BEDARD - (A Romantic Thriller story)

by asif biswas on January 02, 2019, 05:48:51 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 6798 times)
asif biswas
Guest
«Reply #15 on: January 12, 2019, 08:47:45 AM »
bahut khoob.

Ek baar fhir dil se shukriya janab....warna koi aur toh reply deta hi nahi padhne ke bawjud sad5
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #16 on: January 12, 2019, 09:19:36 AM »
Town se hum lagbhag nikal chuke they raasta main highway tha.....tarique pure speed mein bike chala raha tha ki itne mein reh rehke jo mere dil mein dehshat umad rahi thi wo mere aankho ke theek saamne aa gaya...tarique ne full speed mein break maari...main chillakar jaise ooske peeth se jaa takrayi agar oose nahi pakadti aur agar tarique bike ko ekdum se rokte huye sambhaal nahi pata to hum dono ka accident ho jata...

fhir bhi main bike se na utari aur na tarique bike se utar raha tha....kyunki saamne wo dehshat tha wo bedard insaan wo ladka mortuz hamare theek saamne apni black rang ki oosi gaadi ko khada kiye hamara rasta rok chuka tha...tarique ka maine kandha pakad rakha tha aur khauff se mortuz aur ooske gundo ko dekh sakti thi....

mortuz ke aankho mein aaj mujhe pehli baar itna gussa aur nafrat dikha tha...wo aag babula jaise ho raha tha aur mujhe to kabhi tarique ko ghurr raha tha.....tarique thoda darr zarur gaya tha par oosne himmat nahi haari thi...

'mortuz mere aur syeda ke raaste se hat jaa apni gaadi hata le warna'

'warna kya huhh kya ukaadh lega saale'.......is baar ooske bhari awaz mein hinsa tha wo lalkar de raha tha

tarique gusse bike se utar gaya maine oose rokna chaha....'pls tarique nahi tarique pls ooske paas mat jao oosse mat behas karo'

'hahaha ise samjhaane ka koi fayeda nahi hai syeda kyunki jabtak ye zinda hai mere aur tumhare darmiyaan ek kaanta hai aur sirf yahi nahi jo koi bhi hamare beech aayega main oose maar daalunga'

'dekho mortuz ye tum theek nahi kar rahe'

'chupp'...........is baar mortuz ne mujhe hi garajte huye jaise chupp rehne kaha

ooske gunde dheere dheere hamare paas aane lage...maine tarique ko behad kasskar pakad liya ab mujhe samajh aaya ki kyu meri saheliya mujhe aur tarique ko kahi chale jaane ko keh rahi thi.......tarique ka gereban oon logo ne pakad liya wo paanch gunde they aur tarique akela mujhe bahut darr lag raha tha.....maine phone milana hi chaha tha ki tabhi baagh ki tarah jhappatte huye mortuz ne mera phone mujhse cheen liya.....tarique oon logo se bheedh gaya oosne mortuz pe bhi vaar kar diya.....jaise ek shikar par dus janwar nahi tut jaate kuch waisa hi manzar tha..tarique ko wo log buri tarah maarne lage...main oon logo se tarique ko bachane ki puri koshishe karne lagi lekin wo log mujhe baar baar oosse dur dhakel dete...mortuz hasste huye ye tamasha dekh raha tha...

tarique khoon se lathpath ho gaya tha...oose buri tarah chotein aayi thi...wo zameen pe ghass khaake oon gundo ki laaton ko seh raha tha...'pls mortuz ye khoon kharaba pls stop karo pls wo marr jayega pls main tumhare haath jodti hoo pls wo marr jayega pls'

mortuz ne meri aankho mein aansu dekha to jaise garazte huye oosne oon maar rahe gundo ko roka....'stopp sabke sab piche ho jao'............main ro rahi thi....main fauran tarique ke paas akar osoke khoon se lathpath chehre ko thapthapne lagi wo saansein bhi nahi kheech paa raha tha mere pure kapro par haatho par bas ooske khoon lage huye they...

'tarique ohh my god tarrique pls tumhein kuch nahi hoga tarique'.......tarique bas kisi tarah se chatpataye mera naam baar baar keh raha tha.....'s..yedda syeedda b..haagg jao sy.eda'..........isse pehle ki main oosse aur kuch pal kareeb reh paati

mortuz ne aage badhkar mere baalon se mujhe kheechkar oosse dur ghasitte huye khada kiya....main roye jaa rahi thi mortuz ne ke haath ki pakad se khud ko churaane ki koshish kar rahi thi...saamne tarique beshud khoon se lathpath pada hua tha....'hahaha dekha syeda meri diwangi agar pehle hi ise tumne khud se parhez rehne ko kaha hota to ye sabkuch iske na hota'

'dekho mortuz hum dono ekdusre ko pyaar karte hai pasand karte hai pls meri chahat tumse nahi hai main tumse pyar nahi karti hoo mujhe aur tarique ko pls jaane do humpar rehem khaao'

'ye baat kehkar tumne apne tarique ke liye taqleefein aur badha di hai maaro saale ko'..........jaise ooske order ka hi bas wo log intejar kar rahe they oon logo ne milkar dobara tarique ko peetna shuru kare diya....aisa lag raha tha jaise zinda laash ko wo buri tarah maar rahe they

'pls mortuz teher jao tum jo kahoge main karungi pls oose mat maaro oose wo marr jayega pls mere khaatir allah ke vaaste ruk jao'...........mortuz ne mere chehre ko zabran apni taraf kiya to mujhe ooski aankho mein bedard wo insaan dikha jiske andar koi rehem nahi thi sirf aur sirf apni nafsani khwahisho ko paane ki diwangi thi

'ab tum chahe kaho ya na kaho syeda ise main tumhari zindagi se pehle dur karunga taaki dobara iska saaya bhi tumhari zindagi mein naa aa sake ooske baad fhir main tumhein apne saath le jaunga tumse niqah karunga aur hamesha ke liye tum mere sath rahogi sirf apne mortuz ke saath'

oosne fauran mujhe dur dhakel diya main kuch samajh nahi paayi oosne apne jeb se gun nikaal li....ye manzar dekhke main darr gayi.....main chillate huye ooske pair ko pakad baithi oose rokne lagi lekin oosne mujhe kasskar khud se alag kar diya....tarique ke saamne aa khada hua wohh....tarique adkhuli aankho se oose dekh raha tha....oosne trigger pe apni ungli rakhte huye ek baar meri nazaro ko apni diwangi bhari nazaro se dekha.....aur mere na kehne ke bawjud oosne mere hi saamne tarique ko teen teen baar shoot kar diya...har goli ooske seene mein dhassti chali gayi......main cheekh uthi wo manzar main dekh nahi pai....tarique ghutti awaz mujhe ek baar hi sunai di thi...ooske baad main jab ooske paas giri aur ooske maathe ko apne goad mein rakha

to ooske pure khoon se lathpath jism ko dekh main bardasht na kar payi....main pagalo ki tarah bhauklaayi huyi bas oose jhinjhor rahi thi mortuz ne tarique ko nahi mere dil ka khoon kiya tha....'tarique aankhe kholo pls tarique'........'s..yedaa syeddaa'.....ooska haath kaanpte kaanpte mere chehre pe kareeb aakar oose chua hi tha ki ooska haath bejan hokar zameen pe gir pada...mujhe ahesas hua tarique ki tehri nazaro se....wo marr chuka tha oosne dum tod diya tha

'taarriqueee'..main cheekh uthi aur ooske seene pe girkar rone lagi....mujhe tab ahesas nahi tha ki ye manzar dekhkar wo bedard insan kitna khush ho raha tha...ooski taali bajane aur hassi sunkar main gusse se ooski taraf dekhne lagi....

mujhmein ab aur ooski dehshat baaki nahi thi...main aur kuch dair tarique ki laash ke paas baith bhi na saki thi....aur oosi pal oosne mujhe kasskar mere baazuyo se oosse dur kar diya...main rote huye chillate huye mortuz ke haatho se khud ko churaane lagi aur maine ooske haath mein kaant liya....wo mujhse dur jaise hua to ooske gunde mere kareeb aaye....lekin main tabtalak puri taqat ke saath waha se daud padi

daudte huye mere kadam larkhara gaye aur main wohi gir pari....'hahahha kahan bhaagogi syeda tum ab tumhare paas mere paas aane ke siwah kahi jaana nahi likha?'

'main kahi bhi chali jaungi lekin tumhare paas kabhi nahi aaungi na tumhari main kabhi ho sakti hoo tum waqt kyu zaaya karte ho chala do goli maar do mujhe bhi maaro'..........maine jaise chillate huye himmmat jutaate huye mortuz ke saamne chillate huye kaha

oosne mere gusse ki parwah nahi ki bas mujhe ghurrte huye oosne mere saamne apni gaadi se wo bag nikaalkar mere aage faikha....oosmein se mere saare wo saaman mazud they jo meri proof identity they......'yahi hai tumhare jaane ka rasta jab main ye rasta hi tumse cheen lunga tab tumhare paas koi bhi rasta nahi bachega tum kabhi bhi mujhse dur nahi jaa paungi'

'n..nahii nahii aisa mat karna plss nahii nahiii'.........mujhe jabtak ahesas hota tabtak mortuz ne apne jeb se wo lighter kholkar oos saaman ke upar faikh di thi....oosmein meri yaadein thi mere jaane ka proof id card tha sabkuch oosne apni diwangi ki aad mein jala diya...main jalte huye oon cheezon ko bujhane ke liye kareeb aayi to paaya ki oosmein mera phone bhi tha...mortuz ne mujhe kasskar thaam liya aur main rote cheekhte bebas laachar mazbur ki tarah apne aapko marrte mehsus kar rahi thi....sabkuch cheen liya tha oosne mujhse sabkuch

tarique ki laash oon aag ki lapato se mujhe dikh rahi thi...mujhe samajh aaya ki ab koi manzil nahi koi rasta nahi hai ab maut hi mera aakhri manjil hai...maine fauran mortuz ke jeb se wo gun nikaalte huye apne haatho mein le li...ye dekhkar mortuz bhaukla utha...ooske dur hote hi ooske gunde bhi mere nazdeek aane se qatrane lage.....'saavdhan main maar dungi goli chala dungi main maar dungi tum sabko tumne mujhse mera sabkuch cheen liya main tum lgoo ko nahi bakshungi hargiz nahi bakshungi'.....mortuz mauke ke firaaq mein tha ki kaise gun mujhse le oosne meri himmat ko kam karne ke liye muskurakar jaise mujhe lalkar di

'chala do goli chalao na chalao goli syeda tumhare andar itni himmat nahi ki mujhpar tum goli chala sako isliye sharafat isi mein hai wo gun faikh do aur mere paas aa jao'

'tumne mujhse mere maa-baba se mere parivar se mere pyaar se mujhe juda kiya hai ya to tumhein goli maarungi ya khud ko'

'nahii aisa mat karna'............maine wo gun apne maathe pe rakh li thi haath kaanp rahe they kyunki wo mere liye pehla koi aisa irada tha jiske baarein mein maine sapne mein bhi nahi socha tha mortuz paas aakar mujhe rokna chah raha tha lekin baar baar main oose aage badhne se dhamka rahi thi

dekhte hi dekhte main waha se bhaag uthi...mortuz mera naam chillaye mere piche bhaaga.....ooske baad main jaise taise waha se bhaagte bhaagte kisi tarah se oonse chupte chupaate khuda se dua karte huye jaise taise lounge pahuchi hi thi ki mujhe aur mera haal dekhkar mere friends meri saheliya darr gaye

main rokar sabkuch oonhein bataya oonse madad maanga par wo bechare mere aane se bahut zyada darr gayethey oon logo ne mujhe bataya ki ooske aadmi yaha bhi kisi bhi pal teri talash mein aa sakte hai wo tujhe nahi chorenge agar humne kuch kiya bhi tohh wo humhe bhi jaan se maar denge aisi dhamki oonhone di hai...meri saheliya meri madad karna chah bhi rahi thi lekin main nahi chahti thi ki wo meri wajah se kisi mushkil mein pade mujhe samajh nahi aa raha tha ki main kahan jau? 'pls syeda yaha se tu chali jaa wo log lounge mein tujhe dhundhte huye aa gaye hai pls bhaag jaa bhaag ja'

ye sunkar main kahuff se sihar uthi mere paas gun tha...main jaise taise sidiya utarte huye dusri taraf ke darwaje se apni saheliyo aur dosto ki madad se waha se oonki nazaro se chupte huye bhaag nikali aakhri baar maine apni saheliy ko dekha jinke aankho mein aansu ghul rahe they mujhse dur ho jane ka gam tha oonhein chahkar bhi meri madad nahi kar sakte they wo log aur karte bhi kaise waha oos bedard insaan ka raj tha kisi police ki bhi help main nahi le sakti thi mortuz ki pahuch thi waha isliye diwangi ke had se guzar jaa raha tha oosne tarique ka bhi khoon kar diya tha mujhe paane ke liye...shaam ho gaya tha...main kahan kahan bhatak rahi thi mujhe koi andaza nahi tha mere haath se wo gun bhi kahi gir gaya tha....bahut dur rasta tayy karne ke baad mujhe ahesas hua ki main town se thoda dur aa gayi thi...




Logged
asif biswas
Guest
«Reply #17 on: January 12, 2019, 09:20:10 AM »
achanak maine bhari bheedh gaadi ki dekhi mujhe meri saheliyo ne munh chupaane ke liye ek kaala dupatta diya tha main oose apne khoon lage suit ko chupaate huye oospar odhkar apne bache kuch paise se oos gaadi mein sawaar ho gayi wo gaadi mujhe town se bahar dur kisi district mein le gayi....

pure raaste bas khauff tha ki kahi wo log dhundhte huye mere paas na aa jaye....lekin wo log mujhe dhundh na sake...gaadi se utar jaane ke baad main highway road par oos sunsaan raat na jaane kaise apna waqt beeta paayi thi....koi madad ki umeed nahi thi...kaise apne maa-baba se contact kar pati mera phone bhi mere se le liya jaa chuka tha....ab to oonhein meri sirf jhooti gumshudgi ki hi baat malum chalni thi jaisa oos harami ne oos bedard ne mere saheliyo ko dhamkaate huye bolne kaha tha mere maa-baap ko....main jungle ke aad mein chupi rahi thand se badan thithur raha tha...pyaas lag rahi thi mujhe meri aisi halat ho jayegi maine socha nahi tha kitna phool ki tarah mere maa-baba mujhe rakhte they main oos din ko kosne lagi ki kyu maine digonto ki baat na maante huye oon tasveero ko daala tha ab ooski narazgi ko main bakhubi samajh rahi thi....kaash wo yaha hota to mujhe is haal mein na chodhta..kisse madad maangu kiske paas jau?  yahi sab sochte sochte meri aankho ke aage andhera chaa gaya aur main wohi oos paid ki aad mein behosh ho gayi thi.

jab meri aankh khuli tohh main wohi padi huyi thi..uthkar paaya ki mere aaspaas ghana jungle tha....aur piche main highway main aansu ponchte huye aasman ki taraf dekhne lagi raat beet chuki thi...savera ho gaya tha...allah ka rehem tha ki ooswaqt tak mere saath kuch nahi hua.....main bhaagte bhaagte bas yahi raaste pe chal rahi thi ki kahi wo kaali gaadi aur wo mortuz aur ooska koi aadmi mujhe na pehchan le....tabtak main ek dhaabe ke paas aayi

mere paas paise nahi bache they kuch khaane ko....maine oos dhaabewale se bari muskil se paani ke liye pucha wo meri haalat dekh raha tha kuch soch raha tha aur main apne chehre ko chupaaye darr rahi thi ki kahi wo mujhe na pehchan jaaye? paani peene ke baad jab main waha se waapis raaste ki taraf aayi to khud ke piche do aadmiyo ko mera picha karte huye maine paaya....

eka ek mujhe samajh aa gaya ki kahi ya to ye ooske aadmi they yaa fhir koi gunde badmash jo ek akeli besahara ladki ko dekhkar oosse galat matlab nikalne ke firaq mein they...main apni izzat aur apni jaan ki hifazat karte huye waha se bhi bhaag uthi....aur jungle ke raaste mein ghus gayi wo log mera picha karte rahe subah se dopahar ho gaya lekin oon logo ne mera picha nahi chodha main bahut bachte bachate huye ek aad chup gayi to mujhe oon logo ke irado ka maalum chala..wo log mujhe dhundh apni naapak khwahisho ke liye rahe they ooske baad wo log mujhe uthaa le jaane ki baat kar rahe they mujhe samajh aaya ye mortuz ke aadmi nahi they....

aur fhir oosi jungle se bhaagte huye kab main apni aakhirat tak pahuchne wali thi mujhe malum nahi....aur aage ki kahani to tum jaante hi ho..

x----------------------------x---------------------------------x-------------

asif abtak khaamoshi se bas chupchaap syeda ki baat sun raha tha....osone ek nazar bahar khidki se aati oon hawao ko mehsus kiya aur fhir syeda ki or dekha jiski aankhe aansu na jane kabse baha rahi thi oon beete kal ko yaad karte huye....'agar main khudhkhushi kar li hoti toh naa hi oon gundo ke haath aati aur naa hi oos mortuz ke haath bas meri gumshudgi hi mera wajud banke reh jaati ya fhir kabhi na kabhi meri saheliya mere maa-baba ko bata deti ki aakhir mere saath yaha kya ghata tha? oos aalam mein jab tum mujhe mile aur jab tumne oon gundo ko mere saamne qatal kiya tab mujhe aisa laga ki main ek aur bedard shaks se mil rahi thi lekin main galat thi tumne mujhe galat saabit kar diya aaj main samajhti hoo ki har insaan bedard zarur ho sakta hai lekin bedard oose ye haalat banate hai maine kabhi aisi zindagi aisi mushkile nahi jheli thi lekin aaj mujhe aisi haalato se guzarkar inka ahesas ho chala hai'

syeda bas ro padi...aur kuch na keh paayi asif apni gulabi gussail nigaho se jaise oos mortuz ko mann hi mann jaise gaali de raha tha....ki ek baar khuda oose ooske saamne laa khada kar de to wo ooska janaza nikaal de jisne ek phool jaisi ladki ki zindagi barbaad kar di thi....asif ne aage badhte huye syeda ke kandhe par haath rakha

'syeda sach mein apun ko laga ki kismat ne sirf apun ki hi akkha life watt laga rakhi hai lekin tumhari kahani sunne ke baad apun ko ahesas hota hai ki apun kitna galat tha apun ne jaane anjaane mein tumhein kya kuch nahi keh diya i am sorry'

'nahi asif balki i am sorry maine shuruwat se tumhein gair aur galat samjha agar tum gair hote matlabprast hote toh kya mujh jaisi ladki ka fayeda pehle nahi utha lete meri kitno baar jaan bachakar mujhe apne maa-baba se baat karwaya tumne meri abtak hifazat karte aaye warna kyu apni jaan jokhim mein daalkar mera zimma apne kandho par lete batao mujhe'……asif khaamosh ho gaya syeda kehne se

'kaise batau tumhein syeda ki apun tumhare liye itna kuch sirf aur sirf insaniyat ka sochkar kar raha tha nahi malum tha ki apun tumhein apna ye bedard dil de baithega aajtak apun ke life mein apun ko kisi ne itna mohabbat nahi diya aur jab diya toh apun ne oose ignore kiya aur aaj apun ko jab oos pyar ki zarurat huyi to oosse apun bezaar ho gaya'.......mann hi mann jaise asif chupchap apne se keh raha tha

asif ko khaamosh dekh syeda muskurayi....'ab mujhe khushi hai ki main apne maa-baba ke paas ja paungi aaj oonse baat karke mujhe bahut accha laga lekin fhir wohi musibat jaise fhir mere saamne aa khadi huyi'..........kehte kehte syeda ki muskurahat rone rone par ho gayi

'tum fikar mat karo syeda jabtak apun zinda hai apun tumhein tumhare ma-baba ke paas lekar hi jayega tabtalak tumse apun ek takka bhi dur nahi hunga chahe mujhe kisi se bhi kyu na bheedh jaana pade tum tension mat lo oos bedard insaan se main tumhein dur le jaunga ooske saaye se bhi dur'..........kehte kehte jaise asif gambhir hokar syeda se dur chala gaya syeda oose jate huye dekhne lagi

mann hi mann asif sidiya utarte huye bas oon palo ko yaad kar raha tha jo oosne syeda ke saath guzare they wo ooska neend mein dekha chehra wo maasum sihami huyi neeli aankhe...wo ooska yun oosse gale lipatkar rona...ooske aane se ooske chehre pe muskurahat....na chahte huye bhi asif oose apne dil se dur nahi kar paa raha tha lekin oose malum tha ki syeda tut chuki thi ab bhi ooske dil mein tarique ko khone ke bawjud digonto ka ahesas tha wo oose kabhi bepanaah mohabbat karti thi aur aise mein asif ka oose apna pyar ka izhar karna bhi bewakufi tha agar wo ek tarah se dekhta to wo bhi syeda ki mohabbat mein kuch waisa hi hota jaisa abtak wo bedard diwana mortuz tha bas faraq itna tha ki wo oose paa lena chahta tha aur asif syeda ko osoki zindagi lauta dena chahta tha…asif sidiya utarta hua na jane kyu aaj dukhi sa tha…dil hi dil mein wo syeda ko dil de baitha tha ye oosne socha hi nahi baar baar ooska chehra ooske saamne ghum raha tha wo jaan gaya tha ki syeda ke dil mein wo kabhi nahi bas sakta tha isi kashmakash mein ghira asif jaise apne bedard dil mein ho rahe is bechaini ko sambhalne ki koshish kar raha tha…ek pal ko wo sharab ke dukaan ke paas gaya aaj fhir beer kharidkar oose peene hi wala tha kya pata syeda ki soch ooske dimaag pe aur zyada haavi na ho…lekin chahte huye bhi gam ke bawjud na jane kyu ooske kadam waapis ghar ki or mud gaye

x-----------------x----------------x--------

Udhar gourav ka phone fhir baj utha...abtak oon laasho ki maut ka khabar oose logo se bhi sunne ko mil chuka tha jo town mein aaj goli ke shikar huye they....wo ooske 4 gunde they jinhein syeda ki talash mein wo laaya tha ki badle mein laash oonhi ki oose mili thi....gourav hadbadate huye phone ki taraf jab dekhta hai to oose number kisi aur ka dikhta hai....oose laga shayad police ko ooske babat kuch malum chal gaya isi khauff mein wo jaise taise phone uthata hai...phone uthane ki dairi thi ki ooske bhai wohi bedard shaks mortuz ki awaz oose sunai deti hai

'phone uthaane mein deri kyu lagayi kutte? '...........gourav kaanpte huye oos bhari garajati awaz ko sunte hi aur kanp utha

'w..woh mujhe laga ki police ko apun ka malum chal gaya isliye thoda darr gaya apun yaha resthouse mein aaya hua hai'

'dhyaan se sun gourav syeda wohi hai oosi town mein mera agaah baar baar dol raha hai aur mujhe yahi lag raha hai wo kahi nahi gayi hai main khud waha aayega aur oose dhudhunga'.........sunkar gourav ne kuch kehna chaha par wo teher gaya

't..theek hai lekin is baar defensive hona hoga bhai pls tum nahi jante syeda jiske bhi paas hai wo saala khatarnak hai warna bematlab mein oon 4 gundo ko kaun maut ke ghaat utar deta'

'janta hoo wo mera jagah nahi hai kisi aur ke under mein hai waha ka koi aur rasukh hai lekin maine bhi koi kacchi goli nahi kheli jitna kaha hoo bas utna kar oose talaash kahi toh milegi kahi to dikhegi main kal tak waha pahuch raha hoo yaad rakhna'

'ok..okay brother'........kehte huye gourav ka phone mortuz ne cut kar diya

udhar mortuz chair par baitha baitha aage piche hote huye syeda ke yaadon mein jaise duba hua sa tha...jab oosne pehli baar oose dekha tha...ooski aankho mein apne liye nafrat oos waqt dekhi thi jab oosne tarique ke liye oose laraai ki thi....tarique ko maar dene ke baad bhi wo oose haasil nahi kar paya tha...sochte huyte mortuz ne sirf khud se vada kiya ki 'bas ab aur kuch ghadi ooske baad syeda tum sirf meri hogi sirf meri'.

to be continued....
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #18 on: January 13, 2019, 11:58:09 AM »
'wo ab bhi oose chahti hai ab bhi'...........asif ka dil bechain sa huya tha...wo raaste bhar paidal chalte huye ab bhi syeda ki royi oon baaton ko jaise apne kaano mein sun raha tha....agar ooski zindagi mein tarique aaya bhi tha tohh wo digonto ki oose yaad dilata tha...aur ab bhi kahi na kahi ooski maut ke baad digonto se bichadhne ke baad bhi wo oose chahti hai...asif ye sochte huye jaise apne oosi beete kal mein chala gaya jis wajah se wo aaj ek bedard insaan bana tha...lekin na jaane aaj kyu itne waqt baad wo fhir roya tha...aaj itne waqt baad wo khud ko tanha sa mehsus kar raha tha....asif ke nazaro ke saamne oos raat ki baat yaad aayi jab oose syeda mili thi...jab syeda ne oose khudhkushi se rok dene pe thappad maar diya tha...haalat ki maari aur oos dagar par wo mazbur thi jaha se sirf maut hi sach mein ooski ek aakhri manjil thi lekin asif ne wo manjil oosse cheen li thi...gaya tha wo bhi maut ke liye hi lekin kismat ne ooske zindagi mein syeda ko laa khara kiya...

jismein wo apni mohabbat dhundhne laga...'na jaane kya ho gaya hai mujhe ye jaante huye ki ooska mera koi naata nahi hum sirf ek haalat mein ekdusre se mile aur maine insaniyat sirf insaniyat ke liye ooska itna saath diya toh aakhir kyu main baar baar syeda ki taraf attract kar raha hoo kyu ooske aaj feelings se mujhe chot aayi hai aajtak main kabhi kisi ladki se itna attract nahi hua akkha life mein kabhi kisi ladki ka bhoot mujhpar sawaar nahi hua to aaj syeda kahan se aa gayi? ooski raah kuch aur hai aur main ooski raah ke beech aa gaya hoo aur main kaise bhul raha hoo ki meri haisiyat hi kya hai main to oose janta tak nahi bas ooska chehra dekhkar oose dil de baitha hoo nahi asif ye dil tujhe kamzor dega mazbur kar dega bas is feelings ko tu apne dil se nikaal faikh kyunki ye kabhi sach hoga bhi nahi'

sochte huye khud ko jhinjhorte huye asif sidiyo se upar jab wapis apne kamre mein aaya to oosne syeda ko chupchaap baitha dekha....ek pal ko khamoshi se asif ne oose dekha aur fhir apne aapko badalte huye kamre mein aaya...syeda ne paya ki asif aaya tha....bina oosse kuch kahein asif kuch dair tak bathroom mein raha jab wo bahar nikla to syeda kapro ko tayy karte huye rakh rahi thi...

'syeda'.............'haan kya hua?'.........'ab to bas hamara nikalna hi hoga kisi bhi din tum kuch aur kapde kharid lo waise bhi tumhare paas 4 jode hi kapde hai jo maine tumhein diye hai kuch saaman toh saath lena hi hoga na warna kaka-kaki se jab milunga to puchenge ki meri beti kis haal mein thi hahaha'.........asif akele hi hasaa tha...syeda nazarein jhukaai oose dekh rahi thi

syeda ko khaamosh dekh...asif bhi thithak gaya...wo khaamoshi se bistar par baith gaya....'pata nahi main tumhara shukriyada kaise karu tum itna mere liye jo kuch kar rahe ho'.............asif ne syeda ko haath dikhaya

'ye baar baar kehkar aisa lagta hai ki main sirf tumpar ahesan kar raha hoo...aisa nahi hai syeda tumhare aane se main pehle jaisa wo bedard nahi raha jisne kabhi khoon bahane mein illegal kaam karne mein ek baar bhi jiska dil na kaanpa na oosne afsos kiya ki wo ye kya kar raha hai aaj tumaakar apun ko insaaniyat sikha di warna aajtak apun ko ahesas nahi hota ki zindagi kya hai apun ne aajtak khud ko sirf akela mehsus kiya tha tanha nahi'

syeda kuch keh na payi par oosne notice kiya ki asif ke aankho mein aansu ghul rahe they......oose aaj fhir hairani si huyi thi oose laga shayad ooske lavzo ne oose hurt kara ho kahi....syeda ne maanfi maagni chahi par asif ne muskurakar oose mana kiya ki aisa kuch nahi tha..bas aaj wo pehli baar itna zazbati sa ho gaya tha...

syeda samjhna chahti thi ki aakhir aisi kya wajah thi jiske liye asif ne ye zindagi chuni thi kyu wo gunda bana tha kyu wo galat kaam karta tha? lekin asif bina kuch kahein dinner ka khaana lene ki baat bolkar waha se syeda ko sawalato mein hi chodhkar chala gaya....syeda khamosh khari reh gayi thi

x---------------------x----------------------x------------------

Agle din syeda tayyar hokar jab asif ke paas aayi to oosne oose apne shirt ke piche apne hathyar ko chupate huye dekha...asif shirt jaldi jaldi theek karte huye syeda ko dekhne laga.....syeda ne kuch nahi kaha wo oos pal ko yaad kar baithi jab asif ne ooski hifazat ke liye do baar qatal ko anjaam diya tha...'chalo humhe dair nahi karna'........asif ke kehte huye syeda bhi ooske saath ghar se bahar nikli...darwaje pe talaa lagate huye asif ne charo taraf ek baar nazar fhiraya ooske baad wo dono gaadi mein baithe..

asif ne gaadi start ki aur oosi bazaar ki or le gaya...gaadi ek or park karne ke baad dono gaadi se bahar nikle....syeda thodi ghabra rahi thi.....'kuch nahi hoga mahoul yaha aksar aise hi har jhade larai khoon kharabe ke baad waise shant ho jata hai'......syeda asif ke sang logo ko ghurrte huye aage badh rahi thi.....tabhi asif syeda ko liye ek dukaan mein ghusaa...dukaandar ne kuch kapde dikhaaye to syeda oose dekhne mein jhijhak rahi thi wo thode mehenge they....syeda apne oos din ko yaad karne lagi jab apne dosto aur digonto ke sath wo aksar bare bare mall mein kapre lene shopping karne jaaya karti thi kitna badal gaya tha waqt ekdum se?

syeda ekdum se hadbadayi asif oose tok raha tha...'kya hua kahan kho gayi jo bhi pasand hai to batao'...........syeda ne jhijhakte huye ek aad dress fhir pasand kari....dukandar ne oose try lene ko kaha...asif ne oose haan mein ishara kiya syeda karna to nahi chahti thi lekin fitting ke mazburi mein oose wo kapde apne saath trial room mein leke jana pada asif wohi khada oose dekh raha tha...jab syeda bahar lauti toh asif ne oose peele rang ki oos design suit mein paaya asif fika muskurahat deta hua dukandar ko wo dress pack karne ke liye paise dene lagta hai...syeda chupchaap apne kapro ko ghurrte huye change karne chali jati hai...

kuch dair baad dono kharidari karke bahar nikalte hai...'tum kuch nahi loge'.....'mere paas already hai fikar mat karo'........asif ne muskurate huye aur kuch na kaha...syeda ooski dariya dili se jaise khushi huyi thi...'kuch khaogi'.......asif ke tokne par syeda pehle to mana karti hai lekin baad mein asif ka chehra dekhe izhar kar deti hai....dono ek hotel mein jaakar baithte hai asif syeda ke pasand ke anusar kuch fastfood ka order deta hai...khaate huye asif syeda ki or dekh raha tha....oose mehsus ho raha tha jaise khaa wo zarur thi lekin mann ki iccha utni nahi thi hote bhi kaise jis halat se wo guzari thi oosse ubhar pana itna aasan kahan tha? asif ko khud ko dekhte huye syeda oosse sawal karti hai....'kya hua?'.....'kuch nahi'.....asif kehte huye waapis khaane lag jaata hai

jab asif aur syeda hotel se bahar nikalte hai to ek baar syeda ki nigah charo taraf ke bheedh bhaadh bhare logo ki or hoti hai oose aisa lagta hai ki kahi koi chupa oose na dekh raha ho...asif muskurakar syeda ki taraf dekh oose relax kehta hai syeda kuch nahi keh paati...asif samaano ko waapis gaadi mein daalta hai tabhi oose paas ek chudi ka dukaan dikhta hai...oosne syeda ko oon laal chudiyo mein jaise tassavur kar liya tha...jo ooske hatheliyo mein khanak rahi thi...asif syeda ko wohi khada kehkar chudi ke dukaan ki taraf badh jata hai...syeda kuch samajh nahi paati....jab asif aata hai to ooske haath mein chudiya hoti hai syeda kuch samajh nahi paati asif thoda darr raha hota hai...

'ye tumhare liye'.........'par ye sab kyu?'........'meri taraf se tohfa hi samjho'.........'par asif aise hi to tumne mujhe itne kapde dilaa diye'.........'wo toh zaruri tha par ye to meri taraf se tumhare liye tohfa hai jab bangladesh chali jaogi to yaad rakhna kabhi kisi asif ne tumhein ye chudiya tohfe ke taur pe diya tha bas sambhalkar rakhna haan aage pasand na aaye to utaarke rakh dena  Usual Smile'

syeda thodi sharma si gayi....asif ne kuch chudi nikaalke ooske kalaiyo mein dekhne ke liye pehnana chaha...to syeda hass padi ek pal ko wo dono ye bhul gaye they ki oon dono ka kya rishta tha?....kalaiyo mein chudiya pehenaate huye jab asif ko khyaal aya to oose mann hi mann bahut sharam aayi...syeda oon chudiyo ko pehi apne kalaiyo mein yakeenan pasand ki thi...'thank you asif'......syeda ne ek baar fhir asif ka shukriyada kar diya

'main inhein khub sambhalkar rakhungi'........syeda ke aankho mein jaise wo pehle baar khushi ke aansu they...

Dono bekhabar they....ki oonki ye choti si khushi ke beech wo bedard insaan oon tak aa pahucha tha....theek saamne wo kaali rang ki gaadi theek oonke saamne aa khadi huyi thi...4-5 gundo ke saath gourav aur ooska bhai dono nikalte huye sab taraf dekh rahe they...'mujhe ahesas ho raha hai wo yahi kahi hai'........gourav ooski diwangi ko sochte huye mann hi mann jaise oose gaali de raha tha oosne socha nahi tha ki subah subah hi wo resthouse aa pahuchega aur waha se oonhein fhir ranibagh ki taraf pahuchna padega aise hi oonke gunde maarein gaye they jinka khauff oose laga hua tha

'chalo ab chale yaha se'......asif syeda ke liye gadi ka darwaja khole oosse kehta hai...syeda jaise hi gaadi ke andar ghusne hi wali hoti hai ki achanak daaye mirror par ooski nigah teher jati hai theek oonke piche ooski keemati suit mein oosi gold ghadi mein wohi chashma pehna shaks mauzud tha...syeda hadbadate huye asif ki taraf dekhti hai....asif ooske chehre pe khauff ko dekhta hai....ooske haath kaanpte huye ooske piche ki or ishara kar rahe they

asif ooske khauff ko samajhte huye ekdum se piche mudkar dekhta hai...theek saamne gourav ooske gunde oose dikhe aur fhir theek ooske aage chal raha wo insaan jise syeda aajtak sirf oose batati aayi thi ishara oosi ki or tha...wohi bedard insaan mortuz alam...jise dekhte hi dekhte asif chaunk utha...syeda ne chaha ki oosi waqt asif ko liye wo kahi chup jaaye...lekin tabhi asif ne ooske baazu pakde haath par apna haath rakha syeda ne ooske chehre ko gambhir hota hua dekha syeda ke seene mein oos din ki tarah dehshat thi jab tarique bhi himmat jutaye oos din mortuz ke saamne khada tha...

mortuz ki achanak nazar asif pe huyi aur dekhte hi dekhte nazar ooske piche sehmi khauff khaayi syeda par...mortuz ke pair wohi thithak gaye...'syeda'.....ooski awaz sun ooske gunde aur gourav dono ne jab saamne dekha to saamne syeda ko sihama asif ke piche kahda dekh wo log chaunk uthe

mortuz ki dehshat syeda ke dil mein badhti jaa rahi thi lekin piche hone ke bajaay asif osoki taraf syeda ka haath pakade jaane laga...syeda oose rokne lagi oose jhinjhorne lagi...lekin asif tass se mass na hua...mortuz bhi ooske kareeb apne aadmiyo ke saath badhne laga jald hi wo ekdusre se kuch faasle mein khade they..

mortuz chashma utarte huye asif ko dekh chaunk utha...'tu!'......ooski baat sunkar syeda hairat se maathe pe shikhar laaye kabhi oose to kabhi asif ki taraf dekh rhai thi aur asif gum sa gambhir oose hi ghurr raha tha……beech bazaar sadak par ek taraf jaha mortuz ke aadmi asif aur syeda ko ghurr rahe they wohi dusri taraf asif gambhirta se mortuz ko is lehze se dekh raha tha maano jaise apne bhule bhangte dushman ko oosne dekh liya ho….syeda kuch samajh nahi paa rahi thi kyunki mortuz oose na dekhkar ab asif ki or daant peeste huye dekh raha tha…

‘toh iska matlab tu hai wo jisne meri syeda ko’………..’ye ladki teri thi hi kab? Mujhe to ye hairat ho rahi hai ki ki jis bedard insaan se ye dur bhaag rahi thi wo koi aur nahi hahaha tu nikla saala’………….asif ne mortuz ko jaise lalkarte huye muskuraya

‘zabaan sambhal kar baat kar kutte behtar isi mein hai ki ise mere hawale kar de aur raasta naap le warna bematlab mein aaj tu maara jaayega’………..mortuz ne kadakte huye jaise kaha syeda siham uthi

‘agar ise tere hawale na kiya to kya ukaadh lega? Saala mere area mein aake tu jaisa kutta sher ki dahadh nikaale shoba nahi deta’…………..ye kehna hi tha ki ooske gunde jaise asif pe tutne ko huye mortuz ne oonhein apne haath roke rakha

Syeda bahut darr gayi thi lekin oose samajh nahi aa raha tha ki aisa kya rishta tha dono ke beech ki mortuz asif par abtak hamla nahi kar raha tha….aur na asif oosse ghabra raha tha…..’dekh main aakhri baar keh raha hoo iske baad main apne aadmi tujhpe chodh dunga ye to saath mere jaayegi hi saala tu bhi khamokhah iski bekaar madad ki koshish mein maara jayega’

‘na tujhse apun pehle dara aur naa aaj darega mujhe lalkar mat maine socha tha wo 4 gundo ki laash bhejunga to shayad tu sambhal jaaye par saale tu to oos gande janwar ki moti chamdi hai jo aasani se nahi kantta’

Mortuz is baar fhunkar utha….gusse mein oosne apne aadmiyo ko ishara kia…gourav jaan chuka tha ki ooske aadmi ko asif ne maara tha….lekin wo aage badha nahi…ooske aadmi jaise hi asif ki taraf badhe…asif ne syeda ko aur piche dhakel diya…aur sidha laat khaichkar apne saamne wale gunde pe de maara…ek ne chaku nikaalkar asif pe vaar karna chaha ooske vaar se bachte huye asif ne ooska haath ghuma diya…oosse chaaku lekar auro gundo pe jaise chalana chaha…aur gunde piche ho gaye…asif ne bedardi se wohi chaku oos hath madode gunde ke baazu pe chala diya….wo gunda baazu pakde wohi girkar chatpatane laga…is baar wo gunde asif ko maarne ki koshish mein oose ghairane lage…

Asif ne oonhein dekhte huye oonpar tut gaya…oosne furati se haathapayi mein jaise oon logo pe haavi hona chaha…lekin oon gundo ne bhi purzor koshish ki asif ko maarne ki…kisi ka daaya haath to kisi ki laat oon chot ki praharo se bhi asif ko faraq nahi pad raha tha…aur wo jawabi hamle kiye jaa raha tha…syeda piche huyi sihami darri bahut zyada kaanp uthi thi…oosne mortuz ki taraf dekha jo muskurakar ooske kareeb badhne ko tha itna hone ke baad aaj fhir wo ooske kabze mein ho jayegi sochte hi sochte syeda ka dil jaise phatne ko ho gaya…

Achanak tabhi baazi badali aur asif puri taqat se oon gundo ko apne upar se pachadh deta hai….mortuz ooski awaz sunkar piche ki or palatta hai…asif apni daayi kick sidha gunde pe maarta hai aur fhir aage badhte huye wo rod utha leta hai…aas paas logo ki bheedh is laraai ko dekhne ko jam gayi…asif ne rod uthate huye sidha prahar oos gunde ki maathe pe laga…dusra rod ka hamla oosne dusre gunde ke sar pe de maara…laraai aur bhi ghatak hone lagi thi…..baaki gunde sambhalte huye piche hi rahe kisi ne aage badhne ki himmat nahi ki….’aa sala’……apne hontho se khoon ponchte huye asif ne gussail nigaho se oonhein lalkara…syeda oose apne liye larrte dekh rahi thi ooske gusse ko dekh rahi thi…asif ne mortuz ki taraf dekha jo baazi ko apne haath mein karne ke liye gun nikaal raha tha….asif ne fauran rod faikte huye apne peeth se wo gun nikaalkar sidha mortuz ke sar par aage badhte huye laga di…mortuz ki gun ooske seene par thi…

Syeda ye dekhkar kaanp uthi thi…..’chala goli chala na mujhe maar de parwah nahi main to marr jaunga par saale tujhe bhi maar daalunga syeda to tere haath aane se rahi….fhir to wo apne maa-baba ke paas aur bhi aasani se jayegi’……….mortuz buri tarah se asif pe aag baboola ho raha tha lekin chahkar bhi wo kuch kar nahi paa raha tha trigger pe ooski ungliya baar baar hat rahi thi lag rahi thi….syeda nahi chahti thi ki asif ko kuch ho jaaye nahi janti thi ki aage kya hoga?

Abhi wo dono ekdusre pe goli saadhe khare ekdusre ko chupchaap ghurr hi rahe they ki tabhi waha 2 gaadi aa ruki…asif ne piche palatkar dekha to mortuz ka bhi dhyaan oos or tha….gaadi se jo shaks nikala wo koi aur nahi asif ka mausa bappa da tha….’mausa’……..asif chauka zarur par gun ab bhi oosne mortuz ki taraf hi ki huyi thi….mortuz ke bhi gunde aur ooska bhai gourav chaunkte huye bappa da aur ooske gunde ki taraf dekh rahe they

Bappa da gusse mein aate huye oon dono ki taraf dekhta hai fhir mortuz ki taraf aur fhir syeda saamne khadi syeda ko dekhte huye wo mortuz ki or palatta hai……’kyu re? yaha aane ki teri himmat kaise huyi hamare area mein aake beech bazaar mein apun ke hi aadmi ko tapkaane ki koshish mehengi padegi’………….’dekhiye kaka apne bhaanje ko samjha lijiye ki chupchaap mujhe meri syeda wapis kar de’……………is baar bappa ne syeda ki taraf dekha jo nazarein jhukaaye huye khaamosh khauff se khadi thi

‘kya re tune to kaha tha ki ye’………….is baar bappa ne asif se sawal kiya….asif khaamosh raha

‘maanf kijiyega mausa lekin is harami ne syeda ko apne kabze mein karne ki koshish ki thi iski zindagi ko tehes naabut bhi karne ki koi kasar nahi chodhi ye isi se bhaagte huye apun ke area aayi thi aur apun ne iska zimma uthaya hai bappa da ise keh do ki ye yaha se chala jaaye warna laashe gira dunga iske aur iske laundon ki’

Bappa ne pehli baar asif ke nigaho mein gussa dekha tha……mortuz jaise daant peeste huye oose ghur raha tha…..bappa ne oon dono ko apni apni gun niche karne ko keh diya……’main kuch nahi janta mujhe meri syeda chahiye’……………..’aye mortuz ye tera baap ka area nahi hai ye mera jagah hai yaha pe jo apun chahta hai wohi hota hai isliye khaamosh reh warna sach mein apun hi tujhe goli maar dega’

‘aap aisa nahi kar sakte’

‘bete main aisa hi kar sakta hoo teri jisse taluqat hai na wo mla kabhi main ooska shagird tha sala ek call ghumayega na tohh teri ye diwangi ka bhoot utar jayega lekin apun apne yaha koi gangwar nahi maangta mahoul shaant chahta hai behtar hai dafa ho jaa warna tere gundo ke saath teri laash nadi mein behti nazar aayegi samajh le aayinda yaha dikhna bhi nahi wo ladki tere sath nahi aayegi jaayegi tu iske saath’……..kehte kehte bappa da ne syeda se ekdum se pucha

Syeda ne sakpakate huye naa mein apna sar hilaya….mortuz ye dekhkar aur dehek utha mann hi mann…

Gourav ne aage badhkar mortuz ko samjhana chaha lekin wo kuch sunne ko tayyar nahi tha mortuz ke kaan mein fusfusaya ki baazi baad mein bhi apni ho sakti hai abhi mahoul theek nahi mamla gadbada sakta hai….mortuz ne paaya ki bappa ke gunde ooske gundo ke maathe pe gun taane huye they….mortuz ne gun piche karne ki hi behtari samjhi par diwangi oose aisa karne dena chah rahi thi Usne ek baar palatkar syeda ki taraf dekha jo oose khauff aur nafrat dono nigaho se bharkar dekh rahi thi….mortuz ne fhir asif ki taraf gussail nigaho se dekha…..gourav oose kheechta hua le jaane laga ooske gunde bhi ooske piche piche jaane lage…

Waha mortuz ko dhamki deni bhi bhaari pad sakti thi wo janta tha ki bappa da ka wo area tha aur wahan ooski chal nahi sakti thi…aur baat syeda tak thi lekin ab baat upar tak pahuch chuki thi….khud se aehed karte huye ek baar syeda ko mudkar dekhte huye gourav ooske aadmi aur mortuz waha se chale gaye…

Unke jaate hi syeda ki jaise jaan mein jaan aayi….wo asif ke paas aayi ooske hontho se ab bhi khun nikal raha tha….bappa da ne mudkar narazgi se asif ki taraf dekha….ooske baad ek gunde ko kuch ishara kiya…bappa da apne gaadi mein baithkar waha se chale gaye….asif sab taraf khade logo ki bheedh ko dekhte huye syeda ko dekh muskuraya…’tum theek ho na?’…..syeda ke fikar bhari sawal se asif ne haan mein sar hilaya….tabhi wo gunda asif ke kareeb aaya jo bappa da ka aadmi tha

‘bappa da bulaaye tere ko iske saath’…………ye sunte hi asif khaamosh ho gaya syeda kuch samajh na payi….asif ne oose hausla diya ki kuch nahi hoga

Asif syeda ko liye gaadi mein baitha aur waha se nikal gaya waha bana bheedh ka tamasha bhi waapis waapis pehle jaise mahoul mein tabdil ho gaya…gusse mein gambhir chupchaap khada tha bappa soch ki gehri kashmakash mein duba…waha hall mein oos waqt koi mauzud nahi tha bappa da ne sabko keh diya tha ki ooske aur asif aur oos ladki ke alawa waha koi bhi mauzud na ho….bappa da ke theek piche fhaanus ke niche asif aur syeda chupchaap khamosh khade they…

Is baar palatkar bappa ne gusse se asif ki or dekha aur ek ek kadam badhte huye ooski taraf aakar sidha oske chehre pe ek thappad raseed diya…thappad ki gunz pure hall mein huyi…syeda isse khauff khaa gayi munh par haath rakhkar chupchap bappa ke gusse bhare nigaho ko dekhne lagi jo asif ko ghurr rahe they…

Asif  ke chehre pe koi badlav nahi hua aur naa hi oosne gusse bhari nigaah kiya oosne nazar tak nahi uthaayi jaise khaamosh saqt chehra banaye wo waise hi khada raha….bappa ne ek baar syeda ki taraf dekha fhir mudkar kuch kehne ke intejar mein ho gaye….

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #19 on: January 14, 2019, 12:25:36 PM »
‘Itna kuch ho gaya aur tune mujhe bataane ki zehmat bhi na ki kyu re kya cheez ne tujhe roke rakha tha bol saala kitna kachda hua meri izzat ka tujhe andaaza hai?’…………….bappa da chilla uthe

‘mausa wohh!’……………….asif ne kehna chaha hi tha ki bappa ne oose haath dikhaaya asif ko chup hona pada syeda chupchaap darri huyi thi

‘is ladki ke liye tune ooske aadmi ko maar diya apun ko lag raha tha ki kuch din se kuch to gadbad chal raha hai teri zindagi mein….tu saala akhha time awaragi karte huye ghumta tha aaj samjha ki tu itne din se dikhta kyu nahi tha mere aadmi pal pal ki khabar mujhe dete hai beta aur mausa mat keh mujhe yaha main tera mausa nahi raanibagh ka dada hoo bappa samjha saala apun ko hi kuch malum nahi sirf bhaanje ka rishta hai warna abtak itna shaant main nahi baithta tu janta hai mujhe’

‘khair jaane de ab mujhe samajh aaya ki tera tau ka ladka tera bhai yaha kyu aaya tha sirf is ladki ke liye kya bola tha tune mujhse jhoot anjana delhi se aayi hai teri gf’

Asif khaamosh hi khada raha syeda ne paaya ki sabkuch raaz oonke aage tha……’abey saale tujhe maalum hai ki aj agar apun nahi pahuchta mauke pe tohh ya to teri jaan jaati ya to ooski kya zarurat tha ye zimma lene ka huhh tu kya bahut bada dada hai yaha ka khud ko farishta samajhta hai aur kabtak hifazat karega iski bol byaah karega isse dil de baitha hai isko aur ek akeli ladki ko na jane kabse apne panaah mein liya hua hai na jaane kya kya kar raha hai tu iske saath?’

‘mausa haan bappa da main tumko mausa hi kahunga kyunki tum mere mausa ho pehle yaha ke dada baad mein’………….himmat se asif ne is baar khaamoshi todte huye jawab diya….syeda ooski himmat ko dekh jo abtak bezzati se nazarein jhukayi thi oose ektak dekhne lagi

‘mausa mera iske saath insaniyat ka rishta hai aur khuda kasam iske saath maine koi galat nahi kiya ye bechari to haalat ki mazbur hai jo meri jaisi jaleel zindagi mein panaah lene aa gayi kya kasoor tha iska bataiye khair ye Bangladesh se hai acche ghar se belong karti hai yaha iske dosto ke saath aayi thi aur…..’…………..asif ne sabkuch sach sach jab bappa de ke aage kehna shuru kiya to bappa da ektak ooski baat sunne lage

Ooske baad jab asif tehra to bappa da ne ek baar syeda ki or dekha jo apne aansu ponch rahi thi……’aapko nahi batane ka wajah sirf ek baat ka tha ki apun ko laga ki shayad aap ise dobara oos harami ke haath mein de doge bas apun darr gaya tha arre apun to apni jaan dene jaa raha tha agar ye oosdin na milati aur wo mehez ittefaq na hota to kasam khaake kehta hoo aapko meri laash bhi na milati’

Bappa da khaamosh tha jaise kisi gehri soch mein duba……’ab aap bataiye bappa da ki main kya karta? Agar koi aur meri jagah hota to shayad iske sath galat matlab nikaalta…ya to ise apna matlab pura karne ke baad iske ghar chodh deta lekin koi guarantee nahi thi aajke is bedard duniya mein kisi ke andar rehem nahi hai aur agar maine insaniyat ka kaam kiya to ismein kya bura aaj apun ko realize ho raha hai ki apun kitna galat tha aaj apun ko khauff hota hai ki apun ki zindagi kabhi bhi ya to jail mein guzar sakti hai ya kabhi bhi bemaut maari jaa sakti hai agar ek accha kaam kar lunga to shayad khuda tala mere pichle gunaah thode maanf kar de lekin bappa da chahe jo bhi ho main ise iske maa-baap ke paas chodhkar hi rahunga chahe ooske liye mujhe apni jaan bhi kyu na gawani pade?’

‘isliye tu oos din mujhse Bangladesh jaane ki baat kar raha tha’………..bappa ki awaz mein narmi thi oonhone naram padte huye sawal kiya asif se

Asif ne sar haan mein hilaaya…..is baar syeda ne haath jodkar bappa da ki taraf dekha….bappa ne oose mana kiya…’mujhe maanf kar dijiye ki meri wajah se aapne asif par haath uthaya lekin main mazbur thi uncle meri madad karne wala koi nahi tha agar ye oos din mujhe na bachata to main marr jaati’

‘bas bas tumhein kuch kehne ki zarurat nahi’………..bappa ne gehri soch se nikalte huye oose shaant rehne kaha syeda chupchaap aansu ponchkar dobara piche ho gayi

‘dekh asif maamla serious hai aur tune iske wajah se khoon tak kar diye apun ko parwah nahi hota lekin baat bahar jaa sakti hai tu fass sakta hai aur main nahi chahta ki tu kisi musibat mein apne saath saath ise bhi le fase tere paas do option deta hoo tujhe pehla to ye ki is ladki ko tu iske bangladesh chodh sakta hai waha ka maamla kya hoga main nahi janta lekin yaha se tu ise leke jaa to sakta hai par iski wajah se huyi dikkato se apun ka gang mein problem badh sakta hai iska yaha rehena ab aur theek nahi badnaami hogi so alag aur kabhi na kabhi baaz sa ghaat lagaye wo launda ise le udega isliye main nahi chahata hamare gang ki izzat kharab ho aur yaha ranibagh mein khoon kharaba ho teri wajah se isliye tujhe ise apne saath na hi sirf leke jaana hoga par tujhe bhi yaha se hamesha ke liye ruksat hona padega’

Ye sunkar jaise asif ki aankhe chaunk uthi syeda ye sochkar bura mehsus karne lagi…..’dusra option ye hai ki isi sheher mein reh aur isse niqah kar le ek baar niqaah ho jayega to wo saala mortuz kuch nahi kar payega’……………ye sunkar syeda pe jaise bijli aa giri asif ekpal ko syeda ki taraf dekhne laga jo asif ki taraf dekh apne aankho se aansu baha rahi thi…

‘nahi bappa da main aisa kattayi nahi kar sakta main pehla option chunna behtar mehsus karunga’……..bappa da asif ko saqt nigaho se ghurrne laga

‘to ye tera final decision’……………..’haan’………………bappa da ne fhir kuch sochte huye asif ke haan ko suna...............’theek hai shanivar se pehle raat ko hamari boat ek baar Bangladesh ke liye niklegi subah waha se jaana legal maana jata hai lekin raat ko illegal oosi nadi se tu is ladki ko leke bd chala jana aur yaad rakhna mudkar bhi tujhe yaha nahi aana’

‘ye aap keh rahe ho?’………….asif ki aankhe bhar aayi….bappa da ooske nazaro se nazar na mila paya

‘ye mera usool keh raha hai asif ye mat bhul ki mohabbat ek baar maine bhi ki thi aur teri mausi se niqah karke hi maana tha agar khoon ke rishte ki taraf se apun ise dekhega to pighal jayega lekin ye zaruri hai tere liye is ladki ke liye apun ke liye isliye irada soch samajhke hi lena’

‘le chuka hoo mausa chahe mujhe kuch bhi karguzarna pade main ise leke chala jaunga’

‘theek hai jald se jald nikalne ki tayyari kar mera aadmi tere yaha aakar tujhe jaane ka tariqa ek baar bata bhi dega aur samjha bhi dega waha se tujhe rasta khud tayy karna hai par yaad rakhna galti se bhi der mat karna kyunki kanoon ab kada ho chuka hai agar pakda gaya to sidhe goli maar diya jayega tujhe meri kanpatti pe goli lagte lagte bachi thi’…………….sunkar jaise asif ne ek baar syeda ki or dekha jo khauff kayi zyada sihari huyi thi

‘jaa chala jaa’………………’shukriya mausa aapka dil se shukriya’……….kehte kehte asif apne mausa ko salaam diye syeda ka hath thaamein oose apne saath chalne ko kehta hai….wo dono waha se nikal jate hai piche bappa da ke aankho mein ghulte aansu hote hai jinhein wo ek jhatke mein ponch dete hai….

Us raat ghar aane ke bawjud syeda chupchaap khaamoshi se soch mein dubi baithi huyi thi….ooske nigaho mein ab bhi sabkuch fhir jaise tasveer ki tarah ghum raha tha jo kuch aaj hua tha…..asif ka gussail wo chehra syeda ko piche kiye wo jab oon gundo se larr raha tha….mortuz ko apne itne kareeb dekhna….wohi baat asif ki yaad aana jab wo gun taanein huye ye bat mortuz ko keh raha tha…….’main marr gaya to kya lekin syeda apne maa-baba ke paas pahuch jayegi’………..wo baat syeda ke dimaag mein ghum rahi thi…..bappa ki gang chodhne ka faisla jab asif ne syeda ke liye liya tha….oosne syeda se niqah karne ki manzuri thukrakar syeda ko ooske ghar pahuchaane ka zimma lene ka irada liya tha…..

Syeda aansu ponchte huye samajh nahi paa rahi thi ki kyu asif ooske liye apna sabkuch chodh raha tha…aaj oosne apne mausa ka bhi saath chodh diya tha…..sabkuch osoki wajah se ho raha tha ye baat se khud ko koste huye jaise syeda ro padi….tabhi oose ahat huyi saamne asif khada tha…raat ka khaana laaye oosne thaili paas rakhi aur syeda ke saath baith gaya

‘I am sorry syeda meri wajah se bappa da ne kya kuch nahi tumhe keh diya?’

‘maanfi mujhe maagni chahiye asif ki meri wajah se aaj fhir tum khatre mein pad gaye tumne mere liye jaan jokhim wala faisla kyu liya?’

‘hahaha hum insaan aise hi hote hai negative hi sochte hai arre agar kismat ne abtak saath nahi diya to kya aage bhi nahi dega ab to bandobas ho gaya na aur ab to bappa da ko sab malum chal gaya apun to khush hai ki apun ab aur khoon kharaba mein nahi padega koi lafda mein nahi padega simple zindagi ho jayegi bas dhakke khaane honge imaandari se jeene ke liye bas’

‘kitna aasan hai tumhare liye ye sab kehna agar jaate waqt tumhein kuch ho gaya to kya main khud ko maanf kar paungi isse accha tohh mera marr jana hi tha oos raat’

‘dekho syeda kuch bhi kaho par baar baar ye marr jaane waali baat mat kehna arre apun to ye sab tumhare liye kar raha hai tumne apun ko umeed di hai is bedard zindagi mein apne chalo chodho ye sab aur packing shuru kar dete hai main khaana nikalta hoo thanda ho jayega okay and don’t worry kuch nahi hoga bharosa rakho mujhpar’

Asif kehkar kitchen ki taraf khaana nikalne chala gaya tha…..’chahe jaisa bhi ho par syeda ko ooski maasumiyat dekhkar mann hi mann jaise khushi si huyi….aaj pehli baar oosne asif ka ye badala roop dekha tha…..syeda yaad karne lagi ki wo hamesha jitna asif ko khooni gunda aur galat maante aayi thi aaj wo oose utna hi sahi lagne laga tha mann hi mann mortuz ke khauff se pare wo sochne lagi ki wo bahut jald apne maa-baba ke paas hogi sirf asif ki badaulat’

Khaana se farig hone ke baad….syeda aur asif packing karne lage….’tum waapis nahi aaoge?’………..asif ne ekpal khaamoshi se syeda ki taraf dekha fhir jhooti muskurahat dete huye bas itna kaha…….’ab yaha kya rakha hai? apun ka sab to pehle hi cheen chuka hai ab kuch bhi nahi yaha bas afsos hi to yaha rakh rakha hai tum meri chinta chodho so jao shayad ab kal hi humhe nikalna pade’

Kehte huye asif chataai bichaakar oosmein bistar lagane lagta hai niche zameen par…..syeda khaamosh asif ko dekh rahi hoti hai…..’kal humhe yaha se bus pakadni hogi shayad ya gadi mausa intejam kar denge paise ki baat thi to ooska bhi intejam apun ne kar diya saala illegal jana hai na to boatwala zyada paisa ki demand rakha apun ne apni gaadi baich di aur oosse kuch paise oos saale ko dene ko de diye’

‘kyaa par kyu tumne mere khaatir?’…………syeda ekdum jaise thithak uthi

‘hahaha arre to kya waise bhi apun ka ab ooska kya kaam apun to yaha rahega nahi’…………..na jaane kis mitti ka bana tha wohh ooske aankho mein dukh hote huye bhi aansu nhi they bas chehre pe maasumiyat si wo hassi syeda ek baar jaise mann hi mann kawad uthi

Asif bistar lagaye munh fhairkar sone lagta hai……ye na jante huye syeda ne na dekha ki munh fhairkar wo bas ro raha tha….dukh tha ki aaj ooska kuch bhi na baqi raha tha…aur naa hi syeda ooski mohabbat ban sakti thi…..syeda ke dil mein asif ke liye jagah ek apno se bhi zyada ho chuki thi... lait jaane ke bawjud oose neend na aayi itna kuch sacrifice kiya tha asif ne ooske liye apni gaadi tak ooske jaane ke liye bech di wo thi hi kya ooski jo kuch wo itna kar guzar raha tha ooske liye…tabhi jaise ooske zehan mein asif se sach janne ko huyi jo aaj oose dekhkar hairat huyi thi mortuz ka yun oose dekh bhaukla jana asif oose janta tha bappa da ke munh se suna wo sach ki asif oos mortuz ka bhai tha….dair raat oosne jab asif ko awaz di to wo uthkar syeda ki taraf dekhne laga…neend ooske bhi ankho mein nahi thi

‘mortuz aur tum bhai ho?’………asif thoda gambhir ho gaya syeda ke sawal se

‘haan syeda bhai they kabhi mujhe laga nahi tha ki jisne tumhari zindagi barbaad ki aur jise tum bedard insan kehte aayi wo koi nahi mera cousin mortuz niklega’

‘lekin tum dono ke beech ye dushmani kaisi?’

‘past sabhi ka hota hai syeda jaise tumhara waise mera bhi aaj se kareeb 10 saal pehle ki baat hai jab hamare beech nafrat aur dushmani bhai-bhai ka pyaar tha sage nahi they hum fhir bhi hamare ghar mein hamari misaale di jati thi’……….asif uthkar tehelte huye jaise syeda ko apni kahani sunane laga tha

‘hamara bara parivar tha lekin bachpan se hi main delhi mein raha apne maa-baap ke saath…dadi ke bahut zor dene pe main bara hokar jab hometown aaya to hamara bara swagat hua….us waqt meri mulaqat mortuz se huyi thi umar mein bara tha dikhne mein jitna main khubsurat mujhse utna…hum dono padhai mein jitney acche they ghar mein utne hi sabke chahite humhe bari gehri dosti ho gayi delhi aane ke baad bhi main oosse lagatar chat pe phone pe baatein karte rehta tha….lekin dheere dheere hamari duriya is qadar hamare rishte mein duriya le aayegi main socha nahi tha….jaha ek taraf mere andar kisi cheez ko paane ki diwangi to dusri taraf ooske andar zidd thi….dheere dheere jab hissa hua aur ooske maa-baba ko ghar se ye kehke nikaal diya gaya ki ooske baba ko pehle hi haq mil chuka to wo aag babula ho gaya ooske liye sab dushman ban gaye….maine oose hamesha samjhana chaha lekin wo jaise ansuna kar deta tha dadi ne mere naam property thodi zyada likh di thi jis wajah se main ghar mein sabke aankho ka kaanta ban gaya tha khaaskarke oosi ka…lekin maine property nahi li maine wo property thukra diya kyunki jo dard mere maa-baba ne saha tha jab oos waqt humhe ghar se hamari karz ki wajah se nikaal diya gaya tha tabhi se mujhmein oos dadihaal ke liye pyaar nahi bacha tha…..dheere dheere mortuz ne apna dhandha khola aur oosmein taraqqi karta gaya ooski mehnat hi ooski zidd ka sabut tha aur waha se oosne wo har moqaam paaya jo jo ooski zidd thi…..isi zidd mein aaj ek naam tumhara jud gaya hai syeda’…………….asif ne syeda ki taraf palatkar dekha

‘jaha ek taraf wo kamyab hota jaa raha tha wohi ooski ghamand bhi…mujhse jalan oose hoti ki main bare sheher mein acchi zindagi guzarta tha lekin khuda gawah hai naa mere baba mere liye kuch kar paye aur na main khud apni khwahisho ke liye kuch kar paaya har taraf haar maat dekhte dekhte mera sabkuch barbaad ho gaya….school ke dino mein ek ladki se pyaar karta tha main ooska naam ishita tha wo bhi mujhe chahti thi ye baat main acchi tarah janta tha….lekin wohi oosi haisiyat aur gareebi ne hamare raste alag kar diye main oos waqt toh mehez 9th class ka ek student tha ishita mujhse dur ho gayi fhir maine wo school bhi chodh diya tha…saal beet gaye aur ekdin mujhe sunne mila ki oosne love marriage kar li thi ek bahut bare ghar ke ladke se….main ooske liye bahut khush tha aur dukh karta bhi kyu mujh jaise naakara nakbil beaukwad insan oose de hi kya sakta tha? hamara contact tut gaya saal 2 saal baad ek din mujhe malum chala ki oosne khudhkhushi kar li thi sleeping pills ki oose aadat thi ye baat main janta tha aur ooske hi overdose se ooski maut huyi thi main samajh chuka tha aur khudhkhushi karne ki ek wajah jo mujhe ooske fb post se samajh aayi wo tha ooska pati jo oose ooske ameer baap ki beti hone se din raat daulat ke liye torture karta tha…mujh jaisa diwana jaise oos waqt pagal ho gaya tha main bahut gusse mein aa gaya tha ishita waise hi bin maa ki aulad thi ooska baap kameena kabhi oospe dhyan nahi diya wo bechari bemaut maari gayi ye sadma main bardasht nahi kar paaya nahi kar paya main bardasht aur ooske husband ka picha karne ke baad ek raat maine oose beech churahe pe sunsan sadak par hi qatal kar diya mere haatho wo pehla khoon hua tha syeda pehla khoon jisne mujhe qatil bana diya tha oos waqt maine sahi galat ko nahi ishita ke liye badla lena hi samjha ooske baad pakde jaane ke darr se maine delhi sheher chodh diya haalanki mera clue kisi ko mila nahi tha fhir bhi mujhe darr tha main yaha ranibagh aa gaya mausa ki panaah mein pehle to mausa chahte nahi they ki mujh jaisa padha likha ladka ye dhandhe mein aaye lekin maine oonke imtihaan ko aakhir pass kar hi liya aur tabse leke aajtak oonke bahut saath diye hamesha kahuff raha lekin mujhe ahesas hua ki bedard berehem to ye duniya hai aur bhala is bedard berehem duniya se darrna kaisa tabse leke aajtak main aise hi jee raha hoo maa-baba bhi guzar gaye wohi delhi mein lekin aaj itne saal baad ab mujhe aisa lagta hai maine sabkuch kho diya aur ab oos galti oos gunaah ko mujhe maanf karwana hai oos parvardigaar se jisne mujhe ye zindagi di’…………….syeda ke aage jhukte huye asif ne wo tasveer faikhi jismein asif mehez 15 saal ka tha theek ooske bagal mein wohi bedard insaan mortuz muskuraye asif ke kandhe pe haath rakhkar khada tha ye bahut pehle ki tasveer thi jab oonke zindagi mein sabkuch hassi khushi se chal raha tha…

Syeda oos tasveer ko dekhte huye hairani se asif ki or dekhti hai…..’galti tumhari nahi thi asif tum apne haste khelte zindagi se dur hote chale gaye aur maine tumhari zindagi mein tumhare beete kal ko tumhare saamne la khada kiya meri wajah se aaj mortuz fhir tumhara dushman ban gaya hai tumne mere liye apne mausa se bagawat kar li aur tumhein ye jagah bhi chodhna pad raha hai sirf mere liye’

Asif khaamosh raha oosne koi jawab nahi diya wo bas waapis lait gaya….’so jao syeda shayad humhe kal jaldi nikalna pade mujhe malum nahi ki mortuz shaant baithega ki nahi lekin humhe har maamle ke tayyar rehna hoga’……kehte huye asif karwat badle aankhe band kar leta hai

Syeda kis uljhan mein thi kis musibat ki ghari thi mein is baat ko wo samajh nahi paayi….wo bhi khaamoshi se aankhe band kiye so gayi….jab agle din ooski neend khuli toh darwaje pe dastak huyi….oosne adbujhi aankho se paya ki darwaja khole asif kisi gambhir shaks se baat kar raha tha…wo shaks kuch dekar asif ko chala gaya…..ooske jaate hi asif ne syeda ko jagaya

Syeda baithte huye asif ke chehre pe muskurahat deti hai….’humhe aaj hi nikalna hoga raat dhai baje boat lekar hamare intejar mein nadi kinaare aadmi mauzud hoga mausa ne intejam karwa diya hai lekin sheher se humhe abhi hi nikalna hoga rasta yaha se thoda dur hai sheher se bahar shayad mortuz ko hamari bhanak lag jaye isliye humhe jald se jald sheher chodh dena chahiye tum kuch fikar mat karna’……asif kehte huye bathroom ki taraf chala gaya syeda ke mann mein jaha ek taraf khauff tha wohi dusri taraf asif ke liye dukh ki wo apni jaan jokhim mein liye ooski hifazat karte huye oose pahuchane ka zimma liye huye tha…

Jab syeda tayyar hokar asif ki taraf dekhti hai to wo oos waqt ek dabbe bhari bullet bag mein rakh raha hota hai aur apni gun ko reload karte huye waapis apne peeth aur jeans ke beech fasaaye rakh raha tha…..asif ki nazar syeda pe padi to jaise ooske aankho mein oose khauff sa laga…..asif bas muskuraya aur apna kaala bag apni peeth par taangne laga…syeda ka bag lete huye asif aur wo dono ghar se nikalne lage they…syeda ne ek nazar piche mudkar oos ghar ki or dekha aur oon saamano ki or…..’ye apun ke dost logo ne saaman le liya apun ko waise bhi ab insab cheez ki zarurat nahi aur ye ghar to kiraaye ka tha’……….kehte huye asif gambhir chehra liye apna bag aur syeda ka saaman liyesidiyo se niche utarta chala gaya…..na jane ye kaisa haalat tha ki ajnabi is sheher se jaane mein syeda ko dukh mehsus ho raha tha…..ek safed gaadi mauzud thi jismein bag rakhte huye asif ne syeda ko andar baithne kaha…syeda asif ke sang baith gayi asif ne gadi ka darwaja lagaya aur driver ko chalne kaha…….gaadi tez gati se sheher se bahar main highway ke raaste nikal gayi….to be continued
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #20 on: January 15, 2019, 11:51:12 AM »
Pure raaste syeda aur asif khaamosh they….ek taraf jaha syeda khush thi ki wo bas kuch hi dur thi apne maa-baba se toh wohi dusri or oose dukh tha ki ooski wajah se asif itni musibatein jhel raha tha…..khud ko koste huye mann hi mann jaise wo sab baatein wo dobara yaad karne lagi wo digonto ke saath bitaaye pal tarique ka qatal hona ooske friends jab oose akele beraah chodhkar chale gaye kis kis musibato ko jhelte huye jab wo asif se oos raat mili……jaan dene ke waqt ooska yun ooska haath pakadkar oose bachana ooske liye ooska khoon karna ye khoon kharaba ye dehshat ye haalat sab soch rahi thi syeda…ek pal ko oosne asif ki taraf dekha jo kisi apne se bhi badhkar ooska saath de raha tha…

Asif ki nazar jab syeda ki or huyi to syeda ne nazarein fhair li….asif kuch nahi bola wo tohh khud mann hi mann dukhi tha aaj ooski zindagi mein badlaav aaya tha mehez syeda ke liye oosne apne mausa tak se bagawat kar li sabkuch chodh diya kiske liye sirf syeda ko ooske maa-baap tak pahuchane ke liye…..kya rishta tha ooska oosse aur saath dekar kya syeda oos jaise insaan ko apni mohabbat maanti jo pehle hi ahmed ko pyaar kar baithi thi aaj bhi ooske dil mein ooske liye feelings thi…aur mortuz ke liye utni hi dehshat….sabkuch sochte huye asif jaise gum sa tha….

Driver ne gaana laga diya jisse khaamoshi mahoul tut gaya….lekin dono ab bhi chup they…aise haalat mein khush kaun reh sakta tha ek pal ko jaane ki beqarari thi to dusri or maut ka khauff….asif oos gane ko dhyaan se sun raha tha……syeda soch rahi thi aur wo gaana ooske kaano mein gunz sa raha tha

Naa hi seene me saansen.
Naa mai saason se zinda.
Dekh kar bas usse mai... jee rahaa.!
Naa hi duniya se nisbat, Na hi mutlub ki duniya!!
Rahta hai wo yahan to. mai yahan!
Wo hi zariyaa hai, Mere hasne rone ka,
Mere paane khone ka, Wo hi pataa! Ye karam hi hai,
Usko jo banaya hai, Mera sarmaaya hai, Wo ai khuda!
Khuda tujhse dua hai yeh,
meri kismat tu likh aise,
main jiye jau wo jab chahe
main marr jau wo jab keh de…


Asif dil hi dil mein syeda ke saath bitaaye wo lamhe wo waaqya jab oosne oose darre huye sihame huye dekha tha jab oose muskuraye dekha tha jab oose khud ke gale lag jaane aur jab ooska mortuz ko dekhkar darr se ooske kareeb ho jaane ko yaad kar hi raha tha….ki tabhi driver ki awaz oose mehsus huyi…asif hadbadaye driver ki baat sunne laga…….’resthouse nazdeek hai thode dair wohi teherna hai fhir shaamtak gaadi nikaal lenge tabtak andhera ho jayega jana to raat gaye hai na’…………..asif ne sirf haami bhari ooski baat sunte huye

Syeda sabkuch sunkar jaise ab bhi khoyi huyi si thi oose maalum nahi tha ki haalat is qadar badtar ho jayenge ki oose bangladesh yun illegal border cross karna hoga kaash mortuz ne ooski zindagi barbaad na ki hoti….yaha aakar toh sirf oose dard hi dard mila tha aur jabse digonto ooski zindagi se gaya tha tabse toh oose dard hi pahucha tha kya beet rahi hogi tarique ke maa-baap par ooski hi wajah se ooska beta apni jaan gawaah gaya nahi taqat thi oosmein ki aakhri baar bhi ooske maa-baap se milane ka….kyunki wo to khud hi beraah huyi si thi khatam to wo bhi apni zindagi ko karne waale thi agar itna kuch ooske saath nahi ghatta na agar asif ooske zindagi mein aata…

Achanak syeda ka dhyaan tuta gaadi ek resthouse ke paas aakar ruki…dono gaadi se bahar utare…..’chalo’……..asif syeda aur apna bag liye aage badhne laga syeda ooske piche piche…resthouse thoda bara tha….ek single room oonhone book kiya tha….syeda ko asif ne bataya ki yaha oosne jhoote naam se register kiya hai jisse oonhein agar mortuz talashte huye yaha pahuche bhi to bhi wo dono oose na mil paaye….darr aur dehshat ab bhi syeda ke dil mein barqarar tha…

Syeda apna bag bistar ke paas rakhi bahar ki slide door ko kholte huye waadiyo ko dekh rahi thi….asif apna bag khole bullet ka dabba ek table par rakhkar oosse bullets gin raha tha aur oose ek lifafe mein bharta hua apne ek pocket to kuch bullets ko apne dusre pocket mein ghusaa raha tha…syeda yedekhkar thodi siham uthi

‘ye sab le jaane ki zarurat kya thi agar chaanbin mein ye sab baramad hua to hum fass jayenge na’

Asif kuch dair khaamosh raha fhir oosne bechain sawalat mein khadi syeda ki taraf dekhte huye bas itna kaha…..’kuch nahi hoga agar aisa kuch hua bhi tohh ise thikaane lagane ka intejaam bhi hai waise itni goliya le jaani zaruri isliye hai ki kahi bhi mushkil aa sakti hai agar mortuz ko maalum chalega ki hum sheher chodhkar bhaagne ke firaaq mein hai toh saala zarur apne jhund ke saath dhaava bolega kyunki
abhi hum sheher se bahar hai aur wo sheher se bahar bappa da ki power na hone ka fayeda utha sakta hai lekin tum fikar mat karo main tumhein Bangladesh pahuchaaye bagair jitni goliya bhi khaa lu apni saas nahi chodhunga tumse munh nahi modunga waada hai mera’

Syeda asif ke junoon ko dekhkar jaise mann hi mann khush huyi kya isse nafrat kara jaa sakta tha kya itna kuch ahmed ooske liye karta syeda oos waqt asif ko akela chodhe huye waisi hi baithi rahi….asif ne bag mein bullet ka wo dabba rakha aur apne gun ko apne piche fasaaye huye shirt aur jeans theek karte huye farig hokar bathroom mein chala gaya jab wo waha se lauta to tabtak resthouse ke darwaje pe dastak huyi….asif fhat se keyhole se jhaankta hai syeda thodhi ghabra jaati hai….asif ekdum se darwaja khol deta hai

‘sir kuch khaane ko lenge’

Asif ek baar palatkar syeda ki taraf dekhta hai….syeda kuch nahi keh paati……’kuch evening snacks le aao’………’okay sir’……..kehte huye service boy chala gaya asif ne darwaja ooske jaate hi laga diya

Thode dair baad darwaje pe fhir dastak huyi to khulte hi asif ne service boy ke haath se kuch khaane ki cheezein lekar table pe rakhi…….’mujhse khaaya nahi jaayega’……………..syeda ne kaha

‘dekho syeda aage ka kuch maalum nahi kuch bhi ho sakta hai rasta thoda tedha hai agar khaaogi nahi to kamzor pad jaogi pls kuch na kuch to khaa lo’

‘okay lekin tum bhi to kuch khaao’……………asif ooske saamne baith gaya syeda ka ooska parwah karne se mann hi mann muskuraya

Waqt ki suyi jaise jaldi jaldi kant rahi thi….asif ne waqt ki taraf dekha koi 8 bajne waale they…..andhera ho chuka tha…..abtak kuch bhi oonke saath galat nahi hua tha….niche utarte huye resthouse ke paise pay karte huye wo dono bahar aaye…..driver wohi mauzud tha gaadi ki aad mein khada…..oonhein dekhkar wo fhat se gaadi mein baith gaya…..asif aur syeda dono gaadi mein jaldi jaldi baithe ki tabhi wohi black rang ki gaadi oonke theek bagal se ho guzari…asif ne fauran syeda ke sar ko apne saath niche jhuka liya…syeda ekdum se siham uthi…..asif ne oose ungli dikhaai…wo dono jab upar uthe tohh wo gaadi se oonhein kuch aadmi utarte huye dikhe wo gunde lag rahe they saath mein oonke gourav utara aur fhir mortuz jo jhatpat resthouse ke andar daakhil ho gaya

‘mujhe pata tha inhein bhanak lag hi jaayegi koi bik jaayega aur hamare baarein mein inhein maalumat de hi dega’

‘ab kya karenge?’…………syeda ne sihamte huye asif ka haath pakde resthouse ki taraf dekhte huye kaha

‘chal gaadi jaldi se nikaal aur khabardaar gaadi ko kahi bhi roka toh full speed mein gaadi honi chahiye koi bhi kisi bhi situation mein gaadi mat rokna’………..driver asif ko jaise janta tha oosne khauff khaaye bina kuch kahein fauran gaadi teji se start karte huye resthouse se bahar nikaal di….

‘ab oonhein malum chal hi jayega ki ek couple abhi yaha se nikla ek ladka aur ek ladki samajhte dairi nahi lagegi aur wo log hamara picha karte karte hamare piche honge’

‘tumhein itna sab maalum kaise hai ?’………..asif ne bas muskurayar syeda ke sawal ko sunkar oose dekha

Syeda maan gayi thi ki agar mortuz oosse aage tha to asif oosse ek kadam aage…..reh rehkar wo dil mein dehshat liye thi ki kahi asif ko kuch ho na jaye ya kahi wo pakadi na jaaye….gaadi teji se oos andhere bhare jungle raasto ke beech se guzar rahi thi…..waqt saaye ki tarah badhte jaa raha tha…harpal asif aur wo piche mud mudkar dekh rahe they ki kahi koi black rang ki car oonke piche to nahi thi…..har ek second mein syeda ka dildhak dhak kiye jaa raha tha

Aur tabhi oonhein horn ki awaz sunaai di…..asif ne mudkar dekha aur tatkal driver pe chillaya….’gaadi ke andar lights off kar de’………….driver ne tatkal jaise lights off kar daali

Syeda sar jhukaaye huye chupi huyi sit hi…ab wo gaadi horn bajate bajate oonki taraf teji se aa rahi thi oonki gaadi ko takeover karne ki koshish kar rahi thi…..lekin tabhi do raah rasta aa gaya driver ne teji se gaadi ko drift karte huye mod diya….syeda bahut zyada darr chuki thi….is baar oose ahesas hua ki wo gaadi ab bhi oonke piche thi…..achanak asif ne uthkar oos gaadi ki roshni mein mortuz ka chehra dekha…jaise oose maalum chal chuka tha ki is gaadi mein wo dono hi they……jab ekdum mortuz ki gaadi ooske gaadi tak na pahuch paayi to oosne maarein gusse mein aakar goliya chalani shuru kar di….firing huyi jise sunkar syeda bahut zyada darrte huye asif se lipat gayi…..oose darre roye bacche ki tarah dekhkar asif oose ektak dekhne laga….jab gaadi zor se hili to ooska jaise dhyaan tuta

Goli pe goli chal rahi thi to ek goli sidha oonke piche ke sheeshe pe jaa lagi….sheesha tutne ki kagar pe ho gaya…syeda ko asif jhukaaye huye raha….’aage raasta ghana jungle aur andhere mein hai’…………….’rokne ka nahi bas chalate jaa jaha se mudna hai mud jaha se lena hai le lekin inhein chakma dene ki koshish kar double dega’

Sunkar jaise oos maarein ghabaraht ki haalat mein bhi driver ne tatkal speed mein gaadi bhaga daali….piche ki gaadi ki bhi raftar badhi….ghumte ghumaate huye gaadi jungle ke bheetar ja ghusi ooske baad daayi or mudte huye dusre kacche sadak pe gaadi utar aayi gaadi hichkole khaane lagi syeda ko kareeban halki chot bhi aa gayi thi…..aur tabhi jab gaadi agle raaste pe pahuchi to headlights bhi driver ne band kar diye…..ab piche se koi awazein nahi aa rahi thi…….’wo log piche reh gaye’………driver ne jaise ekdum se kaha…..asif ne syeda ko uthne kaha achanak ooske maathe pe halki chot dekh jaise asif fikarmand hua….oosne ooske oos chot pe ungli fhairi to oose ahesas hua ki syeda oose sihami nazaro se dek hrahi thi…..’tum theek ho na?’…………’hmm’……..syeda ne haan mein sar hilaate huye kaha

Dono waapis alag alag ho se gaye….asif fhir bhi piche mudkar dekta raha…..kareeb saade dus baje tak gaadi theek ek beech sadak pe aake ruki……’chalo utaro’…..syeda ko asif ne ekdum se kaha to syeda ne charo taraf dekhte huye bahar apne kadam rakhe….asif bhi syeda ke saath utar gaya dono taraf ghana andhera aur jungle tha

‘apun yaha ek second bhi nahi teherne wala daaye or se raasta hai paise do aur nikal lo’………driver ki baat sunkar asif ne bag se kuch paise ooske haath mein diye

‘bappa da ka order na hota to apun ye jokhim kabhi nahi uthata shubh yaatra’……….kehte huye wo driver puri furati se gaadi waha se aage start kiye le gaya

‘humhe yaha se jaldi niklna hoga chalo’………..syeda ke haath pakde lagbhag asif bag liye aage oos jungle ke bheetar ghusa…..

Khaamosh jhingur ki awazein charo or ke sannate bhari oos raat mein thi….upar se sard mausam se kohra bhi chaa raha tha.....raasta kharab hota jaa raha tha lagbhag syeda ek baar to fisal hi jaati…par ooska haath pakde asif torch jalaye jaise taise oos raaste se aage badh raha tha…achanak asif teher gaya oosne piche mudkar dekha aur theek oosi pal paas ke mote paid ki aad mein ho gaye….syeda kuch
samajh nahi paayi….’main kehna to nahi chahta lekin lagta hai wo kutto ki fauj sunghte sunghte yaha pahuch gayi hai oon haramiyo ko maalum chal chuka hai ki hum isi raaste se jaa rahe honge main raaste ki taraf mein military ki check post aage jaakar bahut padti hai aur yahi se illegal jaane ka rasta hota hai sab kuch khabar lag gayi hai oose’…………syeda sunkar jaise khaamosh asif ki taraf dekh rahi thi


Logged
asif biswas
Guest
«Reply #21 on: January 15, 2019, 11:52:46 AM »
Achanak sukhe patto aur teheniyo pe kisi ki chalne ki awaz sun asif ekdum chaukkna ho gaya tha…kuch log jaise oonhi ke paas aa rahe they….ab dheere dheere oose awazein sunaai de rahi thi…asif ko malum chal chuka tha ki awaz kisi officer ki nahi balki kuch aadmiyo ki thi…oosne ek baar bahar jhaankar dekha to kohre mein oose torch jalaye aahiste aahiste aate kuch aadmi nazar aaye…..asif ne syeda ki taraf dekha jo bilkul sihami huyi thi…..’mujhpe yakeen hai?’………syeda ne sirf haan mein jawab diya asif mehez muskuraya aur palbhar mein oosne goli chala di….goli thamte hi wo do aadmi jo nazdeek they wohi dhair ho gaye….oonke girte hi jaise tabadtod goliya chalni shuru huyi

Asif oonke goli ki awaz ruk jaate hi ooska haath pakade teji se bhaaga….’wo bhaag rahe hai oos or hi hai pakdo’…………wo awaz syeda ko jaani pehchaani lagi…..bhaagte huye goliya chal rahi thi….asif syeda ko liye paid ki aad mein ekdum se ho gaya kohra zyada tha isliye oonka andhere mein dikh paana mushkil ho raha tha….kuch ek aadmi ko paas aate dekh asif ne oonpar jaise hamla kar diya ek ke sar pe goli ki naal maari aur dusre ke bheje pe hi goli chala di…aisi harqat se ekdum se goli oosi ki taraf chal uthi…asif jhuk gaya warna ek goli to ooske seene ke aar paar hoti…syeda chilla uthi aur bhaagne lagi….asif ooske piche daudte huye oose thaamkar aur teji se bhagne laga….jald hi wo log ek andhere ki aad mein fhir ho gaye….asif paid ki tehni pe jaise taise chadh gaya syeda kuch samajh nahi paayi

Tabhi achanak oose teen saaye apne kareeb aate mehsus huye wo sihame chupne ki koshish karne lagi lekin nakam wo teeno gunde oose dekh chillaye ‘bhai yahi hai wo’………..syeda ke aankho mein khauff phut pada jaise…..abhi mortuz aur gourav oon tak aane hi wale they ki ekdum se asif ne chalang lagate huye firing shuru kar di…goli oonke jismo mein dhassti chali gayi…oosi pal syeda ka haath thaame waha se daud pada asif goliya theek ooske piche chal uthi thi….palbhar mein syeda ko pakde wo oose lait gaya…..syeda ekdum se asif ki or khauff bhari nigaho se dekhne lagi ooske aankho mein dehshat se aansu they…..

Jab waha mortuz aur gourav pahuche to waha oonhein apne aadmi ki laash mili…….’bahut khatarnak hai saala’…….gourav ne daant peeste huye apna gun uthaye kaha

Mortuz ne koi jawab nahi diya aur aage ki or daudh utha…..gourav bhi ooske piche bhaaga lekin oonhein aas paas ghana kohre aur andhere mein koi na mila……….’asif main janta hoo tu syeda ko mere hawale kar de warna main kasam khaake kehta hoo bhai ka rishta to bhul hi gaya tujhe aisi badtar maut dunga ki rooh kaanp uthegi teri’

Mortuz sambhala hua bhi tha ki kahi se bhi goli oose lag sakti thi….aur theek oosi pal oonpe goli chal uthi…mortuz sambhal to gaya lekin gourav ko taang mein goli lag gayi….gourav ke haath se gun gir gaya aur wo wohi chatpatane laga lekin mortuz ne jab apne trigger pe haath rakhke goliya chalani chahi to oose malum chala ki ooski goli khatam ho chuki thi….oose maut ka khauff nahi tha bas syeda ko apne haatho se dur hote huye wo mehsus kar paa raha tha….

Gourav ab bhi dard se karha raha tha….aur theek tabhi mortuz ko kisi ki bhaagne ki aahat huyi….mortuz tab bhi oos or bhaaga gourav oose madad ke liye pukaar raha tha….wo ek chalawa tha mortuz ko gourav se dur le jaane ka…..ki tabhi mortuz jab tehera to oose ahesas hua apne kisi ke piche hone ka…wo jaise piche muda palbhar mein ooske sar pe hamla hua jisse ghassh khaakar wo wohi gir pada…oosne bas oos aks ko dekha tha ooske baad ooski aankhe bhujh si gayi…

Karhata gaurav ab bhi waise hi pada hua tha…ki achanak oose apne saamne asif aata mehsus hua….’dekh bhai m..mujhe jaane de bhai nahi nahi’………gourav ne gun uthaani chahi lekin asif ne palbhar mein ooske goli lage taang pe apna pao de rakha……gourav chilla utha syeda sihami huyi nazarein fhair chuki thi

‘chahu to tujhe maar du lekin apun ko ab khoon bahane ka shouq nahi ab yaha jab military teri aadmiyo ki laash aur tujhe zinda dekhegi tab tu oonhein acche se jawab dena kyunki daura karne wo log ek baar yaha gasht zarur lagate hai agar tere bhai ko hosh aaya to wo tujhe ganimat hai ki uthake le jaaye aur tera ilaaj karwaaye jaate huye ek baat kehte huye jaa raha hoo apne bhai ko keh dena ki Hindustan tak picha to kar liya lekin aage na karna warna oos bedard ko bedard maut dega apun samjha’…………asif ki gussail gulaabi nigaho ko dekh gourav kuch na bol paaya

Asif ne ooske gun ko apne hawale kiya aur syeda ka haath pakde waha se chala gaya…..jaise taise bhaagte huye asif aur syeda jungle ke aakhri chorr pe pahuche to oonhein bahar nadi ka shor sunai diya wo kinara tha….asif aur syeda jungle se bahar ek aad hokar chup gaye…..charo taraf ke ghane andhere aur nadi ko dekhne lage aasman mein ghane kohre mein chand kahi chup sa gaya tha….tabhi nadi ke kinaare ek roshni jalti dikh…asif ne waqt dekha to koi 1 bajne ko tha
‘kuch nahi hoga syeda bharosa karo’…………….’tumne oose kyu nahi maara oosne mujhse mera sabkuch cheen liya iske bawjud’………….asif ne syeda ki taraf dekha……….’bhai ki haisiyat se oose baksh diya agar zaleel hoga aur maut ka talabgar to zarur hamare piche aayega’…………syeda ne bhi kuch na aur kaha

Wo roshni boat se aa rahi thi aur wo boat kisi anjaane shaks kit hi…do-teen baar torch jali….asif syeda ka haath thaamein lagbhag bhaagte huye ooske kareeb sambhal sambhalkar jaane laga..jab nadi mein oonka pao tak paani aaya to wo boat oonke behad kareeb pahuch gayi….koi 70 varshiye Buddha aadmi tha jo Bangladeshi tha….lungi pehne huye aur sar pe gamcha baandhe oosne muskurakar asif aur syeda ki taraf dekha

‘baap bappa da ka aadmi hai na tum?’…………….’haan’…………….’chotpot boat mein aa jao aik baar bhi yaha nahi rukega cholo aaj bahaav zyada hai boat paar jaldi ho jayega lekin savdhan yaha tehera to bsf wala gasht lagaye pakad sakta hai’

Asif syeda ka haath thaamein oose boat ke upar chadhne mein sahara deta hai….boat par chadhte huye apne dupatte ko apne chehre aur sar par dhakte huye syeda ek baar asif ki taraf dekhti hai asif boat par bag rakhta hai to boatwala motor start kar deta hai…..asif kudkar lagbhag boat par sawaar hokar syeda ke saath baith jata hai……ki tabhi oose kisi ki chillane ki awaz aati hai….ye pukaar sun ekpal ko syeda aur asif ne paaya ki koi officer gasht lagaye waha pahuch chuka tha….oonhein shayad oosne dekh liya tha ya oonke boat ko isliye oosne oonhein tham jaane ko kaha…….’ya allah ye to officer hai jhuk jao’……jaldi jaldi motorboat paani ko cheerti huyi bahaav ke tej hichkole lene se beech nadi mein aa pahuchi….wo officer daudta hua is baar goli chalane laga…’aahhh’……syeda ko awas hua ki goli paani mein jaa lagi thi…asif ne oose jhuka diya syeda kasskar oose pakde laity rahi aur asif ooske upar tabhi achanak ek goli sidha ooske baazu ke maans ko chute jaa guzari….asif ki karrhat ko sun syeda ooski taraf apalak nazaro se dekhne lagi…..’k..kya hua goli lagi tumhein ya allah’……….’aahhh urggghh baazu ko chuke nikali’………dhadh dhadh goliya tabhi barsata raha wo officer asif ke jaise aankho mein gussa utar aaya aur oosne palatte huye sidha firing kiya do goli to officer tak na lag paayi duriya badhti jaa rahi thi lekin teesri goli sidha officer ke seene pe jaa lagi ooska haath nishaana aur na laga paaya aur wohi wo gir pada….syeda ne uthkar oose dekha to oose oos officer ki laash jaise paani mein girti mehsus huyi....oosne khauff se asif ko dekha jiske aankho mein oose bedard berehem kattar qatil dikh raha tha….asif ooske baad gun wohi boat par giraaye boat par sar rakhkar pasht pad gaya

‘asiff kuch nahi hoga tumhein sss ishhh’……….syeda ke haatho mein asif ke baazu se nikla khoon lag gaya oosne phadhte huye apne dupatte se ooske baazu ko baandh diya taaki khoon ruk jaaye aur na bahein


‘isko kuch nahi hua hai theek ho jayega yeh ise goli nahi lagi bas halka zakhm hua hai’………asif behosh sa hote hote waise hi beshud pada raha aur syeda ooske baazu ko thaamein apne khoon se sane dupatte ko ooske baazu mein bandhe dekhne lagi….

Boat jald hi seema paar kar gayi…..to jaise buddhe ne muskurakar oose dekhte huye kaha….’bas ab koi khatra nahi hum paar ho gaye hai’……….syeda ke dil mein jaise oos waqt ek azib sahausla aur himmat tha yakeenan khauff ko wo piche chodh aayi thi aakhirkaar ooska beeta kal ooska dard sabkuch jaise piche chutt sa gaya tha lekin asif apni jaan jokhim mein daale ek bar fhir ooska madadgaar saabit hua….andhera badhte chala gaya aur nadi ki bahaav mein hichkole si khaati boat jald hi kinaare tak pahuchne lagi…..syeda khaamoshi se chupchaap asif ko dekh rahi thi jiske chehre pe dard tha aur aankhe band thi aur baazu pe goli lag jaane se khoon ab bhi beh raha tha jispe dupatta khoon se geela laal ho chuka tha.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #22 on: January 16, 2019, 03:20:48 PM »
Jald hi kinaara dikhne laga….aas paas ghana andhera tha….paani ke lehro ki awazein sunaai de rahi thi….jab boat kinaare pe aa ruki toh Buddha wo aadmi boat se bahar utarte huye jaldi jaldi syeda aur asif ki taraf dekhte huye oonhein uthne ko kehta hai…..’uthe pado uthe pado Bangladesh mein hum pahuch gaya ye rajshahi hai joldi uthe poro waqt na lagao ab yaha se jaldi jaldi tum dono jungle ke oos bheetari raaste se sidha nikal jao’…………….syeda ne asif ko uthaaya jo apne dard ko peete huye syeda ki taraf dekhta hai

‘lekin bahut khoon beh raha hai baba aise haal mein inka aage chalna mushkil hoga’

‘wo hum nahi janta agar humne madad bhi kiya to hum fass jayega tum ise leke yaha se jald se jald nikal jao jao isse pehle ki yaha koi aa jaaye hum yaha paas ke gaon mein rehta hai aur yaha ka machwara hum par police ko shaq bhi hua to hum pakda na jayega lekin tum log agar oonke nazaro mein aa gaye to fass jaoge jao jao’

Asif ne jaise taise bag uthaya aur syeda oose thaamein rahi….dono boat se utarte huye jaldi jaldi tej kadmo se waha se ghane oos jungle mein jaa dakhil huye…...asif badhawas beshud tha lekin dard ko peete huye bhi wo tej kadmo se chal raha tha ek haath mein ooske bag tha apna jise syeda ne thaamte huye dusre haath se asif ko pakde huye ooske saath chal rahi thi….jungle itna ghana tha ki paid aur tehniya ooske jism aur chehre pe baar baar aa lag rahi thi jinhein hatate huye jaise taise wo dono jungle se aage badh rahe they…

‘aaahhh ssss’……….’syeda kya hua?’………apni baanh ko thaamein syeda ne apne baazu aur kohni pe kisi kaantedar tehni ki ragad khaane se kharoch dikhaai khoon nikal gya tha…asif ne apne haath se oos khoon ko ponch diya…..’meri parwah mat karo humhe yaha se jaldi nikalna hoga par itne andhere sunsaan raat gaye waqt mein kaun hamari madad karega yaha?’……….syeda ne sawal kiya

‘filhal toh humhe yaha se nikalna hai jaldi chalo’…………syeda fhir asif ko thaamein huye ooske sang sang jaldi jaldi oon tehniyo aur jungle jhaar ko hatate huye aage badhti gayi

‘syeda aahh ss bahut andhera hai yha sambhalkar kahi koi saanp na ho’

Darr darr kar wo dono becharee oos jungle se khuda ke rehem par guzar rahe they…..mushkil ab bhi jaise dono ki kam nahi huyi thi…..oos waqt syeda ne pura hausla jutaate huye asif ke baazu ko thaam rakha tha….aur asif chalte chalte syeda ke chehre ko dek hraha tha ooska yun oose sahara dena ooske liye parwah karna jab oosne ooske bazu pe lage goli se jab khoon baha to kaise oosne apne dupatta ooske baazu pe baandh diya…..ye sab sochte huye mann hi mann soch mein duba tha asif…ki oose ooske gharwalo tak pahuchakar wo oosse utna hi dur ho raha tha oonka safar jaise ab khatam hone ko tha…

Soch ki gehraiyo se nikalte huye oose ahesas hua ki wo dono oos ghane jungle mein abtak chal hi rahe they…..’kya ye jungle kabhi khatam nahi hoga main yaha kabhi pehle nahi aayi mujhe is jagah ke baarein mein kuch bhi maalumat nahi?’………syeda ne apni pareshaani bhav se asif ki or dekhte huye kaha

‘darro nahi mere mausa bhi isi raaste se aate jaate hai rasta sidha bataya hai galti se bhi agar hum khud ka irada kiya rasta chunte hai to hum bhatak jaayenge ya to koi jungli janwar ke bhait chadenge ya fhir police ki nazaro mein aa sakte hai tum bas sidha chalti raho mere saath’

Asif ki aankhe band ho rahi thi lekin oos haal mein bhi wo syeda ke saath saath chalta gaya…..aadhe raaste tak pahuchne pe barsat shuru ho gaya aur rasta khichadh se bhara ho gaya….fhir bhi jaise taise bheegte thand mein thithurte huye syeda asif ko thaamein huye aage badhti gayi ooske saath…..aur dheere dheere oon dono ki umeedein jagne lagi….kyunki jungle ke kuch aur aage pahuch jaane ke baad oonhein highway ki sadak dikh rahi thi…..wo log jaise taise jungle ke bheetar se bahar nikle waha se nikalte hi asif jaise farsh pe gir pada…

‘oh no asif asifff hosh mein aao asif’………………’syeda mujhse aur nahi chala jaayega aahh sss’………..bheegte asif ke chehre pe thapthapate huye syeda ne raaste ke dono taraf dekha waha ek bhi gaadi nahi guzar rahi thi…syeda jaise taise asif ko uthaaye oose paid kea ad mein le gayi jisse kuch pal ke liye wo barsaat ke paani se khud aur bheegne se bacha sakte they…..paid ki chaav mein baithte huye asif syeda ki taraf beshud nigaho se dekhne laga…….’tumhein kuch nahi hoga mujhe yaha laaye ho tum ab mera farz hai ki main tumhari madad karu kuch nahi hoga’

‘s..yedaa m..meri baat suno mere jeb mein phone hai oosmein tumhare ahmed ka number hai’………sunkar jaise syeda chaunk uthi

‘tum oosmein data on karo aur ahmed ko imo audio call lagao wo hamari intejar mein hoga oose bas itna kehna ki rajshahi gaon ke dinayjpur highway pe hum mauzud hai aahh ss jaldi karo fauran’

Oos waqt syeda hairani se asif ko dekh rahi thi puchna chah rahi thi ki aakhir ahmed se asif ki baat kab huyi thi kya oose maalum tha sab oonke aane ka syeda bina oos waqt soch mein waqt gawaaye sidha asif ke jeb se phone nikaalti hai jo halki bheeg gayi thi oose ponchte huye syeda data on karke digonto ka number paati hai….ek pal ko hairaani se asif ko dekhti hai jo behosh ho chuka tha….syeda turant call lagati hai to kuch dair ringing ke baad hi oos taraf ek jaani pehchaani awaz oose apne kaano mein itne saal baad sunaai deti hai..’hello hello’………..digonto ki awaz sunte hi jaise ekpal ko syeda khamosh ho jati hai

‘hello’………syeda ne is baar jawab diya to udhar digonto ooske oos madhur awaz ko ek hi baari mein pehchaan gaya

‘oh my god syeda it’s you kahan ho syeda tum kahan tak pahuche ho? asif ne to mujhe kaha tha ki Bangladesh pahuchte hi wo mujhe call karega main is waqt border ke paas waale hotel mein tehra hoo tum logo ko le jaane ke liye kahan ho tum log?’

‘pls digonto jaldi aao asif ko goli lagi hai wo behosh pada hai hum highway ke paas bearish se bachne ke liye ek paid ki aad mein chupe hai’

‘don’t worry tum waha se kahi mat jaana I will just come’………..phone cut hua to jaise syeda jaise apne past mein pahuch si gayi thi oosne apni soch ko apne par haavi hone nahi diya aur jald hi behosh asif ke paas aakar ooske chehre ko thapthapane lagi….asif hosh mein nahi tha bilkul beshud pada hua tha…

Bahut dair ke intejar ke bawjud waha oose mehez do gaadi aate aur jaate dikhi lekin oose kisi mein bhi digonto ka ahesas nahi hua……dua karte huye asif ke kareeb baithte huye syeda mann hi mann abtak huye waaqyo ko yaad kar rahi thi…..asif ne jaan par khelkar oose aakhir tak mortuz se hifazat kiya lekin itne bade dushmani aur bedard hone ke bawjud asif ne apne bhai ko jaan se nahi maara haalanki wo syeda ka badla le sakta tha…..mann hi mann asif ko apne liye kiye itne upkaro ko yaad karte huye syeda oose hosh mein laane ki koshish kar rahi thi par ab asif ekdum nidhaal pad chuka tha….oose ilaaj ki saqt zarurat thi…..achanak oose ek horn ki awaz sunaai di…oosne piche palatkar dekha to ek gaadi bahut dheere dheere chalte huye oonke kareeb se guzarne ko thi….tabhi car ki andar ki roshni mein oose digonto ka chehra dikha wo oose ek baar mein hi pehchan chuki thi…..wo chillate huye haath dikhaate huye barish mein bheegti huyi road ke kareeb aakar ooska naam pukarne lagi..digonto ki headlight ki roshni mein jab syeda oose dikhi…to fauran digonto ne gaadi rok di

Digonto furati se gaadi se utarkar bahar aaya to oose apne saamne syeda royi tehri dikhi…digonto oose dekh maano itne saal baad mann hi mann jaise behad khush tha….ooske aankho mein aansu they….syeda ke bhi aankho mein oose dekhkar aansu umad aaye…digonto ne ooski haalat dekhi bheege kapro mein ird gird hatheliyo par kharoch ke nishaan they…..’syeda syeda oh my god tum kahan chali gayi thi ya allah tumhein dekhkar I can’t describe ki main kitna khush hoo oh my god syeda’………digonto jaise palbhar mein syeda ke gale jaa laga….syeda na chahte huye bhi oos pal kisi apne se mili thi digonto se gale lagkar jaise ooske zazbat tut gaye….digonto ko jab ahesas hua to oosne apna hosh sambhala aur syeda se khud ko alag kiya…….’janti ho syeda amma-abba tumhare liye kitna pareshan they aidi choti ka zor laga diya tha oon logo ne tumhein dhundhne ke liye lekin tum waapis nahi aayi aakhir mein maine umeed nahi chodhi ye to khuda ka fazal hai ki tum sahi salamat ho warna main!’………..kehte kehte digonto teher gaya syeda oos waqt halat ko samajhte huye oosse dur hone lagi……

‘ye sab asif ke bina mumkin nahi tha digonto oosne hi mujhe pure izzat ke saath hifazat karte huye yahatak laaya hai wo waha behosh pada hai pls oose kisi doctor ke yaha le chalo kuch bhi karo’

‘okay wait’……….digonto ne paid ki aad mein behosh asif ko paaya….ooske baazu mein syeda ka dupatta tha jo khoon se sana hua tha….digonto ne puri taqat se oose uthaaya to syeda ne bhi jaise ooski help ki dono oose sambhaalte huye gaadi tak laaye fhir digonto ne piche ka darwaja khola aur oosmein asif ko laita diya….

Syeda digonto ke saath aage ki seat pe baith gayi thi…..piche mud mudkar wo behosh asif ka jaayeza le rahi thi….palbhar mein digonto ne gaadi start ki aur back karte huye waapis highway ke raaste mod di….pure raaste digonto khaamoshi se gaadi chalate huye syeda ki taraf dekh raha tha….wo bheegi huyi thi ooske chehre ko dekh digonto ne tissue paper ooski taraf badhaya jise syeda ne lete huye mehez muskuraya….digonto ki nigah fhir asif ki or huyi……

‘mujhe asif se tumhare abba-ammi ne baat karwaya tha oonhone bataya ki india mein tum iske hifazat mein ho aaj dopahar ko meri asif se hi baat huyi thi maine oose pura madad dene ka vaada kiya tha ki bas kisi tarah wo tumhein yaha sahi salamat pahucha de….main india aana chahta tha lekin oosne mujhse kaha ki wo illegally tumhen yaha laa raha hai khatra hoga toh main nahi aaya…..main noakhailla se tumhare liye hi yhaa pahucha tha…mujhe to harpal bas darr laga chalo jo hua so hua ab tum apne ghar jald se jaakar apne maa-baba sabse mil lo to behtar rahega oonka tumhare bina waqt kaise beet raha tha ye to allah jaane’

‘thanks digonto’………….is baar digonto ne syeda ko muskurakar apna shukriyada karte dekha oosne sirf nazarein jhukaaye fiki muskurahat di

‘hum yaha se pehle asif ko ek nursing house le chalte hai waha doctor ko paise deke iska ilaaj ho sakta hai warna police case banega….tum mere sath hotel chalo kal hum noakhailla ke liye nikal jaayenge’

‘nahi digonto mujhe asif ke paas hi teherna hai oosne mere liye itna kuch kiya hai aaj ooski ye haalat kahi na kahi meri wajah se huyi hai main ooske bina kahi nahi jaungi’

Digonto ek pal ko syeda ke aankho mein oos anjaane gair shaks asif ke liye fikar dekh khaamosh ho gaya….aaj wo itne saal baad mile they ekdusre se gale milate waqt bhi jaise mann hi mann oon kadwahat ko yaad kar rahe they jisne oonki zindagi tehes nabut kar di thi….pure raaste digonto kuch nahi bola aur naa hi syeda ne kuch kaha

Jab asif ko hosh aaya to wo oos waqt oose ahesaas hua jaise wo kisi anjaan jagah par tha samajhne mein dairi na lagi ki wo kisi chote aspatal ke liye ward room mein laita hua tha…ek baar oosne uthne ka prayatan kiya to oose apne haath mein patti bandhi dikhi…ek baar oos dard ke ahesaas se oosne hosh sambhaala to paaya ki aas paas koi nahi tha….’syeda syeda koi hai’………asif jaise bechain hote huye syeda ka nam pukar raha tha oose laga nahi tha ki syeda oose kisi aspatal tak leke aa jaayegi lekin syeda ke naam pukarne par doctor waha pahucha

‘tumhe hosh aa gaya hai tum theek ho’…………doctor ne Bengali mein asif se kaha asif ne bhi Bengali mein oonse syeda ke baarein mein aur khud ke yaha laane ke baarein mein puchne laga

Itne mein digonto syeda ke saath andar aaya….asif ki nazar pehli baar digonto pe huyi thi….isse pehle oosne kabhi ooska chehra nahi dekha tha….digonto oose dekh muskuraya….syeda muskuakar asif ke gale lagkar ooske baazu ko dekhne lagi…..ab waha khoon sukh chuka tha aur gehra dhabba bana hua tha…ek baar royi nigaho se syeda ne asif ko dekha asif bhi oose hi dekh raha tha digonto oon logo ko aise ekdusre ko dekh kuch theek mehsus nahi kar raha tha wo khaamoshi nazarein jhukaane laga

Tabhi asif ne apni nigaah todte huye syeda se digonto ki taraf dekha……’ye digonto hai yahi tumhein yaha laaya tum goli lagne ke baad behosh ho gaye they maine ise tumhare phone se call karke bulaa liya tha ye hamare hi intejar mein tha tumne bataya nahi ki tumne digonto se pehle baat kar li thi’

Asif muskurakar digonto ko dekh  uthne laga digonto ne oose mana kiya…’thank you boss warna apun to gaya tha…..asal mein syeda digonto se meri baat tumhare maa-baba ne karwai thi kal dopahar jab hum resthouse mein they to maine tumhare gharwalo ko call karke hamare aane ki khabar di thi wo number maine tumse ek baar liya tha tumhein yaad to hoga bas tumhare abba bole ki digonto hamari madad karne ko pura tayyar hai ye to india aa raha tha maine ise mana kiya khaamokah jaan jokhim mein apni daalta’

‘syeda ke liye main kuch bhi kar sakta hoo asif kuch bhi’………ye sunkar jaise syeda oose dekhne lagi digonto apne josh mein ye baat kehne se sharminda mehsus karne laga

‘haan syeda digonto ne hamari madad ki hai ise bahut fikar thi tumhari jab isse baat kiya tha to mujhe bahut fikarmandi se tumhari liye keh raha tha’………….asif muskura pada par syeda ke chehre pe muskurahat nahi aayi

‘koi baat nahi aap log ab jaa sakte hai’…………doctor waha se kehkar chale gaye

‘thanks’…………syeda ne digonto ko kaha to digonto ne muskuraye oose aur kuch nahi kaha

‘accha chalo fhir subah hone waali hai hum yaha se sidhe noakhailla ke liye nikal jaate hai okay main gaadi mein jaa raha hoo you guys come’………kehte huye digonto waha se jaane laga

Asif ne palatkar syeda ki taraf dekha oosne syeda ke kalaiyo pe pattiya dekhi……’tum theek ho na’………asif ne fikarmandi se pucha…………syeda ne haan mein jawab diya

‘chalo’………..kehte huye asif aur syeda dono nursing home se bahar gaadi ke paas aaye digonto chupchap baitha oonhi ke intejar mein tha

Oon dono ke baithte hi digonto ne gaadi start ki aur sidha sheher ke raaste chal diya…..pure raaste teeno khaamosh they…….’tum log yahi mauzud they?’……..’haan asif tum hosh mein nahi they nursing home mein puri raat main aur digonto tumhare saath they tumhe aisi haalat mein chodhkar main bhala kaise kahi jaa sakti thi’………….asif mann hi mann jaise syeda ko apni fikar karte dekh accha laga…..wohi digonto chupchaap tha kashmakash ke ghere mein ki kahi syeda asif ko chahne to nahi lagi thi….aur chahegi bhi kyu nahi oosne kitna kuch ooske liye kiya tha kaun kar sakta tha wo sab? Aur wo ye nahi bhula tha ki oon dono ka niqaah tute waqt ho chuka tha jis wajah se dono alag huye they dur huye they wohi wajah aaj bhi oon dono ke darmiyaan thi…sirf digonto madad kar raha tha is baat se syeda chupchaap thi warna wo janna chahti thi ki aakhir wo ooski zindagi mein kyu aaya tha dost ke haisiyat se ya tute rishte ko fhir jodne ke liye?

x----------------------------------x---------------------------------------------------x-----------------------------------------

Dopahar tak hi wo teeno noakhailla sheher pahuch chuke they…..asif aaspaas ke ilaake ko dekh raha tha isse pehle wo kabhi bangladesh nahi aaya tha jab syeda ka ghar oosne dekha to asif hairan ho gaya waaqayi syeda kaafi acche gharaane se thi itna aalishan ghar aur itna rihayish socha nahi tha oosne ki syeda ooske haisiyat se itni ucchi hogi sab haalat ke baat thi……syeda ke ghar pahuchte hi oosne saamne lamba kaala sa gate dekha aur oonki gaadi ko dekh gate ke khulte hi jaise oosne syeda ke pure parivaar ko darwaje pe hi khada paaya….syeda oonhein dekh chehek uthi….gaadi jaise hi ruki wo sabse pehle utarte huye apne maa-baba ke gale se lipatkar rone lagi…..syeda ke maa-baba apni beti ko apne seene se lagaye rote huye ooske khub laad pyaar karne lage…..ghar ka har koi waha khada parivar ke is Milan ko dekh raha tha…..har koi khush tha…gaadi se utarte huye digonto bhi muskuraya….asif jab utara to oose syeda ka chehra aaj khushi ke aansu mein dekh muskura utha….

Asif ko sab ghurr rahe they sabko maalum tha ki wohi ke wajah se syeda hifazat se bangladesh pahuchi thi…..syeda ke maa-baba syeda ke saath ooske paas aaye pehle to digonto ko syeda ke baba ne khub dua diya ooske baad asif ko dekhkar wo muskuraye……..’salawalekum uncle salawalekum aunty’……….asif ke gale jaise ooske abba lag gaye……’waahh beta to wo farishta tum they ya allah tumpar allah ki khud rehmat ho tumne aaj humpar hamari beti ko lautaaye bahut bada ahesaan kar diya hai main ye ahesaan nahi chuka sakta beta’

‘uncle aisa kehke mujhe sharminda mat kijiye syeda ki madad karna mera farz tha…aur waise bhi apno se juda hone ka gam main bhugat chuka hoo aur syeda to bas musibat mein fass gayi thi wo aapse bichadhi hi kab thi ye to mera dil-e-farz tha ab aapki beti aapke paas hai yahi meri khushi hai aur pls ise ahesaan na kahiye aap mere abba-ammi jaise hai’

Syeda ke maa-baba asif ka shukriyada kiye jaa rahe they….syeda ye dekhkar bahut khush huyi ki ooske maa-baba asif ko itna maan de rahe they wo chupchaap bas khadi muskurayi si apne aansu ponch rahi thi….syeda ne paaya ki waha ooski saheliya bhi thi oonhein dekhkar to jaise syeda ke aansu teher hi na paaye aur wo oonse gale lag padi…ekdusre se gale milate huye ooski saheliya jaise oose itne din baad dekh bahut khush thi….oose oos haal mein chodhkar wo log waha se chale gaye they oonhein is baat ka gehra sadma tha……’hum sab jaan chuke hai beti tumhari dosto ne sabkuch humhein sach sach bata diya jo hua oosmein kisi ka bas nahi tha bas mujhe khushi hai ki hamari beti ghar laut aayi aao beta aur syeda chalo ghar ke andar chalo’

Asif aur syeda ko thaamein huye syeda ke abba oonhein ghar ke andar le gaye…..digonto khaamosh tha syeda ke aane se isliye wo waha tehra nahi waapis jaane laga…..to syeda ke rishtedar waalo ne oose jaane se mana kiya…..digonto na chahte huye bhi ghar mein daakhil hua….jashnn jaisa mahoul tha asif ki to jaise khaatirdaari khaas mehman taur pe ki jaane lagi…..syeda sabse ek ek karke asif ko milwati hai…..syeda ka bhai asif se gale milkar ooska shukriyada karta hai ki aaj ooski badaulat ooski behan waapis laut aayi…..wohi baaki log bhi asif se milte hai….aaj pehli baar asif ne itna bada parivaar dekha tha…jo oose apna sa lag raha tha….digonto jab waha pahucha to syeda ke abba ooske bhi gale lagkar oose bithate hai…syeda oos waqt khaamoshi se digonto ko ghurr rahi thi….chupchaap digonto bhi ghar ke bhare logo ke mahoul mein oose baar baar dekhte huye nazarein jhuka raha tha….ooske dil mein na jane ek azib sa dukh tha…

Shaam raat mein tabdil ho gayi aur syeda ke kuch rishtedar apne apne ghar jaa chuke they….oos waqt digonto syeda ke parivar wale aur asif living hall mein mauzud they dinner se faarig ho jaane ke baad guftago ka sisila shuru hua tha ye janne ko syeda ke parivar wale betaab they ki oonki beti kaise asif tak pahuchi thi aur oonke saath kya kya hua tha? asif chahta nahi tha ki syeda ooske qatal karne waali sangeen baat apne parivar ko kahe lekin syeda jaise pehle hi is baat ko bhaanp gayi thi…har kisi ka chehra gambhir tha aur har kisi ka tawajjoh syeda aur asif ki taraf tha….shuruwaat sawal ki syeda ke abba ne ki thi to syeda ne apni chuppi todte huye sabkuch jaise batana shuru kiya…oos waqt digonto bhi syeda ki baat baakiyo ki tarah sun raha tha…aur asif chupchaap munh par haath rakhkar ek gambhir soch mein tha…..


To be continued...

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #23 on: January 18, 2019, 08:16:52 AM »

Sabkuch sunne aur janne ke baad syeda ke abba aur ammi ke aankho mein aansu they….parivar wale thode gambhir chehra banaye huye khaamosh they…..digonto mann hi mann jaise khud ko syeda ke is haal ka zimmedar tehraane laga…..syeda ne itna kuch saha marrne tak ka oosne faisla kar liya tha agar asif sahi mauke par oose na bachata ye sab sunkar syeda ke maa-baba ka dil hi tut gaya oos waqt wo allah se dua mein shukrguzari oonki karne lage……syeda ki maa syeda ko apne seene se lagaye oose pyaar karne lagi…..syeda maa ke aanchal mein chehera chupaaye ro rahi thi…

‘asif beta samajh nahi aata hum tumhara kaise shukriyada kare? Hamari beti hamare paas aayegi ye humne umeed bhi na ki thi….soche they khuda ne oose humse dur kar diya lekin tumne apni jaan par khelkar hamari beti ko bachaya….aisa lagta hai jaise sirf beti hi nahi mujhe ek beta bhi mil gaya hai tumhare roop mein’……………..asif ke dono haatho ko pakde syeda ke abba rote huye ooski shukraguzari kar rahe they…ekdum se asif ne oonhein apne pairo par jhukne se jaise mana kiya

‘ya allah aap mujhse itne bade hai pls aisa karke mujhe sharminda mat kijiye jab mujhe apna beta kaha hai toh apno se shukriyada kaisa?’…………..kehkar asif muskurakar syeda ke abba ke gale lag gaya

Parivaar waale sab khush they…digonto bhi muskuraya ki jis tarah ooske abba asif ko itna importance de rahe they wohi mann hi mann ek dukh sa tha ki oose digonto se zyad ahemiyad ab gharwale de rahe they….ek taraf syeda bhi muskurayi apne aansu ponchte huye apne abba aur asif ko dekh rahi thi to wohi jab ooski nazar muskurate huye digonto pe huyi to digonto oose dekhkar halka muskaan deke nazarein jhuka leta hai…

Asif ko wohi ek kamre mein rehne ka bandobas karwa diya gaya haalanki asif ne socha tha ki shayad wo waha se waapis apne watan laut jaaye….lekin aate waqt oosne na hi sirf goli khaayi thi balki apne haath khoon se rang bhi diye they oosne officer ka khoon bhi kar diya tha jiske darr se wo dobara sarhad paar kar apne watan jaa nahi sakta tha….aur waise bhi asif ka wahan ab kuch nahi raha tha agar wo jaata bhi to kahan rehta kiske paas teherta ooska sabkuch oosse cheen chuka tha…..ek akeli zindagi ke liye wo abtak jeeta aaya tha….lekin syeda ko banaye maqsad ne ooske kurbaani mein ooska sabkuch cheen liya tha….mausa ne saqt manaahi kar di thi ooske aane ki….aur agar mortuz zinda hoga to yakeenan wo ooske khoon ka pyasa hoga….soch ki kashmakash mein ghira asif bistar pe sirf karwat liye laita hua tha…

Achanak oosne digonto aur syeda ke baarein mein socha…..digonto syeda se dur dur tha haalanki itna kuch hone ke bawjud oosne mehsus kiya tha ki digonto ab bhi syeda ko chahta tha……aur syeda bhi kahi na kahi dil hi dil mein oose chahti thi sirf oos kadwahat ki wajah se wo dono ekdusre se alag huye they oonka niqaah hote hote tut gaya tha….aise mein asif ka oonke zindagi ke beech hona nagawar sa guzar raha tha…..oosne ek pal ko socha ki ooska vaada pura ho chuka to fhir yaha rukkar wo kya karega chala jaayega kisi aur jagah syeda se ab dur kyunki ab syeda ke paas ooske hone ki koi wajah nahi bachi thi….oosne apna vaada pura kar liya tha aur syeda apne maa-baba ke paas pahuch chuki thi….ooski khoyi khushiya laut aayi thi….to ab aise mein asif ka ooske zindagi mein kya hone ka kya wajud?


Udhar syeda jab apne maa-baba ke kamre mein lauti to oose dekhkar ooske maa-baba oose andar aane bole…………’aa beta baith na’………..syeda muskuraye apne maa-baba ke paas baith gayi….zazbat ab bhi kam nahi huye they aakhir mein wo dono syeda ke abba ammi they…..wo kawadte huye jaise ooske chale jaane ke baad ka dukh ka izhaar kar rahe they syeda sabkuch sunkar khud ko in sab ki wajah manne lagi…..

‘beta tere jaane ke baad humne kitne koshishe kiye lekin na embassy waalo ne saath diya aur naa police ne upar tak baat karne ki koshish ki tohh kisi ne khaas action nahi liya ye kehte huye ki shayad tum zinda ho bhi ki nahi lekin oos din tumhare aaye call ne beta mujhe wishwas dila diya ki khuda maasumo pe kabhi bedard nahi ho sakta wo bahut rehem dil wala hai oonhi ke badaulat aaj tum mere paas ho…lekin beta ek baat sach bata ye asif kaisa ladka hai?’

Syeda ek pal ko chupchaap ho gayi oosne muskuraye asif ke saath bitaaye oon palo ko yaad kiya aur oos ghari ko bhi jab oosne ooske saamne oose na jane kitni baar bachaya tha kis tarah oosne qatal kiya tha ooske liye ooska wo bedard chehra lekin oosi ke andar kahi ek maasum asif bhi tha jise is haalat ne aisa banaya tha…apne mausa se bagawat aur jaan par khelkar mortuz aur ooske aadmi se bachate huye oosne jab boat par syeda ko jhukaaye khud pe goli khaayi thi….’beta syeda beta kahan kho gai?’

‘ammi abba wohh asif bahut naikdil ladka hai jiska koi nahi akela rehta tha…main to samajhti thi ki gair logo mein mere liye koi rehem ya dil nahi lekin asif ne na mujhe jaante pehchaante huye mera saath diya mujhe har mushkil se har musibat se bachaya aap nahi jaante ki main kis qadar kaise situation mein thi oos badzaat ne meri zindagi ko tehes naabut karne ka koi mauka nahi chodha main to sochi thi ki bas meri wohi tak zindagi hai lekin asif ne mujhe hausla diya aur mujhe har mushkil har mumkin koshish se bachaya aur aaptak mujhe apna zimma kehte huye laaya’

‘waaqayi asif bahut naikdil ladka hai aur waise bhi humhe problem nahi ki wo kahan se aur kyat ha oosne teri jaan bachaakar humpar bahut bada ahesaan kiya hai’

‘lekin ammi digonto ko aap logo ne maanf kab kiya aur wohh hamare ghar mein dobara kab aaya?’…….sunkar jaise syeda ki ammi apne shouhar ko dekhne lagi

Syeda ke abba khaamosh they oonhone muskurakar syeda ke aage sabkuch khulke khulasa kiya digonto ke baarein mein………….’jaisa hum sochte they beta digonto waisa nahi tha tujhse niqaah tut jaane ke baad aur tere chale jaane ke baad humne suna tha ki ooska accident hua tha…..ooske baad humhein sunne mein aaya ki oosne apne paas aaye kayi rishto ko thukra diya tha pagalo sa ho gaya tha sadme mein rehta tha humhe to laga ki shayad ye ooski koi chaal hai lekin khuda kasam wo saccha tha ooski mohabbat tere liye sacchi thi aur wohh ab bhi tujhse utni hi mohabbat karta hai jis ladki ki wajah se tum dono ke beech mein tafarqa hua tha us ladki aakhirkaar apna gunaah qabool kar liya oosne aisa sirf aur sirf tujhse digonto ko cheen lene ke liye ye sab saazish racha tha taaki tum dono alag ho jao aur fhir wo digonto ko blackmail karke oosse niqaah kar le digonto aisa nahi tha re humhari samajhne mein bahut badi bhool huyi bahut badi bhool’…………syeda ke abba ki baat sunkar jaise syeda munh par haath rakhkar ekdum ro padi thi

‘matlab wo sab jhoot tha wo sab jo kuch digonto ke khilaaf tha wohhh ek iljaam tha sirf hum dono ko’………syeda samajh nahi paa rahi thi ooski ammi ne haan mein sir hilaaya syeda apni maa se gale lagkar ro padi thi….

Jab zazbat ka daur thama…toh syeda ke abba ne khaamoshi se syeda ki taraf ooska faisla sunne ke liye ooske aage apna sawaal rakha

‘dekho beta jo kuch hua oosse hamare ghar ko sharmindagi jhelni padi thi lekin tere aa jaane ke baad hum tere liye bahut khush hai ab hum janna chahte hai ki teri kya razamandi hai digonto ne hamare itne oose zaleel aur bezzat karne ke baad hamara ghar nahi chodha harpal wo hamesha hamare liye aage aata raha kal jab oose maalum chala tha to tere liye Hindustan tak jaane ko tayyar ho gaya lekin hum nahi chahte they ki wo bhi kahi fass jaye lekin ab beta aur dairi mat kar tum dono ko dur haalat ne kiya tha aur wohi tumhein paas laaya hai lekin beta humhe teri razamandi janni hai…..humne soch samajhkar ye faisla liya hai kyunki hum nahi chahte ki aur bhi mushkile tujhpar aaye main keh nahi sakta ki jo tere piche Hindustan se laga hua tha wo tujhse dur rahega tu itni maasum hai tujhpe khuda ka noor hai ki tujhe fhir koi humse cheen lega beta is baar humne tere liye niqah ka irada kiya hai ab teri khwahish janni hai ki tera kya irada hai agar tere dil mein digonto ke liye ab bhi kuch hai to keh de warna koi zaruri nahi’

Ye faisla sunkar jaise syeda apne ammi aur abba ko ektak dekhte huye gehri soch mein dub gayi….ooske aankho se aansu chalak pade …digonto ooske zindagi mein waapis laut aaya tha wo kaise bhulti? Ki oosne apne pure 5 saal ooske saath guzaare they….niqaah hi to oonka aakhri manzil tha ek hone ka…lekin beech mein agar wo sab waaqya na ghata hota tohh aaj wo dono ek hi hote…..ek pal ko syeda ne tarique ke baarein mein socha uske taraf kabhi wo kheechi chali nahi jaati agar wo oose digonto ki yaad nahi dilate oosi ki wajah se wo aaj is duniya mein nahi tha…..sochte sochte syeda ko fhir asif ka khyaal aaya jo ooske liye ooska madadgar ooske apne se bhi zyada ahemiyad rakhta tha….

‘ammi abba mujhe sochne ka kuch waqt dijiye main digonto se bhi is baarein mein baat karna chahti hoo’

‘haan beta humne yahi wajah se digonto ko abtak hamare is faisle ke baarein mein nahi kaha kya maalum oose yahi lage ki sach sunne ke baad humne jaanbhujhkar oosse dobara tere niqah ka faisla kiya haalanki ooske ammi aur abba ke dil mein jo shikwa tha hamare liye wo khatam ho chuka hai isliye hum chahte hai ki teri jis mein bhi khushi ho tu isse niqaah kar le ye teri zindagi ka sawaal hai beta’………..ammi ne apne beti ke chehre pe haath phairte huye oose samjhaya

Syeda kuch nahi boli….wo kashmakash mein uljhi si thi….wo uthkar kamre se chali gayi apne ammi abba ko apne iraade ke faisle ke intejar mein chodhe…..jab wo chatt par pahuchi to oos waqt charo taraf andhera tha……syeda sochte huye chupchaap wohi khadi rahi…..ooske dhyaan mein digonto aur ooske saath haseen bitaaye wo pal wo yaad kar rahi thi…….kitne khush they wo apni zindagi mein ? aaj digonto ooske zindagi mein laut to aaya tha lekin oon dono ke beech kadwahat ke jaane ke bawjud duriya thi….digonto jaise khud ko oosse dur kar raha tha….lekin mann hi mann agar ooske liye parwah na hoti to wo ooske zindagi mein lautkar kyu aata?......syeda ne fhir asif ke barein mein socha jise pehle oosne galat aur bedard samjha tha…..lekin oon sab ke bawjud wo gair ooski parwah karta raha ooske liye hifazat karta raha…..ooske liye oosne khoon se apne haath rang diye kya ye ooska farz nahi banta ki wo asif ko ooski akeli zindagi mein khushiya lautaa de kya wo mehez ooski madad aur ooske qurbani ke liye oosse wo niqaah kar le yahi prastav ooske mausa ne ooske aage rakha tha lekin fayeda na uthaane ke bawjud asif ne apna watan chodh dene ka faisla behtar samjha tha……sirf aur sirf ooski khaatir syeda ke khaatir…..na jaane ye kaisi kashmakash thi jaha ek taraf ooski pichli mohabbat thi to wohi dusri taraf asif tha jo ooske liye kisi apne se ab badhkar tha….oosi ki badaulat to wo aaj apne ghar par mauzud thi apne maa-baba ke paas hifazat se thi….kya ooski qurbani ko syeda jaaya hone deti lekin ooska dil ab bhi digonto ke liye jo kahi na kahi dhadak raha tha ooska kya?

Soch ki geraft se azaad hote huye syeda ne apne haath mein phone liya aur digonto ko call lagaya….kuch dair ki ringing ke baad hi phone digonto ne uthaya ooski bhari awaz sunkar syeda ne oose jawab diya…..

‘hello?’………….’hello digonto’……………..gambhir chehra liye digonto oos awaz ko pehchaane jaise khush sa hua

‘haan syeda kaho kya baat hai?’……digonto ko oos waqt syeda ke baarein mein soch raha tha oosne jaldi jaldi se sawal kiya

‘thank you ki tumne meri itni madad ki mujhe abba ammi ne sab bataya jo kuch bhi tumhare sath hua tha mujhe andaza nahi tha ki main itni galat niklungi’

‘kya faraq padta hai jo hona tha so ho gya jaane do syeda purani baaton ko yaad karke kya fayeda haalat ne to hum dono ko taqleef di hai kahi na kahi mujhe tumse alag karke aur tumhein tumhari zindagi mein tumhein itna dard deke mujhe to khushi hai ki abba ammi ke chehre pe muskaan laut aayi warna wo kitne tarase they ye to main hi janta hoo’

‘hmmmm’…………..syeda ne aur kuch nahi kaha

Digonto bhi jaise khaamosh ho gaya kehne ko ooske paas jaise aur kuch nahi tha….’digonto?’………………’h..haan syeda sun raha hoo tumhari awaz kaho’……………….’main janti hoo ki jo kuch hua ooska dukh tumhein aaj bhi hai dekho ammi abba ne mujhe sabkuch bata diya hai aur main khush hoo ki tumhein jitna main galat samajhti aayi tum asal mein galat kabhi they hi nahi ye to mera ksii gair pe yakeen karna ho gaya ki main ooski baat mein tumhein beuraib kya kuch nahi bol baithi thi’

‘dekho syeda purani baat ab mat yaad karo jo kuch ho gaya oose bhul jao aur apne kal ke barein mein socho bas main yahi chahta tha ki jo galatfehmi sabke andar mere liye hai khaaskarke tumhare andar mere liye to wo chali jaaye jo ab chali jaa chuki’

‘digonto mujhe tumse maanfi maagni hai’………………..’maine tumhein galat hi kab samjha syeda maanfi mat maagna pls’………………’digonto parivaar waale mere niqaah keb aarein mein soch rahe hai aur main chahti hoo ki main tumhein sabkuch sach sach keh du main janna chahti hoo tumhara kya faisla hai kya tum mujhse ab bhi pyaar karte ho kya mere saath jo kuch hua ooske bawjud tum mujhse niqaah karoge dekho ye kehkar main tumhein hurt nahi karna chahti ki jab saari galatfehmi dur ho gayi tohh main tumhare aage aisa prastav rakh rahi hoo balki ye main apne dil se ye baat keh rahi hoo itne waqt tak tumse dur rehne ke bawjud jaise kahi na kahi main bhul nahi paayi thi tumhein mera allah gawah hai kitumhein galat samajhte huye bhi mere dil ne kahi na kahi tumhein begunaah hi maana tha digonto pls digonto mere sawal ka jawab sach sach dena’

Digonto ekdum chupchaap khaamosh tha ye sab sunne ke baad to jaise wo aasman se gira….oosne socha tha ki shayad syeda ke dil mein ab ooske liye koi jagah na ho lekin wo to jaise is din se naumeed tha ki syeda dobara ooske zindagi mein aayegi aur na oosne socha tha ki aakar hi wo sabkuch jaankar oose izhaar karegi…….digonto ne muskurakar apne aansu ponche………..’sach kahu to main kabhi tumhein bhul nahi sakta syeda chahe tum mujhse kitno bhi dur na chali jao chahe tumhara rishta kahi aur pakka kiya jata tab bhi tumhare bina main kisi aur ka nahi ho sakta tha’

Syeda jaise ro padi thi khushi ke aansu teher nahi paaye they digonto ke munh se ye sunkar……….’I love you syeda I will always you agar mujhse tum niqah ke baarein mein sawal karna chahti ho tohh mera jawab qabool hai sirf tumhare liye syeda sirf tumhare liye’…………….kehte huye digonto ne aur kuch na kaha

‘I love you too digonto I love you….ye jaante huye ki main tumse dur thi kisi aur ke saath thi halanki hamare beech aisa kuch bhi nahi hua tab bhi tum mujhe chahte ho sabkuch jaante huye mujhe apnana chahte ho’

‘hey syeda aisa mat kaho agar koi aag par bhi khada hoke ye baat kehta na tab bhi main oose hi galat manta kyunki mujhe pata hai tum waisi nahi ho chahe tumhare saath jo hua ho mere liye tum hamesha mera pehla pyaar thi aur hamesha wohi rahogi kal main abba ammi se baat karne aaunga tumhara haath maangne oonhein mera faisla suna dena phone rakhta hoo goodnight syeda’

‘goodnight digonto’………kehte huye syeda ne phone cut kar diya…..syeda ke zindagi mein ooski khushi dobara laut aayi thi jiske liye wo harpal tadpi thi tarsi thi…..syeda aansu ponchte huye jaise jaane ko hoti hai tabhi ooske phone pe digonto ka whatsapp aata hai….oon pic messages ko kholne par ek ke baad ek wo dhairo tasveerein syeda ke saamne hoti hai jo tasveere ooski yaad bankar ooske paas phone mein kabhi thi jinhein mortuz ne syeda ke saare saaman passport ke sath jala diya tha wo saari tasveer aaj bhi digonto ne sambhal ke rakhi thi syeda ko yakeen nahi hua……har ek tasveer mein syeda aur digonto ke saath bitaaye pal they ek tasveer mein syeda digonto ke gaal par chum rahi thi wo tasveer dekhkar syeda muskura uthi oosne oon tasveero ko dekhte huye digonto ko thanks likha….digonto ka oosi waqt jawab aaya….’pleasure always been’…………syeda muskurayi oosne phone band kiya hi tha ki tabhi saamne asif ko khada paaya

Asif ko dekhkar jaise syeda ekdum si thithak gayi…..’asif tum soye nahi?’……….’nahi mujhe neend nahi aayi socha chatt par tehel lu mere liye tohh ye jagah naye jaisa hai na haha’………………’tum dekhna asif main tumhein har jagah ghumaaungi’…………….’main khush hoo syeda ki tumhare chehre pe aaj itne waqt baad khushi laut aayi sab kitne khush they tumhare liye ab mujhe aisa lagta hai ki mujhe ab chale jana chahiye mera kaam to ho gaya hai na’

Syeda ye sunkar jaise asif ko ghurrne lagi….’kya matlab kahan jaoge?’……….’kahi aur chala jaunga ab yaha teherkar main kya karunga’……………’asif aisa mat kaho aaj abba ke chehre pe khushi dekhi maine tumhein apna bete ka darza diya oonhone even sablog tumhare shukraguzar hai tumhein apna maante hai tum oonke liye koi gair nahi ho’………………’main manta hoo syeda ab main theek bhi ho chuka hoo mera farz tha ye…ab maine apna vaada pura kiya ab main nahichahta ki tum mujhe roko’

‘nahi asif pls kahi mat jao tumne mere liye itna jokhim uthaya mere liye itna kuch kiya tum mere liye koi gair nahi ho mere apne se ho mere dost ho tum’……………..asif sirf muskurakar apne aansu nazarein churaaye ponch raha tha

‘par syeda’

‘pls mere khaatir main tumse kuch kehna chahti hoo’……………syeda ne jaise asif se jhijhakte huye kaha

‘main janta hoo syeda maine tumhari aur digonto ki baatein puri sun li aur main tumhare faisle se khush hoo ki tum aur digonto dobara ek hone jaa rahe ho aur isse badi khushi mere liye kya ho sakti hai ? main to hamesha se tumhare khoye huye chehre pe muskaan dekhna chahta tha tumne sabkuch kho diya tha aur ab wo sabkuch tumhare paas lautkar aa gaya hai tumhara parivar tumhara pyaar’……………syeda chupchap khaamosh asif ki taraf dekh rahi thi  pehle to oose samajh na ayaa tha ki asif ko sab malum chal chuka hai lekin ooske byaan dene pe oosne fhir muskurakar asif ki taraf dekha

‘ye saari khushiya sirf tumhari badaulat mujhe mili hai asif haan asif kya koi gair kisi gair ke liye itna kuch kar sakta hai….wo bhi bina kisi fayede ke liye aur toh aur tumhare dil mein kabhi bhi mere liye koi galat baat nahi thi aur tumhare saath bitaye har lamhe mein mujhe bas aisa laga ki main kisi apne ke panaah mein thi….ab hum gair nahi rahe asif tum mere sabse acche dost ho aur hamesha rahoge’

Asif sirf muskuraya ooski aankhe aansu se bheeg chuki thi…….asif bina kuch kahein waha se jaane laga oosne mudkar dekhna na chaha warna shayad syeda ooske zazbat ko samajh jaati ki wo sabkuch sunne ke baad ooske liye khush toh tha par apne khaatir dukhi…..kyunki asif ko ahesaas ho chuka tha ki wo syeda se mohabbat kar baitha tha lekin is baat se syeda anjaan thi shayad isliye ki ooske dil mein harpal digonto hi tha oosne kabhi asif ke feelings ko samjha nahi…..aur asif ye jaante huye ooske zindagi se chala jana chahta tha taaki kahi apne pyaar ke izhar mein wo kahi oose digonto se alag na kar baithe…kahi syeda zazbat mein aakar asif se hi niqaah karne ka faisla na kar le halanki asif janta tha ki ooske dil mein asif ke liye ahemiyad thi lekin ab ek apne kisi gehre dost jaisi….

Jab asif apne kamre mein lauta to dukh aankho mein aansu bankar ab bhi ghul raha tha….ek taraf wo khush tha to dusri taraf dukh syeda ke saath bitaaye wo pal yaad kar raha tha jabse wo oose mili thi….socha nahi tha oosne ki wo oose dil laga baithega pehli baar ooske kattar bedard dil mein ksii ke liye pyaar ho jayega…sabse badi baat thi ki oose sabne apnaya tha khaaskar syeda ne oose apna dost kaha tha…..jaante huye ki wo ek qaatil tha muzrim tha gunda tha ooski zindagi syeda ke zindagi aur hasiyat dono se alag thi….syeda kisi aur ki hone wali hai ye sochke wo syeda ke liye to khush tha lekin apne liye wo wohi dukhi ki ek baar fhir wo apni raah mein akela reh gya tha…

To be continued…..

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #24 on: January 19, 2019, 12:03:26 PM »
Raat dhal rahi thi……wohi ek taraf syeda aansu ponchte huye apni aur digonto ki un tasveero ko dekh rahi thi aur oon haseen beete lamhe ko yaad kar rahi thi…..jaha dusri or asif akele mein andhere mein ghuntta hua chair pe baitha table light ki roshni ki taraf dekh raha tha…..ooski andheri bhari zindagi mein syeda kuch waisi hi roshni bankar aayi thi….lekin kismat ka fhair dekho ki ek baar fhir oosne asif ke zindagi mein pyaar ko oosse alag kar diya…..kaash syeda ooske feelings ko samajh paati kaash wo bhi oosse mohabbat karne lag jati lekin tabhi asif ne apne dimaag ko jaise jhinjhoda ye wo kya soch raha tha? sabkuch jaante huye ki syeda aur ooski mulaqat mehez ek ittefaq thi ooska insaniyat ke naate hi oosne apne kandho pe zimma uthaya tha…..aur aajtak oosne kabhi kisi ladki se dil nahi lagaya to aaj kaise wo apne insaniyat ke oos zimmedari ko mohabbat ka naam dene laga…….syeda oos jaise muzrim aur gunde ko kyu chah baithegi sirf isliye ki oosne ooske liye itna kuch kiya apni jaan jokhim mein daali apne dushman bhai se larrte huye oose hifazat se ek mulk se dusre mulk laaya sirf isliye….

‘asiff ye tu kya sochne laga ? teri zindagi aur haisiyat dono hi oosse juda hai madad karna tera farz tha jo tune apna vaada nibhate huye pura kiya ab syeda ke zindagi mein teri ahemiyad sirf ooske dost ki haisiyat ki bankar reh gayi hai aur tujhe to khush hona chahiye tu hi to syeda ke liye harpal ooski khushi ka dua karta tha usne zindagi mein sirf aur sirf apna dil digonto ko lagaya…..oosse juda hone ke baad wo tut chuki thi oosne tarique mein bhi yahi dhundha tha jo bemaut maara gaya…..to fhir tujhmein aisa kya tha jo syeda digonto ko bhulkar tujhe hi chah baithti……arre tu tohh wo bedard shaks jaisa oose lagta tha jo koi nahi tera apna bhai tha aaj tune ooske liye itna kuch kiya wo bhi insaniyat ke lehze se to tujhe laga ki syeda ko tu apna bana sakta hai arre agar fayeda uthata ooska to tu bhi apne bhai jaisa kehlata jo oose harpal haasil karne ke liye betaab tha fhir tujhmein aur tere bhai mein faraq kya reh jata bata jawab de apne zameer ko’……………..asif ke mann mein tufaan chal raha tha ooska zameer oose jaise ooske dil lagane se jaise oose kos raha tha

‘sahi bilkul sahi keh raha hai mera mann mujhe is baat ka dukh nahi hona chahiye….ab to sabkuch theek ho chuka syeda aur digonto aaj ek hone waale hai to kyu mera mann is baat se dukhi ho raha hai main kaise oose chah sakta hoo jo already kisi aur ki thi shruuwat se syeda ke dil mein sirf aur sirf digonto ke liye hi feelings thi bhala oosmein main kahan se bas sakta hoo jo bhi ho main un dono ke niqaah se pehle hi yaha se chala jaunga bahut dur taaki oonhein ek hota dekhkar mere dil ko aur dard na pahuche’…………..kehte kehte jaise asif teher gaya wo apne seene ko sehlaate huye uth khada hua

Charo taraf andhera aur khaamoshi tha….asif bistar par aakar laitne laga….oosne ye thaan liya tha ki ab jo bhi ho oose syeda ke zindagi se chale jana tha….lekin na jaane kyu baar baar syeda ki kashish oose kheech si rahi thi…..asif oos raat soya nahi…..oosne uthkar paas pade notepad ko uthaya aur oosmein se ek kaagaz phaadhte huye pen se apne haal-e-dil ko likhne laga……aaj itne arso baad wo pehli baar apne mann ki baat diary mein likh raha tha….ooska bedard dil is qadar kamzor aur mohabbat mein pighal jaayega oosne socha nahi tha….likhte waqt bhi wo bas syeda ke saath bitaaye oon palo ko yaad kar raha tha…..jab oosne pure kaagaz par lekh ki syaahi bhar di….tab jaakar wo kuch halka mehsus karne laga..

Usne wo kaagaz notepad mein hi dabate huye ek jagah rakh diya…..ye sochkar ki shayad jab wo yaha se chala jaaye to shayad syeda oose padhkar kam se kam ooske dil ke haalat ko samajh le halanki isse ooska asif ke prati kya nazariya rahega ye wo bhi nahi janta tha lekin jab ye ooske haatho mein hoga tabtak asif ooske zindagi se bahut dur jaa chuka hoga…….sochte huye asif apne bistar par aa lait gaya….uski aankhen kab band huyi thi? iska oose bhi koi andaza nahi tha….

Agle din syeda ke ghar mein digonto apne maa-baba ke saath pahucha tha……beti ke faisle ko sunkar syeda ke abba behad khush they…aur aise mein do parivar ke beete gile shikwe bhi dur hone waale they….jo daraar jo kadwahat galatfehmi se oonke beech tafarqa banke huyi thi wo ab tut chuki thi….

Hasi khushi ka jaise mahoul tha……..digonto ke abba syeda ke abba se hass hasskar baat kar rahe they…..syeda jab apni maa aur behan ke saath living hall mein aayi to apne abba aur ammi ke beech baitha digonto oose ektak bas dekhta reh gaya…syeda ki bhi jhuki nazar ekpal ko ooske taraf huyi aisa lag raha tha jaise wo beeta haseen pal un dono ka dohra sa raha tha...

Digonto ke abba ne uthkar syeda ke sar pe haathrakhkar oose dua diya…..ooski salamati ka jaise allah se shukraada kiya digonto ki ammi bhi syeda ko dua dene lagi…oose apne paas digonto ke saath bithate huye oosse baat karne lag jati hai…..’main to syeda ke faisle se bahut khush hoo bhaijaan ab bas niqaah ki tariq aappar hai main nahi chahta ki baccho ko aur zyada intejar karaye ye to allah ka fazal hai ki ek tutte do rishto ko oonhone dobara jod diya’

‘main bhi aapki baaton se bilkul sehmat hoo ahmed sahab aapka beta digonto laakho mein ek hai humari samajhne mein oose bhul huyi thi ab gile shikwe bhul jaiye aur ab aane wale rishte ke baarein mein hi sochiye hahaha’…………………..parivar ka har koi hass pada…..asif ek kone mein chupchaap khada is hassi khushi mahoul mein khaamosh tha........aaj oonke chehre pe khushi sirf aur sirf ooski wajah se thi ye baat ooska zameer baar baar oose keh raha tha….

‘dekhiye humhe koi jaldbaazi nahi hai syeda ko aaye aap logo ke paas waqt bhi kitna hua hai aap log hi soch samajhkar tariq ka faisla kijiye’……………is baar digonto ki ammi ne syeda ke parivaar ki taraf dekhte huye kaha…

‘main sochta hoo aanewali 10 tariq ko humhe in dono ka niqaah muqarar kar dena chahiye main aaj hi hamare qazi sahab se bhi mulaqat kar aaunga’…………….ye sunkar jaise digonto aur syeda ke chehre pe khilkhilakar sharmahat aur muskurahat dono aa gayi thi….parivar ka har koi is faisle se ekdusre se gale mila…..chori chori nigaho se ekdusre ko digonto aur syeda dekh rahe they….

Asif apne mein jaise khaamosh hote huye muskura raha tha….khush tha syeda ke liye…..’arre aap logo se maine asif ko to milwaya nahi arre asif beta idhar aao’…………asif ko syeda ke abba ne jaise pukaarte huye bulaaya…….asif muskurakar do parivar ke beech aakar khada hua

‘ye ladka hi wo farishta hai jisne meri beti ko puri izzat aur shiddat se hifazat karte huye apni panaah mein is mulk mein laaya’……………asif mann hi mann jaise digonto ke family ko dekhkar jhijhak raha tha kyunki kahan wo bade log aur kahan oonke beech wohh?

Digonto ki ammi aur abba khush hokar oose dekhte huye ooski tariff kar rahe they……’salawalekum kaka salawalekum kaki’………….kehte huye asif ne un dono ko salaam kiya……..digonto muskuakar asif ko dekh raha tha syeda bhi muskura rahi thi….

‘waaqayi beta humhe digonto ne sabkuch bataya tha dua karenge ki tumhein tumhara jaayez moqaam mile’

‘shukriya’…………..asif bas muskuraye khaamosh ho gaya syeda ke abba ne asif ko oonse milawakar fhir niqaah ki baatein shuru kar di….asif ne palatkar ek baar syeda ko dekha jo oose khushi nazaro se dekhte huye muskura rahi thi…..asif waha aur tehra nahi apne kamre ki taraf badh gaya….

x------------------------------------------------x-----------------------------------------x------------------------

Shaam dhal raha tha….asif khaamosh chupchaap chatt par khada gambhir soch mein duba tha….ki kab wo yaha se nikal jaaye….halanki syeda ke abba ne oose jaane ki ijajat to di nahi thi…….lekin asif ka mann ab aur waha rehkar khud ko syeda se dur hone ka nahi dekh paa raha tha….ab to niqaah ki tariq bhi fix ho chuki thi…..gambhir soch mein duba asif isi kashmakash mein duba tha ki itne mein syeda ooske kandhe pe piche se haath rakhti hai….asif hadbadakar syeda ko apne piche paata hai


‘arre syeda tum?’……………’kya hua tum soch mein dube se they?’…………’kuch nahi bas aise hi’………………..’jaante ho asif aaj main bahut khush hoo aaj main aur digonto hamara niqaah tayy ho chuka ye sabkuch tumhari wajah se hua hai asif thanks’………………..’isne mera shukriyada karna kaisa syeda? Jo allah ne tumhari kismat mein likh rakha tha wo to hona hi tha’…………….syeda sirf muskurayi

‘accha waise tum kya soch rahe they? batao batao na’……………..kya kehta wo oose ki ooske dil mein tohh syeda se dur hone ka dukh ho raha tha kya kehta ki wo oosse dil laga baitha tha?..............asif ne jhooti muskurahat dete huye bas itna kaha………….’khush hoo tumhare liye ki digonto aur tumhare darmiyan ab bas kuch hi din baqi hai hahaha’…………………syeda Sharma gayi oose sharmata dekh asif fhir gambhir sa ho gaya

‘waise ab kya karoge tum asif main tumhare liye soch rahi thi tumne wo apni zindagi chodh di aur yaha mujhe leke aa gaye apna vaada bhi pura kar diya to kya ab apni zindagi ko naye sirhe se shuru nahi karoge dekho asif main chahti hoo ki tum ab acchi zindagi jiyo waada karo mujhse ki ab tum dobara oos bedard zindagi ko nahi apnaoge jisne tumhein til til taqleef di hai maine is baat ko tumhare saath rehkar samjha hai ki tumne kaisi zindagi jee hai aajtak maine sirf khushiya dekhi thi kabhi dukh aur dard nahi saha tha kisi ko khone ka ahesas nahi tha mujhe ab main yahi chahti hoo ki tum yahi stable ho jao’

‘hahaha’………asif halka sa hasaa……’stable yaha par mera kya hai syeda na mera oos desh mein kuch raha aur na yaha meri zindagi pe jo daag lagna tha wo lag chuka….kalam ke baad in haatho ne sirf banduk ko thaama tha syeda lekin main vada karta hoo ab main kabhi bhi oos raaste pe dobara nahi jaunga tumhara dil nahi todunga I promise’…………..syeda muskurakar khush huyi

‘main bhi yahi chahti hoo ki tum apni zindagi ko positively se lo tumhein dobara waapis main nahi jaane dena chahti tumne bahut kuch gawaya hai asif aur oosmein kahi zimmedar main hoo tumne mere liye khoon bahaya hai tum agar waapis gaye to na jaane tumhare sath kya ho jaaye mujhe tumhari fikar hai asif pls tum apni nayi sirhe se zindagi yaha shuru karo’

Asif ne koi jawab nahi diya…….syeda ke baad ooski zindagi kaun se naye sirhe se wo shuru kar sakta tha..ab to ooski zindagi mein kuch baaqi hi nahi raha tha….oosne muskurakar haan mein sar hilaa diya…….syeda ooske gale lag gayi…oose apne gale lagte waqt jaise asif apne oosi pal ko ahesas karne laga jab wo syeda ke kareeb hua tha….oosne apne aansu syeda ke dekhne se pehle aankho se ponch liye aur ooske gale se alag hota hua ooske baazu pe haath rakhkar ooske liye khushi zaahir karne laga

‘accha main chahti hoo ki tum mere kal ghumne chalo aur haan main chahti hoo ki tum apne aapko badlo ab tumhari zindagi bhi badal chuki hai asif’……….syeda khushi khushi oose apne sang le chalne ki baat keh rahi thi lekin asif dilchaspi mein nahi tha par syeda ka dil rakhne ke liye ooska vada nibhane ke liye oosne fhir haami bharte huye muskura diya……achanak digonto ko call syeda ka phone pe aaya to asif muskurakar khud hi waha se waapis niche utarne laga

‘tum dono baatein karo main nahi chahta ki main kabab mein haddi banu hahahaa’……….syeda bhi hass padi aur fhir digonto se baat karne lagi…..asif waha ek pal bhi na tehra kya sunta do pyaar karne waalo ki baatein ooske to jaise dil pe kodhe baras rahe they…..apne behte aansuyo ke saath wo niche utarkar apne kamre mein aaya

Oos raat wo khub roya wo nahi chahta tha ki ooske zazbat se syeda ko dukh pahuche….apne is ektarfa mohabbat ka jaise oose gam tha…agle din asif subah subah jaldi uth gaya tha…..syeda ka vaada oose nibhana tha ye ooske liye ooski zindagi ka koi naya savera sa tha…apne beete kal ko bhulakar oose aaj mein jeena tha….syeda ke chehre pe oose apni taraf se koi shaq nahi dena tha…..syeda ki baaton ko yaad karte huye oosne khud ko aayene ki taraf dekha aur apne baalon pe aur apni dhaadhi pe ooski nigah pehle uthi khud ko badalne se syeda ka matlab tha ooska rehan sehan aajtak wo kisi gunde ki tarah apni zindagi awara sa bitate huye aaya tha…aaj wo syeda ke parivar mein shaamil tha jaha har taraf sharif aur bade log they…..wo nahi chahta tha ki ooski wajah se syeda ko sharmindagi si mehsus ho….oosi din wo pehle saloon gaya waha oosne apne lambe ghunghrele baalon ko ekdum chota karwa liya wohi oosne apne chehre pe bani oos ghani dhaadhi ko bhi saaf karwa liya….jab oosne aayene mein khud ko dekha to wo ek alag asif tha….oosne kuch acche kapde dukaan se kharide oon kapdo ko pehnkar wo yakeenan wo asif lag raha tha jo asif kabhi padha likha college student hoya karta tha ekdum salihatdar formal person……..

Syeda apne behan aur bhai aur saheliyo ke saath ek juthokar shopping ke liye nikalne ko thi….tabhi oose asif ka khyaal hua…….lekin ooske bulaane se pehle hi asif jab sidiyo se utarta hua ooske paas pahucha to har koi jaise oose dekhta reh gaya syeda ektak oose ghurrte huye oose upar se niche dekhte huye bahut impress huyi…..asif muskurakar sabse abhivadan karte huye hairan syeda ki taraf dekhta hai……ooski saheliya bhi jaise syeda ki taang kheechne lagi……’wow asif tum to aaj digonto se bhi zyada handsome lag rahe ho hahaha’……………’aisa kuch nahi hai miss’……………asif bas muskurakar hassa…….sab gaadi mein sawaar hote huye shopping market ki taraf rawangi dete hai

‘kya hua syeda koi baat hai kya?’………………’jacch rahe ho u really looking changed asif mujhe to lagta hai meri saheliya tumpar flat ho gayi hahaha waaqayi asif aaj tum bahut handsome lag rahe ho tumhara ye badla roop maine pehle kabhi nahi dekha tha’………………’thanks syeda jab dil mein chahat hi nahi thi to main khud mein kaise badlav karta ye sabkuch to tumhari wajah se hua hai I should thankful to you ’……………syeda ne muskurakar asif ki or dekha aur asif ne ooski or

Ye pehli dafa tha ki syeda ke sath asif akela nahi tha….ooske saath ooski saheliya thi aur ooske bhai behan bhi they….asif khud ko oonke beech akela akela sa mehsus kar raha tha….fhir bhi syeda ka dil rakhne ke liye wo ooske saath tha….syeda ne kuch dresses pasand ki jise try karte huye wo bahar aayi to asif ek pal ko jaise oose dekhta reh gaya….saheliyo ne kayi dresses pasand kiye par jo rang asif ne pasand kiya tha wo syeda ne bina waqt zaaya kiye le liya  tha….ye dekhkar asif ko khushi si huyi.....fhir wo waqt bhi aaya jab syeda dulhan ke dresses ko pasand karne lagi thi……aaj pehli baar asif ne syeda ke chehre pe itni khushi dekhi thi wo chupchaap khada tha….aakhir mein syeda ne bahut hi keemati aur mehengi waali dulhan ki wo dress pasand ki…..oos waqt asif khaamoshi se chupchap khada soch mein duba sa tha



Logged
asif biswas
Guest
«Reply #25 on: January 19, 2019, 12:06:01 PM »
Kharidari ke baad jab wo mall se bahar nikle to syeda ne akele chal rahe asif ko toka…..’kya hua tum bore to nahi ho gaye na? aur tumne apne pasand ka koi kapda nahi liya koi kapda pasand nhi aaya mujhse kaha hota’……………..’arre nahi nahi syeda aisi baat nahi hai wo bas main pehli dafa tumhare dosto ke saath aaya hoo na to anyway rahi baat kapdo ki to maine already kharid liye they mujhe zyada kapde lene ka shouk nahi aur hum to tumhare liye aaye hai na’…………………’hmmm waise jo dress maine li wo tumhein pasand aayi’……………..’haan bilkul bahut acchi dress hai’……………..’sorry hum ghumne kahi nahi jaa paaye’………….’arre ghum to rahe hai aur waise bhi abhi tumhein apne niqaah ki tayyari karni chahiye’……………’shaadi ke baad to digonto bhi mere saath hoga lekin tumse maine vaada kiya hai ghumaungi to tumhein zarur...accha tumne socha kuch aage ke liye’…………………asif ne koi jawab nahi diya

‘filhal to nahi par jald hi kuch sochunga’………syeda ne muskurakar asif ki or dekha achanak syeda ki saheliya oose pukaarne lagi wo log kaafi aage they……..syeda aur asif oonke sang fhir chalte huye ek restaurant pahuche asif ne khaane ka mann nahi banaya lekin syeda ke insist karne pe wo khaane laga…..mann hi mann mein wo syeda ko sabke saath haste khelte dekh raha tha…..ooske zehan mein to bas yahi tha zyada se zyada syeda ke nazdeek rehna kyunki kal na chahte huye bhi oose syeda ke zindagi se dur chale janaa tha…..na jaane syeda is baat se naaraz hogi ki khush….

Asif syeda ke gharwalo se jaise ghul mil gaya tha oose khaas mehman se badhkar ek apno jaisa ahemiyad diya jaa raha tha dining table pe sabke saath hassi mazaak karte huye wo oonke sath apno jaisa pesha raha tha……baaton hi baaton mein syeda ke abba ne jab asif ke maa-baap ke baarein mein pucha to asif ne yahi kaha ki wo akela tha….syeda ne ooska abba ammi ko jaise bataya…..asif chupchaap khaamosh ho gaya…..parivar ke liye wo har kaam mein oonki madad karne laga…..syeda ka niqaah pakka ho chuka tha….jiske chalte ghar ka har sadasya niqaah ke intejamat mein mashgool tha…

niqaah ke pehle asif nikal nahi sakta tha….aise mein ooska yun chale jana shayad syeda ko bura lage is chalte wo niqaah tak ruka hua tha nahi janta aage kahan jaayega kis raaste akele apni zindagi basar karega bas beraah sa hone wala tha wohh……bas ek baat ki shukraguzari thi ki syeda ne oose oos daldal bhare gunaahgar zindagi se nijaat di thi…..aaj oosi ke chalte oosne zindagi ko jeena sikha tha….apni kashmakash mein chupchaap baitha hi tha ki itne mein ek anchahe shaks ke awaz ne oose chauka diya…oosne piche palatkar dekha to paaya ki digonto khada tha….digonto ooske paas aakar muskurake oose haath milata hai…..asif oose apne saamne waale kursi pe baithne ko kehta hai…..

‘aur asif kaise ho?’………digonto ne apne chashme ko hatate huye muskurakar pucha

‘theek hoo bhai tum sunao waise tumse dobara mulaqat nahi ho payi I am very thankful to you ki tum sahi waqt pe madad ke liye pahuch aaye warna shayad goli lagne ke baad to main zakhmi hi ho gaya tha’

‘syeda ki madad karna mera farz tha aur tum toh oosi ke madadgar they bhala tumhari help nahi karta to kiski karta?’………….asif ne gambhir hokar fhir muskuraya

‘anyway kab tak yaha ho?’…………’bas tumhare aur syeda ke niqaah ke din tak mujhe waise syeda ke abba jaane to nahi dena chah rahe they isliye mujhe rukna pada’……………..’hmmm aage ke liye kya socha tumne asif?’………………’kuch nahi jaha manzil le jaayegi wohi chala jaunga waapis watan to jaa nahi sakta syeda ne to tumhein sabkuch bataya hi hoga mere baarein mein’……………….digonto ne sirf haan mein sar hilaaya

Kuch dair chup rehne ke baad asif hi bol pada ‘waise khush hoo tumhare liye aur syeda ke liye ki tum dono dobara ek ho gaye oosne bahut kuch saha hai digonto mujhse jab wo mili thi to oosmein jaise jeene ki umeed hi nahi thi ooska kabhi saath mat chodhna’

‘galti meri thi jo main oose do raah mein chodhke chala gaya…….haalat ne mujhse zyada oose dard diya hai waise shukriya tumhara karunga yaar agar tum oose hifazat se yaha nahi laate to na main aaj ooske paas dobara hota aur naa hi ooske parivar waalo ke paas wo hoti hum kabhi ek nahi ho paate’

‘ismein shukriya kaisa ye to mera zimma tha mera vaada tha syeda se ki ooski khoyi khushiya oose lauta dunga’

‘khuda kasam agar wo badzaat bedard insaan jiska naam mortuz hai mujhe mil jaaye to main ooska qatal kar dalu itni intehai ki had kaun paar kar sakta hai waise maine suna tha ki wo tumhara kabhi bhai tha’

‘purani baaton ko kurdene ka koi fayeda nahi digonto wo mera kattar dushman hai syeda oosi ke khauff se mujhe dobara apne watan jaane nahi dena chahti aur wo janti hai ki maine ooske khaatir bahut khatra mol liya tha’

‘khair waise I think you should look forward to your future waise syeda ne bataya ki tum graduate they? Padhe likhe ho’

‘haan lagta hai syeda ne sabkuch mere baarein mein tumhein bata diya’

‘tumhare baarein mein wo harpal mujhe batati rehti hai kehti hai ki tum nahi hote to wo zinda bhi nahi hoti waaqayi daad deni padegi tumhari ki itna jokhim koi kisi gair ke liye kaise utha sakta tha?’

‘syeda gair nahi hai digonto oosne mujhe nayi zindagi hai aur agar gair hoti to main yaha teherta bhi nahi oosne mujhe apna dost maana hai aur jitna tum syeda ke liye fikar karte ho na utna main bhi karta hoon mujhe khushi hai ki ooski zindagi badal gayi’

‘tum bura mat manna bhai agar maine kuch jaane anjaane mein keh diya ho waise sach kahu to tum waaqayi bahut naik insaan ho main to yahi chahunga ki Dhaka mein rehkar koi job pakad lo tumhare paas certificates to honge na ho sakta hai yaha tumhara koi jugaad lag jaye aur tumhein waapis jana na pade’

‘bhai mere liye itna socha bahut hai tumhein maanfi maagne ki zarurat nahi main dekhta hoo ki main kya kar sakta hoo ab to na jaane kaise apni zindagi is akele saaye mein guzaarunga hahaha chalta hun’………..kehte huye asif waha se chala gaya ooski gol gol baaton mein jaise digonto ko kuch azib laga lekin wo shaq nahi kar sakta tha kyunki syeda ne digonto ka rishta qabul kiya

Udhar asif ko khushi thi ki digonto ne janne ke bawjud ki syeda ooske panaah mein itne dino tak thi oospe ratti bhar oosne shaq nahi kiya aur oose waapis apna liya tha….lekin ghuntta akelepan mein duba asif bas syeda se dur hone ke baarein mein soch raha tha….

To be continued
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #26 on: January 20, 2019, 01:15:02 PM »
Us raat asif apne phone par oon tasveero ko dekh raha tha jismein digonto aur syeda saath they….ye tasveere asif ko bhule bhangte hi shayad internet pe mauzud kahi mila tha….ye tasveerein kuch 2-3 saal purani thi……internet pe asif ko anginat syeda ki purani tasveerein mili jinpe wo nihayat khubsurat thi shayad apne kam kamsin umar se hi wo itni dilkash thi ki kisi ko bhi apna deewana bana de….ooske isi chehre ke noor ne asif ko apni taraf kheecha tha……kya ittefaq tha ki jis ladki ki tasveer ko dekhkar log oose churate they ooske baarein mein malumat karte rehte they….wohi ladki ooske zindagi mein ek anjaan shaks bankar aa gayi kaash na wo ooske zindagi mein aati aur naa hi asif oose apna dil de baithta….lekin ab kehne ka kya fayeda ab to chahkar bhi wo apne dimaag se syeda ko nikaal nahi sakta tha…..ab to bas oose syeda se dur hona tha kyunki ab to ooski bhi zindagi digonto ke naam hamesha ke liye hone wali thi aur kisi aur ki shariq-e-hayat ko wo apni to nahi bana sakta tha….

Wo din bhi aa gaya jab syeda aur digonto ka niqaah hone wala tha….parivar ka har koi tayyariyo mein laga hua tha…..niqaah kisi bade hall mein rakhi gayi thi….jaha dono parivar ke log shaamil hone waale they……asif us din isi taal mein tha ki wo sabke nazaro se bachte huye ghar se nikal jayega lekin syeda ke abba ne ooske khaas mehman ke ahemiyad se oose koi zimma nahi saunpa tha par fhir bhi asif ne pura saath diya tha…..parivar ke log gaadi mein baithkar hall jaane ke liye rawana hone wale they….

Syeda apne kamre mein ooski saheliyo aur maa aur behano ke saath waha dulhan ke roop mein tayyar ho rahi thi…..bahut khush thi wohh bahut muskura rahi thi aaj ooske zindagi ka jaise ye ek aehem din tha….asif ne ooske kamre ke darwaje ke aad mein jab oose andar jhaankte huye dekha to ooske khushi bhare oos chehere ko dekh apne zazbat pe kaabu karne laga……accha hi tha ki ooski khoyi huyi khushiya waapis lautne waali thi….oose anjaan hi rakhna sahi tha warna kya maalum asif ke dil ke haal ko agar wo jaani to kya maalum ooska asif ke prati kaisa ravayya rahega kya pata wo asif ke zazbato ko samajhe aur dukh kare ya fhir kahi wo hadbadahat mein digonto ka saath chodhkar ooske ahesaan tale dabe ye faisla na le le ki oose asif se hi niqaah kar lena chahiye isse asif ko to syeda mil jati lekin kya wo ooske saath zindagi bhar khush rehti kyunki ooski zindagi to digonto se judi thi wo ooska pehla pyaar tha jise wo abtak bhuli nahi thi….aaj oon dono ki zindagi ka jaise aehem din tha aur aise din mein asif ke zazbat agar oonke saamne aa gaye to kya maalum oonpar kya beete?

Asif apne kamre mein aakar tayyar zarur hua tha lekin niqaah jaane mein nahi balki waha se hamesha hamesha ke liye syeda ke zindagi se dur ho jane ke liye…..kaala coat andar white black aur aankho mein glass frame chashma waaqayi aaj lag nahi raha tha ki wo wohi purana nirday bedard muzrim asif tha…..aaj syeda hamesha hamesha ke liye is ghar se nikalkar digonto ke parivar mein shaamil hone waali thi…..digonto ki biwi banne ja rahi thi….yahi bas sochta raha asif aur apne kamre mein waise hi baitha raha…..achanak asif aankhe ponchte huye jaane se pehle sabki nazaro se bachte huye ghar se nikalne wala tha lekin oosse pehle wo ek aakhri dafa syeda ko dekh lena chahta tha….

Jab wo bahar aaya to niche khaas mehmaan they…..syeda ke abba aur ammi bhi wohi mauzud they…achanak darwaja khula aur saamne se syeda apne kamre se dulhan ke oos libaas mein niche utarti huyi aayi oos jaisi behad khubsurat gehno mein saji kisi pari jaisi lag rahi thi….har koi oose dekh waah kiye bina reh na saka….wo nazarein jhukaaye sidiyo se utarte huye niche jaa rahi thi asif aankh bharkar jaise oose dekh raha tha….oose dulhan ke roop mein oosne jab dekha to ooska dil jaise oospar nihaal sa ho gaya….apne aankho mein aansu ghulte dekh asif ne apni nazaro ko poncha aur waapis apne kamre mein aakar bistar par baith gaya…..kuch hi dair mein un sabko haal se nikal jaana tha…aur oonke nazaro se bachte huye asif ko ghar chodhkar chale jana tha…..nahi janta tha ki aage kya karega lekin ab oosse yaha rehkar aur savr nahi ho sakta tha….wo syeda ko digonto se judte huye nahi dekh sakta tha….kaise keh paata oose apne dil ka haal?

Asif tatkal utha aur oosne apne bistar ke paas rakhke bag ko ek baar check kiya…..usne khidhki kholi aur ek baar charo taraf ki or nazar fhaira…….apne bag ko apne kandhe mein fasaate huye jaise wo khidhki se sidha niche lawn mein kuda…..khidki aur lawn ka faasla kareeban 1 manjil tha…warna oose kudne mein dikkat ho sakti thi..sabki nazaro se jaise taise bachte huye wo piche ke darwaje se bahar nikal gaya…..ek baar oosne palatkar syeda ke saje ghar ki or dekha aankho mein aansu liye waapis sadak ki taraf dekhte huye wo chal pada ye kehkar ‘alvida syeda tumhein tumhari zindagi Mubarak ab main chahkar bhi tumhari zindagi mein dobara nahi lautunga tumne mujhe sirf dost mana tha lekin main tumhein kuch aur manne laga tha I am sorry syeda ki main tumhein akela chodhkar jaa raha hoo par ab tumhari khushiya tumhara sabkuch digonto hai aur tumhare beete oon zakhmo ka ek hissa main jo ab tumse dur hoke jaa raha hoo syeda’

Apne aansu ponchte huye gambhir chehra liye paidal hi jaise asif syeda ke ghar se dur chala jata gaya……udhar syeda dulhan bankar jab apne abba ke paas aayi to wo ooske sar pe haath rakhkar oose dua dene lage….’ya allah kitni haseen lag rahi hai beti bas tere jaane ka dukh rahega’………………….’baba main aapse dur hi kab jaungi waapis aa jaungi aap logo ke paas jitna dur rehna tha reh liya ab aur nahi ab aur nahi’…………..kehte huye jaise syeda apne abba ke gale lagke rone lagi……syeda ki ammi bhi ro padi thi oosne beti aur apne shouhar ko samjhaya...

‘chaliye ab waqt ho raha hai humhe waha jaldi pahuchna hai digonto ke parivarwaale waha aate hi honge’

‘haan tum theek keh rahi ho chalo beta chaliye sab’…………kehte huye syeda ka pura parivaar ghar se bahar nikalne ko hua

Achanak syeda ko jaise asif ka ahesas hua oosne piche palatkar dekha………..’abba ammi asif kahan hai wo kahan reh gaya?’……………..syeda ke abba aur ammi bhi maathe pe shikhar liye oose hi khojne lage

‘arre oose to yahi hona chahiye wo kya akele hall to nahi jaa sakta kahan gaya wohh arre asif beta asiff?’………..syeda ke abba ki awaz dene ke bawjud asif jab sidiyo se niche na utara to wo log kashmakash ke ghere mein pad gaye

‘abba ammi ek minute’…………ye kehte huye apne lehenge ko dono haatho se thaamkar syeda sidiyo se upar chadhte huye asif ke kamre mein pahuchi…….darwaja khula tha

Syeda ko kuch samajh nahi aa raha tha…..jab wo andar daakhil huyi to oosne paaya ki waha pe kahi bhi asif ka koi saaman nahi tha……ekdum hairat aur pareshan hoti huyi syeda asif ko bathroom mein bhi jaake ek baar dhundhti hai par bathroom bhi khaali pada tha……yaani asif jaa chuka tha syeda ko samajh aaya wo bhauklayi hadbadayi pareshan si huyi…….


‘kyu kiya tumne aisa asif kahan chale gaye tum tum akele kaise kahi jaa sakte ho mujhe chodhkar kahan??’……………..achanak syeda bhauklayi hadbadayi jab darwaje se bahar jaane ko huyi to achanak khuli khidhki ki hawa se ek kaagaz ko band kitab ke beech mein syeda ne phadhphadhate huye sa dekha…..

Syeda ek ek kadam paas aayi apne bhar haath chudi aur mehendi lage haath se jab oosne oos kaagaz ko uthaakar oose padhna shuru kiya to jaise ooske maathe ki shikar hairat aur zyada pareshani mein tabdil hoti nazar aayi ab oose samajh aane laga tha ki kya wajah thi asif ka yun niqah ke hi din ghar chodhkar chale jaane ka?....oos kaagaz mein asif ne kuch aisi baat likhi thi

‘main janta hoo syeda ki aaj tumhara niqaah hone wala hai main to khush hoo ki tumhein tumhari zindagi ki khoyi khushiya waapis mil chuki…..tumhara parivar jisse tum bichadhi aur oosse bhi badhkar tumhari khoyi mohabbat jo tumse dur ho gayi thi main manta hoo ki digonto tumhara kal tha aur aaj bhi bas main tumhari zindagi ke beech aa gaya tha…..meri kya haisiyat ki main tumse apne pyaar ka izhar kar baithta maine jo jo waqt tumhare saath bitaaye hai wo pal main kabhi nahi bhul sakta tumse dur hone ka dukh to rahega lekin apne naadan dil ko kaise samjhaau tumhara shukriya karunga syeda ki tumhari wajah se aaj meri zindagi itni badali main ek gunaah ke raaste se nikalkar aam zindagi jeer aha hoo sirf tumhari badaualat agar oos raat tum mujhe na milati main nahi chahta ki meri khaatir tum apna pyaar qurbaan kar do ye khat jab tumhein agar milega to afsos mat karna ki tumhein mere saath hona chahiye tha mere saath tumhara koi future nahi tha isliye main tumhare zindagi se hamesha hamesha ke liye dur jaa raha hoo aur ab tumhare paas rehkar bhi main kya karunga tumhara parivar bahut accha hai syeda jinhone mujhe apno ki yaad si dilaai….main na tumhare haisiyat ka tha aur naa tumhare kaabil…..mujhe nahi malum ki main tumhein kaise chah baitha syeda ye bedard dil na jaane kab tumhare liye pighal gaya syeda…..ab bas yahi tammanna hai tum khush raho aur digonto ke sath acchi zindagi guzarna aur ooska kabhi saath mat chodhna main ye likhkar nahi jaa raha ki main kahan jaa raha hoo bas ab mujhe dhundhna mat aur agar ye khat kisi aur ko mile to syeda ko diye bagair hi ise phaadh dijiyega main nahi chahta ki meri wajah se ooski zindagi fhirse barbaad ho shukriya khuda hafiz’

Syeda ke haatho se jaise wo khatt gir pada….syeda ko jaise dhakka laga tha….wo bistar par hi baith gayi….asif ke dil mein is qadar ooske liye mohabbat thi fhir bhi oosne kabhi syeda ko izhaar na kiya aur jab oose syeda ke niqah digonto se hone ka malumat hua to oosne faisla kar liya ki wo syeda se dur ho jaaye…..ye sab sochte sochte syeda uth khadi huyi kuch bhi ho ooske badaulat wo apne parivar ke paas lauti thi wo nahi janti thi ki asif kahan gaya hoga lekin oose dur yun chale jana syeda ko nagawar sa mehsus hone laga….syeda bhaagte huye apne kamre se bahar nikal gayi…..

Sabko maalum chal chuka tha…..ki asif jaa chuka hai oonhone syeda ko samjhaane ki koshish ki ooska niqaah hone wala tha aaj aise hadbadana aur ghabrakar koi faisla karna theek nahi tha……lekin syeda kuch samajhna nahi chahti thi…wo bas asif ke kareeb jald se jald pahuchna chahti thi…..wo nahi chahti thi ki asif oosse dur akela tanha bhatke ooska is desh mein koi tha bhi nahi……syeda ka bhai syeda ko samjhaane laga ki wo abtak kahan jaa chuka hoga kaise pata chalega kaise oose dhundhenge? Lekin syeda oose dhundhe bagair niqaah karna nahi chahti thi wo oosse aakhri hi sahi par mulaqat karna chahti thi…parivar ka har koi pareshaani mein ghirr sa gaya ghar ki izzat ki ye baat thi lekin asif ke chalte oonke zindagi mein syeda laut aayi thi is baat ko wo naqaar nahi sakte they….lekin asif ke dil mein syeda ko leke aisa kuch tha is baat ka ratti bhar bhi ahesas nahi tha….

Syeda maarein hadbadahat mein gaadi mein bina baithe digonto ko call lagati hai parivar waale oose ghabraye pareshaan dek hrahe they….digonto oos waqt apne parivaar ke saath hall pahuch chuka tha aaj wo bahut khush tha ki aaj syeda ke saath wo hamesha hamesha ke liye niqah jaise paak bandhan mein bandh jaane wala tha tabhi ooska phone baj utha number syeda ka tha………..’hello haan syeda kaho kya kya keh rahi ho par kyu?’…………….syeda ro rokar jaise sabkuch digonto ko batane lag jaati hai….asif ka oose mann hi mann chah baithna ooske aur digonto ke rishte ke chalte wo oonse dur huya tha taaki ooske chalte wo doni fhir se dur na ho jaye…..syeda ne digonto se jaise minnat ki wo asif ko jaise ooske saath milkar dhundhe…..digonto pareshan khaamosh chupchaap syeda ki baat kuch dair tak sunta gaya……..fhir oosne syeda ko vaada kiya ki wo abhi ooske paas aa raha hai

Digonto ke parivarwale bhi kuch samajh nahi paaye bete ko yun gaadi mein baithte huye waapis jata dekh oonhein azib laga….oonhone rokna bhi chaha par digonto ruka nahi….jab digonto gaadi ko rokkar bahar aaya to syeda daudte huye ooske kandhe ko thaamein asif ki ghar chodhkar chale jaane wali baat batane lagi oosne wo letter digonto ke haath mein diya

‘tum pls mere saath chalo oose dhundhna hai pls’…………………’p..par syeda wo kahan jaayega ooska yaha koi bhi nahi lekin hum oose dhundhenge kahan?’………….syeda ke parivarwale bhi oose samjhaane lage ki jo hua ab oospe kisi ka bas nahi tha asif ko wo baad mein bhi talash karne ki koshish karenge lekin ye niqaah ka waqt hai log galat samjhenge par syeda ek baar bhi apne parivaar ke baaton mein naa aayi

Aur digonto aur wo dono gaadi mein baithkar waha se rawangi dete hai……pal pal syeda oon lamho ko yaad kar rahi thi jab asif oosse mila tha oose dekhkar jab wo darri thi jab oosne ooske chehre pe thappad mara tha aur jab asif ne oose wo chudiyaa di thi…..kaise oosne sabke saath laraai ki kaise ooski jaan baar baar hifazat karta aaya kaise mortuz se takra gaya ooske khaatir apne mausa tak se bagawat kar li kaise bedardo ki tarah oosne sirf aur sirf syeda ke liye ooske dushmano ka qatal kiya…..ab syeda samajh rahi thi ki asif kuch din se ukhadha ukhadha sa kyu tha oosne socha bhi nahi tha ki asif ke dil mein ooske liye mohabbat hogi sirf digonto ke feelings ke khaatir oosne abtak oose kuch bhi izhaar nahi kiya…..digonto gaadi chalate huye asif ko dhundhne ki lagatar charo taraf koshishe kar raha tha….oonke paas asif ki koi tasveer bhi nahi thi jisse oose talash kiya jaaye…..

Udhar asif paidal chalte huye bahut dur nikal aaya tha itne bare Dhaka sheher mein na jaane wo kis raaste ki taraf chal pada tha asif thakkar ek bench pe baithte huye water bottle nikaalkar paani peene laga……’saala ek bhi convenience nahi mil rahi paise bhi kam hai kahan jaunga?’………sochte huye asif apna bag kandhe pe taangein aage badha achanak oose ek rickshaw mila oosse baatcheet karke wo oospe sawar ho gaya…..syeda se dur ho jaane ka gam apne dil mein dabaye jaise wo apne aansu ponch raha tha…..

Kuch dair baad wo main road pahucha….waha se kuch hi duri mein station tha…..asif oose paise dete huye waise hi paidal road par chalne laga…….charo taraf hari vaadi thi aur dur dur ghar syeda ke saath bitaaye wo pal wo muskurakar jaise yaad kar raha tha…..achanak digonto station ke jaane waale raaste se oos sadak par pahucha hi tha ki oose kaala bag taangein ek ladke ko paidal jaate dekhte huye kuch khatka sa laga…..syeda oose ektak mein hi jaise pehchaan gayi…..’gaadi roko digonto pls gaadi roko’……..digonto ne gaadi rok di……syeda darwaja khole turant ooske taraf daud padi….digonto bhi gaadi se bahar nikalte huye syeda ke chehre pe asif ko dhundh lene ki khushi jaise dekh raha tha

‘asifff asiffff’………..ekdum se asif teher sa gaya oose syeda ki jaani pehchani awaz apne piche se lagi…wo palatkar jaise piche ki or palata to dulhan ke jode mein gehno se saji apna lehenga dono haatho se upar uthaayi syeda oose apne paas roti muskurati bhaagte huye aati dikhi…….asif hairaan kahi wo khatt ooske haath lag to nahi gaya tha….

Achanak syeda ooske paas aakar oose haanfte huye dekhne lagi………’syeda tum?’………….tabhi ooske chehre pe syeda ne zor se thappad maara asif oos thappad se kuch dair aankhe band kiye raha

‘kahan jaa rahe they tum haan mujhe khushiya dekar mujhe apne parivaar se milwakar kahan jaa rahe they tum main jaan chuki hoo ki tumhare dil mein mere liye feelings thi toh fhir kyu nahi tumne mujhse kaha ki tum mujhse pyaar karte they sirf isliye ki main sabkuch bhulkar fhir tumhein apna lungi tumse niqaah kar lungi ek taraf khud ko apna kehte ho fhir kyu mujhse dur huye tum jawab do asiff jawaab do tumhara kaun hai kahan jaate tum meri wajah se tumne kitni qurbaniya di tumhein malum bhi hai meri wajah se tumne apne baazu pe goli khaayi apni jaan jokhim mein daali aur main kitni nafarmaan hoo ki main bas apne liye hi sochti aayi sirf apne liye tumhari ek baar bhi parwah nahi ki jawab do kyu mujhse dur huye jab tum mujhe digonto ke saath khush dekhna chahte they kaho agar wo khatt mujhe nahi milta to kya tumhare chale jaane ka dukh mujhe kabhi nahi hota?’…………..syeda apne mann ki badhaas asif pe nikalti gayi

Ooske ghulte aansu ko dekhkar asif bhi apne zazbat rok na paaya aur aansu bahate huye nazarein jhukaaye bas muskuraya…………’main nahi chahta ki meri wajah se tum koi galat faisla lo syeda mera kya haisiyat tha jo main tumse apne pyar ka izhr karta fhir mujhmein aur mortuz mein kya faraq reh jata? Wo tumhein haasil kar leta aur main tumhari madad karke tumhein paa leta lekin tumhare dil mein feelings digonto ke liye thi aur digonto ko tumhare liye tumhein oosse alag karke kya main khush reh pata mohabbat ektarfa kabhi nahi hoti tumhara dil kabhi mujhse nahi judta’

‘pls asif aisa mat kaho pls main kitna tumahra shukriyada karu ki tumne itna kuch samjha hai ek apne ki tarah mere saaye banke rahe aur aaj mere khaatir main tumhein akela ho jaane du nahi asif kabhi nahi’

‘nahi syeda mere liye digonto ko akela mat karo he loves you so much maine ooska dard dekha hai syeda oose tumhare liye tadapte sa dekha hai tum waapis ooske zindagi mein chali jao laut jao syeda mere saath tumhra koi future nahi hai koi future nahi main ek muzrim hoo ek bedard insaan par vaada karta hoo ki apni oos bedard bhari zindagi se waapis sahi insaan banunga mehnat se kamaunga aur acchi izzatdar ki zindagi guzarunga syeda I promise you’

Syeda ke dono chehre pe haath rakhkar asif ne jaise oose samjhaaya…….syeda aansu bahate huye jaise ooske gale lag gayi……..asif muskurakar oose apne seene se lagaye rha….digonto chupchaap royi nigaho se oon dono ki or dekh raha tha kitna fikar tha syeda ke dil mein asif ke liye aur asif kitni ooski parwah karta tha kahi na kahi jo gila shikwa digonto ko asif se huyi thi wo ooske is apnepan se dur chali jaa chuki thi….digonto oonke kareeb aaya

Asif ne syeda ko apne gale se alag kiya….’apna khyaal rakhna syeda digonto bhai ye tumhari amanat hai ab kabhi ise khud se dur mat karna main nahi chahta ki ye zindagi mein kabhi dukh kare hamesha khush rakhna ise jao syeda’

Syeda roti huyi digonto ka haath pakde asif ki or dekhne lagi…asif muskuraye oonse ek ek kadam dur hone laga……’chalo syeda chalo’……….digonto syeda ko liye waapis jaane laga asif apne aansu ponchte huye waapis hone laga syeda chahti nahi thi ki asif oosse dur ho par yahi asif ka jaise faisla tha…..achanak kuch faasla hi un dono beech hua tha ki tabhi wo kaali gaadi asif ke saamne aa khadi huyi asif thithak gaya……..oos gaadi se nikalte oos jaane pehchaane shaks ko dekh asif piche palatkar zor se chilaaya

‘digontoo syeda bhaago bhaag jao’…………wo dono ekdum se hadbadakar asif ki taraf dekhne lage…….tabhi syeda ne theek apne saamne apne oosi jaane pehchane shaks ki surat dekhi wohi bedard insaan jise wo abhi abhi bhuli thi……mortuz Bangladesh ke sarzameen pe khada tha ooske aankho mein dehekta gussa tha aur syeda ko dulhan ke jode mein dekhke to jaise ooske andar aag badhak uthi thi…..mortuz ke saath kuch gunde bhi bahar jab nikle to jaise syeda tharr tharr kaanp uthi digonto bhi kuch kuch samajhne laga…..asif gusse se oon logo ki taraf dekhne laga…………

Wo apna bag chodhe un logo ki taraf bheedhne ke liye dauda…..’digonto syeda ko leke bhaag jaao bhaag jao’………………….’assiff no’……………syeda jaise digonto ka haath churane lagi………….’wo maar denge oose digonto pls mujhe jaane do’…………lekin digonto janta tha isliye waha se oonhein nikal jana tha

‘wo dur na jaa paaye pakdo oonhein’……………wo gunde syeda aur digonto ki taraf badh rahe they lekin saamne asif khada oonki taraf aa raha tha……asif ne oonehin mazbuti se gale se pakad liya……lekin tabhi mortuz ne ooske sar pe faawde se de hamla kiya………ooski chot se asif ghass khaake wohi zameen pe gir pada…..oose girte dekh syeda chilla uthi aur oosne kasskar digonto ke haath se apna haath chudha liya wo bhaagte huye asif ke kareeb daud padi asif ghass khaaye adhkhuli nigaho se mehsus kar sakta tha ki ooske theek upar maut ke saaye ki tarah mortuz khada tha….

To be continued…..

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #27 on: January 21, 2019, 01:29:13 PM »
Sar par faawde ke oos achanak hamle se ghass khaaya asif beshud sar pakde zameen pe gir pada tha…tabhi ooski dhundhli aankho mein mortuz theek ooske sirhaane pe jaise khada tha….apne chashme ko utaarte huye mortuz ne ek nazar apne gire bhai asif pe daali….

‘assifff’……….syeda asif ke paas aayi baithi oose chune hi waali thi ki ekdum se mortuz ne ooske gardan se jaise oose daboch liya

‘aahhh sss chodhoo mujhe mortuzz chodh do asif ko’………….syeda jaise khauff khaayi roti virodh karti huyi mortuz se khud ko jaise mrotuz ke geraft chudhane ki koshish kar rahi thi

Mortuz ne jhukkar ooske chehre ko dekha aur fhir ooske dulhan ke libaas ko…….’waahhh yahi din ka mujhe intejar tha ki main tumhein is roop mein dekhu syeda lekin apni biwi bante huye kisi aur ki nahi is haramzaade ne kya socha tha ki tumhein leke yaha aa jayega to mortuz Bangladesh nahi pahuch paayega arre apun ne dushmani moli sabse khoon bahaya sirf tumhare liye syeda sirf tumhare liye aur aaj itne din baad aakhirkaar tum mere haath aa hi gayi khub dhundha tumhein maalum hai ab aur dairi nahi iska anjaam tarique se bhi badttar hoga aur tu mere saath chalegi meri dulhan bankar waapis Hindustan maar maar ke sesh kar do is badzaat launde ko’

Mortuz ne uthte huye syeda ka kalai jabran pakde apne gundo ko jaise aadesh diya…….mortuz ke gunde jaise asif pe tut pade asif syeda ka pao pakadkar jaise oose mortuz ke saath jaane se rokne ki koshish karne laga….to mortuz ne sidha laat apne jute ka ooske munh pe de maara….tabtak ooski pakad chutt gayi aur gunde betahasha oose peetne lage

Syeda chillate huye piche mudkar asif ko gunde ke beech peette huye dekhh baar baar jaise chilla rahi thi……oosne mortuz ke mazbut pakad ko churaane ki puri koshish ki lekin mortuz oose apne saath lagbhag ghassitta hua gaadi tak le jaa raha tha………theek tabhi digonto ne syeda ke kalai ko jabran pakde mortuz ke haath ko dabocha….mortuz ne teherkar palatkar ooski or dekha to tabtalak digonto ne khaichkar ooske munh par ulte haath ka mukka de maara…..isse mortuz hadbadaye syeda se alag ho gaya….

‘haramzaade tujhe to main bhul hi gaya tha’……………..’saale harami teri itni himmat ki tu syeda ko mujhse cheenega’……………digonto jaise gusse mein aag babula hote huye sidha mortuz se jaa takraya
Dono ke beech haatha paayi shuru ho gayi…..jo gunde asif ko peet rahe they oonmein se do gunde digonto ke kareeb aane lage……syeda chillayi lekin tabtalak digonto ko un dono ne pakad liya……’chorr mujhe saale chorr saale’………digonto puri taqat jutaate huye oonse khud ko churaane laga

Syeda bechain ghabraye samajh nahi paa rahi thi ki wo kya kare? Mortuz ne apne kate honth se behte khoon ko haatho se poncho aur aur fhir digonto ko dekha jo ooske gundo ki geraft mein tha…….’harami mujhpe haath uthaayega mujhpar saale’…………mortuz ne ooske pait par fhir ooske chehre pe tabadtod mukka maara digonto aaah bharte huye wohi beshud girne laga….lekin ooske gundo ne tab bhi oose apne geraft mein pakade rakha tha…digonto hamle se badhawas ghutno ke bal ho gaya…….mortuz ne ooske baal se ooske chehre ko apni or uthaaya

‘syeda ke zindagi mein sirf ek hi naam hai aur wohh hai mera ab tu bhi maut ke ghaat utarega samjha’…………kehte kehte mortuz ne gun nikaali aur sidha ooske maathe pe laga diya…..isse pehle ki wo trigger daba paata…..syeda ne mortuz ke haath ko pakad liya……..goli zameen pe jaa lagi……syeda mazbuti se ooske haath ko pakadi huyi thi lekin mortuz ne ooske haath se apne haath chudhwaate huye oose dhakka de diya…syeda zameen pe munh ke bal jaa giri…….wo chillate huye apne theek saamne behosh pade asif ko pukaarne lagi….gunde ooske upar khade bas tahaka laga rahe they………’asifff plss asifff I need you asiff wo digonto ko maar dega asif tumhein apne vaade ko nibhaana hai main kehti hoo tumse maar daalo inhein maar daalo in logo ko asiff hoshh mein aao asif’

Lekin asif waise hi badhawas behosh aankhe mundein pada hua tha….mortuz ne muskurakar syeda ke baalon se oose jakada aur apna gun apne haatho mein lete huye ek baar digonto ki traf dekha…..’asifff asifff hoshhh mein aao asifff hoshhh mein aao’………..lekin mortuz sirf hasaa usne syeda ke gardan pe apna baazu lapaitte huye ooske maathe pe apna gun lagaya………..’ek lavz aur nahi warna maar daalunga chal chupchaap’……….ghassitte huye mortuz syeda ko digonto ke kareeb laaya fhir oose apne baanh mein hi jakade digonto ki taraf haste huye dekhne laga………..mortuz ne apna gun ab ooski taraf fhirse nishaana saadha……….lekin tabtalak asif apni aankh khol chuka tha…..woh wohi bedard nigaah thi jo khul chuki thi…….asif ne apne upar sawaar oon gundo ko khada paaya aur fhir teji se oosne oon dono gundo ko piche se de hamla kiya….ooske is anjaan hamle se wo dono gunde munh ke bal zameen pe gir pade…..asif ne paas pada fawda uthate huye sidha hamla oon dono ke sar pe kiya…jiske lagte hi wo dono zameen pe gir pade…..

‘ayeee mortuzzz aa harami apun zinda hai saala aa’…………..mortuz ekdum se bhauklaaye asif ko hosh mein khada dekh hadbada utha oosne goli asif ko maarni chahi lekin asif furati se hat gaya goli sidha hawa mein lagi…….


Gunde ooski taraf jaise bhaagte huye oose maarne aaye….asif hamle se bachte huye pehle gunde ke peeth pe ghumkar sidha faawda ooske gardan pe de maarta hai….aur dusre gunde ke dande ke hamle se bachte huye sidha ooske chehre pe wo faawda de utarta hai……asif apni peeth se gun nikaal chuka tha….oose maalum tha ki aisa waqt bhi ooske saath guzar sakta hai isliye boat se zakhmi halaat mein utarte huye bhi oosne wo gun apni bag mein rakhe rakha tha……..asif ne sidha goli digonto ko thaamein gunde pe de fire kiya…..is baar mortuz ne oospe hamla karna chaha lekin asif ki dusri goli sidha ooske haath pe jaa lagi…gun zameen pe gir padi…

Digonto jaise ekdum se mortuz pe baagh ki tarah hamla kar baitha…..digonto puri taqat se mortuz ka gala dabane laga……..asif ne paaya ki ek gunda hamle se ubharte huye apne jeb se pistol nikaal raha tha….asif ne turant ooske maathe pe goli de maari….wo wohi zameen pe aaundhe munh dhair ho gaya….piche se ek gunde ne asif ko dhar dabocha jisse gun ooske haatho se chutt gayi…..asif ne puri taqat jutaate huye apne dono pao ka hamla apne saamne hamla karte oos gunde ke seene pe de maara….wo wohi zameen pe gir pada….gunde ki apne kamar mein lipati baazuyo ki pakad se khud ko churaate huye asif ne sidha kohni ka waar ooske munh pe de maara…..paas gira hathyar uthate huye asif ne wo chaaku sidha oos gunde ki gardan pe de maara….

Digonto aur mortuz mein haathapayi barabari se ho rahi thi…..to udhar asif baaki gundo se jhunjh raha tha……syeda gaadi ki taraf phone ke liye daudi…..apne se dur bhaagti syeda ko dekh mortuz ne is baar puri taqat se digonto ki pakad ko khud ko churaate huye sidha vaar ooske munh pe de kiya….digonto gir pada…..mortuz ne faawda utha liya apne ek gunde ki laash pade haatho se….digonto ne jaise jawabi hamla karna chaha theek tabhi ooske maathe pe mortuz ne faawda ka de hamla kiya…..’aaaaaaaahh’……..digonto ki aahh sun syeda piche palatti huyi digonto ki taraf dekh chillayi

‘digonto’………….syeda bhaagte huye ooske paas aane lagi……..’yaaaaaaa’………sidha faawda ka hamla digonto ke pait pe is baar hua aur fhir mortuz ne ooske gardan pe faawde ka teesra hamla kiya….digonto apna sar pakde chakkar khaaye beshud hone laga……….’haramzaade mujhse syeda ko cheenga mujhse’………dhadhhh ek aur hamla mortuz ne ooske kaan aur sar pe kiya…..munh se khoon ki laar behte huye digonto wohi zameen pe gir pada…..mortuz ne faawda faikha aur paas gire apne gun ko uthaane laga…..’aaj tera kissa khatam’………….syeda ko wo manzar yaad aa gaya jab theek isi tarah mortuz ne tarique ka khoon kiya tha….syeda chilla uthi……..ooski cheekh sun asif palatkar osoki taraf dekhta hai….

Mortuz khada digonto pe nishaana saadhne ko bas kuch dur tha…..’noooo’…………asif furati se daudhta hua mortuz ne kareeb aaya….lekin tabhi paansa palta aur mortuz ne shaitani muskurahat dete huye gun sidha saamne asif ki or saadh diya….dhacchh aaahhhhh………asif ke kandhe pe goli jaa dhassi…asif wohi gir pada….syeda cheekh uthi mortuz ne dusra vaar karna chaha hi tha ki tabhi palatte huye gussail asif ne apni nigaho se oose ghurrte huye sidha goli oske taang pe de maari…..aaaahhhhh….is baar mortuz taang pakde wohi dum saade gir pada….syeda ne mortuz ke haath se girti wo gun ko jaise apne pao se dur faikh diya……

Asif kandhe ko pakde huye syeda ke paas aaye gir pada…..’oh my god asifff oh my god kitna khoon beh raha hai’………..syeda asif ke kandhe pe lagi goli se betahasha behte khoon ko dekhte huye ro padti hai

Asif oose jaise khud ko sahara deke uthaane ka ishara karta hai…….syeda asif ko sahara diye uthaati hai….’haramzaade abtak sirf khoon ki wajah se tujhpe maine ek baar bhi goli nahi chalayi thi par ab nahi teri deewangi ka aaj aakhirat hai tujhe aaj main inhi haatho se jaan se maar daalunga’

Asif mortuz ke paas aakar sidha laat ooske goli lage taang pe de maarta hai……mortuz dahadh uthta hai aur dard se bilbilate huye wohi gir padta hai….’yaaaaaa’……….piche se ek gunda faawda liye asif ke kareeb badhne ko tha ki tabhi syeda ne asif ko jaise chillate huye agaah kiya………asif ne bina ooski taraf dekhe sidha goli ooske bheje mein de maara….dhacchh wo gunda wohi dhair ho gaya ooske girte hi mortuz ko ahesaas hua ki aaj jaise ooska bhi kuch wohi haal hone wala tha….

‘uth saale uth’……..asif ne mortuz ko uthne ki jaise lalkaar di…..mortuz uthne ki koshish karne laga….asif ne gun syeda ko dete huye sidha mukka ooske pait pe de maara….aur daaya mukka ooske munh par wo khoon thookte huye jaise fhir asif ki taraf dekhte huye oospe hamla karna chaha lekin asif ne apne ulte haath ka hamla ooske chehre pe dobara kar diya…..mortuz zameen pe gir pada….naak se khoon beh raha tha….apne khoon ko dekhte huye wo uthne ki fhir koshish karne laga…..’yaaaaaaa uth haramzaade uth’………..asif ne dahadhte huye sidha laat ooske munh pe de maara….mortuz wohi gir pada….asif ne ooske gerebaan se oose uthana chaha lekin tabhi mortuz ne ooske kandhe pe lage zakhm ko daba diya……….asif dahadh utha wo dard se bilbila utha……’tujhe chodhunga nahi nahi chodhungaa’……..asif ne dard ko peete huye ooske daant peeste baaton ko suna aur theek tabhi oosne puri taqat se apna pao ooske seene pe rakhte huye oose de dur faikha…..mortuz sidha zameen pe gir pada….asif daudte huye ghayal hone ke bawjud theek ooske seene pe apna ghutno ka vaar karta hai……..ghutna ooske seene aur thuddi pe lagte hi jaise mortuz dard se dahadh uthta hai……..asif apne dono saqt haatho se ooske munh pe ooske chehre pe betahasha vaar karta gaya vaar karta gaya jabtak mortuz ka chehra khoon se lathpath na ho gaya….syeda ne oose roka….asif kandhe pe lagi goli ko pakde jaise taise ooske jism se uth khada hua

‘maar dunga ise main maar dunga’………….’nahi asif isko maarke tum gunaah mat karo iska hisaab to police legi’………..asif palatkar royi nigaho se haafte huye syeda ko dek hraha tha…..syeda muskurakar oose dekh rahi thi…..unke nazar se bachte huye aakhri hamla karne ki firaaq mein mortuz laite laite hi apne gun tak hath le jaate huye oose apne geraft mein kar chuka tha…..usne ekdum se uthte huye sidha nishaana asif pe lagana chaha…lekin theek tabhi syeda ne wo dekh liya aur usne asif ko dhakel diya…..dhacchh wo goli sidha syeda ke pait pe jaa lagi…’aaahahhh’…..syeda chillayi ekdum se ooske pait se nikalte khoon ko dekh asif bhaukla utha oosne syeda ko piche se thaam liya…..mortuz bhaukla utha ye oosne kattayi nahi chaha tha

‘syedda nahii nahii syedaa y..ye kya kar liya tumnee’………..syeda ke haath khoon se lipate huye they ooske pait pe lagi goli aur behte khoon ko dekh asif jaise mortuz ko gussail nigaho se dekhte huye aanan fanan goli jo syeda ke haatho mein thi oosi haath ko uthaaye sidha nishaana mortuz ki taraf saadhta hai mortuz ghabra uthta hai

‘bastardddd’………..trigger pe syeda ke ungli pe apni ungli rakhte huye asif ne jab goli chalayi to sidha goli mortuz ke gale se aar paar hote huye nikal gayi oosi waqt khoon ka fawaara jaisa ooske gale ko cheerta hua nikla aur munh se khoon behte huye mortuz palbhar mein laash bankar oon dono ke zameen pe jaa dhair hua..

Gun faikte huye asif syeda ke chehre ko thapthapane laga ooske pait se behte khoon ko apne haatho mein lagte dekh rone laga…..’yaa alllah ye kya kiya tumne syeda mere hisse ki goli tumne kyu khaayi kyu nahi marrne diya mujhe? tumhein kuch nahi hoga tumhein zinda rehna hai sabke liye syeda sabke liye’……….digonto tabtak rote huye asif ke kareeb aaye baithkar syeda ko dekhne laga jo saansein kheech rhai thi

‘digonto chalo ise gaadi mein le chalo c’mon’……………..aanan fanan digonto aur asif syeda ko baazu mein uthaaye gaadi mein laitakar sidhe hospital ke liye or wahan se rawana dete hai….

x-------------------------------------------------------x------------------------------------------------------x-------------------------

Hospital ke i.c.u ward mein kareeban 2 ghante tak syeda ka operation chalta raha……udhar asif ka bhi ilaaj chal raha tha…..wo behosh pada tha……2 ghante baad jab operation theatre se doctor nikle to digonto ne jaise sawalato ki oonpar barsaat kar di…..’she is out of danger humne goli nikaal diya hai wo kuch hi ghante mein hosh mein aa jayegi oonhein aaram mein rehne dijiye’……….kehte huye doctor chala gaya…..waha syeda ke abba ammi pareshan ro rahe they pura parivaar waha mauzud tha…..jab digonto syeda ke room mein pahucha to oose wo waha behosh beshud padi si dikhi…oose dekhte huye digonto ro pada…..

Udhar jab asif ko hosh aaya to ooske zubaan pe pehla naam syeda ka hi tha…..nurse ooske hosh mein aane se bahar kisi ko bulane gayi…..kuch dair baad waha syeda ke abba aur digonto pahuche….oonke aankhon mein dard saaf dikh raha tha……….’I am sorry uncle meri wajah se main kitna sharminda ho ye baat main hi janta hoo maine oosse vaada kiya tha ki main harhaal mein oose mortuz se bachaunga syeda kaisi hai uncle?’

‘wo theek hai asif’…………jawab digonto ne diya……………asif khaamosh raha…………’mujhe digonto ne sabkuch sach sach bata diya hai beta asif tumne apni jaan pe khelke apna vaada yakeenan pura kiya aur dekho allah ke fazal se syeda ki jaan bach gayi hai’………………….’mortuz aur ooske aadmi maarein jaa chuke hai asif’……………..asif ne ek baar digonto ki taraf gambhirta se dekha

Agle din jab syeda ghar lauti hospital se to oosne apne saamne parivaar aur digonto ke saath asif ko khada paaya….oose dekhke wo behad khush huyi…….wo oosse aakar jaise gale lag gayi…….kisi ne kuch nahi kaha digonto khaamosh bas nazarein jhukaaye raha….police byanat ke liye jab aayi to digonto aur syeda ke pure parivaar ne asif aur syeda dono ka saath diya….byanat ke baad aur oonke pushti karne ke baad police ghar se chali gayi….to jaise syeda ke dil aur dimaag se itne lambe samay tak chal raha wo mortuz ka khauff wo dehshat jaa chuka tha……ooske maut ke khabar ko sunne ke baad oose sabse zyada is baat ki khushi huyi thi….

Syeda ke abba ne parivar ke saamne hi us letter waali baat ko khola aur is baar acchi tarah se un dono ka faisla janna chaha….lekin asif ka faisla tab bhi syeda ke zindagi mein ek dost bankar reh jana tha…..usne digonto ko hi syeda ke liye sahi maana…..aur kahi hadtak syeda ne apne dil se asif ko qaaboolna chaha tha par digonto ko wo chot pahuchana nahi chahti thi kehne ko wo dono ooske zindagi mein maayne rakhte they……digonto aur syeda ki jald hi niqaah pure rasmo  rivaaz ke saath ada kar di gayi….

Oonke niqaah mein asif is baar shaamil huya tha….un dono ki shaadi ke pure waqt tak asif oon dono ke saath tha…..dil to ooska tuta zarur tha par syeda ke liye kahi na kahi wo bahut khush tha…..niqaah ke baad syeda apne sasural khushi ke aansuyo ko samaitte huye jaane lagi ek baar usne asif ko palatkar dekha jo aansu ponchte huye muskurakar oose vida kar rha tha…digonto aur syeda gaadi mein baithkar waha se jaa chuke they pura parivar gam ke mahoul mein duba sa waapis ghar ki or chala gaya siwaay asif ke jo tab bhi gate par khada aansu bahate huye muskura raha tha….

Asif oosi din Dhaka ke liye rawana hone wala tha…..railway station pe khada tha syeda ke abba aur sabse aakhri baar vida lete huye apne kal ke liye wo Dhaka jaa rhaa tha…..chupchaap sit pe baitha tha ki itne mein usne paaya ki syeda saree mein digonto ke saath waha pahuchi thi oose pehli baar oosne ek aurat ke roop mein jaise dekha tha….asif muskurakar digonto aur syeda ki taraf dekhte huye apna chashma utarta hai….

‘toh tum jaa rahe ho?’……………syeda ne asif ki taraf ektak dekhte huye kaha

‘haan syeda  ab mera yaha kya kaam? Digonto aur tum khush rehna digonto iska khyaal rakhna bhai tumhein bahut chahti hai ye’…………..digonto bina kuch kahein bas muskurakar syeda ko dekhne laga

‘asif tumne mere liye itna kuch kiya main kaise tumhare shukriyada ko ada karungi?’………syeda ne aankho mein aansu ghulte huye muskuraye pucha

‘hahaha tumne mujhe apna kaha tha apna dost kaha tha aur dosti mein na shukriyada ki jati hai aur maanfi maangi jaati hai tum logo ke wajah se aaj main ek nayi zindagi jeene wala hoo na main wo bedard raha jo kabhi gunah ke daldal mein rehta aaya tha bas dukh rahega ki apne watan kabhi nahi jaa pau aur agar jaunga bhi to kiske liye yaha isliye hoo kyunki yaha mere apne hai tum log mere apne hi to ho’

Syeda aur digonto muskurakar ooski taraf dekhne lage………’bhai tumne itna kuch hamare khaatir kiya hai specially syeda ke liye kiya hai zindagi mein kabhi bhi meri zarurat ho to bejhijhak mujhe yaad zarur karna’………digonto ne asif se jaise kaha

‘sure bro’……..asif ne muskurakar fhir digonto ke kandhe pe haath rakha syeda oose chupchap muskurakar dekh rahi thi

‘ab aage kya karoge kuch socha hai?’

‘manzil mein jo likha hai khuda jo dega wohi apna lunga’…………………….’aur shaadi?’……………asif chupchaap kashamaksh mein ghira syeda ki or dekhne laga

‘bas yahi umeed karunga ki khuda koi tum jaisi hi zindagi mein mere bhej de hahahaa’………..asif ne jaise haste huye mazaak mein oos baat ko taal diya

‘thanks asif tumne mere khaatir itna kuch kurbaan kiya aisa kaun dost karta hai….tum bedard nahi they asif bedard to main hoo jo tumhein akeli raah mein chodh rahi hoo’

‘nahi syeda tumhari khushiya digonto se hai main akela kabhi khud ko nahi samjhunga bas ye hamesha yaad rakhna ki kisi madadgaar ne tumhara zimma liya tha aur wo madadgar fhir tumhara dost ban gaya bas khush rehna yahi chahunga dil mein shikwa mat rakhna ki tumse dur jaa raha hoo jab kabhi zarurat hogi to mujhe apni zindagi mein lautkar paogi’…………asif ne muskurakar syeda ke chehre pe haath rakha wo nazarein jhukaaye apne aansu chupa rhaa tha

Train ki siti baj uthi…..asif hadbadaye apna bag kandhe mein liye digonto aur syeda ko dekhne laga…..’aur haan ek baat digonto ab kabhi bhi iski tasveer internet mein mat daalna warna fhir koi aur deewana ho jayega hahahaha’………..teeno has spade asif syeda ko dekhte huye digonto ko dekhte huye palatkar train mein sawaar ho gaya…..train chal padi….asif ne jhankkar un dono ko haath dikhaaya wo dono muskurakar oose vida karte huye wohi khade reh gaye…..’apna khyaal rakhna byeee khuda hafiz’……….syeda ne chillate huye jaise haath dikhaaye kaha………..’khuda hafiz syeda khuda hafiz’…….asif tabtak wohi khada raha jabtak train bahut dur na nikal aayi station se….

Waapis jaise darwaje ke aad mein khada asif ro pada tha…..syeda se jaane ka dard tha oose dukh tha lekin ek hi baat dil mein uth rahi thi ki ooske baad shayad hi wo umeed karega ki ooski zindagi mein koi aakar ooski jagah le paaye……kaash wo oosse kabhi mili hi nahi hoti lekin shukriyada kar raha tha wohh apni is oos bedard zindagi ko alvida karne ka….asif aansu ponchte huye muskurate huye apne sit pe aa baith gaya…mann hi mann syeda ke saath bitaaye oon pal ko yaad karte huye jis syeda ko wo piche chodhe ek naye manzil ki taraf nikal pada tha akela……kya pata koi nayi mohabbat ooske intejaar mein aage kahi ho is naumeed par kya pata wo ooske bina akela jee paayega?

Main chain uska wo aashiqui meri…..
Wo ladki nahi zindagi thi meri…..
Zindagi thi meri……

The end……

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #28 on: January 21, 2019, 01:30:26 PM »
Dhannaywaad karta hoo dosto aap sabka meri is story ko aakhir tak padhne ke liye aapke keemati sujhaav ki intejar mein hamesha rahunga....tabtak ke liye mujhe ijajat dijiye goodbye guys and take care  hello
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #29 on: January 30, 2023, 07:24:55 PM »
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 01:43:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.253 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer