.......SAAWAN AAYA.......

by Saba_Saba on June 20, 2005, 01:33:58 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 12383 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #30 on: December 17, 2005, 03:08:10 PM »
Reply with quote
nice...........

Chund Lamhe sung sar-e-Bajm Guzaar ke
Sunaya usne haal-e-dil Gamon se haar ke.

Darz ho gaya hai Rishta Nafraton ka 'harsh'
Lagein bure ab charche bhi Visaal-e-yaar ke.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyar aaya ishq aaya,Aur aaya intzaar by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
Phir Kabhi Aisa Saawan Nahin Aaya by angel4u in Shayri-E-Dard
Barsey saawan by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
saawan by panchi1983 in English
saawan main by komalpreet kaur in Love Poetry in Punjabi
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #31 on: December 18, 2005, 09:44:16 AM »
Reply with quote
Sanam ki baat karte karte
Sanam kade me chale aaye
Yeh kya ~Harash~
Kyu aankho me aansu chale aaye
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #32 on: December 18, 2005, 04:48:38 PM »
Reply with quote
Saba ji..jab dil kabhi bahoot udaas hota hai..toh na jaane kyuin kya-kya dil ugal deta hai....humein khud nahi maloom hum kya likh gaye....kutchh batein aisi hoti hain jo hum keh nahi sakte..par ashars ke jariye bayaan toh ker hi sakte hain.....

Zindagi Waqt ke sailaab main behti chali jaati hai,
Rishta-e-shouk is sailaab main beh na saka.

bahoot kutchh aisa saha is zind ne magar ai 'harsh'
kutchh- kutchh keh diya our kutchh keh na saka.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #33 on: December 19, 2005, 01:17:53 PM »
Reply with quote
Zubaa.n khamosh rahi aankho se keh diya
Teri jhuki nigaho.n ne sab kuchh keh diya
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #34 on: December 19, 2005, 04:59:04 PM »
Reply with quote
Dil ke Rishte bhi kitne ajeeb hote hain,
Door rehker bhi kitne kareeb hote hain
Ve log jo roz aapko milte hain ai dost
woh log kitne khushnaseeb hote hain.

har Aahat hamara Ahsaas dilayegi,
har hawa kissa hamara dohrayegi
hum itni mohabbat bhar denge aapke dil main
ki na chahte hue bhi yaad humari aayegi.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #35 on: December 24, 2005, 08:41:56 AM »
Reply with quote
Harash ji ..... Lafz aksar kho jaate hai ... jab bhi aap ko koi reply karne ka sochti hu....
Bohat hi khuub... Usual Smile

Dil ke rishte chahe ho ajeeb, qareeb hote hai
Milna na milna, yeh to apne naseeb hote hai

Yeh wadiya, yeh fizaye, yeh tera saath Sanam
Yehi lamhe to zindagi bhar apne rafeeq hote hai

rafeeq=dost
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #36 on: December 25, 2005, 03:57:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "Saba_Saba"
Harash ji ..... Lafz aksar kho jaate hai ... jab bhi aap ko koi reply karne ka sochti hu....
Bohat hi khuub... Usual Smile

Dil ke rishte chahe ho ajeeb, qareeb hote hai
Milna na milna, yeh to apne naseeb hote hai

Yeh wadiya, yeh fizaye, yeh tera saath Sanam
Yehi lamhe to zindagi bhar apne rafeeq hote hai

rafeeq=dost


waah saba....der se sahi..kam se kam jawaab toh aya....tumhe dil se yahaan muskraate dekha toh phir se mujhe yaad aaya....ke pada dil pe hai koi gum ka saya....

saba ji hum koi aisi rooh nahi ki log humein yuin hi pehchaane....hum toh bas yuinhi zidagi ko khechein chale ja rahe hain..


Mujh deewane ko na abhi tak mere naam se jaane log,
Naam liya jab maine Unka tab Mujhe pehchaane log.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #37 on: December 26, 2005, 08:40:46 AM »
Reply with quote
Tumhe pata nahi tumhe jaanta hai saara zamana
Yeh baat aur hai ke tum ne khud ko pehcahana nahi
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #38 on: December 26, 2005, 03:51:47 PM »
Reply with quote
Apne hi ghar ke log sab, Dene lage jab bud-dua,
Tees bun chubne lagi,ab narak-shuda ye zindagi.

Doond.te the sab bharosa doosron ka ab talak,
Khaak jee raha hai 'harsh' Avsar-shuda ye Zindagi.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #39 on: December 27, 2005, 06:41:35 AM »
Reply with quote
Harash Ji

Apno ki bad-dua qubool nahi hoti
Tees jo dil me uthi woh der pa nahi hoti
Mohabbat ke do bol koi bol de mujh se
Ke ab is tarah basar yeh zindagi nahi hoti
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #40 on: December 30, 2005, 02:42:31 PM »
Reply with quote
wonderfull   work  Saba................Harsh Bhai...

jaise kat rahi hai jindagi baaki bhi kat jaayegi"Saba"
ab de mujhe  dua aisi tumhari  judai ka ehsaas na ho kabhi....
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #41 on: December 31, 2005, 09:21:05 PM »
Reply with quote
Waheed

Na keh mujh se aisee dua mere dost
ke zindagi bas teri yaado.n me guzar jaane de
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #42 on: January 04, 2006, 06:05:34 AM »
Reply with quote
Quote from: "Saba_Saba"
Harash Ji

Apno ki bad-dua qubool nahi hoti
Tees jo dil me uthi woh der pa nahi hoti
Mohabbat ke do bol koi bol de mujh se
Ke ab is tarah basar yeh zindagi nahi hoti
theek kehti ho saba.......

khul ke lag raha hai mol bebsi ka yuin,
ki aadmi lage hai ab samaan ho gaya.

dos hi becha kiye ker-ker ke botian,
badnaam aaj dushmano ka naam ho gaya.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #43 on: January 04, 2006, 09:21:08 AM »
Reply with quote
Bohat KhuuB Harash Ji

Meri soch kuchh is tarah hai

Uljhe kyu hum dosti aur dushmani me
Milte hai bicharte hai log zindagi me

Jo muskura ke mile unhe gale laga liya
Jo hua shikwa to dar guzar bhi kar diya
Usual Smile
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #44 on: January 05, 2006, 06:04:35 AM »
Reply with quote
Quote from: "Saba_Saba"
Bohat KhuuB Harash Ji

Meri soch kuchh is tarah hai

Uljhe kyu hum dosti aur dushmani me
Milte hai bicharte hai log zindagi me

Jo muskura ke mile unhe gale laga liya
Jo hua shikwa to dar guzar bhi kar diya
Usual Smile
aisi soch se shaks satlok mko hi yaad ker sakta hai...aajkal aisi soch ke dildaar kahaan....agar hain toh is zamee asmaan main kahaan...

Apno ka dard chahte hue jahaan-jahaan gaye,
Na poochhiye ki kya-kya hua ki hum kahaan-kahaan gaye.

Hamaare dil main dard hai, seene main ek aag hai,
Talashte rahe ik sakoon ai dost hum jahaan jahaan gaye.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 02:32:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.156 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer