AAP KE NAAM ...........................

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:39:29 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 24
ReplyPrint
Author  (Read 38191 times)
FAREE
Guest
«Reply #90 on: August 25, 2005, 07:41:51 PM »
Reply with quote
Dil Ki Baat Hum Se Na Chupaya Karo
Hum Se Chahat Na Ziyada Jataya Karo
Door Rahte Ho Kion Paas Aaya Karo

Tera Jalwa Kabhi Hum Ne Dekha Nahin
Kabhi Chehra Humen To Dikhaya Karo
Roz Gheron Ki Majlis Main Jate Ho Tum
Kabhi To Apno Ki Mahfil Sajaya Karo

Hum Ranjeeda Bhi Hain Neem Deeda Bhi
Aa Ke Dil Tum Hamara Behlaya Karo
Teri Majboorion Ki Khabar Hai Mujhe
Baat Baat Per Kasmein Na Khaya Karo

Tere Waade Pe Hum Ne Bharoosa Kia
Kuch To Ulfat Ka Tum Bhi Haq Nibhaya Karo
Chahne Wale Ki Chahat Pe Kar Lo Yakeen
Roshni Main Diye Na Jalaya Karo

Hum Bhi Hum Raaz Hain Tum Bhi Hum Raaz Ho
Dil Ki Baat Hum Se Na Chupaya Karo
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kis naam se pukaroon by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
naam bikta hai............. by purani_jeans_aur_guitar in Shairi - E - Zindagi
BAY NAAM NAZMAIN by Dr Maqsood Hasni in Patriotic Poetry in Punjabi
Mat naam lo by chatingforever in SMS , mobile & JOKES
Zindagi hai chalne ka naam by Pooja in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #91 on: August 27, 2005, 07:18:10 PM »
Reply with quote
Hmmmmmmmm Pretty  :p


Tum bhi humko na yu sataya karo
Paas aao to na duur jaaya karo
Teri ulfat me hum hai duube huye
Na aaina dikhakar jalaya karo ...... :oops:
Logged
FAREE
Guest
«Reply #92 on: August 29, 2005, 07:54:43 PM »
Reply with quote
Thank You .................................................:D
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #93 on: September 02, 2005, 11:16:29 AM »
Reply with quote
hum bhi sharaabi, tum bhi sharaabi
     chalke gulaabi, chalke gulaabi
     taqdeer dil ki khaana kharaabi

     jab tak hai jeena khush ho ke jee leiN
     jab tak hai peena jee bhar ke pee leiN
     hasrat na koi reh jaaye baaki

     kal suboh ke daaman meiN, tum hoge na hum honge
     bas reth ke seene par kuch laksh kadam honge

     bas raat bhar ke mehmaan hum haiN
     zulfoN meiN shab ke thoDe se kam haiN
     baaki rahega saagar na saaqi
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #94 on: September 04, 2005, 04:41:43 PM »
Reply with quote
Wowwww Mili_Genie Ji..... Beautiful

Jo bhi hai aaj hai
jeelo aaj ko khush hoke
Kal zindagi mauka de ke na de
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #95 on: September 05, 2005, 05:34:30 AM »
Reply with quote
thanx saba ji this is also my favourite gazhal i think u also like that

    haath chooten bhi tho rishthe nahin choda karthe
    waqt ki shaak se lamhein nahin toda karthe

    jiski aawaaz mein silwat ho nigahon mein shikan
    aisi tasvir ke tukde nahin joda karthe

    shahad jeene ka mila karta hai thoda thoda
    jaane waalon ke liye dil nahin thoda karthe

    lagke saahil se jo behta hai use benne do
    aisi dariya ka kabhi rukh nahin moda karthe

From Marasim- Jagjeet
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #96 on: September 05, 2005, 05:55:16 AM »
Reply with quote
mere darwaze se ab chand ko ruksat kar do
     saath aaya hai tumhaare jo tumhaare ghar se
     apne maathe se hata do ye chamakta hua taaj
     fenk do jism se kirnoN ka sunahri zewar
     tumhi tanha mera gham khaane mein aa sakti ho
     ek muddat se tumhare hi liye rakha hai
     mere jalte huye seene ka dahakta hua chaand


from Main Aur Meri Tanhai - jagjeet
Logged
FAREE
Guest
«Reply #97 on: September 06, 2005, 09:48:06 PM »
Reply with quote
Nice DEAR mili




Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se

Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.

Pyar Dil Mein Hai To Zuban Pay Lao,
Yeh Aag Badhti Hai Isay Bujhane Se.

Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huyi,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se!

Karo Koshish Kay Khatam Hon Yeh Kurbatein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Inhain Badhane Se.

Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil Aye Saghar,
Dard Hi Badhta Hai Sunanay Sunane Say!
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #98 on: September 07, 2005, 05:21:29 AM »
Reply with quote
thanx a lot faree ji... i hope u enjoy this ghazal
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #99 on: September 07, 2005, 05:23:54 AM »
Reply with quote
har ek baat pe kehte ho tum ke  'too kya hai' ?
tumheen kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai  ?

ragon mein  daudte firne  ke ham naheen qaayal
jab aankh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?

chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree  jeb ko ab  haajat-e-rafoo  kya hai ?

jalaa hai jicm jahaan dil bhee jal gaya hoga
kuredate  ho jo ab  raakh,  justjoo kya  hai ?

rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe  kahiye ke aarzoo  kya hai ?
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #100 on: September 24, 2005, 01:57:47 PM »
Reply with quote
woww ............ Mili

Bohat KhuuB

Mohabbat me kuchh aisa ho gaya hai
deewana rote rote so gaya hai

Naya andaaz hai us ke sitam ka
Mere zakhmo me kaante bo gaya hai

Na jaane kya hua hai kab se dekho
Mera dil dhadkano me kho gaya hai

Har ek jaanib hai nafrat ki dukane
Tumhara sheher kaisa ho gaya hai

Hua hu jab kabhi gamgeen ~Gohar~
Woh mere paas aake ro gaya hai ... nm....
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #101 on: September 26, 2005, 10:17:34 AM »
Reply with quote
thanks saba....... how r u???

zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga

tu mila hai to ehsaas hua hai mujhko
ye meri umr mohabbat ke liye thodi hai
ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
maine wo saans bhi tere liye rakh chodi hai
tujhpe ho jaaoonga qurbaan tujhe chaoonga
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga

apne jazbaat mein nagmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karoon
maine kimsat ki lakiron se churaaya hai tujhe
pyaar ka ban ke nigehbaan tujhe chahoonga
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga....

this gazhal sung by ...... Mehandi hasan..
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #102 on: September 26, 2005, 05:31:39 PM »
Reply with quote
m fine mili .... hwz every thing


Izhaar-e-ishq kya unse karte hum
Woh jo ek baat thi kaise kehte hum

Zamane beete un se milte rahe
Nazro se keh diya zaba.n se kaise kehte hum

Gairo.n me rahe uljhe woh hardam SABA
Kaise yeh la-talluqi bardasht karte hum
Logged
FAREE
Guest
«Reply #103 on: September 28, 2005, 10:29:02 AM »
Reply with quote
--------------------------------------------------------------------------------
 
Jis Ki Manzil nahin Koi Woh Musafir Hoon
Mit Gya Jo Tere Dil s Woh Hrf-e-Akhir Hoon
_______________Main Bhoola Nahin Tujh Ko Tum Bhool gaye mujh Ko
Ubhrain Gay Tere Dil Main Woh Naqsh Mazi K
Barbad Huwa Hai Koi teri Is BeNyazi S
______________Main Bhoola Nahin tujhko Tum Bholl Gaye mujh Ko
dekhaoon main bhlaaa kaise Zakhm Jigar K
Lag Gai Hai Zamane ki Nzar Teri Nzar Ko
______________Main Bhoola Nahin Tujhko Tum Bhool gaye mujh Ko
Bikhri Hain Teri Yadein Verane Main Dil K
Dekha Hai Aaksr Tujh Ko Aiyne Main Dil K
______________Main Bhoola Nahin Tujh Ko Tum Bhool Gaye Mujh Ko
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #104 on: October 20, 2005, 09:26:07 PM »
Reply with quote
Jo hai pyar tumko to
Kyu lab par nahi laate
Meri chhoti si khawahish ko
kyu pura nahi karte
Yeh zidd to nahi hai Jaana
Haa in lafzo se dil me diye hai jalte
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 24
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 11, 2024, 06:38:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer