| 
			| 
					
						| sksaini4 
								Ustaad ae Shayari       
								Rau: 853
								  Offline 
								Gender:   Waqt Bitaya: 112 days, 8 hours and 51 minutes. 
								Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
			 
			 
								
								
								
								
								   | Urvashee ho yaa Menkaa ho tum.Log kahte haiN laaibaa ho tum.
 
 AarzoooN kaa marhalaa ho tum.
 Zindgaanee kaa falsafaa ho tum.
 
 MaiN to pyaasaa janam-janam kaa hooN.
 Saaqee ho tum ki maikadaa ho tum.
 
 Sochtaa hooN jise tasavvur meN.
 Mere khaaboN kee dilrubaa ho tum.
 
 ManziloN kaa maqaam hai tum tak.
 Manzil-e-ishq baakhudaa ho tum.
 
 Hai tumhara hee aqs to sab meN
 Husn kaa ek qaaydaa ho tum.
 
 Ab bhee uskaa vujood qaaim hai.
 Aaj ‘saini’ kaa hauslaa ho tum.
 
 
 Laaibaa--------jannat kee hoor
 
 Dr.Surendra Saini
 
 
 उर्वशी हो या मेनका हो तुम ।
 लोग कहते हैं लाइबा हो तुम ॥
 
 आरज़ूओँ का मरहला हो तुम ।
 जिंदगानी का फ़ल्सफ़ा हो तुम ॥
 
 मैं तो प्यासा जनम-जनम का हूँ ।
 साक़ी हो तुम कि मैकदा हो तुम ॥
 
 सोचता हूँ जिसे तसव्वुर में ।
 मेरे ख़ाबों की दिलरुबा हो तुम ॥
 
 मंज़िलों का मक़ाम है तुम तक ।
 मंज़िल -ए -इश्क़ बाख़ुदा हो तुम ॥
 
 है तुम्हारा ही अक्स तो सब में ।
 हुस्न का एक क़ायदा हो तुम ॥
 
 अब भी उसका वुजूद क़ाइम है ।
 आज 'सैनी' का हौसला हो तुम ॥
 
 
 लाइबा ---------जन्नत की हूर
 
 डा० सुरेन्द्र सैनी
 
 
 
 
 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
			|  | 
	| 
			| 
					
						| mkv 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #1 on: October 14, 2013, 08:47:05 PM »  |   | 
 MaiN to pyaasaa janam-janam kaa hooN.Saaqee ho tum maikadaa ho tum.
 
 Sochtaa hooN jise tasavvur meN.
 Mere khaaboN kee dilrubaa ho tum.
 
 ManziloN kaa maqaam hai tum tak.
 Manzil-e-ishq baakhudaa ho tum.
 
 Baaqee sab meN to aqs teraa hai.
 Husn kaa ek qaaydaa ho tum.
 
 Ab bhee uskaa vujood qaaim hai.
 Aaj ‘saini’ kaa hauslaa ho tum.
 
 
 Laaibaa--------jannat kee hoor
 
 Dr.Surendra Saini
 
 
 मैं तो प्यासा जनम-जनम का हूँ ।
 साक़ी हो तुम मैकदा हो तुम ॥
 
 सोचता हूँ जिसे तसव्वुर में ।
 मेरे ख़ाबों की दिलरुबा हो तुम ॥
 
 मंज़िलों का मक़ाम है तुम तक ।
 मंज़िल -ए -इश्क़ बाख़ुदा हो तुम ॥
 
 बाक़ी सब में तो अक्स है तेरा ।
 हुस्न का एक क़ायदा हो तुम ॥
 
 अब भी उसका वुजूद क़ाइम है ।
 आज 'सैनी' का हौसला हो तुम ॥
 
 Wah wah wah
 Bahut khoob Sir
 Aaj to ghazab dha diya
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| adil bechain 
								Umda Shayar   
								Rau: 161
								  Offline 
								Gender:   Waqt Bitaya: 31 days, 18 hours and 24 minutes.
								 
								Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
			 
			 
								
								
								
								
								   | 
                                                                    |  |   «Reply #2 on: October 14, 2013, 09:06:48 PM »  |   | 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	|  | 
	| 
			| 
					
						| nandbahu 
								Mashhur Shayar     
								Rau: 122
								  Offline 
								Gender:   Waqt Bitaya: 20 days, 4 hours and 28 minutes. 
								Posts: 14553 Member Since: Sep 2011
			 
			 
								
								
								
								
								   | 
                                                                    |  |   «Reply #4 on: October 14, 2013, 09:18:28 PM »  |   | 
 bahut khoob saini ji |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| RAJAN KONDAL 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #5 on: October 14, 2013, 09:21:36 PM »  |   | 
 wha wha bhut khub |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| kittoo 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #6 on: October 14, 2013, 09:27:12 PM »  |   | 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| khwahish 
								WeCare 
								Khaas Shayar
								    
								Rau: 166
								  Offline 
								Gender:   Waqt Bitaya: 272 days, 6 hours and 33 minutes.
								 
								Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
			 
			 
								
								
								
								
								   | 
                                                                    |  |   «Reply #7 on: October 14, 2013, 10:09:52 PM »  |   | 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| laaiba 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #8 on: October 14, 2013, 10:18:28 PM »  |   | 
 Urvashee ho yaa Menkaa ho tum.Log kahte haiN laaibaa ho tum.
 
 AarzoooN kaa marhalaa ho tum.
 Zindgaanee kaa falsafaa ho tum.
 
 MaiN to pyaasaa janam-janam kaa hooN.
 Saaqee ho tum maikadaa ho tum.
 
 Sochtaa hooN jise tasavvur meN.
 Mere khaaboN kee dilrubaa ho tum.
 
 ManziloN kaa maqaam hai tum tak.
 Manzil-e-ishq baakhudaa ho tum.
 
 Baaqee sab meN to aqs teraa hai.
 Husn kaa ek qaaydaa ho tum.
 
 Ab bhee uskaa vujood qaaim hai.
 Aaj ‘saini’ kaa hauslaa ho tum.
 
 
 Laaibaa--------jannat kee hoor
 
 Dr.Surendra Saini
 
 
 उर्वशी हो या मेनका हो तुम ।
 लोग कहते हैं लाइबा हो तुम ॥
 
 आरज़ूओँ का मरहला हो तुम ।
 जिंदगानी का फ़ल्सफ़ा हो तुम ॥
 
 मैं तो प्यासा जनम-जनम का हूँ ।
 साक़ी हो तुम मैकदा हो तुम ॥
 
 सोचता हूँ जिसे तसव्वुर में ।
 मेरे ख़ाबों की दिलरुबा हो तुम ॥
 
 मंज़िलों का मक़ाम है तुम तक ।
 मंज़िल -ए -इश्क़ बाख़ुदा हो तुम ॥
 
 बाक़ी सब में तो अक्स है तेरा ।
 हुस्न का एक क़ायदा हो तुम ॥
 
 अब भी उसका वुजूद क़ाइम है ।
 आज 'सैनी' का हौसला हो तुम ॥
 
 
 लाइबा ---------जन्नत की हूर
 
 डा० सुरेन्द्र सैनी
 
 
 
 
 
 
 kia baa.t sir saini jee    bohat khoob khoob ghazal kahee hai  laaiba ka matlab bata kar aa.p ne khoob qafia milaya hai sir  bohat c daad,.............  |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| F.H.SIDDIQUI 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #9 on: October 14, 2013, 10:44:43 PM »  |   | 
 bahut khoob , saini saheb |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| nashwani 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #10 on: October 14, 2013, 10:53:47 PM »  |   | 
 Bahut umda sirjee.. Matlab samajh me aa gaya.crystal clear.. Laajawab likha hai.. Dhero daad..  |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	|  | 
	|  | 
	| 
			| 
					
						| khujli 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #13 on: October 15, 2013, 12:52:06 AM »  |   | 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| Iftakhar Ahmad 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #14 on: October 15, 2013, 02:34:33 AM »  |   | 
 waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah, khoobsoorat ghazal Saini sir, hazaaroN daad aur ek Rau. |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	|  |