Adhuri Mohabbat (suspenseful supernatural mystery horror story) By Asif biswas

by ASIF on August 11, 2025, 12:13:44 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 12046 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 4 hours and 22 minutes.
Posts: 209
Member Since: Feb 2021


View Profile
Kafi dino ke baad aap sabka writer main Asif aap sabka apne ek nayi likhi dastan pe swagat karta hu,yu to maine likhna chodh diya hai but pichle saal ki kahani inteqam likhne ke baad aap sab logo ke pyar aur support ke liye meri taraf se ise chota tohfa samjhkar qabul kare, ye meri pehli mystery story hone ka rahi hai jaha suspense supernatural elements aur sath hi mere pasandida horror genre ka tadka bhi aapko is kahani mein dilchasp paida karne pe mazbur karega umeed hai ye story aapko pasand aaye aapke keemati feedbacks ke intejar mein

Disclaimer:- this story is a work of fiction,any characters,places and events are completely written in imaginative thoughts and does not encourage any superstitious thoughts and acts,does not intend to promote any hatred to any individual or community, dedicated to 60s 70s era of mystery and suspense stories

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 4 hours and 22 minutes.
Posts: 209
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #1 on: August 11, 2025, 12:17:08 AM »
Chapter 1

Khaadi ke theek beecho beech jaisi gufa se nikalti train patri par aahiste aahiste raftar se chal rahi thi uski horn ki awaz dur dur Veeran us andher bhari ghati ki fizaayo mein gunz uthi, train us waqt us gehri khaai ke upar Bane bridge ke sirhe se guzar rahi thi,

Raat gehri hoti jaa rahi thi, Chand ki fiki roshni se kuch saaf dekha nahi jaa sakta tha, train ki baugi ke kayi dabbe khaali they, kyunki zyadatar passenger apni manzil par utar chuke they aur train apne manzil ke aakhri station par pahuchne Wali thi, lekin ek baugi mein ab bhi roshni jal rahi thi,

Kaano mein headphones lagaye, surendra Mohan Pathak ki likhi ek novel "meri jaan ke dushman" ko haatho mein thaame, runjhun wo upanayas dilchaspi se padh rahi thi, tabhi train ne raftar pakdi toh baugi thodi si hili, runjhun ka dhyan jaise tuta usne headphones nikaale sheeshe ki window se bahar jhaaka par kuch bhi nahi dikh raha tha, train pehle hi 4 ghante late thi shaam ka pahuchne ke bajaay wo gaye raat waha pahuchne Wali thi,

Ab aage saamne mushkil munh baaye yu khadi thi ki itni raat gaye oose koi convenience Milne wala tha bhi ki nahi, kyunki nalangarh chota sa Zilla tha jo ki ek chote se sheher ke roop mein kuch waqt pehle gaon se ubharkar tabdil hua tha lekin abhi bhi sheher jaisi waha baaki sukh suvidhaaye nahi thi, aur ittefaq aisa tha ki nalangarh utarne wali wo ek hi passenger thi dopahar mein ye baat khud t.t.e ne oose hasskar batayi thi,

Nalangarh se runjhun ka koi rishta nahi tha, darasal wo apni bimar saheli Rupa ko dekhne waha pahuchi thi, Rupa aur runjhun college time se achi pakki saheliya thi, runjhun jaha high class family se belong karti thi wohi Rupa ek madhyam varg parivar ki ikaluti beti thi jo sheher mein padhai puri karne aayi thi, lekin ittefaq se runjhun se uski aisi dosti huyi ki college ke baad bhi wo dono ikhatte rehne Lage, dono ne modelling mein apna career banaya haalaki runjhun aage nikal gayi aur Rupa ko utna kaam na mil saka, fhir kismat ne munh Moda aur runjhun ne degree hasil hote hi ek chota business shuru kar diya wo bataur entrepreneur kamyab rahi jabki Rupa modelling lagbhag chodh ulte wapis apne gaon chali gayi,

Runjhun ne paiso se uski madad hamesha ki par Rupa khuddar thi aur wo hamesha runjhun ko mana karti thi ki paise ko kabhi rishte ke aage na laaye isse rishto mein kadwahat aur daraar aa jati hai, haalaki uske ghar mein paiso ki dikkat thi, runjhun ko Rupa ka yahi behaviour kafi pasand tha ki wo bahut imandar saheli thi aur uske status ka kabhi bhi usne najayaz fayda nahi uthaya, uske chale jaane ke baad dosti mein fasle aa gaye ekdusre se contact Tut Gaya, kuch saal baad kuch waqt se uske paas Rupa ke khat aa rahe they, runjhun ko laga ki usne shadi kar li hogi, par khat padhkar malum chala ki uske ghar maali halat theek nahi thi, aur wo kafi bimar thi ho sakta tha ki ab zindagi ke chand din hi ab uske baaki ho isliye usne khwahish ki, ki wo runjhun se aakhri baar milna chahti hai usne nalangarh mein apne ghar ka pata aur kaise pahuchna hai sab likhke diya tha, runjhun ko bahut afsos hua kaash wo sheher laakar Rupa ka ilaaj Kara sakti, fhir bhi uske gaon jakar usse milkar wo koshish kar to sakti thi ki oose samjha bhujhakar aas deke wapis sheher laakar uska ilaaj karaya jaa sakta tha

Train ki tej horn ne uska dhyan toda usne fauran headphones ke tar ko samaitte huye bag mein rakhka fhir apne hath mein thaami kitaab ko bhi bag mein dalte huye coach berth se uthkar apna saaman niche se nikaala, jagmag roshni padi train station par pahuch chuki thi, train ki raftar jab kafi ghat gayi aur ek jagah thami, toh runjhun apna saaman liye train ke fatak se bahar utari,

Station bilkul khaali tha, nalangarh rajya ke ulti taraf tha aur waha aawajahi bahut kam thi, aur us ghadi raat 12 baje toh wo jagah bilkul nirjan veerana mein dubi huyi thi, bas station pe roshni thi yahi bahut badi baat thi, nalangarh aane ke liye runjhun ko ek mail express pakadna pada tha jisne taqreeban 3 din lagaye nalangarh aakhri station tha, sawan khatam hone ki kagar par tha aur charo taraf geeli mitti ki saundhi khushbu aa rahi thi wo platform par saaman liye station master ka kamra talashne lagi khaali train ne raftar pakdi aur horn dete huye nalangarh station se aage nikal gayi, runjhun ko apne hi pairo ke kadamo ki awaz sunai de Rahi thi,

Achanak oose kisi ne piche se Toka, runjhun ko hairat huyi ki uske piche ek aur passenger nalangarh utara tha, usne photographer ka vest pehen rakha tha sar par topi thi aur bhaari bag kandhe pe latakaye thaka haara larkharaye kadmo se wo runjhun ke paas pahucha, runjhun us ajnabi ko dekhkar pehle toh thoda jhijhaki lekin fhir wo normal huyi,

"Sorry umm maine aapko dekha nahi tha"

"Ji main b9 berth mein thi"

"Oh I see main b5 mein tha, maine socha ki main is station ka iklauta passenger hoo jo yaha utara hai par khushi huyi ki ek Jana aur mujhe sathi ke taur pe mil gaya"

"Waise aap chadhe kahan se they?"

Runjhun usse baat karte huye sath sath chalne lagi, "well main rajshahi se chadha tha"

"Oh acha aap yahi ke rehne wale hai"

"Nahi darasal main photographer hoo aur nature photography karna pesha hai maine nalangarh ke hill forest ke baare mein bahut suna kehte hai bahut khubsurat hill side hai toh bas chala aaya aap yaha ki rehne wali hai?"

"Ji nahi main dhaka se hoo aur nalangarh town ja rahi hoo"

"Main bhi wohi jaa raha hoo agar aap bura na maane toh ikhatte hum sath chale dekhiye safar bhi kat jayega aur main is jagah ke baare mein itna nahi janta hu"

"Main bhi pehli baar hi yaha aayi hoo"

Kehte hai ajnabi ko itna munh nahi lagana chahiye lekin runjhun ko wo insan masum laga aur kyunki wo bare sheher ka padha likha naujawan tha toh oose thodi Rahat mili ki koi oose company dene wala safar mein mauzud tha, tabhi kahi clock mein 12 bajne ki tej ghanti sunai di, dono ko nazar apne aap hi station ke chatt ki imarat par latki ghadi par guzari, dono muskuraye aur fhir station master ke room pahuche,

Station master us waqt waha se railway headquarter ki taraf room par taala laagaye nikal raha tha, do ajnabi musafir ko dekh wo thithaka runjhun aur wo ladka uske paas pahuche pehel ladke ne ki,

"Sir kya aap bata sakte hai ki nalangarh town pahuchne ke liye yaha cab ya hired gadi wagaira kahi mil sakti hai"

Station master hasaa usne sar se pair tak dono ko ghura, aur fhir kaha "lagta hai nalangarh pehli bar aye hai"

"Ji"....dono ne sehmati mein sar hilaya

"Isliye aapko malum nahi ki yaha cab wagaira nahi milati ye chota sa district hai, jaha aas paas chote chote kasba aur gaon hai, din mein aate toh shayad aapko ghoda gadi baggi ya auto mil jati par itni raat gaye behad mushkil hai"

"Koi auto hi mil jati toh behtar hota"

"Aji nahi station se bahar jhaankiye aas paas koi auto toh kya tangewala bhi nhi dikhega itni raat gaye bhala kaun station pe tehrega agar aap log pehle se intejamat karke aate toh behtar tha, waise nalangarh town jaana kahan hai aapko?"

"Ji main toh yaha ghumne ke lehze se aaya tha ek hotel ka malumat Google pe hi liya tha jo nalangarh gaon ke paas padta hai"

"Aur aap?"......station master ne soch mein dubi runjhun se pucha runjhun ka dhyan tuta aur usne muskurakar bataya

"Ji meri friend yahi ki hai Seth munim ji uske father hai"

"Acha munim ji wo to hamare kafi purane jannewaale hai unhe to lekin aapke liye baggi ya auto ka bandobas pehle se karwake rakhna chahiye tha khair koi nahi main toh railway quarter mein rehta hu dekh hi sakte hai ki is station ke charo taraf kitni veeraniyat hai aas paas sirf jungle hai wo paas mein mera sarkari quarter hai jaha main apne biwi bacho ke sath rehta hu, sach puchiye toh ye jagah jitni shaant hai utni hi raat gaye khatarnak bhi"

"Waise Maine khat bhijwaya tha unhe lekin ikhtila nahi Kari ki main kab yaha pahuchungi time hi nahi mil raha tha ek hafte ki chutti lekar hi yaha pahuchi hoo unka phone bhi nahi lagta"

"Haan yaha network tower na ke barabar jo hai"

"Wo sab toh theek hai lekin ye jagah raat ko khatarnak kaise?"......is baar us ladke ne beech mein tokte huye pucha

"Kya kahe? Raat gaye yaha tarah tarah ke jungli janwar ghumte hai aur gaon ke log bhi andhere ke baad aawajahi karna bilkul band kar dete hai, isliye agar paidal jaane ki sochenge toh fauran ye irada chodh dijiye kyunki nalangarh gaon jungle aur kheton ke beech ke kachche raste se hokar jaata hai"

"Toh fhir hum pahuchenge kaise? Yaha akar toh humne lagta hai bhaari galti kar di"....runjhun ne apni chinta vyakt karte huye kaha

"Hahaha aisa nahi hai raat ko ye jagah jitni darawani aur veerani lagti hai utna hi din mein behad khubsurat khair jaane dijiye aap log ek kaam kijiye mere paas ek gadi hai wo main aap dono ko de sakta hu waise kitna din tehrenge aap dono"

"Main bhi hafta bhar hi rehne ki soch raha hoo"....ladke ne muskurakar kaha

"Theek hai koi nahi waise bhi hamari gadi yun hi padi hai meri wife ko gaadi chalana nahi aata aur main yaha drive zyada karta nahi wo mahine mein rashan wagaira sheher se laane ke liye ya zaruri kisi kaam ke liye gaadi istemal karta hu"

"So nice of u theek hai toh fhir aap chabi de dijiye mujhe gadi chalani aati hai".....ladke ne utsuk hote kaha

"Aur rasta mujhe Rupa ne pehle hi khat mein likhkar bata diya tha".....runjhun ne jawab diya

Station master sehmati se unhe station se bahar le aaya waqayi jitna station ujwal tha bahar utna hi andhera aur veeranapan tha, station master ne apne naukar se chabi aur gadi bhijwai aur un dono se Vida lekar apne quarter ki taraf chala gaya,

Wo achi haalat mein ek safed gadi thi, dono apna saaman gadi mein rakhke aage ki seats par sawar huye, ladke ne gaadi puri dakashta se raste ke aage badhai,

"Tumhe gadi chalane aati hai?"

"Haan arre baaton baaton mein maine toh aapka naam hi nahi pucha"

"Mera naam Monty hai aur aap?"

"Runjhun runjhun dasgupta"

"Oh I see maine aapke tasveere pehle dekhi hai tabhi aapki Surat jaani pehchani lagi wo sheher ke Billboard banners par ad wagaira mein maine aapko dekha tha"

"Haan wo mera part time work hai ab main modelling nahi karti I am an entrepreneur now"

"Sunke Khushi huyi"

Gaadi drive karta Monty runjhun se baat karne laga, safar katne laga tabhi baarish tej ho gayi aur itni tej ki tufaan se bijliya kadakne lagi hawaye tej ho gayi, kachchi sadak aur bhi zyada kharab aur fisalan bhari ho gayi, car wipers ke chalne ke bawjud bheegte sheeshe se saamne saaf dekh paana muskil lag raha tha,

"Uff hoo ye barish kahan se shuru ho gayi?"

"Taqdeer hi kharab hai pehle na koi gadi ya auto mili aur ab ye musibat itni raat gaye na jane kab pahuchenge nalangarh town, upar se shaam se kuch nahi khaaya maine"

Runjhun ne fikarmand hote byaan kiya, Monty ka bhi kuch wohi haal tha wo savdhani se gaadi sidha chala raha tha gadho ki wajah se gaadi kaafi hichkole khaane lagi runjhun ke sar pe chot lagte lagte bachi, "maaf karna rasta bahut kharab hai agar pehle pata hota toh shayad yaha aane ka irada chodh deta"......Monty steering ko sambhaale apni pareshani jatata bola

Runjhun ne koi jawab nahi Diya wo bahar ka nazara dekh rahi thi charo taraf jungle hilate lehraate paid barasat ki tej bauchar gaadi ke sheesho par pad rahi thi, dhundhlat se bahar kuch theek dhang se dekh paana na mumkin tha usne apne kalai ghadi pe nazar daudai toh waqt koi 1 baje ke aas paas ka tha lekin nalangarh town toh dur oose toh ye rasta kabhi khatam na hota lagne laga,

Tabhi monty ne gaadi Roki, uske ekdum se break lagane se runjhun ne sawali nazaro se oose ghura, usne wajah bhi ishare se saamne dekhte huye batayi, aur fhir apna gaadi ka sheesha khola paani ki jhaptein gadi mein dakhil hone lagi, waqayi tufaan aur barish dono tej tha, usne gardan bahar nikaalkar bheegte chehre se gaur se dekha saamne sadak par paani se gaddha bhara tha usne gardan ander ki aur hathyar daalte huye Naa mein nirasha se apna sar hilaaya

Runjhun ne bhi sheeshe se bahar sar nikaalkar saamne jhaaka uske bhi chehre par kuch waise bhaav aaye wo rumaal se apne chehre aur baalon pe bikhre paani ko ponchte huye fikarmand dikhne lagi

"Ab kya karenge?"

"Wapis Jaane ke siwah koi chara nahi koi dusra rasta mujhe nahi lagta itni raat gaye is sunsaan jungle mein dhundha ja sakta hai charo taraf bas bade bade paid hai aur jhaadhiya station master ne bas isi sadak ka zikar kiya tha aur saqt hidayat di thi ki akele bahar yun junglo mein na ghume yaha bahut jungli janwar hai"

"Rupa ne bhi sirf isi raste ke baare mein likhka tha ye sidha rasta hi nalangarh gaon ki taraf jata hai, Uff upar se ye tufaan thamne ka naam nahi le Raha koi aas paas insani aabadi bhi nahi lagti"

"Shayad humhe intejar karna chahiye"

"Koi highway road nahi hai jaha se koi guzarti gadi mil jaaye hum fass chuke hai gaadi mein baithe rehne ke siwah hum kar bhi kya sakte hai bahar niklna theek nahi"

"Ek second"

Itna kehkar bhadhak se gadi ka apni taraf ka fatak khol monty jacket jhaadhta hua barsat mein bheegta bahar idhar udhar jhaakne laga, runjhun ne oose mana kiya "kya kar rahe ho? Wapis aa jao bahar jungli janwar ho sakta hai monty come back"

Achanak runjhun aur kuch keh paati, monty jo pagalo ki tarah idhar udhar jhaank raha tha achanak ek taraf uski nigah tehri aur chehre par muskurahat aayi, usne jaldi se andar jhukkar runjhun se jaldi jaldi kaha

"Wo dekho saamne ek Dak bangla hai"

Itna sunte huye runjhun bhi gadi se bahar nikali dono bheegte huye dur daayi taraf dekhne lage kuch fasle hi dur ek Dak bangla tha jisme roshni chamak rahi thi aisa lagta tha ki waha koi rehta tha aur utni raat gaye bhi koi jaaga hua tha, runjhun ko yaad aaya ki khat mein ek dak bangle ka bhi zikar tha lekin uske baare mein oose zyada malumat nahi thi,

"Kya waha jaana theek rahega?"

"Koi madad toh mil sakti hai ek raat panaah dene ke liye kya malum wo log tayyar ho jaaye aur waha se madad mil sakti hai tum phone lagakar apni location bata sakti ho ya fhir hum kal savera hote hi nikal sakte hai barish bhi kaltak tham jayegi"

Runjhun ne sochte huye fhir us Dak bangla ki taraf dekha bijli kadaki toh wo bangla uske saamne Roshan hua wo purani si guzre zamane ki bani imarat thi lekin khasta haal hone ke bawjud ache haalat mein dikh rahi thi aur roshni ka hona saaf tha ki waha koi rehta tha,

Dono gadi mein sawar huye aur gaadi fhir dayi or ka rukh lekar us taraf badhne lagi jaha wo Dak bangla tha, wo guzre zamane ke fountain ki murti ke saamne aa khade huye murti mitti dhool aur lapato se sann thi, wo ek aurat ki akriti thi jo matka liye sar pe kisi apsara ki mudra mein haath upar uthaaye khadi thi aisa lagta tha wo fountain band huye kayi arsa beet chuka tha,

Dono ne Dak bangla ki taraf dekha fhir gadi se utare wo sidiyo se upar pahuche fhir us 10 ft lambe darwaje pe dastak dene lage, khamoshi ke mahoul mein darwaje ke peetne ka shor kadakti bijliya aur badal ki gargarahat ki awaz mein kahi dab sa raha tha, darwaja chrr charata hua kisi ne khola

Saamne ek 19 saal ki ladki khadi thi jisne gaon ke choli jhalar jaisi blouse aur churidar salwar pehen rakhi thi, oose dekhkar monty ek pal ko uske yauvan ko niharne laga ki fhir usne runjhun ke mauzudgi ka ahesas bhaanpte huye muskuraya

"Kaun hai aap log?".....usne hairat se unhe Aise ghura jaise pehli dafa sheheri logo ko itne kareeb se dekha ho

"Darasal hum nalangarh town jaa rahe they aur raste mein paani bhar gaya hai itni musaladhar barish jo ho rahi hai kya hum aapke Malik se baat kar sakte hai?"

"Ji nahi wo yaha nahi rehte chote Sahab hai par gaon ki apni kothi mein main chowkidar ki beti hoo aur is dak bangle ki dekh rekh bhi karti hoo"

"Theek hai toh fhir apne father se humari baat karwa do"....runjhun ne is baar us ladki se kaha

Tabhi lathi ka sahara liye ek adhedh umar ka patla aadmi waha pahucha usne kambal odh rakhka tha aur dhoti pehni huyi thi, chehre par aisa maatam chaaya tha jaise wo koi chalta fhirta murda ho, lathi baar baar jameen par thokne se hi runjhun aur mintu ka dhyan uspar gaya

Runjhun ne haath jode toh monty ne bhi theek waise kiya wo aadmi runjhun ko bade gaur se dekh raha tha fhir usne monty ko ghura, ladki jaldi jaldi monty ka batayi baat kehne lagi

"Humhe koi dikkat nahi balki Khushi hai ki pehli dafa is veerane mein koi musafir mehman bankar aaya hai darasal main hi yaha ka chowkidar hoo"

"Aur yaha ke malik"

"Zamindar kahiul Chowdhury jo ab is dunia mein nahi rahe unke baad ab unke bete yaani chote Malik Haresh Chowdhury yaha ke malik hai"

"Oh toh unki izazat!"

"Unse aap kal hi mil sakte hai filhal Champa aapko aapke kamre dikha dengi kisi cheez ki zarurat ho toh aap bejhijhak keh sakte hai"

Wo chowkidar tha par uski baaton mein malikana jaisa raub tha usne apni beti Champa ki taraf dekha aur oose upar ke do kamre khol dene kaha sath hi sath mehman ke liye chai aur khaane ka intejam karne kaha,

Kamre mein aate hi runjhun jhumar ki taraf dekhne lagi Dak bangla waqayi jitna bahar se purana tha utna hi andar se Shahi cheezo se bhara, purane zamane ki gramophone ek table par saamne deewan ek taraf sheeshe se saja singardan aur diwaro par badi badi paintings aur theek saamne aangan ke baayi taraf bara sa chauda bistar upar mashari charo khaano mein fasi tangi huyi,

"Chaunk gaye na kaafi aalishan bangla hai yeh".....is baar champa ne runjhun ka saaman ek taraf rakhte huye hasskar kaha

"Yaha aur koi nahi rehta tumhare aur tumhare father ke siwah"

"Nahi didi chote Sahab aate hai na wohi rehte hai kabhi kabhar wo saamne ki taraf waali room mein waha kisi ko jaane ki ijajat nahi sirf hamare baapu hi andar ja sakte hai"

"Tumhare chote Sahab karte kya hai?"

"Vilayat se padhke aaye hai aur ab yahi Nalangarh gaon mein rehte hai zamindari sambhalte hai bahut hashmukh insan hai waise aapka koi nalangarh mein rehta hai"

"Haan woh shayad tum janti hogi Seth munim ji ki beti Rupa main oosi se milane aayi hoo"

"Acha munim ji ki beti arre wo bechari to bahut bimar hai suna hai doctor ne bhi jawab de diya hai unhe"

Sunkar runjhun ko bahut bura laga usne kuch kehne ke liye munh khola par fhir chup rehna munasib samjha bahar tej hawaye chal rahi thi khidki khuli reh gayi thi jis wajah se khidki se ho ho karti hawa ka shor andar dakhil ho raha tha, bahar ki kadakti bijli se tharrati champa ne aage badhkar khidki laga di,

"Aapke liye chai ya kuch khaane ko lau"

"Bhook to lagi hai agar kuch khane ko mil jata toh"

"Mere liye bhi le aana champa main bhi bahut bhooka hoo"

Kamre mein monty aaya champa muskurakar usse do baat karke waha se chali gayi, "waqayi manna padega ittefaq hi sahi tufan mein fase par hotel se badhiya teherne ko jagah mil gayi wo bhi muft mein hahaha"

Monty ki hassi mein runjhun ne bhi hass diya, "waqayi kafi bhale log hai jo itni raat gaye humhe yaha panaah di kamra lekin bahut bada aur aalishan hai"

"Zamindar bari hai na isliye Mera akele Mann nahi laga to socha dekhu ki kahi tum so to nahi gayi"

"Thakaan to bahut hai lekin ajnabi aur nayi jagah mein mujhe jaldi neend nahi aati"

Tabhi darwaje pe aahat huyi champa khaana leke aayi thi table par khaana sajakar champa jaane lagi toh runjhun ne bhi oose shamil hone kaha par usne muskurakar jaate jaate inkar kar diya, Monty runjhun ke sath baithkar khaana khaane laga, khane se farig hokar kuch dair baat karke monty bhi goodnight kehkar apne kamre mein laut gaya, ab runjhun apne kamre mein akele thi aur bistar par laiti train mein padh rahi oosi upanayas ko bag se nikalkar dobara haatho mein thaame padhne lagi, tabhi bijli zor se kadki aur dusre taraf ki khidki apne aap khul gayi..
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 4 hours and 22 minutes.
Posts: 209
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #2 on: August 11, 2025, 12:20:10 AM »
Chapter 2

Raat ke dhai baj chuke they us anjaan waqya se ek dum runjhun ka dhyan tuta kitab uske haatho se girte bachi, tej hawao ka jhoka parde ko uda Raha tha khidki ke palle yu khul ke fel gaye they jaise kisi ne tej dhakke se oose bahar se ek jhatke mein khol faika ho, beech beech mein bijliya kadak rahi thi jiski roshni andhere kamre mein pad rahi thi,

Runjhun uthkar khidki ke paas aayi bahar baarish ka jhapta aur tej hawao ke thapedo se uske chehre pe baal bikhar gaye unhe samaitte huye wo khidki ke palle ko dobara lagane lagi, kahi dur koi jungli siyaar ro raha tha, paid hawao se jaise idhar se udhar lehra rahe they, abhi runjhun ne darwaja band Kiya toh oose payal ki awaz sunai di, kafi kareeb se wo awaz guzri, runjhun daudti huyi darwaje ki taraf dekhi koi aurat ka saaya oose apne kamre ke darwaje se guzarta dikha, wo pehle sakdum rahi fhir daudte huye usne darwaja khola bahar gup andhera tha Pura Dak bangla jaise sannate mein lupt tha, aas paas idhar udhar mejo par mombattiya lamp mein jal rahi thi, runjhun ne sidiyo se niche jhaaka kahi koi nahi tha,

Bagal waale monty ke kamre ki taraf usne jhaaka, shayad wo so chuka tha isliye uske kamre se roshni nahi aa rahi thi, oose pehle laga shayad wo ladki champa hogi par itni raat gaye wo aisi harqat kyu karegi? Tabhi oose ek aks dikha oosi aurat ka saya, bahar guzarne se khidki ke sheesho par uska kaala saaya guzara, theek fhir kisi ke gaane ka shor sunai dene laga, wo wapis apne kamre mein ulte pao lauti, darwaja lagaya wo wapis khuli khidki ke paas aayi koi gaa rahi thi uski awaz mein dard tha, tabhi niche paido ki jhurmut se ek aurat ka saaya fhir guzara usne kali choli gaghra pehen rakha tha, wo champa toh bilkul nahi lag rahi thi uska chehra aadha ghunghat kiya hua tha wo aage badhi ja rahi thi, runjhun ne khidki lagayi aur dusre darwaje ko khol aangan se bahar jhaaka, wo aurat sidha bheege raasto par chalte huye gungunaye jaa rahi thi, "aakhir kaun thi woh? Aur itni raat gaye aise tufani barsat mein kyu ghum Rahi thi?" Achanak palak jhapakte hi wo aankho se runjhun ke ojhal thi,

Runjhun sawalato mein darwaja lagaye wapis apne bistar par aakar sone ki koshish karne lagi subah 4 baje jaakar hi uski palke bhaari huyi, agli subah darwaje pe pad rahi dastak ne oose jagaya, Suraj ki roshni ki jagah badalo se dhakka safed aasman oose dikha, kamre mein oosi ka ujala fel raha tha usne darwaja khola saamne champa muskurakar chai liye khadi thi,

"Arre iski kya zarurat thi?"

"Arre aap hamare yaha mehman hai toh itna hamara farz nahi"

Piche muskurata monty bhi chai ki pyali liye kamre mein aaya, is baar champa kamre mein hi khadi rahi, "chai toh bahut achi bani hai"

"Shukriya didi"

"Acha champa ek baat batao is Dak bangla mein tumhare aur chowkidar uncle ke siwah bhi koi rehta hai kya?"

"Kyu sahab?".....champa ne masumiyat se pucha runjhun bhi monty ke sawal se uski taraf dekhne lagi

"Kyuki kal raat ko maine ek aurat ko bheetar ghumte aur gaate suna bas uski parchai dikhi aur theek dhang se dekh nahi paaya"

"Haan Maine bhi suna tha balki dekha bhi tha usne kaale rang ki ghagra choli pehni huyi thi aur uski awaz mein bahut dard tha"

Champa ekdum ghabra si gayi, "jiii hum..he nahi pata aa..p Babu..ji se hi puchiye toh be..htar hai"...itna kehkar wo kamre se bahar tej kadmo se chali gayi, uske is azib se bartav ko dekh dono ekdusre ka munh dekhne lage,

"Azib baat hai usne theek dhang se jawab kyu nahi diya?"

"Mujhe bhi samajh nahi aa raha"

Dono apna apna saaman samaite sidiyo se utarkar Dak bangla chodhkar ja rahe they,

"Barish tham chuki hai runjhun ab humhe town ki taraf nikal jana chahiye"

"Tehriye".....is awaz ne dono ko chauka diya chaukidar laathi ke sahare liye unhe awaz deta unke saamne aa khada hua

"Aapka bahut bahut shukriya bauji jo aapne kal humhe yaha panaah di"....monty ne hath jodkar unka shukriyaada kiya

"Waqayi aapki beti Champa ne hamari itni seva ki hum kabhi bhul nahi sakte filhal humhe ijajat de humne nalangarh town nikalna hai"....runjhun ne bhi shukriyaada karte hath jode kaha

"Itne jaldi aap log yaha se abhi nahi ja sakte? Kyunki chote malik aaj Dak bangla kisi bhi waqt pahuchne Wale honge aur wo aap dono se milna chahte hai darasal humne saqt hidayat hai ki dak bangla par koi bhi aaye unhe zarur se zarur ikhtila de, wo jankar khush huye ki unke gaon bahar ke kuch mehman aaye hai wo aap dono se milna chahte hai aur unhone saf hukam diya hai ki abhi aap kuch waqt aur yaha ruke"

"Par aise kaise!".....monty ne aapatti jatate huye abhi aitraz kiya ki tabhi runjhun bhi bol padi

"Theek hai hum unka wait karenge lekin mera nalangarh town pahuchna behad zaruri hai meri ek friend bimar hai aur oose dekhna mere liye bahut zaruri!"

Tabhi koi gaadi ekdum se bahar aakar ruki, monty ne jhaaka to saamne jeep thi jisse ek 35 saal ka hatta Katta naujawan apni seat se bahar utara, wo keemati jacket aur aankho mein goggles lagaye wohi skinny jeans aur shikari joote pehna koi gaon ka Ameer shaksiyat lag raha tha,

Uske bhari kadamo ki awaz pure imarat mein gunz rahi thi, wo muskurakar runjhun aur monty ke saamne aa khada hua, usne goggles ek jhatke mein utaara aur bade gaur se runjhun ki taraf dekha uski bhuri aankho par runjhun ki nazar padi to usne nazare fhair li,

Wo bhari kadamo se thoda kareeb aake dono ke darmiyan khada hua fhir usne monty ki taraf dekha

"Aapki tareef?"

"Ji mera naam Monty hai main rajshahi se aaya hoo nature photography mera pesha hai aur main oosi sisile mein aur ghumne fhirne pehli dafa yaha nalangarh aaya hoo"

"Great aur aap?".....usne fauran runjhun ki taraf dekhte huye ahiste se sawal kiya

"Jiii mera naam runjhun dasgupta hai and i came from Dhaka city, pichli gaye raat tufan aur barish ki wajah se raasta band ho gaya tha main nalangarh town jaa rahi hoo apni ek saheli se milane"

"Nalangarh town toh hamara ancestral village hai if u don't mind may I know ur friend's name"

"Seth munim ji ko shayad aap jante honge unki ikulati beti meri dost hai"

"Oh yes yes wo to hamare ghar ke tamam hisab kitab pehle wohi dekhte they aur aaj bhi dekhte hai unki beti jinka naam Rupa hai wo toh bahut bimar hai"

"Oose hi dekhne lage itne dur aayi hoo waise shukriya karti hoo ki kal raat humhe yaha stay karne aapke logo ne diya"

"It's perfectly fine balki main toh khush hoo ki pehli dafa koi sheheri mehmaan hamare yaha aaya, agar aap Jana chahti hai to jaaye par aapko meri ek baat manni hogi kuch din aap yaha tehre toh behtar"

"Main sirf ek hafte ki chutti lekr hi yaha aa saki hoo aur mujhe meri dost se zaruri milna hai"

"Theek hai toh aap meri gadi mein chaliye main aapko khud unke ghar le chalta hoo kyunki aap shayad unka ghar pehchan na sake"

Kafi insist karne ke baad runjhun Maan gayi, monty ko na jaane kyu? Wo Banda theek nahi laga, par wo khamosh khada tha usne bhi chalne ki iccha vyakt ki toh wo aadmi raazi ho gaya, teeno uski Jeep par sawar nalangarh town ki taraf badh chale,

"Aapne naam nahi pucha?".....jeep drive karta usne runjhun ki taraf dekhte kaha

"Ji aapke chowkidar ne bataya tha aapka naam Haresh Chowdhury yahi naam hai na apka"

"Waise to hai par sheher mein dost log mujhe Harry behtar kehte they aap log bhi mujhe Harry hi kahe to behtar hai"

"Arre nahi aise kaise?"

"Kyu? Main koi umardaraz to nahi"

"Par aap itne uche zamidar hai aapka naam aise kaise le sakte hai?"....monty ne is baar kaha to Harry muskurane laga

"Maana ki main yaha ka zamindar hoo par iska matlab ye nahi ki log mujhe aise izzat de khaskarke wo log jo khud meri tarah sheheri ho u may call me Harry, bytheway main pehle America mein tha padhai puri ko fhir kuch saal Dhaka mein raha pasand na aaya aur purkho ke jameen jayezad aur itni chodi zimmedariyon ki wajah se main nalangarh shift ho gaya waise aap karti kya hai?"

"I am an entrepreneur, I run a business firm'

Harry prashansa aur garv ke milejhule bhaav se uski tareef karne laga, gaadi theek kheton se guzarti chote kasbe mein dakhil huyi aur theek ek ghar ke samne Ruki, har koi unhi logo ki taraf dekh raha tha zamidar Harry ke sath sheheri mehman ko dekh har koi khusar phusar kar raha tha,

Seth munim ji aur unki biwi ko dekh Harry ne haath jode aur fhir un logo ne bade adab se unka swagat kiya,

"Aapne mujhe pehchana main Rupa ki dost runjhun hoo"

"Acha beta tum aa gaye aakhir lekin ye chote malik ke sath tum?"

"Darasal ye dono mere hi dak bangle mein tehre huye they yahi aa rahe they par kharab mausam aur barsat ki wajah se yaha aa na sake abhi ye filhal mere wohi rahenge aap pehle inhe jald se jald Rupa se milwaiye"

Monty ko aisa laga jaise Harry khub aage aage kar raha tha, runjhun ko haalaki is baat se koi faraq nahi pad raha tha usne bhi Rupa ke sisile mein pucha sab andar dakhil huye, Seth munim ji Harry se baat karne lage jabki monty runjhun ke sath chalne laga Rupa ki maa se sab runjhun ko batane lagi,

"Na jaane kiski nazar lag gayi hamari bacchi par, kuch saal se uske sath azib azib waqye ghatne lage pehle wo peeli padi fhir ekdum se azib azib harqate karne lagi, uska khoon din pe din sukhne laga doctor ko dikhaya toh unhone kaha ki oose anemia ho gaya hai jismein khoon ki matra shareer mein ghatne lagta hai, doctor hakeem aur fhir ojha baba ke paas tak hum gaye malum chala ki uspe kisi ka bura saaya hai"

"Arre nahi nahi ye kaisi baatein keh rahi hai aap? Rupa to padhi likhi samjhdar ladki thi wo in sab cheezo par kattayi believe nahi karti thi ho sakta hai anemia ki wajah koi andruni Rog ho"

Rupa ki maa ne sehmati mein sar to hilaya lekin runjhun ki baat se oose aitbar nahi aaya, kamre mein aate hi usne paaya Rupa bistar par padi thi aur waqayi jaisa uski maa ne bataya theek waise hi haalat thi, runjhun ko yakeen na hua ki kabhi wo uske sath modelling photoshoot karwati thi aaj wo sukh kar kaanta aur azib si ho chuki thi,

Runjhun uske sirhane baithkar uske maathe pe hath phairne lagi, Rupa ne dheere dheere ankh kholi aur runjhun ko dekh uske chehre par fiki muskurahat aayi wo uthna chahti thi par uth nahi paa rahi thi itni kamzor ho chuki thi woh, "Rupa shant main aa gayi hoo what happened wid u?"

"T.um nahi janti runjhun mera sath kya kya hua hai?"

"Batao mujhe kab se hua ye sab?"

Rupa ne bujhi nazaro se apni maa ki taraf dekha, maa uska ishara samajh gayi wo ulte pao jaane lagi monty bhi halat samjhkar waha se nikal gaya dono saheliyo ko kamre mein akela chodh diya gaya, Rupa saans bharte huye runjhun ka haath kaanpte hatho se thaami aur kehne lagi,

"Runjhun meri dost t..tujhe yaha nahi aana chahiye tha I am sorry maine tujhe yaha bulaaya mujhe dukh haiii pehle maine bhi socha ye sab koi bimari hai lekin"

"Kya bak Rahi hai tu? Tune mujhe kitne khat likhke ek baar bataya hota phone kiya hota ki tujhe koi dikkat hai toh I would come wid more help and support ab bhi der nahi huyi chal wapis sheher chal main rakhungi apne paas tujhe Tera ilaaj karwaungi"

"Nahiii nahii main yaha se nahi jaa paungi kyunki mujhe ahesas ho chuka hai ki main zyada din aur nahi!"

Rupa ghabrate huye jab kahi toh runjhun ne uske munh par hath rakh diya wo rone lagi, "aisa mat kehna kuch nahi hoga tujhe samjhi mujhe bata aakhir baat kya hai?"

"Runjhun jo baat main tujhe bata rahi hoo wo khat mein main likh nahi sakti thi yaha aane ke baad main ek ladke se mili aur oose apna dil de baithi lekin oose mujhme Zara bhi dilchaspi nahi tha usne mera fayda uthaya jab maine oose bataya ki main oose fasa dungi kyunki usne mujhe kharab Kiya hai to wo ukadh gaya mere pait mein waqayi uska bachcha teher gaya tha"

Ye baat sunkar runjhun saqte mein aa gayi wo aage sunne lagi...."usne mujhe warn kiya kayi baar dhamkaya lekin main darri nahi, mujhe apne maa baap ki parwah thi us ladke ne pehle mana kiya par fhir usne mujhe kaha ki filhal main bachcha gira du toh wo aage hamare rishte ke baare mein sochega, usne har mahine mere parivar ki aarthik madad karni shuru kar di main nahi janti wo aisa kyu karne laga? Maine baccha giraana nahi chahti thi par maa baap ki bhari gaon mein badnami ki dehshat se maine faisla kar liya ki main bahar jaakar baccha gira dungi ek shaam main jaise hi usse milane uske ghar ki taraf pahuch hi rahi thi ki kisi ne mujhe dhalaan se dhakka diya main aundhe munh khet ke beecho beech ja giri chot aayi aur baad mein behoshi, fhir wohi ladka mujhe raste mein mila wo kisi kaam se gaon hi aa raha tha wo mujhe jaankar bahar ke aspatal le gaya jaha mera ilaaj hua toh pata chala Mera baccha toh pehle hi khatam ho chuka tha, usne mujhe wapis Ghar chodha parivar walo ne kafi pucha toh maine bataya ki main chakkar khaakar behosh ho gayi thi, aur koi mujhe hospital laake chodha tha unhone zyada sawal nahi kiya kyunki wo ladke ko achi tarah jante they, oos din ke baad din pe din main bimar hone lagi aur wo ladka mere kareeb rehne laga ek shaam usne tujhe dekha aur tere baare mein sawal kiya toh maine bataya ki tu meri sheher ki ek dost hai, usne Tera address pucha lekin maine bataya nahi usne bhi wo topic pe baat karne chodh diya"

"Fhir?"

"Fhir uske baad ek din mujhe malum chala ki wo Amal karta hai usne mujhe agaah kiya ki ye baat main kabhi kisi ko na batau maine oose pura wishwas dilaaya, fhir uske baad mera aur uska milna kam hone laga sach pucho to mujhe usse Darr lagne laga aur auurr main tabse aisi haalat mein!"

Barbarati Rupa aankhe munde adhuri baat kehte kehte behosh hone lagi, runjhun ne oose jhinjhoda uski awaz sunkar monty Rupa ki maa baap aur Harry bhi andar aaye, Seth munim ne apni beti ka nabz tatola toh Harry ne oose hospital le jaane ki salaah di,

Aanan fanan Rupa ki tabiyat itni bigad jayegi kisi ne socha nahi tha, Rupa ko aspatal Jeep pe sawar kiye Harry aur Seth munim nikal gaye jabki runjhun bebasi mein wohi baithi ro padi aur uski maa ko sahara dene lagi, monty bhi wohi tehra raha, shaam ko Harry wapis lauta wo akela tha usne bataya ki Rupa ko admit kar liya gaya hai aur abhi filhal doctor kuch keh nahi sakta, runjhun ne aspatal jaane ki zidd ki jispar Harry ne oose le jaane de mana kar diya kyunki doctor oose emergency ward mein dakhil kar chuka tha, "filhal tumhe aur monty ko Dak bangle mein chale jaana chahiye kal hum sab aspatal jayenge".....kafi na nukur aur samjhane bujhane ke baad wo sab wapis dak bangla laut aaye,

Us raat runjhun ke aankho mein neend nahi thi baar baar Rupa ki chehra uske nazaro mein ghum raha tha, aur uski wohi baat ki "tujhe yaha nahi aana chahiye tha" ye baat oose kaatne ko daud rahi thi, kya hua tha? Kaun tha wo ladka? Kya Rupa ki maa ne sach kaha ki uspar tona totka kiya gaya tha?, Na jaane kya ho raha tha?, Achanak gunzti fizaao mein wo dardbhari awaz, runjhun uth baithi apne bistar par aur chaddar faike khidki ke paas pahunchi wohi aurat wohi kaala libas jo pichli raat usne dekha tha,

Wo bahar darwaje se sidiya utarne lagi tabhi  oose ahesas hua ki payel ki chunn chunn tej kadamo se bangle ke daaye baazu se guzari, runjhun ne darwaja kholkar bahar jhaaka hawaye chal rahi thi gup andhere mein charo taraf sivaay veerane aur sannate ke kuch nahi tha,

Wo wapis andar aayi sidiyo se chadhti usne dekha ki upari manzil ke bramde mein wohi aurat guzar rahi thi, runjhun chillayi lekin awaz ke jawab mein monty bahar aaya wo bhauklaye runjhun ko dekhne laga dono upar pahuche jaha runjhun ne oose dekha tha waha chatt par jaane wali sidiyo ke darwaje pe taala laga tha aur tamaam kamro par bhi waisa taala laga pada tha,

"Aakhir itni raat gaye kaun ho sakta hai?"..runjhun jaise khud se sawal kar rahi thi

"Kahi champa to nahi?"....monty ne runjhun se savdhani se pucha

"Nahi monty wo apne band kamre mein so Rahi hai maine jhannkar dekha tha"

"Toh fhir ye kya Bala hai? Kaun aurat hai jo band darwaje ke bawjud pure dak bangla aur uske aas paas ghumti hai?"

"Ye jawab toh do hi shaks de sakte hai ek chowkidar aur dusra Harry".....runjhun ne gambir nazaro se sochte huye jawab diya

                        ---------------

Agli subah dair se runjhun neend khuli wo jaldi jaldi tayyar hokar nikalne ko huyi usne monty ko hadbadaate huye oosse station master ki gadi ki chaabi Li, wo Rupa se milna chahti thi isliye nalangarh town ki taraf ja rahi thi,

Itne mein jeep pe sawar Harry waha pahucha uska chehra utara hua aur mayus tha, runjhun uske paas aayi "mujhe aspatal jaana hai Rupa ke baare mein kuch malumat chala?"

Harry ne jawab nahi Diya usne dheere se sar jhukaye bataya "tumhe aspatal jaane ki zarurat nahi hai kyunki Rupa ab is duniya mein nahi rahi she is gone"

Ye baat bijli ki tarah runjhun par giri wo wohi dum saadkar sar thaame ghutno ke bal baith gayi, monty ne paas aakar oose sambhaala, chowkidar aur champa Daya bhari nazaro se oose dekhne lage, Harry ne oose zazbat mein beh jaane Diya fhir khud monty se oose sambhalte huye kandha thaame wapis dak bangla le aaya, Rupa ke gharwalo se runjhun jaake mili ooski Tut gayi maa ko usne sahara diya, Rupa ki laash ko kabrastan le jakar pure rasmo rivaz ke sath dafna diya gaya, apne dost ko khone ka gam liye runjhun kuch dair wohi tehri rahi, ek Raaz uske sath dafan ho gaya tha fhir wohi sawalat ki kya waqayi uski maut samanya thi? Usne kyu oose chale jaane kaha tha, kaun tha wo ladka?
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 4 hours and 22 minutes.
Posts: 209
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #3 on: August 11, 2025, 12:55:27 AM »
Chapter 3

"ab tabiyat kaisi hai uski doctor?"

Monty ne pucha jo bahar darwaje ki chaukhat par khada tha, doctor ecg ko lapaitkar bakse mein band kiye uthte uski taraf dekha, Harry kuch fasle dur khada cigarette ke kash le raha tha,

"Sab theek hai bas thodi kamzori hai dost ki maut ne unhe andar se jhinjhodh diya hai isliye zyada stress ki wajah se weakness aur behoshi hone lagi, inhe kam stress lene kahiyega aur dawaiya di hai do din mein sab theek ho jayega"

"Chaliye main apko chodh aata hu"

Monty doctor ko chodhne darwaje tak badh gaya uske jaate hi Harry ne cigarette astray mein kuchalte huye kamre mein kadam rakhka, runjhun uth khadi huyi usne khidki se bahar dekha aur apna saaman tayy karne lagi,

"Arre re ye kya kar rahi ho tum? Kahan jaa rahi ho?"

"Is jagah mein mere liye ab kuch nahi tehra main yaha ek wajah ke liye aayi thi aur wo thi meri dost Rupa, ab wo is dunia mein nahi hai aur mujhe gam hai ki main uske aakhirat mein uske liye kuch kar na pai, oose yu marrne diya"

Gulabi nazaro se Harry ko ghurte huye runjhun ne apna saman bag mein daala toh Harry ne haath se uski kalai thami, runjhun oose ghurrne lagi, "maut aur zindagi pe hamara bas nahi chalta hum sirf insan hai taqdeer ke maare hai jiska khud ke taqdeer pe koi bas nahi"

"T..tum nahi samjhte ho wo"....apne aansu thaamte huye runjhun ne ek lamhe ke liye khamoshi saadhi Harry oose bade gaur se dekh raha tha

"Uske sath kuch galat hua hai wo zindadil ladki yun aise Marr nahi sakti na jaane kisne uski hassti khelti zindagi cheen li"

Kehte kehte wo rone lagi, Harry ne jhijhakte huye uske kandhe pe hath rakhka aur oose chup karaya....."dekho tumhari dost wapis toh nahi aa sakti par tum aise yaha se toh mat jao abhi toh aayi ho"

"Nahi yaha mujhe uski yaad satayegi pal pal dil uski baaton se ghabrayega"

"Aakhir usne aisa kya bataya ki uske sath kya ghata tha? Agar mumkin ho to hum sath mein uske liye ab bhi kuch kar sakte hai, ye sheher ye Zilla meri milkiyat hai agar uske sath waqayi nainsaf hua hai toh zamidar hone ke naate main oose insaf dilwaunga uske gunahgar ko khud saza dunga lekin pls tum is tarah himmat haarke chali jaogi toh uski rooh ko thes pahuchegi, aur kya pata uske sath kuch aisa hua na ho jaisa hum soch rahe hai, ho sakta hai uski bimari ne uske mansik haalat par bahut zyada galat prabhav dala ho jis wajah se wo marrne se pehle aisi beheki beheki baatein karne lagi ho"

Ek pal ko runjhun ka dil na maana fhir oose kahi na kahi aisa laga bhi, jis halat mein usne Rupa ko paya tha wo waqayi pagalo ki tarah darri sehmi bartav bhi kar rahi thi, Harry ne aakhir oose na jaane se mana hi liya, runjhun ne apna bag dobara rakh diya, Harry muskuraya, piche khada monty chupchap dono ko ghurr raha tha, oose acha nahi lag raha tha ki kis tarah Harry runjhun ke kareeb aa raha tha,

                      ---------

Chowkidar paudho mein paani daal raha tha tabhi monty ke uske kareeb aa khada hua wo gambhir tha, chowkidar ne oose ghura aur pucha "kya baat hai Babu? Kuch chahiye aapko?"

"Haan ek sawal hai jiska jawab aapko bhale bhaati malum hai"

Chowkidar ne paani daalne ke dabbe ko rakhka aur gaur se uski taraf dekha, "puchiye"

"Har raat dak bangla ke bheetar aur aas paas kaun aurat ghumti hai? Ji gaati bhi hai uski payal ki awaz charo taraf gunzti hai aakhir kaun hai woh?"

Chowkidar ki nazare bari bari ho gayi, champa chupke se piche dono ke khadi hokar sunne lagi, "jaane dijiye Babu aap sheher ke log aisi baaton pe wishwas nahi karenge"

"Mujhe jawab chahiye koi humhe daraane ki raat gaye koshish karta hai dak bangla andar se band hota hai toh kaise wo aurat andar dakhil bhi hoti hai aur gayab bhi ho jati hai, mujhe to ye sab kisi ki chaal lagti hai sacchai bata bhi dijiye"

"Wo koi sadharan insan nahi hai jaisa aap sochte hai, ek bhatakti huyi aatma hai ek rooh jo aaj se nahi kayi saalon se is veerane mein aur is dak bangla mein bhatak rahi hai, apne bichade us Humsafar ki talash mein jo usse sadiyo pehle bichadh gaya tha"

"Kya kehna chahte hai aap? Ye jagah haunted hai utter nonsense"

"Ye jhoot nahi sach hai, is dak bangla mein kayi purane aise rahasya hai jinse kabhi parda nahi utha, hamare zamindar sahab bhi ye baat jante they, unke purkho mein unke dada ke bhai zamindar Hamid Chowdhury isi gaon ki ek gareeb ladki ko pasand karte they, un dono ka milna julna aksar akele yahi hoya karta tha aur ek din wo dono pakde gaye zamindar ranjhan Chowdhury yaani chote malik Haresh chowdhary ke dada ji ne unhe fauran us ladki ko chodh dene kaha warna anjaam oose daasi banakar shagirdon ki hamesha ke liye zaleel kar gaon se nikaal Dena tha, is faisle ke khilaf Hamid bagawat par utar aaye wo isi dak bangla mein chupe rahe aur ek raat us ladki madhumati ke sath aatamhatya kar baithe par badnaseebi ki madhumati ne jaan dene ki himmat na jutaayi, baad mein pakadi gayi aur unhe zaleel kar bade bhai ranjhan Chowdhury ne unhe gaon se nikaal faika, apmaan aur tadap mein bhooke pyaase wo kayi dino tak bhatakti rahi aur fhir yahi dak bangla ke saamne usne jaan de di, tab se wo dono aaj bhi yaha rooh bankar bhatakte hai"

"Madhumati"

"Haan madhumati zamindar Hamid Chowdhury ki adhuri mohabbat"

Itna kehte huye chowkidar chala gaya toh monty soch mein pad gaya, champa ki aahat pakar usne piche mudkar oose jaate huye dekha, na jaane kya kuch sunne ko aur dekhne ko waha oose mil raha tha?

                          ----------

Rupa ke sadme se nikalne mein runjhun ko taqreeban 2 din laga aur is do din mein monty dekh sakta tha ki Harry kitna zyada runjhun ke kareeb aane ki koshish kar raha tha, aisa lagta tha jaise wo Mann hi mann runjhun pe kaayal tha, runjhun toh so gayi lekin monty teesri aur chauthi raat so nahi paaya har baat reh rehke ghum Rahi thi, gaye raat oose wohi payel ki chunn chunn aur ek dardbhari roti aurat ki awaz sunai di, lekin is baat ek aur naumeed ghatna ghati is  baat us aurat ke chale jaane ke baad fhir dobara koi gaana gaane laga kahi dur se aur ye awaz kisi mard ki thi, monty apne room ke khidki se jungle ki taraf us awaz ki disha mein dekhne laga, kayi fasle dur se wo awaz aa rahi thi, monty ne torch liya aur uske paas hamesha se rakha uska pital ka mukka jo hathyar wo aamtaur par safety ke liye rakhta tha, gaye raat wo jungle ki taraf jaane ka irada kar raha tha

Wo sidiyo se utara darwaje ko khol wo bahar nikla fountain ka mor kaata aur ghane andhere bhare jungle ki taraf dekhta do kadam jaane hi wala tha ki oose kisi ne awaz di, usne piche mudkar dekha Harry laaltain liye apne keemati night gown mein uske saamne chalte huye aaya,

"Arre itni raat gaye? Kahan jaa rahe ho?"

"Us awaz ka picha karne jo us taraf se aa rahi hai".......sawalat nazaro se Harry ne andhere jungle ki taraf dekha

"Kaisi awaz?"

"Tumne nahi suna taqreeban Roz ek aurat ghumti hai gaate huye aur aaj wo mardana awaz koi to hai jo humhe shayad daraa raha hai"

"Lagta hai chowkidar ne tumhe bataya nahi ki is dak bangle ki charo taraf aatmaye ghumti hai"

"That's utter nonsense"

"Dekho tum mere mehmaan ho aur aise yun jungle ki taraf raat gaye Jana khatre se khali nahi kuch bhi ho sakta hai, isliye main iski izazat nahi de sakta behtar hoga tum apne kamre mein jao aur jaake so jao"

Monty Harry ke paas Aya oose ghura aur fhir ulte pao dak bangla mein chala gaya, Harry sawalat nazaro se jungle ki taraf dekhta raha wo awaz aani bahut pehle hi band ho chuki thi,

                            --------

Aakhirkar Runjhun ne apne zazbat pe kaabu paa liya tha, is beech uska Mann behlaane ke liye Harry oose kahi jagah monty ke sath le gaya, monty samajh raha tha ki jab bhi oose sath le jane ki baat hoti to Harry aise bartav karta jaise wo runjhun ke sath akele Jana chahta ho, runjhun ko in sab ki parwah nahi thi na hi uska dhyan tha, wo dheere dheere Rupa ki maut ko mehez hadsa samajhkar bhula Rahi thi,

Us dopaharbaad ghum fhirke aake wo log ikhatte lunch karne lage, itne mein Harry ne monty se kaha "waise agar photography ki baat hai toh nalangarh ka sabse khubsurat jagah kaali hill hai waha jaakar tumhe saikdo khubsurat tasveere mil jayegi, tum ek kaam kyu nahi karte lunch ke baad chale jao aur shaam tak aa jana mera driver tumhe le jayega"

"Thanks par mujhe kisi ki zarurat nahi main khud drive kar sakta hu tum aana chahogi runjhun"

"I am sorry monty par mera mann nahi hai aaj tum akele ghum aao"

"Koi nahi tum aaram Karo mujhe sheher mein kuch kaam hai main jald hi laut aaunga"

Itna kehkar Harry ne munh ponchte huye sidiyo se upar chala gaya, monty ne runjhun se aahiste baat karna shuru kiya,

"Runjhun main tumse pichle do raato ki baat kehna chahta hu"

"Kaisi baat?"

"Yaha munasib nahi hoga tumhare kamre mein Chalke baat karte hai"

Wo dono dining table se uthe aur upar runjhun ke kamre mein aaye, monty ne sabkuch savistaar byaan kiya, "kya toh iska matlab wo dono aatmaye hai jaisa chowkidar ne kaha"

"Haan aur main is raaz ke teh tak pahuchunga main nalangarh town bhi jaunga taaki Rupa ki maut ka malumat kar saku"

"Agar Harry ko pata lag gaya toh"

"Oose pata nahi chalega Aaj raat jage rehna dekhte hai kya rahasya hai in sabke piche"

Tabhi Harry waha pahucha "tum abhi tak gaye nahi"......monty ne mehsus kiya ki wo anjan tha usne koi baatein nahi suni thi,

"Han bas jaa hi raha tha milte hai okay bye guys"

Kehkar wo kamre se nikal gaya, "ye tumse kuch zyada friendly nahi hota hai na tumhe janta hai na pehchanta hai"

"Main usse utna hi baat karti hoo jitna tumse aur waise bhi mujhe yaha ghutan hoti hai main yaha se jald se jald Jana chahti hoo"

Harry muskuraya, "theek hai toh kya tum mere sath mere Ghar chalna nahi chahogi? Nalangarh town mein jaha meri kothi hai"

"Aaj mera waqayi mood nahi hai"

"Pls fhir toh tum chali jaogi fhir dobara aao na aao"

Runjhun oose mana na kar saki, wo dono jeep pe sawar kothi pahuche, wo Vishal kaaye kothi thi, jo shayad Harry ke purkho ki thi, waha bhi ikka dukka naukar ke koi nahi tha, sabne Harry ko salam kiya, harry oose apne aalishan kothi ke cheeze dikhaane laga, runjhun ko boriyat si ho Rahi thi, wo oose apne kamre mein le aaya waha ek tasveer thi purani lekin uska chehra runjhun se milta julta tha, runjhun ek pal ko tehri

"Is ghar mein mere alawa koi nahi meri maa ko guzare arsa beet gaya aur pitaji ke bhi jaane ke baad ye pura kothi mein main akela rehta hu"

"Toh fhir koi achi ladki dekhke shadi kyu nahi kar lete".....tasveer par se nazar hataye bina runjhun ne kaha Harry muskurata uske nazaro ka picha karta us tasveer ki taraf dekhne laga jo saamne diwar pe tangi thi,

"Koi tum jaisi mili nahi"

Runjhun ne hadbadakar oose dekha, wo hassne laga kehne laga ki main mazak kar raha hoo, fhir usne tasveer ki babat pucha

"Bahut hi purani tasveer hai kehte hai kisi zamane mein ye yaha raha karti thi isi gaon mein nalangarh mein aur mere pardada ke bhai Hamid Chowdhury ki ye kafi kareeb thi unhone is tasveer ko kahi chupaake rakhka tha jo saalo baad mere father ke hath lagi aur fhir mujhe ye painting pasand aayi toh maine ise apne kamre mein jagah de di"

Harry muskurakar us tasveer ko bade gaur se dekhne laga, "na jaane kyu ye tasveer Jani pehchani si lagti hai aisa lagta hai hubahu meri hi tasveer ho"

"Haan jab pehli dafa tumhe dekha tha to mujhe yahi painting ki yaad aayi kya tum kabhi nalangarh mein raha karti thi? I mean tumhari family?"

"Nope main proper Dhaka city se belong karti hoo hamare parivar ke sabhi log wohi rehte hai"

"Oh tab ho sakta hai ye ittefaq ho kitni azib baat hai jis tasveer par mera dil aa gaya wo hubahu chehra tumhara hai"

Runjhun ekdum se hairani se oose dekhkar fhir hassne lagi, "par bahut khubsurat ittefaq hai"....Harry ne uske paas aakar kaha

"Mujhe ab chalna chahiye shaam dhal Rahi hai"

"Abhi toh aayi ho aur bhi kuch dikhana chahta hu tumhe"

"Fhir kabhi tabiyat theek nahi lag rahi"

"Acha theek hai chalo"

Jeep se wo dono wapis dak bangla laute Suraj dhal chuka tha, runjhun Jeep se utarkar ghar mein dakhil ho hi Rahi thi ki piche se Harry ne oose Toka usne mudkar dekha,

"Kuch kaam se sheher jaa raha hoo do din baad lautunga agar tumhe aitraz na ho toh parso mere sath hill forest ghumne chalogi sirf tum aur main dekho main monty ko janta nahi hoo"

"Oose bura lagega aur jante to tum mujhe bhi theek dhang se nahi ho"

Harry hasaa...."lekin ek baat janti ho aisa lagta hai jaise barso se hum ekdusre ko jante ho aisa lagta hai jaise tum meri kitni sagi ho"

Runjhun muskurayi, wo janti thi shayad Harry oosse flirt kar raha tha lekin uske dil mein Harry ke liye itna kuch karne ki wajah se bas hamdardi thi, usne muskurakar Haan keh diya, toh Harry jaise chehek utha aur usne runjhun ka shukriya kiya, runjhun andar lauti jabki jeep ko Harry park karne laga,

Raat ko dinner hall mein sab mauzud they champa un sab ko khaana paros rahi thi, jabki monty ne nivala dheere dheere khaa raha tha ya shayad uske khaane ki chahat hi nahi thi, Harry ne toka "kya baat hai? Tumhe bhook nahi hai?"

Monty ne hadbadakar hasste huye kaha "nahi nahi aisi baat nahi darasal safar ki wajah se thakaan hai waise manna padega kafi khubsurat jagah hai anginat panchi khubsurat Mausam pahadh kya view hai?"

"Hmm isliye Mera dil sheher mein laga nahi ab bhala itni achi jagah ko chodhke koi kaise jaa sakta hai?"....Harry ne muskurakar khaati runjhun ki taraf dekha jo uska ishara samajh rahi thi ki wo waha se chale Jana chahti thi wo bas muskurayi

Champa jhoote bartan le jaane lagi, khane se farig hokar sab ek ek kar kursiyo se uthne lage, tabhi Harry ne toka "waise aur kitne din ho yaha par?"

Wo sawal thoda azib tha par monty ne muskuraya runjhun ne dono ki taraf dekha, "socha tha 3-4 din par ab dil waqayi yaha kuch waqt aur teherne ko kehta hai aapko koi aitraz to nahi"

"Mujhe kya aitraz hoga? Balki Khushi hai ki is veerane dak bangle mein kuch habgab to huyi warna ye jagah toh sannate mein hamesha dubi hi rahi hai"

Harry runjhun se baat karna chahta tha par wo sone ka kehkar apne kamre mein chali gayi, monty bhi waha aur der nahi tehra, Harry bhi sidiya chadh gaya aur apne kamre ki taraf chala gaya, champa sabkuch sun rahi thi,

                             --------

Raat se hi badal mein garazan shuru ho chuki thi tufaan ki ho ho karti hawa charo taraf failne lagi, bijliya kadakne lagi apne kamre mein laiti andhere mein ektak runjhun khidki se bahar dekh rahi thi na jane kyu reh rehkar uske zehan mein Harry aur wo tasveer ghum Rahi thi jo hubahu uske chehre ki thi, kyu uske dil mein Harry ka khyal aa raha tha? Runjhun ke zindagi mein sirf ek hi shaks aaya tha jise usne tutkar pyar kiya lekin family ki misunderstandings ki wajah se usne oosse saare naate tod liye, runjhun tabse akeli thi aur Rupa ki maut ke baad wo aur zyada Tut gayi thi,

Tabhi darwaje pe dastak padi, bhaari dastak koi saaya oose bahar khada dikha, usne uthkar darwaje ke paas akar darwaja jaise khola oose bhauklaya par savdhan monty khada mila, wo fauran andar aaya aur usne khud darwaja laga diya, runjhun oose hadbadaye dekhne lagi...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 4 hours and 22 minutes.
Posts: 209
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #4 on: August 11, 2025, 12:56:54 AM »
Chapter 4

"wo awaz suno kahi dur se paas aa rahi hai"

Runjhun bhauklaaye par savdhan bari bari nazaro se ghurte monty ki baat par kaan lagaye sunne lagi, wohi dardbhara geet lekin is baar awaz janana nahi kisi aadmi ki thi, "us raat bhi isi ki awaz suni thi".....ekdum se monty ne sunti runjhun ko kaha, runjhun aur savdhan ho gayi dono dheere kadmo se khidki ke paas aaye is baar runjhun ne khidki khol di awaz saaf sunai dene lagi, koi dak bangla ki taraf hi aa raha tha, dur ek saaya un dono ko jhadhiyo ke paas dikha jo shayad unki taraf munh kiye gaa raha tha chehra dikh nahi Raha tha, wo tehelne laga uski har harqat wo dono gaur se dekhne lage,

Safed sherwani aur pyjama, bikhre ghane lambe baal aur chehre pe ghani dhadhi aur muchh koi naujawan par rajgharane ka shaksiyat sa lag raha tha, uski awaz mein dard tha aur wohi geet gunguna raha tha jo usne kuch din pehle us payal pehni bhatakti aurat ko gaate suna tha, us awaz mein na jaane kyu? Ek sammohan tha runjhun vichlit hone lagi, wo darwaje ki taraf jaane lagi, monty us saaye ko wapis jungle ki taraf jata dekh darwaja kholti runjhun ke paas pahucha

"Kahan jaa rahi ho?"

"Mujhe jaane do uska picha karne"

"Nahi ye khatre ki baat hogi kuch bhi ho sakta hai"

"To kya tum maante ho ki wo waqayi Hamid Chowdhury ki bhatakti aatma hai aur wo aurat kya nam bataya tha tumne haan madhumita"

"Dekho is waqt akele gaye raat bangla se bahar niklna munasib nahi hoga"

"Toh kya Harry ko ikhtila Kare hum oosi ke ghar mein hai wo shayad hamari!"

"Nahi runjhun aisa mat karna ulte mujhe toh wo bahut rahasmayi lagta hai aisa lagta hai in sab ke piche oosi ka haath hai"

"Par wo ye sab kyu karega?"

"Yahi to pata lagana hai"......abhi monty keh hi Raha tha ki itne mein Chann Chann karti huyi payal ki awaz pure dak bangla mein gunz uthi, dono ne darwaja nahi khola bagal wale khidki ke sheeshe se bahar jhaaka mombatti ki roshniya jal rahi thi pura dak bangal sannate aur andhere mein duba tha, koi saaya unhe sidiyo se jata hua dikha wo dono wapis khidki ki taraf pahuche, dak bangla ka main darwaja khula saamne hi runjhun ko wo aurat dobara dikhi, unhi libas mein wohi kaali ghaghra choli, aisa lagta tha jaise gaon ki hi koi aurat thi par wo Dak bangla ke andar kahan se aayi?, Bijliya kadak rahi thi hawao ka shor gunz raha tha, wo aurat ek ek pair chalti fountain ke paas khadi ho gayi usne halka sa mudkar muskuraya bijli ki roshni mein runjhun ne saf mehsus kiya uske daaye taraf chehra ghumaane se wo waisi hi ek pal ko hubahu uske chehre wali us tasveer ki tarah dikhi, wo do kadam piche ghabrake khadi ho gayi, monty ne oose sambhala usne bahar dekhne ke niyat se jab jhaka wo aurat gayab thi, barish hone lagi thi,

"Kya hua?".....monty ne oose thaame pucha
"Wo aurat wohi thi wohi tasveer wali ek painting hai uska chehra hubahu meri tarah dikhta hai Harry ke kamre mein uski kothi mein iska matlab wo aatma madhumita ki hai"

"What nonsense? Unhe marre huye sadiyo ho chuke, aur wo waise kaise ho sakte hai? Chalo mere sath"

"Par kahan?"

Dono kamre se bahar aaye sidiya utare aur naukar Wale kamre ki taraf pahuche saamne kitchen tha aur theek uske bagal mein ek kamra, usne darwaje ke sheshe se andar jhaka bijliyo ki roshni mein beech beech mein padne se unhe gehri neend mein razai odhey soyi champa dikhi,

Dono wapis main darwaje ki taraf aaye darwaja badastur andar se laga hua tha, jo achambe wali baat thi, jabki wo aurat darwaja kholkar bahar gayi thi, sidiya tayy karte is baar wo dono monty ke room mein aaye,

"Aaj main kahi ghumne nahi gaya tha balki Rupa ki maut ka bhi clue talashne gaya tha aur is zamindar Harry ka bhi"

"Kya pata Kiya tumne?"

"Yahi ki Rupa ko anemia tha lekin jo jo lakshan usme dekhne ko mile wo saare lakshan aam bimari se utpan nahi hote, fhir maine internet par search Kiya to pata chala that she was the victim of black magic"

Runjhun par bijli giri, bijliyo ki kadkadahat se wo siham uthi, monty ne mudkar uski taraf dekha, "uske parivar ne bataya ki marrne se pehle oose azibo garib daure padne Lage they, medical reports jabki ekdum clear they, koi cheez dheere dheere uske jism se khoon ki ek ek bund nichod rahi thi, lekin us ladke ko dhundh nahi paaya jo uska boyfriend tha"

"Kaun ho sakta hai?"

"Koi to aisa hai jiska raaz wo jaan chuki thi, aur Rupa ko raste se hatana apne mansube ke liye shayad behad zaruri tha, jab se wo bimar huyi thi Ghar ka kharcha Seth munim ji ko Harry ki madad se milta tha kyunki Seth munim ji uske parivar ke kareebi they, dak bangla ka ye kissa sirf yaha ke rehne wale chowkidar aur uski beti Champa ko hi nahi balki pure gaon ko pata hai sab tarah tarah ki bhutiya afwahe uda rahe they, apni kothi mein ye Harry bhi akela hi rehta hai"

"Tumhe Harry pe Shaq hai?"

"Haan aur aaj jo ye baat tumne mujhe batai wo ab 100 aana mujhe sach lagne lagi hai, tumhe ek kaam karna hai Harry ko kisi tarah uljhana hai wo tumhe hill forest ke ja raha tha maine suna hai tum uske sath jao, aur in sab waqayo ka zikar usse mat karna anjan bane rehna main uske kothi mein jaunga aur uske kamre ki Talashi lunga koi na koi sabut zarur haath aayega"

"Sabut toh yaha bhi mil sakta hai"

"Nahi yaha Aisa kuch nahi hai upar se chowkidar aur champa ki nazaro mein pakada jana aam baat hogi waha par naukar to hai par sharabi aur aajkal Harry yaha hamari wajah se tehra hua hai ye kaam karna mere liye filhal aasan hai"

"Agar pakde gaye to bahut musibat ho jayegi Harry na jaane tumhare sath kaisa bartav karega? Meri maano hum yaha se chale hi jaate hai"

"Tumhe lagta hai ki wo humhe itni aasani se jaane dega"

Runjhun ke paas waqayi uska koi jawab nahi tha, dono ne theek kiya ki plan ke mutabik runjhun Harry ke sath jayegi jabki monty uski kothi mein akele dakhil hoga aur kaise bhi waha ki Talashi lega? Na jaane oose Harry par kaisa shaq tha? Ya fhir wajah runjhun ki parwah thi ya fhir Rupa ki rahasmayi maut aur dak bangla ki har raat ka wo rahasya?

                                   ---------

Monty Harry ke chale jaane ke baad ek chakkar uske kothi ka fera le chuka tha, waha kayi matha pacchi ke baad usne waha ke sharabi naukar se jaan pehchan badha li thi, runjhun lekin fikarmand thi par aajkal ek azib waqya ghat raha tha jab jab wo raat gaye us awaz ko sunti toh uska dil bechain ho uthta, aur ab uske dil mein Harry ko leke azib khayalat aane lage they ye sab kya ho raha tha? Oose Harry ki pyar bhari baatein uski taraf ek anchaha kheechav sa lagne laga wo na hone se kyu akelapan mehsus kar rahi thi?, Aaj tufan tej thi usne kuch pills khaaye jo aksar neend na aane se wo kabhi kabhar le liya karti thi, uska dil maano jaise koi kheech raha tha, kya uske sath bhi wohi ho raha tha jo uski dost Rupa ke sath!

Bijli kadki hawa se parde uthne lage, khidki lagane ke niyat se wo paas aayi to wohi dard bhari awaz pehle us payal pehni bhatakti aurat ki fhir kuch der baad us aadmi ki is baar wo Dak bangla ke ekdum kareeb tha saaf dekh sakti thi wo oose, runjhun bistar par aakar kaan thaame mein sone ki koshish karne lagi, pills ke asar se aakhir mein oose neend aa gayi, gehri neend aur tabhi wo awaze aani band ho gayi, achanak jaise darwaja khula runjhun ne aankhe kholi kamre mein andhera aur sannata tha hawa kahi se dakhil ho rahi thi,

Tabhi saamne ka nazara dekh wo munh par haath rakhkar ektak oos saaye ki taraf dekhne lagi, wo Rupa thi, lekin Rupa ko toh mare huye kayi din beet chuke they par wo Zinda saamne khadi thi usne runjhun ki taraf royi nazaro se dekha aur apne dono haath uske saamne badha diye,

"Meri dost runjhun ye main hoo Teri Rupa"......wo awaz gunz rahi thi jaise ek nahi kayi log ek sath keh rahe ho bijli kadaki toh uske chehre par roshni padi uske munh se khoon beh raha tha, runjhun ekdum chadar saqti se hatho mein dabaye sirhane se sat gayi, wo ahiste ahiste kadmo se bistar ke chaukhat tak aayi, runjhun ne bari mushkil se fase gale se awaz di "r..ru..pa"

"Chali jaa yaha se hamesha hamesha ke liye chali jaa warna Tu kabhi yaha se jaa nahi payegi kabhi nahi kabhi nahiii kabhi nahiii"

Wo kehti gayi aur uske aankho se aansu khoon bankar tapakne lage, wo awaz bhari hoti gayi aur runjhun ke kaano mein padti rahi, runjhun ekdum se chilla uthi wo apne bistar par thi saamne koi nahi tha pura chehra pasine se tarr tha, wo ek bhayanak sapna tha, aisa laga jaise Rupa nahi wo uski aatma usse ye baat kehne aayi thi,

Usne waqt ki taraf dekha subah 4 baj raha tha, fhir us raat wo so na saki, subah chai dete huye champa ne fikarmandi se pucha "aapne kal koi darwana sapna dekha tha? Aap cheekhi thi"

"Nahi matlab haan"
"Hota hai hum bhi kayi baar is dak bangla mein siham ke uthe hai bapuji toh kehte hi hai ki yahan waqayi aatma bhatakti hai par humne apni in aankho kabhi nahi dekha"

Champa ki baat sunti rahi par runjhun ne usse aur kuch nahi kaha, fhir wo jab chali gayi to usne sheher mein apne jannewale travel consultant se baat ki aur oose jald se jald return ticket ki baat kahi, tabhi itne mein Harry andar Aya to runjhun ne fauran phone cut karte huye muskuraya

"Busy ho?"

"Haan wo client tha anyways aur itne jaldi tumne to kaha tha!"

"Ki do din baad aunga par ittefaq dekho kaam ho nahi saka aur main wapis aa gaya mujhe laga tum chali gayi lekin agar tum chali jati na toh mera dil tut jata"

"Bina tumhe inform kiye aise kaise chali jaati main itni bhi sangdil nahi"

"Vaada karke nibhane wale hi mujhe pasand hai"

Runjhun jhijhakte huye oose dekhne lagi, toh Harry ne baat ka rukh Moda "acha toh nashta ke baad hum hill forest nikal rahe hai sham tak hi wapis laut payenge"

Runjhun janti thi ki aaj bahana nahi ho sakta tha, wo jab tayyar hokar niche utari toh Harry oose ek tak dekh raha tha, runjhun ne champa se monty ke baare mein pucha to usne bataya ki wo subah hi nikal gaye keh rahe they photography karne jaa rahe hai

"Acha hi hua ki wo chala gaya oose bura lag jata agar main oose sath chalne se mana kar deta"

Runjhun ko ye baat kehte huye wo bahar nikal gaya, runjhun ko kuch theek nahi lag raha tha dono jeep pe sawar huye aur dak bangla se rawana ho gaye, champa unhe jaate chaukhat se dekhti rahi, oose Mann hi mann gussa aaya ki chote malik runjhun ko itna mehetva de rahe they,

Raste bhar dono chup they bas beech beech mein Harry muskurakar uski taraf dekhta to runjhun ko bhi uska sath dena padta, hill forest kuch hi der mein aa gaya khaadi ke theek beech ke raste se upar uthta parvat jaha khatam hua wo uchi jagah hi hill point kehlati thi, dono choti pe ja khade huye, waha se pura nalangarh dikhta tha gehri khai thi, ek pal ko runjhun us khubsurat nazaare se nazar na hata pai

"Waqayi bahut khubsurat"
"Kaha tha na maine ki ye jagah kisi Ooty ya Kashmir se kam nahi bahut sundar jagah hai

"Thank u Harry ki itne din Tak tumne humhe sair karaya dak bangla mein mehman rakhka hamara aur khaskar Rupa ka itna kuch kiya"

"Dekho ye sab kehke mujhe sharminda mat karo aaj main aur tum yaha akele hai aur yaha hamari baat sunne wala koi nahi main tumse kuch bat kehna chahta hoo agar tum izazat do to"

"Haan kaho"

"Aisa hai runjhun bura mat manna main tumhe kaise kahu? Par main tumhe pasand karne laga hoo aur main chahta hu ki tum mujhse shadi karke yahi bas jao"

Runjhun ne is jawab ki umeed nahi ki thi wo teher gayi, "dekho jaldbazi se koi faisla mat ekdum se karna tum chaho to baad mein bhi iska jawab!"

Runjhun ne oose Toka "harry main janti hoo tumhari haisiyat bahut uchi hai tum yaha ke zamidar ho aur izzatdar shaksiyat bhi par main yaha sirf aur sirf Rupa ke liye aayi thi main kaise kahu?"

Harry uski baat sunta raha aur umeed karne laga ki ab wo jawab degi lekin jo jawab usne Diya wo jaise aasman se gira, "sorry Harry par main tumse pyar nahi kar sakti aur na hi shaadi kyunki mere dil mein pehle hi koi tha aur uske jaane ke baad jiski jagah koi nahi le sakta"

"Lekin!"

"Suno aajtak main sunti rahi tum kehte rahe aaj meri suno main tumhe acha dost Maan sakti hoo par tumse mohabbat nahi kar sakti kyunki Main tumse kabhi waise attract huyi nahi aur na ho sakti hoo shayad tum bhi is baat ko samjh sakte ho"

"Par runjhun main tumse dilo jaan se pyar karne laga hoo aur main tumse!".....usne runjhun ki kalai thami ki oose laga wo wapis ja rahi thi runjhun ne oose ghura to usne kalai chodh di aur mafi mangi

"I am sorry par pls ek baar socho toh main tumhe sari khushiyan de sakta hu mere dil ki halat ko samjho tum sheher mein rehna chahti ho no issue lekin hum tab bhi sath reh sakte hai"

"Enough Harry maine keh diya aur apna faisla bata bhi Diya ab isse aage main kuch nahi keh sakti tum pls mujhe dak bangla le chalo"

Harry jawab nahi de paaya oose laga tha ki uski charming personality aur zamindari aur daulat dekh shayad runjhun pighal jayegi lekin paansa ulta pad chuka tha wo bhari Mann se jeep pe ja sawar hua runjhun uske sang baith gayi, jeep puri raftar se ghumate huye Harry wapis oose dak bangla ki taraf le jaane laga, "I am sorry agar maine tumhe kuch galat kaha ho par I hope tum samjhoge"

Pure raaste Harry mayus raha usne aur kuch nahi kaha, Runjhun bhi itna kehkar chupchap baithi rahi wo jab wapis dak bangla pahuche, toh Jeep se utarne ke baad runjhun bina piche mudkar dekhe andar chali gayi, runjhun ne dobara phone lagaya return ticket do din baad ki thi, lekin un do dino tak waha teherna runjhun ko nagawar guzara, shaam ho gayi par monty nahi aaya jab wo uske kamre mein pahuchi toh kamra Khaali tha, monty ka number uske paas tha nahi oose fikar huyi, raat ko wo dinner karne utari toh Harry pehle se hi waha baitha tha,

"Champa monty Sahab aaye nahi abhitak?"

"Nahi".....champa ne masumiyat se na kiya

"Kahan gaya hai woh jo abtak nahi aaya uska saaman bhi kamre mein pada hai tumhe kuch batake gaya tha?"

Harry ne fhir chowkidar se pucha, "nahi sahab main toh subah mein hi aakhri baar oonhe dekha tha shayad wo kahi dur nikal gaye hai, runjhun janti thi ki wo Harry ki kothi ki Talashi mein gaya tha na jaane kahi koi ghatna to uske sath nahi ghati,

"Arre didi aapne khaaya nahi"

Runjhun ne khaya nahi wo uthkar apne kamre mein sone ke liye jaane lagi "pait bhara hua hai goodnight"........itna kehkar wo Harry se goodnight kahe sidiyo se wapis apne kamre mein chali gayi, Harry oose bas jata dekhta raha

Raat gehri ho chuki thi, aaj mausam saaf tha, achanak runjhun ki neend tuti wohi dardbhari geet gungunate huye wo aadmi, awaz paas aa rahi thi, runjhun ne khidki ko kholkar bahar jhaaka koi nahi tha, wo darwaje se nikli sidiya tayy ki niche aayi main darwaja kholi aur bahar nikal gayi, wo aadmi dusri taraf jungle ke bheetar dakhil ho raha tha jaise hi runjhun bhaagte huye uske paas pahuchi ki oose us aurat ki awaz Kano mein sunai di usne piche mudkar dekha wo aurat chatt ke upar chal rahi thi, runjhun ne piche mudkar dekha aur us raste pe sidha badh chali kuch kadam chalte hi waha saamne tuta khandar tha, wo awaz fhir oose sunai di kareeb se, wo us awaz ka picha karne lagi wo aadmi oose dikha runjhun ne puri himmat jutaayi aur uske saamne pathar de faika, wo teher gaya usne gana band kar diya, runjhun bhaagte uski taraf pahuchi

"Kaun ho tum? Main janti hoo agar tum rooh hote toh ye patthar tumhare aar par chala jata dhong karne ki koshish bekar hai samne dekho"

Usne jaise jaise samne dekha runjhun ekdum se ghabra gayi, wo muskura raha tha  "Harry ye tum ho?"

"Haan main meri madhumita"

"Ye kya bakwas kar rahe ho tum? Toh yani ki tum koi aatma nahi ho"

"Aatma nahi punarjanmit apne pardada ke bhai Hamid Chowdhury ka dusra janam hai mera aur tum wohi madhumita hi jise barso pehle maine kho diya tha"

"Ye sab jhoot hai gadhi kahani hai"

"Ye sach hai runjhun ki tum hi meri madhumita ho jab tumhe pehli dafa dekha to aisa laga ki khuda ne meri khushiya mujhe wapis lauta di tumhe dekhkar meri umeed jaag gayi"

"Hargiz nahi toh ye sab, gaye raat ye aatma ka bhatakna wo dardbhari awaz wo kaale libas pehni aurat, ye sab tumhari sazish thi? Mujhe tumse ye umeed nahi thi"

Itna kehkar runjhun waha se jaane lagi tabhi Harry ne uska kalai thama "haath chodho mera" usne jhatakte huye Harry ka haath chudha liya

"Abhi bahut kuch tumhe Janna hai tumhe shayad ye baat jhooti lage par ye sab maine tumhe tumhare pichle janam ki yaad dilane ke liye kiya, tumhe yaad nahi par mujhe tumhari aur meri kahi pichli janam ki har baat yad hai kaise marrte waqt tumne mujhse kaha tha ki tum dobara yaha lautogi aur fhir hum ek naya janam lenge, yaad hai tumhe maine tumhe kitna chaha tha aur tumne mujhe, afsos ki ranjhan Chowdhury ki wajah se hum ak na ho paaye, isliye maine tumhe paane ke liye kaali ilm ka sahara liya amal kiya aao mere sath"

Wo jabran runjhun ka hath thamne laga to runjhun ulte pao waha se bhagi, Harry uska naam pukarta uske piche bhaag, tabhi ek cheekh gunzi, ye awaz kisi aurat ki thi, ek pal ko runjhun teheri fhir dak bangla ki taraf bhaagi, Harry tab bhi uska picha karta daudta raha,

Dak bangla mein ghuste huye sidiya chadhti runjhun jaise upar pahuchi toh chowkidar ek taraf thithaka khada tha, jabki champa kaale libas pehni khadi dikhi aur uski kalai ko bedardi se thaame khada khoon se zakhmi monty ki taraf uski nazar uthi, wo ghabra gayi, Harry sidiyo se tabtalak un sabke saamne pahuch chuka tha aur haalat ka jayeza uski samajh aa chuka tha....
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 4 hours and 22 minutes.
Posts: 209
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #5 on: August 11, 2025, 12:58:16 AM »
Chapter 5

"ye sab kya hai monty aur tumhari ye halat?!"

"Meri halat ka behtar jawab tumhare piche khada ye mansik bimar dega jisne ye saara khel Racha hai runjhun, Rupa ka qatl bhi isne  hi kiya hai ye jo kuch bhi yaha ho raha tha na in sab ka zimmedar yahi tha yahi"

Ungli ko khanjar ki tarah Harry par uthata monty dahadhe bol utha, runjhun ne Harry ki taraf dekha jiski chori pakdi ja chuki thi, usne sard lehze se monty se pucha

"Tu yaha pahucha kaise?"

Uske kehne se pehle hi monty ne jawab diya chillate huye "haan tune to mujhe dhoke se hamla karke ye socha ki main khai mein gir chuka hoo par main gira zarur par aadhe darmiyan fasa reh gaya, khuda ki daya se jaan Baal Baal bachi aur main fhir yaha sabut ke sath pahucha"

"Sabut!"....runjhun ne kaha

"Haan runjhun iske Ghar ki Talashi mein mujhe medical reports mile ye sheher mein kayi maah tak mental asylum mein raha jaha ilaaj ke baad ise chodha gaya ye mansik bimar hai runjhun ise hallucinations hote hai Hamid Chowdhury se iski shakal milti thi bachpan se ise past life reincarnation ka jaise daura padta rehta tha ye khud ko Hamid chowdhury samjhta tha aur tumhe dekhne ke baad Rupa ki tasveer mein isne tumhe apni mehbooba madhumita samjha ye is intejaar mein tha ki kaise karke tum iske paas pahucho aur ye tumhe hasil kar le,

Rupa ke sath isi ka gehra sambandh tha isne oose pregnant kiya ye uske sath nahi kayi ladkiyo ke sath aisa khel khelta raha lekin jab ise malum chala ki madhumita ki jaisi dikhne wali ladki Rupa ki ek saheli hai toh isne faisla kar liya ki Rupa ko ab raste se hatakar hi tumhe paaya ja sakta hai,

Isne kaali ilm ka sahara kam umar se hi Lena shuru kiya tha taaki apne is past life reincarnation ko ye deal kar sake tumhe is Janam mein hasil kar sake Rupa ka qatal karna iske liye aasan nahi tha isliye isne oospe kuch aise galat amal kiye aur oose khaane mein kuch aisa khilaaya jo oose dheere dheere maut ki gehraiyo mein le jane laga aur ek raat usne dum tod hi diya, ye tumpar bhi Amal karta raha aur iska jeeta jagta sabut hai ye ladki champa, jo isi ke ishare par gaye raat ko sidiyo se toh kabhi aangan par to kabhi chatt par to kabhi dak bangla ke charo taraf dardbhari awaz nikaalkar gaati thi aur us raat tumhe dhoka isliye hua kyunki isne hubahu madhumits ki dekhi painting jaisa isne apna make up kar rakha tha ye janta tha ki tum madhumita urf apni hubahu chehre ko dekh hairat mein pad jaogi isliye us raat isne gungunate huye apna adhnanga chehra tumhe Aisa dikhaya ki tum yahi soch baitho ki ye madhumita ki aatma hai main jab dak bangla lauta to ye apna khel shuru kar chuki thi maine chatt par jaakar mauke ka fayda uthakar chupke se bangla mein dakhil hokar ise thaam liya isi ne bataya ki tumhare khaane mein ye kaali ilm se ye kameena Harry kuch na kuch milwata tha taaki tum iske pyar mein pagal ho jao aur tumhara dil bechain ho uthe runjhun yahi tumhari friend Rupa ka katil hai aur is pure sazish ka mastermind hai ye"

Usne dobara khanjar ghopti ungli se Harry ki taraf ungli uthayi, runjhun ab Harry se darr rahi thi Harry muskurakar taali bajane laga, "manna padega ki aakhirkar tum sacchai Jaan hi gaye par ye sach hai ki bachpan se jo sapne maine dekhe wo sach they Kali ilm ka sahara bhi isi liye maine liya taaki apni khoyi adhuri mohabbat madhumita ko talash kar saku aur oose paa saku aur dekho Rupa ke jariye se main runjhun tak pahuch paaya aur ittefaq dekho ki us rat fase halat mein tum dono dak bangla pahuche, chowkidar champa sabko malum tha inhone hi mujhe bataya ki hubahu madhumita meri madhumita ki tarah dikhti ek ladki yaha pahuchi hai isliye maine dusre din hi mulaqat karne ka faisla kiya

Jab yaha aaya toh runjhun ko pehli dafa dekh main shocked ho gaya mujhe yakeen ho gaya ki wo yahi thi, lekin kabab mein haddi tum beech mein aa gaye aur mera basa basaya plan bigad gaye lekin koi baat nahi jab Rupa ko main raste se hata sakta hu to tum kya ho? Ab mujhe kisi aur ki zarurat nahi khaskar sabuto ki tabhi Harry ne chura sabki nazar bachate sidha faika jisse monty sambhal pada lekin wo nishana champa ke liye tha wo chura champa ke seene mein kayi inch dhass gaya uski awaz ghuti reh gayi aur wohi girkar bari nigaho se oose ghurne lagi, chowkidar ne apni marrti beti ko sambhala lekin wo dum tod chuki thi itne mein chowkidar baagh ki tarah Harry par jhapta "teri Jaan le lunga main harami kutte meri beti ki jaan li tune kameene"

Wo Harry ka gala saqti se thaama raha toh Harry ne ek suyi uske gardan pe ghusa di, wo apne gale ko pakda akadta sidha aangan ki upari manzil se niche living hall mein girkar marr gaya Harry ne uske laash ko dekha aur ek taraf thooka tabhi vase ka bharpur vaar uske chehre gardan aur sar par daayi taraf se hua, oose apna sar jhanjhanata mehsus hua, monty ne sar ko jhukakar kisi dhaal ki tarah de maara Harry oose peeth se thaame aaundhe munh peeth ki taraf se oose rokne mein nakam hota sidiyo se niche girne laga, niche girne ke bawjud monty ki pakad dheeli nahi huyi Harry ne furati se apne daaye jute ka vaar uske jabdo pe kiya Monty dur jakar aundhe munh gira, Harry uth khada hua aur usne kohni monty ke peeth pe maarte huye uski gardan daboch Li, monty tadapne laga par Harry daant peesta hua apni pakad waise hi kayam raha, monty ka dum ghutne laga aankhe ubalne ko huyi, tabhi Harry ke sar par runjhun ne piche se murti se vaar Kiya harry apna sar pakda monty ka Gardan chodh wohi girkar chatpatane laga, usne paas aakar monty ko uthana chaha wo pehle hi zakhmi tha aur ab wo chot khaaye apni ukhadhti saanson pe kaabu paa raha tha, tabhi monty ne runjhun ko ek taraf dhakel diya runjhun ghass khaaye zameen pe giri Harry ka hamla sidha monty pe hua usne uske chot lage seene pe laat maarte huye oose wohi zameen pe gira diya aur ek khanjar jisse champa pe faikkar usne maara thaa waisa hi dusra uske hatho mein mauzud hua usne furati se monty ke seene pe wo churi utaara hi tha ki monty ne khoon se sane haatho se oose beech mein hi apne seene pe ghopne se pehle daboch liya, khoon ris ris ke uske chehre aur badan par haatho ka girne laga zyada dair tak wo Harry ko rok nahi sakta tha, tabhi runjhun ne  pass rakhki kursi uthakar puri taqat se uske saamne vaar ki lakdi ki kursi Tut gayi aur Harry ghass khaaye wohi dhair ho gaya, monty wohi behosh ho gaya usme jaan nahi thi uthne ko, monty ko wo jagane lagi uske chehre ko thapthapne lagi lekin wo na jaaga,

Wo oose ghasitte huye farsh par se hi bahar le jaane lagi bahar unki safed gadi khadi thi, jispr sawar hokar wo waha se bach nikal sakte they, usne ek baar ghasitte huye monty ke shareer ko thaame dur gire Harry ke taraf dekha uske jism mein koi harqat nahi huyi, wo sar ke mathe se leke chehre se gale tak dayi taraf khoon se lathpath tha jabki kursi ki chot aur sidiyo par girne se oose betahasha chot aayi thi uski sherwani phat chuki thi aur sabse Rahat wali baat wo behosh ho chuka tha itna waqt runjhun ke liye kafi tha waha se monty ko leke faraar hone mein aur police ko ikhtila karne mein, gaon jaane se behtar wo station master ke paas pahuchkar oose saari ghatna bata sakti thi madad sheher se fhir pahuch jati,

Usne bahar jaise taise girte padte monty ke shareer ko sambhaale oose gaadi tak laaya safed gaadi lock thi usne monty ko ek taraf laita diya aur dobara ulte kadamo se dak bangla mein daakhil huyi, sannata pasra hua tha chowkidar ki laash ek taraf tute saaman idhar udhar bikhre they farsh par khoon tha jo monty aur Harry ka tha, Harry ek taraf waise hi pada hua tha, usne paas rakhka khanjar utha liya jisse wo monty ko maarne wala tha wo sidiyo se tej kadmo se upar pahuchi champa ki laash ek taraf thi uski aankhe pathrayi aur tehri khuli thi, ek pal ko runjhun uske laash se guzarte huye ubakai mehsus karne lagi, wo kamre mein lauti fhir usne tamam jagah par chaabi talashni shuru ki chabi mil gayi, oose lekar wo wapis kamre se bahar aayi fhir sidiyo se niche pahuchi aur ek baar mudkar usne piche dekha Harry waise hi aankhe munde lahuluhan zakhmi behosh pada tha,

Wo tej kadmo se bahar aayi usne gaadi ke paas aakar chaabi ghumai pehle ghabrahat se lagi nahi fhir lagi aur darwaja khula usne monty ko backseat pe laitaya darwaja lagaya aur fhir jaise hi driving seat pe baithne ko huyi ek baanh uske gardan daboche kasskar oose apne se bheechkar gadi se utaar chuka tha runjhun ki cheekh uske gale mein reh gayi wo khauff bhari nazaro se piche dekhne lagi, Harry khoon se lathpath hassta hua pagalo ki tarah oose apne geraft mein le chuka tha,

Runjhun ne khanjar uske jaangh mein ghusa diya wo dahada aur uski pakad dheeli huyi lekin usne runjhun ko baalon se thaama aur oose zameen pe peeth ke bal gira diya fhir usne uske gale ko apne haatho mein jakad liya, "bahut dard diya hai tumne mujhe us raat bhi jaan dete huye tum piche ho gayi thi aur main maara gaya tha tum mere sath suicide kar sakti thi par tumne Aisa nahi kiya kya mila? Ye sab karke kya mila? Itna kuch kiya itna kuch sunaya par tum samjhna hi nahi chahti"

Harry ne ek jhapad uske chehre pe raseeda aur oose gale se daboche uthaya, patte ki tarah runjhun kaanp rahi thi wo uth khadi huyi oose gardan se daboche Harry ghasitta oose wapis dak bangla le aaya, fhir sidiya chadhte huye langdaate oose apne sath apne kamre mein le aaya,

"Wo kameena monty mere ghar ki Talashi lekar wo sabuto ke sath tumse contact karne yaha aa raha tha maine beech raste mein oose roka aur tumhare proposal thukrane se main aise hi tensed tha uski asliyat jaante hi maine oose samjhane ke bahane pahadh par le gaya aur mauke ka fayda uthakar uske sar pe vaar karke oose gira diya lekin harami bach nikla aur yaha tab bhi pahuch gaya girte padte haramzaada"

Pagalo ki tarah Harry daant peesta runjhun ko gardan se thaame darwaja khole oose andar le aaya apne kamre mein, waha azibo garib cheeze thi khopdi sindur chalk se bani sitare aur ek gole ka Nishan suyi nimbu kaale gudiya laal kapre aur tamam diwaro par madhumita ki tasveer apne jaangh mein fase churi ko Harry ne ek jhatke mein nikaal haath mein liya aur uski khoon se Sani nok ko ghabrayi runjhun ke gale pe rakha uski aankhe katoriyo mein fhirne lagi,

"Tumhe hurt karne ka mera koi matlab nahi tha lekin tum Mera saara sach Jaan chuki ho champa aur chowkidar ko marna tayy tha wo gaon mein mera bhanda phod sakte they ek baar fhir main tumse juda ho jata"

Usne rote runjhun ke maathe ko chuma runjhun ekdum Darr se kaanpte huye khamoshi se uski baate sun rahi thi, "ye sab dekho mujhe afsos hai ki main Rupa ko maara wajah thi agar oose nahi maarta toh wo tumhe Mera sach bata deti tumhe agaah kar deti jaisa usne tumse milane ke bawjud aisa kiya ye amal ye sab maine sirf tumhare liye kiya madhumita sirf tumhare liye dekho in diwar par lagi tasveero ko ye tum ho"

Runjhun ko laga jaise wo pagal ho chuka tha, wo chura haath mein liye idhar udhar fhira raha tha diwaro ki tasveer to amal ki cheezo ko oose bata batake dikha raha tha,

"Itni jane gayi itna kuch hua aur tum chahti ho main tumhe chale jaane du nahi jo galti maine pehle ki wo ab nahi agar main jaan de sakta hu toh tumhe paane ke liye kisi ki bhi jaan le sakta hu"

"Tum samjho Harry ye sab sach nahi hai maana hum iteefaq se hamari shakal Hamid Chowdhury aur unki premika madhumita se milati hai par ye sach nahi ki wo hum hi ho!"

"Ittefaq nahi hai yeh ittefaq nahi ye sach hai humara ye dusra janam hai aur ye Janam tumhara aur mera ek hone ke liye hua hai hamari adhuri mohabbat aaj puri ho jayegi kya kami hai mere andar aur toh aur is baar hamare pyaar ke aage koi rukawat hi nahi bachi bas monty ki chand saansein baaki hai oose marrne do fhir tum aur main ek honge"

Wo darwaja lagaye amal ke takhte par baith gaya ghadi mein kahi raat 12 baj utha, usne aag jalai aur fhir mombatti un sitaro ke khaano mein aur gol Nishan pe teen jagah rakhki, runjhun samajh nahi paa rahi thi wo kya kar raha tha? Usne shaitani muskurahat dete huye runjhun ki taraf dekha runjhun siham uthi, usne ek gudda uthaya jispar monty ka kapde ka tukda aur Baal tha, runjhun kaanpi wo mana karne lagi tabhi ek suyi usne uske pait ke daaye hisse mein ghopi monty ki dahadh sunkar runjhun uth khadi huyi wo khidki se bahar jhaaki gaadi se monty girta chatpatata dum saade tadap raha tha,

"Bas karo aisa mat karo"....runjhun ne oose mana kiya lekin Harry khoon se lathpath apne khoon sane haatho se shaitani muskurahat deta suyi uske seene ki taraf le jaane laga,

Tabhi runjhun ne pass rakhki botal dekhi aur sidha oose kund pe de faika sheesha tutke bikhra usmein rakhki sharab aag ko deheka uthi aur aag sidha Harry ke munh par padi, Harry dard se tadapta hua wohi gir pada runjhun ne gudda uthaake uske Bal aur kapde ke tukde ko uske badan se alag karke oose ek taraf faikh diya Harry ka chehra jal gaya tha wo pagalo ki tarah tadap raha tha, runjhun ne sidha laat zameen pe rakhke sindur pe maara jo sidha uske munh par jaa laga wo chatpata gaya runjhun ne tamam amal ke saje cheezo ko bikher rakh diya aag parde pe jaa laga aur ek taraf aag failne laga runjhun bahar ki or bhaagi darwaja khole,

Wo niche pahuchi fhir bahar aakar usne tadapte monty ka jayeza liya wo zakhmi tha par saansein chal rahi thi, monty ke jeb se ek pital ka mukka oose mila, barish shuru ho chuki thi bijliya kadakne lagi thi, Harry tadapta bahar pahucha toh waha gaadi to khadi dikhi par na to waha monty tha aur na runjhun, wo pagalo ki tarah chillane laga wo khanjar liye oose hawa mein jaise maarne laga pagalo ki tarah gaadi ke har taraf aur andar jhaakne laga toh kabhi niche, wo abhi utha hi tha ki ek taar uske gale mein aa fasi wo gale ko thaame tadapne laga runjhun ne wo taar piche se uske gale mein umeth diya tabhi Harry ne puri taqat se khanjar ka vaar uspar karne ki koshish ki mazburan runjhun ko gale mein fasayi wo taar chodhkar piche hat jaana pada khanjar uske pait par lagne se Baal Baal bacha, Harry ne larkharate huye mudkar uspe khanjar ka vaar Kiya par zakhmi hone se wo nishana barabar nahi laga paaya uska chehra bhayankar jala dikh raha tha, har vaar nakamyab ho raha tha lekin tabhi usne ek naumeed hamla apne jaangh se kiya aur ghutne ki chot runjhun ko apne pait pe mehsus huyi khanjar usne dobara daaye haath mein lete huye sidha vaar runjhun pe karna chaha toh runjhun ne apne baaye hath mein pehne pital ke mukke ka ulta ghusa uske munh par is tarah kiya ki wo khanjar wala haath uske upar aane se pehle nakam ho gaya , khoon ki bauchar uske munh se nikali aur uska jabda hilta mehsus hua, runjhun ne dahadhte huye cheekhte huye uske pait pe nishana lagate huye pital ka mukke ka vaar Kiya aur fhir uske seene pe wo pait aur Seena pakda wohi ghutno ke bal baith gaya, oose apni dhadkan dheemi hoti lagi, runjhun ne uske munh par chautha vaar Kiya aur pital ka mukka bhara vaar ne uske naak aur munh fhod Diya wo wohi dard se bilbilaaye gir pada, pital ka mukka khoon se sann chuka tha larkharayi runjhun ne uske shareer ki taraf jhukke dekha lekin uski taraf se peeth nahi fhairi, tabhi jab oose nischint lagne laga ki wo ab uthne wala nahi tha to wo uske bagal se guzarti aage badh gayi, Harry ne ekdum se aankhe kholi ek aakhri baar runjhun par vaar karne ke liye,

Wo dahadhta hua utha aur runjhun ke paas daudte larkharaye langdaaye churi haatho mein thaame abhi pahuchta ki tabhi ek goli sidhe sansanati uske seene ke aar paar chali gayi, wo wohi teher gaya uske aankho se aansu beh gaye, awaz gale mein hi ghut gayi saamne police aur station master khada tha aur hairani aur ghabraye oose dekh raha tha toh kabhi runjhun ko jo bhauklaaye piche mudkar Harry ki taraf dekhe jaa rahi thi, Harry kisi Kate paid ki tarah wohi zameen pe haath pao hawa mein lehraye gir pada churi ek taraf giri jo uske hatho mein thi, uski aankhe pathra gayi yakeenan wo marr chuka tha baarish uske Jale chehre aur khoon se lathpath jism par padne laga

Runjhun behosh hoti girnewali thi ki police inspector ne oose sahara diya "u okay runjhun sambhalo khud ko"....baaki baatein oose aise sunai de Rahi thi jaise kahi dur se koi keh raha ho wo behosh ho rahi thi

"Ganimat maaniye ki monty ne humhe waqt rehte ikhtila kar di warna toh humhe aur dair ho jati"...station master jo inspector se keh raha tha us ki awaz oose aakhri baar sunai di uske baad aankho ke aage andhera cha gaya....
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 4 hours and 22 minutes.
Posts: 209
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #6 on: August 11, 2025, 01:00:26 AM »
Last chapter

Kuch din baad...


Runjhun ke mathe pe aur kalai pe bandage laga di gayi thi jo us raat ki muthbhair mein huyi zakhm ke wajah se bani thi, agar waqt rehte usne monty ko pattharo ke piche Harry ke niche aa jaane se pehle nahi chupaya hota toh shayad monty pehle qatal kar diya jata, aspatal mein police aayi thi uska byaan darz kiya tha uski himmat ki daad di gayi thi ki akele usne aise khatarnak pagal khooni se bheedkar na hi sirf khud ki par monty ki jaan bachai thi, champa aur chowkidar ki laash police ko mauka e vardat par dak bangla mein padi mili thi, jinke fingerprints pe saaf Harry ke ungliyon ke nishan aur runjhun aur monty ke chashmadid gawah hone se uske kaatil hone ka sabut mila tha, qatal toh runjhun ka bhi ho jaata agar mauke pe police station master ki baaton mein aakar na pahuchi hoti, monty ne shaam mein hi jab kothi ki Talashi lekar waha se ruksat ki thi toh usne ek ladke ko paise ka lalach dekar railway station apne byaan darz khat ke sath bheja tha taaki station master sabkuch sunne ke baad police ke sath waha pahuch paata kyunki monty janta tha ki Harry ki nazar uspar bhi barabar rakhke tha, aur wohi hua ki beech raste Harry oose mila jo pehle se hi hill point pe runjhun ke proposal thukra dene se waise hi ukhadha hua tha wo kuch baat monty se akele karna chahta tha aur dhoke se oose wo apne sath ek sunsan pahadi ilaake mein le jaane mein kamyab raha lekin monty anjan tha ki wo oose waha maar Dene ki firaaq se hi le ja raha tha kyunki asliyat reports padhkar wo pehle hi Harry ka jaann chuka tha aur jald se jald runjhun tak ye khabar pahuchana chahta tha wohi oose Rupa ke pregnancy reports bhi mile they ye saf tha ki wohi Rupa ka boyfriend tha aur ittefaq se usne Rupa ke tasveero mein runjhun ko dekh liya tha jise wo apni khoyi bhuli pichle janam ki premika samajh baitha tha, oose har haal mein nalangarh laane ke liye usne itna bhari sazish Racha aur Rupa ko janbhujjkar apne kaali ilam se raste se hata diya aur uski bimari halat ka fayda uthakar oose bulaane ki tamam koshishe ki, taaki wo aaye aur Harry us tak pahuch bana sake, police ne Harry ko tamam apradh ke liye doshi karaar diya aur uski mansik halat ko iska zimmedar tehraya, gaon mein khub ho Halla hua lekin police ne monty aur runjhun ko apne hifazat mein hi rakhka, fhir tamam sabut aur gawah ke faisle par hi runjhun aur monty ko bari kar diya gaya hospital se runjhun us manhus dak bangla ka rukh nahi karna chahti thi isliye uske hukam par police ne khud hi uske tamam saaman ustak pahucha diya gaya tha, aspatal se discharge ke baad wo ticket haasil kiye railway station pahuch chuki thi,

Runjhun ne apne gharwalo ko kuch nahi bataya tha uske mashroof baba ko waise bhi uski itni fikar nahi thi, maa janti toh waha tamam logo ko oose laane bhej deti wo baithi train ke intejar mein paas ke sit par yahi bahana soch rahi thi ki unse kya kahegi tabhi oose langdata chehre pe goggles lagaye monty aata dikha jiski haalat mein sudhar tha lekin uska bataya bazu aur kandhe pe pattiya beshumar thi uski chaal ab bhi dheemi thi, wo uthi aur hairat se oose dekhi oose laga tha ki wo oose bina mile chali jayegi kyunki wo aspatal mein behosh pada tha,

"Tum theek ho?"

"Tumhari wajah se".....runjhun ne paaya chehre pe choto ke nishan ab bhi they aur maathe pe khoon ke jagah ghumad nikal aaya tha

"Waise main aaj Zinda nahi hota agar tumne meri jaan na bachayi hoti main yakeen nahi kar paa raha ki kaali ilm jaisi bhi koi cheez hoti hai aur kisi ki jaan le sakti hai"

"Ab behtar yahi hai ki sab bhul jao wo ghatna guzar chuki hai aur mujhe kuch yaad bhi nahi karna tum apna khyal rakhna ab main wapis Dhaka sheher jaa rahi hoo"

"Main bhi aaj ki shaam ki train se rajshahi nikal jaunga kaash hum sath travel karte but thanks ones again"

"Thanks to u ki tumne apni jaan pe khelkar meri jaan bachayi aur police ko mauke pe inform Kiya warna hum mein se shayad koi bhi nahi bachta yaha se ek bhayanak waqya leke Jaa Rahi hoo Rupa ki maut ka gam mujhe hamesha rahega par khushi hai ki oose insaf mil gaya"

Nam aankho se tassavur karti runjhun ne muskurakar kaha, monty ne bhi dukhi Mann se haami bhari, train ki horn baji aur dono ka dhyan tuta train platform par aa lagi, kuch dair mein uske thamne ke baad runjhun apna saman aur purse taange train mein dakhil huyi usne saman rakhkar bahar aake monty ki taraf dekha wo ab bhi wohi khada tha,

Monty uske paas aaya aur apna haath aage kiya, runjhun niche utari aur uske gale mili ye oose bilkul umeed nahi thi runjhun ke aankho mein Khushi ke aansu they,

"Apna khyal rakhna dost"

"Tum bhi".....monty ne bhari gale se kaha

"Ye mera card sambhalkar rakhna kabhi Dhaka aana toh mere yahan zarur aana"

"Inshallah zarur"

Runjhun muskurayi aur fhir dobara train mein ja sawar huyi, monty card thaame muskurata raha runjhun ne paaya uski aankho mein aansu they, ek apne ko khoya aur dusra koi apna mil gaya, train dheere dheere sarakne lagi fhir raftar pakdi monty piche wohi platform par khada reh gaya aur runjhun ki train aage nikal gayi runjhun oose piche chutta dekh waisi hi darwaje par khadi rahi, usne haath dikhaya jaise keh raha ho alvida aur runjhun ne bhi, station piche reh gaya aur monty fhir uski nazaro se gayab, runjhun wapis apne baugi mein aake baithi, usne apne kaano mein headphones lagaye aur ek pyar bhara geet sunne lagi, aisa ahesas hua ki ye mulaqat jaise aakhri thi, udhar monty ko ahesas hua ki kabka uski aankhe nam ho chuki thi?, Usne apne aansu ponche aur railway track ki taraf dekha, platform ab Khali tha, train jaa chuki thi apni manzil ki or...

The end....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 13, 2025, 12:55:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 09, 2025, 04:59:00 PM]

[November 08, 2025, 10:52:46 PM]

[November 08, 2025, 10:43:24 PM]

[November 08, 2025, 10:39:38 PM]

[November 08, 2025, 08:19:34 PM]

[November 08, 2025, 08:18:15 PM]

[November 03, 2025, 06:03:54 PM]

by mkv
[November 03, 2025, 02:30:17 PM]

[November 01, 2025, 12:19:16 AM]

[October 29, 2025, 10:57:02 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.198 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8518 Real Poets and poetry admirer