Dil toe ameer hota he laikin ghareeb ka..

by mazHur on October 11, 2011, 08:02:15 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1288 times)
mazHur
Guest
Reply with quote
Kis se gila karoon ga mein apne naseeb ka
mere maraz mein haath he mere tabeeb ka.

Juzvey hayat ban ke utarta he rizq-e-gham
Na jane kha raha hoon mein kis ke naseeb ka.

Jab bhi woh yaad aye tamasha ajab hua
Dil mein khayal aa gaya aksar raqeeb ka.

Manzar bahut suhana sa lagta tha door se
Nazzaara  hosh ura gaya laikin qareeb ka.

Mana ke uske paas nahi dolat-e-haram
dil toe ameer hota he laikin ghareeb ka.



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zakhm Barh Gaya Laikin ........................ by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Kisse China Hai ye Ameer-e-shaher ( Qadeertoopchi ) by qadeer_junaid in Ghazals
hum ghareeb kahaan! by mazHur in Ghazals
ameer-gareeb by BANSI DHAMEJA in Share:Miscellaneous Shayari
TERA WO BHEEGNA by Ameer Hasan Malik by Ameer Hasan Malik in Shayri for Khumar -e- Ishq
sarfira
Guest
«Reply #1 on: October 12, 2011, 02:56:19 AM »
Reply with quote
bahut khoob--
Logged
Qais
Guest
«Reply #2 on: October 12, 2011, 03:48:05 AM »
Reply with quote
bahut achhi ghazal kahi hai.daad qabool karein.
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 34 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: October 12, 2011, 05:09:38 AM »
Reply with quote
KHUB
Kis se gila karoon ga mein apne naseeb ka
mere maraz mein haath he mere tabeeb ka.

Juzvey hayat ban ke utarta he rizq-e-gham
Na jane kha raha hoon mein kis ke naseeb ka.

Jab bhi woh yaad aye tamasha ajab hua
Dil mein khayal aa gaya aksar raqeeb ka.

Manzar bahut suhana sa lagta tha door se
Nazzaara  hosh ura gaya laikin qareeb ka.

Mana ke uske paas nahi dolat-e-haram
dil toe ameer hota he laikin ghareeb ka.




Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: October 14, 2011, 05:31:18 PM »
Reply with quote
Mazhur Sahaab Aadaab!

Waah waah waah janab... kia gazab ki kalaam kahi hai aapne
aik aik ashaar ki gehrai meiN kho se gaye the hum.. behad
umdaa aur kafi dilfareb khayaaloN ko kaha hai aapne..

Bahut khoob janab.. aap ki is kalaam ko padhkar dil kafi
halka hua humaara.. humare dil ki tamaam gehrai se aapko
dili daad ... behad umdaa kalaam kahi hai janab haqikhat
se ruberu karaa diyaa aapne.. Usual Smile

Likhate rahiye janab aise hi umdaa kalaamoN ke saath aate
rahiye.. Khush O aabaad rahiye.. Khuda Hafez..     

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 10:05:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.183 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer