benaam sa ye DARD thehar kyuN nahi jata...??

by ghayal_shayar on May 09, 2013, 12:07:57 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1732 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
adaab dostoN ...

nida faazli jee ki ek behad khoobsurat ghazal ke saath aap saahebaan se mukhatib huN ..
ummeed hai pasand aayegi



benaam sa ye dard thehar kyuN nahi jata
jo beet gaya hai vo guzar kyuN nahi jata

sab kuch to hai kya dhoondhti rehti hai nigaaheiN
kya baat hai maiN waqt pe ghar kyuN nahi jata

vo ek hi chehra to nahi saare jahaaN meiN
jo door hai vo dil se utar kyuN nahi jata

maiN apni hi uljhi hui raahoN ka tamasha
jaate haiN jidhar sab maiN udhar kyuN nahi jata

vo khwaab jo barsoN se na chehra na badan hai
vo khwaab hawaaoN meiN bikhar kyuN nahi jata
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai by ankit22may in Shayri for Khumar -e- Ishq
***aajmayish ka daur thehar kyu nahi jaata*** by kaushikbhawna008 in Shayri-E-Dard
Mera Dard Kisi Se Chupta Kyun Nahi,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
DARD JATA NAHI by omprakash suthar in Shayri for Dard -e- Judai
Dard Jab Had Se Badhega To Thehar Jaayega ..!! by Talat in Ghazals « 1 2 3 4 »
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #1 on: May 09, 2013, 04:34:51 PM »
Reply with quote
adaab dostoN ...

nida faazli jee ki ek behad khoobsurat ghazal ke saath aap saahebaan se mukhatib huN ..
ummeed hai pasand aayegi



benaam sa ye dard thehar kyuN nahi jata
jo beet gaya hai vo guzar kyuN nahi jata

sab kuch to hai kya dhoondhti rehti hai nigaaheiN
kya baat hai maiN waqt pe ghar kyuN nahi jata

vo ek hi chehra to nahi saare jahaaN meiN
jo door hai vo dil se utar kyuN nahi jata

maiN apni hi uljhi hui raahoN ka tamasha
jaate haiN jidhar sab maiN udhar kyuN nahi jata

vo khwaab jo barsoN se na chehra na badan hai
vo khwaab hawaaoN meiN bikhar kyuN nahi jata



good sharing,sir
Logged
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #2 on: May 10, 2013, 02:09:18 AM »
Reply with quote
Thanks 4sharing such a beautiful ghazal. happy3
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: May 10, 2013, 11:30:54 AM »
Reply with quote
beautiful
Logged
suman59
Guest
«Reply #4 on: May 10, 2013, 11:52:02 AM »
Reply with quote
bahut khoobsurat ghazal share kiya hai apane
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: May 10, 2013, 09:48:52 PM »
Reply with quote

good sharing,sir

padhne ka shukriya saaheb, jaan kar khushi hui ki likha aapko pasand aaya...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: May 11, 2013, 10:53:55 AM »
Reply with quote
Thanks 4sharing such a beautiful ghazal. happy3

the pleasure is all mine dear....
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #7 on: May 14, 2013, 01:36:03 PM »
Reply with quote
beautiful

thanks for admiring it, saini sir...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: May 14, 2013, 01:36:55 PM »
Reply with quote
bahut khoobsurat ghazal share kiya hai apane

pasand karne ka shukriya suman ji, bas aage bhi aap yuNhi saath deti raheN....!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 09:58:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.164 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer