apne khyalo mein syeda ke baarein mein soch raha tha aaj wo kahi na kahi khush tha....asif ko lag raha tha ki oonka rasta aasan ho gaya tha lekin kahi na kahi syeda ke piche pade oos benaam shaks ka aur khud bappa da ke shaq par asif kahi na kahi chauknna bhi tha kyunki ekdum se ooske bangladesh jaane waali baat bappa da ko azib si lagi thi upar se oon 4 khoon ke wajah se wo waise hi pareshaan they khoon oonke area mein kisi anjaan logo ka hua tha iske piche ki saazish ko wo janna chahte they...lekin asif befikari se bas syeda ke liye khush tha baar baar ooska chhera ooske saamne tasveer banke ghum raha tha…. wo pal jab syeda ka yun oose gale lag jana oose baar baar shukriya karna...aur asif ka ooske hontho ko chuna wo pal sab jaise asif baar baar sochte huye muskura raha tha oose mehsus hua ki ooske dil mein syeda ke liye ye khichav mohabbat ke sign de rahi thi jise na chahte huye bhi asif nazarandaz nahi kar pa raha tha....

asif ghar pahucha...sidiya chadhte huye oosne ek baar charo or dekha fhir darwaje pe dastak di...darwaja kholte hi asif ek pal ko bas syeda ko dekhne laga.....kyunki darwaja khulne ke samay hi oosne syeda ko ek naye rang ke suit mein dekha tha ooske halke bheege baal aur ooske chehre ko dekh jaise ek pal ko asif ektak oose khaamoshi se dekhne laga ki wo abhi abhi nahakar nikali thi ooska chehra to waise hi gora aur haseen tha ooske fresh hone ke baad to aur bhi jaise ooske chehre pe taazgi si lag rahi thi..syeda ke chehre pe oosi ke aane ka maano intejar tha jo ooski muskurahat aur raahat mein tabdil hote huye bata rahi thi..

'aa gaye tum ?'..........sawal sunkar aisa laga jaise syeda oosi ke liye kitna intejar kar rahi thi...aaj asif ko pehli baar kisi gair se apni fikar karte huye si lagi

'h...haan wohh'..........asif ki nigaah ek baar charo or huyi ye ooska kamra itna saaf kaise tha har cheez kaayde se apni jagah par thi ye sab dekhkar asif hairan ho gaya

syeda ooski nazar ko bhaanpte huye charo taraf dekhte huye ooski taraf fhir muskurayi...'maine saaf kiya lekin fikar mat karo sab cheez apne hi jagah par hai koi cheez chua nahi maine'.............'arre par iski kya zarurat?'..........'meri ammi hamesha kaha karti hai ki hum jaha bhi rahe wo jagah salihat se honi chahiye'...........syeda ki baat sunkar jaise asif muskura pada

'anyway chalo baitho pehle'.......syeda ka haath pakde asif oose bistar pe bithata hai syeda kuch samajh nahi paa rahi thi wo hairani oose apna haath thaamein ooske sang bistar pe baithti hai

'tumhare liye ek good news hai'

'good news kaisa good news?'...bholi syeda ke chehre pe sawaal ko dekhte huye asif muskuraya

'arre ab fikar not apna godfather mausa ne hamara intejaam karne ka bandobas kar diya samjho ab hum bahut jald tumhare watan aasani se jaa payenge'

sunkar jaise syeda ke chehre pe itne dino baad khushi umad aayi.....'p..par kaise kya tum sach keh rahe ho?'.........'h..haan syeda main bilkul sach keh raha hoo maine tumse waada kiya tha na ki tumhein tumhare maa-baba ke paas leke jaunga aur samjho ki tum bahut jald tumhare maa-baba ke paas hogi'

syeda ke aankho mein ghulte aansuyo ko dekhkar asif ne fhir oose samjhaaya......'ssshhh hey rone ki kya zarurat hai arre apne aap ko sambhaalo syeda abhi humhe bahut lamba rasta tayy karna hai'

'nahi asif tum nahi jante ki main apne maa-baba ko dekhne ke liye kitni tarsi hoo bas main chahti hoo ki mai njald se jald oonke paas pahuch jau apne watan pahuch jau'

'tum bahut jald waha hogi syeda ye mera tumse vaada hai waise maine toh apna vaada nibhaaya lekin tum kab apna vaada nibhaogi?'

syeda asif ke chehre ki taraf ekdum se sawali nigaho se dekhte huye kehti hai....'kaisa vaada asif?'............asif syeda ke sawal puchne par gambhirta se khada hokar saamne khidki taraf dekhne laga

'mujhe tumhari kahani jaanni hai syeda'..........syeda sunkar jaise ek pal ko fhir oos gehri soch mein dub gayi

'dekho syeda main janna chahta hoo ki tumhari hassti khelti zindagi mein kisne aag lagaya tha? kaun tha wo bedard insaan jiska naam aajtak tumne apni zubaan pe nahi laaya pls syeda pls kasam khuda ki agar wo mujhe mil gaya toh main oose'...........syeda piche mudkar jaise asif ki or dekhne lagi asif ne ooske aankho mein gambhirta ke saath gussa bhi dekha tha

'ooska naam bhi zubaan pe laana nahi chahti hoo main asif kaise kahu tumhe ki wo kitna bedard tha kitna had se intehai guzar jaane wala insaan tha main oose insaan nahi ek janwar kahungi jo apne obsession ke liye kisi bhi had se guzar sakta hai aur main to dua karti hoo ki ooske humtak pahuchne se pehle hi hum oosse dur ho jaye aaj main tumhein apni kahani sabkuch ekdum shuru se bataungi kuch nahi chupaungi tumse kuch bhi nahi'..........asif khaamosh khadi syeda ki tassavar karte chehre aur ooski baat ko sun raha tha

x-------------------------x--------------------------------x---------------

Baat oon dino ki hai jab main bangladesh mein thi.... meri zindagi mein wo sabkuch tha jo har ladki apne zindagi mein chahti hai....paisa shourhat izzat naam parivar aur oosse bhi badhkar kisi ka saath....main apne college ke waqt mein hi thi ki itne mein meri friend circle mein kisi ne party rakhi thi....main to hhamesha se har khushi bhare lamhe ko enjoy karti thi oos din bhi main party mein gayi....meri ek friend ne mujhe bataya ki aaj ooske boyfriend ke sath ooske kuch friends bhi aayenge....maine koi khaas tawajjoh nahi di lekin jab party ke dauran wo ladka party mein enter kiya to main bas oose dekhte reh gayi....aankho mein chashma maasum sa wo chehhra ek pal ko jaise wo mere zehan mein oosi waqt jaise sama gaya....jab hosh sambhala to paaya ki meri saheli ooske friend logo se mujhe introduce kara rahi thi...

oos ladke ki pehli nazar jab mujhpar padi toh maine paaya ki wo baakiyo ki tarah mujhe ghurr nahi raha bas oosne mujhse itna kaha ki jaisa dekha tha aap waqayi bahut intehai khubsurat hai.....main oose thanks kiye bagair reh na payi na jaane kyu kisi aur ke compliment ne mujhe itna impress na kiya jitna ooski baaton mein tha

'hey'..........oos waqt maine hi oose dobara toka tha...wo akela friends ke sath hasi khushi baat kar raha tha mujhe dekhkar wo muskurate huye hi bola

'sorry maine aapko disturb kiya'.............'arre party mein aane ka matlab zaruri nahi ki koi kisi stranger ignore kare aur stranger wo hote hai jo sirf hello hi kehke bhaag jate hai hahaha'..............main ooski baat sunkar jaise hass padi

'waqayi aap'..........'aap mujhe mere naam se hi bulaaiye bataya nahi aapko maine apna naam digonto ahmed'...........'ohh sorry digonto waise tum karte kya ho?'..........'abhi padh raha hoo b.tech 2nd year in dhaka university'..........'oh wow that's great main bhi bsc mein hoo'.........'oh really that's good waise aapse ek baat kahu'.......'kaho'.......syeda ne jaise muskurakar pucha

'jitna aapko tasveer mein dekha tha aapki baatein oosse bhi zyada kayi khubsurat hai sorry agar aapko meri baatein compliment lag rahi ho toh jo mere dil mein aata hai wohi kehta hoo'

'hahaha thank you ones again'.........yakeenan ooski baatein khud dil chu lene wali thi main bas oose ektak aur ooski baatein sun rahi thi

achanak mera dhyaan tab tuta jab meri saheli ne mujhe jhinjhora....'arre kahan kho gayi thi tu?'..........'nahi wo bas aise hi wohhh'........tabhi digonto ko muskurate dekh mujhe sharam si mehsus huyi....'okay ladies i will just come'.......wo kehte huye waapis apne dosto ki taraf badh gaya....meri saheli to jaise mujhe chidhane lagi....'kya baat hai oose bara akele akele baat kar rahi thi aur yaha itne ladke tere se baat karne ke liye mare jaa rahe hai oonpe tera koi dhyaan nahi'

'nahi aisi koi baat nahi'.........'arre main smaajhti hoo asal mein iski baat hi kuch aisi hoti hai ki log iske taraf kheeche chale aate hai aur ladkiya to khaaskar waise abhitak single hai ho sakta hai teri baat ban jaye'.............'hat pagal kuch bhi'.........maine muskurakar apni saheli ko hasste huye paaya

lekin sach tha waaqayi main dheere dheere ooski taraf badhti chali jaa rahi thi....party ke dauran oosne ek gaana bhi hum sabke ke liye gaaya tha....ooski meethi wo awaz jaise mujhe ooska diwana bana rahi thi na jaane kyu ooske alfazo mein jaise mere liye hi koi ishara tha baar baar gaate huye wo meri taraf dekh muskura raha tha...main bas chupchaap ooski aankho mein dekhi jaa rahi thi....jab gaana thama aur logo ki taaliya baji tab mujhe ahesas hua ki main kitna kho si gayi thi? wo stage se utarkar jaa chuka tha...

maine oose dhundha bhi par mere dosto mein main itna ulajh gayi ki ooski taraf ek baar fursat se baat karne bhi na jaa payi....main waapis ghar laut aayi pure waqt ooske barein mein sochte huye....mujhe kabhi pyar nahi hua tha...aur ye bhi main janti thi ki har ladka mera deewana tha mere khubsurat chehre par sab marr mitte they mujhse baat karne ko taras jate they dosti karne ke liye aage piche ghumte they even meri kuch saheliya bhi mujhse is lsliye jalti thi bhi thi….lekin na jaane kyu mera dhyaan oos digonto ki taraf is qadar tha ki main khud ooski diwani hoti jaa rahi thi wo auro ladka jaisa mere khubsurati ka diwana nahi tha wo dil ka behad khubsurat tha bahut saaf pak mann ka tha yahi wajaho ne meri raaton ki neend jaise ooske liye uda rakhi thi...

mujhe laga shayad ooska mujhpar dhyaan nahi tha..isliye party ke baad wo fhir mujhse contact karne ki koshish nahi kiya....lekin meri kismat ne rukh liya aur teesre hi din mujhe ek unknown number se call aaya...main samajh na paayi wo kiska call tha jab phone receive kiya to oos awaz ko sun main jaise ek pal ko apne bistar par baith gayi

'hello syeda is it you?'.........'digonto?'...........'hahaha tumne meri awaz pehchaan li'..........'kyu? main itne jaldi bhul gayi tumhein jo tumhari awaz ko bhul jaungi oos din tumhara gaya hua gaana ab bhi mere kaano mein gunz raha hai'...........'zaahnawazi (compliment) ke liye shukriya waise sach kahu to mujhe sorry feel ho raha hai ki main oos raat party mein bina tumse mile chala gaya'

'sorry to mujhe bhi kehna tha oos din main is qadr dosto mein ulajh gayi ki tumhein jab talash kiya to tabtak tum jaa chuke they'

'hahaha yaani hum dono regret kar rhe hai isn't co-incident? matlab oos din sach mein mujhe bhi tumse baat karke bahut accha laga seriously kahu to kabhi kisi ladki ke prati itna mera jhukaav nahi hua aur khuda kasam tum shayad zindagi mein pehli friend hogi jisse main khud baat karne ko betaab tha main friend goer nahi hoo to isliye tumse mulaqat bhi na kar paya mujhe thoda akele rehna pasand hai waise tum bhi to kuch kaho apne baarein mein mujhe batao'

'main kya batau b..bas main bhi waisi hoo jaise tum ho bytheway ye tumhara hi number hai'

'haan syeda anyway kya hum kal mil sakte hai?'....digonto ke izhaar ne mere dil ko jaise baagh baagh kar diya tha jaise main to khud ooski pehel hone se betaab thi....aur hoti bhi kyu na kyunki wo mera pehla pyaar tha pehla pyaar

dusre din jab hamari mulaqat huyi to hum jaise ekdusre se milkar akele mein bahut khush they dheere dheere hum ekdusre ko janne lage oos ek mulaqat mein hi jaise hum ekdusre ko jaise apna dil de baithe...main nahi janti ki main kya kar rahi thi par main oosse kheechti chali gayi....waqt badalta gaya...saal beetne lage...aur hamari baatein sirf phone tak nahi rahi thi hum social networking site pe bhi ekdusre se ghanto ghanta video chat karte rehte they...mera ooske saath kayi tasveer tha jise maine upload kiya tha...kuch chahnewale oosse jale to kisi ne khushi baanti...ab hamara pyaar sabke aage show ho chuka tha ab to dosto ke saath bhi hum ekdusre ke sang hi baithkar hassi mazaak karte they sab jaan gaye they ki hum ekdusre ke bina nahi reh sakte.....digonto ab mere parivaar se bhi mil chuka tha...wo bhi paisewala tha ooski bhi family hamare yaha aana jana karne lagi meri maa ko is rishte se pehle to aitraaz tha par ooska mere liye khyaal dekh jaise wo bhi oose pasand karne lagi...

jald hi meri padhai khatam huyi to oosne mujhe ek aur apni khushi di...wo ek bari company mein software engineer ki post pe hire ho chuka tha...jaha wo ek taraf job kar raha tha wohi dusri taraf main bhi photoshoot karwane lagi thi....oosne mujhe kafi support kiya tha... lekin.ek din oosne mujhse narazgi jaahir ki wajah tha narazgi thi ki meri anginat tasveerein social networking site pe viral ho rahi thi aur kayi fake ids pe meri pictures thi jinke comments aur oose aaye mere baarein mein messages ko padhkar oose gussa aaya tha...

maine ooski khushi ke liye apne id ko delete kar diya tha...kyunki main ooska dil dukhana nahi chahti thi chahe main sabke liye khwab thi sabko main khubsurat lagti thi ya ye allah ka noor tha ye baat main nahi nahi janti thi par itna mujhe pata tha ki main bahut khubsurat thi… par mera khwab mein aur haqeeqat mein bas wo hi mere sapno ka raja tha...wo din bhi aa gaya jab hamari mangni ho gayi aur jald hi hamara niqaah bhi sabke raza khushi se aur hamari marji ke tehet hone wali thi...

lekin is hassi khushi hamari zindagi mein ek tufaan aa gaya aisa tufaan jaha se meri zindagi barbaadi ki shuruwat mein tabdil ho gayi.....oos raat niqah se kareb kuch din pehle jab main digonto ke yaha pahuchi to maine darwaja khula paaya tha....aur andar digonto ksii ladki se behas kar raha tha...main chupchaap sunti rahi ek aad darwaje ki or huye

'dekho meri baat suno mera syeda ke sath niqaah hone wala hai aur main nahi chahta ki tum kisi bhi kisam ka scene create karo'

'karungi hazaar baar karungi kyunki tumpe haq sirf mera hai oos ladki syeda ka nahi bas khubsurat hai ameer hai isliye tumne oosse niqah karne ka faisla kar liya '

'shut up ek alfaz bhi ooske baarein mein kuch kaha toh…kiran get lost i said get out'

'jaa to rahi hoo lekin yaad rakhna syeda ko agar maine hamara wo baat bata diya to tumhari oosse niqah hone se rahi'

'to tum mujhe dhamki dogi'..........maine digonto ke chehre pe pehli baar utna gussa dekha tha

'dhamki nahi haqeeqat bata rahi hoo tumhein'.............'main darrta nahi jo karna hai kar lo syeda sirf mujhse pyar karti hai wo tumhari baaton mein kabhi nahi aayegi dafa ho jao yaha se aur aayinda mujhe kabhi apni shakal mat dikhana'

main oospal jaise aasman se giri thi wo janta tha ki main oosse bepanah pyar karti thi lekin na jaane kyu oos ladki ki baat ne mere wishwas ko dagmaga diya tha....main waha se bhaag nikli...main raste pe hi thi ki maine oos ladki ko dekha wo raaste pe akeli jaa rahi thi....maine ooske piche jakar ooska rasta roka aur oosse pucha ki wo kya janti hai? ooske chehre pe katil muskurahat si aayi aur fhir oosne sab kuch smaajhte huye mere dono kandho ko pakda aur jaise mujhe sabkuch batane lagi

'huhh bari bholi ho tum jo oos jaise ladke se niqah karne jaa rahi ho he is a born fraud bahut bara dhokebaaz hai wohh tumhare sath niqah karne se pehle oosne mujhe use kiya tha'

'jhoot keh rahi ho tum'

'meri baat agar itni jhoot lagti hai to main tumhein apne abortion reports dikhaa sakti hoo'

oos baat ne mujhe jaise ekdum jhinjhor ke rakh diya tha...kabhi socha nahi tha ki digonto mere sath itna bara dhoka kar sakta tha...main aur waha teher na paayi aur rote huye apne ghar laut aayi oos din digonto ka call bhi maine kayi dafa kaata wo mere ghar aaya toh main oosse nahi mili...hamare maa-baba janna chahte they ki aakhir kya wajah thi meri aisi harqato ka? maine oonhein sabkuch sach sach bata diya tha....jise sunkar oonka dil tut gaya digonto ke parivar se oonka jhagra bhi hua digonto ne ise sab bebuniyad aur jhoot bataya lekin kisi ne ooski bat pe wishwas nahi kiya...

oos din ke baad se maine oose kabhi contact nahi kiya kabhi dobara oose nahi dekha..halanki ab main bahar bhi nahi jati thi dostlogo ke sath ab main waisi khushmizaaz syeda nahi rahi thi harpal sabne mere chehre pe muskurahat laane ki koshish ki par sab zaaya gaya...ekdin oosne mujhe akela paakar mujhse mere friends logo ke saamne baat bhi karni chahi thi...lekin baat karne ko dur main oose dekhna bhi nahi chahti thi...wo ro raha tha ghunto par baithkar jaise mujhe khudpar yakeen karne ko keh raha tha par chahte huye bhi maine oose munh mor liya...

oosi shaam malum chala ki ooska accident ho gaya tha main jaise andar se kanp uthi thi...chahkar bhi main oose dekhne na jaa payi aur ooske baad fhir dobara wo kabhi mere zindagi mein na aya lekin aaj itne saal ke baad mere baba ne jab ooske naam ka zikar kiya to main oose yaad kiye bina reh na paayi..

x-------------------------x-----------------------------x-------------------

syeda khaamosh hokar darwaje pe sar rakhkar rone lagi thi...asif jaise ooske liye bahut dukhi tha...oosne aage badhkar syeda ke kandhe pe haath rakhna chaha lekin na jane kyu oosne apne haath piche kar liye...'fhir ooske baad kya hua tha syeda? kyunki wo insaan mujhe bedard to nahi lagta shayad ho ki kiran ne tum logo ko alag karne ke liye ye baat kahi ho'

'haan samjhayaa tha mujhe mere dosto ne bhi ki digonto waisa ladka nahi hai lekin ooski baaton mein mujhe sacchai lagi thi'

'fhir kya hua tha aage?'........asif ne gambhirta se pucha

'uske baad maine faisla kiya ki main kuch mahino ke liye bangladesh se kayi dur ghumne chali jaungi aur oosi iraade mein maine yaha aane ka faisla kiya gharwale bhi yahi chahte they ki main apne aapko sambhalu aur oos waqt meri dost log ka yahi plan chal raha tha ki hum kahi ghumne jaaye....mera visa ho gaya aur bahut jald hum sab saheliya yaha aaye oonke do boyfriends bhi saath they jo mere jigri dost they to mere parivar walo ko bhejne mein koi dikkat nahi huyi lekin main kya janti thi ki jis khubsurat sheher mein main apni zindagi ko naye sirhe se shuru karna chahti thi apni zindagi ko badalna chahti thi wo zindagi mein fhir ek naya mor aane wala tha'

syeda ka dhyaan dobara jaise apne oos beete kal mein chala jaa chuka tha...piche khada asif khaamoshi se ooski baat sunte huye apne zehan mein jaise syeda aur apne nazdeekiyo ko yaad kar raha tha oose ye jaankar thes pahucha tha ki syeda ke dil mein ab bhi kahi na kahi digonto ke liye feelings basti thi...to be continued.... Thankyou !

Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #10 on: January 09, 2019, 06:41:56 PM »
Good.
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #11 on: January 10, 2019, 12:14:54 PM »
Good.
 Applause Applause Applause Applause Applause

shukriya janaab
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #12 on: January 10, 2019, 12:21:08 PM »
Suraj dhal raha tha...shaam andhere mein tabdil ho raha tha...bahar ki roshni ab kamre mein madhyam si aa rahi thi...asif ne aage badhkar light on kar di...syeda ooski taraf peeth kiye jaise tassavur mein dubi si thi...asif khaamoshi se bas ooske dobara kahani ko byaan karne ke intejar mein tha....syeda apne beete kal ki oon yaadon ko jaise apne aankho ke saamne dekh sakti thi....wo asif ki taraf dekhe bina ooski taraf palatte huye ek ek kadam aage badhte huye apni kahani dobara se kehna shuru kar chuki thi...asif khaamoshi se oose apne saamne se guzarte huye diwaar ki taraf jaa teherte huye dekh raha tha...ooski kahani ko chupchaap sun raha tha jo digonto ka ooske zindagi se chale jaane aur ooska hindustan aa jaane ke baad ki kahani thi...

x--------------x--------------------------------x----------

Yaha is desh mein aaye mujhe bahut accha lag raha tha pehle hum kolkata gaye digha gaye they fhir darjeeling gaye they ooske baad gangtok hum dosto ne bahut enjoy kiya tha....lekin mera waapis bangladesh jaane ka mann itne jaldi nahi tha...meri saheliyo ne mujhe bataya ki hazarduari bhi bahut acchi jagah hai ghumne ki....hamare paas lambi chutti ka waqt tha to zyada humhe problem nahi huyi....lekin kya malum tha ki zindagi toh karwat lene wali thi meri wo mujhe kahan khush rehne de sakti thi...oospal main itna ghum fhirne ke bawjud digonto ko apne zehan se nahi hata paayi thi haalaki beech beech mein hi ooski yaad aa jati thi...hum hazarduari ke baad malda town aaye oos jagah jahan meri zindagi mein bahut jald wo dusra shaks aane wala tha...

town mujhe bengal mein sabse zyada accha laga hum ek lounge mein ruke they....har roz main kahi na kahi apne dosto ke sath ghumne nikal jati thi...oos din bhi hum ghumne hi nikle they...mere saheliya mujhse thoda aage nikal gayi thi jis wajah se main oonhein dhundh na paayi park bahut bada tha..main thoda tension mein aa gayi kaafi dhundhne ke baad maine oonhein phone lagaya to oonhone bataya ki wo aage nikal chuke hai oonhein bhi zyada malum nahi tha to oonhone kaha ki jis raste se wo aaye hai waha wo waapis wohi pe aayenge tabtak main intejar karu

main thoda pareshan aur ghabrayi huyi ek chair pe baith gayi...achanak main abhi soch mein hi dubi thi ki mujhe ahesas hua ki kuch badmash type ke ladke mere ird gird mujhe ghurr rahe they mujhe akela dekhkar shayad wo mujhe chedhne ki koshish kare ye sochkar main uthte huye jaldi se waha se aage badhne lagi lekin meri sahelio ne mujhe wohi khade rehne kaha tha...agar main waha na milati to main gum ho jati tabhi maine dekha ki ek table pe cold drink pee raha koi ladka kayi dair se waha akela baitha hua tha oosne lal rang ka chashma pehna tha sharif lag raha tha...main ooske paas jaakar jaise baithi to wo ekdum se hadbadaye mujhe dekhne laga oosne apna jaise chashma utara to main bas ek pal ko dhoka khaa gayi ki kahi ye digonto lekin nahi wo digonto nahi tha wo to koi aur tha...

'any problem miss?'.........ooski wo awaz bhi kahi na kahi digonto si lagi

'w..wohh mere piche kayi dair se wo ladke'..........ooski nigah baayi or huyi to wo ladke jaise hichkichate huye waha se jaane lage

'don't worry wo ab aapka picha nahi karenge hahaha akeli aapko dekha na toh bas aap jaante hi hai aise mauke ki to talash mein hi aksar rehte hai ye log'

oon badmasho ke jaane ke baad jab maine relief mesus kiya to mujhe oos ladke ne relax hone kaha main bas muskurayi....maine paaya ki wo mujhe ektak dekh muskura raha tha...mujhe thodha azib sa laga maine nazarein jhuka si li...

'anyway aap is sheher ki to nahi lagti kahan se ayai hai kolkata?'......ooske sawal ko sun mera dhyan fhir oospar hua

'nahi nahi main noakhailla se aayi hoo bangladesh'

'oh wow aap to bahut khubsurat jagah se hai well aapko aise akele ghumna nahi chahiye'

'kya kahu? main soch mein dubi huyi si thi aur meri friend log aapas mein busy they aur bas wo mujhse aage nikal gaye aur main yaha bhatak gayi oonhi ka intejar kar rahi hoo'

'ohh bytheway salawalekum my name is tarique'.........oosne haath aage badhyaae jaise muskuraye kaha maine bhi muskurakar oosse haath milaya ooske haath ke chune se mujhe jaise thoda azib sa ahesas hua aisa ahesas sirf mujhe digonto ke sath hota tha

'walekumassalam mera naam syeda hai syeda arnisha'..........tarique muskuraya

'waaqayi jaisi aap hai waisa aapka khubsurat naam'

'hahahaha'..........main hass padi tab mujhe ahesas hua ki mere murjhaye chehre pe ye pehli hassi thi itne dino baad jo oos shaks ne laayi thi

main wapis khaamosh ho gayi....'aap kuch lengi syeda'............'j..ji nahi'..........'aap befikar rahiye jabtak aapke dost nahi aa jate main kahi nahi jaunga'............ye sunkar jaise mujhe aisa laga ki koi mera parwah karne wala oos waqt mauzud tha...maine tarique ko ek nazar dekha to jaise wo bhi muskuraye meri taraf hi dekh raha tha

'aur aap yahi rehte hai?'...............'ji nahi mera ghar district mein padta hai hamari bahut zameen hai aur khet bhi main ikaluta beta hoo beech beech mein town ghumne aata hoo kolkata mein padhai puri kiya hoo filhal to graduate hone wala hoo soch raha hoo ab job dhundhu yaha mujhe accha nahi lagta'

'kyu aisa kyu kehte ho? yaha aapke paas itna sabkuch hai aur oosse bhi khaaskar aapke maa-baba jo aapke bina yaha akele hai kya aapko oonki yaad nahi aati?'

'aati to hai lekin dil kaise lagega gaon mein mera maine apni puri padhai aur bachpan ka waqt zyadatar sheher mein guzara hai aur chahta hoo ki kuch banu'

'jo bhi rahe lekin hamari ahemiyad ka wajud hamare maa-baba hote hai main to kahungi ki aapko aapke parivar ko yun akela nahi chodhna chahiye'

tarique ektak mujhe ghurr raha tha mujhe laga jaise maine kuch zyada bol diya lekin ooske chehre pe ek halki muskaan aayi...'aajtak ye kehnewala aise samjhaanewala koi mere zindagi mein nahi aaya na kisi dost ne mujhe aisa kaha na kisi aur ne waaqayi aap baatein bahut dilchasp karti hai'

mujhse kuch aur kaha nahi jaa saka...meri kashmakash bhari haalat ko dekh wo jaise mann hi mann hass pada...'khair meri baat to ho gai aap kuch apne barein mein bhi bataiye apne parivar ke baarein mein'

'mere maa-baba hai bhai behan bhi hai baba businessman hai aur mom housewife kehne ko hamara pura bhara parivar hai mera hamare paas kisi bhi cheez ki koi kami nahi hai'

'to hindustan kaise aana hua mehez ghumne?'..........tarique ne sawal kiya lekin main kya oose keh pati ki apne dil ko badalne oos insan ki yaad ko bhulane main yaha aayi thi

'haan ghumne hi aayi hoo bahut khubsurat hai yaha ki waadiya sheher'

'hahaha agar aapko aur bhi jagaho ko explore karna hai to main aapko ghuma sakta hoo jaise delhi mumbai wagaira wo bhi kafi prasidh jagah hai waise kitne dino tak rahengi aap yaha'

'umm wohh visa expire hone mein to waqt hai tabtalak yaha kayi bhi jaa sakti hoo waise agli baar jab aaungi tab pakka ghumungi filhal to main bas yahi tak simit rehna chahti hoo'

'okay anyway waise apka koi boyfriend bhi hai?'...........'j..ji nahi nahi hai'........'kya hua maine kuch galat keh diya'............'nahi toh aisi baat nahi bas aise hi'……..main kya kehti oosse apne ateet ke barein mein jise bhulane ki main nakam koshish kar rahi thi

'anyway ye mera number hai kabhi tarique se baat karne ka dil hua to zarur baat kijiyega main whatsapp pe bhi hoo aur facebook pe bhi bas naam yaad rakhiyega mera tarique ahmed'...........wo naam sunkar jaise main chaunk uthi ahmed digonto ahmed kitna mil raha tha wo naam ooski baatein ooska chehra main ek pal ko jaise samajh na payi....wo mere liye ek strange person tha lekin na chahte huye maine ooska phone number jo oosne tissue paper pe liya tha oose samaitkar apne purse mein rakh liya...

'agar aapko insecure feel hua ho meri wajah se to manfi chahunga agar baat karne ka mann bhi hua to bhi koi bat nahi tissue paper jaate waqt faikh dijiyega main bura nahi maanunga hahaha lagta hai aapke dost aa gaye'

main oose aur aage  kuch keh pati waha meri saheliya aa gayi....mere dost log jaise mujhe dhundhkar mujhpe thoda naraz huye....maine oonhein bhi thoda suna diya wo log bahut fikarmand ho rahe they jab oonka dhyaan tarique pe gaya toh maine sabkuch bataya wo ooska shukriyada karne lage…. fhir baad mein tarique se maine oonhein introduce karwaya...wo log bhi tarique se milkar khush huye oose hamare sang ghumne oonhone kaha lekin wo oos pal jaane wala tha...'sorry guys fhir kabhi okay guys bye….bye syeda ji'.wo muskurate huye chala gaya lekin apna dhyaan mere dilo dimaag pe chodh gaya..mere friends mujhse kafi ooske baarein mein puchtach karne lage lekin maine koi khaas oonhein kuch na kaha....aur na hi wo tissue paper maine phaadhkar faika oose rakhi rahi…

Agle din jab meri neend khuli toh main kuch dhundhne ke niyat se purse mein jab apna haath daala to mujhe oos tissue paper ka khyaal aaya oose nikaalkar jab maine dekha to oosmein tarique ka diya number tha mujhe kal shaam huye ooske sath wo ittefaq mulaqat ki yaad aayi main na jane kyu muskura padi maine socha ki oos number pe call karu lekin na jaane kyu mujhe theek nahi laga?

Oos dopahar main kahi bahar ghumne nahi nikli jabki saheliyo ne mujhe bahut zor diya par mera mann na hua…oonke jaane ke baad maine apni saheli ke laptop par tarique ahmed naam se ooska fb page dhunda..mujhe jyada dair na laga ooske page tak pahuchne mein…waha kayi tasveerein thi ooski har tasveer mein wo alag dikh raha tha…main na chahte huye bhi oosse familiar hone lagi…achanak meri nigah ooske ek message pe padhi jo kal shaam ka hi tha…oosmein likha tha kuch cheezein itni khubsurat dikh jati hai ki byaan pana mushkil kaash in khubsurati ke beech koi sarhad na hoti…main oos waaqye se samajh chuki thi ki wo ishara meri taraf tha jo mulaqat ooski kal mujhse park mein huyi thi…

Maine ooske abba aur ammi ki bhi tasveer dekhi waaqayi wo ladka bahut naik tha….maine mann bana liya ki oose ek baar karu….maine oose call kiya jo tissue paper pe oosne mujhe likhke diya tha…ring bajta gaya par kisi ne uthaya nahi aur theek tabhi jisne phone ekdum se uthaya oos awaz ko main pehchan gayi ye wohi tha…

‘hello who’s there?’……..’main bol rahi hoo syeda syeda arnisha yaad hai kal shaam’……….’hahaha oh my god aap? Maine to expect nahi kiya tha lekin mujhe yakeen tha ki aapne abtak mere diye oos tissue paper ko nahi faikha hoga hahaha’…………….’aisa kyu kehte ho tum bhala main kisi ko hurt kyu karungi? Anyway kaise ho?’…………..’main toh hamesha better hi hota hoo ab aapne call kiya to zyada khush hoo’……..main jaise ooski baat sun muskura padi

‘accha’…………’hmmm anyway aaj milengi aap mujhse aap to waise bhi yaha ghumne aayi hai to mujhe laga kahi bahar hongi to main aap logo ko join kar sakta hoo’……………..’nahi aaj main kahi gayi nahi’………..’oh iska matlab mil nahi paunga’………….tarique ki baat sunkar jaise mujhe aisa laga ki wo maayus sa hua

‘nahi nahi aisi koi baat nahi hai tum aa sakte ho mujhse milane main yahi lounge mein stay ki huyi hoo’……….’okay tum mujhe naam batao main tumse milunga’…………….ek anjaan ladke se itna meljol aur ooske itne kareeb koi ladki nahi aana chahti lekin na jane kyu mujhe oospe pura yakeen tha ooski baatein apno si lagti thi maine oose apne lounge ka address aur naam bata diya tha

Main lounge ke bahar aayi ooska intejar karti rahi…achanak wo aaya sky blue shirt mein matching goggles pehne…oose dekh main muskurayi…wo bhi mujhe dekhke muskuraya……hum dono wohi kuch dair baatein kiye ooske baad mujhe insist kiya ki main ooske sath coffee peene paas ke restaurant chalu ye pehli baar tha jab main ooske sath apne dosto ke bina ghumne jaa rahi thi….main ooske sang paas hi ke restaurant gayi aur hum dono ne waha baithkar coffee pi….ooski baaton mein mujhe koi apne prati lust ya fayda nahi dikh raha tha wo bhi mujhe oos nazariye se dekh raha tha jaise digonto mujhe dekhta aya tha
Shaam ko jab oosne mujhe mere lounge aakar drop kiya to oosne muskurakar pucha ki fhir kab milenge? Main oose jawab diye bina jaana nahi chahti thi….maine oose muskurake kaha ki friends logo ke sath kal main ghumne jar aha hoo u can join me……..lekin oosne muskurakar mujhse pehle sorry maanga aur fhir mujhe apna karan bataya…….’sorry to say syeda par main akele ghumne wala ladka hoo mujhe dost logo ke sath ghumna zyada pasand nahi oonhein bura na lage isliye main aisa kehta nahi par tumse main keh sakta hoo par wo tumhare friends hai pehle oonke sath hi toh tum yaha aayi ho mere se pehle oonki ahemiyad zyada hai isliye oonka dil mat todna jab kabhi mann kare mujhe call kar dena bye’

Kehte huye wo chala gaya…lekin mere dil mein apni jagah chodh gaya….akeli to main bhi ho gayi thi ab mujhe bhi kaha dosto ke sang accha lagta….oosne meri aur mere friends ke beech ke rishte ko bhi samjha aur apni pasand se bhi mujhe aware kiya ye ooski open personality thi….oos din ke baad main do din oosse jab nahi mili toh laakh ghumne ke bawjud mera mann oosse bina mile nahi lag raha tha…us din fhir maine oose call lagaya usne phone tatkal uthaya tha…maine oosse maanfi maanga ki main oosse milane ka irada nahi kiya tohh oosne muskurakar bas itna kaha ki ismein maanfi ki kya baat hai? main tumhara naya naya dost bana hoo na lekin tum yaha aayi toh apne dosto ke saath ho na toh pehle waqt oonke saath kaantogi ya mere saath….main ooski baat par jaise muskura baithi…mazaak tha ya haqeeqat oosne kaha mujhe malum nahi..oosi din main oosse dobara mili…is mulaqat mein hum ekdusre ke baarein mein aur jaan gaye haalaki tarique ko mere previous relationship ke baarien mein kuch malum nahi tha…lekin oose meri baaton se aisa lagta tha ki main oosse kuch chupa rahi hoo…lekin maine ooski baat ko nazarandaz kar diya tha…oosne mujhe apne saath apne ghar le jaane ka izhar kiya…main pehle to hichkichai lekin ooske saath ooske ghar gayi waha ooske maa-baba se mili waaqayi kaafi bari zamindari thi oonke pita ki khet khalihan ghar paise ki koi kami nahi thi oose…aur wo tha ki akela anjaan zindagi guzarta tha….dheere dheere main ooske parivar se milkar apno jaisa mehsus karne lagi…ooski maa ne mujhe bataya ki aajtak oske zindagi mein koi ladki nahi aayi tumhare siwaah…main ye baat sunkar hairan huyi thi….

Oos din mujhe thoda sheher aane mein waqt lag gaya tha mere dost logo ko jab malum chal gaya to wo mujhse thoda behas karne lage ki mujhe aaye yaha kitna waqt hua hai jo main kisi anjaan ladke ke sath ek anjaan desh mein ghum fhir rahi hoo lekin maine oonhein saaf bata diya ki tarique waisa nahi hai..aur hairani to mujhe tab huyi jab oosne mere dosto se sorry maanga mere dost log oosse mazak karne lage to oosne vaada kiya ki wo oonhein bhi apne ghar le jaayega….tarique mujhse hi milane ke liye shayad baar baar town ayaa jaya karta tha….dheere dheere oon kuch dino mein jaise mera dil fhir kisi ke liye dhadkane laga tha…aur mujhe pura yakeen tha ki tarique bhi mujhe pasand karne laga hai oos pehli mulaqat se….tarique ne mere liye apne pasand ko nazarandaaz kar diya hamare dosto ke sath oosne ghulmilkar khub enjoy kiya….dheere dheere wo mere zindagi mein bahut kareeb ata chala gaya…aur ek din oosne mujhe hamari fhir oos mulaqat mein apne pyar ka izhar kar diya….main ooske izhar se pehle to kuch samajh na payi ki kya mujhe karna chahiye? Lekin ooske aankho ko dekhne ke baad jaise mujhe apne prati ooska pyar umadta mehsus hua…wo akela tha oose pyar chahiye tha aur mujhe bhi kisi ka saath kabtak digonto ke yaad mein apni zindagi guzarti main oos waqt tarique ko hi apna sabkuch maan baithi aur maine ooske izhar ko swikar kar liya….

Zindagi ne to jaise ek karwat badal li main bahut khush thi…yakeen nahi ho raha tha ki itne dino baad khushi ne mere aangan mein dastak di thi…mere friends bhi jaan chuke they ki mera ooske sath relationship ho gaya hai lekin oonone kattayi digonto ki baat oose na zaahir ki…..lekin main kahan chup rehti maine oose andhere mein aur rehne nahi diya sabkuch khulkar oose byaan kiya…..tarique pehle to thoda dukhi hua mere liye lekin jab oose ahesas hua ki main oosse bhi zyada akeli hoo aur ooske na hone se mera koi saath nahi tohh oosne khushi khushi mujhse kaha ki oose parwah nahi mere kal se tum meri aaj ho aur hamesha rahogi….main ooske in baaton se bhaavuk ho uthi aur oosi pal ooske gale se lagkar ro pari….

Bahut khush they hum bahut khush….lekin wo khushi wo shaant pal oos aanewale tufaan se pehle ke liye they….kyunki main nahi janti thi ki koi pehle se hi mera diwana ban chuka tha….mujhe ahesas bhi nahi tha ki koi mere piche laga hua tha oosi sheher mein….maine thaan liya tha ki tarique ko main apne maa-baba se introduce karwaungi aur oosse rishta mukammal tayy kar lungi..tarique bhi kuc kuch yahi chahta tha oosne toh itna keh diya tha ki wo mere sath Bangladesh mein aa basega lekin main nahi chahti thi ki wo apne parivar ko akela chodh de….is baat ka bhi oose ilam tha isliye humne bahut soch samjhkar faisla liya tha…..kaise 1 mahina beet gaya malum hi nahi chala aur theek tabhi wo shaks hamari zindagi mein aa dhamka…

to be continued

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #13 on: January 11, 2019, 09:39:21 AM »
Wohh oos din ki baat thi ki jab main subah uthi tohh mujhe hamare darwaje pe flower ka booket mila…oosmein kagaz mein kuch likha tha mujhe laga shayad kisi aur ke liye tha main wo booket pehle apne dosto ko dikhaya lekin wo kisi ka bhi nahi tha main kuch samajh na paayi isliye main lounge ke incharge se mili tohh oosne mujhe bataya ki koi ladka tha tumhare hi naam par deke gaya hai….main kuch samjah na payi kamre mein aake maine jab oosmein dekha to gulaab ke phoolo ke beech ek heart shape mein kaagaz par mera naam likha hua tha…niche bas itna likha tha ‘m’ mujhe kuch samajh nahi aaya meri saheliya mujhse mazak karne lagi mujhe laga shayad tarique ne  aisa kiya hai toh mujhe malum chala ki tarique tohh town mein aaya hi nahi tha….mujhe kuch samajh nahi aa raha tha ki ye kya ho raha tha? maine wo booket lagbhag faikh diya…

Tarique ko ye baat maine na batayi aur agle din jab wo aaya to hum fhir ghumne nikle…hum jis restaurant gaye waha bahut bheedh thi tohh hum waha se nikalne lage…..mujhe bahut bura laga kyunki hamesha hum oosi restaurant mein aya karte they….tarique fhir mujhe leke ek chote se café mein aaya hum fhir baatcheet karne lage ki tabhi coffee ke saath saath fast food ki plates bhi waiter rakhne laga….’arre wait ye sab kya de rahe hai aap humne to sirf coffee order ki thi?’………waiter muskuraya ‘mam apake liye special humhe in sabka order diya gaya hai’……..main chaunk uthi tarique bhi kuch samajh nahi paaya oosi ne pucha ki kisne order diya tha?

‘naam to nahi jante par hamare manager sahib ko oonhone personally kaha tha aur ye lifafa bhi aapko dene ke liye kaha’

Tarique kuch samajh nahi paaya oosne mujhse sawal kiya ki kahi tumhare koi friend logo ne ye kiya kya? Lekin maine oose kaha ki mere friends tohh out of town gaye hai…..main kuch samajh nahi paa rahi thi lekin maine wo saare order waapis karwa diye….jab maine oos kagaz ko phaada tha to mujhe ahesas hua ki wo booket wala kissa aur ye same tha….oose padhkar main hairan ho gayi oosmein saaf likha tha ki tumhein restaurant se mayus nikalte dekha yaha meri taraf se choti si treat samjho

Mere gusse ki inteha na rahi humne coffee bhi theek dhang se nahi piya aur maine tarique se sidha kaha ki hum yaha se chalte hai….tarique kuch samajh nahi paa raha tha ‘kya hua kya baat hai?....oosne mujhse pucha maine koi jawab nahi diya aur oos kaagaz ko phaadhkar waha se jaane lagi waiter manager mujhe samjhane lage par maine oonhein hi suna diya….tarique ne mujhe khub samjhaya hum dono jab mere lounge ke paas aaye tab oosne mujhse kaaran jaana

‘kuch ek aad din se koi mere sath aisa wahiyat harqat kar raha hai nahi janti kaun hai main to yaha kisi ko janti bhi nahi’

‘ho sakta hai ki kisi ki shararat ho tumahre friends mein’

‘wo aise nahi hai tarique’……….tarique bhi jaise thoda soch mein dub gaya ki aakhir aisa kaun ho sakta hai?

Us din main tarique se bhi theek dhang se baat na kar payi waapis lounge aakar thaki haari so gayi…agli subah mujhe meri saheli ne uthaya….oosne bataya ki aaj fhir ek naya booket tha aur is baar peele fhoolon ka aur mere hi naam par….maine phaadhkar oos kagaz ko jab phoolon ke booket se nikaala tha to is baar main bahut zyada darr gayi thi….oosmein kuch baatein likhi thi….’dear syeda mujhe malum hai ki tumhein mere diye huye cheezein pasand nahi aaye par main bhi kya karu? Na jane kyu baar baar tumko dekhne ka dil chah raha hai pehle to tumhein tasveero mein dekhta aur dekho tum jeeti jaagti mere zindagi mein aayi tum naraz mat hona par mujhe tumhare saath oos ladke ko dekhkar accha nahi laga bilkul bhi nahi’………….maine gusse mein aakar padhte padhte oon booket ko is baar khidhki se bahar de faika mera gussa dekhkar meri saheliya bhi siham uthi….main ro padi wo log mujhe samjhaane lage…ab to ye saaf tha ki wo koi first sight lover hi tha jo mujhpar kayi dino se nazarein rakhe huye tha isliye to oosne mere tasveer ka zikar kiya tab mujhe ahesas hua ki mere internet pe viral huyi woo on tasveero se mujhe pehchan gaya tha….ye baat main apni saheliyo ko jab batayi to oonhone kaha ki agar wo mil gaya to hum zarur koi ooske khilaf action lenge ya oose  milkar sabak sikhayenge…

Mujhe thoda hausla mila tha….par mujhe tarique ki behad fikar huyi lekin tarique se baat karne ke baad meri jaan mein jaan aayi wo jaha kahi bhi tha theek tha….kuch din tak waise booket mujhe aur na mile aur naa hi fhir kahi mere sath koi azib oos jaisa waaqya ghata……lekin wo wo meri zindagi mein aane wala wo tufaan tha jise main aur tarique hum dono halke mein le rhe they….oos din main tarique ka intejar kar rahi thi ki tarique ab aayega lekin waqt beetta gaya par tarique mujhse milane town nahi pahucha maine oose phone lagaya to ooska phone bhi na laga main intejar se thakharkar waapis park se lounge jaane lagi achanak mere saamne ek black car aakar ruki….main ekdum chaunk uthi kyunki wo gaadi sidha mere saamne aa ruki thi…main aage badh na saki….maine aage dekha ki gaadi se ek shaks utara aankho mein chashma chehre pe azib si kasawat…chehre pe ghani dhadhi thi ooske kapro se aur haav bhav se hi dekhkar lag raha tha ki wo bahut amir tha….aur ooski aankhe jo meri taraf dekh muskura rahi thi jaise mujhe bata rahi thi ki wo mujhe bahut arso se janta tha….


Ek ek kadam badhta hua wo mere nazdeek jaise aa raha tha…oosne kaafi keemati suit pehen rakha tha ooske hatheli pe bandhi wo sone ki ghari jaise chamak rahi thi apne ek haath ki anguthiya theek karte huye wo muskuraye bhaav se theek mere saamne aa khada hua mere kadam piche ki or larkharate huye oosse dur hone ki koshish kar rahe they…..oos waqt oos sunsan sadak pe mere ooske alawa koi nahi tha…mujhe ab aisa lagne laga tha ki ye wohi shaks tha jisne mujhe phool ka wo booket bheja tha jisne wohi oos din treat wali woh harqat restaurant mein mere sath ki thi…oosne jab apna chashma utara to oose dekhkar main ek pal ko jaise oosse nazarein na mila payi mere idhar udhar karti nazaro ko dekh wo fhir halka sa hasaa….fhir apne bhari awaz se oosne mera naam kaha

‘hmmm syeda syeda arnisha yahi tumhara naam hai na’…………….maine hairani se ooski taraf dekha

‘tum mujhe kaise jaante ho? wo phool bhejne waale aur restaurant mein ki wo harqat karne wale tum hi they na’
Wo shaks sirf muskuraya…’kyu? Kar rahe ho tum aisa? Do I know you? Tum jante bhi ho ki tum ye harqat kiske sath kar rahe ho? for your kind of information main yaha mehez ghumne aayi hoo aur!’

‘hmm tum bangladesh se ho aur tum apne dosto ke sath yaha kareeban 20 dino se ho….aur tumhara naam syeda arnisha hai aur tumhari anginat tasveerein internet pe faili huyi hai jiske dus diwane ban chuke hai’

Main ekdum khaamosh thi oose itna kuch kaise pata tha?....’haan syeda tumhein pehchanna mere liye zyada waqt ki baat na huyi tumhara diwana toh maintabse tha jabse tumhari tasveerein internet pe dekhi thi kareeban 2 saal se 2 saal se main pagal diwana ban gaya tha ki aakhir is tasveer ke piche ye kaun ladki hai kahan rehti hai kaise milunga main isse aur dekho allah ne meri murad puri kar di tumhei nmere zindagi mein bhejkar mujhe to yakeen nahi hua lekin tumhare baarein mein malumat karne ke baad main samajh gaya ki wohh tumm hi thi janti ho maine tohh umeed hi chodh di thi’

‘are you out of your mind? Look mr.’………………’mera naam mortuz hai mortuz alam’……….oosne meri baat kaantte huye kaha mujhe kya pata tha ki wo naam wo chehra main kabhi apni zindagi mein bhul na paungi

‘jo bhi tumhara naam ho look I was a model meri aisi kayi tasveerein chori huyi hai kayi sites pe fake id ke tehet uploads bhi huye hai lekin iska ye matlab nahi ki koi bhi meri zindagi mein hi dakhal andazi dene lage is duniya mein main akeli ek khubsurat ladki nahi’

Mortuz muskurakar fhir mujhe dekhne laga…..’pehli baat tohh tumpar ye gussa suit bilkul nahi karta isse tum aur bhi khubsurat dikhne lagti ho aur dusra ki diwane tumhare hazaar ho lekin main oon sabse badhkar hoo kyunki tumne mera dil chura liya hai mujhe apna diwana bana liya hai…ab tum hi batao main kya karu ye ittefaq nahi ho sakta ki tum mere hi sheher mein meri zindagi mein aa gayi ho sakta hai allah bhi yahi chahta hai ki mujhe tumhara saath!’

‘enough bahut dair se tumhari bakwas sun rahi hoo main tabse bahut ho gaya kya laga rakha hai tumne look whatever your name is mr.mortuz alam mujhe tummein koi interest nahi aur na main tumhein janti hoo mere saikdo tum jaise diwane hai even Bangladesh mein bhi mere aage piche ghumte hai tohh kya sabki zindagi ki mohabbat ban jau aayinda mere saath aisi zaleel harqat mat karna aur na hi meri zindagi mein dobara aana warna anjaam soch lena I will call the police this time if you trespass in my life ever again’

Kehte huye main gusse mein wahan se aage jaane lagi…..wo bas gambhir khaamosh mujhe dekh raha tha…achanak oosne mujhe awaz di…..’hey syeda’……main mudkar ooski taraf gusse bhari nigaho se dekhi……..’abtak to maine pyaar se tumse kaha par lagta hai tumhein mujhe gussa dilane ka shaouk hai well main tumse sirf itna kahunga ki jo bhi tumhare zindagi mein aaya hua hai oose b.bye bol do kyunki ab sirf sirf tumhare is dil mein main hi basunga’

Oos waqt aisa laga jaise oosmein kitni himmat thi kitna azib wo insaan tha yakeenan wo koi psycho hi tha jise na itna kuch sunne ke bawjud koi farak nahi pada mere gusse ki inteha na rahi main samajh gayi thi wo tarique ka zikar kar raha tha….maine gusse mein aakar socha ki oospar thappad utha doo lekin maine apna gussa peete huye ooski taraf sirf itna kaha

‘how dair you ? get lost main kisse dosti karu kiske sath ghumu ya kiske sath na ghumu iska faisla karne wale tum hote kaun ho? apni aukwad mein raho’…….ooske baad main waapis piche na mudkar dekthe huye waha se tej kadmo se lounge pahuchi…

Oos din main bahut darr gayi thi…jab dost logo ne mujhse meri wajah puchi tohh maine oonhein sabkuch sach sach bata diya….oonhone saaf nazargi se kaha ki maine oonhein oos waqt waha kyu nahi bulaya tha lekin main nahi chahti thi ki hamari trip aise bakhedo mein kharab ho….maine oose bahut bhala bura keh diya tha mujhe laga ki wohh sharminda hokar dobara mere raste mein nahi aayega aur yahi meri sabse bari bhul bani kyunki agle din jab main tarique se mili tohh main bahut zyada darr gayi thi…

Tarique mujshe milane jab pahucha to wohh langra raha tha…halki si taang mein chot aayi thi aur kohni pe bhi patthiya bandhi huyi thi sar ke paas halka sa khoon jamne se nishaan tha…main ooski ye halat dekhkar ghabra gayi tarique bas muskuraya

‘arre choti si accident thi wo kal main tumse milane aa raha tha na tohh highway pe na jane kahan se ek black ford car mere daaye taraf se mujhpar aa takrayi…dard aur behoshi halat ki wajah se main oose pakad na paya wo gaadi waha se bhaag gayi ho sakta hai galti se maarkar accident ke darr se wo gaadiwala bhaag gaya hoga hota rehta hai yaha aayedin aisa koi badi baat nahi hai’

‘kaise badi baat nahi hai tumhein malum bhi hai ki tumhari jaan jaa sakti thi accident kabhi chota mota hota hai kya? Tumne mujhe kal bataya kyu nahi phone karke kam se kam ek message toh chodh sakte they na’

‘arre baba main nahi chahta tha ki tum mere liye pareshaan ho anyway tumhe kal meri wajah se akele park mein intejar karna pada hoga na’…………….main khamosh ho gayi tarique ki baat ka maine koi jawab nahi diya

Tabhi mujhe yaad aaya ki jis gaadi ka tarique zikar kar raha tha waisi hi gaadi oos shaks mortuz alam ki thi jisne kal mera raasta rokkar mujhe khud se waqif karaya tha kal shaam ki saari ghatna mere dimaag mein ghumne lagi….tarique ne mujhse pucha ki main kahan kho gayi?....ab tarique ko batana mere liye bahut zaruri tha ho sakta hai ki oosi ne mujhse tarique ko dur karne ke liye wo accident karwaya tha taaki wo oos din mujhse mil na sake aur fhir wohh mujhse jaise khud aake mila

‘dekho tarique meri baat suno hamare piche koi bura aadmi lag gaya hai ooska naam mortuz alam hai aur wohh koi psycho hai mera diwana ban chuka hai wohhh oosne mujhe sabkuch bataya kal aur oosne mujhe dhamki bhi jaise di ki tumhei napni zindagi se dur kar du par maine oosse darr na khaaya aur oose khub sunaa diya par mujhe lagta hai ye sab kiya dhara oosi ka hai’…………….maine sabkuch sach sach tarique ko bata diya tarique thodha gambhir ho gaya fhir oosne mujhe shaant kiya

‘don’t worry syeda main bhi dekhta hoo ki wo sala kaun hai jo khud ko tumhara deewana kehta hai tum fikar mat karo tum jabtak yaha ho main tumhari hifazat karunga’

‘mujhe to darr lagta hai kahi koi musibat na aa jaye humpar mujhe khaaskarke tumhare liye fikar hai aaj accident kal kuch aur ho bhi wo kaam kar sakta hai’

‘don’t worry just don’t worry syeda main hoo na hum sambhal lenge aur milkar iska koi hal dhundhenge waise aage ke liye kya socha hai?’………..mere bechain haalat ko jaise tarique khushmizaazi mein badalna chahta tha

‘aage ke liye tohh main yahi kahungi ki tum mere sath chalo aur mere maa-baba se ek baar mil lo’

‘hmm main bhi yahi chahta hoo syeda maine isi liye apna visa issue karwa diya hai jald hi mujhe jawab mil jayega’…………….meri khushi ka to jaise thikana hi nahi raha

‘sach ohh my god lekin agar visa late hua tohh’

‘tohh hum saath jaane ke bajaay tumhare baad main aa jaunga tum friends ke sath nikal jaana bas simple aur waise bhi ab jab tumne mujhe aur maine tumhein ekdusre ko dil se apna liya hai tohh ab shaadi aur sagai ke liye baat to karni hi padegi na warna kya malum fhir koi mushkil aa jaye hamare beech’……..tarique muskurakar hass pada toh main oosse gale bina na reh payi

‘ohh tarique thank u so much aaj tumne mujhe bahut bari khushi de daali hai bahut bari’…….hum bahut khush they…soch rahi thi main ki abtoh meri zindagi mein fhir khushiya laut aayegi ek pal ko main oos bedard shaks ko bhul gayi thi lekin na jane kyu ooska naam yaad karne se hi dil mein dehshat badh si jati thi…tarique ne visa laga diya tha aur main bas ooske visa aane ka intejar kar rahi thi….idhar main aur tarique fhir se apna time saath spend karne lage they…aur is baar mere dost bhi hamare saath hoya karte they oon 2 mahino mein jaise mein meri zindagi mein bahut kuch badlav aaya tha aur aanewala tha

Ek ke baad ek meri zindadi mein maano mor aate gaye pehle digonto se mohabbat fhir oosse duriya…fhir mera yaha india aana aur fhir ekdum se meri life mein tarique ka aa jana ooski kami ko pura karna sabkuch ekdum jaldi se hua tha….lekin oos tabdiliyat mein ek mor barbaadi ka tha main soch bhi nahi sakti thi jo meri saari khushiyo ko ek jhatke mein barbaad kar dene wala tha…wo bedard insaan ooske baarein mein main bhuli nahi thi…oos din oose bezzat karne ke baad se wo mujhe dobara nahi dikha tha na hamare sath kuch galat hua tha….lekin ye sab meri galatfehmi mein tab badli jab oos din hum waapis aa rahe they ghumkar saath mein mere dost they aur tarique bhi…

Ekdum se hamari gaadi ke theek saamne black rang ki gaadi aa ruki…hum mazak masti karte huye aa rahe they ekdum se mortuz ko utarte dekh main ghabra gayi oosne hamara rasta roka tha….meri saheliyo ke sath jo oonke boyfriends aaye they wohh jaise ooski taraf badhe….lekin wo gusse mein meri taraf hi aakar khada hua

‘ye kya badtameezi hai hamara rasta rokne ki himmat kaise huyi teri?’………is baar mortuz ne bina parwah kiye apni gun nikaali aur sidha mere ek dost ke maathe pe laga diya

‘ab bol bol saale ek shabd bhi aur keh ooske baad deta hoo na jawab tujhe’……..hum siham uthe tarique is baar aage badha aur oosne mortuz ko ek baar ghura mortuz bhi oose hi ghurrne laga

Maine payaa ki ooske saath piche kuch aur ladke bhi aa khade huye they jinmein ek ooska bhai gourav tha….’hmmm tujhe oos din trailer dikhaya lekin tu na samjha’………….itne mein main theek tarique ke sath aa khadi huyi toh mortuz meri taraf dekhne laga

‘tum fhir hamare raaste mein aa rahe ho kitne zaleel ho tum jo oos din ki bezzati bhul gaye dekho mr.mortuz alam mere aur mere dosto ke raaste se hat jao warna is baar hum police mein tumhari complaint karwa denge’

‘hahahaha kar do khushi se kar do mujhe parwah nahi waise bhi main koi awara manchala aashiq nahi hoo tumhara diwana hoo aur diwane ko pura haq hai apni mohabbat ko apne paas rakhne ka’

Is baar tarique gusse mein aa gaya aur oosne bina soche samjhe sidha daaya ghusaa mortuz ke munh pe maar diya….mortuz chehra pakde piche ho gaya lekin theek tabhi ooske gunde jaise tarique pe hamla kar baithe….aafar tafri mach gayi tarique ko wo log peetne lage tarique oonse jhujhne ki koshish karne laga…main bahut zyada ghabra uthi maine madad maanga par koi aas paas ka aadmi hamari madad karne nahi aaya….aakhir mein mere dost bhi oon larko se ulajh pade….maarpit shuru ho gai aur dekhte hi dekhte mortuz bhi tarique ko peette dekhne laga main mortuz ke paas jaake oose ye sab band karne ko kehne lagi….lekin wo nahi maana tabhi police waha aa gayi aur oonhone laraai roka…

‘kya ho raha hai ye sab?’……………’sir humlog Bangladesh se ghumne yaha aaye hai sir aur aaj is ladke ke gundo ne mere dosto ko aur mere taarique ko peeta sir ye sab is ladke ki galti hai he is the responsible aap pls meri complaint likhiye sir ye bahut dino se mujhe harass karne ki koshish kar raha hai pls sir help us’………….policewala mortuz ko ghurrne laga

Aur ooske paas jaakar oosne ooske haatho se lagbhag gun cheen liya….’ye sab kya hai kya hai ye? Jawab de’….mortuz bas mujhe dekh raha tha meri aankho mein basi apni nafrat ko…..police mortuz ooske bhai aur ooske gundo ko leke chali gayi humhe thana talab kiya gaya…hum waha gaye maine report diya….toh oonhone samjhaya ki aage kuch nahi hoga nischint raho aur bhi kuch verification hamare liye aur hum waha se ruksat huye mere dost logo thodi bahut chot aayi thi aur tarique oon logo se zyada sach mein aaj tarique ne mere liye jo oos ladke se laraai ki ye dekhkar mere dil mein ooske liye aur pyar badh gaya tha…

Humhe laga ki wo aakhri waqya tha ooske baad shayad mortuz sambhal jaaye lekin ye galti thi chot khaaya saanp ban chuka tha who…aur main nahi janti thi ki wo bahut hi bhayankar saazish ko anjaam dene wala tha…mere jaane ki date nazdeek aa rahi thi mann mein dukh tha tarique se bichadh jaane ka dukh…par oos dopahar tarique se milkar jaise mera jee halka hua oosi din tarique ne mujhe hamari ek kheechi tasveer di aur mujhse kaha ki main bahut jald tumhare baad aunga ye tasveer hamesha sambhalke rakhna agar kabhi mujhe miss karo toh….sach kahu to main ro pari thi khushi ke aansu they mere aankho mein….ab lag raha tha jaise tarique mera sapna sach karne wala tha..
hum apne mein hi kahi khoye se they ki achanak mera phone baj utha…phone meri saheli ka tha phone uthate hi ooski ghabarayi awaz mujhe sunai di….’h..hello syedaa sunn meri baat t..tu jaise bhi ho lounge mat aana tu kahi tarique ke sath bhaag ja tum logo ki jaan ko khatra hai pls meri baat maan’………ooske baad oosne jaldi se phone cut kar diya main kuch samajh nahi paayi ekdum se huye is halat ne mujhe jhinjodh ke rakh diya….maine ye baat tarique se kahi jo mujhe sawalat nigaho se dekh raha tha..

‘kya hua?’……tarique ne mere chehre pe uljhan aur darr dekhte huye pucha…..…..’humhe yaha nahi rukna chahiye bahut bari musibat ho gayi hai chalo tarique yaha se’……..’par kahan?’………’kahi bhi kahi dur tumhare ghar hi sahi kyunki humpar bahut baraimusibat aane wali hai pls aur kuch mat pucho pls chalo yaha se’………..’okay theek hai chalo bike pe baitho’…………tarique aur main jaldi jaldi park se aanan fanan bahar nikale jaise taise bike par baithe aur waha se tarique bike start kiye apne ghar ki or mujhe le chala…. Raaste bhar meri kuch samajh nahi aa rhaa tha dil kaanpein jaa raha tha aur oos anjaan bedard insaan ka khauff mere dil mein dehshat banne laga kuch bura hone wala tha…..aur theek tabhi wo hua jo maine sapne mein bhi nahi socha tha.

To be continued…

Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #14 on: January 11, 2019, 06:14:49 PM »
bahut khoob.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 02:18:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.242 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer