Jinki behnooN ka ......Aarish

by Aarish on August 06, 2012, 01:12:09 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1731 times)
Aarish
Guest
Reply with quote
 Hello iadmin ji,

 MaiN aapka dhayan aaj post hui asghar ji ki ghazal ke uper dilana chahuNga,Jo Niche pest

 kar raha Hun, Kya ye post is site par update honi chahiye, ye site adab aur shayri ke liye

 hai ya is tarha ki behuda batooN ke liye, is se pehle bhi asghar jee aisa bohut kuch likh
 
 chuke haiN jo Na qabil E bardasht tha. lekin ye to behoodgi ki had ho gai hai, agar aisa hi

  raha to mujhe nahi lagta ki jin logoN ko adab ya shayri se shaghaf hai wo is site par

  aayeNge..mujhe nahi lagta ki kisi ko bhi ijazat honi chahiye is tarha ka material post

  karne ki,  meri guzarish hai aapse is post ko foran delete kiya jaye... aur aapki taraf se

  kade lafzoN maiN Mazammat ki jaye,


Shukriya ke sath

"Aarish"




   
Jin ki behnooN ka hoon mein yaar
unn sab ko ho gaya mujh se bhair

bhla iss mein mera kya hai dosh
jo teri behnoo ko hai mujh se pyar

bechaare ko shaurat ka hai janoon
ab baatein karne laga hai behkar

shair hamesha tanha hee hota hai
uhs ke dushmn kute hote hein behshumar

mein sar pe kabi koi bojh nahi rakhta
bada jald chuka daita hoon har udaar

wo bhi apne aap ko shayar samjhta hai
gadeh se bhi gira hua hai jis ka mayaar
Report to monitor   Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jinki yaad hai by lovely_amez in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jinki yadein... by usuraj in Shayri for Dard -e- Judai
jinki dosti main by samir_bc in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Deewane Ho Gaye Ham Jinki Yaad Me by ashishjdhiman in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jinki Mohabbat Adhoori Rehti Hai Na,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Asghr
Guest
«Reply #1 on: August 06, 2012, 01:50:30 PM »
Reply with quote
Hello iadmin ji,

MaiN aapka dhayan aaj post hui asghar ji ki ghazal ke uper dilana chahuNga, jo ki neche

Pest kar raha Hun, Kya ye post is site par update honi chahiye, ye site adab aur shayri ke liye hai ya is tarha ki behuda batooN ke liye, is se pehle bhi asghar jee aisa bohut kuch likh chuke haiN jo Na qabil E bardasht tha. lekin ye to behoodgi ki had ho gai hai, agar aisa hi raha to mujhe nahi lagta ki jin logoN ko adab ya shayri se shaghaf hai wo is site par aayeNge..mujhe nahi lagta ki kisi ko bhi ijazat honi chahiye is tarha ka material post karne ki jurrat kareN, meri guzarish hai aapse is post ko foran delete kiya jaye... aur aapki taraf se kade lafzoN maiN Mazammat ki jaye,

Shukriya ke sath

"Aarish"




   
Jin ki behnooN ka hoon mein yaar
unn sab ko ho gaya mujh se bhair

bhla iss mein mera kya hai dosh
jo teri behnoo ko hai mujh se pyar

bechaare ko shaurat ka hai janoon
ab baatein karne laga hai behkar

shair hamesha tanha hee hota hai
uhs ke dushmn kute hote hein behshumar

mein sar pe kabi koi bojh nahi rakhta
bada jald chuka daita hoon har udaar

wo bhi apne aap ko shayar samjhta hai
gadeh se bhi gira hua hai jis ka mayaar
Mohtram Aarish saheb mein aap ki baat se itefaq karta hoon magar
aap ko yeh bhi khayal hona chaiye ke agar koi muje tamaskhr ka nishana banaye ga tou kya mein khamosh baitha rahon ga iss saari episode se pehle ki baat hai ke mein ne admin se iss baat ki shikaayat ki thi abi kuch he din huay ke Qais ne meri shayari pe tanz karna shroo kar diya aur kuch aur loug hein jinoon ne muje ehsaas e kamtri mein mubtla karna chaha aap daikh lein pichle chaar saloon mein mein ne kisi member ka mazaq nahi udaayaa balkay iss shararat se kabil Iftekhar saheb iss baat ke guwa hein mein ne unn se kaha ke kuch loug mere khilaaf sharartein karte hein unoo ne kaha mein admin ko bataaon ga mein ne kaha bhai jaan mein ab aisi baaton ka aadi ho gya hoon ab mein khud jawab doon ga......Asghr
Report to monitor   Logged
Asghr
Guest
«Reply #2 on: August 06, 2012, 02:03:14 PM »
Reply with quote
Mohtram Aarish saheb mein aap ki baat se itefaq karta hoon magar
aap ko yeh bhi khayal hona chaiye ke agar koi muje tamaskhr ka nishana banaye ga tou kya mein khamosh baitha rahon ga iss saari episode se pehle ki baat hai ke mein ne admin se iss baat ki shikaayat ki thi abi kuch he din huay ke Qais ne meri shayari pe tanz karna shroo kar diya aur kuch aur loug hein jinoon ne muje ehsaas e kamtri mein mubtla karna chaha aap daikh lein pichle chaar saloon mein mein ne kisi member ka mazaq nahi udaayaa balkay iss shararat se kabil Iftekhar saheb iss baat ke guwa hein mein ne unn se kaha ke kuch loug mere khilaaf sharartein karte hein unoo ne kaha mein admin ko bataaon ga mein ne kaha bhai jaan mein ab aisi baaton ka aadi ho gya hoon ab mein khud jawab doon ga ajeeb baat hai meri tehreer agar padi hai tou zahir hai Qais ki posts bhi mere baare mein padhi hoon gi shurooaat tau uhs ne ki hai mein ne tou jawab diya hai meri shayari ka yeh cheezein unwaan nahi hein urdu panjabi mein har tarah tabah azmai karta rehta hoon kehi bar kuch loug sasti shaurat ki khatir doosron pe tanz karte hein wo kaam Qais ne kiya uhs waqat aap khamosh reh meri tehreer behouda ho gayi zara insaaf kijiye.......Asghr
Report to monitor   Logged
Aarish
Guest
«Reply #3 on: August 06, 2012, 02:18:28 PM »
Reply with quote
Janab asghar saheb,

meN bas ek bat kehna chahunga agar koi aap par tanz kar raha hai to aap aap us tanz ko positive len, agar koi aap ko tanz karta hai to aap ye soch len ki ye normal hai, aur agar koi tanz karta hai to wo uski niji rai hoti hai , iska matlab ye nahi ki aap ki shahyri me koi kami hai, kya aap sochte haiN ki aapki shayri kisi ek insaan ke tanz karne se achchi ya buri ho jayegi,,  agar aap bhi wahi kareNge jo unhone Kiya to aap meN aur unme kya farq reh gaya ..... Thoda thande Dimag se socheN ,to shayad is adna insan ki baat thik lage baqi aap ki marzi jaisa aapko thik lage waisa hi kariyega......  Khuda hafiz
Report to monitor   Logged
piyushappy
Guest
«Reply #4 on: August 06, 2012, 02:45:06 PM »
Reply with quote
Aarish aur Ashgr bhai: please kisi shayri me likhe uske khyaal padhiye aur usse zyada dil se mat lagaiye...

waise bhi shayar me thoda tahrav hona chahiye...
be polite, have patience, and don't mind it.
happy9
Report to monitor   Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #5 on: August 06, 2012, 02:46:39 PM »
Reply with quote
Main Aarish bhai ki baat se ittefaq rakhta hun. Asghar bhai, aap ke saath jo bhi hua, uska badla nikaalne ke liye aapko aisa nahi karna chaahiye. YOIndia pe bhaddi zubaan bilkul na-qaabil-e-bardasht hai. Aapko aisi bhaddi aur gandi shayri post nahi karni chahiye.

Admin,
Requesting you to please interfare and delete this post from Asghar.
Report to monitor   Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: August 06, 2012, 03:09:34 PM »
Reply with quote
shaayar socity ko aainaa dikhataa hai agar wahee behoodgee dikhaayegaa to kaise chalegaa meree reqest hai ki apne lafzon par kaaboo rakkhe aur socity ko achhaa raastaa dikhaaye
Report to monitor   Logged
Qais
Guest
«Reply #7 on: August 06, 2012, 04:49:19 PM »
Reply with quote
Arish saheb aur dosto.chunki asghr saheb ne ilzam lagaya hai ki Qais ne unki shairy per tanz karna shuru kiya to main safai de dena zroori smajhta hoon.Is site per log poems parhte hain aur comments karte hain.Humor ki poetry mein comments bhi mostly Humor mein hote hain.Asghar sahab ne koi poem post ki thhi jo kafi humorous thhi aur usmein eik lafz 'jugrafia' use kiya .Poem ki tareef karte hue main ne unki post per kuchh is tarah comment kiya tha ki lafz 'jugrafia' se mere dimagh mein bhi kuch humour paida ho raha hai aur main bhi kuchh likhunga.Phir main ne "jugrafia" aur "tareekh" words use karte hue poem likhi .Ye poem keval humour mein thi tanz mein nahi kyunki main khud radeef,qafia aur baher ke bina likhta hoon .Aur agar ise tanz samjha bhi jaaye to aam tanz hoga na ki bhai aghar saheb ko target banakar.Lekin asghr saheb shayed mazaq karna pasand karte hain mazaq samajhne  aur bardasht karne ka jazba unmein nahin hai.Is ke baad ki meri likhi poems aur asghr sb ki likhi posts agar language ki wajah se delete nahi ki ja chuki hain to abhi bhi site per dekhi ja sakti hain jin se zubaan sahi ghalat ka andaza ho sakta hai.Itna zaroor kahoon ga  ki ishaaron ki zubaan samajhna aur unka jawab dena sub jaante hain .Lekin hadein paar karna kisi shair ke liye munasib nahin. aur yeh kum se kum main nahi kar sakta.Asghar saheb se bhi guzarish karunga ki woh apni izzat aur doosre ki izzat ka khayal rakhein . kya woh chaaheinge ki jo zuban woh doosron ke liye use kar rahe hain wahi unke liye bhi use ki jaaye.
Report to monitor   Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #8 on: August 06, 2012, 05:10:20 PM »
Reply with quote
main Yoindia pe tamam doston se kahina chahooga ki:

Shayron ne duniyan ko chalne ka rasta dikhaya hai
Waqt waqt pe gum rahon ko raah pe laya hai

Shayar apne lafzon se duniya ko badal sakata hai
Wo to tabhi ho sakta hai jab wo dil ko choo leta hai

Arz hai sab se khatam  karo yeh bahas mubahisa
Koshish karo aur likho kuchh achha sa
 
Mohabat pe llikho ya ibadat pe likho
Gam pe likhp ya khushi pe likho

Zamane pe likho ya khuda pe likho
Par arz hai job hi likho kuchh achha sa likho
na cheez bansi
Report to monitor   Logged
soudagar
Guest
«Reply #9 on: August 06, 2012, 05:13:09 PM »
Reply with quote
qais bhai aur ashgar bhai... aap chhoti si b aat ko bada mudda na banaye aur saaf suthri shayari gazal par dhayan dein agar kisi ko kisi ki shayari ke liye kuch bh ikehna ho to kripya saaaf shabdo mein uski shayari par comment karein..... abhdar bhasha to insan ke vyaktitav aur ghar ( site) ko sidhe sidhe thesh pahuchati hai..........

hum sab yahi chahte hai ki hum yahan se kuch achha sikhe aur apne aap mein nikhar laye aur  achhe insan ke roop mein jane jaye...... waise bhi shayar ki sabse badhi khubi saini sir aur piyush ji ne batayi hai  use amal mein layein....



admin sir kya action lete hai main nahi janta par aap apne dil se puchhiye kya aapne jo kiya uske liye aapke dil ne izzajt di......
plz aap apne shabdo ko vicharo ko khubsurat qalaam se nawaziye na ki ek dusre par katash karne ke liye abhdar shbdo mein........
Report to monitor   Logged
Asghr
Guest
«Reply #10 on: August 06, 2012, 05:28:16 PM »
Reply with quote
shaayar socity ko aainaa dikhataa hai agar wahee behoodgee dikhaayegaa to kaise chalegaa meree reqest hai ki apne lafzon par kaaboo rakkhe aur socity ko achhaa raastaa dikhaaye
Saini saheb aap ne dekha hai ke mein ne kabi kisi member ki shayari pe tanz nahi karta kya mein sab lougon ki shayari ka mazaq nahi uda sakta aisa kar sakta hoon magar mein isay ghatiya samjhta hoon to jo aisa kare mein khamosh nahi reh sakta kyon ke jab koi adab ki boundry cross hai aur doosra khamosh rehta hai tou phir aur loug bhi uhs se aisa bartao karein gaye ab wo zamana nahi ke koi aik gaal pe maare tou doosra aage kar dou.....ASGHR
Report to monitor   Logged
Asghr
Guest
«Reply #11 on: August 06, 2012, 05:46:30 PM »
Reply with quote
Janab asghar saheb,

maine bas ek bat kehna chahunga agar koi aap par tanz kar raha hai to aap aap us tanz ko positive len, agar koi aap ko tanz karta hai to aap ye soch len ki ye normal hai, aur agar koi tanz karta hai to wo uski niji rai hoti hai , iska matlab ye nahi ki aap ki shahyri me koi kami hai, kya aap sochte haiN ki aapki shayri kisi ek insaan ke tanz karne se achchi ya buri ho jayegi,,  agar aap bhi wahi kareNge jo unhone Kiya to aap meN aur unme kya farq reh gaya ..... Thoda thande Dimag se socheN ,to shayad is adna insan ki baat thik lage baqi aap ki marzi jaisa aapko thik lage waisa hi kariyega......  Khuda hafiz
Aarish bhai ramzan ka mubark mahina hai mein jhoot nahi boloon ga in lougon ka aik poora group hai jo har jaga muje badnam karte hein ab aap khud he andaza karein ke mein maziya likhta hoon mein kisi pe tanz nahi karta aik hota hai mazaq aur aik hai tanz aaj agar aik aadmi ne tanz kiya aap nahi bolay kal doosra kare ga aap aik mazaq bun kar reh jaaien gaye mein kisi ko kuch nahi kehta mein bhi chata hoon koi mere baare bhi na aisa kehe yeh sirf muje badnam karne ke liye aur hasad hai iss ke siwa kuch nahi muje tajab tou iss baat pe hota hai jab mere khilaaf nazeba zubaan istmaal hui blkay kehi comment dene waloon ne ghtiya zuban istmaal ki aur wah wah ki gai jab mein ne uhs ke jawab mein baat ko aage badaya tou wo buri baat hui kya yeh double standard nahi hai sharart karne waalay ko koi kuch nahi kehta ...Agar koi guhstaakhi hui ho to maaf kar daina....Asghr
Report to monitor   Logged
Asghr
Guest
«Reply #12 on: August 06, 2012, 06:30:20 PM »
Reply with quote
Aarish aur Ashgr bhai: please kisi shayri me likhe uske khyaal padhiye aur usse zyada dil se mat lagaiye...

waise bhi shayar me thoda tahrav hona chahiye...
be polite, have patience, and don't mind it.
happy9
dikhiye jaise mere alfaz ache nahi lage aise jab mere khilaaf likha kaha jata tou mere jawab dene ki nobat na aati.....Asghr Ps agar koi baat achi na lagay maaf kar dena
Report to monitor   Logged
Asghr
Guest
«Reply #13 on: August 06, 2012, 06:36:20 PM »
Reply with quote
qais bhai aur ashgar bhai... aap chhoti si b aat ko bada mudda na banaye aur saaf suthri shayari gazal par dhayan dein agar kisi ko kisi ki shayari ke liye kuch bh ikehna ho to kripya saaaf shabdo mein uski shayari par comment karein..... abhdar bhasha to insan ke vyaktitav aur ghar ( site) ko sidhe sidhe thesh pahuchati hai..........

hum sab yahi chahte hai ki hum yahan se kuch achha sikhe aur apne aap mein nikhar laye aur  achhe insan ke roop mein jane jaye...... waise bhi shayar ki sabse badhi khubi saini sir aur piyush ji ne batayi hai  use amal mein layein....



admin sir kya action lete hai main nahi janta par aap apne dil se puchhiye kya aapne jo kiya uske liye aapke dil ne izzajt di......
plz aap apne shabdo ko vicharo ko khubsurat qalaam se nawaziye na ki ek dusre par katash karne ke liye abhdar shbdo mein........
shaayar socity ko aainaa dikhataa hai agar wahee behoodgee dikhaayegaa to kaise chalegaa meree reqest hai ki apne lafzon par kaaboo rakkhe aur socity ko achhaa raastaa dikhaaye
Soudagar bhai jab mere khilaaf likha gya koi nahi bola uhs waqat agar aisa ho jata tou muje aisa jawab na daina padhta Asghr
Report to monitor   Logged
Asghr
Guest
«Reply #14 on: August 06, 2012, 06:45:40 PM »
Reply with quote

Main Aarish bhai ki baat se ittefaq rakhta hun. Asghar bhai, aap ke saath jo bhi hua, uska badla nikaalne ke liye aapko aisa nahi karna chaahiye. YOIndia pe bhaddi zubaan bilkul na-qaabil-e-bardasht hai. Aapko aisi bhaddi aur gandi shayri post nahi karni chahiye.

Admin,
Requesting you to please interfare and delete this post from Asghar.
Iftakhar bhai jab mere baare likha gaya tou koi nahi bola
agar uhs waqat koi bolta tou mein khamosh rehta balkay kuch comment karne waalon ne ghtiya zubaan istmaal ki tou unn ka kuch nahi pehle tou wo post dellete honi chaiye phir meri muje iss double standard ki samajh nahi aati? maaf karna agar koi ghustaakhi ho gai ho .....Asghr
Report to monitor   Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 06:37:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.181 seconds with 27 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer