DOSTANA HUMARA....

by CoolGirl on August 27, 2007, 10:59:04 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2629 times)
CoolGirl
Guest
Reply with quote
ye dostana hamara
jeene ka ek bahana hai
kabhi na ho hum juda
aisi dosti nibhana hai


hatho mei hath lekar chale
hum toh hai aise yaar
koi bhi aaye saamne
humko na hai kisi ka daar
teri khusi mei meri khushi
tere hi daam se meri hasi
ab na ye sath chorna hai
aisi dosti nibhana hai


ye dosti salamat rahe
khuda se yehi maangna hai
hum aisi misal bana
ke duniya ko yehi dekhana hai
dosti hai ek anmol heera
woh khushnaseeb hai jisne isse paaya hai
ab tere bin nahi jeena hai
aisi dosti nibhana hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dostana by daljeet_faqeer in Shayri-E-Dard
Dostana by Pooja in Movies, TV and Entertainment « 1 2  All »
dostana kar lijiye.... by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri
Taish- humara hai magar fir bhi HUMARA ho nahi pata...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2 3  All »
Gamo.n se mera dostana raha hai.. Ghazal by aarzoo-e-arjun in Shayri for Khumar -e- Ishq
CoolGirl
Guest
«Reply #1 on: August 27, 2007, 10:59:47 AM »
Reply with quote
Tu Meri Dosti Mera Armaan Hai
Shaayad Tu Apni Ehmiyat Se Anjaan Hai


Mujhse Kabhi Rooth Kar Mat Jana Dost
Kyonki Meri Duniya Tere Bin Veeran Hai


jo mila hai mujhe tujh jaisa dost
uss khuda ke mujhpe baut bara ehsaan hai


yaari mein hum apni jaan lutate nahi
arey yar tu hi tou humari jaan hai


aajke zamaane mein apno pe barosa nahi
tu jo mere saath hai tou sara jahan dekh ke heraan hai


bas dua yehi hai ke salamat rahe ye dostana
RANI ki khushiyon ka tu hi bhagban hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #2 on: August 27, 2007, 11:00:47 AM »
Reply with quote
Safar Mohabbat Ka Chalta Rahe
Suraj Chahe Har Shaam Dhalta Rahe


Kabhi Na Dhalegi Apni Dosti Ki Shaam
Chahe Har Rishta Rang Badalta Rahe


kabhi khatam na ho yeh dosti ka jaam
her pal yaari ka nasha charta rahe


na ho kabhi hum juda hai yehi apni dua
her janam mein apni dosti ka silsila rahe


ager maar bhi jayen hum tou kya ghaam hai
bas saada RANI yeh dosti ka charag jalta rahe
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #3 on: August 29, 2007, 07:34:54 AM »
Reply with quote
Phol sey haseen hai mera Dost
Kitna mah jabeen hai mera Dost


kandhoon peh bekhri zulfein ghata jaisi
nazrein uski jhukki jhukki hayaa jaisi


hoontoon peh surkhi shafaq jaisi
chehrey peh chandni zia jaisi


Phol sey haseen hai mera Dost
Kitna mah jabeen hai mera Dost
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #4 on: August 29, 2007, 07:35:28 AM »
Reply with quote
dosti dhalte sooraj ki kirano main hai

dosti har naye din ki umeed hai

dosti khwaab hai,dosti jeet hai

dosti pyaar hai,dosti geet hai

dosti do jahano ka sangeet hai

dosti har khushi,dosti zindagi

dosti tishnagi,dosti bandagi hai

dosti sang chalty hawaon main hai

dosti in barasti ghataon main hai

dosti doston ki wafaon main hai

haath uttha ke jo maangi gayi hai dua

dosti ka asar un duaon main ha ..
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #5 on: August 29, 2007, 07:36:26 AM »
Reply with quote
meethi si dosti ajab sa ehsas
awaz mein jaadu matwali baat
kudrat ka karishma tera andaz
khilkhalati hasi meri madhoshi ka raaz
kiya kahun kis kadar tera hua hai asar
tera ehsaas hai mere sang her pal
tu na samjh khud ko tanha is kadar
na tera dil tanha na tanha tera safar
dosti ka jo haath thama hai sanam
aapna dostana kabhi na hoga kaam
pyaari hai humari dosti pyari ye gazal
tere naam hai ye ek paigam yaar-e-dushman
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #6 on: September 03, 2007, 11:37:17 AM »
Reply with quote
Dost ke liye DOSTI hai ek Afsana
Milna bichadna hai ek Dastur Purana
Phir bhi sanjoye rakhna milne ka bahana
Taaki barkarar rahe humara Dostana


inn dooriyon se tum bhi door na hojana
iss dil mein saada rahega yaadon ka khazana
kabhi pade meri zarurat to aawaaz de dena
dil chahe mulakat ka tou khuwabon mein aajana


E-Khuda is chirag-e-dosti ko kabhi na bhujana
mere dost ki aankhon ko kabhi na rulana
meri inn duaon ko tu sun lena
hamesha qayam rahe humara dostana
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #7 on: September 25, 2007, 06:41:37 AM »
Reply with quote
iss dilne hai tumhe apna maana
dur rehke bhi hai tumhe pechana


tum sunder ho na ho sunder hai tumara maan
ussi sunderta ka hai mera dil deewana


ek tasveer teri chupake rehki hai dil mei
kahin laga na de nazar tumhe ye zalim zamana


tum jo roothi tou saansein rooth jayegi
dekho kabhi hume tum apne dilse na bhoolana


jab kabhi tumari aankhein naam hone lage
ek aanson kam hojayega dilse jab bhi yaad karna


mana aur bhi rishte honge tumhare
per hume bhi apni sunheri yaadon mein rakhna


aur kuch nahi dua iss nachez ki KHUDA se
bas ya rab meri dost ko duniya ki her khushi dena
Logged
Tosha
Guest
«Reply #8 on: September 27, 2007, 02:46:34 AM »
Reply with quote
cool_girl ... accha likha hai aap ne!!
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #9 on: October 06, 2007, 09:52:11 AM »
Reply with quote
Khamoshi ki wo dhimi si awaz hai
tanhaiyon me wo ek gehra raaz hai


milte nahi hai sabko sacche dost Yahan
aap jo mile to hame khud par naaz hai


lagta hai jaise ke hain pichley janam ke saathi
her pal sabse special aapka hi ahsas hai


dooriyan to humare darmiyan lagti hi nahi
door rehkar bhi aap mere paas hai


her aada hai aapki juda dil mein basi hai aapki saada
ab tou auron se zyada aap hi khaas hai
Logged
aankhain
Guest
«Reply #10 on: October 06, 2007, 08:43:54 PM »
Reply with quote
kya baat ha=D>
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #11 on: October 09, 2007, 07:11:42 AM »
Reply with quote
ek khushi si chaa jaati hai
chere pe noor aa jaata hai


apna jo tum mujhe kehti ho
humko thoda guroor aajaata hai


jab bhi dilse kerte hain tujhe yaad
tab jaake lafzon mein koi suroor aajata hai


pata hai yeh hum ker sakte nahi phir b
her khushi tujhe dene ka dilko huboor aajata hai


tujh pe hum yeh jaan nisar kya karen
jab tere sang hi jeene ka shaoor aajata hai


jab kehti ho tum mujhe khathi meethi guddiya
tou meri nighaon mein tere chera ka parda zaroor aajata hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #12 on: October 21, 2007, 08:50:53 AM »
Reply with quote
ger tere aankhon ki udaasi
ger tere labon ki woh khamoshi
mere pyaar se mit jayegi
tou mein shaam savere gaati rahongi
bas tere liye geet gungunati rahongi


aajayega phirse woh chera ka noor
gham ke badal hojayege door
mere hamdam mere dost
kabhi aandheri raat na woh aaegi
tou mein shaam savere gaati rahongi
bas tere liye geet gungunati rahongi


yeh lafz mere aanso na poch sake
per sang tere aanso bahaenge
jo tujhko khushi milegi tou
yeh bhi sang tere muskuraenge
bas isske siwa na kuch ker sakongi
tou mein shaam savere gaati rahongi
bas tere liye geet gungunati rahongi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: October 31, 2007, 09:12:35 PM »
Reply with quote
Nice CoolGirl!!!
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #14 on: November 08, 2007, 05:55:36 AM »
Reply with quote
Aap ho aise mile jaise khushiyon ka khazana mil gaya
hamari zindagi ko aaj jee lene ka bahanaa mil gaya


aisa mila hai aapka pyaar hume dil nasheen
jaise khuda ki taraf se koi anmol nazrana mil gaya


hume tou aapki nazron ne pyaar ke kabil samjha hai
pyaar bhara jaise hum ko afsana mil gaya


mehfil-e-dil mein aapke aane se hi ronak hai
roshni ko aaj jaise uska thikana mil gaya


labon pe aisi haansi tou pehle na dekhi thi humne
aaj jaise inko ek haseen khilona mil gaya


yeh sirf chand lafz nahi hai mere dil ki sadaa hai
bezuban dil ko bhi aaj bholne ka bahanaa mil gaya
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 11, 2024, 02:32:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer