Ghar se chale the hum
Ghar se chale the hum, leke apna basta
Sapno’n ki kashti me tairta apna rasta
Ghar se apno’n ko kah ke good byee
Maa ke aanchal se nikal ke hum haaye
Ghar se chale the hum,leke apna basta
Ummido’n ko sakaar karne ki zid thi
Class me number one aane ki zid thi
Mauj manaate,shor machaate pahunch gaye hum
Apne haatho’n se kismet likhne nikal pade hum
Apne bencho me kar rahe the hum mann-maani
Agle hi pal hoga aisa,teacher ne bhi thi na jaani
arre dost, ye kaisi awaaje’n,kaisa shor hone laga
abhi awaaj suni hi thi ki wo class me ghus aaya
kar ke sar niche , hum bacche kitne dare sahme
humse kisi ka kaisa bair,koi toh bacha lete hume
chalo chhup jaaye’n bencho’n ke niche
shayad ye uncle hume naa pakad sake
iinke toh chehre hi bade khaufnaak lagte hain
haatho’n me kitni lambi raaiphale’n rakhte hain
mere saare dost ke sar pe goliya’n chalne lagi
hum baccho’n ki hasti school me hi mitne lagi
love u maa , main ab ghar laut nahi sakta
tere aanchal me sar rakh kar so nahi sakta
ye log mujhe bhi maar daalenge
jaane kis julm ki saja de jayenge
unhone dekh liya mujhe… ab…
maa mujhe goli lag gayi,bada dard hota hai
saanse ruk rahi hain,andhera sa chhaata hai
……
Kitno’n ke ummido’n ke laashe bichhte gaye
khilte phool khilne se pahle hi jhadte gaye
……
Ghar se chale the hum, leke apna basta
Sapno’n ki kashti me tairta apna rasta