teri yaad

by sana Afroz on November 11, 2014, 03:06:48 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 737 times)
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
koi to hoga sabab jo tumhein bhulaya hai,
hazaar de ke daleelein qaraar aaya hai..

tumhara kya  tumhein khud ki khabar nahin rahti,
tumhaare wastey duniya ka gham uthaya hai....

bahut hai tez taassub ki dhoop dekho to,
daraaz hota yahaan nafraton ka saaya hai..

kisi pe kaise yaqeen aankh band kar ke karein,
kisi ko kya pata kitna fareb khaaya hai..

"sana" hamari duaon mein ab bhi rahta hai,
wo jiski yaad mein hamnein jahaan bhulaya hai..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri yaad by Amit Janglan in Shayri-E-Dard
Yaad me teri... by Just_Hate_Love in Shayri-E-Dard
TERI YAAD !!! by yog in Shayri for Dard -e- Judai
Teri yaad...... by mohthemagic in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
TERA KHAYAAL TERI YAAD AARZOO TERI ...........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: November 11, 2014, 08:58:04 PM »
waah kyaa baat hai. Applause Applause Applause Applause
Logged
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #2 on: November 12, 2014, 03:44:13 AM »
श्री साना अफरोज साहिब ,यो इंडिया मे आपका स्वागत है हमने आपको कहाँ भुलाया है आपको तो हमने अपने दिल मे बसाया है
Logged
jnyana91
Guest
«Reply #3 on: November 12, 2014, 08:13:53 AM »
bahut khub... Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: November 12, 2014, 12:01:56 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: November 12, 2014, 12:37:21 PM »
koi to hogi wajah jo tumhein bhulaya hai,
hazaar de ke daleelein qaraar aaya hai..

tumhara kya hai tumhein khud khabar nahin rahti,
tumhaare wastey duniya ka gham uthaya hai....

bahut hai tez taassub ki dhoop dekho to,
daraaz hota yahaan nafraton ka saaya hai..

kisi pe kaise yaqeen aankh band kar ke karein,
kisi ko kya pata kitna fareb khaaya hai..

"sana" hamari duaon mein ab bhi rahta hai,
wo jiski yaad mein hamnein jahaan bhulaya hai..


wah wah icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #6 on: November 12, 2014, 01:56:44 PM »
Mahutram Sana Sahibah ...aadab ..


Aapki ghazal parhi mustafeed hua ...Mashallah Har sher me juda mazmoon hai juda qasida kari ...ghazal ke ek ek sher ne teer ba hadaf ka kaam kiya hai ...do ek baaten jo maine mahsoos ki likh raha hun zaroori nahi ke aap mutafiq hon ..

Matle ke misra e oola me lafz wajah ghalat baandha gaya hai wajh ...zahr bahr ke wazn per hai naa dua dawa ke wazn per ...lafz hogi ko hoga aur lafz wajh ko sabab se badal ke dekhen baat ban jayegi ...baaqi aap bahtar jaanti hain ...

maqte ke misra e oola ke akhir me lafz HAI aane se ijtemaa e radeefen ka aib dar aaya hai agarche aisi misaalen darjano ke hisaab se asateza ke yahan milti hain magar isse parhez karna chahiye ...baaqi aapki ghazal shandaar o jaandaar hai dad o mubarak baad qubool kare'n ..

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #7 on: November 13, 2014, 09:36:34 AM »
Qadeer shb shukriya islah ka , mustafid huii. Ab deken meri ghazal sahi hai ya nahin?
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: November 13, 2014, 12:03:06 PM »
Qadeer shb shukriya islah ka , mustafid huii. Ab deken meri ghazal sahi hai ya nahin?

Islaah na kahen chunke mai khud mubtadi hun seekhne ke marhale se guzar raha hun ...mai jo mahsos kia wo kah diya tha ....aap sukhan shanaas hi nahi adab shanaas o munkasirul mizaj maloom parhti hain masha allah ...Aye kaash ke sabhi log aapki tarhan kushada zahn hote ..Allah apko umre hawwa ata kare ...ab aapka misra fanni aitbaar se bilkul thik hai ..masha allah ...dad hazir hai ek baar phir aapki is qayamat qez ghazal ke huzoor ..


dua go
qadeertoopchi
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 02:26:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer