Iss Shahar mein......................!!!

by Friend_4uall on July 25, 2005, 11:23:33 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3683 times)
Friend_4uall
Guest
Reply with quote
Har shaks pareshaan hai iss shahar mein......... phir bhi raahat e hayaat hai iss shahar mein..........

Mohabbat ke naam par bikte hain dil..... aashiq bane dhanwaan is shahar mein....

Bhook hai pyaas hai iss shahar mein........paymaanon mein bant ti hai muft sharaab iss shahar mein..........

Geet hai saaz hai iss shahar mein...........shaayari ke naam par bikte hain alfaaz iss shahar mein.......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SHOR HAI SHAHAR MEIN................................ by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
Yahaan sey tumhaarey shahar jaaungee mein! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri Shahar Shahar me Shohrat hai, Meri Gaanv Gaanv Rusvaayi Hai....... by vipul kumar in Ghazals « 1 2  All »
jo ho raha iss shahar mein kaee roz se badnaam hai, by Anaarhi in Ghazals
Friend_4uall
Guest
«Reply #1 on: July 25, 2005, 11:28:55 AM »
Reply with quote
Acchaai ke naam par hote hain gunaah.......Naam hota hai hokar Badnaam iss shahar mein....!!

IShq hai Khumaar hai iss shahar mein.......bewafaaai bana bada kaarobaar iss shahar mein........!!!

Dhoop hai chaanv hai iss shahar mein......... kuch logon ke sar par chath kaa naamo nishaan nahi hai iss shahar mein.......!!!!!

Bharosaa hai aetbaar hai iss shahar mein......chehron ke peeche naqaab hai iss shahar mein...!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: July 25, 2005, 11:36:42 AM »
Reply with quote
Zindagi ko ek naye maayne diye issi shahar ne
Aur lut te dekha hai humne khwab iss shahar main

Dil ka dard alfaaz main dhal gaya chupchaap
Aur udte dekha mazaaq un alfaz ka iss shahar main

Ek saayadaar ped nazar aata tha kabhi jo humko
Jaate dekha wo saaya aur chale nange paanv iss shahar main..!!!
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #3 on: July 25, 2005, 11:44:05 AM »
Reply with quote
Tanhaai hai.......ghubaar hai iss shahar mein.............mehfilon ki........melon ki bharmaar hai iss shahar mein........!!

Rasm hai riwaaj hai iss shahar mein.........kuch bhayaanak andkhaar hai iss shahar mein...!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: July 25, 2005, 11:50:22 AM »
Reply with quote
Dard hain aur aansoo hain issi shahar main
Na bhoolne waali yaadain hain iss shahar main

Roshni jiski zindagi ko nayi disha dikhaati thi
Wohi roshni ne diyaa hai andhera iss shahar main
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #5 on: July 25, 2005, 12:22:58 PM »
Reply with quote
Mujhko bhulaa naa denaa iss shahar mein..................chalaa gayaa to phir naa waapas aaoonga iss shahar mein................!!!!

Dhoondte rahoge iss shahar mein...mujhko na phir paaoge iss shahar mein.........!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: July 25, 2005, 12:26:46 PM »
Reply with quote
Jo saanso main samaya ho usko kaise bhula den
Ki zindagi ka khwaab sajaya hai iss shahar main

Jo dil main hai dhadkan main hai rooh main hai basa
Use aur kahan hum dhoonden iss shahar main !!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #7 on: July 25, 2005, 04:53:42 PM »
Reply with quote
bohat khoob friend and Talat,really very nice .

"Na use dhoondne ki zaroorat padegi kabhi mujhe,
  wo jo meri saanso,meri rooh me basaa hai,
  har pal jise chaha hai,saath jiske jeeti hoon,
  wo zindagi,jo sirf khwabon me hi zinda hai."
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: July 25, 2005, 05:05:56 PM »
Reply with quote
Thanks Nidhi.... aur bohot achcha likha hai..... !!!!!!

Begaana bana tha apna ek din iss shahar main
Aur banne chala hai begaana issi shahar main

Wo kya jaane rooh ka rishta ban ke nahin toot ta
Rishton se aashna hue hum issi shahar main.... !!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #9 on: July 25, 2005, 05:24:18 PM »
Reply with quote
wah Talat,last two lines r soo deep sad5  and thanx .

"Na usne jaana hai kabhi,na wo jaan payega kabhi,
  sheher chod de ye nidhi,kehte hain dost sabhi,
  aaj bhi jab jaana hota hai un galiyon me mera,
  jahaan meri shaam thhi,jahan thha mera savera,
  wahi kasak mehsoos karti hoon aaj bhi dil mein,
  jise sametne me mujhe lage kai saal hain,
  ek tere deedar ko main kya kya kar jaati thhi,
  khud ko bhool,kyun tujhme hi kho jaati thhi,
  chod jaungi main jaldi hi tere is sheher ko,
  jee lungi,peekar dooriyon ke is zeher ko."
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #10 on: July 25, 2005, 05:27:16 PM »
Reply with quote
VEry nice Nidhi and Talat jeeee.........................!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: July 25, 2005, 05:31:40 PM »
Reply with quote
Shukriya Nidhi.... aur phir se bohot achcha likha hai tumne..... !!!!

Shukriya Friend... !!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #12 on: July 25, 2005, 05:34:13 PM »
Reply with quote
thanx friend and Talat Usual Smile .............!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: July 25, 2005, 05:34:48 PM »
Reply with quote
very  nice  Friend.........Talat........Nidhi...........nice  work...................
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: July 25, 2005, 05:39:34 PM »
Reply with quote
Thanks Waheed .... !!!!!

Chaandni raat ko andhere main dhalte dekha
Chamakte jugnuon ko phir humne bujhte dekha

Muskurahaton ko bheegte dekha hai aansuon se
Kya batayen kya kya dekha hai iss shahar main !!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 01:09:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer