Maa.N ke anchal me so gaya sahib ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on January 05, 2011, 12:34:02 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1247 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Ahle Mahefil aadab o tasleemat ,,

Meri tazah khaaish ap sub ki nazar ,,umid hai apni ara se nawazenge ..



Khuch nahi humko ab gila sahib
Jo tha kismat me wo hua sahib


Bebasi bekali o tanhai
Aur kya ishq ne diya sahib


Baad Muddat ke jheel me akhir
Ik kanwal khushnuma khila sahib


Uske wade ki laaj rakhne ko
Ashq pi pi ke mai jiya sahib


Sab khilono ko toor ke beta
Maa.N ke anchal me so gaya sahib


ik waade pe umr kaati hai
kya qadeer apne kiya sahib


Qadeertoopchi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 05, 2011, 01:17:27 PM »
Reply with quote
Jab Qadeer Bhai, Aap Kuch Likhte Hai,Padhe-Padhte Samaa Tehar Sa Jaata Hai..Kya Kahen Qadeer Bhai..

Lajawaab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bas Ek Shikayat Si hai, Qadeer Bhai Yoindia mein Regular Raha Kijiye..
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: January 05, 2011, 06:29:55 PM »
Reply with quote
Janab Qadeer Sahab Aadaab!

Aik arsa bit gaya aapki koi kalaam padhe...
Caliye der aaye durust aaye... Aur behad umdaa
Gazal lekar aane ke liye dil se daad o mubarakbad kabool kijiye... Usual Smile         



Ahle Mahefil aadab o tasleemat ,,

Meri tazah khaaish ap sub ki nazar ,,umid hai apni ara se nawazenge ..



Khuch nahi humko ab gila sahib
Jo tha kismat me wo hua sahib

Kia baat hai janab... Bahut khoob..
Aik mazar kashi humari janib se bhi.. Jaise ke aap aur
hume janne wale jante hai ke humari rai jyada tar ulti hi
hoti hai.. tongue3

   

Unhe naa paane ka kia gila sahib
Humne hi kuch jyada maNg liya sahib         


Bebasi bekali o tanhai
Aur kya ishq ne diya sahib

Kia baat hai... Umdaa khayaal hai janab daad
 Aur woh Bade khush naseeb hote hai, Jo bhi Ishq ki raah se manzil paa lete hai..         



Baad Muddat ke jheel me akhir
Ik kanwal khushnuma khila sahib

Waah janab gehri kahi daad... Usual Smile         


Uske wade ki laaj rakhne ko
Ashq pi pi ke mai jiya sahib

Masha Allah Janab... Kia kahne...
Bahut khoob bahut umdaa Dil ko lag gaya Usual Smile         



Sab khilono ko toor ke beta
Maa.N ke anchal me so gaya sahib

Oye hoye.. YeH hai Janab aapki khususan
Shayari ki khususi baat... Jis par dil bagH bagH ho jata hai daad dheroN daad Usual Smile         



ik waade pe umr kaati hai
kya qadeer apne kiya sahib

Oye hoye Kia baat ha janab..
Daad hazir hai.. Usual Smile         



Qadeertoopchi

Qadeer Sahab, Aap jaise umdaa shayaroN ki kami is bazm meiN koi aur nahi bhar sakta..
Aate rahiye....

Ab dil hi nahi lagta humara kisi anjuman meiN bhi
Yeh kaisa mousam hai Gul hi nahi chaman meiN bhi
         



Aise hi Umdaa likhate rahiye...
Allah Aapki kalam meiN aur zor bakhshe...
Khush O aabad rahiye....
Khuda Hafez..... Usual Smile
         

Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #3 on: January 05, 2011, 06:47:13 PM »
Reply with quote
bahut khoobsurat.bahut achhi likhi hai.kalam tod ke rakh di hai.

qadeerji.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: January 05, 2011, 07:21:06 PM »
Reply with quote
Dusra aur teesra shaer toh bahaut hi zada lajawab hai Qadeer jee..
Sach kaha Parwaaz jee ne kay ap jaise umda shayaron ki yahan kami hai..
Khwaish dost ne bhi sach kaha kay ek shaksiyat hai Qadeer iss mehfil main..
Har roz aya kijiye..
Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 05, 2011, 08:08:05 PM »
Reply with quote
Mashallah
Qadeer Bhai, Aap Aaaye Mehfil Mein Phir Bahaar Aayi.
Bohat Achchi Ghazal Se Nawaaza Hai Aapne Hum Sabko,
Yunhi Apne Kalaamon Se Nawaazte Rahein, Aapki Ghazlon Mein Gehraai Hai, Hume In Tajruba aur Seekh Milegi,.

Rab Khush Rakhe Aapko, May Allah Bless You Brother,.
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #6 on: January 06, 2011, 06:39:37 AM »
Reply with quote
 Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!
lafz kam haiN jo kuchh taareef karooN saahib
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #7 on: January 08, 2011, 07:10:04 AM »
Reply with quote
Bahut Khub .. Applause Applause
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: January 16, 2011, 03:10:25 PM »
Reply with quote
yaarane-e-mahefil ..aadab ,,

Ap sub dosto.N ka behad shukar guzar hon ke ap logon ne ghazal ki pazirai ki ..aur mahubbaton se nawaze .. dad o tahseen ke liye azhd mashkoor o mumnoo hon .. allah sub ko khush rakhe ..


khadim ul khaddam

Qadeertoopchi
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #9 on: January 16, 2011, 04:25:26 PM »
Reply with quote
lajawaab.
iss tarah ki ghazal padhne ko mile to inaam milne jaisa lagta hai.
aapka sukriya
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: January 17, 2011, 08:33:32 AM »
Reply with quote
Janab Qadeer Saheb!AOA!

Ye ghazal kamaal ki ghazal hai. Har ik sher ki rawaani aur khususiat bemicaal hai. Hazaaron daad qubul kijiye aisi khoobsurat takhleeq par.

(Waquif Ansari)

Ahle Mahefil aadab o tasleemat ,,

Meri tazah khaaish ap sub ki nazar ,,umid hai apni ara se nawazenge ..



Khuch nahi humko ab gila sahib
Jo tha kismat me wo hua sahib


Bebasi bekali o tanhai
Aur kya ishq ne diya sahib


Baad Muddat ke jheel me akhir
Ik kanwal khushnuma khila sahib


Uske wade ki laaj rakhne ko
Ashq pi pi ke mai jiya sahib


Sab khilono ko toor ke beta
Maa.N ke anchal me so gaya sahib


ik waade pe umr kaati hai
kya qadeer apne kiya sahib


Qadeertoopchi
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #11 on: April 27, 2011, 08:32:56 AM »
Reply with quote
Ahle Mahefil aadab o tasleemat ,,

Meri tazah khaaish ap sub ki nazar ,,umid hai apni ara se nawazenge ..



Khuch nahi humko ab gila sahib
Jo tha kismat me wo hua sahib


Bebasi bekali o tanhai
Aur kya ishq ne diya sahib


Baad Muddat ke jheel me akhir
Ik kanwal khushnuma khila sahib


Uske wade ki laaj rakhne ko
Ashq pi pi ke mai jiya sahib


Sab khilono ko toor ke beta
Maa.N ke anchal me so gaya sahib


ik waade pe umr kaati hai
kya qadeer apne kiya sahib


Qadeertoopchi

teri ghazal ne to bazam loot liya qadeer,
mauqa humein bhi dete kya kiya sahib
Logged
manjum
Guest
«Reply #12 on: April 27, 2011, 09:33:31 AM »
Reply with quote
kya baat hai....qadeerji.....bahut khub....

 Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 16, 2024, 01:26:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer