Har ek Lehar Ke Naseeb Mein Zaroor Ek Kinaara Hoga "Khwaish"

by khwaish on August 20, 2010, 12:18:19 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 6741 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Kuch Roz-aana Zindagi se Juudi Hui Baatein,Kuch waqt Aur Halaat Ki baatein,Bas...Kuch Gehre Jaazbaaton Ko lafzon Mein Utaarne Ki koshish kar raha Hoon...

Jiski Aankh mein Ashk Ka Taara Hoga
Zindagi Ki Baazi Woh jaanbujhkar Haara Hoga

Yeh Mat Socho ke yahan par Har Ek Ko Fursat Hai Rone Ki
Jab Ki yahan har Koi Waqt Aur Halaat ka Maara Hoga...

Raahein Mushkil Thi, yeh Soch Kar Jo Naa Chal Sake!!
Woh Kamzor The!!Har Ek Lehar Ke naseeb Mein zaroor Ek kinaara Hoga

"Khwaish" Nek Karam kar Par,
Badle Mein kuch haasil Karne Ki ummed Naa Rakh
Zaroori Nahi Ke Bure Waqt par Tera Bhi Koi Sahaara Hoga

"Khwaish" Teri pehchaan Sirf Tere Kuch lafz Hi To Hai
Inhe Padhkar Tujhe Bhi kabhi kisi Ne Dil Se Pukaara Hoga

Kuch Dhoondle Se Kaagaz Par Kuch Laakeerein Utri Thi
Unhe Jodkar Kabhi Dekhna, Yakeenan Woh Naam Tumhaara Hoga..

Kitna Bhi Apne dard Ko Chupane Ki Koshish karlo
Par Woh Chehre Par nazar Aa Hi jaata Hai
Jo Auron Ke khaatir Tootkar Bhi jiye
Woh Yakeenan Ek Toota Hua Sitaara Hoga..

"Khwaish" Himmat Rakhta hai Har Mushkil Se Chal Guzarne Ki
Kisi Ne to Apni kismat ko Apni Mehnat Aur Lagan Se Sawaara Hoga

                  ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: August 20, 2010, 12:45:20 PM »
Reply with quote
khwaish ji......... Applause Applause Applause Applause Applause

dilon me nazdeekiyan aksar hi ho jati hai
lekin ye zaruri to nahin wo bhi humse pyaar karta hoga...

aksar haalaat aise ho jate hain zindagi me
jahan do-raahe pe insaan khud ko khada paata hoga...

jahannum se badtar ho jati hai usski zindagi
jisne apne aankhon se apne mehboob ko tadapta dekha hoga...

kaise sambhale wo shakhs khudko bikharne se jab
sab kuch uska usi ne barbaad apne hathon se kiya hoga...!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: August 20, 2010, 12:55:06 PM »
Reply with quote
wah Khwaish ji wah... bahut khoob likha hai aaapne...!!!

aur Kasak ji aapka jawaab to hamesha hi lajawab hota hai... bahut khoob...!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: August 20, 2010, 01:30:18 PM »
Reply with quote
khwaish ji......... Applause Applause Applause Applause Applause

dilon me nazdeekiyan aksar hi ho jati hai
lekin ye zaruri to nahin wo bhi humse pyaar karta hoga...

aksar haalaat aise ho jate hain zindagi me
jahan do-raahe pe insaan khud ko khada paata hoga...

jahannum se badtar ho jati hai usski zindagi
jisne apne hathon se apne mehboob ko tadapta dekha hoga...

kaise sambhale wo shakhs khudko bikharne se jab
sab kuch uska usi ne barbaad apne hathon se kiya hoga...!!!

Anamika Ji teh Dil Se Shukriya Aapka...

Aur Aapne Bahut Bahut Khoob likhha Hai...
Aapne Jo jazbaat Pesh Kiye Hai Woh Bahut Alag hai,Maine jo topic par likhta hai usse bahut alag,Kuch khaas Wajeh hai Aapke Uss Poetry Ke peeche..Jo bhi hai, Dil ko Chuu Jaati Hai Aapki poetry..Lajawaab Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
cara
Guest
«Reply #4 on: August 20, 2010, 02:40:06 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI      KHWAISH JI......

HAR EK LEHAR KE NASEEB MEIN ZAROOR EK KINARA HOGA
MANZIL USNE PAYA HOGA JO KABI HIMMAT NA HARA HOGA

KITNA BHI KYUN NA KOI WAQAT KA MARA HOGA AGAR LAKSH USKI MANZIL HAI
TOH THOKREN KHA-KHA KAR BHI APNE MANZIL TAK ZAROOR PAHUNCHA HOGA

ZINDAGI BAHUT KATIN HAI YEH SOCH KAR TO KISIKA KUCH BHI NAHIN HOGA
ARE NIKAL TO PADH KUCH TERE KARM-KUCH KISIKI DUA-KUCH MALLIK KA SAHARA HOGA

HAR EK LEHAR KE NASEEB MEIN ZAROOR EK KINARA HOGA.....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: August 20, 2010, 03:43:35 PM »
Reply with quote
Anamika Ji teh Dil Se Shukriya Aapka...

Aur Aapne Bahut Bahut Khoob likhha Hai...
Aapne Jo jazbaat Pesh Kiye Hai Woh Bahut Alag hai,Maine jo topic par likhta hai usse bahut alag,Kuch khaas Wajeh hai Aapke Uss Poetry Ke peeche..Jo bhi hai, Dil ko Chuu Jaati Hai Aapki poetry..Lajawaab Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

sorry khwaish ji....main kuch likhte likhte kuch aur likh gai...
sorry subject chnge karne k liye....
really sorry
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 20, 2010, 03:50:10 PM »
Reply with quote
sorry khwaish ji....main kuch likhte likhte kuch aur likh gai...
sorry subject chnge karne k liye....
really sorry

Anamika Ji, Sorry Kehkar Aap Mujhe Sharminda kar rahe Hai

Aapne Bahutttttttttttt Acha Lkikha Hai..Aur Topic Change Bhi Hua To Kya, Ek Achi Poetry To Hume Padhne Mili Naa..Thankyou Sooooooooo Much icon_flower
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: August 20, 2010, 09:49:30 PM »
Reply with quote
Khwaish Dost, bahaut khoob likha hai apne..
Shayad sach kaha kay kabhi na kabhi dard samne aa jata hai chehre par..
Mager jinhe aadat ho muskurahat se ashk chupane ki, unke hasne par sirf khushian dikhti hai sabko..!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Chehre par ek muskurahat sajaye liye phirta hoon Rahim,
Acha kalakar hoon main; log mujhe khush samajte hai..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: August 20, 2010, 09:51:54 PM »
Reply with quote
khwaish ji......... Applause Applause Applause Applause Applause

dilon me nazdeekiyan aksar hi ho jati hai
lekin ye zaruri to nahin wo bhi humse pyaar karta hoga...

aksar haalaat aise ho jate hain zindagi me
jahan do-raahe pe insaan khud ko khada paata hoga...

jahannum se badtar ho jati hai usski zindagi
jisne apne aankhon se apne mehboob ko tadapta dekha hoga...

kaise sambhale wo shakhs khudko bikharne se jab
sab kuch uska usi ne barbaad apne hathon se kiya hoga...!!!

Bahaut bahaut khoob likha hai apne Anamika di.! Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: August 20, 2010, 10:00:35 PM »
Reply with quote
Ek koshish meri taraf se..

Dil main kisi kay maine bhi kabhi jagah banayi hogi,
Naseeb ne kisi ki saanson se mera naam bhi nikalwaya hoga..

Aisa toh nahin hai kay sirf tune hi dard paya hai 'Khamosh',
Zindagi ne kisi aur ko bhi khoon kay ansoo rulaya hoga..

Kyun gila karta hai tu Khuda se choti choti pareshanion par,
Allah ne tujhe bhi zindagi main kabhi khoob hasaya hoga..

Woh dhoor hogayi tujse toh kya tu zindagi ko jeena chorr dega 'Khamosh',
Yakeen rakh Allah ne tere liye zaroor koi na koi banaya hoga..

~Rahim~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: August 21, 2010, 03:42:34 AM »
Reply with quote
Ek koshish meri taraf se..

Dil main kisi kay maine bhi kabhi jagah banayi hogi,
Naseeb ne kisi ki saanson se mera naam bhi nikalwaya hoga..

Aisa toh nahin hai kay sirf tune hi dard paya hai 'Khamosh',
Zindagi ne kisi aur ko bhi khoon kay ansoo rulaya hoga..

Kyun gila karta hai tu Khuda se choti choti pareshanion par,
Allah ne tujhe bhi zindagi main kabhi khoob hasaya hoga..

Woh dhoor hogayi tujse toh kya tu zindagi ko jeena chorr dega 'Khamosh',
Yakeen rakh Allah ne tere liye zaroor koi na koi banaya hoga..

~Rahim~

shukriya rahim ji...meri kavita pasand aai aapko...

aur aapne jo likha hai wo to bht dil chhune wala hai....kamal hai ji aap ki lekhni
Logged
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
«Reply #11 on: August 21, 2010, 08:50:11 AM »
Reply with quote
Kuch Roz-aana Zindagi se Juudi Hui Baatein,Kuch waqt Aur Halaat Ki baatein,Bas...Kuch Gehre Jaazbaaton Ko lafzon Mein Utaarne Ki koshish kar raha Hoon...




Jiski Aankh mein Ashk Ka Taara Hoga
Zindagi Ki Baazi Woh jaanbujhkar Haara Hoga

Yeh Mat Socho ke yahan par Har Ek Ko Fursat Hai Rone Ki
Jab Ki yahan har Koi Waqt Aur Halaat ka Maara Hoga...

Raahein Mushkil Thi, yeh Soch Kar Jo Naa Chal Sake!!
Woh Kamzor The!!Har Ek Lehar Ke naseeb Mein zaroor Ek kinaara Hoga

"Khwaish" Nek Karam kar Par,
Badle Mein kuch haasil Karne Ki ummed Naa Rakh
Zaroori Nahi Ke Bure Waqt par Tera Bhi Koi Sahaara Hoga

"Khwaish" Teri pehchaan Sirf Tere Kuch lafz Hi To Hai
Inhe Padhkar Tujhe Bhi kabhi kisi Ne Dil Se Pukaara Hoga

Kuch Dhoondle Se Kaagaz Par Kuch Laakeerein Utri Thi
Unhe Jodkar Kabhi Dekhna, Yakeenan Woh Naam Tumhaara Hoga..

Kitna Bhi Apne dard Ko Chupane Ki Koshish karlo
Par Woh Chehre Par nazar Aa Hi jaata Hai
Jo Auron Ke khaatir Tootkar Bhi jiye
Woh Yakeenan Ek Toota Hua Sitaara Hoga..

"Khwaish" Himmat Rakhta hai Har Mushkil Se Chal Guzarne Ki
Kisi Ne to Apni kismat ko Apni Mehnat Aur Lagan Se Sawaara Hoga

                  ~~~~~Khwaish~~~~~




khwaish ji aap ki ye peshkash mere dil me jajbaat ko kured kar taja kar gayi kuch likhne ki gustakhi aap badon ke bich kar raha hu pasand na aaye to maaf kijiye ga


han haari hai har bazi maine bhi jaan kar
kisi ki yaad me duba hua hu pehchan kar

mara hai mujhko waqt aur haalat ne is kadar
sirf rota hu mai tanhai me khud ko anjaan kar

janta tha bada kathin hai ye ishk ka safar
fir bhi nikl gaya "Rahi" apna sina taan kar

milta nahi ab koi sahara kisi ko maangne par bhi
umeed ko bujha chaka hu mai chahe to tu toofaan kar

jis ne pookara tha mujhe dil se bada be-wafa tha wo
baitha tha gair ki bahon me mujhe rota jaan kar

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: August 21, 2010, 09:02:21 AM »
Reply with quote
wah Khwaish ji wah... bahut khoob likha hai aaapne...!!!

aur Kasak ji aapka jawaab to hamesha hi lajawab hota hai... bahut khoob...!!!


Bahut Bahut Shukriya Kapilji..
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #13 on: August 21, 2010, 03:06:14 PM »
Reply with quote


    Bahut achhe khayalaat pesh kiy hai aapne Khwaish ji. hello2 hello2 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: August 21, 2010, 03:10:29 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI      KHWAISH JI......

HAR EK LEHAR KE NASEEB MEIN ZAROOR EK KINARA HOGA
MANZIL USNE PAYA HOGA JO KABI HIMMAT NA HARA HOGA

KITNA BHI KYUN NA KOI WAQAT KA MARA HOGA AGAR LAKSH USKI MANZIL HAI
TOH THOKREN KHA-KHA KAR BHI APNE MANZIL TAK ZAROOR PAHUNCHA HOGA

ZINDAGI BAHUT KATIN HAI YEH SOCH KAR TO KISIKA KUCH BHI NAHIN HOGA
ARE NIKAL TO PADH KUCH TERE KARM-KUCH KISIKI DUA-KUCH MALLIK KA SAHARA HOGA

HAR EK LEHAR KE NASEEB MEIN ZAROOR EK KINARA HOGA.....

Bahut bahut Shukriya Cara Ji..

Aur Aapne Bhi khoob Farmaya.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 07:46:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer