parwaaz sahaab ke liye( pehli line parwaaz ki hai) rest by taasir

by Taasir siddiqui on September 15, 2010, 07:59:26 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1289 times)
Taasir siddiqui
Guest
Reply with quote
Azaad panchi ka kabhi bhi ek daal par baseraa nahin hota;
jo muskuraate rehte hain unki raah me andheraa nahin hota;

Raston ki mushkilein khud manzil ka pata bata deti hain,
jis musafir ke qadmon ko kabhi   bhi  thaknaa nahin hota;

kabhi gham,kabhi khushi hai humsafar raah-e-hayyat mein,
tanhai ek bharam hai, haqeeqat me koi tanhaa nahin hota;

jo pehlu me dil hai dar asal wohi maqaam-e-khuda hai,
mandir-masjid ke  deewaaron mein khuda nahin hota;

Ajab duniya ka dastoor hai,ajab yahaan ke rivaaj,
hasi me sab apne hain,gham me koi apnaa nahin hota;







Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jiski koi Parwaaz Nahi by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
-Parwaaz-e-Ishq- by HumTum is back in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
Ek Parwaaz by angel4u in Shayri-E-Dard
parwaaz..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
Teri Parwaaz e ibaadat meiN... ParwaaZ by ParwaaZ in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3  All »
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: September 15, 2010, 08:13:57 AM »
Reply with quote
WAAHHHHHHHHH TASEER JI WAAHHHHHH
KYA KHUBBB LIKHA HAI AAPNE.......PARWAZ JI K LIYE PERFECT HAI....

MAZA AAGAYA PADHKE...... Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2010, 08:27:42 AM »
Reply with quote
bahut khoob sahab badhiya likha he apne~

raah chalte rahe fir bhi manjil na mili
"Abhi" safar zindagi ka he yahan rukna nahi hota
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: September 15, 2010, 12:52:52 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

wah ... bahut khoob Taasir ji... bahut hi umda likha hai aapne...!!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: September 17, 2010, 12:07:16 PM »
Reply with quote
Taseer sahab Aadaab!

Kia baat hai janab...... aapne humari aik line se aik puri kalaam likh li bahut khoob... waise woh line huamri bhi nahi hai humne bhi kahiN se parwaaz ki thi... Winking

Par aapne kafi achche sher meiN dhala hai use ... puri kalaam per dil se daad hazir hai... Usual Smile

Likhate rahiye.....
Khush O aabaad rahiye....
Khuda Hafez          

Logged
Yaash
Guest
«Reply #5 on: September 25, 2010, 03:17:45 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Janaab
Nashihat Baksh Yeh Ghazal Bohat Achhi Lagi

Dad.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #6 on: May 12, 2011, 05:35:44 AM »
Reply with quote
gud one..............!

          Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
         
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: May 12, 2011, 06:41:53 AM »
Reply with quote
Wah Wah aur Wah..
Bahaut bahaut khubsoorat..
Akhri toh bahaut hi zada acha aur sacha laga..
 Applause Applause Applause Applause Applause
Khush rahiye..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: May 12, 2011, 07:56:04 AM »
Reply with quote
"kabhi Gham,Kabhi khushi Hai Humsfar Raah-e-hayaat mein
Tanhai Ek Bharan Hai,Haqeeqat mein Koi Tanha Nahi Hota"

Waah waah Waah!!!!

bahut bahut Khoob Taasir Ji..Kya Kehne

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
sbechain
Guest
«Reply #9 on: May 12, 2011, 08:23:04 AM »
Reply with quote
Azaad panchi ka kabhi bhi ek daal par baseraa nahin hota;
jo muskuraate rehte hain unki raah me andheraa nahin hota;

Raston ki mushkilein khud manzil ka pata bata deti hain,
jis musafir ke qadmon ko kabhi   bhi  thaknaa nahin hota;

kabhi gham,kabhi khushi hai humsafar raah-e-hayyat mein,
tanhai ek bharam hai, haqeeqat me koi tanhaa nahin hota;

jo pehlu me dil hai dar asal wohi maqaam-e-khuda hai,
mandir-masjid ke  deewaaron mein khuda nahin hota;

Ajab duniya ka dastoor hai,ajab yahaan ke rivaaj,
hasi me sab apne hain,gham me koi apnaa nahin hota;










BAHUT KHOOB TAASIR.

 MUJKO BHI SALIQA-E-PARWAAZ AATAA GAR....!
 HOTA MERA BHI PAHADO.N PE GHAR.
Logged
khujli
Guest
«Reply #10 on: May 23, 2012, 10:26:17 AM »
Reply with quote
Azaad panchi ka kabhi bhi ek daal par baseraa nahin hota;
jo muskuraate rehte hain unki raah me andheraa nahin hota;

Raston ki mushkilein khud manzil ka pata bata deti hain,
jis musafir ke qadmon ko kabhi   bhi  thaknaa nahin hota;

kabhi gham,kabhi khushi hai humsafar raah-e-hayyat mein,
tanhai ek bharam hai, haqeeqat me koi tanhaa nahin hota;

jo pehlu me dil hai dar asal wohi maqaam-e-khuda hai,
mandir-masjid ke  deewaaron mein khuda nahin hota;

Ajab duniya ka dastoor hai,ajab yahaan ke rivaaj,
hasi me sab apne hain,gham me koi apnaa nahin hota;









 Applause Applause Applause icon_flower icon_flower
Logged
sarfira
Guest
«Reply #11 on: May 23, 2012, 10:43:36 AM »
Reply with quote
waaaaaaaahh
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 09:31:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.219 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer