Ye kaisa wakt hai
kuchh samajh nhi aata...?
jahaN main akele andhere raaste pe khadi hu
aur koi suraj si shakl wala ensaan
meri taraf haath badhaye hain,....
par mujhme uska hath thaamne
ki himmat bhi nahi hai
kyuki mere chaahat me abhi jid nahi hai...........
Main nadi hu
meethe jal ki nadi...
ek samandar hain
jo mere taraf hath badhaye hain...
jaanti hu main uske gahare pyaas ko bujha naa paungi
haa bas uski pyaas ko aur gaharaa kar jaungi.......................
Jab use pahale dafe pyaasa dekhaa to
daud gayi thi uski taraf...
mujhe pyaas nahi thi
par uski tadap bhi bardast nahi thi....
bada bechain tha wo
aur main bhi badi naadaan thi....................
Us samandar ke karib gayi
anjali bhar jal uthaaya
bas usme khone hi waali thi
ki ye mahsus hua
mere EHSAAS me wo siddat nahi h
esliye main uske pyaas ke kaabil nahi hu...........
Anjali bhar jal maine
samandar ke bahte jal me mila diya
aur entjaar karne lagii ki
uska hriday punah shant ho jaaye...........
Parantu wo aaj bhi shant naahi ho paaya h
baar- baar eski lahre
mere ghar ke darwaaje tak aati h
mujhe nimantran deti hain
aur akele, udaas hokar laut jaati hai...............
Samudar ki jis lahar pe ensaan
sudh bhul jaata hain...
wo mujhe aakarshit nahi kar paati h..
main besak vairagi nahi hu..
fir kya mujhe kisi ki talaash hai...?
gar haa to kiski...?
apne aap ko hi main samajh nahi paati hu .............
ALKA GUPTA KAVYANSHI
superb with rau,ma'am