faisal314
Guest
|
|
|
Mana kay ousay ab bhool jana zaroori hay, Zinda rehnay ko meger, kheyaal-e-yaar aana zaroori hay
Ous nay keha, qetl kernay ka mera erada tou na tha, Per teer-e-nezer ko, teray dil ka nishana zaroori hay
Khilaaf-e-fitret he sehee, per dil waloun ka mizaaj hay yehee, Her waar-e-yaar pay,muskerahet laboun per sejana zaroori hay
Iey dil, mujhay yaqeen keh wo na lautay ga laeken, Teree baytaabi ko, aamad-e-yaar ka behana zaroori hay
Hum hamesha safar-e-hijr main thay, judaai key baat kehan? Judaa' honay ko shayed, ek baar mil jana zaroori hay
Penay pilanay key koi majboori, koi shauq nahee meger, Ghem-e-yaar bhulanay ko, wajood-e-maekhana zaroori hay
Meray baad bhee tu khush hay, yeh maan lay janaa', Aasaan baat ko kya, mushkil benana zaroori hay?
Main baybus nahee baad ous key, per dil nahee manta, Ab iesleyeh he khud ko, kuch ker dikhana zaroori hay
Wo jo thal-e-mohabbat main seja laya tha kuch moti, Ab ousee key yaad main inhain behana zaroori hay?
Apni koi shikayet nahee, koi gila he keb tha , Waqt-e-mulaqaat meger, dil-e-zakhmi ka shikwa zaroori hay
Tanhai, intezaar aur purkhaar rah per safar iesa, Zindagi kay wastay, ab jaan say guzer jana zaroori hay
Zikr-e-yaar per, askhbaar aankhoun per qaboo nahee khaki, Sitm-e-mazeed hay kay, ab ghem chupana bhee zaroori hay.
|