tere her andaaz mein ik andaaz nazer aata hai
tere her jazbaat mein ik lihaaz nazer aata hai,
khayaalaat tere dil main kaise bhi hon saahil,
mujhe her fareb main tere pyaar nazer aata hai.
Jee harsh ji yeh problem mere saath bhi hai
mai bhi saamne kuchh aajaye to instant reply karti hu
aur aaj kal problem hone laga hai ... maine yaha direct likha abhi post bhi na kiya aur socha usey kahi save kar lu but yaha se copy nahi hua
aur usi waqt power chali gayi.... ab yaad thori rehta hai kya likha tha
chaliye koi baat nahi thora waqt lagega phir aadat ho jaayegi ....

Thaxxx for ur appreciation and comments ...
zyada waqt nahi hua hai mujhe likhte ... yehi Yo par aane ke baad
itna likha warna kabhi mujh se koi sher ban gaya to
Hafte bhar tak usey hi celebrate karti thi .... :oops: :oops:
ab to yaad bhi nahi rehta kab kya likha
Fareb bhi koi apna hi diye jaata hai
Ke gairo ko kaha fursat ke hum ko fareb de
ab nahi likha jata..teen baar saaf ho gaya..shayad ab mujhe yahan se bahoot koft hone lagi hai...2-2 page saaf ho gaye...
bahoot oomda likha hai aapne....apne hi fareb dete hain jaise ye apni site mujhe baar baar fareb deti hai..
akhiri try..
aouron ke jakm dekh ker hansti hain jo aanke,
woh chasm aansuon se bhar kyuin nahi jate.
Kehte hain ki badlenge, woh Veeran ko chaman mein,
Kerna hai jo bhi aakhir, woh ker kyuin nahi jaate.