~Muskurahat sajata hoon~ by Rahim

by dead heart on November 15, 2010, 09:56:28 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1862 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Bada gussa ata hai dil par jab woh kuch mehsoos karta hai mager lavz nahin deta kay main uss ehsaas ko uttar sakoun kagaaz par..
Aj dil udaas hai kyun kay fizaein kisi ki yaad, kisi ki mahek urra kar mujh tak le ayi hai..mager iss dil ne sahi maynon main yeh baat lavzon main nahin uttari..
Main khud iss nazm se itna khush nahin hoon kyun kay jo chahta tha woh shayad sahi tarikke se pura dikha nahin paya..
Bas yeh kehna chahta hoon jo nahin likh paya, woh ankhon se behgaya..

Main muskurahat sajata hoon tanhai chupane kay liye,
Ajnabion ko dil main basata hoon tujhe mitane kay liye..

Barsaat ki bundein mere ashkon ka wajood yaad dilati hai,
Bheegta hoon barsaat main apne ashkon ko dabane kay liye..

Ae zindagi na de kisi ko bhi haath chorrne wala sanaam,
Main khafa hoon tujse aj bhi ek bewaffa dilane kay liye..

Woh bewaffa hi sahi mager uske diye dard ne ek ehsaan kiya hai,
‘Khamosh’ kehta hai shukriya Zalim mujhe ek shayar banane kay liye..

Main muskurahat sajata hoon..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Bada badnaseeb hoon** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~Tarasta rehta hoon~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~Kabhi kabhi muskurahat sajana parrta hai~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Har muskurahat sachi nahin hoti ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~*~ Woh meri muskurahat legaya ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #1 on: November 16, 2010, 09:01:02 AM »
Reply with quote
bahut khoob rahim ji....
luved d 2nd one...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: November 16, 2010, 10:21:38 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Bhai Rahim Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #3 on: November 16, 2010, 10:28:28 AM »
Reply with quote

  Nice one Rahim ji. Thumbs UP
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #4 on: November 16, 2010, 11:03:50 AM »
Reply with quote
bahut sundar..Rahim BHai.....kya khoob kaha hai..ek haqiqat yad aati hai mujhe  ise padhkar; share karta hun...apki is line par..

Quote
Ae zindagi na de kisi ko bhi haath chorrne wala sanaam,
Main khafa hoon tujse aj bhi ek bewaffa dilane kay liye..

wo kehete he na ki bar bar kisi ko rulane se achha he ek bar rula do taki dusri bar rone ki sari wajah khatm ho jaaye~ mere samne bhi kisi ne eisa hi socha tha apni haan ko naa kehkar; woh ladki shayad bahut royii hogii..mujhe anhi pata is ladke ne jo kiya wo sahi tha ya galat...aaj sochta hun wo shayad sahi tha...bahut talasha usne us ladki ko par nahi mili or jab mil sakti thi to uski shaadi hone wali thi...

maine bhi use bas yahi kehkar samjhaya ki sachcha pyar sirf kisi ko paa lene se nahi balki wo jaha rahe khush rahe is dua se he...


mujhe maaf karna e khuda mai dar gaya tha judai ka bas sapna dekhkar,
janta hun use bahut rulaya hai maine apni haan ko naa kehkar...



Logged
poppoetry
Guest
«Reply #5 on: November 16, 2010, 06:12:53 PM »
Reply with quote
bahut accha likha hai Rahim....aankhiri do lines toh maine baar-baar padhi......
mohabbat ne khuch toh accha diya...dard ko kaagaz par byaan karne ka hunar toh diya....sach likha hai...... Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #6 on: November 16, 2010, 06:20:02 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Bada gussa ata hai dil par jab woh kuch mehsoos karta hai mager lavz nahin deta kay main uss ehsaas ko uttar sakoun kagaaz par..
Aj dil udaas hai kyun kay fizaein kisi ki yaad, kisi ki mahek urra kar mujh tak le ayi hai..mager iss dil ne sahi maynon main yeh baat lavzon main nahin uttari..
Main khud iss nazm se itna khush nahin hoon kyun kay jo chahta tha woh shayad sahi tarikke se pura dikha nahin paya..
Bas yeh kehna chahta hoon jo nahin likh paya, woh ankhon se behgaya..

Main muskurahat sajata hoon tanhai chupane kay liye,
Ajnabion ko dil main basata hoon tujhe mitane kay liye..

Barsaat ki bundein mere ashkon ka wajood yaad dilati hai,
Bheegta hoon barsaat main apne ashkon ko dabane kay liye..

Ae zindagi na de kisi ko bhi haath chorrne wala sanaam,
Main khafa hoon tujse aj bhi ek bewaffa dilane kay liye..

Woh bewaffa hi sahi mager uske diye dard ne ek ehsaan kiya hai,
‘Khamosh’ kehta hai shukriya Zalim mujhe ek shayar banane kay liye..

Main muskurahat sajata hoon..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: November 16, 2010, 07:41:09 PM »
Reply with quote
Manzil-e-Ishq jee, Khwaish dost, Tamanna jee, Anaam di..
Ap sabhi ka teh dil se shukriya..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: November 16, 2010, 07:56:33 PM »
Reply with quote
bahut accha likha hai Rahim....aankhiri do lines toh maine baar-baar padhi......
mohabbat ne khuch toh accha diya...dard ko kaagaz par byaan karne ka hunar toh diya....sach likha hai...... Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
Shukriya Nikhaar di..
Teh dil se..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: November 16, 2010, 07:59:39 PM »
Reply with quote
bahut sundar..Rahim BHai.....kya khoob kaha hai..ek haqiqat yad aati hai mujhe  ise padhkar; share karta hun...apki is line par..

wo kehete he na ki bar bar kisi ko rulane se achha he ek bar rula do taki dusri bar rone ki sari wajah khatm ho jaaye~ mere samne bhi kisi ne eisa hi socha tha apni haan ko naa kehkar; woh ladki shayad bahut royii hogii..mujhe anhi pata is ladke ne jo kiya wo sahi tha ya galat...aaj sochta hun wo shayad sahi tha...bahut talasha usne us ladki ko par nahi mili or jab mil sakti thi to uski shaadi hone wali thi...

maine bhi use bas yahi kehkar samjhaya ki sachcha pyar sirf kisi ko paa lene se nahi balki wo jaha rahe khush rahe is dua se he...


mujhe maaf karna e khuda mai dar gaya tha judai ka bas sapna dekhkar,
janta hun use bahut rulaya hai maine apni haan ko naa kehkar...

Abhi jee,
Shukriya bhai..
Apne adhura adhura sunaya hai..
Mager bahaut maza aya iss main bhi..
Apki do lines bahaut pasand ayi...
Applause Applause

Do lines yaad agayi:

Yeh har roz ka dard mujhe bada tadpata hai Zalim,
Koi aisa dard do kay meri aas toot jaye..

Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #10 on: November 18, 2010, 09:54:27 AM »
Reply with quote
Abhi jee,
Shukriya bhai..
Apne adhura adhura sunaya hai..
Mager bahaut maza aya iss main bhi..
Apki do lines bahaut pasand ayi...
Applause Applause

Do lines yaad agayi:

Yeh har roz ka dard mujhe bada tadpata hai Zalim,
Koi aisa dard do kay meri aas toot jaye..



kuchh cheeze adhoore hi poori lagti hain..dost..

kya khoob kaha he apne..do lines me..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: November 18, 2010, 06:22:41 PM »
Reply with quote
kuchh cheeze adhoore hi poori lagti hain..dost..

kya khoob kaha he apne..do lines me..
Sahi baat hai..Koi aksar kehta tha kay kuch baat ankahi rehne do..
bas aj humari kahani hi ankahi rehgayi..
bahaut shukriya bhai!
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #12 on: November 19, 2010, 04:17:13 AM »
Reply with quote
bahut khoob Rahim ji...
tareef ke liye shabd nhi mere pass..bas Kya Baat kya baat..Usual Smile
*****
kya hua gar wo bewaffa nikla,
toota hai sirf mohabbat ka silsila !!
******
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: November 19, 2010, 07:23:44 PM »
Reply with quote
bahut khoob Rahim ji...
tareef ke liye shabd nhi mere pass..bas Kya Baat kya baat..Usual Smile
*****
kya hua gar wo bewaffa nikla,
toota hai sirf mohabbat ka silsila !!
******
Teh dil se shukriya jee..!
Apki do lines bahaut zadaaaa pasand ayi mujhe..!
Applause Applause
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #14 on: November 20, 2010, 10:58:07 AM »
Reply with quote
shukriya rahim ji...
aapki tarz pr kuch lines maine b likh diya tha:)
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 10:18:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.231 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer