Khooni qila (Horror story)

by asif biswas on October 29, 2014, 03:02:54 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 10247 times)
asif biswas
Guest
Kahani shuru karne se pehle main hamesha ki tarah kehna chahta hoo ki this story is a fictionall and no relations with any real world this story is meant for entertainment and nothing else…kahani ke sabhi characters place cheezein puri tarike se fictional hai..sirf aur sirf kuch aisi cheezo ko include kiya gaya hai jo real life based events huyi hai aur oonmein jo cheezeib batayai gayi wohi is story mein mauzud haiii this story is last volume of top three satanic stories so pls read it enjoy it share it but don’t copy it thanks 

Ttaannnnnn…trainnn jald hi platform pe ruki…lekinnn sadharan platforms aur train ki tarah is station pe wohh bheedh nahi thi jo hoti hai jaise dhakka bheedh bhaadhh aisa kuch bhi nahi main apni wife varsha ke sath jaise hi train se niche utara bag wag sab leke idhar udhar coollie ko khojne lage…lekin ye kyaa coolie toh dur ki baat ek parinda tak bhi station pe mazud nahi bad charo or station pe jal rahi lights aur ek purani si railway timing gharii

Achanakkk train ki or dekha…ek siti bajne ke baad….chuk chukk chukk..karti kartii train puri gati ke sath patri pe daudh pariii…aur jald hi pura station sannate se bhar gaya…raat kareeb 11 baj chukka tha….varsha paas kharii ek purse taangein aur ek easy bag liye meri or dekhke maano jaise narazgi jhadhne lagi…maine oose thodhaa shaant kiya…hum dono bag leke station se bahar jaane lage

Harsh – azib baat haii naa koii coolie na koi passenger aur even koi station master bhi nahi azib haiii
Varsha – ohh tumhara hi toh idea tha na shaadi se pehle kya bola hum honeymoon pe jaayengee Switzerland denmarkk ya italy jaane ke baajaaye Hindustan ke kaun se haunted place mein leke aa gaye ho tumm damn itt
Harsh – arre gussa thook do varshaa tu mnahi janti is jagah ke baarien mein kabhi ye rajwada ilaaka tha...khairr maine yahan aane se pehle yahan ke baarien mein kaafi reseach kit hi internet pe sochaa Switzerland ki thandhak italy ka maidaan dekhne se toh accha haii ki koi interesting jagah jaaye aur aajkal toh har jagah insaan hi hai kahan enjoy kar sakte hai
Varsha – isliye qabaristan hi khoj li hai naa
Harsh – hahaha accha theekk hai pehle hotel toh le le ooske baad dekhenge agar pasand na aaya toh waapis
Varsha – hmm theek haii

Asal mein apne baarein mein toh batana bhul gaya mera naam harsh kumar umar 26 saal…mumbaii university se theek M,A history ke degree paate hiii professor line chunaa…aaj mubai university ke top professors mein se hoo…khair sarkari college ka yahi faayeda hai…sarkari kaam aur itna jhanjhat bhi nahii varshha hahaha phd student jo jald hi mere pyaar ki degree paa chuki thi…hum dono ki mulaqat normally chit chat college mein chaii peena aur bahar thodha ghumna fhirna hota..lekinn varsha itni khubsurat aur jawaannn ladki mere zindagi mein pehli baar aayithi isliye naa keh paana thodha muskil tha aur jhatpat acchi naukri haath meinn toh shaadi karne mein waqt na lagaa….phd karne ke baad varshaa ke sath shaadi karke acchi zindagi basar ki abhi 3 mahina hi hua hai shaadi ko ki varsha ne ratt lagayii honeymoon pe chalte hai

Khair pehle bahut travel agenets bari bari logo se baat kiya par mera koi bahari desh mein jaane ka dil hi nahi tha…asal mein main apni zindagi mein excititing kcuh chahta hoo Jaise kuch romanchakkk honeymoon mein bahar kahi jaana matlabbb koi enjoyment mujeh nahi lagtaa koi aisi jagah hai jahan hum do ke sivaa koi naa ho bas fhir kyat ha kismat kowohi manzur

Ek student ne bataya kiii alipur chale jao sir wahan bare bare purane castles haii dur dur tak koi aadmi nahi asal mein wahannn itna sannata hai ki log wahan jaana nahi chahte kevall kuch log geene chune waasiya hi rehte hai…mujhe ismein thodha thrill lagaa ye sunke pehle varsha ko dus ghante lage insist karne mein aur aakhir mein ooski haan ne mujhe aage badhne ka mauka diyaa

Aur jald hi yahan ke liye do train badli…varsha ka toh haalat hi kharab aur mainn main toh bas exciting ke maarien paagll….jald hi station se hum aage aaye toh ek budha sa chaukidar station se jaa rhaa tha…humne turant oose rok daala…ooske piche mudhte hi safed nikalti dhaadhii dono gaal dhasse huye aankho mein jaise itne kaale ghere maano sau saal se abhi tak soye nahiii theek paas jaake oonke samne main khara huaa

Chaukidar – arre aapp kaunn hai ? itni raat gaye yahan ?
Harsh – umm asal mein hum log mumbai se aa rahe haiii do traine badli aap log ke is jagah ka itna route kharab ki kolkata aake fhir train pakadhni padhii khair ek baat bataiye kya yahan koi rehta nahi hai? koi station master nahi koi passenger nahi even koi coolie nahii aur bahar ke raaste ko dekhke lag raha hai koi tonga richshaw even bus tak bhi nahi hai
Chaukidaar – hahaha jaise qabaristaan waise ye chota sa sheher asal mein yahannn aake aap shehri waalo ne bahut bari bhul ki hai
Harsh – m..matlab
Chaukidaar – ek minnn

Chaukidaar ne ek maachis se cigarette jalayi aur sidhe machi ko faikhte huye beedi ka ek mota kash leke hawa mein dhua chodhaa
Chaukidar – asal mein yahan koi aata jata nahi hai zyada pichle saal hi toh ek angrez aaya tha
Harsh – matlab yahann har roz koi utarta nahi train se
Chaukidaar – aate aate haii par kabhi kabhar utarte hai asal mein is sheher mein aane aur jaane waale log bahut kam kyunki is sheher ke baarein mein log kuch itnaj aante nahi sirf itna jaante hai ki yahan pe saikdo purane british haveliya aur qile hi mauzud haii
Harsh – hmm interesting toh hai tabhi toh aaye hai khair yahan aas paas koi hotel haiii
Chaukidaar – hahaha yahan aas paas koi hotel toh nahi hai babu lekinn ek gaon hai yahannn se kareeb 2 mile dur aap wahan jaa sakte ho umm yahi kacchi sadak aur fhir sidhe chale jaaye bas dikh jaayega
Harsh – waise agar yahan jab koi hai hi nahi toh fhir yahan log rehte kyu hai ?
Chaukidar – hahaha ye toh british ke zamane se log hai yahann babu ye station dekh nahi rahe train yaahn do baar hi aati hai ek toh subahh aur ek aadhi raat ko waise zyadatar koi paseenger utarta nahi fhir bhi yahan train rukti hai khair main toh jaa raha hoo raat bahut ho chuki hai aap aadha rasta tayy kar le lekin savdhann in junglo mein jaanwar bahut sare haii
Varsha – tab tohh station pe hi rukna theek hai
Chaukidar – hahaha dekh nahi rahe hai  kitna sunsaan ilaaka hai bas lights jal rahi hai chota sa station teen se banaya huaa hahha khair jaaiye jaldi chale jaiye
Harsh – aur aap?
Chaukidar – in junglo ke theek oos taraf railway quarter hai main wohi rehta hoo

Itna kehte huye chaukidar bheedi ka kassh leta huaa jungle mein naa jaane kahan gum ho gaya…andhere sannate bhari raat…upar se kacchi ubbadhh khaabdh sadak varsha mujhe pure raastein kose jaa rahi thi aur main bas mazburi mein sehte jaa raha tha

Dheere dhere karke kacchi sadak se chalte chalte hum kafi dur aaye varsha ke taango mein dard shuru ho gaya…wohh patthar pe baith gayi main bhi bag pakre thak chukka tha..Hum dono sard raat meinn thithurte huye pathro pe hi baithke sochne lage ki aakhir kiya kya jaaye…waqt ki or jab torch maari toh ghari mein kareeb 11:45 baj chuke they

1 mile se zyada chal liya hoga lekin naa koi ghar even koi gaon ki jaltii roshni bhi nahi dikhi…varsha pareshaan hone lagii aur mainn is vyavan jungle mein bas thithake baitha huaa tha..ek haath mein torchhh aur aur baaye pocket mein chota sa lighter…koi hathyaar bhi nahii is baat se thodha darr bhi tha
Varsh – uff pata nahi kaise kaise jaanwar ro rahe hai ? in junglo mein se awaazein aa rahi hai ek kaam karte hai let’s go back to the station
Harsh – varsha hum bahut dur aa gaye haii waapis nahi jaa sakte

Abhi mainn varsha se baat hi kar raha tha…ki achankkk sadak se ek roshni aati dikhiii…dekh rahe they ek mashaal jaaye aadmii aa raha haiii ek jacket aur jeans pehna huaa….oose dekhke hi pehle toh bhayy laga fhir laga kya pata ? koi dacait koi ho? Varsha aur main oose sehemte huye dekh rahe they achanakk wohh hamare nazdeek ayaatoh paaya ooske piche ek ladki bhii thii jo ekdum dheere dheere ooske sath chalte huye aa rahi thi mashaal ki roshni mein oos shaks ka chehra dekhaa toh paaya ki koi aam aadmi tha lekin yahan ka toh nahi lga raha tha aur naa hi wohh ladki Shehri poshak pehne jab paas aaye tohh ooke nazaro se dhyaan tuta

“aap logg? Kaunn?”….ooski awaaz mein maano koi dehshat nahi tha lekin wohh bhi humhe oonhi nazaro se dekh raha tha ji nnazaro main aur varsha oonhein dekh rahe theyyy

Harsh – ummm asall meinn hum log Mumbai se aaye haii do traine badliii aur jab yahann aaye tohh is jagah mein naa toh koi log hai aur naa hi koi gaon hamara toh bura haal haii meri wife ki tabiyat bhi kuch theek nahii

Oosne ek baar varsha ki or dekha aur fhir kuch sochta huaa meri or…ooske piche khari ladki saamne aa gayiii dikhne mein bala ki khubsurat lag hi nahi raha tha ye log yahan ke hai par yahan kaise ? sawalo ka soch tab tuta jab oos shaks ne awaaz di

“HAHAHA hath milaao boss same hamara haal”…oosne haath badhaate huye kaha maine dheere dheere oos shaks se haath milaayaa…itna saqt haath kabhi zindagi mein nahi mehsus kiya tha kisi ka

Asif – by the way my name is asif asif shaikhh and she is my fiancée sanjana
Harsh – ohh hello hello

Maine dono ko hello kaha…sanjana muskuraye varsha ki or dekh rahi thi maine bhi varsha se dono ko milwaaya is baat ki khushi thi ki ab akelapan aur zyada dair rukne nahi wala

Asif – umm asal meinn shayad hum log oosi train se utare hai jis train se aap par aap log shayad aage badh gaye ho
Varsha – na..nahii tohh asal meinn train se toh koi nahi utara even train ke jaate waqt bhi hum wohi khare they par train toh seedhi nikal gayii

Iske baad asif ke chehre pe haath ragadte huye maine saaf dekha fhir oosne meri or dekhke ekdumm se muskuraka bola

Asif – hmm hahaha koi baat nahi shayad aapne humhe dekha nahi ho…asal mein hum log bhi kolkata se aa rahe haii sunaa tha yahan bahut dekhne laayak jagah hai so sanjana ka mann hua aur hum yahann aur aap log?
Harsh – lagta hai hamari kismat ek jaisi hi haii dekhiey na hum log bhi yahan historical views ko dekhne aaye aur shayad hamare khud ke rukne ke liye koi jagah nahii even wohh chaukidaar bhiii azib sat ha jaise maano murda uthke aa gaya ho qabar se
Asif : hahaha nahi aisi bat nahi hai asal mein yahanek purana qilaa hai jahan pe log aksar teherte hai
Varsha – k.kya ? sach mein
Sanjana – haan humhe toh pehle se hi pata haiii
Varsha – ye baat tumhein pata nahi thi harshhh
Harsh – ummm n..nahii qila kaun sa qilaa jahan log teherte bhi hai
Asif – bhaii lagta hai tum yahan ke baaein mein zyada jaante nahi khair yahan rukne se khatra aur badhegaa chalo mujhe raasta maalum hai hum log wohi tehrte hai ruk bhi jaayenge aur kal subahh fhir saath mein ghumenge bhi kyu aap logo koi aitraaz tohh ?
Harsh – ummm nahii nahiii chaliye

Sanjana ekdum se muskuratii asif ka haath pakre aage chalne lagi aur main aur varsha theek oon dono ke piche chalte chalte rahe…raaste mein hi baatein shuru ho gayiii

Harsh – umm aapko ye mashaal kahan se mili
Asif – ohh bas jungle se lakri ko todhaa ek purana apna kapra ko lapaita aur aag lagake mashaal tayyar waise bhiii in junglo ko dekhke gaur kar hi sakte ho in gehraaiyo mein koi na koi ghatak jungli janwar ho sakta hai aur ye jagah itni theek bhi nahii
Harsh – hmm lagta hai jaise aap surviving karna jaante haii
Sanjana – asal mein ye Logo ko jaan se maarna tak jaante hai

Sanjana ki muskurati who baatein suke ek pal ke liye main aur varsha wohi thithak gaye….asif ekdum se piche mudhke hassta huaa sanajnaa ki or pyar bhari nigaaho se dekhne laga

Asif – hahahahaa asal mein mujhe ye sab karne ka shouk hai na ahi main koi military mein tha aur naa army ya police department mein bass shoukk ke aage bhoot bhi naache wohi haal Khair ye guftago toh hotel mein bhi ho sakti hai abhi toh waqt para hai aaiye jaldii

Itne kehte huye main sehemke varsha ka haath pakre ooske piche piche chal raha tha…ajanbi log aur ek baat gaur karne ki who jis raaste aaye wohh raasta toh ghanaa jungle aas paas toh chaukidar ne kaha sirf aur sirf jungle hai tohh fhir ye log wahan kaise? Station ka rasta jahan se hum aaye theek wohi se..sawalo ki kashmakash mein jab saamne ki or dekhaa tohh paaya ki ek baraa sa qilaa haii angrezo wala qilaa..yakeenan Bengal mein angrez ka zyada shaashan tha pata tha…lekin oonka qila jo ab tak bilkul sahi salamat…

Jald hi qile ke kareeb aake maine qile ko bari gaur se dekhaa cone ki tarah imaartee..pattharo se tayyar ki gayii ye qilaa..saamne ek bara sa dwaar..aur khidkiyo mein se roshni saf dikh rahi thii

Hum dheere dheere asif aur sanjana ke sath oos raaste chalne lage…jo rasta sidhe bare se oos qile ke theek saamne ke dwaar pe aata tha….”arre lagta hai yahan pehle se hi koi mazud haii”….harsh ne roshni ki or dekhte huye kaha

Thak thakk thakk thak…sikdi lagi dwaar ko peette hi..achanakkk chrr chrrr karta huaa darwaja khulne laga….ek azib si teekhi gunzti awaaz ke sathh andar ka drishya dikhne lagaa…ek baraa sa hall azib si mehekkk aur charo taraf mombattiyaa

Varsha – uff ye koii rehne laayak jagah nahi lagti itna sannata hai yahann lekinn ye mombattiyaaa
Asif – andar chalo

Asif mashal ko liye sidhe andar sanjana ka haath pakre jaane lagaa…harsh bhi sehemta huaa aage badhne laga varsha ne theek ooska kandha pakra huaa tha…hall mein aate hi ek bheeni mehek si gunz rahi th icharo or mombattio ki roshniii sher baagh bison barasingha ke kate sarr frame ki tarah uche diwaro pe lage huyeee shayad jo yahan ka raja ho oosi ne in janwro ka shikar kiya ho ek pal ke varsha ko ulti si aane lagiii..lekin maine oose sambhaal liyaa
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
.....Real Horror Story..... by sweet_raabii in SMS , mobile & JOKES
Tehkhaana (Horror story) by asif biswas in General Stories
Raj mahal (horror story) by asif biswas in General Stories
KHOONI DIL : Reboot (Romantic thriller horror story) by ASIF in General Stories « 1 2  All »
AAFAT - A tale of horror (Horror story) by ASIF in General Stories « 1 2  All »
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: October 29, 2014, 03:03:38 PM »
Harsh – waisee ye qila kiska haii ? lagta hai jaise koi rehtaa ahaii yahannn

Welcome to all of u…ek patli si awaaz sunaai di ek coat aur pant aur ribbon bandha shakss sidiyo se niche utar raha tha..ooski or hamari nigaah gayii sab koi oose chupchaap dekh raha tha…mombatii ki roshni mein jab gaur karaa toh paaya ki jaise wohh angrezz tha ooski baatein sunke hi waise laga tha lekinn itni veeran jagah mein is qile mein ab bhi log rehte hai bara ascharya huaa

Harsh – ummm wohhh aap kaunn ?
Shaks – hahaha my name is louis asal meinn hum yahannn kaafi time se reh rahe haiii aapp logg yahaan aaye bahutt hi khushiii kyunkii bahutt kamm log hi yahan aate haiii
Harsh – to..hh aap yaahnn akeele?
Louis – ji haan Wilson charles jab India aaye they toh mere father ne mujhe sir Wilson ke sath yahan bhejaa tha kuch hi saalo mein oonka inteqaal ho gaya aur aap sab toh jaante haii ki desh azaad huaa ooske baad hum yahi isi mahal mein reh gaye khair tabse main hi Wilson sir ke jaane ke baad is qile ki rakhwali karta hoo
Asif – Wilson ka koi beta nahi thaa ?
Wilson – ek beti thi Oonhone Indian se shaadi ki thii theek beti ke hote hi oonki maa ki jaan chali gayi tabse Wilson aur sadmein dubne lage
Varsha – aur oonki iklauti betii ?
Louis – oonki bhi mautt ho gayiii oonka khoon hua thaaa

Ye baat sunte hi hum sab sihar utheyyy khaaskar ke mai naur varshaa sanjana bas chupchaap muskurayii ekdum gambhirta se asif ki or aur asif bhi theek ooski nigaaho se sanjana ki or dekh raha tha…Louis ne fhir chuppi todhii aur hum logo ka saaman lene lagaa louis ko jab saf tarike se roshni mein dekhaa tohh ek angrez jaisa hii gora ekdum barf ki taraf safed chamdii ka aanko ke niche kaale ghere aur coat pant mein kharaa tha saaf pata chal raha thaa ye ek british servant jaisa hi haiii

Khair qile mein light koi vyavastha nahi thiii isliye mombatti ke sahare rehna hotaa tha..hum log dheere dheere samaan oose deke upar sidiyo se chadhne lage khat khatt khud ke kadmo ke awaaz ko sunek dil dehel sa jaata…main eek nigaahhh louis ki or daudhaayi jiski nigaah ek tak varsha ki or thi….mujhe thodha azib lagaa lekinn maine varsha se baa karna shruu karna dala

Varsha – uff ye kaisi haunted jagah hai? itna purana qila aura b bhi log rehte hai yahann mera toh ekdin bhi dil nahi lagega
Harsh – hahaha Maine kya kaha tha is veerann jagah mein bahut kuch hai rahasmayi cheezeinn khair aaj kisi tarah so jate hai kal subahhh nikalenge aas paas bhaut kuch hoga arre louiss yahan aas paas aur kya kya hai ?
Louis – sir yahan aas paas sirf Ghana jungle aur ek bari si nadiii haii qile ke theek kuch duri pe ek purana band church haii kabhi wahan log jaaya karte they par ab jab yahan dheere dheere log sab chale gaye toh bas khandar hi khandarr
Harsh – oh tohh yahann koi aaya nahii kabhi I mean jaise koi tourist log
Louis – aate hai sir aate hai aur ek baar aane ke baad waapis jaana nahi chahte waise kuch log yahan ek mahine pehle aaye they fhir chale gaye
Harsh – ohh acchaa theek haii

Jald hi upar hall pea ate hi dekhaa charo or purani makadi ki jaali se bhari tasveereinn aura as paas kuch darwazee…matlab shayad kamre ho.hum dheere dheere aage badhein..asif muskurayee hum logo ko dekhne lagaa

Asif : khair mujhe toh bahut thakaan ho rahi haii aur sanjana ko bhii hum toh chale sone so guyz see u tommrrow goodnight

Itna sunte hii louis ne ek chaabi oonko diya aur wohh log theek bagal waale kamre mein muskurate huye humhe dekhe chale gaye..louis ne varsha ko dekhte huye humhein bhi ek chaabi diyaa….”ummm k..kuch khaane peene ka intezaam hai”…maine thodha dheemein swar mein kaha

Darwaze ke khulte hi hum dono kamre ke andar aaye…bistar par sab theek thaak tha ek bara bistar paas mein ek chota sa table kuch tasveerein diwaaro pe jismein angrezo ke sath logo ki tasveerein oonhein ghurrte huye saaf pata chal raha tha ki ye Wilson hi haii ek topii hatho mein do naal ki banduk british waqt ke wohi poshakk aur shikari jutte….chehra ekdum saqt dekhke hi lag raha haii kaafi usulwadi ho aur oonke sath log sabb pehchan mein nahi aaye

Harsh – ek baat batao Ye Wilson ki beti ki tasveer kahan pe hai?
Louis – haii sir jald hi aap dekh longe khair mai naap logo ke khaane ka intezaam karta hoo aap aaram kijiye kisi bhi cheez zarurat ho toh bas kamre se bahar nikalke ek bar bula lijiyegaa

Itna kehte huye apni palak jhapkaayi thi ki naa jaane andhere mein kahan hawa ki tarah gayab ho gaya louis…”umm louisss shayadchlaa gaya”…maine bahar ke andhere ki or dekhte huye bola

Varsha – uff yahan sabkuch kitna azib hai pehle wohh couple wohh shaks asif aur sanjana maano jaise oonhein koi darr nahii lekin ek baat gaur kiya oon logo ke kuch khaane ke baarien mein kaha hi nahi
Harsh – arre chodho na varshaa jaane do khair chalo kuch toh sahi jagah mili fir chaukidar ne jhoot kyu bola ki aas paas gaon haii jabki itna accha qila hai yahn pe waahhh wohh bhi british ke zamaane ka sach mein aisi jagah mein kaun kyu nhi aana chahta?
Varsha – tumne dekha wohh louis bhi kitna azib haiii..
Harsh – jaane do humhe kya karna hai ? arre yahan pe khidkii hai

Ek bari si purani khidki thi sheeshe se bahar ke paid hawa se hel rahethey jiski parchaaii kamre ke andar aa rahi thi…ooski lambi lambi tenhiyaa aur ghane jungle mein siyaar ki awaaz sunk eek pal ke liye varsha sihar uthii tez hawaa chal rahi thi maine jhat se khidhki lagaa di aur saaman nikaalne lagaa

Varsha – mujhe kuch gadhbadh lagta hai ye akela aadmi louis yahan akele rehta haii chaukidaar ne is qile ke baarein mein koi baat bhi nahi batayiii
Harsh – dekho varsha yahan ke baarein mein koi zyada jaanta nahii isliye koi nahi aaya khairr chalo main thodha sa munh haath dhoke aata hoo yahan koi bathroom dikh nahi raha
Varsha – t..tum mujhe akele yahan chodhke andhere mein kahan jaa rahe ho ?
Harsh – uff ho theek haii louis ko aane do wohhi batayegaa !

Thak thak thak thak..kisi ne darwaaje ko khatkhataya…main aur varsha ekdusre ko sihare dekhne lage…main dheere dheere kamre ke darwaaje ke paas gaya aur darwaja khulaa…saamne mombati jalaye ek tray pe rakhaa kuch plate se dhakkaa khaana tha ektak louis bari nigaaho se hamari or dekhen jaa raha tha

Louis – aapka dinner sirr
Harsh – umm tu..tumm tohh abhi 1 min pehle hi gayee
Louis – haann sirr khaane ka intezaam ho gaya
Harsh – acc..ha theek haii tum jao

Louis ke jaate hi ek baar oosne piche ki or mudhke dekhaa kaisi azib nigaahein bas baar baar varsha ki or dekh rahi thii..main chupchap darwaja lagaye andar aa gaya…plate ke khulte hi paaya ki kuch chicken rice theyyy..varsha ko khaaya nahi jaa rhaa tha lekin maine kaafi jaanch karke ek nivaala munh mein liyaa.

Harsh – umm yahan ki service itni buri nahi hai HAHAHA
Varsha – pata nahiiii

Jald hi raat dhalne lagaa…chand ki roshni saaf khidhki pea a rahi thii andar ka kamra chandi ki fiki roshni se ujaagar thiii..achanakk varshaa ki neend tutiiii…ghann ghann karti ho awaaz..maano jaise kaan mein kuchh log dheere dheere baatein kar rahe ho aur oonki bhari awaaz sunaai de rhai ho….varsha chupchaap bistar se uthke meri or dekhii main gehri neend mein….varshaa dheere dheere darwaaje ke thodha paasg ayi ki oose laga jaise theek bagal se jaise wohh awaazein aa rahi ho

Varsha ne dheere dheere apna kaannn diwaar pe lagayaa…saaf bhi nahi par fhir bhi thdoha bahut kcuh sunaa ide raha tha kuchhh log baatein kar rahe they zor zor se aur hassein jaa rahe they lekin ek aurat ki kuch mardo ki awaaz hahaha karti oon hassi ko sunkee ek pal ke liye varsha sihar uthii lekinn bagal ke kamre mein tohh asif aur sanjana tehre haii toh fhirr…lekinn bhari awaaz ek mard ki nahii maano jaise ghan ghan karti huye kitne log haii kamre meinnn

Varsha sehemte huye jaise hi aur sunna chahii oose ahesaas hua ki awaazein aani band ho chuki hai….fhir dham dham dham  kadmo ki awaazz bahar koi tehel raha ho jaise..varsha ek pal ko waha na ruki aur sidhe daudhti huyi chadar odheyyy mujhse lipatke so uthiii

Neend tab tuti jab kisi ne darwaaje pe dastak diii thak thakkkk thakk thakkk koi darwaaje ko baar baar khatkhataa raha tha…maine angraai lete huyee haaphi chodhi aur varsha ki or dekha jo uthke meri hi tarah ekdum hairaan thii aur angraai lete huye aankh masal rahi thii

Maine dheere se darwaja kholaa..ho ho karti hawaa ki awaaz aur ek thandak mehsus huyii subahh 5 baj gaye they

Louis – goodmorning sirrr
Harsh – o..hhh good..morningg itni subahh subahhh
Louis – hahaha ab aadat daal lijiye is samay mein hi aapko nashta aur chaii milegaa
Harsh – k.kyu ?
Louis – ye is haveli ki parampara hai


Itna kehte huye tray table rakhte huye louis jald hi kamre se nikalke sidiyo se niche chala gayaa…dono naashta karke faarig huye do cup chaii aur kuch bread aur butter..azib baat thi yahan koi dukaan nahi koi khaane ki vyasvastha nahi toh fhir ye sab cheeein aa kahan se rahi thi? Khair varsha ne kaha ki wohh thodhey der aur soyegii..maine bhi socha qile ke aaspaas ke nazare dkeh looo aur ye bhi dekh loo ki sanjana aur asif kahin meri tarah uth toh nahi gaye accha hi hoga oonke baarein mein aur janne ko millegaa…varsha soyi gayii aur main subah hote hote kuch dair meinn qile se bahar aayaa…qila suraj ki roshni ke bawjud kirano se hi bas ujaagar tha.baaki andhere mein dooba jaise lagta hai yahan harpal veerani chai hoti hai kidhikia sheeshe waalo se roshni aur darwaaje aur khidhki bas band…mujhe ye baat thodhi azib lagii maine dheere se darwaaje se bahar nikalke bahar gaya bahar dhoop ki roshni aur chidhiyaa chur chur ki awaz  kar rahi thi

Charo or gehra sannaata…thodhey der kile ko charo taraf se dekhte huye jaise aage badhaa….Dekha ki paas se jaa rahi hai pattharo pe chalti nadi ki dhaar…jiski shorr sunke hi main yahan aaya…aur sidhe wohhh paanii ikhatta ho raha hai ek bare se pahadh ke niche jahan andhera sapadh raha haii fhir kile ke piche ka nazara saaf dikhta haiii….achanakk kisi ne ekdum se kandhe pe haath rakha amain kaanpta hua jaise samne ki or mudhaa dekhta hoo ek gaal hasske asif khara haii paas mein dikhaa ki sanjana patthro pe baithii pao ko paani mein dale baithi huyi hai

Asif – arre itna darr kyu gaye ?
Harsh – umm wohhh itna sannata hai yahannn ki thodha sa darr ho gaya
Asif – hahaha yahan aas paas koi bhi nahi hai siwaaye in ghani waadiyo ke kitni khubsurrat jagah hai accha hi hai ki yahan log nahi hai warnaa ye shaanti fhir shanti nahi rehti
Harsh – ummm tumne kal khaaya tha dinner meinn
Asif – kyu ?
Harsh – matlab subah subah meri neend louis ne todh di ooske baad naa jaane kahan gaayab ho gaya charo or khaane ka intezam bhi nahi lagtaa dur dur tak aisa lagta hai jaise jungle hi hai
Asif – hmm well kal louis se baat ki thi humne toh oosne bataya ki aas paas sirf jungle hi jungle haii aur zyada dur jaana khatre se khaali nahi ek gail station hi padhta haii jahan se hum log aaye bas aur zyada yahan kuch nahii khaali ghar sab pare hai jinhein barso pehle logo ne chodh diyaa aur ekmaatra yahi qila jismein ab bhi Wilson charles ke log rehte haii oonmien se sirf ek hi shaks hai wohh hai louis I think ek maatra Is ghar ka banda wohi hai because is qile ka koi vaaris nahi akele akele kaise jeer aha hai ye bandaa
Harsh – mujhe bhi azib laga ooska bartaav bhi kaf iazib hai khairr tumne kal waise kya liya tha dinner mein humhe toh bharpet chicken rice mila hahaha

Asif kuch dair tak chup raha ooski chuppi dekhke lag raha tha jaise wohh jawaab dene ke liye koi jawaab dhundh raha ho…achaak se sanjana ne ooske kandhe pea hath rakha aur meri or muskurake dekhaa “asall mein louis aaya tha humhe bhi wohi cheez diya jo aapko”…itna kehke muskuraye dono ek dusr eko dekhte huye fhir mujh e dekhne lage

Harsh – ohh nahi mujhe ye shaks kuch azeeb lag raha haii
Asif – dekho bhai hum log yahan ghumne fhirne aaye hai naa ki raaz khojne khair ye qilaa barso se purana haii so yahan aas paas aisa kuch bhi nahi khair hum toh jaa rahe haii nadi ke paas agar tum aana chaho toh aa sakte ho
Harsh – umm..n..nahii m..main varsha ko akele nahi chodh paunga Wohh kal se darri huyi haii ok then fhir baad mein milate hai
Asif – as ur wish brother

Itne kehte huye main ulte pao waapis qile ke paas aaya…abhi dwaar pe pahucha hi tha ki achank varshhaa ki cheekh suniii.aaahhh…ooski awaaz qile mein gunz uthi..main ekdum daudh utha…dil dehshat ko simate huye tha…dheere dheere sidiyo se chadhta huaa upar aata huaa jald hi kamre ke kareeb gaya aur ek jhatke mein kamre ko khol daala…varsha zameen pe baithi huyi aur sar ko pakre main ekdm se ooske kareb jaake ooske maathe ko sehlaate huye oose uthaaya

Harsh – kya huaa varshaa tumm yahan farsh pe yun baithi kyu thi ?
Varsha – b..baap re azib sa sapnaa tha main..nee dekhaa ki koi aadmi theek kamre ke kone pe khara mujhe dekh raha haiii….aurr mujhe ghutan hone lagiii
Harsh – ufff ho kaun ho sakta hai ye pura qila mein louis ke alawa aur koi nahi rehtaa
Varsha – lekin m..maine dekhaa thaa azib sa dikhne meinn uff byaan nahi kar paungii yaad nahi kar paa rahi wohh kaisa dikhta tha
Harsh – hahaha wehem hai tumhara itne dair tak so mat
Varsha – meri toh jaan nikal gayi thi khair tum kahan they ?
Harsh – baharr qile ko dekh raha tha charo or se…ekdum sannate se bahra dur dur ta koi nahii asif aur sanjana wohh dono nadi ke theek pahadh ke paas haiii wahan itna andhera ho raha hai jaise lag raha hai pahadh ne suraj ko dhak liya ho wohh dono wohiii pe ho
Varsha – uff mujhe toh azib lag raha hai tumhein pata hai kal raat bagal ke kamre se ghan ghann jaisi mardo ki aur aurat ki awaaz aa rahi thi
Harsh – kyaa??

Ek pal ko main darr gaya aakhir ye varsha kehna kya chah rahi hai?...”arre bagal ke kamre mein tohh asif aur sanjana reh rahe hai ho sakta hai oonki awaaz suni ho”….Varsha khauff se aankhe bari kiye meri or naa mein sir hilaayu
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: October 29, 2014, 03:05:46 PM »
“n..nahii harshhh wohh awaazeinn behad azib thi jaisi gunzti ho aur kaano mein lag rahi thi aur kuch mardo ki awaz thi hass rahe they sabb fhir kuch bolne lagee kuch samajh nahi aaya uff”…..Varsha pareshaan ho uthi Maine ooske kandhe pe haath rakha

Harsh – uff ho varsha aas paas koi nahi haii ye mann ka wehem haii tum is purane qile mein rehke darr gayi ho hahaha chalo thodha bahar ki hawaa khaa lete haii aur dekh bhi lenge aur tumhein pata haii louis ne theek wohi cheezein asif aur sanjana ko di jo humne khaaya
Varsha – lekin itna khaane ke bad bhi meri bhook miti nahii
Harsh – hmm mujhe bhi khairr chodhoo chalo thodha ghum le hum yahan oosi liye toh aaye

Varsha ki baton ko ignore karne ke siva mere paas aur koi chaara nahi tha khair hum log jald hi niche utare…andhera kilaa charo or taaale hi taale….chatt ke paas gaye tohh wahan ek mota taala lgaaa huaatha..socha louis ka kamra dekhen toh louis kahi nahii khairr bina ooski izazat ke qile ke andar aise ghumna bhi theek na lagaa…hum dono jald hi bahar nikale charo or behad sannataaa jungle aur kuchh nahii kafi dair idhar udhar ghumne ke baad humhe koi khaas cheez nahi dikhiii varsha bhii bas jungle aur paido ko dekhte huye aage badh rahi thi

Achanak meri nigaahh nadi ke paas gayiiii….wahan koi nahii kuch dair pehle toh asif aur snajana wahan they…shayad waapis qile ki or chale gaye ho…varsha ko jab bataya toh oosko bhi yahi lagaa….hum dono dheere dheere tehniyo aur paido ko hatate huye oos kacche raaste ki or chalne lage ghani jungle charo or Bandar toh kabhii kaisi kais janwaro ki awaaz lekin waadiya itni khubsurat lag rahi thii ki aage jaane bina dil na maanaaa

Achanakkk se varsha jaise chilaayi ooski cheekh sunke main oosi or dekhne laga jis or dekhke ooska chehra khauff se bharaa huaa tha….ek laashh pariii huyii thii khoon se lathpathhh jagahh jagahh kisi jaanwar ke daanton ke nishaann jahan se khoon ris risk e sukh chukka tha…main ekdum se kaanp uthaa..oos laash ki or dekhke lag raha tha ki zyada purani laash nahi haii main thodha kareeb gaya lekin laash ke sadne ki mehek se apne chehre pe rumaal rakh liya varsha meri or kaanpte hye dekh rahi thii

Achanakkk jhaadhiyo mein kisi ke daudhte huye apni or awaaz sunii hum log piche mudhke jaise hi dekhe sanjana aur asif dono khare ekdum gambhirta se hum logo ki or dekh rahe they aur fhir laash ki or…hum log khauff se sehem utheyy

Asif chalta hua oos laash ke paas gaya snajana theek varsha ke paas khari thi…”ufff dekhke hi lag raha haii ki kisi jungli jaanwar ka kaam haii”….Asif ne naak pe haath jhadhte huye kaha

Harsh – ufff t…ohh y..ee yaahaan aaya kaisee?
Asif – ho sakta hai hum logo ki tarahh hi ghumne kabhi aaya ho aur jungli janwar ka shikar ho gaya ho ?
Harsh – b..baap re yahan police bhi toh nahi jaake jise ikhtila kare even louiiiiss ko pucchey toh bata sakta hai
Asif – theek haii
Varsha – leki…n louuuiis tohh subahh se dikhh nahi raha kahin hum don one qile ke har kamre pe dekha sirf taala jhul raha tha

Asif aur snajana jaise ekdusre ko gambhirta se dekh rahe they saqt chehra banaye maano jaise kitne dilo mein sawaalo ho inke aur main aur varsha hum dono bas darr se sihar rahe they pehli bar kisi insaan ki zinda khon se bhari laash dekhi thi

Sanjana – yahan ruknatheek nahii chalo waapis chalte haii dopahar bhi hone wali haii aur surajj aur bhi dhal jaayega

Dheere dheere hum sab oos laash ke chehre ki or dekhte huye qile mein waapis aaye….tik tik….ghari mein 3 baj chukka tha..suraj ki kirane dheere dheere kamre se gaayab hone lagi aur fhir gehra sannata chaane laga table pe plates saje dekhkar mujhe aur varsha ko hairaani huyiii…ek gaal haske louis ne hamari or dekhaa…wohi kaali vilayati suit mein oosne theek hamari or dekha

Asif – arre tum kahan pe they ?
Louis – mm..main khaane ka intezaam kar raah tha
Harsh – lekin aas paas toh koi insaan nahii toh fhir
Louis – hahaha asall mein har maine cheezein aa hi jati haii hamare contacts hai who log khud hi aake zarurat ki saari cheezein de jaate haii
Harsh – ohhh
Louis – chaliye khaana khaa li jiye din jaldi dhal jaayega

Mujhse toh kisi tarah khaaya gaya lekin varsha se bilkul nahi wohh bilkul sehem uthii thi…upar se asif aur sanjana bina kisi darke hum logo ki taraf dekhte huye khaane ki or aamantrit kar rahe they sabhi cheezein thi khaane ko asif aur sanjana chupchaap khaane lage mujhe is baat ki hairani huyi jo laash humne dekhi ooska zikar asif ne kyu nahi kiya? Maine hi baat chedh di jab louis ne dekha ki varsha khaa nahi rahi hai

Louis – kya hua mam ? hamari khaansami mein kuch kami reh gayi
Harsh – ummm na..nahii varsha ka mood nahi haii asal mein yahan se thodhe dur jungle meinn ek laash dekhi humne
Louis – kya? laashhh
Asif – haan laashh sheheri ka hi koi aadmi thaa…lag raha hai kisi jungli jaanwar ne oose maar dalaa aur sirf maara nahi ooska khoon bhi piya sharer ke hisse bahar nikale huye theyyy
Louis – ohhh

Louis pareshaani keg here mein fass gaya varsha sehemte huye oose dekhen jaa rahi thi…lekin sanjana aur asif ko jaise darr naam ki koi cheez nahi maano jaise khoon oonhone hi kiya itna kuch ho gaya lekin kisi ke maathey pe pareshaani ke bhaav nahi they lekin ab louis kuch pareshaan sa dikh raha tha..
Louis – ye wohii ho sakte hai
Asif – kaun ?? yahan humse pehle koi aaya tha ?

Asif ne meri or dekhte huye bola…meri bhi nigaahen louis ki or thi
Louis – darasall in khubsurat waadiyo mein jab andhera ho jata haii toh ye jagahh behad khauffnak ho jati haii asal mein In junglo mein Wilson sir ke time se hi kaafi khatarnak jaanwarr haiii khoon peete chamgaadh baaghhh saanpp aur kayi ghatak jaanwarr…ye jo aap diwaaro pe dekh sakte hai ye saareinn jaanwaro ke sar sab Wilson ke shikar kiye huye hai inhi junglo mein se
Harsh – ohhh tohh jo ye khoon hua ye aadmi kaun tha? Humhe police ko bulana paregaa tum kisi daroga ko bulaane ki koshish karo
Louis – umm kaun aayega saaheb is veeran sunsaan jungle mein base ilaake mein pehle yahan ek chota gaon thaa dheere dheere gaon ke log marne lage logo mein dehshat faila aur sabne ye ilaaka hi chodh diya
Varsh – to…hh aa..p yaha..n akele itne veeran jaagahh meinnn
Louis – aadat haii in andhero mein jeene ki aaj se nahi barsoo see
Harsh – waise har kamra band haii chatt pe bhi nahi jaa sakteee tohh koi wajah hai band karne ki
Louis – saahebb ye toh Wilson ke zamane se band parii haii mujhe kholne ki izazat nahi mili thi Mujhe toh bas is qile ki dekh rekh ke liye rakhaa gaya hai
Harsh – accha ye toh bara azib baat hai khairr lekin police ko bulana toh parega hi bulaane se oos aadmi ki chaanbeen kaise hongiii
Louis – hahaha isse pehle bhi isi qile mein bahut se angrez log aaye shehri log aaye…lekin har koi jungle dekhne ki iccha mein apni jaan gavaa daala police bhi aayi thii kafi chaanbin karne ki koshish ki fhir waapis chali gayii tab se leke aajtak is sunsaan waadiyo siwaaye khauffnak janwaro aur veerana ke alawa kuch nahii

Louis ki baat ko sunkar ek pal ko dil sehem utha…varsha ko lagne laga ki wohh yahan aayi hi kyu?...khair maine sirf asif ki or dekhaa wohh chupchaap humhe dekhta huaa khaana khatam karke sanjana ke sath sidiyo se upar chadhta huaa kamre mein chala gaya

Khair ksii tarah khaana khaake main aur varsha dono sidi se upar jaane lage….louis chupchaap ek tak dekhte huye hum logo ki or muskurate huye bola “be safe sir jungle jaane ki sochiyega bhi mat”…itna kehte huyee varsha aur main jaldi se kamre mei naaye darwaja lagate hi jaise varsha mujhpe baras parii

Varsha – ye…sab tumhari wajahhh se huaa haii pehle tohh ye qilla fhir mysterious louis aur ab wohh laash wohh yahii tehra huaa tha naa jaane kitne log aise marre honge I told u ki aana theek nahi lag raha par tum tohh bas apni historical views ke liye mare jaa rahe they
Harsh – I know varshaa but ab kya kar sakte hai? jungle jaana khatre se khaali nahi haii tumne sunaa nahi louis ne kya bataya khair chodhoo wohh sab main jaldi hi return ticket ki train ka confirmation check kar leta hoo
Varshaa – Ok

Jald hi kamre se nikalne ke baad main qile se bahar aake mobile pe train service waalo ko call karne laga..par netowk baar baar maar khaaye jaa raha tha…achanakk jaise hi piche mudhke dekhta hoo toh paaya ki theek balcony mein khari sanjana meri or muskuraye ghurr rahi thii Main ekdum thithakke oosi ki or dekh raha tha…aur fhir ekdumm se phone ke oos awaaz sunaai di…main train vibhaag waalo se baat karne lagaa…aur jaise hi balcony ki or dekhaa naa tohh koi nahii darwaja bandd mujhe thodha azib sa lagaa

Main turant baat khatam kiye waapis andaraaya…kamre mein aate hi dekhaa varsha mombatti jalaye huyi thiii….”kya hua?”…oosne meri or sawaali nigaaho se dekhaa…”umm buri khabar haii return train Construction work kolkata ki wajah  se delayed ho gayii haii kareeb 5-10 din lag jaayega yahan log bhi toh kitne hai aur koi train bhi 2 min se zyada nahi utartii uff”…..maathey pe hath rakhke main thodha pareshan huaa achaanakk abhi do pal baitha hi tha thak thakk thakk

Maine jhat se varsha ki or dekhaa aur jhat se darwaja khol dala..chrr ki awaaz se darwaja khula toh paaya sanjana aur asif khare haii maine oonhein muskurake kamre mein aane ko aamntrit kiya wohh andar aate hii chair pe baith gaye aur sanjana wohh theek varsha ke kareebb dono se ek bheeni kisi phool ki khushbu aa rahi thii

Asif – kya huaa aap dono itne darre huye kyu ho ?
Harsh – uff itna kuch ho gaya koi bhi darr jaayega
Asif – hahaha yahi toh mazaa haii aise thriller bhare journey ka
Sanjana – aap log gaur mat kijiye inki toh aisi aadat haii waise socha akelepan mein kab baithe rahenge tohh aap logo se thodhi baat cheet kare
Harsh – hmm theek hi kiya aapne dekhiye varsha ka kya haal ho gaya akele darrre darre
Sanjana – kyu kis baat ka darrr ? jab yahan aisi ko icheez hai hi nahii sirf jaanwaro ka khatra hai wohh bhi qile ke baharr aur din mein koi problem nahi
Harsh – waise aap logo ke baarein mien kabhi itna puchaa nahii Aap log kolkata mein rehte hai
Asif – hann par ab dil haii ki yahii hamesha rahe…
Sanjana – asal mein yehhh ek govt firm mein kaam karte haii
Harsh – ohh great toh aap log ne abhi tak shaadi nahi ki

Sanjana aur asif dono chupchaap ek dusre ki or azib si muskurahat diye meri aur varsha ki or dekhne lage…”ji karne toh waale they par ab zarur karengee asal mein sagaai kuch mahine pehli hi huyi haii kaafi dur rahe haii hum”….asif ki baton mein maano jaise azib sa lavz tha…”haann kaaf idur khairr aur aap log?”….sanjana ne ektak asif ki or azib sa muskurhaat diya aur fhir varsha ko ghurrne lagii..varsha siham rahi thi fhir bhi fikhi muskurahat diye mere aur apne baarein mein batayaa…dono kaafi khush huye

Harsh – lagta hai hum lgoo ke alawa aur yaha koii nahii haiii
Asif – hmm shayadd khair hum toh chal rahe sone raat kaafi ho gayi aap logo ko neend aayegi shayad
Harsh – arre dinner toh aap logo ne kiya hi nahii aur maine gaur kiya aap log dopahar khaana bhii zyada nahi khaa rahe they bas juice pee rahe they aisa kyu ?
Asif – hahahaha wohh asall mein humhe khaane se accha peene ko lagta haii hahaa anyways forget it aap logo ko zoro ki bhook lagi hongii hum ja rahe hai have a sweet dream goodnight

Asif ka bartaav kaaf iazib lagaa oosne ek baar meri or aur fhir varsha ki or muskuraya aur fhir apne kamre ke andar jaake darwaja laga liya..varsha ne ekdum se bola “uff in logo ki baton mein darr lagta haii”….maine hasske varsha ki baato ko suna lekin ek pal mujhe bhi thodha azib sa laga itna hadsa hone ke bawjud inke aankho mein khauff tha hi nahi

Raat dheere dheere badhti jaa rahi thii main gehri neend meintha…achanakk ghan ghann ki awaaz fhir sunaaii dii…Varsha ekdum se uthii…badal garaz rahe theyyy bijliyaa beech beech kadhak rahi thi…jiski awaaz se varsha ki neend khuli oosne ek nazar mujhe dekha aur fhir chadar ko hatate huye bistar se uthke niche utariii..dheere dheere kamre ke darwaaje ke paas aati hi…ghann ghann ki awaaz badhne lagii…varsha ne jhat se apna kaan diwaar pe lagaya…koi hass raha tha kisi ki baton k iawaaz bharii awaaz…ek mard nahi jaise bahut se mard ho oosi beech aurat ki awaaz wohh bhi tahaka lagatii huyii ye sab sunkee is baa varsha ke andar khoj jaanne ka mann banne lagaa oosne ek nazar meri or dekha aur paas rakhi torch ko haatho mein uthaa liya

Roshni ke jalte hii wohh dheere dheere kadmoo se….darwaaje ko dheemein se khole torch baahar maari…char oor behad sannata…murtiya stool pe rakhi huyi…ek nigaahh varsha ne meri or daudhaaya aur fhir jhat se bahar nikalii…jaise hi oosne bagal ke kamre ki taraf torch maarna chaha darwaaje ke niche se mombattii ki phadhpadhati lau ki roshni dekhke turant torch off kar diyaa..ab pura watavaran andhere mein tabdil tha…bas beech beech mein bijliya khadhak uthtii….ghann ghann ki awaaz dheere dheere saaf awaaz mein tabdil hone lagi lekin bharipan awaaz ka saf sunaai de raha tha darre sehmein charo or dekhte huuye varsha ne dhyaan se dekhaa..darwaja aadha khula huaa tha…kareeb 1 ungli ke barabar…varshaa ne dheere dheere kadmo se kamre ki or jaate huye kamre mein thodha sa jhaanka…fhir ekdum se sar andar…naa koi nahiii sirf mombatti ki roshni jal rahi haiii varsha ko laga shayad kamre mein koi mazud ho…lekin oosne bina kuch kaheinn dheere dheere nazaren kamre ke andar laagyiii….thodha bara kamraa charo or diwaarein ekdum puraanii daraar si baniii purani tasveereinn aur paas hi mein sofey ke kareeb ek 1 mombatti jal rahi hai…dheere dheere varsha ne hawa ke bhaati darwaaje ko hilaaya darwaja apne aap aadhe se zyada khul gaya

Na koi nahiii…na asif aur naa sanjanaa toh fhir wohh awaaz kahan se aa rahi thi? Aur hairat ki baat dono aakhir itni raat gaye andhere mein kahan gaye? Varsha ka darr oospe haavi hone ke bajaye ooske andar janne ki aashanka badh gayi.wohh dheere dheere dabi pao se andar jaane lagii aur lagbhag andar jaake oosne charo or ek baar dekhaa kamra pura sannate se bhara khaali tha…lekin achanakk saamne jo nazar pariiii varsha wohi thithak gayiiii table ke theek upar do purane zamaane ki pital ka jaam table pe charo or laal laal kuch gira huaa tha..ye wohi cheez thi jo dopahar mein dono le rahe theyyy varsha thodhi thodhi table ke kareeb jaake oos pital ke glass ko jaise hi uthaayii ooski mehek se varsha ka pura badan sihar gaya pital ke glass meinn taaza khoon ki mehekkk wohi table pe ooske qatre gire huye varsha ki nigah abhi table se hati hi thi ki achanakk oosne charo or dekhaa..naa hi koi bag naa hi koi saamann dono ka sirf do khaali glass aur puran ikamre ki cheezeinn kamre ki aisi halat maano saalo se koi aaya na ho yaahnnn

Pura badan varsha ka kaanpne laga..varshaa ekdum se jhat se darwaje bahar ayi aur dheere dheere kamre ki or badhii itne meinn kisi ki aahat theek upar ke sidiyo se aane lagi…
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: October 29, 2014, 03:06:24 PM »
varsha ka badan pasine pasine hone laga..woh dheere dheere sidiyo ki taraf jaane lagiiii

Aur bhi dheere dheere…achanakk ekdum se wohh roshni andhere mein tabdil ho gayiii..jo asif aur snajana ke kamre mein se aa rahi thi…varsha sehemte huye sidi ke kone pe chup gayiii behad chupchaapp kareeb kuch dair tak mehsus karne ke baad oose laga shayad mombatti hawa girke bhuj gayi ho…dheere dheere varsha upar aayi aur oosne dekhaa ki thadh thadh karti wohh awaaz darwaaje kit hi jo hawaa se baar baar lagke khul rahi thiii varsha ne turant torch jalaay aur upar aayii…darwaaje ko aadha khulte hi oosne dekha..”arre louis net oh kaha tha ki koi darwaja khula nahii toh fhir ye chatt kaise khuli huyi hai”….ek baar varsha ne sidiyo se niche jhaanka andheraa hi andhera

Oosne dheere dheere qile ke upar aayiii…oose apne pao pe dhool aur mitti lagi dikhaai di..yakeenan saalo se yahan bhi koi nahi aaya tha…shayad tufaan ki wajah se darwaaja khul gaya ho lekin oosne khud mota taala jhulte dekhaa tha..lagbhag kaanpte huye wohh charo or torch maar rahi thi ho ho karti hawaa ki awaaz aur thand se sirhann achanakkk ekdumm se qile k eke theek niche ki or gayiii…..aur jo oosne dekhaa oosse ekdum baraf ki tarah thandi ho gayiii

Ek azib sa janwaarr jaisaa admii pure badannn pee baall darawana chehra neelii aankhhee nukile lambe daannttt oos aadmi ke maans ko fhaadhke ooska khoon pee rahe they lagbhag itne uccaaii se bhi spasht bijli ki roshni mein varsha oose dekh sakti thii lagbhagg kisi janwar ki tarah ooske gale pe daant gadhaaye khoon peete huye aahein bhar rah tha..aur wohh jismm bejaan anhi thaa…ooski karhaati wohh awaaz adhkhuli aankhen kaanpta jism saf dikh sakta ttha..wohh ek zindaa insaan tha…charo tarf khoon tapak raha tha….aur kaafi dair tak khoon chusne ke baad oosne oos bejaan jism ko ekdum fhaadh daala khoon ki bauchar jaise zameen pe girne lagiii wohh apen nathuno ko chaatta huaa ekdumm se chilla uthaa aaaaaaaaaaaaa ooski awaaz itni bhayankar thi ki maano pure hawao mein gunzne lagiii ekdumm se ooski nukile daanto ke beech se nikalti khoon ki dhar ko dekhkke varshaa ekdumm chillate huyee sidiyo ki or daudhte huyee thee ksidiyo se cheekhte chillate huye ekdumm se fisal uthii

Baaya pao fisalte hi sidiyo se do teen baar ludhakte huye sidhe farsh pe beshud dard se karhaane lagiii…aur kuch hi dair meinn ooski aankhen band ho uthii…jab aankhe khuli toh ooske saamne main tha..aur theek mere sath sanjana jo osoke maathey ko sehlaaye jaa rahi thi asif bas varsha ko hosh mein aate dekhh muskura baithaa

Asif – hmm accha huaa ki koi khaas nuskaan nahi huaa
Harsh – ohh varshaa

Maine varsha ko apne gale lagaya varsha ke maathey pe patti thii ganimat thi sirf kharoch aur choti moti chotein lagi thi koi khoon nahi baha tha…”uff tumne toh mujhe daraa hi diyaa…wohh toh louis ne tumehinn”…..Varsha ekdum se khauff se sehem uthi
Harsh – kya hua?
Varsha – w…ohhh qile ke bahaarrr mainnn..ee ek azibb sa jaannwarr dekhhaa wohh oos aadmi ka khoon pee raha tha ekdum zindaa jaanwar
Harsh – kya bol rahi ho ?
Varsha – m..main sach keh rahi hoo maine theek inhi nigaaho se dekhaa wohh oos aadmi ke seene ko phadhke gale ke maans ko daanto se fhaadhte huye ooska khoon pe eraha tha wohh aadmi chilla raha tha

Chupchap asif aur sanjana ektak varsha ki or dekhen jaa rahe they…”mujhe lagta hai isne koi bhayank sapna dekha hoga”….Maine varsha ko sambhaalte huye sanajna ki or dekhte hue suna “hmm ho sakta hai lekin tum qile ke upar gayi kaise wahann tohh taal laga hai”…asif ki is baat ko sunnke varsha ekdumm barf ki taraf jam gayi oosne ek baar khauff nigaho se  meri or dekhaa aur fhir bol uthii “nnnn..nahiii wohh darwaja upar ka khula hua tha maine khud sunaa maine khud dekhaa tha who hdarwaja hawaa se khula paraa tha

Sanjana – kya bak rahi ho tum ? maine khud taala dekha haii abhi bhii kyu asif?
Asif – haan bilkull shayad tumehin ko iwehem hua hai
Varsha – nn…nahiii nahiii mainn sach keh rahi hoo meri wishwas karoo sachh meinn mainnne

Itna kehte huye varsha rone lagi varsha ko aise darre seheme dekhke mujhe accha na lagaa…hum yahan enjoy karne aaye they lekin abdil mein darr aur dehshat ne jaise hamari khushiyo ko grehen laga diya tha Varsha fhir neend ki agosh mein chali gayii louis kamre mein daakhil hua lagbhag ooske chehre pe narrazgi thi oosne ek baar hi mujhe karare lavz mein jo kaha oose sunke mujhe saqt gussa bhi aaya aur darr mere dimaag pe havi hone laga

“aap logo ko manaa kiya tha mainee itni raat gaye qile kea as paas na jaaye par fhir bhi aap logo ne meri baat nahi maani”….ooski awaaz mein jaise ek behad saqti thii mano jaise ooska humne kuch bigaadha ho who itna kehke niche chala gayaa

Harsh – uff merit oh kuch samajh nahi aaa raha upar se train ka problem
Asif – heyyy just be cool kuch nahi hogaa hum hai na yahan pe waise kahan jaa rahe ho itne jaldi
Harsh – bas mujhse ab aur nahi hota varshaa ne baar baar mujhe mana kiya main hi oose yahan le aaya…ab lagta haii jaise ab chala jauuu

Itna sunne ke baad hi oonke chehre ka rang udh gaya ho wohh behad gambhirta se mujhe ghurrein jaa rahe they…”ok tum aaram karo varsha ko bh iaaram ki zarruat haii hum log bhi kafi thak gaye haii goodnight”…itna kehte huye asif sanjaan ke sath kamre se bahar chala gayaa

Mujhe behad azib laga….maine thaan liya kuch bhi ho main varsha ko leke yahan se jald se jald nikal jaungaa…lekin train ki problem aur upar se badhti varsha ki tabiyat kharab..mujhe kuch theek nahi lag raha tha….achanakk gaye raat ko ekdumm se kisi ne mere haath ko pakra…maine ekdum se jhatpat jab bagal mein dekha tohh varsha jagi huyi thii oosne dheere se andhere mien jo jo baatein ooske sath gahti sab kehna shuru kar daala

Varsha – maine oon dono ke saamne kuch nahi bataya main jab oonke kamre mein roshni aur oos awaz ko dekhke gayi koi nahi tha wahann siwaaye khoon aur oos pital ke jaam ko tum yakeen nahi karoge oos kamre ko dekhke lag raha tha jaise saalo se wahan koi nahi gaya ho
Harsh – hmm tum itne yakeen ke sath kaise keh sakti ho ?
Varsha – maine khud dekha wohi main tumhein batane ke liye jab bahar aayi toh darwaaja khulne aur band hone ki awaz suni jab upar aaya toh thannn thann kartii darwaja hawaa se band khul raha tha..maine qile ke chatt pe gayii wahann bhi ekdum dhool jab bahar ki or dekhaa tohh jungle ke theek kinare ek jaanwar jaisa cheezz ufff
Harsh – okk okkk lekin agar kuch aisa hai toh yakeenan laash bhi waha mauzud hogii mujhe bhi kuch theek nahi lag rahaa…in dono ke pratii aur louis who toh pehle din se hi azib sa haii tum so jao hum ksii tarahh yahan se jald se jald nikalne ki koshish karengee mujhe pakka yakeen haii koi toh raaz hai lekin janwar wali bat pe yakeen karnaa aasan nahiii

Jald hi suraj nikal gaya…Subah ki kirno ke qile pe padhte hi…main bahar aaya…pehle toh oos jagah gaya jahan varsha ne oos aadamkhor jaanwar ko dekha tha..wahan siwaaye paathar aur mitti ke alwa kuch nahi tha agar wahan laash hoti toh yaakeen khoon bhi dikhta lekin na kuch bhi nahi…mujhe kuch azib lagaa..shaayd varsha ne koi khwab hi dekha ho…fhir main waapis qile ke andar aake chatt wale darwaaje ke paas aaya..naa ek mota taala jhul raha hai jispe saikdo makdi ke jaali lage huye hai mujhe ab ahesaas ho gaya ki yakeenan ye varsha ka wehem hai

Main niche jaise utara saamne asif ko khara paaya jo muskurake mujhe hi ghurr raha tha…main ooske paas aaya…”aur koi sabut mila?”…oosne muskurake aisi nazaro se dekhaa maano jaise ek pal mein hiwohh gusse mein aag babula ho jaaega
“nahiii tohh mainn wohh bas varsha ke liye tensed tha sochaa thodha chatt ko kholke dekhun par yahan toh mota taala jhul raha hai yakeenan varsha kal rat shayad neend mein ho isi ke chalte sidiyo se niche gir gayi”….mere muskurane pe isbaar asif ne ek gaal hasske mere kandhe pe haath rakhaa

Kitna thandaa haath…maano jaise barf ki tarah thanda..ek pal ko ooske haatho ke bhaar se zameen mein dhass jaane se jaisa laga fhir jaise hi oosne hath hataya who behad chupchaap mere nazaro ki or dekhne laga

Kamre mein jab aayaa toh dekhaa ki varsha uth chuki hai main ooske saath baat karne lagaa..”tum ek baat jaante ho louis ekdum bhor mein aake hum logo ko chai deke naa jaane subah se leke suraj ke dhalte tak kahan gaayab ho jaata hai”….varsha ki baat mere pure sharer meinn jhanjhant daudhaa rahi thi
“ttt..tumhare kehne ka kya matlab?”….main varsha ke sehemte nazaro ki or dekh raha tha janne ke bilkul tayyar
“matlabb yehhh ki bhoot palit suraj ki roshni se darrte haii..hawa ki tarah gaayab ho jate hai…aur ek gaur karne waali baat pure qile ka kamraa mein taala jhul raha hai sivaaye hamare aur asif aur sanjana ke kamro ke…aur mujhe pakka yakeen hai ki kuch na kuch toh haii agar asif aur sanjana oos kamrem ein nahi tehre toh fhir rehte kahan hai? tumne dono ke kamro mein dekha tha”…..varsha ki baatein sunke Main thodha gambhir ho utha

Harsh – hmm nahii Waise bhi aisa lag raha tha jaise asif mere pe nazar rakhaa huaa hai bahr gaya toh laash nahi mili Aur jab chatt ke darwaje pe mota taal dekha toh niche asif ekdum ghurke meri or dekh raha tha
Varsha – ho sakta hai ki laash oonhone hi louis ke sath milake gaayab ki ho
Harsh – dekho varsha ye baatein mind pe haavi mat karo darr jaogi chodho wohh sab jab tak train ki right information nahi milatii tabtalak hum yahan se kahin nahi ja sakte dekhke hi lag raha hai jaise hum beech samundar ke beech mein fass gaye hai
Varsha – mujhe toh bahut darr lag raha haiii

Varsha sehemte huye bas meri or aasha bhari nazro se dekh rahi thi..maine oose fhir shaant kiya aur oose laita diyaa..kal raat se hi varsha thodhi kamzor si ho gayi ek pal ko varsha ki baton pe yakeena lagaa fhir ek pal ye mann gandhant baatein lagi…achanakkk darwaaje pe koi dastak deta hai thak thak thak thak..Maine turant varsha ki or dekhaa..aur fhir jald hi darwaja khola..saamne sanjana khari thiii oosne aaj kaale colour ka poshak pehen rakhaa thaa…
Sanjana – gud morning
Harsh – umm g..ud mo.rningg
Sanjana – Aaj humne aap logo ke sath dinner karne ka faisla kiyaa haii sochaa akele akele kab tak yun hi rahenge humhe sath rehna chahiyeee
Harsh – umm nahiii wohhh Varsha ki tabiyat theek nahii hai
Sanjana – acchaa ohhh sunke behad dukh huaa lekinn agar aap log humhein join kare aaj raat tohh humhe bahut accha lagega
Harsh – theek hai hum aayenge
Sanjana – oh great

Itna kehke sanjana waapis ulte pao sidiyo ki taraf jaane lagi achanakk oosne mudhke ek baar jhaankkar varsha ki or dekhaa…aur fhir muskurahat diye sidiyo se niche utar gayi..aisi nazro se dekh rahi thi maano kitni hinsak nazarein ho…main chupchaap sehemte huye darwaja band kiye andar aaya..kisi tarah maine varsha ko maanaya..mujhe yakeen tha ki agar hum aaj ki raat oonke sath dinner karenge toh shayad kuch na kuch zarur suraag hamare haath lagega…Pehle toh varsha darr ke maarien tayyar nahi huyi fhir aakhikar tayyar ho gayiii

Raat hone lagii…surajj jald hi dhal gaya…sarad raat…aur hawww haw karte siyaar ki rone ki awaaz..aaj kuch zyada hi junglo mein in lgoo ki rone ki awaaz sunaai de rahi thi…upar se mausam bhi kharab tha…badalo ne chand ko dhak liyaa tha…sidiyo se niche utarte hi samne ki or dekhaa bare se table ke beech mombattiya stand pe rakhi huyi hai aur oonke jalne se pura hall roshandaan ho raha hai asif neb hi bilkul azib sa poshak pehna haiii ek black jacket aur oospe jhultaa ek azib sa locket aankho mein kajal laga hua…hum dono siharte huye saamne ke table ke chair pe baithe oon logo ne muskurake hamari or dekha

Asif – hmm toh yahan sab koi mazud haii humne socha ki akele akele darrne se oth accha hai ki saath rehke hum ek parivaar ki tarah jiye louis ne aaj kaafi kuch banayaa haii

Louis muskurate huye hamari or dekh raha tha…oosne fhir dheere plates kholne shuru kiye…Sab cheezein mauzud thi…humse khaaya kahan jaa raha thaa….hum dheere dheere niwaala munh mein liye khaa rahe they

Varsha ki nigaaheinn oon logo ki or thi….achanakkk jaise hi bijli khadhkii toh ooski roshni se sanjana aur asif ke plates pe nazar gayaa…aur jo dekhaa ooske baat toh rooh sihar gayaa….kaccha goshttt ye cheez dekhke mere pure badan siharne lagaa….varsha ko bolne ki ekdum himmat naa thi…achanakk asif ki nigaahh varsha pe gayii sanjana bhi humhe hi ghurr rahi thi “arre khaaiye naa aap toh kuch le hi nahi rahe”….asif ne itna kehke jaise varsha ko bola varsha ekdumm sehem uthiii

Main chupchap raha..achaanakkk varsha ka haathh mombatti ke stand se jaa laga aur ooski ungli ke theek niche waal hisaa kant gaya aur ooske baad khoon plate pe girne laga…bijli khadhak uthii sanjana aur asif dono azib nigaaho se sanjana ke oos kanntte khoon ki or dekhen jaa rahe theyyy oosse tapakta khoon ekdum laal gaadha khoon sanjana toh bas hinsak nazaro se dkehne lagi jaisa oosne subah dekha tha…varsha jalan se daant dabaye apne munh mein ungli ko rakhkee ooska khoo chusne lagi

Maine dono ki or dekha aur ekdu se varsha ka haath liya “uff ye kya kiya?”….Maine paas rakhi napkin tissue ko ooske ungli pe rakha varsha apne ungli se nikal rahe khoon ko saaf karne lagii…louis ki aankhe bhi bar ibaari ho gayiii who aisi nigaaho se dekh raha tha jaise abhi ekdum kudke jhapat parega varsha pe main fauran table se uth gaya..teeno ki nigaahein varsha ke ungli ki or gadhi huyi thi..Maine teeno se maanfi maangi aur varsha ko leke kamre ki or jaane lagaa…

“rukkkoo”….ekdum se sanjana uthke aisi swar mein keh uthi ki hum dono oose sehemte huye dekhne lagaa

Sanjana – uuumm m..er.aa m..atlabb khaanne se yun uthke jaaoo matt louiiis pls ghav ke liye koi medicine
Harsh – ummm na..hii n..ahii anhii wohh hamara pait bhar gaya haii varsha ko bhi mann nahi hai sorry guyzz aap logo ke sath mulaqat karengee okk
Asif – jaane do sanjana inhein jaao harsh ur wife needs some rest

Asif ke muskuraye hi hum dono sidiyo se kanapte huye baar baar niche ki or dekhte teeno humhe hi ghurr rahe theyyyy jald hi kamre mein aake jhat se kamra ka darwaza lagaya…aur bistar pe varsha ko bithaake ooske ungli pe band aid diyaa…bahar tufaan chal raha tha….varsha ekdumm kaanp rahi thi…”ttu..mnne oon logo ki aankhoo mein dekhaaa kitne hinsak they”…..varsha ne ungli se kantte khoon waali baat kahin jab oon logo ki nigaahen ooske ghaav pet hi
Harsh – hmm merit oh kuch samajh nahi aa raha ek kaam karo tum so jaoo aur darwaja bilkul mat kholnaa Main bathroom se aata hoo
Varsha – n..nahii mujhe chodhke mat jao plsss
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: October 29, 2014, 03:07:00 PM »
Harsh – dekho ye lo

Maine pas rakhi om ka locket varsha ko diyaa aur oose ye apne paas hir akhne ko kaha…kisi tarahh main kamre se bahar aaya…varsha ko samjha diya tha jab main aauu toh teen baar darwaja thokunga tab tum darwaja kholna …varsha naa nukur ke baad maan gayii

Main jhat se bahar nikala..Mombattiyo ki roshni bhuj si gayi thi keval ek hi mombatti ki lau phadhpahaa rahi thi…jab maine bramde se hall mein jhaankaa toh paaayyaa ki table pe koi nahiii maine jo oos waqt asif aur sanjana ke plat e pe kacche maans dekhaa aur oos raat varsha ne jo pital ke jaam mein khoon dekhaa oosse saaf thaa kuch toh gadbhadhh hai yaa toh ye log kahin koi tantrik toh nahiii..ya fhir kuch aurr sihamte huye torch jalaayiii aur dheere dheere sidiyo se utara..achanakk nigaahh theek table ke paas parii pura badan jaise barf ki tarah thandaa ho gaya..jis khoon se sane paper namkin ko maine faikhaa tha oose koi chaant raha tha khaa raha tha..ooske khoon ki mehek ko sunghen jar aha tha aur jab ooski nigaahhh meri or pariii tohhh main ekdum chilla uthaaa


Aaaahhh…main ekdum bhaaga aur sidiyo se chadhte huye sidhee apne kamre ke aane se pehle fhir piche ki or mudhke dekhaa….achanakk bathroom ka darwaja khole main andar chala aaya….andar Ghana andheraa…mera pura badan sihar raha tha maine jo khauffnak chehra dekhaa tha wohh kisi insaan ka nahi naa hi kisi janwar ka..ye azib sa chehra tha chamakte neeli aankhenn nukile daant pure badan ekdum safedd bare bare naakhunn achanakk ekdumm se chrr chrr karta huaa bathroom ka ek darwaja khul gaya….jaise hi piche paltaa…achanakkk pura badan kaanp uthaa…pure bathroom mein khoon hi khoon diwaaro pe farsh pe shower ke nal pe main torch liye kaanpein jaa raha tha kuch dair wohi teherne ke baad achanakkk darwaaje ke paas gayaa kahtt se darwaaja kholaaaa koi bhi bahar nahi tha..naa hi kisi ke pairo ki awaz aa rhai thi

Main kaanpte huye fhir bathroom ke oosi khoon ko dekhne laga….achanakk dusre bathroom ke thek paas jaake dekhta hoo tohh ek kitaabbb jispe khoon laga haiiii maine wohh kitaab ke panne kisi tarah kaanpte huuye khole aur fhir jo padhne lagaa oossse mainn ekdum sihar uthaaa pure panno ke page pe lagbhag khoon ke cheente theyyy

“Mera naam aditi sharmaa haiii humara ek group is jagahh pe aaye….Main meri frind shanaayaa mera boyfriend rahul aur ooska bhaii lucky…hum charo jab yahannn aayee tohh humhe yakeen na huaa ki ab bhi angrezo ka qila mauzud haiii…Aur wohh bhi tab jab humne yahan ke caretaker louis ko paayaa…ekdum azibbb saa..oosne humhe aaamantrit kiyaa hum logo jab jeep kharab ho gayii tab bhiii hum logo ki mulaqat do aur shaks se huyii…asif aur sanjanaa..dono ne apna parchay diya ki who mangetar hai aur kolkata se aaye hai aur hum logo ko kacche raaste se yahan laayaa hum log behad khushh they behad khushhh lekin shayad ye khushi hamare aakhri khushiyo mein tabdil hone waalii thiiii

Kuch dino tak sabkuch theek raha..lekin jab oon dono ke bartaav mein tabdiliya aane lagii tohh main sehem uthii ek baar shanayaa ko gehri chot lagiii ooska khoon nikalne laga…lekin oon logo ki nigaaho mein aisi khaa jaane wali nazar thi maano ek hi jhatke mein shanaya pe tut parengee…oos dinn toh kuch nahi huaa lekin ekdin shanayaa bathroom aayi theek oosi jagahhh jahannn aaj bas ooska khoon hi khoon haiii aur ooski laash”……Kadkhati bijli ke baad jaise mujhpe khud ek bijali giri thi in panno ko padhne ke baad jism sihar chukaa tha

Aur wohi baat yaad aaya jab shanaya ki hi tarahh meri varsha ki ungli se katte khoon ko dekhhh dono hinsak ho gaye main aage padhne laga “main wohi oosi laash ke kareeb baithi hoo jise hum log kabse dhundh rahe they…aaj wohh bejaan khoon se lathpath baithi huyii hai mujhe dekh rahi hai…kuch saanson mein shanaya ne bataya tha ki jaise hi wohh nahaa rahi thii koiiiii cheez ki parchaai ek or se dusri or gayiii…aur achanakkk shanayaa hil si gayii

Shanaya fhir nahanae lagii.achanakk oosne jaise hi parda haataya ek azib sa shaitan ooske theek saamne khara oose ghurr raha tha nukile daant safed badannn neeli aaankhee aur osne kuch hi dair mein shanayaap e bedardi se hamla kiya ooske chamde mein apne daant dhaasaakar ooska khoon piyaa bedardi se jagah jagah kaantaa..khoon se lathpath shanaya ko oos darine buri tarike se ooska khoon pia aur oose mara samajhke chodh diyaa..hum dost log bahut dair se shanaya ko khoj nahi paa rahe they achanakk maine dekhaa kii rahul ka bhaiii lucky gaayab haii hum dono oose kaafi dair tak khojjeee…aur ooskee theek baad humhe jo dikhaa oosse hum darr se sehem gaye

Ooske gale ki nass ko phadhta huaa wohh shaitann ek aurat ke sath milake ooska khoon pee raha tha who aurat theek ooske nabz pe daant gadhaaye khoon pee rahi thi aur wohh shaitan ooske gardan ko madhaoke bedardi se maans se nikal rahe khoon ko pee raha tha….oooski nigaah humpe gayi ion logo ko pehchaan emein dairi na huyi aur pata chal baitha ki ye dono koi aurr nahii wohhhi haiiii jo humne kahaniyo mein kisso mein padhaa tha wohh aaj asaliayt mein dekhaa…ek khoon peete pisaachhhh

Hum daudhhee…”bhaagoooo aditi bhaagoo”…rahul mujhe tezi kehke daudh raha tha…achanakkk rahul ka pao fisla aur sidhee wohh patthar pe jaa gira..main ooske paas gayi thi lekin wohh shaitan tabtalk dhaava bol chuke they main turant qile ke andar bhaagti huyi aayii aur ooske baad mere kaano mein qile mein gunztii rahul ki bas cheekhen hi sunaai dene lagiii aur ooske baad awaz tham gayii main roti khud ko bejaan mehsus kar rahi thi ye kisi buri khawab se kam na tha main turant daudhte huye bathroom mein aayi aur shanaya ki laash paayiii wohh shaitan eke k karke mere karee baa rahe haiiiii mujhhhee jeenaa haii plzzzz wohh log gab darwaja peet rahe haii ab wohh kabhi bhi andar aa jaayengge kabhiiiiii kabhiii bhiiii  aaahh”….Itne mein hi panna khatammm darrrr se main ekdum sihar utha


Yaani varsha ka shaq shai tha wohh log koi insaan nahii they oos raat mashaal liye oonhone theek wohi kaha tha ki wohh log is qile ko dekhne aaye hai…fhir aise hi humhe is tarah qila laake wohh logg pehle bhi aise hi maasum logo ko yahan bulaaye oonhein berehemi se maar dete hai apni haivaniyat ke liye apni bhook le liye ek pal mein pura dimaag jaise jhanjhana gaya saamne shanaya ki koi laash nahi thi par khoon hi khoon sukh ke dhabba ban gaya tha achanakk tasveer pe nigaah padi jo sidhe kitaab se fisalke gir gaya…oon tasveero mein ek ladki thii aur ek group do ladke aur ek aur ladkii yakeenna aditi inmein se koi ek hai aur ye log wohi hai jo yahan aaye they…maine kaanpte huye diary ko wohi rakh dala aur kaanpte huye darwaaje ke paasaaya

Main dheere dheere darwaaje ke kareeb aaya aur darwaza ek jhatke mein khol daala..dil dhak dhak kar raah tha..par darwaaje ke khulte hi koi nahi saamne dikha Maine torch liyaa aur dheere dheere bathroom se bahar aaya Ghana andhera chaaya huaa tha..beech beech mein biji khadhak uthtiii…Maine jhat se darwaja kholaa aur apne kamre mein aaya lekinnn ye kyaa?? Varshaa varsha toh apne bistar pe nahiii..maine charo or ek bar dekhaa..”varssha varsshha”…Awaz dene pe bhi varsha ki ko iawaaz nahi aayi

Mera andar ki dhadhkan tez ho uthii turant ek haath mein torch leke sidhe kamre se chutt para…sidiyo ki or…ek pal ko sehemta hua charo or dekhne laga…mann mein azib azib khyalat aane lage…ek baar dil kiyaa ki asif aur sanajana ke kamre pe jauu aur theek wohi sidiyo pe jhankte huye fhir sidhe main apne bagal wale kamre ki or gayaa…chrr chrr karta hua darwaja hawaa se khula padhaa tha…maine bare itminaan se andar pao rakhaa..dil ki dhadhkan tez upar se oo khaufnak chehre ko dekhke lag raha tha kahin wohh saamne khara hua toh fhir bhi kisi tarah kaanpte huye jab saamne ki or dekha tohh kamre mein andhera hi andhera

Khatt se jab pao lagaa toh paaya ki charo or tute huye cheezeinnn lag hi nahi raha tha ki yahan koi rehta bhi hai…ekdumm pura sharer kaanp gaya..maine charo or ek baar nazar daudhaaya aur jo dekhaa oosse waqt zyada na laga samajhne mein charo or diwaar ke ird khoon aur do pitall ke glasses paas mein…Achanak torch maarke saamne ki tasveer pe jab nazar gayi toh ek pal mein munh se aah nikal gayiii dil dehshat se bhar gaya purane se oos tasveer mein british gown mein ek ladki theek Wilson charles ke sath baithi thi puran tasveer kam se kam bahut purani rahi hogiii tasveer ekdum peeli padh chuki thi jagah jagah kharab ho chuke theyyy saaf dekh paaya sanjanaa wohi sanjana jo khud ko asif ki mangetar bata rahi thi…haath kab torch se chutt padhta samajh naa aaya…turant chutt para bahar ki or aur sidhe daudhte huye sidiyo takk

Saamne louis plates pe lage khoon ko chaant raha tha wohii khoon jo varsha ki ungli se theek katke plates pe giri thi..”kk..kaunn ho tummm?”…main cheekh utha…wohh shaks meri or hinsak nazaro se dekh raha tha ye louis nahi thaa bilkul safed nigaahein nukile daant barf jaisa safed jismm lambe lambe naakhunn…yahi hai wohh pisaachh wohh dheere dheere meri or aane lagaa..main piche hone laga daudhna bewakuffi thi oosmein munh se jaise koi kutta ghurrke awaz nikalta hai theek waise wohh upar aane laga dheere dheere meri ooski nigaahennn..”lll..louiiiss k..yaa ho gayyaa tummeinn dd..ekhoo mere kareeb mat aaoo”…Main torch haatho mein liye bas kaanpein jaa raha tha achanakk khat se pas rakhi vase sidhe niche girke tut gayi aur oosi ke sath diwaar pe tangi oos chandi ki bani khanjar ko nikaal liyaa…ssss aaah…karte huye louis do kadam piche ho gaya

Harsh – vvarrshaa kahannn haii kahan haii varshaa? Kyaa kiya tumm logo ne milake ooske satht bollo?
Louis – hahahah hahahaha sss Khoon ki talabb kahannn rukk saktii haiii ek ek karke sabko bhog chadhna hota haiii varshaa bhi theekk wohii haiiii ye amartaa ye taqaattt sabb pisach aur shaitani taqato ki dain hai
Harsh – dd..dekhoo m..ujhe dar..ake K.oi faayeda nahii aakhir raaz kya hai? main sab jan gaya hoot u mlogo ne isse pehle bhi kayi maasumo ki jaan li haii agar tumne mujhe nahi bataya ki varsha kahann hai tohh mainnn ye khanjar sidhe tumhare chaati mein ghopp dungaa
Louis – ssssss n..aahiiiiiiiiiii

Kuch pal mein hi louis aise dahadha maano jaise pura qila kaanp gaya ho…”jjjanna chatte ho is purane qile ka aakhir razz kyaa hai? “….Louis ki aankhen gulabi bari bari aankhe meri or ek tak dkeh rahi thi main chupchaap kaanpta huaa khanjar dikhaaye saamne khara tha
“mm..mujhe kuch nahi jannna bass mujhe itna bataao ki aakhir meri varsha kahan haii? Aur wohh donoo”….Maine dil ko mazbut kiye ek baar oose khanjar dikhaate huye dhamkaaya

Louis – aaiyee mere sathh sss dheere dheere

Itna kehte huye louis ulte pao niche jaane laga aur main theek ooske piche…kabhi bhi khanjar niche karne se who kahin hamla na kar de..hum dheere dheere sidiyo se niche utare aur theek niche ke kamre mein…ooske theek baad hi andhera chaane laga…maine torch jaalake ek baar louis ki or aur ek baar charo or roshni dikhaayiii dheere dheere louis sidiyo se niche utarne lagaa..pathrili sidiya main bhi utara…jaise jaise main niche jaa raha tha mera darr aur badh raha tha..pura badan thand se kaanpne laga sidiya khatam hi nahi ho rahi thi maano jaise kitne sateh niche paatal ke main aa gaya tha

Kuch dair mein kacchi mitti mehsus huyi aur ooske theek baad hi louiss ne mujhe hall ki or iskhara kiya ek bara sa hall khandar jaisa charo or jaise rajwade wali gufaa jaisi…mombatiyaa jal rahi thiii charo or makdi ka jaaliii aur theek oosi pal farsh pe safed chadar se dhakii laashhhh…haan laashh jaise hi ek kapra louis ne uthayaa mere kaleja munh se bahar aane ko ho gaya..theek aisa laga jaise ab jaan chali jaayegii ekdumm kankaal kuch dair mein hi oosne sabhi chadar ko hatate huye dikhaaya kisi laash ka chamda kisi ka adha bachaa maans laash sadh chuki thii kuch tazi lasho ne phate kapre pehenhuye they aur theek oosi pal meri nazar jis laash pe gayi pehchaan mei dairi na lagi yahi thi aditi..peeli padhke sukh ke kaanta ban chuki thi badan ken ass dikh rahe they aankhe munde laash bani huyi thi

Main kaanpta hua louis ki or dekhaa…”hahaha ye sab is qile ke aake raazdaar ban chuke hai”…Louis ne apne lambe naakhuno waale haatho ko hawaa mein uthaaya
Harsh – kkk..kyu rahe ho tumm log aisaa? Mmmerii varssha kahann hai?
Louiss – hahahhaa 1857 ki baat haiii jab Wilson charles ne hindusan ke is kone mein ye qila staphit kiyaa tha..wislon charles ki iklauti beti thi…wilson ne ek Hindustani aurat se shaadi kit hi..lekin Wilson charles nihaayti kanoon ke paaband aur ek magroor kisam ke insaan they oonki biwi ke marne ke baad hi wohh jaise ek gehre sadme mein dub gayeeee
Aur theek oosi hi pal jawaan betii ne kitne sambanddh huyee oonhi ke sipahi se

Baat dosti mein badli aur fhirr pyaar meinnn….aur dheere dheeree pyaar gehra hota chalaa gayaaaa lekinn ek raat…raja jab qile mein dobara laute tohh oonhone apni betii ko apne hi sipahi ke baahon mein dekhaa…khoon jaise ubal utha oosi pal raja ke aadesh pe ghassitte huye oos sipahii ko kaid kar diya gaya…oose har din har pal til til taqleef di gayii…jab tak wohh khud hi maut qabool na kar le rotii rahii gidhgidhati rahi apne pita ke pao pe haath rakhkkkee lekinn nirdaayi baap ko kahan rehem tha apne beti ke upar

Harsh – chuuupp rahoo mujhhe nhii sunnnaa mere kaareeb aayee tohh accha nahi hogaa…Mujhe bata daalo ki aakhir varsha kahann hai ?

Achanakk maine jaise piche mudhna chaha oosne mere upar chalaang lagaa di maine diwaar pakadh li who sidhe farsh pe ja gira aur ooske theek baad hi maine puri taqat se ooske seene mein wohh khanjar ghopp dalaa aur jiske lagte hi tadap uthaa..wohh dahadhte huye diwaar se jaa takraaya…aur oosi ke sath mainn sidhe sidiyo se upar chadhne lagaa…ek pal bhi waqt barbaad kiye jab upar ki or aayaa…

“vvarshaa varshhhaaaa”…,main chillata huaa charo or dekhne laga….achanakk samane ki or dekhaa..dhaddh dhadhh karti huyii awaazein aa rahi thi…maine jaise hi sidiyo se upar abhi chadha hogaa awaaz theek baayi or ke kamre se aa rahi thi maine oos darwajae ko kholna chahaa…lekin darwaza jaise band tha..achanakkkk maine puri taqat se darwaja todh daala
Achanakkkk dekhke rooh kaanp uthii char oor mombattiya jal rahi thii aurr theek beech mein varshaa ki aankhen band ooske theekk saamnee khari thi sanjanaa

Theek waisaa hi chhera safed aankhhh lambe daantt..pura chhra barf ki tarah safed aur ek kaale libaas mein wohh kuch badhabadhte huye hawaa mein haath uthaayi huyi thiiii main jhat se varsha ko jagane lagaa..ekdum se sanjana ne meri or dekhaa…main ekpal ke liye kaanp uthaa

Sanjana – yahann aakke tummnee bahutt barii galtiii kar dii haii aajjj ek baar fhiirr hamari pyaas Bujheggii
Harsh – kk…kaunn ho tumm?
Sanjana – jeete jaagte shaitannnn aur ab yahan se kahin tum dono nahi jaogee kahinn bhi nahiiii

Sanjana mere kareeb badhne lagiii main varsha ko jagaa chukka tha wohh bas darri sehemi mere se lipati huyi thii “aaj se barso pehlee mujhe mere pyaar se judaa kiya gaya tha…theek isi tarahh wilsonn mere pitaji ne mujhee asif se alag kiyaa….wohii shaks jise main bepanaah chahti thi hum dono ek ho sakte they”…itna kehte huye sanjana meri or dekh rahi thi Aur fhir sunati chali gayi wohh daastan

Asif sanjana ke sath laita huaa tha dono apne aanewaala kal ko leke chintit theyyy…sanjana ne ek baar asif ki or dekhaa aur fhir ooske seene pe sar rakh diyaa
Sanjana – hum kab ek honge? Meri maano tohh hum ye mahal chodhke tumhare sath jaa sakte hai
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #5 on: October 29, 2014, 03:07:32 PM »
Asif – nahii sanjana Wilson humhe kabhi ek nahi hone denge e

Dhadhhh …darwaja khul gayaa…wilsonn apni beti ko apne sipaahi asif ke baahon mein dekhke gusse se cheekh uthaa…”nahaiiiii itni bari gustakhiii”……..Wilson daahadh utha

Sanjana ek jhatke mein asif se alag hoke sehemte huye bistar uthi asif bhi ek jagah thithakke kahraa rhaa….wilsone ne aage badhke kasske apni beti ke chehre pe thappad mara..sanjana bistar se lagke niche gir uthi..asif sanjana ke paas gaya..”dur raho meri beti se naapak insaannn”…asif ka khoon khaul utha aur oosne ek baar Wilson ki or dekha

Wilson – tumne meri beti ke jism ko chuaa oose apne pyaar mein dhaala aur iski sirf ek hi saza hai mautttt sipaahiyo le jao isee
Sanjana – nnnnahiii nahiiii pitaajii aisa mat kijiyeee
Willson – durr hato agar ek baar bhi tumne is naapak janwar ko chuaa tohh tumhare haath kaant diye jaayenge chale jao ise dafa ho jao

Sipahiyo ne ghassitte asif ko sidiyo par se le jaate huye kaidkhaane mein daal diyaa….sanjana ne asif se milane ki kaafi koshishein ki par wohh naakam rahii aur jald hi kaafi torture karne ke baad maut ka hukam sunaa diya gayaa….lekin marte marte asif ne wada kiya tha

Asif – mujhhhe maaf kar dena snajanaa main tumhare waddeinn ko pura na kar pauuuu lekinn yaad rakhnnnaa main waapis aunga aur tumse Wilson tumhari beti ko cheen lungaa aur tumhein bhi khatam kar dungaaa yee wadaa haii meraa meraa waada haii tummsseeee

Wohh awaaz pure qile mein gunz uthi…aur isi ke sath hi sanjan ki aankho ke beech se khoon aansuyo ki tarah girne lage….sanjana ne seheme harsh aur varsha ki or dekha….”mere savr ka band utt chukatha….maine bhi theek asif ke marne ki khabar ke baad…kai baar marne ki koshish ki par Wilson ne mujhe kaid kar diya oon chand diwaariyo mein….lekin main janti thiii asif zarur aayegaa

Wilson apne rajpat pe dhyaan dene lage mere liye videsho se rishte aane lage…maien oon har rishto ko thukra diyaa..lekin Wilson meri zabardasti shaadi karane pe tule they…aur ek raat tufaan aaya….asiff dobara laut aaya lekin insaan mein nahi balki ek khoonkar pisaach bankee oosne rajgharaane mein ek ek karke sabko maar daala aur band kamre ke darwaaje ko todhte hiii itna khauffnakk chehra liye oosne mere paas aake mere chehre ki or dekhaa aur theek oosi waqt oosne meri gardan pe apna haath phaira aur apne nukile daant dheere dheere mere gardan pe dhass diye..aaaaaaaaaaaaaaaaaaahh

Oos awaaz ke gunzte hi Wilson apni talwaar liye jaise kamre mein dakahil huaa khoon gale se behte huuye zameen pe tapak raha tha….aur haath hawa mein jhul rahe they oos bejaan laash ko kasske oos jaanwar ne pakada huaa tha aur jaise hi oosne piche mudhke Wilson ki or dekha Wilson khauff se bhar aaya….wohh insaan na na janwarr ek jeeta jagta pisaacchhh khoon peene wala ek napak shaitaannn

Aur iske sath hi wilsonnn daudh utha….piche se asif ne oospe hamla kiya hamla karke sidhe oose vase pet oh kabhi diwaro pe de patka..meri nigaaheinnn mere baap ki or thi jo apni maut ko dekh raha tha….wohh chilla rahe they cheekh rahe theyyy aur dheere dheere dhundhulat mein sirf itna dekh saki ki asif ne wilson ki gardan madhodhkar ooske maans mein apni daant daal diye..aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhh….ek behad khauffnakk cheekh Wilson ki nikalne ke sath oos raat ke baad ye qila hamesha hamesha ke liye veeran ho gayaa”…..sanjana ka bhayanak roop dekhke main sihar utha

Achanakk chr chrr karta hua darwaza khul gaya main varsha ko leke theek bahar jaana chahta tha itne mein thak thakk thakkk..kisi kadmo ki awaz sunaai di…kisi ki parchaai aate huye dikh rahi thi…hum log piche ho gaye…sanjana theek hamare saamne kharii thii…achanakkk saamnnee se asif ko dekh sake lekinn ye asif nahii thaa balki ye wohii shaitan tha jiska zikar maine varsha se sunaa tha…jiske baarein mein sanjana ne byaan kiyaa…nukile daantt haste huye chehre ki dono aankhen surkh neeli ekdum safedd wohh dheere dheere kamre mein aane lagaaa

Asif – hahahahah hahahahahahaha hahahhahahaa kabbb takkk kabb takk bhaagooggee welcccomme too our familyyy jahahnnn zindagii khatam hotii aur ek nayii zindagi shuruur..aajj tum logg bhi theek oosi tarahhh marogee jis tarah ajtak aanewale har logo ka wohi haal huaaa

Asif ne sanjana ke haath ko pakra aur dono ek dusre ki or dekhte huyee hamari or dkehne lage….”humhhe jaane do humne aa..p lo..go ka ky..a bigaaddha hai?”….Maine kasske varsha ka haath pakre huye tha

Asif – bigaadha toh kuch nahi haii lekinnn aajjj hum sab ikhhate huyee haii ki aajj tumhein apne family ka hissa banayeee wohhh aa rahe haiii wohhh sabb aa rahe hai

Dono ka chehraa ekdumm khauffnak hote jaa raha tha mombatti ki lau phadhpadhne lagii…ghann ghann oonke awazo mein waisi bharipan tha…aur dheere dheere kisi ki kadmo ki awaaz sunaai dene lagi ek nahii do nahii balki naa jaane kitne…khat khat khatt karte huye wohh log sidiyo upar aa rahe they ho ho karti hawao ka shor badh gaya….aur kuch hi dair mein jo dekhaa oossse puri rooh sihar utthiiii

Koi insaan nahii balki wohh sabhi log jo yahan aake apni jaan gawaaye Wilson kuch siphaii har ksii ki aankhe safed nukile daantt…aur oosi purane poshako mein ek taraf khoon se lage sheher ko wohh log jo yaahan aake in logo ki baaliya chadheyyy…mainn ekdumm sihhhar uthaa mere munhhh mein jawaab anhiii ek pal ko laga kisi bure khawab se bhi buraa mainn piche huye jaa raha tha aur dheere dheere wohh sab langdhaate huye kamre ke andar aake bhar gaye…asif meri or ghurrte huye kareeb aane lagaa

Aur achanakk tabhi kisi nukile haatho ko apne gardan pe mehsus kiyaa…aur jaise hi piche mudhaa mainn byaann nahi kar sakktaa…waisa hi safed chehra waise hi safed aankheeee..aur theekkk waise hi nukile daant…ye varsha nahi thii balkiii ek shaitani pisaachhh….zyada dair na lagi samajhne mein ki varsha ab khud ek pisaachh thiii ooske gale pe wohii nukile daanto ke nishaann dekhke mainn ekdum khaufff se chilla utha

“V..Varsshhhaa varshaa yy.e kya kar rahi hoo varshaa mere k..areeb matt aao kyaa ho gaya tummheinnn varshaa varshaaaa”…maine varsha ke chehre ko chute huye kaha par wohh mere gale ko daboch chukithiii..main apna gala chuddhate huye ksii tarah sabko dhakka deke bahar ki or bhaagne laga lekin oon logo ne mujhe kasske pakadhhh liyaa


Huhhhh haaaahhhhh aaahhh hchoddh doo mujhee aah..wohh log mere jismo pe naakhun daant gadhaane lage..main oon laasho ko dhakelte huye aage ki or badhaa….achanakk nigaahh giri huyi om ke locket pe pariii oose uthtate hi lagbhag louis mere kareb aaya maien louis ko wohh om ka locket dikhaaya tohh woh ekdum kone pe khara hokee darr se mujhe dekhne lagaa.maine ek baar piche ki or dekha varshaa mere piche aa rahi thi aur ooske theek piche pisacho ki puri senaa…main dheere dheere sidiyo se daudhte huye larkharake sidiyo se girta huaa sidhe niche

Asif behad chuppchaapp meri or dekh raha tha…muskuraye apnii sanjana ka haath pakre dono ek dusre ke behad kareebb hokee ekdusre ke chehre ko dekhte huye hontho ko chummnee lagee….aur theekkk 1 pal mein ek dusre se judhaa hoke mujhe badhawas bhauklaaye darr mein bhaagte dekh rahe they mainn jaise jaise darwaaje ke kareeb aana chahaa…achanakk sanjana ekdum se hawa mein udhti huyi mujhpe chalaang lagaayiii

Aaaaaaaaaaaaaaa…ooski ek teekhi si kaan ke parde phadh dene wali bhayanak cheekh ke sathhh mainn sidhe darwaaje se jaa takraya aur sidhe munh ke bal farsh pe gir gayaa…wohh mere kareeb aane lagiii aur wohh shaitann bhiiii

Achanakkk mujhe itna toh oos waqt hoshh tha kiii ab mainn zyadatair tak aur nahi jee paungaa…varsha ko maine kho daala tha..wohh bhi ek hinsak pisaach ban chukii thi…mainne khud ke haatho ko mazbut kiyaa aur wohh locket sidhee paas aate louis ke maathey pe laga diyaa ek jhatke meinn louis ke maathey se dhuaa nikalne laga aur wohh cheekhte chillate huyee theekkk machli ki tarah tadapne lagaa….ooski khaufnaak chekhen pure qile mein gunzne lagiii sanjana piche hoke ksii sanap ki tarah beech beech mein mujhpe hamle ka mauka dhundh rahi thii wohh zinda laashein bhi kareeb aane lagiii maine varsha ki or dekhaa jo ek dum se badal si gayi thi wohh ro rahi thiii

Maine chain ko louis ke gale pe lapait diya aur oosi ke sathh wohh cheekhta dhaahadhata huaa dhuye mein tabdil hoke rakh ban gaya…main bhauklaake piche hone laga…varsha rone lagii..”muu.jhee bachaa looo mujhhhee bachaaa lo harsshhhh mainn jeena chahti hoo in logo se mujhe darr lag raha haiiii plss mujhhhe bachaa looo plsss mujhe yahann se chaloo”…..Maine ek baar varsha ke kareeb jaana chaha lekin dusri baari piche ho gaya

Ye varsha nahi thi ye ooska maayajal tha apne kareeb bulaane ka…har koi mere kareeb aaye jaa raha tha..behad kareeb mujhe janne mein waqt nahi lagaa tha ki varsha ko in logo ne maar daala hai aur jo saamne khari hai wohh ek zinda murda hai main rote huye apne aansu pochkke darwaaje ki or bhaaga aur isi pal maine piche dekha ki wohh log bhi mere piche daudhte huye aa rahe theyyyy….dheere dheere surajj nikalne waala tha…main darwaaje ke kareeb bhaagaa…chrrr chrr karta huaa darwaja band hone lagaa.main ek jhatke meinn darwaaje se lagke kisi tarah khud ko bahar kar liyaa lekin tabtalak ksii ne mere taango pe apne haath ki pakdh baithaa li

Wohh azib si awaaz nikaalte huye mujhe andar gasittne lagee…darwazaan fhirse khulne lagaa..maine bay pocket mein lighter thaa theek oosi lighter ko nikaalke ek jhatke mein oos mazbut haath pe jaise hi aag rakhaa..wohh haath ekdum se andar chali gayi aur iske sath mujhe zinda murdo ke cheekhne k iawaaz sunaii di…main rota hua om ka locket aur ek haath mein lighter liyee daudhhaa….jitna ho saka utna daudhaa..daudhtee daudhte kab kacche rasste ke paas jaate huye kahan se kahan jaane laga pata na chala achanakk patthar se sar ja takraay aur ek hi pal behosh hoke main wohii gir para

Hosh mein jab aaya toh aas paas logo ki awaazein sunaai di…maano jaise kuch ho gaya ho jab hosh mein aaya toh khud ek bistar pe paaya ekpal mainnn sheemte huye charo or dekhne laga wohh pisaach yaad aane lage .”mmmmeerii varsshha merii varshaa wohhh meri vvarshaa ko lee gaye meriii varshhhaa”….main chillane laga oon logo ne mujhe pakadte huye mere chehre ko thapthapayaa

Shaks – shaant raho beta tum bach gaye ho haannn khushkismat ho ki tum bach gaye tum gaon mein ho beta tumhein kucch nahi hoga
Harsh – meriiii varshaa marr gayii

Itna kehte huye main rone lagaa….oonnmein se ek vaidya ne mujhe aaram se waapis bistar pe sulaaya aur fhir kuch ghanto ke liye main waapis so gaya….jab neend khuli toh jism pe halka dard ka ahesaas tha

Gaon waalo se jo sunaa oos pal meri saansein ruk si gayii…asal mein maine galat raasta ikhtiyaar kiyaa tha..jis raaste se hum jaa rahe they wohh asal mein qile ki or leke jaata tha ghani jungle ke beech aur jis raaste se wohh asif aur sanajna aaye they asal mein wohh raasta theek qile ke paaswaale purane qabarsatan ka tha…jahan Wilson aur ooski laasho ko dafnaayi gayi thi wohh fhir kyat ha jo kal raat maine oon murdo ko saamne dekhaa…asal mein wohh log khud ab ek pisaach banke yunnn hi junglo mein bhatakte aaye theyyy aur asiff ne hi oonke rajpaat ko khatam kar daala kisi tantrikk ne barso pehle asif ki laash ko waapis zinda kiyaa tha..oosne oose apni shaitani shaktiyo ke liye chuna aur wohh jab zinda huaa tohh ek khoon peeta pisaach ban gaya jo aaj bhi oon junglo mein ek ladki ke sath bhatakta haiii wohh logg jhaansein logo ko qile mein le jaatee

Oonke laakh puchne par bhi maine nahi bataya ki maine wahan kya khaaya tha? Lekin jis baat ka gam tha wohh ye ki main akela hi oos daldal se bahar aaya tha piche reh chuki thii wohh maasum zindagiya jo maut ke daldal mein saans ghot chuki thii apna dum todh chuki thi…ek pal ko main varsha ke kami mehsus karne laga aur theek oosi pall gaon waalo ke theek thaak karne ke baad main akele hi gaon waalo ke madad se wahan se chaala aayaa….

Pure raaste main gam mein dooba tha kitne khush they hum jab sath aaye aur ab itna akelaa meri zindagi itni veeran ho jaayegi socha nahi tha mujhe yakeen nahi ho raha tha ki sheher jaake police ko ya kise byaan karta kise kehta ki mere sath kya hua? Koi mujhe paagal kehta koi mujhe kuch aur par main ye raaz jaanta tha aur mujhe yakeen thaa aajj bhi oos veeran qile meinn wohhh donoo hongee kisi aur ke intezaar meinn kisi aurr ke taalash mein jo hamari hi tarah bhattakar wahan aayega maine jaan liya tha jo log bhi wahan gaye waapis kyu na aa sake ooska ek maatra wajahhh oonki gumshudgi ka ki wohhh oos qile mein jaake dobara naa laut sake

Aaj bhi oos qile mein hi rehte haii wohh donoo aur aaj bhi intezaar meiin hai ki kab koi zindagi is maut ke darwaaje pe dastak de…

Oos qile ke theek andar suraj ke dhalte hiii…mombattiyo ki lau ke theek beech sanjana muskurayii huyiii baithii aur asif theekk saamne laitaa huaa haiiii sanjana ka chehra surkh safed aur aankhe safed ho uthiii nukile daantt dikhte hi sanjanaa ne asif ki or dekhaaa….aur asif ekdum se apni safed aankhe kholke apne nukile daant bahar nikaale ek dusre ki or dekhne lagee…aur fhir darwaaje ki oos dastak ko sunke muskurane lagee…

The end….
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: November 03, 2014, 07:29:35 PM »
kya bhyanak aur khayfzda kahani thi.....hope nxt part mein inn shaitano ka ant ho
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 09:54:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.226 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer