~Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon~ by Rahim

by dead heart on August 30, 2010, 06:13:04 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 6406 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Yeh kalam unn tamam kay naam jo likha karte the mager aj nahin likte kyun ki unhe shayad kabhi kisi ne tanz kiya ho ya unke kalamon par itna objection uthaya ho kay woh ab dil se toot gaye ho..
Yeh kalam unn tamam kay naam jo dil se likte the mager technical point of view se dekhne walon ne, unhe thukra dia kay unhe likhna nahin ata..

Shayad mera bhi kuch chupa hua dard iss kalam main bhar raha hoon..
Kabhi mujse bhi kisi ne kaha tha "Rahim, tumhe likhna nahin ata.."

Meri ek badi pyaari se dost jo yahan likha karti thi woh ab nahin likti..Bada dukh hota hai kay woh chali gayi yahan se kisi ki criticism ki wajah se.. Neel jee, Yeh kalam, Rahim ki apko dedication hai..!

Ek request bhi karna chahta hoon..kabhi bhi kisi ki bhi kalam ko bura na kahein..apko nahin pata usne kyun likha hai aur kya ehsaason kay saath likha hai..apke liye woh kalam hoga, lavzon se saja ek kagaaz hoga mager uske liye uski zindagi ka sach ho shayad..!

Ek akhri baar kuch likh jana chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

Lavz mere main hi dil se parrta raha hamesha,
Ek akhri baar baat apni sunana chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

Daad mili bhi toh mujhe yahan tanziya alfaazon se,
Ek akhri baar mohobat pane ki koshish karna chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

Main toh woh likta tha jo dil likhwata tha mujse,
Ek akhri baar apna dil bahana chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

Mere lavzon main bandd ehsaas woh hi jane jo sanson se parrta hai,
Ek akhri baar aisa koi shaks dhundna chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

‘Khamosh’ ki kalam sihai nahin bahati kisi ki tariff kay liye,
Yeh toh bas haal-e-dil bayan karna chahti hai,
Ek akhri baar yeh baat sabko samjhana chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

‘Khamosh’ kehta hai dil se parro jo bhi parro yaaron,
Tumhare liye lavz mager kisi kay liye ehsaas honge woh,
Ek akhri baar apni kalam chalana chahta hoon,
Ek akhri baar kuch likh jana chahta hoon,
Ek akhri baar shayar kehlana chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

~Rahim~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #1 on: August 30, 2010, 06:21:08 AM »
Reply with quote
rahim.........
no words for this poem..ye apne aap me wo sab keh gai jo koi bhi iske liye kahe....
.

ur best poem and best dedication...
maine neel ji k kai sher aur poems padhe hain aur mujhe bht hi pasand aaye...
unke sath kyun kya hua nahin janti par ek request hai unse k agar wo ye thread dekhen to plzzzz ek bar fir se yo me aake apne doston k sath likhna shuru karen.....
.

plzz neel ji...wakai me aap bht achhca likhti hain..aur kisi k kehne se aap likhna kyun band kar gai...plz aajaiye wapas.....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: August 30, 2010, 06:23:31 AM »
Reply with quote
Shukriya Anamika di..! Teh dil se shukriya..! Kuch nazmein sirf lavz nahin hote balke ehsaas hote hai..! Apne ehsaason ko parra, teh dil se shukriya.!
Logged
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008

View Profile WWW
«Reply #3 on: August 30, 2010, 06:56:32 AM »
Reply with quote
rahim.........
no words for this poem..ye apne aap me wo sab keh gai jo koi bhi iske liye kahe....
.

ur best poem and best dedication...
maine neel ji k kai sher aur poems padhe hain aur mujhe bht hi pasand aaye...
unke sath kyun kya hua nahin janti par ek request hai unse k agar wo ye thread dekhen to plzzzz ek bar fir se yo me aake apne doston k sath likhna shuru karen.....
.

plzz neel ji...wakai me aap bht achhca likhti hain..aur kisi k kehne se aap likhna kyun band kar gai...plz aajaiye wapas.....

sahi kaha diiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii

main kafi der se isko padh kar soch raha tha ke kya reply don

par iske liye alfaaj hi nahi mileeeeeeeeeeeeee kuch smilies se bayan karta hu
 notworthy notworthy icon_salut icon_salut icon_salut Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thankyou ! Thankyou !
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: August 30, 2010, 07:47:33 AM »
Reply with quote
Shukriya Kapil Dost..Wakei bahaut kuch kehdia apne..
Hmm bahaut sahi kaha apne..
Khair dua hai Neel jee wapas ajayen..!
Shukriya Dost.!
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: August 30, 2010, 10:01:22 AM »
Reply with quote
Kya kahu Rahim-bhai....I admire your feelings.....Bahut achha likha hai aapne...Mein ye maanti hu Mann k bhaav hi sarvopariya hote hain Shabd tou kewal jariya hain expression ka....Gazal,Najm,Kavita,Poetry tou Aabhushan hain...dress hain...

 Thumbs UP icon_thumleft
Mein bhi es daur se gujri hu.... icon_silent icon_silent icon_flower icon_flower

Yeh kalam unn tamam kay naam jo likha karte the mager aj nahin likte kyun ki unhe shayad kabhi kisi ne tanz kiya ho ya unke kalamon par itna objection uthaya ho kay woh ab dil se toot gaye ho..
Yeh kalam unn tamam kay naam jo dil se likte the mager technical point of view se dekhne walon ne, unhe thukra dia kay unhe likhna nahin ata..

Shayad mera bhi kuch chupa hua dard iss kalam main bhar raha hoon..
Kabhi mujse bhi kisi ne kaha tha "Rahim, tumhe likhna nahin ata.."

Meri ek badi pyaari se dost jo yahan likha karti thi woh ab nahin likti..Bada dukh hota hai kay woh chali gayi yahan se kisi ki criticism ki wajah se.. Neel jee, Yeh kalam, Rahim ki apko dedication hai..!

Ek request bhi karna chahta hoon..kabhi bhi kisi ki bhi kalam ko bura na kahein..apko nahin pata usne kyun likha hai aur kya ehsaason kay saath likha hai..apke liye woh kalam hoga, lavzon se saja ek kagaaz hoga mager uske liye uski zindagi ka sach ho shayad..!

Ek akhri baar kuch likh jana chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

Lavz mere main hi dil se parrta raha hamesha,
Ek akhri baar baat apni sunana chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

Daad mili bhi toh mujhe yahan tanziya alfaazon se,
Ek akhri baar mohobat pane ki koshish karna chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

Main toh woh likta tha jo dil likhwata tha mujse,
Ek akhri baar apna dil bahana chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

Mere lavzon main bandd ehsaas woh hi jane jo sanson se parrta hai,
Ek akhri baar aisa koi shaks dhundna chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

‘Khamosh’ ki kalam sihai nahin bahati kisi ki tariff kay liye,
Yeh toh bas haal-e-dil bayan karna chahti hai,
Ek akhri baar yeh baat sabko samjhana chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

‘Khamosh’ kehta hai dil se parro jo bhi parro yaaron,
Tumhare liye lavz mager kisi kay liye ehsaas honge woh,
Ek akhri baar apni kalam chalana chahta hoon,
Ek akhri baar kuch likh jana chahta hoon,
Ek akhri baar shayar kehlana chahta hoon,
Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon..

~Rahim~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: August 30, 2010, 05:18:44 PM »
Reply with quote
Shukriya Shukriya Koyal di..!
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: August 31, 2010, 01:07:28 AM »

Very good one Rahim Ji
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #8 on: August 31, 2010, 06:26:09 PM »
Reply with quote
Mr. Klaskar, maine Neel ji ki poem par aisa koi comment nahi diya ke koi naraz ho jaye. Actual me to maine unki poem ki tareef ki thi aur jo kuch comment kiya tha wo Nazar sahab ki post par kiya tha jiska  siwa aapke kisi ko bhi bura nahi laga. Neel ji agar Yo par nahi aati to iski wajah kuchh aur bhi ho sakti hai kyonki maine bura manne wali koi baat nahi likhi.

Mr Klaskar maine Neel ji ki poem par jo comment diya tha wo ab bhi waisa hi hai jaisa us samay tha, kisi monitor ne delete nahi kiya hai.  Ek baar aap bhi dhyaan se dobara dekh lo. Us din itna hua tha ke Nazar sahab ki post ko maine quote kiya tha aur quoted  area mein hi apna reply type kar diya tha jis waja se mere aur Nazar sahab ke comments mixed  ho gaye the jinhen main alaga nahi kar sakta tha. Aap ek guest ko monitor kah rah hain, ye bhi ajeeb baat hai.

Apko Yo me sabse jyada nafrat mujhse hai, iske liye shukriya. Shayad aapki nazar me ek achha Kavi ya shayar wahi hota hai jo kisi aalochna(jo maine ki nahi)  karne wale se nafrat kare, chahe aalochna sahi ho ya galat, chahe aalochna aapki ki ho ya kisi aur ki. Yaad rakhna chahiye k ek umda Kavi ya Shayar hamesha aalochna ka welcome karta hai kyonki tabhi pata chalta hai ke uss rachna me kya kami hai. Khair apni apni samajh hai. Jo achhe Kavi ya shayar hote hai kisi se nafrat nahi karte. Aapne yahan aisi abhadra aur asabhya bhasha ka use kiya hai ke kisi Kavi ya shayar ko shobha nahi deta.

Neel ji agar aap is thread ko parh rahi hon to apse main ye kahna chahta hun ke aap bahot achha likhti hain, apne uss comment me  bhi maine yahi likha tha aur aapki koi buraai nahi ki. Maine jo kaha Nazar Sahab se kaha tha. Phir bhi agar aapko meri baat se takeleef hui ho to mai sorry kahta hun, lekin aap Yo me wapas aa jaaiye, agar waqt ki kami hai to kabhi kabhi hi aa jaya kijiye. Dekho na sabhi kitna eagerly apka wait kar rahe hain.
Rahim bhai...

mujhe lagta hai mere \"KAMAAL\" ka hi kamaal hai ye... waise mafi chahunga agar maine aapko chot pahuchaai to... waise bahut miss karta hoon main bhi unhe... humne ek achcha poet aur ek achcha dost kho diya Yo se...

http:........(a link can be posted by a guest)

ye hai wo post jab wo wapas gayi thi... aur Ye Shaks \"Adeeb\" jo ki kaaran the unhe yahan se bahar nikaalne ke... mujhe to ab yakeen hai ki wo koi Monitor hi hai... reason.. unka post jo buraai unhone ki thi wo ab hai nahi yahaan... bas naam hai... aur nazar ji ka quoted text hai... baahar ka koi isko delete nahi kar sakta aur guest ko rights nahi hote ki wo apna post submit karke delete karen... jo bhi hain wo unhone bahut neech kaam kiya hai...

aur ye jo bhi hain \"Adeeb\"... muje Yo me sabse jyaada nafrat hai unse... kehna hai to saamne aake kahen... pith pichhe chhip ke kyun likhte hain.... chahte hain ki jo unhe achcha kehte hain achcha achcha kehte rahen chaahe unki kartoot jaisi bhi ho... duniya ke saamne ek chehra aur pichhe alag...

ab aur kuch nahi likhna chahta ... feel me aake bahut kuch likh gaya .. shayad aur likhu to dusron ko bura lag jaaye...

maafi chahunga sabse agar maine kuch jyada likh diya ho to...

Rahim bhai... thanks a lot for this sweet poem... aaj bahut din baad main feel kar raha hoon kisi apne ka jaana kya hota hai.... sad5

bahut achcha likha hai apne... too good....!!!

aapka dost
Kapil
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: August 31, 2010, 07:44:37 PM »
Reply with quote
Rahim sahab Aadaab!

Aapke feeling's ko hum behad achche se samjh sakte hai, Humne bhi aise kayiN dost khoye hai jinke saath humari subha aur raat hoti thi...... sad5

Aapne achcha likha hai.... Iske liye daad Janab...

Par aisi pukhta bahas ko dil se nahi lagaya jata... Agar sikhane ki justaju hai to waqai aap aisebahas se bahut kuch sikh sakte hai..... Aur Adeeb Sahab ne sahiN farmaya tha Nazar sahab ko per Adeeb sahab ne yeh sab on the forume nahi kahna chahiye tha, kyuN ke naye likhane wale ho yaa puraane baat kisi ko bhi apni burai ki hazam nahi hoti...... Adeeb sahab aisi bahas PM meiN kar lete achcha rahta per ... Unka nazariyaa shayad aisa ho ke koi Justuju se apni kami janne ki koshish kare kalaam ke mutabik per aisa nahi hua aur janab aapke dost khafa ho kar chale gaye.. Unhe wapasa lana aapka hi kaam hai.... KyuN ki dost hote kis liye hai.... 

Khair bahasoN ke hisse hum bhi kayiN baar bane hai, is liye hum Adeeb Jee ki bhi side lenge.... Jinhone sikhane ki aur samjhane ke liye aisa kaha ho......

Khush rahiye.....
Mehfil jamate rahiye....
Khuda hafez.... Usual Smile         

Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #10 on: September 01, 2010, 02:10:40 AM »
Reply with quote
Azeezaan-e-bazm,tasleemaat.
            kuch masrufiyaat ki wajeh se waqt nikal nahi paaraha tha isiliye sar sari nigah yahaan par post ki jaane waali shayeri(ghazalein,nazmein,azaad nazmein,geet,rubaaiyaat,qaaside,ek sher waghaira waghaira)par daal liya karta tha,aaj jab iss post pe meri nazar padhi to kuch dair ke liye mein samajh nahi paaya ke yahaan akhir mera naam kis ziman main ayaa?,jab klaskar saheb ki link pe click kiya to saara ma'mela ba-asaani zahen main aagaya,shayed mein itna zahen rasa nahi ke har baat mere haafeeze main rahe,mein to baat samajh hi nahein paata gar klaskar saheb link drop na ki hoti,
  janaab .Adeeb saheb yaqinan aap meri nazar main ek mua'aliim,tajziye nigaar,tabserah nigaar hain aur saath hi saath fann-e-shayeri mahaarat rakhne waali aala zauq shaksiyat hain,baat taqribaan teen mahinao'n puraani hai jab meine neel saheba ki ek post pe unki itni taarif kardi thi yun samjhiye ke unki taqleeq ko mukammal "ghazal" kaha aur unke un ashaarao'n pe umda alfaaz ke saath daad -o- tehseen se nawaza tha,yaqeenan mein galat tha,kyun ke mera qasoor yeh tha ke meine neel ji ke behetreen khayalaat aur andaaz-e-bayaan  se itna mutasir hu'a ke unki taqleeq ko "mukammal ghazal "keh diya ,meri hi kam ilmi thi ke mein auzaan aur bahoor se zyada waqfiyat nahi rakhta tha aur mein jitna jaanta tha bas us bunyaad pe "neel ji" ke purkashish aur purlutf khayalaat ko "mukammal ghazal"kehdiya,mein jiss ke liye janaab Adeeb saheb se aur aap sub se maafi chahta hoon,meri kam ilmi ke sabab yeh waqiya wajood main ayaa,kyun ke mere "quote " par hi 'adeeb 'saheb ne quote kiya tha,meri wajeh se meri kam ilmi ki wajeh se woh baat hogai shayed jiss ki bina pe "neel ji" aana bandd kardiya,mein "neel ji" ke dost ehbaab se bhi muaziraat khwah hon khas kar (klaskar saheb,Raheen saheb,Rahi saheb,kasak ji,koyal saheba).adeeb saheb jaisi shakhsiyat ka iss bazm main hona behad zarori hai kyun ke ek mualim ke saae main aur rahenumai main talib e ilm ki qaabiliyat main nikhaar ataa hai,.mein janaab Adeeb saheb se mudabanna guzarish karta hon ke woh har talib -e- ilm ki rehenmuai karein aur fann-e-shayeri ke usool o qawaed se aagah bhi karte jaaen jahaan jahaan munasib ho.
                janaab parwaaz saheb adaab o tasleemat;iss baat se inkar nahi ke aap  fann-e-shyeri ke maahir shakhsiyat hain,mein yeh iss buniyad pe keh raha hon ke aap ne yahaan "tabsera" ka jo silsila shuru kiya hai waqai laaeq -e- tehseen hain,kyun ke fann-e-shayeri main  thoda sa ilm rakhne waala itna bada kaam (tabsera)  kar nahi sakta.mubarakk baad hamari jaanib se qubool karein,mein yeh pehle hi qubool karchuka hon ke mujh main fann-e-shayeri ki jaankaari bahot hi kam hai.aap ne jo likha hai aapke quote main ke"Adeeb saheb ne sahi farmaya tha nazar saheb ko"janaab-e-aali parwaaz saheb ,meine "neel saheba ki taqleeq ko 'ghazal'kis liye kaha tha aap ko pata hai? meri uss waqt (aaj se taqriban teen maheene pehle)jo shayeri ke taluq se malumat thee ,mere ilm main jab yeh bhi baat thi ke,"shayer ke chandd aise bandd jo baher main muwafiq aur qafiye main muqtaleef hon,iss tareh nazm karna ke ek hi bait har bandd ke aakhir main aae aur har bandd ke akhiri sher  ke mazmoon se muwafaqat  kare" jiss ko tarjee'a bandd kehte hain",mere zahen main tab yeh baat zahen rasa thi,uss bunyaad pe meine woh comment diye thhe.mere aziz parwaaz saheb aap yeh na samjh len ke adeeb saheb se yahaan bahes horahi hai.aur aap yeh bhi na  samjhein ke adeeb saheb ki salahiyaataon se ahl-e-bazm ko inkaar hai,aap ke khud ke alfaaz(hum adeeb ji ki bhi side lenge) kya matlab ?ke yahaan adeeb saheb ki "hum sub ahl-e-bazm ko unki salahiyato'n se tazad hai? nahi ..hum adeeb saheb ka dil se ehteraam karte hain,agar unse bahes bhi karte hain to kuch sikhne ke liye naa ke ilzaam tarashi ke falsafe ki buniyaad pe,.aap ko shayed meri baad giraan guzri ho,meine yeh iss liye keh raha hon ke aap ki qabilayat se mein waqif hon aur na hi meri kam ilmi se aap ,lehaza aap se darkhwast hai ke muhtaat andaaz main hi ilmi bahes main hissa lein,kyun ke yahaan sub seekhne ke liye aae hain ,agar aapke pass ilmi qaabiliyat zyada ho to hum jaise talib ilmao main baanteiga,.behatar rahega befuzul ki bahessaon se,.kisi ko meri baat giraan guzri ho to muzarat chahta hon.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: September 01, 2010, 04:16:49 AM »
Reply with quote
Shukriya Rajesh jee aur Parwaaz jee.!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: September 01, 2010, 06:19:17 PM »
Reply with quote
Ahel e Bazm ko Aadaab!

Hum yahaaN naye hai, aur aate hi aise bahas ka hissa ban gaye jahaaN humara ilm kuch bhi nahi..... Nazar Sahab Jee ...... Aap apne zahan se yeh galat fahmi nikal lijiye ke hum shayari ke bade jankaar hai...... Humari akal shayari ke mutalbe se aapse bhi bahut kam hai..... Humara bhi wazan aur bher se door door tak ka koi rishta nahi hai... aur nahi shayari se .... Hum jitna shayari ko pichle ek saal meiN samjhe yehi humari shayari hai uske pahele hum kuch bhi nahi the... aur aaj tak bhi humne koi mukammal Gazal nahi kahi hai..... bus dil karta hai to chand misare likha kar tehreer saja lete hai..... Isse jayda humara koyiN Ilm nahi hai .... Haan hum sher samjhne ki jyadaa justaju rakhte hai isliye shayad hume achche kalaam ka tafsira karne ki aadaat pad gayi.... Bus par aap gaur karenge to hum sirf tarif wala tafsira karte hai jise tafsira nahi kaha jata..... Tafsira tab hota hai jab sher ke khayaal se lekar lafzoN ke wazan aur bher ki mutabik baat kahi jaye...... Aur hum aisa nahi karte... KyuN ki hume ilm nahi hai ..... sad5

Yeh Husn e bahar ka naaz hota hoNga auroN ko
MaiN to likhane wale ke ahsaas o khayaal dekhta huN

Khair hum yahaaN aate hi bahas ka hissa ban gaye iska afsos ho raha hai...... sad5 Humari baat aise nahi thi, ke bahas ho hum bus kahne meiN thik se shayad kah nahi paaye.... Hum bus yehi kahe the ke Adeeb sahab ko aapki;' kii huyi Neel sahab ki tareef se taklif huyi! kyuN ke unke jaise shayari e fankaar yeh behtari se jante hai ke gazal kahne ke liye kitni mashakhat karni padhti hai... Woh thahare Aala darje ke shayar isliye unhe aapka tehreer ko gazal kahna munaseeb nahi laga ho aur aapse unhone bahas chedi ho...... KyuN ke humne bahut sare bade shayaroN ko dekha hai ke be-baher tehreer ko gazal kahne se beIntehaaN katraate hai....... YahaaN tak humare ustad bhi humari kisi kalaam ko kabhi Gazal nahi kahe..... sad5 Isliye hum itna jaante hai ke bina bher meiN kahi huyi tehreer tehreer hi hai Gazal nahi......  per hum bhi use Gazal hi kahte hai..... KyuN ke hume jab ilm hi nahi hai ke yeh tehreer bher meiN hai yaa nahi to usko Gazal kaise na kaheN jab woh puri tarha gazal ke kawayat meiN dhali huyi khushnumaa tehreer ho.......... :S  Isliye aap aisa na socheN ke humne aapse aisa kuch kaha hai....... Hum khud shayari sikhane ke liye doude doude ghumte hai.......  agar aapko aisa laga ho to dil se mazharrat khawa hai hum.....

  Par Adeeb Sahab ki is baat se koi member khafa ho jata hai aur chala jata hai achchi baat nahi hai..... Woh zimmedaar bhi hai, humne yeh bhi kaha kyuN ke unhe aise aapse open thread per nahi kahna chahiye tha.........
  Aur hum isliye unke side ki baat kiye KyuN ke baki member's ne unhe khasi tana khinchi kii hai..... Aur aisa humare saath ho raha hai aisa hum mehsus kiye isliye ..... Hum sach meiN kahte hai hume shayari ka jyadaa ilm nahi hai....... aur bher ka katai nahi hai...... sad5

Humne apna reply dene se pahele socha nahi tha ke kisi ko humari baat taklif de jayeNgi... Hum aap sab se mazarhat chahte hai....

Aur sabhi member's se Guzarish hai ke baraaye mehrbaani woh kisi se kuch aisa na kaheN ke unka dil dukh jaye........ Baat husn O Saluk se ho aur aisi baateN parde meiN ho to behtar hai...... Hum yahaaN naye hai per yahaaN ke aala shayaroN ko behad achche se jante hai...... Usual Smile Yeh baat aur hai ke hume koi nahi janta ...

Bus aur kya kaheN aap log galat na samjhe hume..... Hum aap sab se mazarat chahte hai janab ke agar kisi ko humari baat se thes pahunchi ho to dil se mazarrat khuwaa hai hum.......

Mujhe aapki in bahsoN se kyaa lena hai
MaiN shagaf e shayar to misaal dekhta huN

Khush rahiye.......
Khuda Hafez......... Usual Smile
Logged
neelgold
Guest
«Reply #13 on: September 02, 2010, 01:45:45 AM »
Reply with quote
Hi everyone................

Thanks for evry1 ........... OMG im so blessed ......... seriously my eyes r wet ryt noe ............. u r doing dis all 4 me ........ OMG ........ i cnt beleive dis .......... Thnaks to each & evry single person here who is doing dis for me ......... Rahim .......yeh bhut kuch kaar diya mere liye............ Kapil MY God u r still doing dis for me ......... from that day ....... Kask ji ........i dont knoe u as u told me .......... bt apki mail pad ke muze aisa laga hi nahi ki main aapko janti nahi hoon ...... koi ajnzbi aisa nahi kar sakta ......

Saab ko bhut sara thnaks ...........

Sepcial thanks to nazar shaib Aur adeeb......... coz agar voh aisa nahi karte main yaha se jati nahi ....... aur main yaha se jati nahi to muze yeh kaisa pata chalta mere dost muze itna miss kar rehe hai ........ Thnks to all those ppl who comntd on tht post gud or bad i dnt knoe ........ bt main yeh clarify karna chongi .... ho sakta hai maine galt feel kar liya ho unka vaisa matlab na ho bt my point vs ki muze saach main likhna nahi aata .... im nt profesnal writer & even dnt knoe hoe 2 write main to app saab ki rachna padti thi sarahthi thi aur agar kuch muz se kuch ban jata to post kar deti tht's it ......  bt muze laga agr muze likhna hi nahi aata aur yaha itne ache writer hai ..... aur unne acha nahi lagta ki koi kahrb likhe to who am i to hurt thr feelings ?  i alwyz belive tht muze aisa kuch nahi karna jo kissi ko bi hurt karain ya bura lage ..... bus aur kuch nahi

na main kissi se gussa hoon na naraz ....... i hv no hard feelings for anyone ...... coz unnone shyd mere ache ke liye likha hoga main shyd galt soch liya hoga ....... bt past is past leave it .......

I am so very happy aap saab ka pyar dekh ke ...... u gave me so much tht i dnt hv words 2 xprss tht .......

Thanks guys........... from bottom of my heart .....

I will reply you bak wid your PM ...... i vs going bzy so couldnt bt vll be bak may b tomore....... Thanks kask....... u touchd my heart dear ........

I want to say Sorry to evry single person if i hurted any one by any means ....... I am sorry .........
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: September 02, 2010, 03:54:01 AM »
Reply with quote
Maine yeh thread, meri ek bahaut khaas dost kay liye likhi thi aur ek koshish thi kay woh laut aaein aur yeh bhi kay koi professionally writing ko bhool, jazbaton ko bhi parra kare..Khair main chahunga kay agey se iss thread par koi arguments na ho..

Parwaaz jee, ap dil pe na lein..Logon ka kaam kehna hai aur kehte rahenge, ap itna dekhiye kay kayi log yahan hai jo apki kavitaon ko pasand karte hai..bas itna hi kehna chahunga..

Yeh thought pe dhyan dijiyega..:

Ager koi sabki sirf tariff karta,
Toh hum usse insaan nahin kehte..

Neel jee, thanks for coming back.!  icon_thumleft icon_thumleft

Kapil Dost, haan koshish kamyab hui.! Usual Smile Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 06:50:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.176 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer