Ghazals..........Have a look !!!

by Friend_4uall on November 27, 2005, 01:20:52 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1691 times)
Friend_4uall
Guest
Reply with quote
In aankhon ki masti ke, aah aah aah aah
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
Mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
Ek tum hi nahin tanha, aah aah
Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri rusva
Ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise
Is shaher mein tum jaise deewaane hazaaron hain
Deewaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke, aah aah aah
Ek sirf humi mai ko, ek sirf humi
Ek sirf humi mai ko aankhon se pilaate hain
Aankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain
Maikhaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
Is shamm-e-faroza ko, aah aah
Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho
Aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain
Parvaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghazals by majid in Ghazals
ghazals by poonam singh in Ghazals
Parveen Shakir jee's Ghazals by suman59 in Urdu Poets
incomplete ghazals by Dheeraj dave in Miscellaneous Shayri
°°° My New Experiment in Ghazals °°° by Zaif in Ghazals « 1 2  All »
Friend_4uall
Guest
«Reply #1 on: November 27, 2005, 01:22:15 PM »
Reply with quote
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Bas ek baar mera kaha
Bas ek baar mera kaha maan lijiye
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Is anjuman mein aap ko
Is anjuman mein, aah, aah aah aah
Is anjuman mein aap ko
Is anjuman mein aap ko aana hai baar baar
Aana hai baar baar
Deevaar-o-dar ko gaur se
Deevaar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Maana ke doston ko nahin
Doston, doston ko nahin
Maana ke doston ko nahin dosti ka paas
Lekin yeh kya ke gair ka
Lekin yeh kya ke gair ka ehsaan lijiye
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Kahiye to
Kahiye to aasmaan ko
Kahiye to aasmaan ko zameen par utaar laaye
Mushkil nahin hai kuch bhi
Mushkil nahin hai kuch bhi agar thaan lijiye
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Bas ek baar, bas ek baar
Bas ek baar mera kaha maan lijiye
Maan lijiye, maan lijiye
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #2 on: November 27, 2005, 01:24:29 PM »
Reply with quote
Dekh Lo Aaj Humko Ji Bharke
Koi Aata Nahin Hai Phir Marke

Ho Gaye Tum Agar Saudai
Door Pahunchegi Meri Rusvayi
Dekh Lo Aaj...

Aao Achhi Tarah Se Kar Lo Pyar
Ke Nikal Jaye Kuch Dil Ka Bukhar
Dekh Lo Aaj...

Phir Hum Uthne Lage Bitha Lo Tum
Phir Bigad Jaaye Mana Lo Tum
Dekh Lo Aaj...

Yaad Itni Tumhe Dilaate Jaayen
Paan Kal Ke Liye Lagate Jaayen
Dekh Lo Aaj...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #3 on: November 27, 2005, 01:27:35 PM »
Reply with quote
Haalat na poochho dil ki
Badi mushkil mein dil hai sanam)
Dard chaahat ka ho raha hai
Kabhi zyaada to kabhi kam
Haalat na poochho dil ki
Badi mushkil mein dil hai sanam

(Jeevan ki yeh lambi dagar hai
Mujhko pataa hai, tumko khabar hai)
Tanhaa safar yeh kat na sakega
Kal yeh tumhaara dil bhi kahega
Koi aake gale se lagaaye
Ho jaaye kisi ke hum
Dard chaahat ka ho raha hai
Kabhi zyaada to kabhi kam
Haalat na poochho dil ki
Badi mushkil mein dil hai sanam

(Banke saathi de do sahaara
Har dhadkan ne tumko pukaara)
Baat pate ki meri maano
Deewane ko apna jaano
Shukriya main karoonga tumhaara
Jo hogi nigaahen garam
Dard chaahat ka ho raha hai -
Kabhi zyaada to kabhi kam
(Haalat na poochho dil ki
Badi mushkil mein dil hai sanam)
Badi mushkil mein dil hai sanam
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #4 on: November 27, 2005, 01:30:24 PM »
Reply with quote
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad ha
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Khench le na voh mera parde ka kona daffatan -
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye - Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #5 on: November 27, 2005, 01:34:21 PM »
Reply with quote
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do)
Ban jaao meet mere
Meri preet amar kar do
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do
(Na umr ki seema ho
Na janm ka ho bandhan)
Jab pyaar kare koi
To dekhe keval mann
(Nayi reet chalaakar tum
Yeh reet amar kar do)
(Aakaash ka soonapan
Mere tanha mann mein)
Paayal chhankaati tum
Aa jaao jeevan mein
Saansein dekar apni
Sangeet amar kar do
Sangeet amar kar do
Mera geet amar kar do
(Jag ne chheena mujhse
Mujhe jo bhi laga pyaara)
Sab jeeta kiye mujhse
Main har dam hi haara
(Tum haarke dil apna
Meri jeet amar kar do)
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 08:33:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer