Badi josheeli najm hai aapki....insaan k roop mei Bhediyon k charitra par ek joordaar prahaar....

Iss Nazm Mein Ek Jageh Par Kuch Haqeeqi Baatein Aur Ek Sache Haadse Ka Bhi Zikr Kiya Gaya Hai,Jis Par humein Insaan Hone Par bhi Sharm mehsoos Ho...Kuch Baatein Mazhab Ke Bed-Bhaav Par Bhi Adhaarit hai..Umeed Karta Hoon,Aap Sab Iss Nazm Ko Padhe Aur Pasand Kare....
Hosh Ki Baat Kaun karta Hai Iss Zamaane Mein,
Yahan To Hausle Chahiye Muskuraane Mein....
Uski Aankh Se Ashq Ka Katra Utra To Yakeen Hua,
Ke Woh Aankh Hi Thi Koi Pathar Nahi!!!
Kaun Zinda Hai Yahan sahi Maane Mein???
Kal Hi Ke Akbaar mein Ek Khabar Padhi,
Ke Ek Baap Ne Apni Hi Beti ki Izzat Luti,
Hairaan Hoon,Insaan Ki Shakl Rakhne Wale Bhi,
Shaamil Hai Inn Haiwaano Mein.....
"Khwaish" Ka Bas Chalta Tha To Seedha Goli Maar Deta Uss Shaks Ko,
Woh Khoon Aaj Bhi Kholta Hai Iss Nas-Nas Mein,
Jo Kholta Tha Kabhi "Veer Bhagat Singh" Jaise Deewano Mein......
Mazhab,Dharam,Jaat-Paat Par Behas Karne Walo,
Pehle Yeh Dekho, Kya Imaan Zinda Hai,
Ab Bhi Hum Insaano mein???
"Khwaish" Jo Hum Hai Bas Wahi Hai!!!!!
Kyon Hum Apni pehchaan Khode Inn Jhooti Pehchaano Mein......
Gark Ho Jaayenge Ek Din Yakeenan Woh Log,
Jo Mazhab ke Naam Par Sirf Fark Karte Reh Haye Hum Insaano mein....
Kisi Ko Gale Lagaakar Uske Dard ko Samajhna Bahut Badi Baat Hai!!!
"Khwaish" woh Phool Kabhi Phir Khilta Nahi!!
Sirf Ek Baar Ke Murjhaane Mein.....
~~~~~Khwaish~~~~~~