Jang jaaree hai nayee, badhh kar, taraaney deejiye!

by abdbundeli on March 27, 2012, 07:51:44 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 805 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Khaak-e-Hindustaan ko zarkheiz daaney deejiye!
Noujawaan ko waqaar apnaa aazmaaney deejiye!!

Dusmanaan-e-mulk ko, tahzeeb key pardey hataa,  
Laaiye sab kee nazar mein; qaidkhaaney deejiye!

Ban na baithey aa koyi aiyaar apnaa rahnumaa?
Gair ko pahichaan, mat nazdeek aaney deejiye!

Darindoun ney meymanoun key pairaahan oudhhey na hon?
Jahaan ho tasdeeq-e-insaan, wo thhikaaney deejiye!

Muhaazir ban agar dahshatgard paaye hon panaah:
Jald beyghar keejiye; mat aashiyaaney deejiye!

Deykhiye, shaffafzaadah ho na andar sey siyah?
Majlis-e-tahqeeq mein pahley nahaaney deejiye!

Kyaa nihaan hai naqaab-e-saiyaad mein, mat poochhiye?
Uqaaboun ko, bheerh mein, mat sar chhupaaney deejiye!

Inqilaabee dour hai, sar par hai ab bhi aasmaan:
Jang jaaree hai nayee, badhh kar, taraaney deejiye!

Muskuraa kar boliye kuchh bhee, mukhaatib hai 'abd',
Bulbuleyn hain bulbuleyn, beykhouf gaaney deejiye!

                 - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
JANG by harashmahajan in Shairy-E-Watan
*****zindgi ek jang hai***** by kaushikbhawna008 in Shairi - E - Zindagi
Ab bhi dour-e-hayaat hai jaaree! by abdbundeli in Ghazals
jang thehri thi meri by a.r.hashmi in Ghazals
KHUD SE HI AB JANG HAI....////............................////....IFTAKHAR by Iftakhar Ahmad in Ghazals « 1 2  All »
pankajwfs
Guest
«Reply #1 on: March 27, 2012, 08:06:39 AM »
Reply with quote
Khaak-e-Hindustaan ko zarkheiz daaney deejiye!
Noujawaan ko waqaar apnaa aazmaaney deejiye!!

Dusmanaan-e-mulk ko, tahzeeb key pardey hataa, 
Laaiye sab kee nazar mein; qaidkhaaney deejiye!

Ban na baithey aa koyi aiyaar apnaa rahnumaa?
Gair ko pahichaan, mat nazdeek aaney deejiye!

Darindoun ney meymanoun key pairaahan oudhhey na hon?
Jahaan ho tasdeeq-e-insaan, wo thhikaaney deejiye!

Muhaazir ban agar dahshatgard paaye hon panaah:
Jald beyghar keejiye; mat aashiyaaney deejiye!

Deykhiye, shaffafzaadah ho na andar sey siyah?
Majlis-e-tahqeeq mein pahley nahaaney deejiye!

Kyaa nihaan hai naqaab-e-saiyaad mein, mat poochhiye?
Uqaaboun ko, bheerh mein, mat sar chhupaaney deejiye!

Inqilaabee dour hai, sar par hai ab bhi aasmaan:
Jang jaaree hai nayee, badhh kar, taraaney deejiye!

Muskuraa kar boliye kuchh bhee, mukhaatib hai 'abd',
Bulbuleyn hain bulbuleyn, beykhouf gaaney deejiye!

                 - abd bundeli



Abd ji AAp ne bahut khub is peskash ko aaj ke daur ki sthiti se nawaza hai . Behtrien aur inspiring Gazal ke liye bahut bahut mubarkbaad qabool farmaien.
Logged
Pramod singh
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 23 hours and 9 minutes.

main shayar badnaam

Posts: 460
Member Since: Feb 2012


View Profile
«Reply #2 on: March 27, 2012, 08:45:52 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Wah Wah Abd ji. Aapki jitni taarif kare wo kam hai . daad kubul karein.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: March 27, 2012, 08:53:11 AM »
Reply with quote
Abd ji AAp ne bahut khub is peskash ko aaj ke daur ki sthiti se nawaza hai . Behtrien aur inspiring Gazal ke liye bahut bahut mubarkbaad qabool farmaien.

Bahut-bahut shukriyah, Pankaj ji!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: March 27, 2012, 08:54:03 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Wah Wah Abd ji. Aapki jitni taarif kare wo kam hai . daad kubul karein.

Bahut-bahut shukriyah, Pramod ji!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #5 on: March 28, 2012, 05:50:16 AM »
Reply with quote
waah Bundeli sirji--
aapke nagme bas alag hi hoti hai
thanx for this ghazal sirji

khus rahie
muskurate rahie
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: March 28, 2012, 11:29:04 AM »
Reply with quote
waah Bundeli sirji--
aapke nagme bas alag hi hoti hai
thanx for this ghazal sirji

khus rahie
muskurate rahie

Shukriyah, 'sarfira' ji!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 05:40:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer