abdbundeli
Guest
|
|
|
Ham roo-b-roo hain! Deykho: nazreyn na churaaou tum! Pahichaananey lagogey: palkeyn to uthaaou tum!!
Ummeedwaar hoon mein! Kuchh to kaho, karoon kyaa? Kyaa shart hai tumhaaree? Kuchh bhi ho? Bataaou tum!
Har lamhey hashra, deykho, nazdeek aa rahaa hai: Ham beetaney lageingey: mat deir lagaaou tum! Guzree hai raat aadhee: ab hai shafaq ki baaree; Maanou kahaa! Fuzool bahaaney na banaaou tum!!
Yeh din naheen hai! Deykho, taareek nisf shab hai!! Deykhun tumhain nazar bhar: shama'a to jalaaou tum!
Yeh waqt hai surooree! Aakhoun mein khumaaree kyoun? Jalwah may-e-uyoonee naayaab, dikhaaou tum!
Tum kartey ataa: leykin, ham sey gayaa na maangaa! Maanaa, khataa huyee hai; ab maan bhi jaaou tum!!
Dahroun guzar gaye hain: naaraaz ho abhi bhi? Aashiq hain ham tumhaarey; itnaa na sataaou tum!
Peishaa hi tumhaaraa hai jab chaarahsaazgee kaa: Bey-jaan ho na jaaoon? Ab hosh mein aaou tum!
Zid hai: binaa bulaaye, aaoongaa naheen mein bhee! Kab kaa bulaa rahaa hoon? Beyhtar hai, bulaaou tum!!
Yah hizra ho, na ho; par, yah wasl bhi naheen hai? Jal hi rahaa hoon yuun bhi: lo, aur jalaaou tum!!
Yah 'na-nukar', yah 'maan-manouwal', to hai azal sey: Yeh, aakhiree lamheyn hain! Chaaho to, bachaaou tum!!
Dooree, 'abd', rahee hai; leykin, judaa na they ham! Duniyaa ko, agar shak hai ab bhi; to, mitaaou tum!!
********** - abd bundeli
|