Nahin Jaante Hain (Adab)

by drpandey on December 15, 2010, 09:19:24 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1115 times)
drpandey
Guest
Reply with quote
Vo baade-saba hai sabhi Jaante hain.
Magar bewafa hai nahin Jaante hain.

Tarannum pe jiske sabhi jhoom uthte,
Vo kiski zubaan hai nahin Jaante hain.

Mere rooh se toodti hai jo rishta,
Ye kaisi dava hai nahin Jaante hain.

Koi dard ka taar toota hai phirse,
Jo aai sadaa hai nahin Jaante hain.

'Adab' ke zehan mein koi baat aai,
Vo kya likh gaye bas vahi Jaante hain.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 15, 2010, 10:00:07 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Pandey Ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 16, 2010, 07:14:23 AM »
Reply with quote
Vo baade-saba hai sabhi Jaante hain.
Magar bewafa hai nahin Jaante hain.

Tarannum pe jiske sabhi jhoom uthte,
Vo kiski zubaan hai nahin Jaante hain.

Mere rooh se toodti hai jo rishta,
Ye kaisi dava hai nahin Jaante hain.

Koi dard ka taar toota hai phirse,
Jo aai sadaa hai nahin Jaante hain.

'Adab' ke zehan mein koi baat aai,
Vo kya likhgaye bas vahi Jaante hain.


Bahut bahut Khoooob Dr.Pandeyji..

Humesha Ki Tarah Lajawaab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut Din Baad Aapke Darshan Hue Hai.. Usual Smile
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: December 16, 2010, 07:23:24 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Sir Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: December 16, 2010, 06:18:34 PM »
Reply with quote
Janaab Dr. Pandey Sahab Adaab. Bahot dino ke baad aapki taza takhleeq par dafatan nazar padi to dekhta hi rah gaya. Itni khoobsurat ghazal padhkar dil lutfandoz ho gaya. Har sher ek nayapan liye hue hai jo aapki adabi liyaqat ka pataa dete  hain. Is khoobsurat ghazal ke liye aap daad o tehseen ke mustahiq hain. Meri taraf hazaron daad aur mubarakbaad qubool farmayen. Mundarja ashaar mujhe sabse achhey lage.

Vo baade-saba hai sabhi Jaante hain.
Magar bewafa hai nahin Jaante hain.

Mere rooh se toodti hai jo rishta,
Ye kaisi dava hai nahin Jaante hain.

Shukriya

Riyaz Ashna
Logged
drpandey
Guest
«Reply #5 on: December 16, 2010, 07:12:21 PM »
Reply with quote
Janaab Dr. Pandey Sahab Adaab. Bahot dino ke baad aapki taza takhleeq par dafatan nazar padi to dekhta hi rah gaya. Itni khoobsurat ghazal padhkar dil lutfandoz ho gaya. Har sher ek nayapan liye hue hai jo aapki adabi liyaqat ka pataa dete  hain. Is khoobsurat ghazal ke liye aap daad o tehseen ke mustahiq hain. Meri taraf hazaron daad aur mubarakbaad qubool farmayen. Mundarja ashaar mujhe sabse achhey lage.

Vo baade-saba hai sabhi Jaante hain.
Magar bewafa hai nahin Jaante hain.

Mere rooh se toodti hai jo rishta,
Ye kaisi dava hai nahin Jaante hain.

Shukriya

Riyaz Ashna

Janaab Riyaz Sahab Bahot-bahot shukriya aur inayat ki aap jaise maqbool-ustad shayar ne meri haqeer si ghazal ko pasand farmaya aur apne behad khubsurat andaz se nawaza.. Aapka aze-had shukrgujaar hoon.
HP Pandey
Logged
shiba
Guest
«Reply #6 on: December 16, 2010, 07:12:36 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
drpandey
Guest
«Reply #7 on: December 20, 2010, 07:28:22 AM »
Reply with quote
Thanks Rajesh bhai..

Bahut khoob Pandey Ji
Logged
drpandey
Guest
«Reply #8 on: December 20, 2010, 07:29:56 AM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Khwaish Ji...


Bahut bahut Khoooob Dr.Pandeyji..

Humesha Ki Tarah Lajawaab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut Din Baad Aapke Darshan Hue Hai.. Usual Smile

Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: December 20, 2010, 07:32:00 AM »
Reply with quote
Hausla afzai ka shukriya Shiba Ji...


Applause Applause
Logged
drpandey
Guest
«Reply #10 on: December 20, 2010, 07:34:04 AM »
Reply with quote
Thanks Rishi ji...Khush Rahiye..


Bahut Khub Sir Applause Applause
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #11 on: December 20, 2010, 02:41:32 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Dr saheb ! ye doosaree gazal bhee intehai taareef kee haqdaar hai...dil se dheroN daad qubool kareN.......
Logged
drpandey
Guest
«Reply #12 on: December 21, 2010, 08:24:59 AM »
Reply with quote
Bahot bahot shukriya Mamta Ji ki aapko meri ye ghazal pasand aai aur aapne apne behad khubsurat alfaazon se hausla afzai ki..


Bahut khoob Dr saheb ! ye doosaree gazal bhee intehai taareef kee haqdaar hai...dil se dheroN daad qubool kareN.......
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 06:12:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer