Mhbt ki nishani hai....

by brokenbyluv on December 17, 2010, 02:03:10 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1518 times)
brokenbyluv
Guest
Reply with quote


Mhbt jab do tarfa hoti hai tabhi poori hoti hai,
maine hamesha ek tarfa mhbt ki thi,

chaha tha jise bhi poore dil se maine,
usne mujhe tohfe mein ruswai di thi,

koi sawal na kiya maine kyunki jawab dene wala na tha,
dubti rahi main mujhe bachane wala na tha,

kayi martaba khud ko tut'te dekha hai maine,
khud ko manane k liye khud se ruthte dekha hai maine,

aaina dekhti hu tou kayi chehre nazar aate hai,
kabhi rulate hai dariya ki tarah kabhi inteha tak hasate hai,

main kya batau dosto ki kya merri kahani hai,
bus aaj jo merri zindgi hai vo kisi ki bepanah mhbt ki nishani hai.........

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye sach hai maine bhi mhbt ki thi..... by brokenbyluv in Shairi - E - Zindagi
Mhbt ka naata... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri
Mhbt ka gawah... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khuaf hai ya mhbt zyada hai... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri
Ikrar-e-mhbt...Geet... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq
Matrix Guy
Guest
«Reply #1 on: December 17, 2010, 02:09:39 PM »
Reply with quote
brknlv ji...........kya kahu.....bas rula diya apne ......itna katil likha he ki bas bar bar padte raho.........

ek choti si koshish ki he apke hi rhythm me likhne ki jaha apne khatam kiya tha wahi se...umiid he apko pasand ayega

apni zindagi ki to bas itni si kahani he
ek dard-e-dil he aur ankho se bahta pani he

jane kya rishta he is ehsaas ka meri umarrr se khuda
jise log kahte daur-e-jawani he

kya mila kya khoya ye na pucho ab humse
hume to har haal me mohhabat nibhani he

zid samjo to zid aur junun samjo to bhi he kubul
meri zindagi to bas kisi ki bepanaah mohhabat ki nishani he
Logged
nirala
Guest
«Reply #2 on: December 17, 2010, 02:22:51 PM »
Reply with quote
wah wah ----
broken by luv aapki kahani to sachhi hai aur itni masumiyat se likha aapne Superb -- aur haan mene apna Hat utar ke Badhai di abhi aapko.
duaon ke saath Khus rahiye.
+++Matrix ji aapne bhi kamaal kar dia---bahut sundar likha aisa laga bas kisi ek ne hi likha hai...aapko dil se 5 kilo daad hai mera.
++++soch raha hu iss rachna ko mai bhi thoda aage badhau-!!!!!!   

Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #3 on: December 17, 2010, 02:25:18 PM »
Reply with quote
Mhbt jab do tarfa hoti hai tabhi poori hoti hai,
maine hamesha ek tarfa mhbt ki thi,

chaha tha jise bhi poore dil se maine,
usne mujhe tohfe mein ruswai di thi,

koi sawal na kiya maine kyunki jawab dene wala na raha,
dubti rahi main mujhe bachane wala na raha,

kayi martaba khud ko tut'te dekha hai maine,
khud ko manane k liye khud se ruthte dekha hai maine,

aaina dekhti hu tou kayi chehre nazar aate hai,
kabhi rulate hai dariya ki tarah kabhi inteha tak hasate hai,

main kya batau dosto ki kya merri kahani hai,
bus aaj jo merri zindgi hai vo kisi ki bepanah mhbt ki nishani hai.........



khoobsurati si likhi gayi
padkar achha laga

Applause Applause Applause Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #4 on: December 17, 2010, 02:51:05 PM »
Reply with quote
brknlv ji...........kya kahu.....bas rula diya apne ......itna katil likha he ki bas bar bar padte raho.........

ek choti si koshish ki he apke hi rhythm me likhne ki jaha apne khatam kiya tha wahi se...umiid he apko pasand ayega

apni zindagi ki to bas itni si kahani he
ek dard-e-dil he aur ankho se bahta pani he

jane kya rishta he is ehsaas ka meri umarrr se khuda
jise log kahte daur-e-jawani he

kya mila kya khoya ye na pucho ab humse
hume to har haal me mohhabat nibhani he

zid samjo to zid aur junun samjo to bhi he kubul
meri zindagi to bas kisi ki bepanaah mohhabat ki nishani he

Tahe dil se apka shukriya matrix ji..behad khubsurat lafz likhe hai apne..bahut bahut shukriya ek baar phir se...Usual Smile
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #5 on: December 17, 2010, 02:52:00 PM »
Reply with quote
wah wah ----
broken by luv aapki kahani to sachhi hai aur itni masumiyat se likha aapne Superb -- aur haan mene apna Hat utar ke Badhai di abhi aapko.
duaon ke saath Khus rahiye.
+++Matrix ji aapne bhi kamaal kar dia---bahut sundar likha aisa laga bas kisi ek ne hi likha hai...aapko dil se 5 kilo daad hai mera.
++++soch raha hu iss rachna ko mai bhi thoda aage badhau-!!!!!!   



khoobsurati si likhi gayi
padkar achha laga

Applause Applause Applause Applause

Bahut bahut shukriya nirala ji aur reaper ji...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: December 17, 2010, 04:42:17 PM »
Reply with quote
BBl jee Aadaab!

Kafi khubsurti se aapne dil ke ahsaasat bayaaN kiye hai...
Sabhi khayaal umdaaH hai.....

Hume aapke yeH do ashaar behad khoob lage...
Dil se daad kabool kijiye.....

Likhate rahiye...
Khush O aabad rahiye....
Khuda Hafez... Usual Smile           






kayi martaba khud ko tut'te dekha hai maine,
khud ko manane k liye khud se ruthte dekha hai maine,

aaina dekhti hu tou kayi chehre nazar aate hai,
kabhi rulate hai dariya ki tarah kabhi inteha tak hasate hai



These lines are realy Mindblowing.... Applause Applause Applause Applause Applause           
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: December 17, 2010, 06:02:10 PM »
Reply with quote


Mhbt jab do tarfa hoti hai tabhi poori hoti hai,
maine hamesha ek tarfa mhbt ki thi,

chaha tha jise bhi poore dil se maine,
usne mujhe tohfe mein ruswai di thi,

koi sawal na kiya maine kyunki jawab dene wala na tha,
dubti rahi main mujhe bachane wala na tha,

kayi martaba khud ko tut'te dekha hai maine,
khud ko manane k liye khud se ruthte dekha hai maine,

aaina dekhti hu tou kayi chehre nazar aate hai,
kabhi rulate hai dariya ki tarah kabhi inteha tak hasate hai,

main kya batau dosto ki kya merri kahani hai,
bus aaj jo merri zindgi hai vo kisi ki bepanah mhbt ki nishani hai.........



Bahut khoob Geet Ji
Logged
hameeda
Guest
«Reply #8 on: December 18, 2010, 03:38:11 AM »
Reply with quote
as slamu ale kum

 

Zindgi ki raah mei chale gaye sehte gaye

Gam mila khushiyan mili ham to bas hans te gaye

 

Seaj phoolon ki thi ham hans te rahe khil te rahe

Par chubhan kanton ki bhi hans -hans ke ham sehte gaye

 

Phool murjhayei hei  khali aaj dekho khaar hei

Zindgi bhar ham to kanton par hi bas chalete gaye

 

(bibbo) phir bhi khush hi rehti raaz kya he ye bataa

gale dono ko lagaaya khushiyan gam hans te  gaye

 

apna khayal rakhna

ALLAH HAFIZ

 written by

 hameeda ameer

Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #9 on: December 18, 2010, 07:20:36 AM »
Reply with quote
superb lines geet ji
Logged
yasmeen khan
Guest
«Reply #10 on: December 18, 2010, 07:28:23 AM »
Reply with quote
baht hi umda peshkash h ji keep writting
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: December 18, 2010, 02:21:26 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah!!!!

Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Geetji..Padhte-Padhte Yuh mehsoos Hua Jaise har Lafz Dil Se Nikal Ka Kalam Par Utra Ho..Bahut Ache

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Matrix Ji Aapne Bhi khoob Likha  Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #12 on: December 18, 2010, 02:23:57 PM »
Reply with quote
Bahut hi sunder likha hai aapne ji padhkar accha laga
Logged
mohd.wasil
Guest
«Reply #13 on: December 19, 2010, 07:19:47 AM »
Reply with quote
very good.............................. mera b yahi haal hai..... Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ruku
Guest
«Reply #14 on: December 21, 2010, 11:12:25 AM »
Reply with quote
mast likha hai ji Applause Applause Applause

its really heart-touching  Crying
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 01:33:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.175 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer