*****zindgi ek jang hai*****

by kaushikbhawna008 on July 14, 2008, 06:05:48 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1030 times)
kaushikbhawna008
Guest
Reply with quote
zindgi ek jang hai
jise lad-lad kar jeete jaana hai

dunia ek musafir khana hai
jahan aana-jaana hai

kisi ko gam jyada to kisi ko khushiya nasib hain
yahan har kisi ka apna fasaana hai

raahein badalti rehti hain manzil bhi badal hi jati hai
har shaqs yahan manzil paana chahta hai

kise mila hai pyaar kiska karein aitbaar
bas isi kash-m-kash mei zindgi ka har pal jeete jaana hai

khuda banata hai mitte k but aur waqt karta hai atkheliyaan
kise mil sakaan sukun ye kismat ka afsaana hai

kuch jhoote rishte jinka hota koi mol nahi
fir bhi unhi rishton ka bojh puri umra nibhana hai

mat soch "bhawna" tujhe kya mila aur kya kho gaya
ye zindgi ka safar hi hai aisa jahan har mod par bichadte jaana hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
JANG by harashmahajan in Shairy-E-Watan
Jang jaaree hai nayee, badhh kar, taraaney deejiye! by abdbundeli in Ghazals
jang thehri thi meri by a.r.hashmi in Ghazals
KHUD SE HI AB JANG HAI....////............................////....IFTAKHAR by Iftakhar Ahmad in Ghazals « 1 2  All »
Ghazal: Jang by khalidrawat in Miscellaneous Poetry in Punjabi
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #1 on: July 14, 2008, 06:36:23 AM »
Reply with quote
zindgi ki talaash mei itne aage ham nikal gaye
har manzil har raah se ham bichad gaye
do ghadi sukun mil sakein bas khwaish thi itni
isi aas mei har zakhm ham khushi se seh gaye
waqt leta raha inthaan aur ham dete rahe
shayad ye aakhiri ho inthaan hamara
bas yahi soch har zakhm seh gaye
na khatam hua silsila dard aur judaai ka
aur ham har apne har khwaab se pare ho gaye
mumkin na tha jee pana kabhi unke bina
par marte marte ham fir bhi jee gaye
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: July 14, 2008, 06:51:14 AM »
Reply with quote
 Applause bohat khoob likha hai aapne..


Har waqt zindagi ek naya imtihaan leti hai
Kabhi khushi aur gam ki aur keeche chali jaati hai
Zindagi se koi na aage badh saka
Ek ek kadam nafrat aur maut ki taraf keeche chali jaati hai
Humne zindagi unke naam kar diya hai
Aur zindagi ke naam aapni muhabbat ko ek naya anjaam diya hai
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: July 14, 2008, 06:54:36 AM »
Reply with quote
shukriya honey ji

jise zindgi samjha tha apni
wahi leta raha imthaan mera
kisse karte shikayat apne inthaan ki
koi bhi to nahi reh gaya apna mera
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: July 24, 2008, 06:08:10 AM »
Reply with quote
zindgi hai to jeena bhi padega
ye zeher judaai ka peena bhi padega
nahi maut aasan itni jo use gale se laga le
maut paane ke liye shayd umra bhar abhi marna padega
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 11:47:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.174 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer