AAP KE NAAM ...........................

by fakharenaveed on December 28, 2004, 11:39:29 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 24
ReplyPrint
Author  (Read 38088 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #45 on: June 08, 2005, 09:19:02 PM »
Reply with quote
Usne wada kiya ki miloongi shabab me
Jab shabab aaya to mili naqab me
Jab shabab dhal gaya to aayi kabar par meri
Afsos woh thi be-naqab, par main tha naqab me

Doli me bithaoge to aayenge
maa se maang ke lejaoge to aayenge
sochlo ye mushkil ka safar hoga
na laut jaane ke liye bulaoge to aayenge.

Kehnay ko woh haseen thay, aankhen thi bewafa
Daman meri nazaron se bacha kar chale gaye
Itna mujhko bata do mere dil ki dhadkano
Woh kaun the jo khwab dikha kar chale gaye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kis naam se pukaroon by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
naam bikta hai............. by purani_jeans_aur_guitar in Shairi - E - Zindagi
BAY NAAM NAZMAIN by Dr Maqsood Hasni in Patriotic Poetry in Punjabi
Mat naam lo by chatingforever in SMS , mobile & JOKES
Zindagi hai chalne ka naam by Pooja in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
fakharenaveed
Guest
«Reply #46 on: June 09, 2005, 09:37:55 PM »
Reply with quote
kabhi atkhelian karna hawa se
kabhi titli ki khwahish mein machalna
hamein bhi raas aata ja raha hai
tumhare gham ki bahon mein sambhalna
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #47 on: June 10, 2005, 09:48:42 PM »
Reply with quote
Laal-gulabi rang hai,jhoom raha sansaar,
Suraj ki kirne,khusiyoon ki bahaar,
Chand ki chandni,apno ka pyaar,
Mubarak ho aapko,nav varsh ka uphaar.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #48 on: June 12, 2005, 03:07:45 AM »
Reply with quote
dil ko aaj uski yaad ney buhat satya hai
lekin woh bewafa aaj bhi nahin aya hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #49 on: June 12, 2005, 07:29:33 PM »
Reply with quote
USKA ERE HALKA SA EHSAAS TO HAI
BE DARD SAHI WOH MERI HUMRAAZ TO HAI

WOH AAYE NA AAYE MERE PAAS LEKIN
SHIDAT SE MUJHE US KA INTAZAAR TO HAI



ABHI NAHIN TO KYA HUA MIL HI JAYENGI KABHI
MERE DIL MEIN US SE MILAN KI AS TO HAI


PYAAR KI GAWAHI MERE AANKHON SE NA MAANG
BARASTI NAHIN ANKHEIN MAGAR DIL UDHAAS TO HAI
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #50 on: June 13, 2005, 09:04:42 PM »
Reply with quote
Khud ko ais dil main basane ki ijazat de do

Mujh ko tum apna banane ki Ijazat de do


Tum meri zindagi ka aik haseen lamha ho

Phoolon se khud ko sajane ki Ijazat de do



Main kitna chaha hoon kis tarha bataoon tumhain

Mujhe yeh aaj batane ki ijazat de do



Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra

Mujhe yeh sham sajane ki Ijazat de do


Mujhe qaid kar lo apnay ishq main

Yeh jaan tum pe lootane ki Ijazat de do
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #51 on: June 14, 2005, 11:18:32 PM »
Reply with quote
Paida Huwi Thi To Kuch Nahi Thi Mein
Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Mein

Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedoon Dil Tohfay Mein Agar

Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain
Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Sog Hotay Hain

Kuch Logoon Ke Liyay Maa Ko Choorte Nahi
Chahay Kuch Ho Jaye Moo Mortay Nahi

Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain

Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe
Aur Wo Mujhe Pyar Karay Meri Issi Ada Pe

Maa Se Mujhe Meri Koi Juda Na Karay
Karoon Pyar Kissi Aur Se Khuda Na Karay !!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #52 on: June 15, 2005, 11:30:11 PM »
Reply with quote
Ruka Hua Hai Ajab Dhoop Chhaaon Ka Mausum
Guzar Raha Hai Koi Dil Sey Baadalon Ki Tarah

Mein Nay Dushman Ko Bhi Ahsaas-E-Mohabbat Bakhsha
Merey Apney Mujhay Nafrat Ki Saza Daitay Rahey

Usko chaha bhi toh iqraar na karna aaya,
Kat gayi umar, hamein pyaar na karna aaya,
Usney maanga bhi agar kuc... toh judaai maangi,
Aur ek hum thay ke inkaar na karna aaya
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #53 on: June 16, 2005, 11:45:13 PM »
Reply with quote
Har Rishta Hi Aab tu Jhoota Jhoota Sa Lgta Hai
Un ki Har Baat ka Ishra  Jhoota Jhoota sa Lgta Hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #54 on: June 17, 2005, 09:04:10 PM »
Reply with quote
Aaj ajab kasmkhsh  mein hoon sathiyooo
aik musafir hoon tu do kahstain mujhay kiun mili hain
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #55 on: June 17, 2005, 11:43:06 PM »
Reply with quote
Dhuan banake fizaan mein uda diya mujhko!
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko!

Khada hoon aaj bhi roti ke chaar hurf liye,
Sawal yeh hai kitabon ne kya diya mujhko!

Safaid sung ki chadar lapait kar mujh par,
Faseel-e-shaher pe kis ne saja diya mujhko!

Main ek zurra bulandi ko chhoone nikla tha,
Hawa ne thum ke zameen par gira diya mujhko!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #56 on: June 18, 2005, 11:09:58 PM »
Reply with quote
Tere sang bita har paal yaad ata hai,
lamha lamha ankhon main se lahere ata hai,
tumko kho kar humne itena jaana hai,
ketena adhura jivan ka afsana hai,
Pyar tera dil se hamare kabhi bi na hoga kam,
Ab ye zindegi ki hai Tere Naam.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #57 on: June 20, 2005, 10:16:22 PM »
Reply with quote
Aaj woh is torr s mujh s juda huwa hai
lgta hai yarao k woh kuch hum s khfa huwa hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #58 on: June 22, 2005, 09:12:46 PM »
Reply with quote
Rishton ki yeh duniya hai nirali,
Sab rishton se pyaari hai dosti hamari,
Manzur hein aansun bhi aankhon mein hamare,
Agar aa jaye muskaan hothon par tumhari.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #59 on: June 24, 2005, 08:57:22 PM »
Reply with quote
today am not in good mode so nothing `ll post today.............................. sorry
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 24
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 06:01:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.268 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer