Mata Pita Ko Kyun Bhoolte Ja Rahe Hain Hum

by @kaash on March 04, 2010, 11:55:34 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 19675 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
zara yaad karo kya kya na saha ma ne
zara to yaad yaad karo kya sukh na dia pita ne
ye mat kaho ye unka farz tha so unhone kia
ye bhi mat socho ki unhone palan poshan swaarthwash kia
ma-baap ki aakhon ke taare unke bachhe hi to hote hain
ma-baap kabhi jaanke bachon ko apne nahi dukh dete hain
kya milega maa ki awaaz ko unsuna karke
kya milega boodhe baap ke kandho ko veeran karke
kabhi hum bhi badhe honge hume bhi koi papa,pitaji kahega
wo hamari saanson me basega,usme sapna hamara palega
gar vo bhi hamari tarah hume bhula baitha to kya karenge
mar mar ke jiyenge ya jee jee kar marenge
ye to hona hai awashya jo hum is baat par nahi vichar karenge
24 ghanton ke din me gar ek ghanta bhi apne validen ko na denge
santaan se bada koi sukh nahi hota jagat me
aur santaan se mile dukh se bada koi dukh nahi hota jagat me
chaar paison ke lie jo bhagambhaag hum macha rahe hain
zara si daulat aur aish-o-araam ko tavajjo die ja rahe hain
kabhi apni dooshit soch ya kisi dost ki baaton me bhi jo aa rahe hain
hakeekat to ye hai ki khud se hi dushmani hum nibha rahe hain
jab ma-baap na rahenge tab unhi ko khojte phirenge
abhi to hai jannat unke roop me phir dhoondhte phirenge
ma-baap aise farishtey hain jo zakhm khakar bhi bachhon ko baddua nahi dete
haay ye kalyug aaj bachhe apne ma-baap ko doston se bhi milane me hain sharmate
khud ko sambhalen hum zara tharen zara vicharen hum
ye shaan-o-shaukat ye ilm ye sanskaar hume unhi ne to die hain
hume pala posa kasht sahke bhi koi kasht na hume hone diye hain
aaj jab hum unke dwara bane to khud ki hi peeth thapthapane lage
unke upar zara se kharch ko bhi khud par bhojh samajhne lage
unhe kabhi bhi paise dhan daulat ki chaah nahi rahti
ye to unki hi dua hai hamesha hume kaamyaabiyan hain milti
phir aaj kaise itne kamzor,khudgarz aur kayar hum hote ja rahe
doston ke saath ghanton hansi thitoli aur utsav me bhi ma-baap ke ashish se katra rahe
jab unki izzat nahi kar sakte jan unka aadar nahi kar sakte phir bekaar hai sabkuch
dost bhi kah denge jan unke nahi hue to hum unke kaise ho sakte hain kuch
bekaar hai bhagwaan se haath jodna,dua karna aarti utaarna,bekaar hai sab kuch
mata-pita ke aashirwaad bina parmatama bhi nahi deta kuch

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: March 04, 2010, 12:51:22 PM »
Reply with quote
Wah wah Kaash ji bahut hi sunder poem likhi hai aapne. Jo log apne maata-pita ki parwah nahi karte balki unke saath badsaluki karte hain, ye unke dimaagh ka diwaliyapan aur ahsaanframoshi hai. Aise log lok-parlok mein kabhi khush nahi rah sakte hai. Urde ka ek muhaavara bhi hai-- Ba-Adab ba-naseeb, Be-adab Be-naseeb. Aapki puri kavita ka nichod is line mein hai:

mata-pita ke aashirwaad bina parmatama bhi nahi deta kuch

Nice creation.
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: March 25, 2010, 02:09:49 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

Bohot Khoob Kaash Ji..beshak Maa Baap ne jo humare liye kiya, uska karz hum kabhi bhi nahin utaar sakte...bohot badkismat hain wo log jinhe apne Maa Baap ki khidmat ka mauqa nahin milta ya wo unki khidmat karna nahin chahte. Jisne apne Maa Baap ko khafa kiya, usne Khuda ko bhi naraaz kiya.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: March 26, 2010, 01:59:16 AM »
Reply with quote
 :icon_salut:Wah wah Kaash ji,bahut acha soch hai aapke,bahut dukh hoti hai sunn kar jo bacche apne maa baap ko beghar kar deta hai,unhe satate hai,old peoples home mein daal dete hai,kuch toh bheek maangne ke liye raaste pe baitta dete hai.its really sad.great creation and sharing Kaash ji. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: March 26, 2010, 12:12:56 PM »
Reply with quote
bahut achha ,achhi soch,Mata Pita ko aise drishtikon se dekhana,bahut achha laga.ye ekdum sach hai,kaashji maine dekha hai aap hamesha social structure mein chal rahi problems ko bahut achhi tarhaa samajhte aur samjhate hain,
 Applause Applause Applause Applause icon_flower
Logged
r.k
Guest
«Reply #5 on: May 31, 2012, 06:11:15 AM »
Reply with quote
Very shamefull

love9
Mr.Puneet sharma, kya aapko pta hai k aap bhi usi maa-baap ki den hain ?
kya aapko pta hai k jisse aapne shadi ki, agar aapke vichar itne gande hain, to shayad aap, apne bachon ko bhi ye hi gun doge ?
Kabhi socha hai k aap kidhar ja rhe ho ?
Aapka vansh chlane wala bhi koi gadha aap hi k jaisa aayega ?
Jise gali de rhe ho, kl jab aapke samne, aap hi k jaisa ek aur khda ho jayega, jise aap, apna beta kahenge, tab sharam nai aayegi, jab wo aapke samne khda ho kar aap hi ki patni ko gali dega ?

kehte hain, jaisi karni, waisi bharni...
Umeed hai, samajh paoge, je dimag hoga aapme to !!

aapke reply ka intzaar rhega mujhe.
Logged
khujli
Guest
«Reply #6 on: May 31, 2012, 06:25:40 AM »
Reply with quote
love9

how disgusting your approach , puneet sharma. i also know the fabulous 'gaalees'

 but you seems to be a psycho. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased BangHead BangHead BangHead

 this has been  always remain in women and in most of the family this persists. to control such situation and handle the situation it depends upon you and man is responsible to understand all the relations and should handle accordingly.

Logged
khujli
Guest
«Reply #7 on: May 31, 2012, 06:38:54 AM »
Reply with quote
Qalb yaar tum aise shakhs ko kuch mat kaho kyunki ye naali ke wo keede hain jinpar jitna keechad daalo ye utne hi khush hote hain.Inke maa-baap inhe yahi sanskaar dete hain jiske kaaran ye bade hokar apna dimaag samaaj ko isi tarah dushit karne me lagaate hain.
Ye bechaara khud apni biwi aur gharwaalon se gaali khaata hoga tabhi is tarah ka behave kar raha hai.Lekin namard ne comment bhi kia to reader banke.
Tum jaane de dear keechad par pathhar maroge to keechad tumpar hi aayega.

yessssssss BOSS you are righ.!!
Logged
Gaurang krishna sinha
Guest
«Reply #8 on: October 01, 2012, 04:22:58 PM »
Reply with quote

zara yaad karo kya kya na saha ma ne
zara to yaad yaad karo kya sukh na dia pita ne
ye mat kaho ye unka farz tha so unhone kia
ye bhi mat socho ki unhone palan poshan swaarthwash kia
ma-baap ki aakhon ke taare unke bachhe hi to hote hain
ma-baap kabhi jaanke bachon ko apne nahi dukh dete hain
kya milega maa ki awaaz ko unsuna karke
kya milega boodhe baap ke kandho ko veeran karke
kabhi hum bhi badhe honge hume bhi koi papa,pitaji kahega
wo hamari saanson me basega,usme sapna hamara palega
gar vo bhi hamari tarah hume bhula baitha to kya karenge
mar mar ke jiyenge ya jee jee kar marenge
ye to hona hai awashya jo hum is baat par nahi vichar karenge
24 ghanton ke din me gar ek ghanta bhi apne validen ko na denge
santaan se bada koi sukh nahi hota jagat me
aur santaan se mile dukh se bada koi dukh nahi hota jagat me
chaar paison ke lie jo bhagambhaag hum macha rahe hain
zara si daulat aur aish-o-araam ko tavajjo die ja rahe hain
kabhi apni dooshit soch ya kisi dost ki baaton me bhi jo aa rahe hain
hakeekat to ye hai ki khud se hi dushmani hum nibha rahe hain
jab ma-baap na rahenge tab unhi ko khojte phirenge
abhi to hai jannat unke roop me phir dhoondhte phirenge
ma-baap aise farishtey hain jo zakhm khakar bhi bachhon ko baddua nahi dete
haay ye kalyug aaj bachhe apne ma-baap ko doston se bhi milane me hain sharmate
khud ko sambhalen hum zara tharen zara vicharen hum
ye shaan-o-shaukat ye ilm ye sanskaar hume unhi ne to die hain
hume pala posa kasht sahke bhi koi kasht na hume hone diye hain
aaj jab hum unke dwara bane to khud ki hi peeth thapthapane lage
unke upar zara se kharch ko bhi khud par bhojh samajhne lage
unhe kabhi bhi paise dhan daulat ki chaah nahi rahti
ye to unki hi dua hai hamesha hume kaamyaabiyan hain milti
phir aaj kaise itne kamzor,khudgarz aur kayar hum hote ja rahe
doston ke saath ghanton hansi thitoli aur utsav me bhi ma-baap ke ashish se katra rahe
jab unki izzat nahi kar sakte jan unka aadar nahi kar sakte phir bekaar hai sabkuch
dost bhi kah denge jan unke nahi hue to hum unke kaise ho sakte hain kuch
bekaar hai bhagwaan se haath jodna,dua karna aarti utaarna,bekaar hai sab kuch
mata-pita ke aashirwaad bina parmatama bhi nahi deta kuch

[/quote]
Logged
sushilbansal
Guest
«Reply #9 on: October 04, 2012, 06:30:30 PM »
Reply with quote
jio mayre bhai jio. kaha milti hai aise racnaye ajkal.
sheel didi
Logged
Rakesh Sehgal
Guest
«Reply #10 on: October 05, 2012, 10:42:28 AM »

@Kaash
Guest
«Reply #11 on: August 26, 2013, 04:12:03 PM »
Reply with quote
Hey someone pls delete the abusive languages in quotes here done by puneet or make this language valid in forum. Ye sharmnak hai ki 9000 times padhne k baavjood aisi languages kisi ko dikhai nahi di.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #12 on: August 26, 2013, 04:53:22 PM »
Reply with quote
Dear puneet, tumhare jaise logon ko samarthan dene wale tumse bhi bade  hain...uff...hehe
Logged
mkv
Guest
«Reply #13 on: September 30, 2013, 12:37:50 AM »
Reply with quote
Thanks Kaash jee
Logged
Bharat A Shah
Guest
«Reply #14 on: October 26, 2014, 03:59:28 AM »
Reply with quote
zara yaad karo kya kya na saha ma ne
zara to yaad yaad karo kya sukh na dia pita ne
ye mat kaho ye unka farz tha so unhone kia
ye bhi mat socho ki unhone palan poshan swaarthwash kia
ma-baap ki aakhon ke taare unke bachhe hi to hote hain
ma-baap kabhi jaanke bachon ko apne nahi dukh dete hain
kya milega maa ki awaaz ko unsuna karke
kya milega boodhe baap ke kandho ko veeran karke
kabhi hum bhi badhe honge hume bhi koi papa,pitaji kahega
wo hamari saanson me basega,usme sapna hamara palega
gar vo bhi hamari tarah hume bhula baitha to kya karenge
mar mar ke jiyenge ya jee jee kar marenge
ye to hona hai awashya jo hum is baat par nahi vichar karenge
24 ghanton ke din me gar ek ghanta bhi apne validen ko na denge
santaan se bada koi sukh nahi hota jagat me
aur santaan se mile dukh se bada koi dukh nahi hota jagat me
chaar paison ke lie jo bhagambhaag hum macha rahe hain
zara si daulat aur aish-o-araam ko tavajjo die ja rahe hain
kabhi apni dooshit soch ya kisi dost ki baaton me bhi jo aa rahe hain
hakeekat to ye hai ki khud se hi dushmani hum nibha rahe hain
jab ma-baap na rahenge tab unhi ko khojte phirenge
abhi to hai jannat unke roop me phir dhoondhte phirenge
ma-baap aise farishtey hain jo zakhm khakar bhi bachhon ko baddua nahi dete
haay ye kalyug aaj bachhe apne ma-baap ko doston se bhi milane me hain sharmate
khud ko sambhalen hum zara tharen zara vicharen hum
ye shaan-o-shaukat ye ilm ye sanskaar hume unhi ne to die hain
hume pala posa kasht sahke bhi koi kasht na hume hone diye hain
aaj jab hum unke dwara bane to khud ki hi peeth thapthapane lage
unke upar zara se kharch ko bhi khud par bhojh samajhne lage
unhe kabhi bhi paise dhan daulat ki chaah nahi rahti
ye to unki hi dua hai hamesha hume kaamyaabiyan hain milti
phir aaj kaise itne kamzor,khudgarz aur kayar hum hote ja rahe
doston ke saath ghanton hansi thitoli aur utsav me bhi ma-baap ke ashish se katra rahe
jab unki izzat nahi kar sakte jan unka aadar nahi kar sakte phir bekaar hai sabkuch
dost bhi kah denge jan unke nahi hue to hum unke kaise ho sakte hain kuch
bekaar hai bhagwaan se haath jodna,dua karna aarti utaarna,bekaar hai sab kuch
mata-pita ke aashirwaad bina parmatama bhi nahi deta kuch

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 04:55:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer